Surah Al-Maeda Verse 95 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Maedaيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَقۡتُلُواْ ٱلصَّيۡدَ وَأَنتُمۡ حُرُمٞۚ وَمَن قَتَلَهُۥ مِنكُم مُّتَعَمِّدٗا فَجَزَآءٞ مِّثۡلُ مَا قَتَلَ مِنَ ٱلنَّعَمِ يَحۡكُمُ بِهِۦ ذَوَا عَدۡلٖ مِّنكُمۡ هَدۡيَۢا بَٰلِغَ ٱلۡكَعۡبَةِ أَوۡ كَفَّـٰرَةٞ طَعَامُ مَسَٰكِينَ أَوۡ عَدۡلُ ذَٰلِكَ صِيَامٗا لِّيَذُوقَ وَبَالَ أَمۡرِهِۦۗ عَفَا ٱللَّهُ عَمَّا سَلَفَۚ وَمَنۡ عَادَ فَيَنتَقِمُ ٱللَّهُ مِنۡهُۚ وَٱللَّهُ عَزِيزٞ ذُو ٱنتِقَامٍ
Aey eman walo! (wehshi) shikar ko qatal mat kero jabkay tum halat-e-ehraam mein ho. Aur jo shaks tum mein say iss ko jaan boojh ker qatal keray ga to uss per fidya wajib hoga jo kay masawi hoga uss janwar kay jiss ko iss ney qatal kiya hai jiss ka faisla tum mein say do moatbar shaks ker den khuwa woh fidya khaas chopayon mein say ho jo niaz kay tor per kaaba tak phonchaya jaye aur khuwa kaffaara masakeen ko dey diya jaye aur khuwa iss kay barabar rozay rakh liye jayen takay apney kiye ki shamat ka maza chakhay Allah Taalaa ney guzishat ko moaf ker diya aur jo shaks phir aisi hi herkat keray ga to Allah Taalaa intiqam ley ga aur Allah zabardast hai intiqam lenay wala