Surah Al-Maeda Verse 110 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaإِذۡ قَالَ ٱللَّهُ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ٱذۡكُرۡ نِعۡمَتِي عَلَيۡكَ وَعَلَىٰ وَٰلِدَتِكَ إِذۡ أَيَّدتُّكَ بِرُوحِ ٱلۡقُدُسِ تُكَلِّمُ ٱلنَّاسَ فِي ٱلۡمَهۡدِ وَكَهۡلٗاۖ وَإِذۡ عَلَّمۡتُكَ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَۖ وَإِذۡ تَخۡلُقُ مِنَ ٱلطِّينِ كَهَيۡـَٔةِ ٱلطَّيۡرِ بِإِذۡنِي فَتَنفُخُ فِيهَا فَتَكُونُ طَيۡرَۢا بِإِذۡنِيۖ وَتُبۡرِئُ ٱلۡأَكۡمَهَ وَٱلۡأَبۡرَصَ بِإِذۡنِيۖ وَإِذۡ تُخۡرِجُ ٱلۡمَوۡتَىٰ بِإِذۡنِيۖ وَإِذۡ كَفَفۡتُ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ عَنكَ إِذۡ جِئۡتَهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡهُمۡ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
Phir tasawwur karo us mauqe ka jab Allah farmayega ke “Aey Maryam ke bete Isa! Yaad kar meri us niyamat ko jo maine tujhey aur teri Maa ko ata ki thi, maine rooh-e-paak se teri madad ki, tu gehware (cradle) mein bhi logon se baat karta tha aur badi umar ko pahunch kar bhi. Maine tujhko kitaab aur hikmat aur Taurat aur injil ki taleem di, tu mere hukum se mitti ka putla parinde ki shakal ka banata aur us mein phoonkta tha aur woh mere hukum se parinda ban jata tha, tu madar-zaad (by birth) andhey(blind) aur kodhi (leper) ko mere hukum se accha karta tha, tu murdon ko mere hukum se nikalta tha. Phir jab tu bani Israel ke paas sareeh nishaniyan lekar pahunhca aur jo log un mein se munkir e haqq thay unhon ne kaha ke yeh nishaniyan jaadugari ke siwa aur kuch nahin hain, to maine hi tujhey unsey bachaya