Surah Al-Maeda Verse 110 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Maedaإِذۡ قَالَ ٱللَّهُ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ٱذۡكُرۡ نِعۡمَتِي عَلَيۡكَ وَعَلَىٰ وَٰلِدَتِكَ إِذۡ أَيَّدتُّكَ بِرُوحِ ٱلۡقُدُسِ تُكَلِّمُ ٱلنَّاسَ فِي ٱلۡمَهۡدِ وَكَهۡلٗاۖ وَإِذۡ عَلَّمۡتُكَ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَۖ وَإِذۡ تَخۡلُقُ مِنَ ٱلطِّينِ كَهَيۡـَٔةِ ٱلطَّيۡرِ بِإِذۡنِي فَتَنفُخُ فِيهَا فَتَكُونُ طَيۡرَۢا بِإِذۡنِيۖ وَتُبۡرِئُ ٱلۡأَكۡمَهَ وَٱلۡأَبۡرَصَ بِإِذۡنِيۖ وَإِذۡ تُخۡرِجُ ٱلۡمَوۡتَىٰ بِإِذۡنِيۖ وَإِذۡ كَفَفۡتُ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ عَنكَ إِذۡ جِئۡتَهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡهُمۡ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
Jab kay Allah Taalaa irshad farmaye ga kay aey essa bin marium mera inam yaad kero jo tum per aur tumhari walida per hua hai jab mein ney tumhen rooh-ul-quddus say taeed di. Tum logon say kalaam kertay thay godd mein bhi aur bari umar mein bhi aur jabkay mein ney tum ko kitab aur hikmat ki baaten aur toraat aur injeel ki taleem di aur jab kay tum meray hukum say gaaray say aik shakal banatay thay jaisay parinday ki shakal hoti hai phir tum iss kay andar phoonk maar detay thay jiss say woh parind bann jata tha meray hukum say aur tum acha ker detay thay maadar zaad andhay ko aur korhi ko meray hukum say aur jab kay tum murdon ko nikal khara ker letay thay meray hukum say aur jab kay mein ney bani israeel ko tum say baaz rakha jab tum unn kay pass daleelen ley ker aaye thay phir unn mein jo kafir thay unhon ney kaha tha kay ba-juz khullay jadoo kay yeh aur kuch bhi nahi