Surah Al-Maeda Verse 6 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Maedaيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا قُمۡتُمۡ إِلَى ٱلصَّلَوٰةِ فَٱغۡسِلُواْ وُجُوهَكُمۡ وَأَيۡدِيَكُمۡ إِلَى ٱلۡمَرَافِقِ وَٱمۡسَحُواْ بِرُءُوسِكُمۡ وَأَرۡجُلَكُمۡ إِلَى ٱلۡكَعۡبَيۡنِۚ وَإِن كُنتُمۡ جُنُبٗا فَٱطَّهَّرُواْۚ وَإِن كُنتُم مَّرۡضَىٰٓ أَوۡ عَلَىٰ سَفَرٍ أَوۡ جَآءَ أَحَدٞ مِّنكُم مِّنَ ٱلۡغَآئِطِ أَوۡ لَٰمَسۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَلَمۡ تَجِدُواْ مَآءٗ فَتَيَمَّمُواْ صَعِيدٗا طَيِّبٗا فَٱمۡسَحُواْ بِوُجُوهِكُمۡ وَأَيۡدِيكُم مِّنۡهُۚ مَا يُرِيدُ ٱللَّهُ لِيَجۡعَلَ عَلَيۡكُم مِّنۡ حَرَجٖ وَلَٰكِن يُرِيدُ لِيُطَهِّرَكُمۡ وَلِيُتِمَّ نِعۡمَتَهُۥ عَلَيۡكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Aey eman walo! Jab tum namaz kay liye utho to apney mun ko aur apney haathon ko kohniyon samet dho lo aur apney siron ka masah kero aur apney paon ko takhnon samet dho lo aur agar tum janabat ki halat mein ho to ghusul kerlo haan agar tum beemar ho ya safar ki halat mein ho ya tum mein say koi hajat zaroori say farigh ho ker aaya ho ya tum aurton say milay ho aur tumhen pani na milay to tum pak mitti say tayammum kerlo issay apney chehron per aur haathon per mall lo Allah Taalaa tum per kissi qisam ki tangi nahi daalna chahata bulkay uss ka irada tumhen pak kerney ka aur tumhen apni bharpoor nemat denay ka hai takay tum shukar ada kertay raho