Surah Al-Maeda Verse 44 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Maedaإِنَّآ أَنزَلۡنَا ٱلتَّوۡرَىٰةَ فِيهَا هُدٗى وَنُورٞۚ يَحۡكُمُ بِهَا ٱلنَّبِيُّونَ ٱلَّذِينَ أَسۡلَمُواْ لِلَّذِينَ هَادُواْ وَٱلرَّبَّـٰنِيُّونَ وَٱلۡأَحۡبَارُ بِمَا ٱسۡتُحۡفِظُواْ مِن كِتَٰبِ ٱللَّهِ وَكَانُواْ عَلَيۡهِ شُهَدَآءَۚ فَلَا تَخۡشَوُاْ ٱلنَّاسَ وَٱخۡشَوۡنِ وَلَا تَشۡتَرُواْ بِـَٔايَٰتِي ثَمَنٗا قَلِيلٗاۚ وَمَن لَّمۡ يَحۡكُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡكَٰفِرُونَ
Hum ney toraat nazil farmaee hai jiss mein hidayat-o-noor hai yahudiyon mein issi toraat kay sath Allah Taalaa kay mannay walay anbiya (alheem-us-salam) aur ehal-ullah aur ulama faislay kertay thay kiyon kay unhen Allah ki iss kitab ki hifazat ka hukum diya gaya tha. Aur woh iss per iqrari gawah thay abb tumhen chahaiye kay logon say na darro aur sirf mera darr rakho meri aayaton ko thoray thoray mol per na becho jo log Allah ki utari hui wahee kay sath faislay na keren woh (pooray aur pukhta) kafir hain