Surah Al-Maeda Verse 106 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Maedaيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ شَهَٰدَةُ بَيۡنِكُمۡ إِذَا حَضَرَ أَحَدَكُمُ ٱلۡمَوۡتُ حِينَ ٱلۡوَصِيَّةِ ٱثۡنَانِ ذَوَا عَدۡلٖ مِّنكُمۡ أَوۡ ءَاخَرَانِ مِنۡ غَيۡرِكُمۡ إِنۡ أَنتُمۡ ضَرَبۡتُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَأَصَٰبَتۡكُم مُّصِيبَةُ ٱلۡمَوۡتِۚ تَحۡبِسُونَهُمَا مِنۢ بَعۡدِ ٱلصَّلَوٰةِ فَيُقۡسِمَانِ بِٱللَّهِ إِنِ ٱرۡتَبۡتُمۡ لَا نَشۡتَرِي بِهِۦ ثَمَنٗا وَلَوۡ كَانَ ذَا قُرۡبَىٰ وَلَا نَكۡتُمُ شَهَٰدَةَ ٱللَّهِ إِنَّآ إِذٗا لَّمِنَ ٱلۡأٓثِمِينَ
Aey eman walo! Tumharay aapas mein do shaks ka gawah hona munasib hai jabkay tum mein say kissi ko maut aaney lagay aur waseeat kerney ka waqt ho woh do shaks aisay hon kay deen daar hon khuwa tum mein say hon ya ghair logon mein say do shaks hon agar tum kahin safar mein gaye ho aur tumhen maut aajaye agar tum ko shuba hoto inn dono ko baad namaz rok lo phir dono Allah ki qasmen khayen kay hum iss qasam kay ewaz koi nafa nahi lena chahatayagar cheh koi qarabat daar bhi ho aur Allah Taalaa ki baat ko hum posheedah keren gay hum iss halat mein sakht gunehgar hongay