Surah Al-Maeda Verse 116 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Maedaوَإِذۡ قَالَ ٱللَّهُ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ءَأَنتَ قُلۡتَ لِلنَّاسِ ٱتَّخِذُونِي وَأُمِّيَ إِلَٰهَيۡنِ مِن دُونِ ٱللَّهِۖ قَالَ سُبۡحَٰنَكَ مَا يَكُونُ لِيٓ أَنۡ أَقُولَ مَا لَيۡسَ لِي بِحَقٍّۚ إِن كُنتُ قُلۡتُهُۥ فَقَدۡ عَلِمۡتَهُۥۚ تَعۡلَمُ مَا فِي نَفۡسِي وَلَآ أَعۡلَمُ مَا فِي نَفۡسِكَۚ إِنَّكَ أَنتَ عَلَّـٰمُ ٱلۡغُيُوبِ
aur wo waqt bhi qaabil zikr hai jab ke Allah ta’ala farmaayega aye Isa bin Maryam kya tum ne in logo se keh diya tha ke mujh ko aur meri maa ko bhi alaawa Allah ke maboodh qaraar de lo! Isa arz karenge ke main to tujh ko munazzah23 samajhta hoon, mujh ko kisi tarah zeba na tha ke main aisi baath kehta jis ke kehne ka mujh ko koyi haq nahi, agar main ne kaha hoga to tujh ko us ka ilm hoga, tu to mere dil ke andar ki baath bhi jaanta hai aur main tere nafs mein jo kuch hai us ko nahi jaanta, tamaam ghaibo ka jaanne waala tu hee hai