Surah Al-Maeda Verse 44 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaإِنَّآ أَنزَلۡنَا ٱلتَّوۡرَىٰةَ فِيهَا هُدٗى وَنُورٞۚ يَحۡكُمُ بِهَا ٱلنَّبِيُّونَ ٱلَّذِينَ أَسۡلَمُواْ لِلَّذِينَ هَادُواْ وَٱلرَّبَّـٰنِيُّونَ وَٱلۡأَحۡبَارُ بِمَا ٱسۡتُحۡفِظُواْ مِن كِتَٰبِ ٱللَّهِ وَكَانُواْ عَلَيۡهِ شُهَدَآءَۚ فَلَا تَخۡشَوُاْ ٱلنَّاسَ وَٱخۡشَوۡنِ وَلَا تَشۡتَرُواْ بِـَٔايَٰتِي ثَمَنٗا قَلِيلٗاۚ وَمَن لَّمۡ يَحۡكُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡكَٰفِرُونَ
Humne Taurat nazil ki jismein hidayat aur roshni thi. Sarey Nabi jo muslim thay, usi ke mutaaliq in yahudi ban janey walon ke maamlaat ka faisla karte thay, aur isi tarah Rabbani aur ehbar (scholars and jurists) bhi (isi par faisley ka madaar rakhte thay). Kyunke unhein kitab Allah ki hifazat ka zimmedar banaya gaya tha aur woh ispar gawaah they. Pas (aey giroh e yahud!) tum logon se na daro balke mujhse daro, aur meri aayat ko zara zara se mawize (trivial gain/keemat) lekar bechna chodh do. Jo log Allah ke nazil karda kanoon ke mutabiq faisla na karein wahi kafir hain