Surah Al-Maeda Verse 110 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Maedaإِذۡ قَالَ ٱللَّهُ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ٱذۡكُرۡ نِعۡمَتِي عَلَيۡكَ وَعَلَىٰ وَٰلِدَتِكَ إِذۡ أَيَّدتُّكَ بِرُوحِ ٱلۡقُدُسِ تُكَلِّمُ ٱلنَّاسَ فِي ٱلۡمَهۡدِ وَكَهۡلٗاۖ وَإِذۡ عَلَّمۡتُكَ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَۖ وَإِذۡ تَخۡلُقُ مِنَ ٱلطِّينِ كَهَيۡـَٔةِ ٱلطَّيۡرِ بِإِذۡنِي فَتَنفُخُ فِيهَا فَتَكُونُ طَيۡرَۢا بِإِذۡنِيۖ وَتُبۡرِئُ ٱلۡأَكۡمَهَ وَٱلۡأَبۡرَصَ بِإِذۡنِيۖ وَإِذۡ تُخۡرِجُ ٱلۡمَوۡتَىٰ بِإِذۡنِيۖ وَإِذۡ كَفَفۡتُ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ عَنكَ إِذۡ جِئۡتَهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡهُمۡ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
jab ke Allah ta’ala irshaad farmayega ke aye Isa bin Maryam! mera in’aam yaad karo jo tum par aur tumhaari waaleda par hoa hai, jab main ne tum ko ruhul qudus se tayeed di, tum logo se kalaam karte thein godh mein bhi aur badi umr mein bhi aur jab ke main ne tum ko kitaab aur hikmath ki baatein aur tauraath aur injeel ki taleem di aur jab ke tum mere hukm se gaare22 se ek shakal banaate thein jaise parinde ki shakal hoti hai, phir tum us ke andar phook maar dete thein jis se wo parinda ban jaata tha mere hukm se aur tum accha kar dete thein maadar zaath andhe ko aur kodi ko mere hukm se aur jab ke tum murdo ko nikaal kar khada kar lete thein mere hukm se aur jab ke main ne bani israel ko tum se baaz rakha jab tum un ke paas dalile le kar aaye thein, phir un mein jo kaafir thein unhone kaha tha ke ba-juz khule jaadu ke ye aur kuch bhi nahi