Surah Al-Maeda Verse 116 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Maedaوَإِذۡ قَالَ ٱللَّهُ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ءَأَنتَ قُلۡتَ لِلنَّاسِ ٱتَّخِذُونِي وَأُمِّيَ إِلَٰهَيۡنِ مِن دُونِ ٱللَّهِۖ قَالَ سُبۡحَٰنَكَ مَا يَكُونُ لِيٓ أَنۡ أَقُولَ مَا لَيۡسَ لِي بِحَقٍّۚ إِن كُنتُ قُلۡتُهُۥ فَقَدۡ عَلِمۡتَهُۥۚ تَعۡلَمُ مَا فِي نَفۡسِي وَلَآ أَعۡلَمُ مَا فِي نَفۡسِكَۚ إِنَّكَ أَنتَ عَلَّـٰمُ ٱلۡغُيُوبِ
Aur woh waqt bhi qabil-e-ziker hai jab kay Allah Taalaa farmaye ga kay aey essa ibn-e-marium kiya tum ney inn logon say keh diya tha kay mujh ko aur meri maa ko bhi ilawa Allah kay mabood qarar dey lo! Essa arz keren gay kay mein to tujh ko munza samajhta hun mujh ko kissi tarah zeba na tha kay mein aisi baat kehta jiss ka kehney ka mujh ko koi haq nahi agar mein ney kaha hoga to tujh ko iss ka ilm hoga. Tu to meray dil kay andar ki baat bhi janta hai aur mein teray nafs mein jo kuch hai uss ko nahi janta. Tamam ghaibon ka jannay wala tu hi hai