Surah Al-Maeda Verse 116 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaوَإِذۡ قَالَ ٱللَّهُ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ءَأَنتَ قُلۡتَ لِلنَّاسِ ٱتَّخِذُونِي وَأُمِّيَ إِلَٰهَيۡنِ مِن دُونِ ٱللَّهِۖ قَالَ سُبۡحَٰنَكَ مَا يَكُونُ لِيٓ أَنۡ أَقُولَ مَا لَيۡسَ لِي بِحَقٍّۚ إِن كُنتُ قُلۡتُهُۥ فَقَدۡ عَلِمۡتَهُۥۚ تَعۡلَمُ مَا فِي نَفۡسِي وَلَآ أَعۡلَمُ مَا فِي نَفۡسِكَۚ إِنَّكَ أَنتَ عَلَّـٰمُ ٱلۡغُيُوبِ
Garz jab ( yeh ehsanaat yaad dilakar) Allah farmayega ke “aey Isa ibn-e-Mariyam kya tu nay logon se kaha tha ke khuda ke siwa mujhey aur meri Maa ko bhi khuda bana lo?” To woh jawab mein arz karega ke “ Suban Allah! Mera yeh kaam na tha ke woh baat kehta jiske kehne ka mujhey haqq na tha, agar maine aisi baat kahi hoti, to aapko zaroor ilm hota, aap jaante hain jo kuch mere dil mein hai aur main nahin jaanta jo kuch aapke dil mein hai, aap to saari poshida haqeeqaton ke aalim hain