Surah An-Nisa - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱتَّقُواْ رَبَّكُمُ ٱلَّذِي خَلَقَكُم مِّن نَّفۡسٖ وَٰحِدَةٖ وَخَلَقَ مِنۡهَا زَوۡجَهَا وَبَثَّ مِنۡهُمَا رِجَالٗا كَثِيرٗا وَنِسَآءٗۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِي تَسَآءَلُونَ بِهِۦ وَٱلۡأَرۡحَامَۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلَيۡكُمۡ رَقِيبٗا
Aey logo apney perwerdigar say daro jiss ney tumhen aik jaan say peda kiya aur ussi say uss ki biwi ko peda ker kay unn dono say boht say mard aur aurten phela den uss Allah say daro jiss kay naam per aik doosray say maangtay ho aur rishtay naatay toryney say bhi bacho be-shak Allah Taalaa tum per nigehbaan hai
Surah An-Nisa, Verse 1
وَءَاتُواْ ٱلۡيَتَٰمَىٰٓ أَمۡوَٰلَهُمۡۖ وَلَا تَتَبَدَّلُواْ ٱلۡخَبِيثَ بِٱلطَّيِّبِۖ وَلَا تَأۡكُلُوٓاْ أَمۡوَٰلَهُمۡ إِلَىٰٓ أَمۡوَٰلِكُمۡۚ إِنَّهُۥ كَانَ حُوبٗا كَبِيرٗا
Aur yateemon ko unn kay maal dey do aur pak aur halal cheez kay badlay na pak aur haram cheez na lo aur apney maalon kay sath unn kay maal mila ker kha na jao be-shak yeh boht bara gunah hai
Surah An-Nisa, Verse 2
وَإِنۡ خِفۡتُمۡ أَلَّا تُقۡسِطُواْ فِي ٱلۡيَتَٰمَىٰ فَٱنكِحُواْ مَا طَابَ لَكُم مِّنَ ٱلنِّسَآءِ مَثۡنَىٰ وَثُلَٰثَ وَرُبَٰعَۖ فَإِنۡ خِفۡتُمۡ أَلَّا تَعۡدِلُواْ فَوَٰحِدَةً أَوۡ مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡۚ ذَٰلِكَ أَدۡنَىٰٓ أَلَّا تَعُولُواْ
Agar tumhen darr ho kay yateem larkiyon say nikkah ker kay tum insaf na rakh sako gay to aur aurton mein say jo bhi tumhen achi lagen tum unn say nikkah kerlo do do teen teen chaar chaar say lekin agar tumhen barabari na ker sakney ka khof ho to aik hi kafi hai ya tumhari milkiyat ki londi yeh ziyada qarib hai kay (aisa kerney say na insafi aur) aik taraf jhuk parney say bach jao
Surah An-Nisa, Verse 3
وَءَاتُواْ ٱلنِّسَآءَ صَدُقَٰتِهِنَّ نِحۡلَةٗۚ فَإِن طِبۡنَ لَكُمۡ عَن شَيۡءٖ مِّنۡهُ نَفۡسٗا فَكُلُوهُ هَنِيٓـٔٗا مَّرِيٓـٔٗا
Aur aurton ko unn kay mehar razi khushi dey do haan agar woh khud apni khushi say kuch mehar chor den to issay shoq say khush ho ker kha lo
Surah An-Nisa, Verse 4
وَلَا تُؤۡتُواْ ٱلسُّفَهَآءَ أَمۡوَٰلَكُمُ ٱلَّتِي جَعَلَ ٱللَّهُ لَكُمۡ قِيَٰمٗا وَٱرۡزُقُوهُمۡ فِيهَا وَٱكۡسُوهُمۡ وَقُولُواْ لَهُمۡ قَوۡلٗا مَّعۡرُوفٗا
Bey aqal logon ko apna maal na dey do jiss maal ko Allah Taalaa ney tumhari guzraan kay qaeem rakhney ka zariya banaya hai haan unhen iss maal say khilao pilao pehnao orahao aur unhen maqooliyat say naram baat kaho
Surah An-Nisa, Verse 5
وَٱبۡتَلُواْ ٱلۡيَتَٰمَىٰ حَتَّىٰٓ إِذَا بَلَغُواْ ٱلنِّكَاحَ فَإِنۡ ءَانَسۡتُم مِّنۡهُمۡ رُشۡدٗا فَٱدۡفَعُوٓاْ إِلَيۡهِمۡ أَمۡوَٰلَهُمۡۖ وَلَا تَأۡكُلُوهَآ إِسۡرَافٗا وَبِدَارًا أَن يَكۡبَرُواْۚ وَمَن كَانَ غَنِيّٗا فَلۡيَسۡتَعۡفِفۡۖ وَمَن كَانَ فَقِيرٗا فَلۡيَأۡكُلۡ بِٱلۡمَعۡرُوفِۚ فَإِذَا دَفَعۡتُمۡ إِلَيۡهِمۡ أَمۡوَٰلَهُمۡ فَأَشۡهِدُواْ عَلَيۡهِمۡۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ حَسِيبٗا
Aur yateemon ko unn kay baligh ho janey tak sidhartay aur aazmatay raho phir agar inn mein tum hoshiyari aur husn-e-tadbeer pao to enhen inn kay maal sonp do aur inn kay baray ho janey kay darr say inn kay maalon ko jaldi jaldi fazool kharchiyon mein tabah na kerdo maal daron ko chahaiye kay (inn kay maal say) bachtay rahen haan miskeen mohtaj ho to dastoor kay mutabiq wajibi tor say kha ley phir jab enhen inn kay maal sonpo to gawah bana lo dar asal hisab lenay wala Allah Taalaa hi kafi hai
Surah An-Nisa, Verse 6
لِّلرِّجَالِ نَصِيبٞ مِّمَّا تَرَكَ ٱلۡوَٰلِدَانِ وَٱلۡأَقۡرَبُونَ وَلِلنِّسَآءِ نَصِيبٞ مِّمَّا تَرَكَ ٱلۡوَٰلِدَانِ وَٱلۡأَقۡرَبُونَ مِمَّا قَلَّ مِنۡهُ أَوۡ كَثُرَۚ نَصِيبٗا مَّفۡرُوضٗا
Maa baap aur khawesh-o-aqarib kay tarkay mein mardon ka hissa bhi hai aur aurton ka bhi. (jo maal maa baap aur khawesh-o-aqarib chor maren) khuwa woh maal kum ho ya ziyada (uss mein) hissa muqarrar kiya hua hai
Surah An-Nisa, Verse 7
وَإِذَا حَضَرَ ٱلۡقِسۡمَةَ أُوْلُواْ ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينُ فَٱرۡزُقُوهُم مِّنۡهُ وَقُولُواْ لَهُمۡ قَوۡلٗا مَّعۡرُوفٗا
Aur jab taqseem kay waqt qarabat daar aur yateem aur miskeen aajayen to tum uss mein say thor boht enhen bhi dey do aur inn sa narmi say bolo
Surah An-Nisa, Verse 8
وَلۡيَخۡشَ ٱلَّذِينَ لَوۡ تَرَكُواْ مِنۡ خَلۡفِهِمۡ ذُرِّيَّةٗ ضِعَٰفًا خَافُواْ عَلَيۡهِمۡ فَلۡيَتَّقُواْ ٱللَّهَ وَلۡيَقُولُواْ قَوۡلٗا سَدِيدًا
Aur chahaiye kay woh iss baat say daren kay agar woh khud apney peechay (nannhay nannhay) na tawan bachay chor jatay jin kay zaya ho janey ka andesha rehta hai (to unn ki chahat kiya hoti) pus Allah Taalaa say darr ker jachi tuli baat kaha kero
Surah An-Nisa, Verse 9
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَأۡكُلُونَ أَمۡوَٰلَ ٱلۡيَتَٰمَىٰ ظُلۡمًا إِنَّمَا يَأۡكُلُونَ فِي بُطُونِهِمۡ نَارٗاۖ وَسَيَصۡلَوۡنَ سَعِيرٗا
Jo log na haq zulm say yateemon ka maal kha jatay hain woh apney pet mein aag hi bhar rahey hain aur un qarib woh dozakh mein jayen gay
Surah An-Nisa, Verse 10
يُوصِيكُمُ ٱللَّهُ فِيٓ أَوۡلَٰدِكُمۡۖ لِلذَّكَرِ مِثۡلُ حَظِّ ٱلۡأُنثَيَيۡنِۚ فَإِن كُنَّ نِسَآءٗ فَوۡقَ ٱثۡنَتَيۡنِ فَلَهُنَّ ثُلُثَا مَا تَرَكَۖ وَإِن كَانَتۡ وَٰحِدَةٗ فَلَهَا ٱلنِّصۡفُۚ وَلِأَبَوَيۡهِ لِكُلِّ وَٰحِدٖ مِّنۡهُمَا ٱلسُّدُسُ مِمَّا تَرَكَ إِن كَانَ لَهُۥ وَلَدٞۚ فَإِن لَّمۡ يَكُن لَّهُۥ وَلَدٞ وَوَرِثَهُۥٓ أَبَوَاهُ فَلِأُمِّهِ ٱلثُّلُثُۚ فَإِن كَانَ لَهُۥٓ إِخۡوَةٞ فَلِأُمِّهِ ٱلسُّدُسُۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصِي بِهَآ أَوۡ دَيۡنٍۗ ءَابَآؤُكُمۡ وَأَبۡنَآؤُكُمۡ لَا تَدۡرُونَ أَيُّهُمۡ أَقۡرَبُ لَكُمۡ نَفۡعٗاۚ فَرِيضَةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Allah Taalaa tumhen tumhari aulad kay baray mein hukum kerta hai kay aik larkay ka hissa do larkiyon kay barabar hai aur agar sirf larkiyan hi hon aur do say ziyada hon to unhen maal matrooka ka do tehaee milay ga. Aur agar aik hi larki ho to uss kay liye aadha hai aur mayyat kay maa baap mein say her aik kay liye uss kay choray huye maal ka chatha hissa hai agar iss (mayyat) ki aulad ho aur agar aulad na ho aur maa baap waris hotay hon to uss ki maa kay liye teesra hissa hai haan agar mayyat kay kaee bhai hon to phir uss ki maa ka chatha hissa hai. Yeh hissay uss wasiyat (ki takmeel) kay baad hain jo marney wala ker gaya ho ya aday-e-qarz kay baad tumharay baap hon ya tumharay betay tumhen nahi maloom kay unn mein say kaun tumhen nafa phonchaney mein ziyada qarib hai yeh hissay Allah Taalaa ki taraf say muqarrar kerda hain be-shak Allah Taalaa pooray ilm aur kaamil hikmaton wala hai
Surah An-Nisa, Verse 11
۞وَلَكُمۡ نِصۡفُ مَا تَرَكَ أَزۡوَٰجُكُمۡ إِن لَّمۡ يَكُن لَّهُنَّ وَلَدٞۚ فَإِن كَانَ لَهُنَّ وَلَدٞ فَلَكُمُ ٱلرُّبُعُ مِمَّا تَرَكۡنَۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصِينَ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٖۚ وَلَهُنَّ ٱلرُّبُعُ مِمَّا تَرَكۡتُمۡ إِن لَّمۡ يَكُن لَّكُمۡ وَلَدٞۚ فَإِن كَانَ لَكُمۡ وَلَدٞ فَلَهُنَّ ٱلثُّمُنُ مِمَّا تَرَكۡتُمۚ مِّنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ تُوصُونَ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٖۗ وَإِن كَانَ رَجُلٞ يُورَثُ كَلَٰلَةً أَوِ ٱمۡرَأَةٞ وَلَهُۥٓ أَخٌ أَوۡ أُخۡتٞ فَلِكُلِّ وَٰحِدٖ مِّنۡهُمَا ٱلسُّدُسُۚ فَإِن كَانُوٓاْ أَكۡثَرَ مِن ذَٰلِكَ فَهُمۡ شُرَكَآءُ فِي ٱلثُّلُثِۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصَىٰ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٍ غَيۡرَ مُضَآرّٖۚ وَصِيَّةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَلِيمٞ
Tumhari biwiyan jo kuch chor maren aur unn ki aulad na ho to aadhon aadh tumhara hai aur agar unn ki aulad ho to unn kay choray huye maal say tumharay liye chothaee hissa hai. Uss wasiyat ki adaayegi kay baad jo woh ker gaee hon ya qarz kay baad. Aur jo (tarka) tum chor jao uss mein unn kay liye aik chothaee hai agar tumhari aulad na ho aur agar tumhari aulad ho to phir unhen tumharay tarkay ka aathwan hissa milay ga uss wasiyat kay baad jo tum ker gaye ho aur qarz ki adaayegi kay baad. Aur jin ki meerass li jati hai woh mard ya aurat kalala ho yani uss ka baap beta na ho aur uss ka aik bhai ya aik behan ho to inn dono mein say her aik ka chatha hissa hai aur agar iss say ziyada hon to aik tehaee mein sab shareek hain uss wasiyat kay baad jo ki jaye aur qarz kay baad jabkay auron ka nuksan na kiya gaya ho yeh muqarrar kiya hua Allah Taalaa ki taraf say hai aur Allah Taalaa daana hai burdbaar
Surah An-Nisa, Verse 12
تِلۡكَ حُدُودُ ٱللَّهِۚ وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ يُدۡخِلۡهُ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ وَذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Yeh hadden Allah Taalaa ki muqarrar ki hui hain aur jo Allah Taalaa ki aur uss kay rasool (PBUH) ki farmanbardari keray ga ussay Allah Taalaa jannaton mein ley jaye ga jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha rahen gay aur yeh boht bari kaamyaabi hai
Surah An-Nisa, Verse 13
وَمَن يَعۡصِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَيَتَعَدَّ حُدُودَهُۥ يُدۡخِلۡهُ نَارًا خَٰلِدٗا فِيهَا وَلَهُۥ عَذَابٞ مُّهِينٞ
Aur jo shaks Allah Taalaa aur uss kay rasool (PBUH) ki na farmani keray aur uss ki muqarrara haddon say aagay niklay ussay woh jahannum mein daal dey ga jiss mein woh hamesha rahey ga aison hi kay liye ruswa kun azab hai
Surah An-Nisa, Verse 14
وَٱلَّـٰتِي يَأۡتِينَ ٱلۡفَٰحِشَةَ مِن نِّسَآئِكُمۡ فَٱسۡتَشۡهِدُواْ عَلَيۡهِنَّ أَرۡبَعَةٗ مِّنكُمۡۖ فَإِن شَهِدُواْ فَأَمۡسِكُوهُنَّ فِي ٱلۡبُيُوتِ حَتَّىٰ يَتَوَفَّىٰهُنَّ ٱلۡمَوۡتُ أَوۡ يَجۡعَلَ ٱللَّهُ لَهُنَّ سَبِيلٗا
Tumhari aurton mein say jo bey hayaee ka kaam keren unn per apney mein say chaar gawah talab kero agar woh gawahi den to inn aurton ko gharon mein qaid rakho yahan tak kay maut unn ki umaren poori ker dey ya Allah Taalaa unn kay liye koi aur raasta nikalay
Surah An-Nisa, Verse 15
وَٱلَّذَانِ يَأۡتِيَٰنِهَا مِنكُمۡ فَـَٔاذُوهُمَاۖ فَإِن تَابَا وَأَصۡلَحَا فَأَعۡرِضُواْ عَنۡهُمَآۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ تَوَّابٗا رَّحِيمًا
Tum say jo do fard aisa kaam ker len unhen ezza do agar woh tauba aur islaah ker len to unn say mun pher lo be-shak Allah Taalaa tauba kerney wala aur reham kerney wala hai
Surah An-Nisa, Verse 16
إِنَّمَا ٱلتَّوۡبَةُ عَلَى ٱللَّهِ لِلَّذِينَ يَعۡمَلُونَ ٱلسُّوٓءَ بِجَهَٰلَةٖ ثُمَّ يَتُوبُونَ مِن قَرِيبٖ فَأُوْلَـٰٓئِكَ يَتُوبُ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Allah Taalaa sirf unhi logon ki tauba qabool farmata hai jo ba waja nadani koi buraee ker guzren phir jald uss sa baaz aajayen aur tauba keren to Allah Taalaa bhi unn ki tauba qabool kerta hai Allah Taalaa beray ilm wala hikmat wala hai
Surah An-Nisa, Verse 17
وَلَيۡسَتِ ٱلتَّوۡبَةُ لِلَّذِينَ يَعۡمَلُونَ ٱلسَّيِّـَٔاتِ حَتَّىٰٓ إِذَا حَضَرَ أَحَدَهُمُ ٱلۡمَوۡتُ قَالَ إِنِّي تُبۡتُ ٱلۡـَٰٔنَ وَلَا ٱلَّذِينَ يَمُوتُونَ وَهُمۡ كُفَّارٌۚ أُوْلَـٰٓئِكَ أَعۡتَدۡنَا لَهُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا
Unn ki tauba nahi jo buraiyan kertay chalay jayen yahan tak kay jab inn mein say kissi kay pass maut aajaye to keh dey kay mein ney abb tauba ki aur unn ki tauba bhi qabool nahi jo kufur per hi marr jayen yehi log hain jin kay liye hum ney alam naak azab tayyar ker rakha hai
Surah An-Nisa, Verse 18
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا يَحِلُّ لَكُمۡ أَن تَرِثُواْ ٱلنِّسَآءَ كَرۡهٗاۖ وَلَا تَعۡضُلُوهُنَّ لِتَذۡهَبُواْ بِبَعۡضِ مَآ ءَاتَيۡتُمُوهُنَّ إِلَّآ أَن يَأۡتِينَ بِفَٰحِشَةٖ مُّبَيِّنَةٖۚ وَعَاشِرُوهُنَّ بِٱلۡمَعۡرُوفِۚ فَإِن كَرِهۡتُمُوهُنَّ فَعَسَىٰٓ أَن تَكۡرَهُواْ شَيۡـٔٗا وَيَجۡعَلَ ٱللَّهُ فِيهِ خَيۡرٗا كَثِيرٗا
Eman walo! Tumhen halal nahi kay zabardasti aurton ko virsay mein ley betho unhen iss liye rok na rakho kay jo tum ney unhen dey rakha hai uss mein say kuch ley lo haan yeh aur baat hai kay woh koi khuli buraee aur bey hayaee keren unn kay sath achay tareeqay say bod-o-baash rakho go tum unhen na pasand kero lekin boht mumkin hai kay tum kissi cheez ko bura jano aur Allah Taalaa iss mein boht hi bhalaee ker dey
Surah An-Nisa, Verse 19
وَإِنۡ أَرَدتُّمُ ٱسۡتِبۡدَالَ زَوۡجٖ مَّكَانَ زَوۡجٖ وَءَاتَيۡتُمۡ إِحۡدَىٰهُنَّ قِنطَارٗا فَلَا تَأۡخُذُواْ مِنۡهُ شَيۡـًٔاۚ أَتَأۡخُذُونَهُۥ بُهۡتَٰنٗا وَإِثۡمٗا مُّبِينٗا
Aur agar tum aik biwi ki jagah doosri biwi kerna hi chahao aur inn mein say kissi ko tum ney khazana ka khazana hi dey rakha ho to bhi uss mein say kuch na lo kiya tum issay na haq aur khula gunah hotay huye bhi ley lo gay tum issay kaisay ley lo gay
Surah An-Nisa, Verse 20
وَكَيۡفَ تَأۡخُذُونَهُۥ وَقَدۡ أَفۡضَىٰ بَعۡضُكُمۡ إِلَىٰ بَعۡضٖ وَأَخَذۡنَ مِنكُم مِّيثَٰقًا غَلِيظٗا
Halankay tum aik doosray say mill chukay ho aur inn aurton ney tum say mazboot ehad-o-paymaan ley rakh hai
Surah An-Nisa, Verse 21
وَلَا تَنكِحُواْ مَا نَكَحَ ءَابَآؤُكُم مِّنَ ٱلنِّسَآءِ إِلَّا مَا قَدۡ سَلَفَۚ إِنَّهُۥ كَانَ فَٰحِشَةٗ وَمَقۡتٗا وَسَآءَ سَبِيلًا
Aur unn aurton say nikkah na kero jin say tumharay baapon ney nikkah kiya hai magar jo guzar chuka hai yeh bey hayaee ka kaam aur bughz ka sabab hai aur bari buri raah hai
Surah An-Nisa, Verse 22
حُرِّمَتۡ عَلَيۡكُمۡ أُمَّهَٰتُكُمۡ وَبَنَاتُكُمۡ وَأَخَوَٰتُكُمۡ وَعَمَّـٰتُكُمۡ وَخَٰلَٰتُكُمۡ وَبَنَاتُ ٱلۡأَخِ وَبَنَاتُ ٱلۡأُخۡتِ وَأُمَّهَٰتُكُمُ ٱلَّـٰتِيٓ أَرۡضَعۡنَكُمۡ وَأَخَوَٰتُكُم مِّنَ ٱلرَّضَٰعَةِ وَأُمَّهَٰتُ نِسَآئِكُمۡ وَرَبَـٰٓئِبُكُمُ ٱلَّـٰتِي فِي حُجُورِكُم مِّن نِّسَآئِكُمُ ٱلَّـٰتِي دَخَلۡتُم بِهِنَّ فَإِن لَّمۡ تَكُونُواْ دَخَلۡتُم بِهِنَّ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ وَحَلَـٰٓئِلُ أَبۡنَآئِكُمُ ٱلَّذِينَ مِنۡ أَصۡلَٰبِكُمۡ وَأَن تَجۡمَعُواْ بَيۡنَ ٱلۡأُخۡتَيۡنِ إِلَّا مَا قَدۡ سَلَفَۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
Haram ki gaeen tum per tumhari maayen aur tumhari larkiyan tumhari behnen tumhari phoopiyan aur tumhari khalaayen aur bhai ki larkiyan aur behan ki larkiyan aur tumhari woh maayen jinhon ney tumhen doodh pilaya ho aur tumhari doodh sharik behnen aur tumhari saas aur tumhari woh perwerish kerda larkiyan jo tumhari godd mein hain tumhari unn aurton say jin say tum dakhool ker chukay ho haan agar tum ney unn say jamaa na kiya ho to tum oer koi gunah nahi aur tumharay salbi sagay beton ki biwiyan aur tumhara do behnon ka jama kerna haan jo guzar chuka so guzar chuka yaqeenan Allah Taalaa bakshney wala meharban hai
Surah An-Nisa, Verse 23
۞وَٱلۡمُحۡصَنَٰتُ مِنَ ٱلنِّسَآءِ إِلَّا مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡۖ كِتَٰبَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡۚ وَأُحِلَّ لَكُم مَّا وَرَآءَ ذَٰلِكُمۡ أَن تَبۡتَغُواْ بِأَمۡوَٰلِكُم مُّحۡصِنِينَ غَيۡرَ مُسَٰفِحِينَۚ فَمَا ٱسۡتَمۡتَعۡتُم بِهِۦ مِنۡهُنَّ فَـَٔاتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ فَرِيضَةٗۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ فِيمَا تَرَٰضَيۡتُم بِهِۦ مِنۢ بَعۡدِ ٱلۡفَرِيضَةِۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Aur (haram ki gaeen) shoher wali aurten magar woh jo tumhari milkiyat mein aajayen Allah Taalaa ney yeh ehkaam tum per farz ker diye hain aur inn aurton kay siwa aur aurten tumharay liye halal ki gaeen kay apney maal kay mehar say tum inn say nikkah kerna chahao buray kaam say bachne kay liye na kay shewat rani kay liye iss liye jin say tum faeeda uthao unhen unn ka muqarrar kiya hua mehar dey do aur mehar muqarrar ho janey kay baad tum aapas ki raza mandi say jo tey ker lo uss mein tum per koi gunah nahi be-shak Allah Taalaa ilm wala hikmat wala hai
Surah An-Nisa, Verse 24
وَمَن لَّمۡ يَسۡتَطِعۡ مِنكُمۡ طَوۡلًا أَن يَنكِحَ ٱلۡمُحۡصَنَٰتِ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ فَمِن مَّا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُم مِّن فَتَيَٰتِكُمُ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتِۚ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِإِيمَٰنِكُمۚ بَعۡضُكُم مِّنۢ بَعۡضٖۚ فَٱنكِحُوهُنَّ بِإِذۡنِ أَهۡلِهِنَّ وَءَاتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ بِٱلۡمَعۡرُوفِ مُحۡصَنَٰتٍ غَيۡرَ مُسَٰفِحَٰتٖ وَلَا مُتَّخِذَٰتِ أَخۡدَانٖۚ فَإِذَآ أُحۡصِنَّ فَإِنۡ أَتَيۡنَ بِفَٰحِشَةٖ فَعَلَيۡهِنَّ نِصۡفُ مَا عَلَى ٱلۡمُحۡصَنَٰتِ مِنَ ٱلۡعَذَابِۚ ذَٰلِكَ لِمَنۡ خَشِيَ ٱلۡعَنَتَ مِنكُمۡۚ وَأَن تَصۡبِرُواْ خَيۡرٞ لَّكُمۡۗ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Aur tum mein say jiss kissi ko aazad musalman aurton say nikkah kerney ki poori wus’at-o-taqat na ho to woh musalman londiyon say jin kay tum maalik ho (apna nikkah ker ley) Allah tumharay aemaal ko ba khoobi janney wala hai tum sab aapas mein aik hi to ho iss liye unn kay maalikon ki ijazat say unn say nikkah kerlo aur qaeeday kay mutabiq unn kay mehar unn ko do woh pak daaman hon na kay aelaaniya bad kaari kerney waliyan na khufia aashnaee kerney waliyan pus jab yeh londiyan nikkah mein aajayen phir agar woh bey hayaee ka kaam keren to unhen aadhi saza hai uss saza say jo aazad aurton ki hai. Kaneezon say nikkah ka yeh hukum tum mein say unn logon kay liye hai jinhen gunah aur takleef ka andesha ho aur tumhara zabt kerna boht behtar hai aur Allah Taalaa bara bakshney wala aur bari rehmat wala hai
Surah An-Nisa, Verse 25
يُرِيدُ ٱللَّهُ لِيُبَيِّنَ لَكُمۡ وَيَهۡدِيَكُمۡ سُنَنَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِكُمۡ وَيَتُوبَ عَلَيۡكُمۡۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
Allah Taalaa chahata hai kay tumharay wastay khoob khol ker biyan keray aur tumhen tum say pehlay kay (nek) logon ki raah per chalaye aur tumhari tauba qabool keray aur Allah Taalaa janney wala hikmat wala hai
Surah An-Nisa, Verse 26
وَٱللَّهُ يُرِيدُ أَن يَتُوبَ عَلَيۡكُمۡ وَيُرِيدُ ٱلَّذِينَ يَتَّبِعُونَ ٱلشَّهَوَٰتِ أَن تَمِيلُواْ مَيۡلًا عَظِيمٗا
Aur Allah chahata hai kay tumhari tauba qabool keray aur jo log khuwaishaat kay pairoo hain woh chahtay hain kay tum iss say boht door hatt jao
Surah An-Nisa, Verse 27
يُرِيدُ ٱللَّهُ أَن يُخَفِّفَ عَنكُمۡۚ وَخُلِقَ ٱلۡإِنسَٰنُ ضَعِيفٗا
Allah chahta hai kay tum say takhfeef ker dey kiyon kay insan kamzor peda kiya gaya hai
Surah An-Nisa, Verse 28
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَأۡكُلُوٓاْ أَمۡوَٰلَكُم بَيۡنَكُم بِٱلۡبَٰطِلِ إِلَّآ أَن تَكُونَ تِجَٰرَةً عَن تَرَاضٖ مِّنكُمۡۚ وَلَا تَقۡتُلُوٓاْ أَنفُسَكُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِكُمۡ رَحِيمٗا
Aey eman walo! Apney aapas kay maal na jaeez tareeqay say mat khao magar yeh kay tumhari aapas ki raza mandi say ho khareed-o-farokht aur apney aap ko qatal na kero yaqeenan Allah Taalaa tum per nihayat meharban hai
Surah An-Nisa, Verse 29
وَمَن يَفۡعَلۡ ذَٰلِكَ عُدۡوَٰنٗا وَظُلۡمٗا فَسَوۡفَ نُصۡلِيهِ نَارٗاۚ وَكَانَ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرًا
Aur jo shaks yeh (na farmaniyan) sirkashi aur zulm say keray ga to un qarib hum uss ko aag mein dakhil keren gay. Aur yeh Allah per aasan hai
Surah An-Nisa, Verse 30
إِن تَجۡتَنِبُواْ كَبَآئِرَ مَا تُنۡهَوۡنَ عَنۡهُ نُكَفِّرۡ عَنكُمۡ سَيِّـَٔاتِكُمۡ وَنُدۡخِلۡكُم مُّدۡخَلٗا كَرِيمٗا
Agar tum unn baray gunahon say bachtay raho gay jin say tum ko mana kiya jata hai to hum tumharay chotay gunah door ker den gay aur izzat aur buzrugi ki jagah dakhil keren gay
Surah An-Nisa, Verse 31
وَلَا تَتَمَنَّوۡاْ مَا فَضَّلَ ٱللَّهُ بِهِۦ بَعۡضَكُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖۚ لِّلرِّجَالِ نَصِيبٞ مِّمَّا ٱكۡتَسَبُواْۖ وَلِلنِّسَآءِ نَصِيبٞ مِّمَّا ٱكۡتَسَبۡنَۚ وَسۡـَٔلُواْ ٱللَّهَ مِن فَضۡلِهِۦٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٗا
Aur uss cheez ki aarzoo na kero jiss kay baees Allah Taalaa ney tum mein say baaz ko baaz per buzrugi di hai. Mardon kay uss mein say hissa hai jo unhon ney kamaya aur aurton kay liye uss mein say hain jo unhon ney kamaya aur Allah Taalaa say uss ka fazal maango yaqeenan Allah her cheez ka janney wala hai
Surah An-Nisa, Verse 32
وَلِكُلّٖ جَعَلۡنَا مَوَٰلِيَ مِمَّا تَرَكَ ٱلۡوَٰلِدَانِ وَٱلۡأَقۡرَبُونَۚ وَٱلَّذِينَ عَقَدَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡ فَـَٔاتُوهُمۡ نَصِيبَهُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدًا
Maa baap ya qarabat daar jo chor maren uss kay waris hum ney her shaks kay muqarrar ker diye hain aur jin say tum ney apney haathon mohaeeda kiya hai unhen unn ka hissa do haqeeqatan Allah Taalaa her cheez per hazir hai
Surah An-Nisa, Verse 33
ٱلرِّجَالُ قَوَّـٰمُونَ عَلَى ٱلنِّسَآءِ بِمَا فَضَّلَ ٱللَّهُ بَعۡضَهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖ وَبِمَآ أَنفَقُواْ مِنۡ أَمۡوَٰلِهِمۡۚ فَٱلصَّـٰلِحَٰتُ قَٰنِتَٰتٌ حَٰفِظَٰتٞ لِّلۡغَيۡبِ بِمَا حَفِظَ ٱللَّهُۚ وَٱلَّـٰتِي تَخَافُونَ نُشُوزَهُنَّ فَعِظُوهُنَّ وَٱهۡجُرُوهُنَّ فِي ٱلۡمَضَاجِعِ وَٱضۡرِبُوهُنَّۖ فَإِنۡ أَطَعۡنَكُمۡ فَلَا تَبۡغُواْ عَلَيۡهِنَّ سَبِيلًاۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيّٗا كَبِيرٗا
Mard aurton per haakim hain iss waja say kay Allah Taalaa ney aik ko doosray per fazilat di hai aur iss waja say kay mardon ney apney maal kharach kiye hain pus nek farman bardaar aurten khawind ki adam mojoodgi mein ba hifazat-e-elahee nigehdasht rakhen waliyan hain aur jin aurton ki na farmani aur bad dimaghi ka tumhen khof ho unhen naseehat kero aur unhen alag biostaron per chor do aur unhen maar ki saza do phir agar woh tabey daari keren to unn per koi raasta talash na kero be-shak Allah Taalaa bari bulandi aur baraee wala hai
Surah An-Nisa, Verse 34
وَإِنۡ خِفۡتُمۡ شِقَاقَ بَيۡنِهِمَا فَٱبۡعَثُواْ حَكَمٗا مِّنۡ أَهۡلِهِۦ وَحَكَمٗا مِّنۡ أَهۡلِهَآ إِن يُرِيدَآ إِصۡلَٰحٗا يُوَفِّقِ ٱللَّهُ بَيۡنَهُمَآۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا خَبِيرٗا
Agar tumhen miyan biwi kay darmiyan aapas ki ann bann ka khof ho to aik munsif mard walon mein say aur aik aurat kay ghar walon mein say muqarrar kero agar yeh dono sulah kerana chahayen gay to Allah dono mein milaap kera dey ga yaqeenan Allah Taalaa pooray ilm wala poori khabar wala hai
Surah An-Nisa, Verse 35
۞وَٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ وَلَا تُشۡرِكُواْ بِهِۦ شَيۡـٔٗاۖ وَبِٱلۡوَٰلِدَيۡنِ إِحۡسَٰنٗا وَبِذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينِ وَٱلۡجَارِ ذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡجَارِ ٱلۡجُنُبِ وَٱلصَّاحِبِ بِٱلۡجَنۢبِ وَٱبۡنِ ٱلسَّبِيلِ وَمَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ مَن كَانَ مُخۡتَالٗا فَخُورًا
Aur Allah Taalaa ki ibadat kero aur uss kay sath kissi ko shareek na kero aur maa baap kay sath salook-o-ehsan kero aur rishtay daron say aur yateemon say aur miskeenon say aur qarabat daar humsaya say aur ajnabi humsaya say aur pehloo kay sathi say aur raah kay musafir say aur unn say jin kay maalik tumharay haath hain (ghulam kaneez) yaqeenan Allah Taalaa takabbur kerney walon aur shekhi khoron ko pasand nahi farmata
Surah An-Nisa, Verse 36
ٱلَّذِينَ يَبۡخَلُونَ وَيَأۡمُرُونَ ٱلنَّاسَ بِٱلۡبُخۡلِ وَيَكۡتُمُونَ مَآ ءَاتَىٰهُمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦۗ وَأَعۡتَدۡنَا لِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٗا مُّهِينٗا
Jo log khud bakheeli kertay hain aur doosron ko bhi bakheeli kerney ko kehtay hain aur Allah Taalaa ney jo apna fazal unhen dey rakha hai ussay chupa letay hain hum ney unn kafiron kay liye zillat ki maar tayyar ker rakhi hai
Surah An-Nisa, Verse 37
وَٱلَّذِينَ يُنفِقُونَ أَمۡوَٰلَهُمۡ رِئَآءَ ٱلنَّاسِ وَلَا يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَلَا بِٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۗ وَمَن يَكُنِ ٱلشَّيۡطَٰنُ لَهُۥ قَرِينٗا فَسَآءَ قَرِينٗا
Aur jo log apna maal logon kay dikhaway kay liye kharach kertay hain aur Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman nahi rakhtay aur jiss ka humnasheen aur sathi shetan ho woh bad tareen sathi hai
Surah An-Nisa, Verse 38
وَمَاذَا عَلَيۡهِمۡ لَوۡ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَأَنفَقُواْ مِمَّا رَزَقَهُمُ ٱللَّهُۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِهِمۡ عَلِيمًا
Bhala unn ka kiya nuksan tha agar yeh Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman latay aur Allah Taalaa ney jo unhen dey rakha hai uss mein say kharach kertay Allah Taalaa unhen khoob janney wala hai
Surah An-Nisa, Verse 39
إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَظۡلِمُ مِثۡقَالَ ذَرَّةٖۖ وَإِن تَكُ حَسَنَةٗ يُضَٰعِفۡهَا وَيُؤۡتِ مِن لَّدُنۡهُ أَجۡرًا عَظِيمٗا
Be-shak Allah Taalaa aik zarra barabar zulm nahi kerta aur agar neki ho to ussay doogni ker deta hai aur khaas apney pass say boht bara sawab deta hai
Surah An-Nisa, Verse 40
فَكَيۡفَ إِذَا جِئۡنَا مِن كُلِّ أُمَّةِۭ بِشَهِيدٖ وَجِئۡنَا بِكَ عَلَىٰ هَـٰٓؤُلَآءِ شَهِيدٗا
Pus kiya haal hoga jiss waqt kay her ummat mein say aik gawah hum layen gay aur aap ko inn logon per gawah bana ker layen gay
Surah An-Nisa, Verse 41
يَوۡمَئِذٖ يَوَدُّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَعَصَوُاْ ٱلرَّسُولَ لَوۡ تُسَوَّىٰ بِهِمُ ٱلۡأَرۡضُ وَلَا يَكۡتُمُونَ ٱللَّهَ حَدِيثٗا
Jiss roz kafir aur rasool kay na farman aarzoo keren gay kay kaash! Enhen zamin kay sath humwaar ker diya jata aur Allah Taalaa say koi baat na chupa saken gay
Surah An-Nisa, Verse 42
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَقۡرَبُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَأَنتُمۡ سُكَٰرَىٰ حَتَّىٰ تَعۡلَمُواْ مَا تَقُولُونَ وَلَا جُنُبًا إِلَّا عَابِرِي سَبِيلٍ حَتَّىٰ تَغۡتَسِلُواْۚ وَإِن كُنتُم مَّرۡضَىٰٓ أَوۡ عَلَىٰ سَفَرٍ أَوۡ جَآءَ أَحَدٞ مِّنكُم مِّنَ ٱلۡغَآئِطِ أَوۡ لَٰمَسۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَلَمۡ تَجِدُواْ مَآءٗ فَتَيَمَّمُواْ صَعِيدٗا طَيِّبٗا فَٱمۡسَحُواْ بِوُجُوهِكُمۡ وَأَيۡدِيكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَفُوًّا غَفُورًا
Aey eman walo! Jab tum nashay mein mast ho namaz kay qarib bhi na jao jab tak kay apni baat ko samajhney na lago aur janabat ki halat mein jab tak kay ghusul na kerlo haan agar raah chaltay guzar janey walay ho to aur baat hai aur agar tum beemar ho ya safar mein ho ya tum mein say koi qazay-e-haajat say aaya ho ya tum ney aurton say mubashirat ki ho aur tumhen pani na milay to pak mitti ka qasad kero aur apney mun aur apney haath mall lo. Be-shak Allah Taalaa moaf kerney wala bakshney wala hai
Surah An-Nisa, Verse 43
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ أُوتُواْ نَصِيبٗا مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِ يَشۡتَرُونَ ٱلضَّلَٰلَةَ وَيُرِيدُونَ أَن تَضِلُّواْ ٱلسَّبِيلَ
Kiya tum ney unhen nahi dekha? Jinhen kitab ka kuch hissa diya gaya hai woh gumrahi khareedtay hain aur chahtay hain kay tum bhi raah say bhatak jao
Surah An-Nisa, Verse 44
وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِأَعۡدَآئِكُمۡۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَلِيّٗا وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ نَصِيرٗا
Allah Taalaa tumharay dushmanon ko khoob jannay wala hai aur Allah Taalaa ka dost hona kafi hai aur Allah Taalaa ka madadgar hona bus hai
Surah An-Nisa, Verse 45
مِّنَ ٱلَّذِينَ هَادُواْ يُحَرِّفُونَ ٱلۡكَلِمَ عَن مَّوَاضِعِهِۦ وَيَقُولُونَ سَمِعۡنَا وَعَصَيۡنَا وَٱسۡمَعۡ غَيۡرَ مُسۡمَعٖ وَرَٰعِنَا لَيَّۢا بِأَلۡسِنَتِهِمۡ وَطَعۡنٗا فِي ٱلدِّينِۚ وَلَوۡ أَنَّهُمۡ قَالُواْ سَمِعۡنَا وَأَطَعۡنَا وَٱسۡمَعۡ وَٱنظُرۡنَا لَكَانَ خَيۡرٗا لَّهُمۡ وَأَقۡوَمَ وَلَٰكِن لَّعَنَهُمُ ٱللَّهُ بِكُفۡرِهِمۡ فَلَا يُؤۡمِنُونَ إِلَّا قَلِيلٗا
Baaz yahud kalmaat ko unn ki theek jagah say hair pher ker detay hain aur kehtay hain kay hum ney suna aur na farmani ki aur sunn iss kay baghair kay tu suna jaye aur humari riyayat ker! (lekin iss kay kehney mein) apni zaban ko paich detay hain aur deen mein taana detay hain aur agar yeh log kehtay kay hum ney suna aur hum ney farmanbardari ki aur aap suniye aur humen dekhiye to yeh inn kay liye boht behtar aur nihayat hi munasib tha lekin Allah Taalaa ney inn kay kufur ki waja say enhen laanat ki hai. Pus yeh boht hi kum eman latay hain
Surah An-Nisa, Verse 46
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ ءَامِنُواْ بِمَا نَزَّلۡنَا مُصَدِّقٗا لِّمَا مَعَكُم مِّن قَبۡلِ أَن نَّطۡمِسَ وُجُوهٗا فَنَرُدَّهَا عَلَىٰٓ أَدۡبَارِهَآ أَوۡ نَلۡعَنَهُمۡ كَمَا لَعَنَّآ أَصۡحَٰبَ ٱلسَّبۡتِۚ وَكَانَ أَمۡرُ ٱللَّهِ مَفۡعُولًا
Aey ehal-e-kitab! Jo kuch hum ney nazil farmaya hai jo uss ki bhi tasdeeq kerney wala hai jo tumharay pass hai iss per eman lao iss say pehlay hum chehray bigaar den aur enhen lota ker peeth ki taraf ker den ya inn per laanat bhejen jaisay hum ney haftay kay din walon per laanat ki aur hai Allah Taalaa ka kaam kiya gaya
Surah An-Nisa, Verse 47
إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَغۡفِرُ أَن يُشۡرَكَ بِهِۦ وَيَغۡفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَآءُۚ وَمَن يُشۡرِكۡ بِٱللَّهِ فَقَدِ ٱفۡتَرَىٰٓ إِثۡمًا عَظِيمًا
Yaqeenan Allah Taalaa apney sath sahreek kiye janey ko nahi bakshta aur iss kay siwa jissay chahaye baksh deta hai aur jo Allah Taalaa kay sath shareek muqarrar keray uss ney boht bara gunah aur bohtan bandha
Surah An-Nisa, Verse 48
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ يُزَكُّونَ أَنفُسَهُمۚ بَلِ ٱللَّهُ يُزَكِّي مَن يَشَآءُ وَلَا يُظۡلَمُونَ فَتِيلًا
Kiya aap ney unhen nahi dekha jo apni pakeezgi aur sataeesh khud kertay hain? Bulkay Allah Taalaa jissay chahaye pakeeza kerta hai kissi per aik dhagay kay barabar zulm na kiya jaye ga
Surah An-Nisa, Verse 49
ٱنظُرۡ كَيۡفَ يَفۡتَرُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَۖ وَكَفَىٰ بِهِۦٓ إِثۡمٗا مُّبِينًا
Dekho yeh log Allah Taalaa per kiss tarah jhoot bandhtay hain aur yeh (harkat) sareeh gunah honey kay liye kafi hai
Surah An-Nisa, Verse 50
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ أُوتُواْ نَصِيبٗا مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِ يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡجِبۡتِ وَٱلطَّـٰغُوتِ وَيَقُولُونَ لِلَّذِينَ كَفَرُواْ هَـٰٓؤُلَآءِ أَهۡدَىٰ مِنَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ سَبِيلًا
Kiya aap ney unhen nahi dekha jinhen kitab ka kuch hissa mila hai? Jo butt ka aur baatil mabood ka aetiqaad rakhtay hain aur kafiron kay haq mein kehtay hain kay yeh log eman walon say ziyada raah-e-raast per hain
Surah An-Nisa, Verse 51
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ لَعَنَهُمُ ٱللَّهُۖ وَمَن يَلۡعَنِ ٱللَّهُ فَلَن تَجِدَ لَهُۥ نَصِيرًا
Yehi woh log hain jinhen Allah Taalaa ney laanat ki hai aur jissay Allah Taalaa laanat kerdey tu uss ka koi madadgar na paye ga
Surah An-Nisa, Verse 52
أَمۡ لَهُمۡ نَصِيبٞ مِّنَ ٱلۡمُلۡكِ فَإِذٗا لَّا يُؤۡتُونَ ٱلنَّاسَ نَقِيرًا
Kiya inn ka koi hissa saltanat mein hai? Agar aisa ho to phir yeh kissi ko aik khujoor ki guthli kay shigaaf kay barabar bhi kuch na den gay
Surah An-Nisa, Verse 53
أَمۡ يَحۡسُدُونَ ٱلنَّاسَ عَلَىٰ مَآ ءَاتَىٰهُمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦۖ فَقَدۡ ءَاتَيۡنَآ ءَالَ إِبۡرَٰهِيمَ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَءَاتَيۡنَٰهُم مُّلۡكًا عَظِيمٗا
Ya yeh logon say hasad kertay hain iss per jo Allah Taalaa ney apney fazal say unhen diya hai pus hum ney to aal-e-ibrahim ko kitab aur hikmat bhi di hai aur bari saltanat bhi ata farmaee hai
Surah An-Nisa, Verse 54
فَمِنۡهُم مَّنۡ ءَامَنَ بِهِۦ وَمِنۡهُم مَّن صَدَّ عَنۡهُۚ وَكَفَىٰ بِجَهَنَّمَ سَعِيرًا
Phir inn mein say baaz ney to iss kitab ko maana aur baaz iss say ruk gaye aur jahannum ka jalana kafi hai
Surah An-Nisa, Verse 55
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِنَا سَوۡفَ نُصۡلِيهِمۡ نَارٗا كُلَّمَا نَضِجَتۡ جُلُودُهُم بَدَّلۡنَٰهُمۡ جُلُودًا غَيۡرَهَا لِيَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَزِيزًا حَكِيمٗا
Jin logon ney humari aayaton say kufur kiya unhen hum yaqeenan aag mein daal den gay jab unn ki khaalen pakk jayen gi to hum inn kay siwa aur khaalen badal den gay takay woh azab chakhtay rahen yaqeenan Allah Taalaa ghalib hikmat wala hai
Surah An-Nisa, Verse 56
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ سَنُدۡخِلُهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ لَّهُمۡ فِيهَآ أَزۡوَٰجٞ مُّطَهَّرَةٞۖ وَنُدۡخِلُهُمۡ ظِلّٗا ظَلِيلًا
Aur jo log eman laye aur shaista aemaal kiye hum un qarib unhen unn jannaton mein ley jayen gay jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha hamesha rahen gay unn kay liye wahan saaf suthri biwiyan hongi aur hum unhen ghani chahaon (aur poori rahat) mein ley jayen gay
Surah An-Nisa, Verse 57
۞إِنَّ ٱللَّهَ يَأۡمُرُكُمۡ أَن تُؤَدُّواْ ٱلۡأَمَٰنَٰتِ إِلَىٰٓ أَهۡلِهَا وَإِذَا حَكَمۡتُم بَيۡنَ ٱلنَّاسِ أَن تَحۡكُمُواْ بِٱلۡعَدۡلِۚ إِنَّ ٱللَّهَ نِعِمَّا يَعِظُكُم بِهِۦٓۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ سَمِيعَۢا بَصِيرٗا
Allah Taalaa tumhen takeedi hukum deta hai kay amanat walon ki amanaten unhen phonchao! Aur jab logon ka faisla kero to adal-o-insaf say faisla kero! Yaqeenan woh behtar cheez hai jiss ki naseehat tumhen Allah Taalaa ker raha hai. Be-shak Allah Taalaa sunta hai dekhta hai
Surah An-Nisa, Verse 58
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَ وَأُوْلِي ٱلۡأَمۡرِ مِنكُمۡۖ فَإِن تَنَٰزَعۡتُمۡ فِي شَيۡءٖ فَرُدُّوهُ إِلَى ٱللَّهِ وَٱلرَّسُولِ إِن كُنتُمۡ تُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۚ ذَٰلِكَ خَيۡرٞ وَأَحۡسَنُ تَأۡوِيلًا
Aey eman walo! Farmanbardari kero Allah Taalaa ki aur farmanbardari kero rasool (PBUH) ki aur tum mein say ikhtiyar walon ki. Phir agar kissi cheez mein ikhtilaf kero to ussay lotao Allah Taalaa ki taraf aur rasool ki taraf agar tumhen Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman hai. Yeh boht behtar hai aur ba aetbaar anjam kay boht acha hai
Surah An-Nisa, Verse 59
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ يَزۡعُمُونَ أَنَّهُمۡ ءَامَنُواْ بِمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ وَمَآ أُنزِلَ مِن قَبۡلِكَ يُرِيدُونَ أَن يَتَحَاكَمُوٓاْ إِلَى ٱلطَّـٰغُوتِ وَقَدۡ أُمِرُوٓاْ أَن يَكۡفُرُواْ بِهِۦۖ وَيُرِيدُ ٱلشَّيۡطَٰنُ أَن يُضِلَّهُمۡ ضَلَٰلَۢا بَعِيدٗا
Kiya aap ney unhen nahi dekha? Jin ka daawa to yeh hai kay jo kuch aap per aur jo kuch aap say pehlay utara gaya hai uss per unn ka eman hai lekin woh apney faislay ghair ullah ki taraf ley jana chahtay hain halankay unhen hukum diya gaya hai kay shetan ka inkar keren shetan to yeh chahata hai unhen behka ker door daal dey
Surah An-Nisa, Verse 60
وَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ تَعَالَوۡاْ إِلَىٰ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ وَإِلَى ٱلرَّسُولِ رَأَيۡتَ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ يَصُدُّونَ عَنكَ صُدُودٗا
Inn say jab kabhi kaha jaye kay Allah Taalaa kay nazil kerda kalaam ki aur rasoll lullah (PBUH) ki taraf aao to aap dekh len gay kay yeh munafiq aap say mun pher kay rukay jatay hain
Surah An-Nisa, Verse 61
فَكَيۡفَ إِذَآ أَصَٰبَتۡهُم مُّصِيبَةُۢ بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيهِمۡ ثُمَّ جَآءُوكَ يَحۡلِفُونَ بِٱللَّهِ إِنۡ أَرَدۡنَآ إِلَّآ إِحۡسَٰنٗا وَتَوۡفِيقًا
Phir kiya baat hai kay jab inn per inn kay kertoot kay baees koi musibat aa parti hai to phir yeh aap kay pass aa ker Allah Taalaa ki qasmen khatay hain kay humara irada to sirf bhalaee aur mail milaap hi ka tha
Surah An-Nisa, Verse 62
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ يَعۡلَمُ ٱللَّهُ مَا فِي قُلُوبِهِمۡ فَأَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ وَعِظۡهُمۡ وَقُل لَّهُمۡ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ قَوۡلَۢا بَلِيغٗا
Yeh woh log hain kay inn kay dilon ka bhed Allah Taalaa per bakhoobi roshan hai aap inn say chasham poshi kijiye enehn naseehat kertay rahiye aur enhen woh baat kahiye! Jo inn kay dilon mein ghar kerney wali ho
Surah An-Nisa, Verse 63
وَمَآ أَرۡسَلۡنَا مِن رَّسُولٍ إِلَّا لِيُطَاعَ بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ وَلَوۡ أَنَّهُمۡ إِذ ظَّلَمُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ جَآءُوكَ فَٱسۡتَغۡفَرُواْ ٱللَّهَ وَٱسۡتَغۡفَرَ لَهُمُ ٱلرَّسُولُ لَوَجَدُواْ ٱللَّهَ تَوَّابٗا رَّحِيمٗا
Hum ney her her rasool ko sirf iss liye bheja kay Allah Taalaa kay hukum say uss ki farmanbardari ki jaye aur agar yeh log jab enhon ney apni janon per zulm kiya tha teray pass aajatay aur Allah Taalaa say istaghfaar kertay aur rasool bhi inn kay liye istaghfaar kertay to yaqeenan yeh log Allah Taalaa ko moaf kerney wala meharban patay
Surah An-Nisa, Verse 64
فَلَا وَرَبِّكَ لَا يُؤۡمِنُونَ حَتَّىٰ يُحَكِّمُوكَ فِيمَا شَجَرَ بَيۡنَهُمۡ ثُمَّ لَا يَجِدُواْ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ حَرَجٗا مِّمَّا قَضَيۡتَ وَيُسَلِّمُواْ تَسۡلِيمٗا
So qasam hai teray perwerdigar ki! Yeh momin nahi ho saktay jab tak kay tamam aapas kay ikhtilaf mein aap ko haakim na maan len phir jo faisla aap inn mein ker den inn say apney dil mein kissi tarah ki tangi aur na khushi na payen aur farmanbardari kay sath qabool kerlen
Surah An-Nisa, Verse 65
وَلَوۡ أَنَّا كَتَبۡنَا عَلَيۡهِمۡ أَنِ ٱقۡتُلُوٓاْ أَنفُسَكُمۡ أَوِ ٱخۡرُجُواْ مِن دِيَٰرِكُم مَّا فَعَلُوهُ إِلَّا قَلِيلٞ مِّنۡهُمۡۖ وَلَوۡ أَنَّهُمۡ فَعَلُواْ مَا يُوعَظُونَ بِهِۦ لَكَانَ خَيۡرٗا لَّهُمۡ وَأَشَدَّ تَثۡبِيتٗا
Aur agar hum inn per yeh farz ker detay kay apni janon ko qatal ker daalo! Ya apney gharon say nikal jao! To issay inn mein say boht hi kum log baja latay aur agar yeh wohi kerne jiss ki enhen naseehat ki jati hai to yaqeenan yehi inn kay liye behtar aur boht ziyada mazbooti wala ho
Surah An-Nisa, Verse 66
وَإِذٗا لَّأٓتَيۡنَٰهُم مِّن لَّدُنَّآ أَجۡرًا عَظِيمٗا
Aur tab to enhen hum apney pass say bara sawab den
Surah An-Nisa, Verse 67
وَلَهَدَيۡنَٰهُمۡ صِرَٰطٗا مُّسۡتَقِيمٗا
Aur yaqeenan enhen raah-e-raast dikha den
Surah An-Nisa, Verse 68
وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ مَعَ ٱلَّذِينَ أَنۡعَمَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِم مِّنَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ وَٱلصِّدِّيقِينَ وَٱلشُّهَدَآءِ وَٱلصَّـٰلِحِينَۚ وَحَسُنَ أُوْلَـٰٓئِكَ رَفِيقٗا
Aur jo bhi Allah Taalaa ki aur rasool (PBUH) ki farmanbardari keray woh unn logon kay sath hoga jin per Allah Taalaa ney inam kiya hai jaisay nabi aur siddique aur shaheed aur nek log yeh behtareen rafiq hain
Surah An-Nisa, Verse 69
ذَٰلِكَ ٱلۡفَضۡلُ مِنَ ٱللَّهِۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ عَلِيمٗا
Yeh fazal Allah Taalaa ki taraf say hai aur kafi hai Allah Taalaa janney wala
Surah An-Nisa, Verse 70
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ خُذُواْ حِذۡرَكُمۡ فَٱنفِرُواْ ثُبَاتٍ أَوِ ٱنفِرُواْ جَمِيعٗا
Aey musalmano! Apney bachao ka saman ley lo phir giroh giroh bann ker kooch kero ya sab kay sab ikhttay ho ker nikal kharay ho
Surah An-Nisa, Verse 71
وَإِنَّ مِنكُمۡ لَمَن لَّيُبَطِّئَنَّ فَإِنۡ أَصَٰبَتۡكُم مُّصِيبَةٞ قَالَ قَدۡ أَنۡعَمَ ٱللَّهُ عَلَيَّ إِذۡ لَمۡ أَكُن مَّعَهُمۡ شَهِيدٗا
Aur yaqeenan tum mein baaz woh bhi hain jo pus-o-paish kertay hain phir agar tumhen koi nuksan hota hai wo woh kehtay hain kay Allah Taalaa ney mujh per bara fazal kiya kay mein inn kay sath mojood na tha
Surah An-Nisa, Verse 72
وَلَئِنۡ أَصَٰبَكُمۡ فَضۡلٞ مِّنَ ٱللَّهِ لَيَقُولَنَّ كَأَن لَّمۡ تَكُنۢ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَهُۥ مَوَدَّةٞ يَٰلَيۡتَنِي كُنتُ مَعَهُمۡ فَأَفُوزَ فَوۡزًا عَظِيمٗا
Aur agar tumhen Allah Taalaa ka koi fazal mill jaye to iss tarah kay goya tum mein inn mein dost thi hi nahi kehtay hain kaash! Mein bhi inn kay humrah hota to bari kaamyaabi ko phonchta
Surah An-Nisa, Verse 73
۞فَلۡيُقَٰتِلۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ ٱلَّذِينَ يَشۡرُونَ ٱلۡحَيَوٰةَ ٱلدُّنۡيَا بِٱلۡأٓخِرَةِۚ وَمَن يُقَٰتِلۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَيُقۡتَلۡ أَوۡ يَغۡلِبۡ فَسَوۡفَ نُؤۡتِيهِ أَجۡرًا عَظِيمٗا
Pus jo log duniya ki zindagi ko aakhirat kay badlay baich chukay hain unhen Allah Taalaa ki raah mein jihad kerna chahaiye aur jo shaks Allah Taalaa ki raah mein jihad kertay huye shahdat paa ley ya ghalib aajaye yaqeenan hum ussay bara sawab inayat farmayen gay
Surah An-Nisa, Verse 74
وَمَا لَكُمۡ لَا تُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَٱلۡمُسۡتَضۡعَفِينَ مِنَ ٱلرِّجَالِ وَٱلنِّسَآءِ وَٱلۡوِلۡدَٰنِ ٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَآ أَخۡرِجۡنَا مِنۡ هَٰذِهِ ٱلۡقَرۡيَةِ ٱلظَّالِمِ أَهۡلُهَا وَٱجۡعَل لَّنَا مِن لَّدُنكَ وَلِيّٗا وَٱجۡعَل لَّنَا مِن لَّدُنكَ نَصِيرًا
Bhala kiya waja hai kay tum Allah ki raah mein aur inn na tawan mardon aurton aur nannhay nannhay bachon kay chutkaray kay liye jihad na kero? Jo yun duayen maang rahey hain kay aey humaray perwerdigar! Inn zalimon ki basti say humen nijat dey aur humaray pass khud apney pass say himayati muqarrar ker dey aur humaray liye khaas apney pass say madadgar bana
Surah An-Nisa, Verse 75
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۖ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِ ٱلطَّـٰغُوتِ فَقَٰتِلُوٓاْ أَوۡلِيَآءَ ٱلشَّيۡطَٰنِۖ إِنَّ كَيۡدَ ٱلشَّيۡطَٰنِ كَانَ ضَعِيفًا
Jo log eman laye hain woh to Allah Taalaa ki raah mein jihad kertay hain aur jin logon ney kufur kiya hai woh Allah Taalaa kay siwa auron ki raah mein lartay hain. Pus tum shetan kay doston say jang kero! Yaqeen maano kay shetani heela (bilkul boda aur) sakht kamzor hai
Surah An-Nisa, Verse 76
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ قِيلَ لَهُمۡ كُفُّوٓاْ أَيۡدِيَكُمۡ وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ فَلَمَّا كُتِبَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقِتَالُ إِذَا فَرِيقٞ مِّنۡهُمۡ يَخۡشَوۡنَ ٱلنَّاسَ كَخَشۡيَةِ ٱللَّهِ أَوۡ أَشَدَّ خَشۡيَةٗۚ وَقَالُواْ رَبَّنَا لِمَ كَتَبۡتَ عَلَيۡنَا ٱلۡقِتَالَ لَوۡلَآ أَخَّرۡتَنَآ إِلَىٰٓ أَجَلٖ قَرِيبٖۗ قُلۡ مَتَٰعُ ٱلدُّنۡيَا قَلِيلٞ وَٱلۡأٓخِرَةُ خَيۡرٞ لِّمَنِ ٱتَّقَىٰ وَلَا تُظۡلَمُونَ فَتِيلًا
Kiya tum ney unhen nahi dekha jinhen hukum kiya gaya tha kay apney haathon ko rokay rakho aur namazen parhtay raho aur zakat ada kertay raho. Phir jab unhen jihad ka hukum diya gaya to ussi waqt unn ki aik jamat logon say iss qadar darney lagi jaisay Allah Taalaa ka darr ho bulkay iss say bhi ziyada aur kehney lagay aey humaray rab! Tu ney hum per jihad kiyon farz ker diya? Kiyon humen thori si zindagi aur na jeenay di? Aap keh dijiye kay duniya ki sood mandi to boht hi kum hai aur perhezgaron kay liye aakhirat hi behtar hai aur tum per aik dhagay kay barabar bhi sitam rawa na rakha jaye ga
Surah An-Nisa, Verse 77
أَيۡنَمَا تَكُونُواْ يُدۡرِككُّمُ ٱلۡمَوۡتُ وَلَوۡ كُنتُمۡ فِي بُرُوجٖ مُّشَيَّدَةٖۗ وَإِن تُصِبۡهُمۡ حَسَنَةٞ يَقُولُواْ هَٰذِهِۦ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِۖ وَإِن تُصِبۡهُمۡ سَيِّئَةٞ يَقُولُواْ هَٰذِهِۦ مِنۡ عِندِكَۚ قُلۡ كُلّٞ مِّنۡ عِندِ ٱللَّهِۖ فَمَالِ هَـٰٓؤُلَآءِ ٱلۡقَوۡمِ لَا يَكَادُونَ يَفۡقَهُونَ حَدِيثٗا
Tum jahan kahin bhi ho maut tumhen aa pakray gi go tum mazboor qilon mein ho aur gar enhen koi bhalaee milti hai to kehtay hain kay yeh Allah Taalaa ki taraf say hai aur agar koi buraee phonchti hai to to keh uthtay hain kay yeh teri taraf say hai. Enhen keh do kay yeh kuch Allah Taalaa ki taraf say hai. Enhen kiya hogaya hai kay koi baat samajhney kay bhi qarib nahi
Surah An-Nisa, Verse 78
مَّآ أَصَابَكَ مِنۡ حَسَنَةٖ فَمِنَ ٱللَّهِۖ وَمَآ أَصَابَكَ مِن سَيِّئَةٖ فَمِن نَّفۡسِكَۚ وَأَرۡسَلۡنَٰكَ لِلنَّاسِ رَسُولٗاۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدٗا
Tujhay jo bhalaee milti hai Allah Taalaa ki taraf say hai aur jo buraee phonchti hai woh teray apney nafss ki taraf say hai hum ney tujhay tamam logon ko payghaam phonchaney wala bana ker bheja hai aur Allah Taalaa gawah kafi hai
Surah An-Nisa, Verse 79
مَّن يُطِعِ ٱلرَّسُولَ فَقَدۡ أَطَاعَ ٱللَّهَۖ وَمَن تَوَلَّىٰ فَمَآ أَرۡسَلۡنَٰكَ عَلَيۡهِمۡ حَفِيظٗا
Iss rasool (PBUH) ko jo ita’at keray ussi ney Allah Taalaa ki farmanbardari ki aur jo mun pher ley to hum ney aap ko kuch inn per nigehbaan bana ker nahi bheja
Surah An-Nisa, Verse 80
وَيَقُولُونَ طَاعَةٞ فَإِذَا بَرَزُواْ مِنۡ عِندِكَ بَيَّتَ طَآئِفَةٞ مِّنۡهُمۡ غَيۡرَ ٱلَّذِي تَقُولُۖ وَٱللَّهُ يَكۡتُبُ مَا يُبَيِّتُونَۖ فَأَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ وَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَكِيلًا
Yeh kehtay to hain kay ita’at hai phir jab aap kay pass say uth ker bahir nikaltay hain to inn mein ki aik jamat jo baat aap ney ya uss ney kahi hai uss kay khilaf raaton ko mashwaray kerti hai inn ki raaton ki baat cheet Allah Taalaa likh raha hai to aap inn say mun pher len aur Allah per bharosa rakhen Allah Taalaa kafi kaar saaz hai
Surah An-Nisa, Verse 81
أَفَلَا يَتَدَبَّرُونَ ٱلۡقُرۡءَانَۚ وَلَوۡ كَانَ مِنۡ عِندِ غَيۡرِ ٱللَّهِ لَوَجَدُواْ فِيهِ ٱخۡتِلَٰفٗا كَثِيرٗا
Kiya yeh log quran mein ghor nahi kertay? Agar yeh Allah Taalaa kay siwa kissi aur ki taraf say hota to yaqeenan iss mein boht kuch ikhtilaf patay
Surah An-Nisa, Verse 82
وَإِذَا جَآءَهُمۡ أَمۡرٞ مِّنَ ٱلۡأَمۡنِ أَوِ ٱلۡخَوۡفِ أَذَاعُواْ بِهِۦۖ وَلَوۡ رَدُّوهُ إِلَى ٱلرَّسُولِ وَإِلَىٰٓ أُوْلِي ٱلۡأَمۡرِ مِنۡهُمۡ لَعَلِمَهُ ٱلَّذِينَ يَسۡتَنۢبِطُونَهُۥ مِنۡهُمۡۗ وَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَرَحۡمَتُهُۥ لَٱتَّبَعۡتُمُ ٱلشَّيۡطَٰنَ إِلَّا قَلِيلٗا
Jahan enhen koi khabar aman ya khof ki mili enhon ney ussay mashoor kerna shuroo ker diya halankay agar yeh log issay rasool (PBUH) kay aur apney mein say aisi baaton ki teh tak phonchney walon kay hawalay ker detay to iss ki haqeeqat woh log maloom ker letay jo nateeja akhaz kertay hain aur agar Allah Taalaa ka fazal aur uss ki rehmat tum per na hoti to maddoday chand kay ilawa tum sab shetan kay pairo kaar bann jatay
Surah An-Nisa, Verse 83
فَقَٰتِلۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ لَا تُكَلَّفُ إِلَّا نَفۡسَكَۚ وَحَرِّضِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۖ عَسَى ٱللَّهُ أَن يَكُفَّ بَأۡسَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۚ وَٱللَّهُ أَشَدُّ بَأۡسٗا وَأَشَدُّ تَنكِيلٗا
Tu Allah Taalaa ki raah mein jihad kerta reh tujhay sirf teri zaat ki nisbat hukum diya jata hai haan eman walon ko raghbat dilata reh boht mumkin hai kay Allah Taalaa kafiron ki jang ko rok dey aur Allah Taalaa sakht qooat wala hai aur saza denay mein bhi sakht hai
Surah An-Nisa, Verse 84
مَّن يَشۡفَعۡ شَفَٰعَةً حَسَنَةٗ يَكُن لَّهُۥ نَصِيبٞ مِّنۡهَاۖ وَمَن يَشۡفَعۡ شَفَٰعَةٗ سَيِّئَةٗ يَكُن لَّهُۥ كِفۡلٞ مِّنۡهَاۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ مُّقِيتٗا
Jo shaks kissi neki ya bhalay kaam ki sifarish keray ussay bhi uss ka kuch hissa milay ga aur jo buraee aur badi ki sifarish keray uss kay liye uss mein say aik hissa hai aur Allah Taalaa her cheez per qudrat rakhney wala hai
Surah An-Nisa, Verse 85
وَإِذَا حُيِّيتُم بِتَحِيَّةٖ فَحَيُّواْ بِأَحۡسَنَ مِنۡهَآ أَوۡ رُدُّوهَآۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٍ حَسِيبًا
Aur jab tumhen salam kiya jaye to tum uss say acha jawab do ya unhi alfaaz ko lota do be-shak Allah Taalaa her cheez ka hisab lenay wala hai
Surah An-Nisa, Verse 86
ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۚ لَيَجۡمَعَنَّكُمۡ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ لَا رَيۡبَ فِيهِۗ وَمَنۡ أَصۡدَقُ مِنَ ٱللَّهِ حَدِيثٗا
Allah woh hai jiss kay siwa koi mabood (bar haq) nahi woh tum sab ko yaqeenan qayamat kay din jama keray ga jiss kay (aaney) mein koi shak nahi Allah Taalaa say ziyada sachi baat wala aur kaun hoga
Surah An-Nisa, Verse 87
۞فَمَا لَكُمۡ فِي ٱلۡمُنَٰفِقِينَ فِئَتَيۡنِ وَٱللَّهُ أَرۡكَسَهُم بِمَا كَسَبُوٓاْۚ أَتُرِيدُونَ أَن تَهۡدُواْ مَنۡ أَضَلَّ ٱللَّهُۖ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَلَن تَجِدَ لَهُۥ سَبِيلٗا
Tumhen kiya hogaya hai? Kay munafiqon kay baray mein do giroh ho rahey ho? Unhen to unn kay aemaal ki waja say Allah Taalaa ney ondha ker diya hai. Abb kiya tum yeh mansoobay bandh rahey ho kay Allah Taalaa kay gumrah kiye huwon ko tum raah-e-raast per laa khara kero jissay Allah Taalaa raah bhula dey tu hergiz uss kay liye koi raah na paye ga
Surah An-Nisa, Verse 88
وَدُّواْ لَوۡ تَكۡفُرُونَ كَمَا كَفَرُواْ فَتَكُونُونَ سَوَآءٗۖ فَلَا تَتَّخِذُواْ مِنۡهُمۡ أَوۡلِيَآءَ حَتَّىٰ يُهَاجِرُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۚ فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَخُذُوهُمۡ وَٱقۡتُلُوهُمۡ حَيۡثُ وَجَدتُّمُوهُمۡۖ وَلَا تَتَّخِذُواْ مِنۡهُمۡ وَلِيّٗا وَلَا نَصِيرًا
Inn ki chahat to yeh kay jiss tarah kay kafir woh hain tum bhi unn ki tarah kufur kerney lago aur phir sab yaksan ho jao pus jab tak yeh islam ki khatir watan na choren inn mein say kissi ko haqeeqi dost na banao phir agar yeh mun pher len to enhen pakro aur qatal kero jahan bhi yeh haath lag jayen khabardaar! Inn mein say kissi ko apna rafiq aur madadgar na samajh bethna
Surah An-Nisa, Verse 89
إِلَّا ٱلَّذِينَ يَصِلُونَ إِلَىٰ قَوۡمِۭ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَهُم مِّيثَٰقٌ أَوۡ جَآءُوكُمۡ حَصِرَتۡ صُدُورُهُمۡ أَن يُقَٰتِلُوكُمۡ أَوۡ يُقَٰتِلُواْ قَوۡمَهُمۡۚ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَسَلَّطَهُمۡ عَلَيۡكُمۡ فَلَقَٰتَلُوكُمۡۚ فَإِنِ ٱعۡتَزَلُوكُمۡ فَلَمۡ يُقَٰتِلُوكُمۡ وَأَلۡقَوۡاْ إِلَيۡكُمُ ٱلسَّلَمَ فَمَا جَعَلَ ٱللَّهُ لَكُمۡ عَلَيۡهِمۡ سَبِيلٗا
Siwaye unn kay jo uss qom say talluq rakhtay hon jin say tumhara mohaeeda ho chuka hai ya jo tumharay pass iss halat mein aayen kay tum say jang kerney say bhi tang dil hain aur apni qom say bhi jang kerney say tang dil hain aur agar Allah Taalaa chahata to enhen tum per musallat ker deta aur woh yaqeenan tum say jang kertay pus agar yeh log tum say kinara kashi ikhtiyar ker len aur tum say laraee na keren aur tumhari janib sulah ka payghaam dalen to Allah Taalaa ney tumharay liye inn per koi raah laraee ki nahi ki
Surah An-Nisa, Verse 90
سَتَجِدُونَ ءَاخَرِينَ يُرِيدُونَ أَن يَأۡمَنُوكُمۡ وَيَأۡمَنُواْ قَوۡمَهُمۡ كُلَّ مَا رُدُّوٓاْ إِلَى ٱلۡفِتۡنَةِ أُرۡكِسُواْ فِيهَاۚ فَإِن لَّمۡ يَعۡتَزِلُوكُمۡ وَيُلۡقُوٓاْ إِلَيۡكُمُ ٱلسَّلَمَ وَيَكُفُّوٓاْ أَيۡدِيَهُمۡ فَخُذُوهُمۡ وَٱقۡتُلُوهُمۡ حَيۡثُ ثَقِفۡتُمُوهُمۡۚ وَأُوْلَـٰٓئِكُمۡ جَعَلۡنَا لَكُمۡ عَلَيۡهِمۡ سُلۡطَٰنٗا مُّبِينٗا
Tum kuch aur logon ko aisa bhi pao gay jin ki (ba zahir) chahat hai kay tum say bhi aman mein rahen. Aur apni qom say bhi aman mein rahen (lekin) jab kabhi fitna angezi ki taraf lotaye jatay hain to ondhay mun iss mein daal diye jatay hain pus agar yeh log tum say kinara kashi na keren aur tum say sulah ka silsila jannbaee na keren aur apney haath na rok len to unhen pakro aur maar dalo jahan kahin bhi paa lo! Yehi woh hain jin per hum ney tumhen zahir hujjat inayat farmaee hai
Surah An-Nisa, Verse 91
وَمَا كَانَ لِمُؤۡمِنٍ أَن يَقۡتُلَ مُؤۡمِنًا إِلَّا خَطَـٔٗاۚ وَمَن قَتَلَ مُؤۡمِنًا خَطَـٔٗا فَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مُّؤۡمِنَةٖ وَدِيَةٞ مُّسَلَّمَةٌ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِۦٓ إِلَّآ أَن يَصَّدَّقُواْۚ فَإِن كَانَ مِن قَوۡمٍ عَدُوّٖ لَّكُمۡ وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مُّؤۡمِنَةٖۖ وَإِن كَانَ مِن قَوۡمِۭ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَهُم مِّيثَٰقٞ فَدِيَةٞ مُّسَلَّمَةٌ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِۦ وَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مُّؤۡمِنَةٖۖ فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ شَهۡرَيۡنِ مُتَتَابِعَيۡنِ تَوۡبَةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Kissi momin ko doosray momin ka qatal ker dena zaiba nahi magar ghalati say hojaye (to aur baat hai) jo shaks kissi musalman ko bila qasad maar dalay uss per aik musalman ghulam ki gardan aazad kerna aur maqtool kay azizon ko khoon baha phonchana hai haan yeh aur baat hai kay woh log bator sadqa moaf ker denaur maqtool agar tumhari dushman qom ka ho aur ho woh musalman to sirf aik momin ghulam ki gardan aazad kerni lazmi hai. Aur agar maqtool uss qom say ho kay tum mein aur unn mein ehad-o-paymaan hai to khoon baha lazim hai jo uss kay kunbay walon ko phonchaya jaye aur aik musalman ghulam ka aazad kerna bhi (zaroori hai) pus jo na paye uss kay zimmay do maheeney kay lagataar raozay hain Allah Taalaa say bakshwaney kay liye aur Allah Taalaa bakhoobi janney wala aur hikmat wala hai
Surah An-Nisa, Verse 92
وَمَن يَقۡتُلۡ مُؤۡمِنٗا مُّتَعَمِّدٗا فَجَزَآؤُهُۥ جَهَنَّمُ خَٰلِدٗا فِيهَا وَغَضِبَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِ وَلَعَنَهُۥ وَأَعَدَّ لَهُۥ عَذَابًا عَظِيمٗا
Aur jo koi kiss momin ko qasadan qatal ker dalay uss ki saza dozakh hai jiss mein woh hamesha rahey ga iss per Allah Taalaa ka ghazab hai issay Allah Taalaa ney laanat ki hai aur iss ka liye bara azab tayyar rakha hai
Surah An-Nisa, Verse 93
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا ضَرَبۡتُمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَتَبَيَّنُواْ وَلَا تَقُولُواْ لِمَنۡ أَلۡقَىٰٓ إِلَيۡكُمُ ٱلسَّلَٰمَ لَسۡتَ مُؤۡمِنٗا تَبۡتَغُونَ عَرَضَ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا فَعِندَ ٱللَّهِ مَغَانِمُ كَثِيرَةٞۚ كَذَٰلِكَ كُنتُم مِّن قَبۡلُ فَمَنَّ ٱللَّهُ عَلَيۡكُمۡ فَتَبَيَّنُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٗا
Aey eman walo! Jab tum Allah ki raah mein jaa rahey ho to tehqeeq ker liya kero aur jo tum say salam-alaik keray tum ussay yeh na kehdo kay tu eman wala nahi. Tum dunyawi zindagi kay asbaab ki talash mein ho to Allah Taalaa kay pass boht si ghanimaten hain. Pehlay tum bhi aisay hi thay phir Allah Taalaa ney tum per ehsan kiya lehaza tum zaroor tehqeeq-o-tafteesh ker liya kero be-shak Allah Taalaa tumahray aemaal say ba khabar hai
Surah An-Nisa, Verse 94
لَّا يَسۡتَوِي ٱلۡقَٰعِدُونَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ غَيۡرُ أُوْلِي ٱلضَّرَرِ وَٱلۡمُجَٰهِدُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡۚ فَضَّلَ ٱللَّهُ ٱلۡمُجَٰهِدِينَ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡ عَلَى ٱلۡقَٰعِدِينَ دَرَجَةٗۚ وَكُلّٗا وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلۡحُسۡنَىٰۚ وَفَضَّلَ ٱللَّهُ ٱلۡمُجَٰهِدِينَ عَلَى ٱلۡقَٰعِدِينَ أَجۡرًا عَظِيمٗا
Apni janon aur maalon say Allah ki raah mein jihad kerney walay momin aur baghair uzur kay beth rehney walay momin barabar nahi apney maalon aur apni janon say jihad kerney walon ko beth rehney walon per Allah Taalaa ney darjon mein boht fazeelat dey rakhi ahi aur yun to Allah Taalaa ney her aik ko khoobi aur achai kay wada diya hai lekin mujahideen ko beth rehney walon per boht baray ajar ki fazeelat dey rakhi hai
Surah An-Nisa, Verse 95
دَرَجَٰتٖ مِّنۡهُ وَمَغۡفِرَةٗ وَرَحۡمَةٗۚ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمًا
Apni taraf say martabay ki bhi aur baksish ki bhi aur rehmat ki bhi aur Allah Taalaa bakshish kerney wala aur reham kerney wala hai
Surah An-Nisa, Verse 96
إِنَّ ٱلَّذِينَ تَوَفَّىٰهُمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ ظَالِمِيٓ أَنفُسِهِمۡ قَالُواْ فِيمَ كُنتُمۡۖ قَالُواْ كُنَّا مُسۡتَضۡعَفِينَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ قَالُوٓاْ أَلَمۡ تَكُنۡ أَرۡضُ ٱللَّهِ وَٰسِعَةٗ فَتُهَاجِرُواْ فِيهَاۚ فَأُوْلَـٰٓئِكَ مَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُۖ وَسَآءَتۡ مَصِيرًا
Jo log apni janon per zulm kerney walay hain jab farishtay unn ki rooh qabz kertay hain to poochtay hain tum kiss haal mein thay? Yeh jawab detay hain kay hum apni jagah kamzor aur maghloob thay. Farishtay kehtay hain kiya Allah Taalaa ki zamin kushada na thi kay tum hijrat ker jatay? Yehi log hain jin ka thikana dozakh hai aur woh phonchney ki buri jagah hai
Surah An-Nisa, Verse 97
إِلَّا ٱلۡمُسۡتَضۡعَفِينَ مِنَ ٱلرِّجَالِ وَٱلنِّسَآءِ وَٱلۡوِلۡدَٰنِ لَا يَسۡتَطِيعُونَ حِيلَةٗ وَلَا يَهۡتَدُونَ سَبِيلٗا
Magar jo mard aurten aur bachay bey bus hain jinhen na to kissi charaa-e-kaar ki taqat aur na kiss raastay ka ilm hai
Surah An-Nisa, Verse 98
فَأُوْلَـٰٓئِكَ عَسَى ٱللَّهُ أَن يَعۡفُوَ عَنۡهُمۡۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَفُوًّا غَفُورٗا
Boht mumkin hai kay Allah Taalaa unn say dar guzar keray Allah Taalaa dar guzar kerney wala aur moaf farmaney wala hai
Surah An-Nisa, Verse 99
۞وَمَن يُهَاجِرۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ يَجِدۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُرَٰغَمٗا كَثِيرٗا وَسَعَةٗۚ وَمَن يَخۡرُجۡ مِنۢ بَيۡتِهِۦ مُهَاجِرًا إِلَى ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ ثُمَّ يُدۡرِكۡهُ ٱلۡمَوۡتُ فَقَدۡ وَقَعَ أَجۡرُهُۥ عَلَى ٱللَّهِۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
Jo koi Allah ki raah mein watan ko choray ga woh zamin mein boht si qayam ki jagahen bhi paye ga aur kushaadgi bhi aur jo koi apney ghar say Allah Taalaa aur uss kay rasool (PBUH) ki taraf nikal khara hua phir ussay maut ney aa pakra to bhi yaqeenan uss ka ajar Allah Taalaa kay zimmay sabit hogaya aur Allah Taalaa bara bakshney wala meharban hai
Surah An-Nisa, Verse 100
وَإِذَا ضَرَبۡتُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَلَيۡسَ عَلَيۡكُمۡ جُنَاحٌ أَن تَقۡصُرُواْ مِنَ ٱلصَّلَوٰةِ إِنۡ خِفۡتُمۡ أَن يَفۡتِنَكُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْۚ إِنَّ ٱلۡكَٰفِرِينَ كَانُواْ لَكُمۡ عَدُوّٗا مُّبِينٗا
Jab tum safar mein jaa rahey ho to tum per namazon kay qasar kerney mein koi gunah nahi agar tumhen darr ho kay kafir tumhen satayen gay yaqeenan kafir tumharay khulay dushman hain
Surah An-Nisa, Verse 101
وَإِذَا كُنتَ فِيهِمۡ فَأَقَمۡتَ لَهُمُ ٱلصَّلَوٰةَ فَلۡتَقُمۡ طَآئِفَةٞ مِّنۡهُم مَّعَكَ وَلۡيَأۡخُذُوٓاْ أَسۡلِحَتَهُمۡۖ فَإِذَا سَجَدُواْ فَلۡيَكُونُواْ مِن وَرَآئِكُمۡ وَلۡتَأۡتِ طَآئِفَةٌ أُخۡرَىٰ لَمۡ يُصَلُّواْ فَلۡيُصَلُّواْ مَعَكَ وَلۡيَأۡخُذُواْ حِذۡرَهُمۡ وَأَسۡلِحَتَهُمۡۗ وَدَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡ تَغۡفُلُونَ عَنۡ أَسۡلِحَتِكُمۡ وَأَمۡتِعَتِكُمۡ فَيَمِيلُونَ عَلَيۡكُم مَّيۡلَةٗ وَٰحِدَةٗۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ إِن كَانَ بِكُمۡ أَذٗى مِّن مَّطَرٍ أَوۡ كُنتُم مَّرۡضَىٰٓ أَن تَضَعُوٓاْ أَسۡلِحَتَكُمۡۖ وَخُذُواْ حِذۡرَكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ أَعَدَّ لِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٗا مُّهِينٗا
Jab tum inn mein ho aur inn kay liye namaz khari kero to chahaiye kay inn ki aik jamat tumharay sath apney hathyaar liye khari ho phir jab yeh sajda ker chuken to yeh hatt ker tumharay peechay aajayen aur woh doosti jamat jiss ney namaz nahi parhi woh aajaye aur teray sath namaz ada keray aur apna bachao aur apney hathyaar liye rahey kafir chahtay hain kay kissi tarah tum apney hathyaaron aur apney saman say bey khabar ho jao to woh tum per achanak dhaawa bol den haan apney hathyaar utaar rakhney mein uss waqt tum per koi gunah nahi jab kay tumhen takleef ho ya ba waja barish kay ya ba sabab beemar hojaney kay aur apney bachao ki cheezen sath liye raho. Yaqeenan Allah Taalaa ney munkiron kay liye zillat ki maar tayyar ker rakhi hai
Surah An-Nisa, Verse 102
فَإِذَا قَضَيۡتُمُ ٱلصَّلَوٰةَ فَٱذۡكُرُواْ ٱللَّهَ قِيَٰمٗا وَقُعُودٗا وَعَلَىٰ جُنُوبِكُمۡۚ فَإِذَا ٱطۡمَأۡنَنتُمۡ فَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَۚ إِنَّ ٱلصَّلَوٰةَ كَانَتۡ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ كِتَٰبٗا مَّوۡقُوتٗا
Phir jab tum namaz ada ker chuko to uthtay bethtay aur letay Allah Taalaa ka ziker kertay raho aur jab itminan pao to namaz qaeem kero! Yaqeenan namaz mominon per muqarrara waqton per farz hai
Surah An-Nisa, Verse 103
وَلَا تَهِنُواْ فِي ٱبۡتِغَآءِ ٱلۡقَوۡمِۖ إِن تَكُونُواْ تَأۡلَمُونَ فَإِنَّهُمۡ يَأۡلَمُونَ كَمَا تَأۡلَمُونَۖ وَتَرۡجُونَ مِنَ ٱللَّهِ مَا لَا يَرۡجُونَۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمًا
Inn logon ka peecha kerney say haaray dil ho ker beth na raho! Agar tumhen bey aarami hoti hai to unhen bhi tumhari tarah bey aarami hoti hai aur tum Allah Taalaa say woh umeeden rakhtay ho jo umeeden unhen nahi aur Allah Taalaa daana aur hakim hai
Surah An-Nisa, Verse 104
إِنَّآ أَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ لِتَحۡكُمَ بَيۡنَ ٱلنَّاسِ بِمَآ أَرَىٰكَ ٱللَّهُۚ وَلَا تَكُن لِّلۡخَآئِنِينَ خَصِيمٗا
Yaqeenan hum ney tumhari taraf haq kay sath apni kitab nazil farmaee hai takay tum logon mein iss cheez kay mutabiq faisla kero jiss say Allah ney tum ko shanasa kiya hai aur khayanat kerney walon kay himayati na bano
Surah An-Nisa, Verse 105
وَٱسۡتَغۡفِرِ ٱللَّهَۖ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
Aur Allah Taalaa say bakshish maango! Be-shak Allah Taalaa baksish kerney wala meharbani kerney wala hai
Surah An-Nisa, Verse 106
وَلَا تُجَٰدِلۡ عَنِ ٱلَّذِينَ يَخۡتَانُونَ أَنفُسَهُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ مَن كَانَ خَوَّانًا أَثِيمٗا
Aur inn ki taraf say jhagra na kero jo khud apni hi khayanat kertay hain yaqeenan dagha baaz gunehgar Allah Taalaa ko acha nahi lagta
Surah An-Nisa, Verse 107
يَسۡتَخۡفُونَ مِنَ ٱلنَّاسِ وَلَا يَسۡتَخۡفُونَ مِنَ ٱللَّهِ وَهُوَ مَعَهُمۡ إِذۡ يُبَيِّتُونَ مَا لَا يَرۡضَىٰ مِنَ ٱلۡقَوۡلِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِمَا يَعۡمَلُونَ مُحِيطًا
Woh logon say to chup jatay hain (lekin) Allah Taalaa say nahi chup saktay woh raaton kay waqt jabkay Allah ki na pasndeedah baaton kay khufia mashwaray kertay hain uss waqt bhi Allah unn kay pass hota hai unn kay tamam aemaal ko woh gheray huye hai
Surah An-Nisa, Verse 108
هَـٰٓأَنتُمۡ هَـٰٓؤُلَآءِ جَٰدَلۡتُمۡ عَنۡهُمۡ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا فَمَن يُجَٰدِلُ ٱللَّهَ عَنۡهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ أَم مَّن يَكُونُ عَلَيۡهِمۡ وَكِيلٗا
Haan to yeh ho tum log kay duniya mein tum ney inn ki himayat ki lekin Allah Taalaa kay samney qayamat kay din inn ki himayat kaun keray ga? Aur woh kaun hai jo inn ka wakeel bann ker khara ho sakay ga
Surah An-Nisa, Verse 109
وَمَن يَعۡمَلۡ سُوٓءًا أَوۡ يَظۡلِمۡ نَفۡسَهُۥ ثُمَّ يَسۡتَغۡفِرِ ٱللَّهَ يَجِدِ ٱللَّهَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
Jo shaks koi buraee keray ya apni jaan per zulm keray phir Allah Taalaa say istaghfaar keray to woh Allah ko bakshney wala meharbani kerney wala payega
Surah An-Nisa, Verse 110
وَمَن يَكۡسِبۡ إِثۡمٗا فَإِنَّمَا يَكۡسِبُهُۥ عَلَىٰ نَفۡسِهِۦۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Aur jo gunah kerta hai uss ka bojh ussi per hai aur Allah bakhoobi janney wala aur poori hikmat wala hai
Surah An-Nisa, Verse 111
وَمَن يَكۡسِبۡ خَطِيٓـَٔةً أَوۡ إِثۡمٗا ثُمَّ يَرۡمِ بِهِۦ بَرِيٓـٔٗا فَقَدِ ٱحۡتَمَلَ بُهۡتَٰنٗا وَإِثۡمٗا مُّبِينٗا
Aur jo shaks koi gunah ya khata ker kay kissi bey gunah kay zimmay thop dey uss ney boht bara bohtaan uthaya aur khula gunah kiya
Surah An-Nisa, Verse 112
وَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكَ وَرَحۡمَتُهُۥ لَهَمَّت طَّآئِفَةٞ مِّنۡهُمۡ أَن يُضِلُّوكَ وَمَا يُضِلُّونَ إِلَّآ أَنفُسَهُمۡۖ وَمَا يَضُرُّونَكَ مِن شَيۡءٖۚ وَأَنزَلَ ٱللَّهُ عَلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَعَلَّمَكَ مَا لَمۡ تَكُن تَعۡلَمُۚ وَكَانَ فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكَ عَظِيمٗا
Agar Allah Taalaa ka fazal-o-reham tujh per na hota to inn kay aik jamat to tujhay behkaney ka qasad ker hi liya tha magar dar asal yeh apney aap ko hi gumrah kertay hain yeh tera kuch nahi bigar saktay Allah Taalaa ney tujh per kitab-o-hikmat utari hai aur tujhay woh sikhaya hai jisay tu nahi janta tha aur Allah Taalaa ka tujh per bara bhari fazal hai
Surah An-Nisa, Verse 113
۞لَّا خَيۡرَ فِي كَثِيرٖ مِّن نَّجۡوَىٰهُمۡ إِلَّا مَنۡ أَمَرَ بِصَدَقَةٍ أَوۡ مَعۡرُوفٍ أَوۡ إِصۡلَٰحِۭ بَيۡنَ ٱلنَّاسِۚ وَمَن يَفۡعَلۡ ذَٰلِكَ ٱبۡتِغَآءَ مَرۡضَاتِ ٱللَّهِ فَسَوۡفَ نُؤۡتِيهِ أَجۡرًا عَظِيمٗا
Inn kay aksay khufia mashwaron mein koi khair nahi haan! Bhalaee uss kay mashwaray mein hai jo kheyraat kay ya nek baat ka ya logon mein sulah keraney ka hukum keray aur jo shaks sirf Allah Taalaa ki raza mandi hasil kerney kay iraday say yeh kaam keray ussay hum yaqeenan boht bara sawab den gay
Surah An-Nisa, Verse 114
وَمَن يُشَاقِقِ ٱلرَّسُولَ مِنۢ بَعۡدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُ ٱلۡهُدَىٰ وَيَتَّبِعۡ غَيۡرَ سَبِيلِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ نُوَلِّهِۦ مَا تَوَلَّىٰ وَنُصۡلِهِۦ جَهَنَّمَۖ وَسَآءَتۡ مَصِيرًا
Jo shaks ba wajood raah-e-hidayat kay wazeh ho janey kay bhi rasool (PBUH) ka khilaf keray aur tamam mominon ki raah chor ker chalay hum ussay udhar hi mutawajja ker den gay jidhar woh khud mutawajja ho aur dozakh mein daal den gay woh phonchney ki boht hi buri jagah hai
Surah An-Nisa, Verse 115
إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَغۡفِرُ أَن يُشۡرَكَ بِهِۦ وَيَغۡفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَآءُۚ وَمَن يُشۡرِكۡ بِٱللَّهِ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلَٰلَۢا بَعِيدًا
Ussay Allah Taalaa qatan na bakshay ga kay uss kay sath shareek muqarrar kiya jaye haan shirk kay ilawa gunah jiss kay chahaye moaf farma deta hai aur Allah kay sath sharik kerney wala boht door ki gumrahi mein jaa para
Surah An-Nisa, Verse 116
إِن يَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦٓ إِلَّآ إِنَٰثٗا وَإِن يَدۡعُونَ إِلَّا شَيۡطَٰنٗا مَّرِيدٗا
Yeh to Allah Taalaa ko chor ker sirf aurton ko pukartay hain aur dar asal yeh sirf sirkash shetan ko poojtay hain
Surah An-Nisa, Verse 117
لَّعَنَهُ ٱللَّهُۘ وَقَالَ لَأَتَّخِذَنَّ مِنۡ عِبَادِكَ نَصِيبٗا مَّفۡرُوضٗا
Jissay Allah ney laanat ki hai aur uss ney baira utahaya hai kay teray bandon mein say mein muqarrar shuda hissa ley ker rahon ga
Surah An-Nisa, Verse 118
وَلَأُضِلَّنَّهُمۡ وَلَأُمَنِّيَنَّهُمۡ وَلَأٓمُرَنَّهُمۡ فَلَيُبَتِّكُنَّ ءَاذَانَ ٱلۡأَنۡعَٰمِ وَلَأٓمُرَنَّهُمۡ فَلَيُغَيِّرُنَّ خَلۡقَ ٱللَّهِۚ وَمَن يَتَّخِذِ ٱلشَّيۡطَٰنَ وَلِيّٗا مِّن دُونِ ٱللَّهِ فَقَدۡ خَسِرَ خُسۡرَانٗا مُّبِينٗا
Aur enhen raah say behkata rahon ga aur baatil umeeden dilata rahon ga aur enhen sikhaon ga kay janweron kay kaan cheer den aur inn say kahon ga kay Allah Taalaa ki banaee hui soorat ko bigar den suno! Jo shaks Allah ko chor ker shetan ko apna rafiq banaye ga woh sareeh nuksan mein doobay ga
Surah An-Nisa, Verse 119
يَعِدُهُمۡ وَيُمَنِّيهِمۡۖ وَمَا يَعِدُهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ إِلَّا غُرُورًا
Woh inn say zabani waday kerta rahey ga aur sabz baagh dikhata rahey ga (magar yad rakho!) shetan kay jo waday inn say hain woh sirasir fareb kaariyan hain
Surah An-Nisa, Verse 120
أُوْلَـٰٓئِكَ مَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُ وَلَا يَجِدُونَ عَنۡهَا مَحِيصٗا
Yeh woh log hain jin ki jagah jahannum hai jahan say enhen chutkara na milay ga
Surah An-Nisa, Verse 121
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ سَنُدۡخِلُهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٗاۚ وَمَنۡ أَصۡدَقُ مِنَ ٱللَّهِ قِيلٗا
Aur jo eman laye aur bhalay kaam keren humen unhen unn jannaton mein ley jayen gay jin kay neechay chashmay jari hain jahan yeh abad-al-abad rahen gay yeh hai Allah ka wada jo siasir sacha hai aur kaun hai jo apni baat mein Allah say ziyada sacha ho
Surah An-Nisa, Verse 122
لَّيۡسَ بِأَمَانِيِّكُمۡ وَلَآ أَمَانِيِّ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِۗ مَن يَعۡمَلۡ سُوٓءٗا يُجۡزَ بِهِۦ وَلَا يَجِدۡ لَهُۥ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلِيّٗا وَلَا نَصِيرٗا
Haqeeqat-e-haal na to tumhari aarzoo kay mutabiq hai aur na ehal-e-kitab ki umeedon per moqoof hai jo bura keray ga uss ki saza paye ga aur kissi ko na paye ga jo uss ki himayat-o-madad Allah kay pass ker sakay
Surah An-Nisa, Verse 123
وَمَن يَعۡمَلۡ مِنَ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ مِن ذَكَرٍ أَوۡ أُنثَىٰ وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَأُوْلَـٰٓئِكَ يَدۡخُلُونَ ٱلۡجَنَّةَ وَلَا يُظۡلَمُونَ نَقِيرٗا
Jo eman wala ho mard ho ya aurat aur woh nek aemaal keray yaqeenan aisay log jannat mein jayen gay aur khujoor ki guthli kay shigaf kay barabar bhi unn ka haq na maara jaye ga
Surah An-Nisa, Verse 124
وَمَنۡ أَحۡسَنُ دِينٗا مِّمَّنۡ أَسۡلَمَ وَجۡهَهُۥ لِلَّهِ وَهُوَ مُحۡسِنٞ وَٱتَّبَعَ مِلَّةَ إِبۡرَٰهِيمَ حَنِيفٗاۗ وَٱتَّخَذَ ٱللَّهُ إِبۡرَٰهِيمَ خَلِيلٗا
Ba-aetbaar deen kay uss say acha kaun hai? Jo apney ko Allah kay tabey ker dey aur ho bhi neko kaar sath hi yaksui walay ibrahim kay deen ki pairwee ker raha ho aur ibrahim (alh-e-salam) ko Allah ney apna dost bana liya hai
Surah An-Nisa, Verse 125
وَلِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٖ مُّحِيطٗا
Aasamanon aur zamin mein jo kuch hai sab Allah hi ka hai aur Allah Taalaa her cheez ko gherney wala hai
Surah An-Nisa, Verse 126
وَيَسۡتَفۡتُونَكَ فِي ٱلنِّسَآءِۖ قُلِ ٱللَّهُ يُفۡتِيكُمۡ فِيهِنَّ وَمَا يُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ فِي يَتَٰمَى ٱلنِّسَآءِ ٱلَّـٰتِي لَا تُؤۡتُونَهُنَّ مَا كُتِبَ لَهُنَّ وَتَرۡغَبُونَ أَن تَنكِحُوهُنَّ وَٱلۡمُسۡتَضۡعَفِينَ مِنَ ٱلۡوِلۡدَٰنِ وَأَن تَقُومُواْ لِلۡيَتَٰمَىٰ بِٱلۡقِسۡطِۚ وَمَا تَفۡعَلُواْ مِنۡ خَيۡرٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِهِۦ عَلِيمٗا
Aap say aurton kay baray mein hukum daryaft kertay hain aap keh dijiye! Kay khud Allah unn kay baray mein hukum dey raha hai aur quran ki woh aayaten jo tum per inn yateem larkiyon kay baray mein parhi jati hain jinhen inn ka muqarrar haq tum nahi detay aur enhen apney nikkah mein laaney ki raghbat rakhtay ho aur kamzor bachon kay baray mein aur iss baray mein kay yateemon ki kaar guzari insaf kay sath kero. Tum jo nek kaam kero bey shuba Allah ussay poori tarah janney wala hai
Surah An-Nisa, Verse 127
وَإِنِ ٱمۡرَأَةٌ خَافَتۡ مِنۢ بَعۡلِهَا نُشُوزًا أَوۡ إِعۡرَاضٗا فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡهِمَآ أَن يُصۡلِحَا بَيۡنَهُمَا صُلۡحٗاۚ وَٱلصُّلۡحُ خَيۡرٞۗ وَأُحۡضِرَتِ ٱلۡأَنفُسُ ٱلشُّحَّۚ وَإِن تُحۡسِنُواْ وَتَتَّقُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٗا
Agar kissi aurat ko apney shohar ki bad dimaghi aur bey perwahi ka khof ho to dono aapas mein jo sulah ker len uss mein kissi per koi gunah nahi. Sulah boht behtar cheez hai tama her her cheez mein shamil ker di gaee hai. Agar tum acha sulook kero aur perhezgari kero to tum jo ker rahey ho uss per Allah Taalaa poori tarah khabardaar hai
Surah An-Nisa, Verse 128
وَلَن تَسۡتَطِيعُوٓاْ أَن تَعۡدِلُواْ بَيۡنَ ٱلنِّسَآءِ وَلَوۡ حَرَصۡتُمۡۖ فَلَا تَمِيلُواْ كُلَّ ٱلۡمَيۡلِ فَتَذَرُوهَا كَٱلۡمُعَلَّقَةِۚ وَإِن تُصۡلِحُواْ وَتَتَّقُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
Tum say yeh to kabhi na ho sakay ga kay apni tamam biwiyon mein her tarah adal kero go tum iss ki kitni hi khuwaish-o-kosish ker lo iss liye bilkul hi aik ki taraf maeel ho ker doosri ko udhar latakti hui na choro aur agar tum islaah kero aur taqwa ikhtiyar kero to be-shak Allah Taalaa bari maghfirat aur rehmat wala hai
Surah An-Nisa, Verse 129
وَإِن يَتَفَرَّقَا يُغۡنِ ٱللَّهُ كُلّٗا مِّن سَعَتِهِۦۚ وَكَانَ ٱللَّهُ وَٰسِعًا حَكِيمٗا
Aur agar miyan biwi huda hojayen to Allah Taalaa apni wusat say her aik ko bey niaz ker dey ga Allah Taalaa wusat wala hikmat wala hai
Surah An-Nisa, Verse 130
وَلِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۗ وَلَقَدۡ وَصَّيۡنَا ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِكُمۡ وَإِيَّاكُمۡ أَنِ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ وَإِن تَكۡفُرُواْ فَإِنَّ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ غَنِيًّا حَمِيدٗا
Zamain-o-aasamanon ki her her cheez Allah Taalaa hi ki milkiyat mein hai aur waqaee hum ney unn logon ko jo tum say pehlay kitab diye gaye thay aur tum ko bhi yehi hukum kiya hai kay Allah say dartay raho aur agar tum kufur kero to yaad rakho kay Allah kay liye hai jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zamin mein hai aur Allah boht bey niaz aur tareef kiya gaya hai
Surah An-Nisa, Verse 131
وَلِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَكِيلًا
Allah kay ikthiyar mein hain aasmanon ki sab cheezen aur zamin ki bhi aur Allah kaar saaz kafi hai
Surah An-Nisa, Verse 132
إِن يَشَأۡ يُذۡهِبۡكُمۡ أَيُّهَا ٱلنَّاسُ وَيَأۡتِ بِـَٔاخَرِينَۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلَىٰ ذَٰلِكَ قَدِيرٗا
Agar ussay manzoor ho to aey logo! Woh tum sab ko ley jaye aur doosron ko ley aaye Allah Taalaa iss per poori qudrat rakhney wala hai
Surah An-Nisa, Verse 133
مَّن كَانَ يُرِيدُ ثَوَابَ ٱلدُّنۡيَا فَعِندَ ٱللَّهِ ثَوَابُ ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ سَمِيعَۢا بَصِيرٗا
Jo shaks duniya ka sawab chahta ho to (yaad rakho kay) Allah Taalaa kay pass to duniya aur aakhirat (dono) ka sawab mojood hai aur Allah Taalaa boht sunney wala aur khoob dekhney wala hai
Surah An-Nisa, Verse 134
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُونُواْ قَوَّـٰمِينَ بِٱلۡقِسۡطِ شُهَدَآءَ لِلَّهِ وَلَوۡ عَلَىٰٓ أَنفُسِكُمۡ أَوِ ٱلۡوَٰلِدَيۡنِ وَٱلۡأَقۡرَبِينَۚ إِن يَكُنۡ غَنِيًّا أَوۡ فَقِيرٗا فَٱللَّهُ أَوۡلَىٰ بِهِمَاۖ فَلَا تَتَّبِعُواْ ٱلۡهَوَىٰٓ أَن تَعۡدِلُواْۚ وَإِن تَلۡوُۥٓاْ أَوۡ تُعۡرِضُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٗا
Aey eman walo! Adal-o-insaf per mazbooti say jamm janey walay aur khushnoodi-e-maula kay liye sachi gawahi denay walay bann jao go woh khud tumharay apney khilaf ho ya apney maa baap kay ya rishtay daar azizon kay woh shaks agar amir ho to aur faqir ho to dono kay sath Allah ko ziyada talluq hai iss liye tum khuwaish-e-nafss kay peechay parr ker insaf na chor dena aur gar tum ney kajj biyani ya pehloo tahi ki to jaan lo kay jo kuch tum kero gay Allah Taalaa poori tarah uss say ba khabar hai
Surah An-Nisa, Verse 135
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ ءَامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَٱلۡكِتَٰبِ ٱلَّذِي نَزَّلَ عَلَىٰ رَسُولِهِۦ وَٱلۡكِتَٰبِ ٱلَّذِيٓ أَنزَلَ مِن قَبۡلُۚ وَمَن يَكۡفُرۡ بِٱللَّهِ وَمَلَـٰٓئِكَتِهِۦ وَكُتُبِهِۦ وَرُسُلِهِۦ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلَٰلَۢا بَعِيدًا
Aey eman walo! Allah Taalaa per uss kay rasool (PBUH) per aur uss kitab per jo uss ney apney rasool (PBUH) per utari hai aur unn kitabon per jo iss say pehlay uss ney nazil farmaee hain eman lao! Jo shaks Allah Taalaa say aur uss kay farishton say aur uss ki kitabon say aur uss kay rasoolon say aur qayamat kay din say kufur keray woh to boht baray door ki gumrahi mein jaa para
Surah An-Nisa, Verse 136
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ثُمَّ كَفَرُواْ ثُمَّ ءَامَنُواْ ثُمَّ كَفَرُواْ ثُمَّ ٱزۡدَادُواْ كُفۡرٗا لَّمۡ يَكُنِ ٱللَّهُ لِيَغۡفِرَ لَهُمۡ وَلَا لِيَهۡدِيَهُمۡ سَبِيلَۢا
Jin logon ney eman qabool ker kay phir kufur kiya phir eman laa ker phir kufur kiya phir apney kufur mein barh gaye Allah Taalaa yaqeenan unhen na bakshay ga aur na unhen raah-e-hidayat sujhaye ga
Surah An-Nisa, Verse 137
بَشِّرِ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ بِأَنَّ لَهُمۡ عَذَابًا أَلِيمًا
Munafiqon ko iss amar ki khabar phonca do kay unn kay liye dard naak azab yaqeeni hai
Surah An-Nisa, Verse 138
ٱلَّذِينَ يَتَّخِذُونَ ٱلۡكَٰفِرِينَ أَوۡلِيَآءَ مِن دُونِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۚ أَيَبۡتَغُونَ عِندَهُمُ ٱلۡعِزَّةَ فَإِنَّ ٱلۡعِزَّةَ لِلَّهِ جَمِيعٗا
Jin ki yeh halat hai kay musalmanon ko chor ker kafiron ko dost banatay phirtay hain kiya unn kay pass izzat ki talash mein jatay hain? (to yaad rakhen kay) izzat to sari ki sari Allah Taalaa kay qabzay mein hai
Surah An-Nisa, Verse 139
وَقَدۡ نَزَّلَ عَلَيۡكُمۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ أَنۡ إِذَا سَمِعۡتُمۡ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ يُكۡفَرُ بِهَا وَيُسۡتَهۡزَأُ بِهَا فَلَا تَقۡعُدُواْ مَعَهُمۡ حَتَّىٰ يَخُوضُواْ فِي حَدِيثٍ غَيۡرِهِۦٓ إِنَّكُمۡ إِذٗا مِّثۡلُهُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ جَامِعُ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ وَٱلۡكَٰفِرِينَ فِي جَهَنَّمَ جَمِيعًا
Aur Allah Taalaa tumharay pass apni kitab mein yeh hukum utaar chuka hai kay tum jab kissi majlis walon ko Allah Taalaa ki aayaton kay sath kufur kertay aur mazaq uratay huye suno to uss majmay mein unn kay sath na betho! Jab tak kay woh iss kay ilawa aur baaten na kerney lagen (werna) tum bhi uss waqt unhi jaisay ho yaqeenan Allah Taalaa tamam kafiron aur sab munafiqon ko jahannum mein jama kerney wala hai
Surah An-Nisa, Verse 140
ٱلَّذِينَ يَتَرَبَّصُونَ بِكُمۡ فَإِن كَانَ لَكُمۡ فَتۡحٞ مِّنَ ٱللَّهِ قَالُوٓاْ أَلَمۡ نَكُن مَّعَكُمۡ وَإِن كَانَ لِلۡكَٰفِرِينَ نَصِيبٞ قَالُوٓاْ أَلَمۡ نَسۡتَحۡوِذۡ عَلَيۡكُمۡ وَنَمۡنَعۡكُم مِّنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۚ فَٱللَّهُ يَحۡكُمُ بَيۡنَكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ وَلَن يَجۡعَلَ ٱللَّهُ لِلۡكَٰفِرِينَ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ سَبِيلًا
Yeh log tumharay anjam kaar ka intizar kertay rehtay hain phir agar tumhen Allah fatah dey to yeh kehtay hain kay kiya hum tumharay sathi nahi aur kafiron ko thora sa ghlba mill jaye to (unn say) kehtay hain kay hum tum per ghalib na aaney lagay thay aur kiya hum ney tumhen musalmanon kay haathon say na bachaya tha? Pus qayamat mein khud Allah Taalaa tumharay darmiyan faisla keray ga aur Allah Taalaa kafiron ko eman walon per hergiz raah na dey ga
Surah An-Nisa, Verse 141
إِنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ يُخَٰدِعُونَ ٱللَّهَ وَهُوَ خَٰدِعُهُمۡ وَإِذَا قَامُوٓاْ إِلَى ٱلصَّلَوٰةِ قَامُواْ كُسَالَىٰ يُرَآءُونَ ٱلنَّاسَ وَلَا يَذۡكُرُونَ ٱللَّهَ إِلَّا قَلِيلٗا
Be-shak munafiq Allah say chaal baziyan ker rahey hain aur woh enhen iss chaal bazi ka badla denay wala hai aur jab namaz ko kharay hotay hain to bari kaahili ki halat mein kharay hotay hain sirf logon ko dikhatay hain aur yaad-e-elahee to yun hi si baraye naam kertay hain
Surah An-Nisa, Verse 142
مُّذَبۡذَبِينَ بَيۡنَ ذَٰلِكَ لَآ إِلَىٰ هَـٰٓؤُلَآءِ وَلَآ إِلَىٰ هَـٰٓؤُلَآءِۚ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَلَن تَجِدَ لَهُۥ سَبِيلٗا
Woh darmiyan mein hi moalliq dagmaga rahey hain na pooray unn ki taraf aur na sahih tor per unn ki taraf aur jisay Allah Taalaa gumrahi mein daal dey to tu uss kay liye koi raah na paye ga
Surah An-Nisa, Verse 143
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ ٱلۡكَٰفِرِينَ أَوۡلِيَآءَ مِن دُونِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۚ أَتُرِيدُونَ أَن تَجۡعَلُواْ لِلَّهِ عَلَيۡكُمۡ سُلۡطَٰنٗا مُّبِينًا
Aey eman walo! Mominon ko chor ker kafiron ko dost na banao kiya tum yeh chahtay ho kay apney upper Allah Taalaa ki saaf hujjat qaeem kerlo
Surah An-Nisa, Verse 144
إِنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ فِي ٱلدَّرۡكِ ٱلۡأَسۡفَلِ مِنَ ٱلنَّارِ وَلَن تَجِدَ لَهُمۡ نَصِيرًا
Munafiq to yaqeenan jahannum kay sab say neechay kay tabqay mein jayen gay na mumkin hai kay tu inn ka koi madadgar paa ley
Surah An-Nisa, Verse 145
إِلَّا ٱلَّذِينَ تَابُواْ وَأَصۡلَحُواْ وَٱعۡتَصَمُواْ بِٱللَّهِ وَأَخۡلَصُواْ دِينَهُمۡ لِلَّهِ فَأُوْلَـٰٓئِكَ مَعَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۖ وَسَوۡفَ يُؤۡتِ ٱللَّهُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ أَجۡرًا عَظِيمٗا
Haan jo tauba ker len aur islaah ker len aur Allah Taalaa per kaamil yaqeen rakhen aur khalid Allah hi kay liye deen daari keren to yeh log mominon kay sath hain Allah Taalaa mominon ko boht bara ajar dey ga
Surah An-Nisa, Verse 146
مَّا يَفۡعَلُ ٱللَّهُ بِعَذَابِكُمۡ إِن شَكَرۡتُمۡ وَءَامَنتُمۡۚ وَكَانَ ٱللَّهُ شَاكِرًا عَلِيمٗا
Allah Taalaa tumhen saza dey ker kiya keray ga? Agar tum shukar guzari kertay raho aur ba eman raho Allah Taalaa boht qadar kerney wala aur poora ilm rakhney wala hai
Surah An-Nisa, Verse 147
۞لَّا يُحِبُّ ٱللَّهُ ٱلۡجَهۡرَ بِٱلسُّوٓءِ مِنَ ٱلۡقَوۡلِ إِلَّا مَن ظُلِمَۚ وَكَانَ ٱللَّهُ سَمِيعًا عَلِيمًا
Buraee kay sath aawaz buland kerney ko Allah Taalaa pasand nahi farmata magar mazloom ko ijazat hai aur Allah Taalaa khoob sunta janta hai
Surah An-Nisa, Verse 148
إِن تُبۡدُواْ خَيۡرًا أَوۡ تُخۡفُوهُ أَوۡ تَعۡفُواْ عَن سُوٓءٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَفُوّٗا قَدِيرًا
Agar tum kissi neki ko aelaaniya kero ya posheeda ya kiss buraee say dar guzar kero pus yaqeenan Allah Taalaa poori moafi kerney wala aur poori qudrat wala hai
Surah An-Nisa, Verse 149
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَكۡفُرُونَ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦ وَيُرِيدُونَ أَن يُفَرِّقُواْ بَيۡنَ ٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦ وَيَقُولُونَ نُؤۡمِنُ بِبَعۡضٖ وَنَكۡفُرُ بِبَعۡضٖ وَيُرِيدُونَ أَن يَتَّخِذُواْ بَيۡنَ ذَٰلِكَ سَبِيلًا
Jo log Allah kay sath aur uss kay payghumbar kay sath kufur kertay hain aur jo log yeh chahtay hain kay Allah aur uss kay rasool kay darmiyan farq keren aur jo log kehtay hain kay baaz nabiyon per to humara eman hai aur baaz per nahi aur chahtay hain kay iss kay aur uss kay bain bain koi raah nikalen
Surah An-Nisa, Verse 150
أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡكَٰفِرُونَ حَقّٗاۚ وَأَعۡتَدۡنَا لِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٗا مُّهِينٗا
Yaqeen mano kay yeh sab log asli kafir hain aur kafiron kay liye hum ney ehanat aamez saza tayyar ker rakhi hai
Surah An-Nisa, Verse 151
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦ وَلَمۡ يُفَرِّقُواْ بَيۡنَ أَحَدٖ مِّنۡهُمۡ أُوْلَـٰٓئِكَ سَوۡفَ يُؤۡتِيهِمۡ أُجُورَهُمۡۚ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
Aur jo log Allah per aur uss kay tamam payghumbaron per eman latay hain aur inn mein say kissi mein farq nahi kertay yeh hain jinhen Allah unn kay poora sawab dey ga aur Allah bari maghfirat wala bari rehmat wala hai
Surah An-Nisa, Verse 152
يَسۡـَٔلُكَ أَهۡلُ ٱلۡكِتَٰبِ أَن تُنَزِّلَ عَلَيۡهِمۡ كِتَٰبٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِۚ فَقَدۡ سَأَلُواْ مُوسَىٰٓ أَكۡبَرَ مِن ذَٰلِكَ فَقَالُوٓاْ أَرِنَا ٱللَّهَ جَهۡرَةٗ فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلصَّـٰعِقَةُ بِظُلۡمِهِمۡۚ ثُمَّ ٱتَّخَذُواْ ٱلۡعِجۡلَ مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَتۡهُمُ ٱلۡبَيِّنَٰتُ فَعَفَوۡنَا عَن ذَٰلِكَۚ وَءَاتَيۡنَا مُوسَىٰ سُلۡطَٰنٗا مُّبِينٗا
Aap say yeh ehal-e-kitab darkhuast kertay hain kay aap inn kay pass koi aasmani kitab layen hazrat musa (alh-e-salam) say to enhon ney iss say boht bari darkhuast ki thi kay humen khullam khula Allah Taalaa ko dikha dey pus inn kay iss zulm kay baees inn per karakay ki bijli aa pari phir bawajood yeh kay inn kay pass boht daleel phonch chuki thi enhon ney bachray ko apna mabood bana liya lekin hum ney yeh bhi moaf farma diya aur hum ney musa ko khula ghalba (aur sareeh daleel) inayat farmaee
Surah An-Nisa, Verse 153
وَرَفَعۡنَا فَوۡقَهُمُ ٱلطُّورَ بِمِيثَٰقِهِمۡ وَقُلۡنَا لَهُمُ ٱدۡخُلُواْ ٱلۡبَابَ سُجَّدٗا وَقُلۡنَا لَهُمۡ لَا تَعۡدُواْ فِي ٱلسَّبۡتِ وَأَخَذۡنَا مِنۡهُم مِّيثَٰقًا غَلِيظٗا
Aur inn ka qol lenay kay liye hum ney inn kay saron per toor pahaar laa khara ker diya aur enhen hukum diya kay sajda kertay huye darwazay mein jao aur yeh bhi farmaya kay haftay kay din mein tajawuz na kerna aur hum ney inn say sakht say sakht qol-o-qarar liye
Surah An-Nisa, Verse 154
فَبِمَا نَقۡضِهِم مِّيثَٰقَهُمۡ وَكُفۡرِهِم بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَقَتۡلِهِمُ ٱلۡأَنۢبِيَآءَ بِغَيۡرِ حَقّٖ وَقَوۡلِهِمۡ قُلُوبُنَا غُلۡفُۢۚ بَلۡ طَبَعَ ٱللَّهُ عَلَيۡهَا بِكُفۡرِهِمۡ فَلَا يُؤۡمِنُونَ إِلَّا قَلِيلٗا
(yeh saza thi) ba sabab inn ki ehad shikni kay aur ehkaam-e-elahee kay sath kufur kerney kay aur Allah kay nabiyon ko na haq qatal ker daalney kay aur iss sabab say kay yun kehtay hain kay humaray dilon per ghilaf hai. Halankay dar asal inn kay kufur ki waja say inn kay dilon per Allah Taalaa ney mohar laga di hai iss liye yeh qadar-e-qaleel hi eman latay hain
Surah An-Nisa, Verse 155
وَبِكُفۡرِهِمۡ وَقَوۡلِهِمۡ عَلَىٰ مَرۡيَمَ بُهۡتَٰنًا عَظِيمٗا
Aur inn kay kufur kay baees aur marium per boht bara bohtan bandhney kay baees
Surah An-Nisa, Verse 156
وَقَوۡلِهِمۡ إِنَّا قَتَلۡنَا ٱلۡمَسِيحَ عِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ رَسُولَ ٱللَّهِ وَمَا قَتَلُوهُ وَمَا صَلَبُوهُ وَلَٰكِن شُبِّهَ لَهُمۡۚ وَإِنَّ ٱلَّذِينَ ٱخۡتَلَفُواْ فِيهِ لَفِي شَكّٖ مِّنۡهُۚ مَا لَهُم بِهِۦ مِنۡ عِلۡمٍ إِلَّا ٱتِّبَاعَ ٱلظَّنِّۚ وَمَا قَتَلُوهُ يَقِينَۢا
Aur yun kehney kay baees kay hum ney Allah kay rasool maseeh essa bin marium ko qatal ker diya halankay na to enhon ney ussay qatal kiya na sooli charhaya bulkay inn kay liye unn (essa) ki shabeeh bana diya gaya tha. Yaqeen jano kay hazrat essa (alh-e-salam) kay baray mein ikhtilaf kerney walay unn kay baray mein shak mein hain unhen iss ka koi yaqeen nahi ba-juz takhmeeni baaton per amal kerney kay itna yaqeeni hai kay enhon ney unhen qatal nahi kiya
Surah An-Nisa, Verse 157
بَل رَّفَعَهُ ٱللَّهُ إِلَيۡهِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمٗا
Bulkay Allah Taalaa ney unhen apni taraf utha liya aur Allah bara zabardast aur poori hikmaton wala hai
Surah An-Nisa, Verse 158
وَإِن مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ إِلَّا لَيُؤۡمِنَنَّ بِهِۦ قَبۡلَ مَوۡتِهِۦۖ وَيَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يَكُونُ عَلَيۡهِمۡ شَهِيدٗا
Ehal-e-kitab mein aik bhi aisa na bachay ga jo hazrat essa (alh-e-salam) ki maut say pehlay unn per eman na laa chukay aur qayamat kay din aap unn per gawah hongay
Surah An-Nisa, Verse 159
فَبِظُلۡمٖ مِّنَ ٱلَّذِينَ هَادُواْ حَرَّمۡنَا عَلَيۡهِمۡ طَيِّبَٰتٍ أُحِلَّتۡ لَهُمۡ وَبِصَدِّهِمۡ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ كَثِيرٗا
Jo nafees cheez inn kay liye halal ki gaee thi woh hum ney inn per haram ker di inn kay zulm kay baees aur Allah Taalaa ki raah say aksar logon ko rokney kay baees
Surah An-Nisa, Verse 160
وَأَخۡذِهِمُ ٱلرِّبَوٰاْ وَقَدۡ نُهُواْ عَنۡهُ وَأَكۡلِهِمۡ أَمۡوَٰلَ ٱلنَّاسِ بِٱلۡبَٰطِلِۚ وَأَعۡتَدۡنَا لِلۡكَٰفِرِينَ مِنۡهُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا
Aur sood jiss say mana kiye gaye thay ussay lenay kay baees aur logon ka maal na haq maar khaney kay baees aur inn mein jo kuffaar hain hum ney unn kay liye alam naak azab mohiyya ker rakha hai
Surah An-Nisa, Verse 161
لَّـٰكِنِ ٱلرَّـٰسِخُونَ فِي ٱلۡعِلۡمِ مِنۡهُمۡ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَ يُؤۡمِنُونَ بِمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ وَمَآ أُنزِلَ مِن قَبۡلِكَۚ وَٱلۡمُقِيمِينَ ٱلصَّلَوٰةَۚ وَٱلۡمُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ أُوْلَـٰٓئِكَ سَنُؤۡتِيهِمۡ أَجۡرًا عَظِيمًا
Lekin inn mein say kaamil aur mazboot ilm walay hain aur eman walay hain jo uss per eman latay hain jo aap ki taraf utara gaya hai aur jo aap say pehlay utara gaya aur namzon ko qaeem rakhney walay hain aur zakat kay ada kerney walay hain aur Allah per aur qayamat kay din per eman rakhney walay hain yeh hain jinhen hum boht baray ajar ata farmayen gay
Surah An-Nisa, Verse 162
۞إِنَّآ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ كَمَآ أَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ نُوحٖ وَٱلنَّبِيِّـۧنَ مِنۢ بَعۡدِهِۦۚ وَأَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَإِسۡمَٰعِيلَ وَإِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَ وَٱلۡأَسۡبَاطِ وَعِيسَىٰ وَأَيُّوبَ وَيُونُسَ وَهَٰرُونَ وَسُلَيۡمَٰنَۚ وَءَاتَيۡنَا دَاوُۥدَ زَبُورٗا
Yaqeenan hum ney aap ki taraf issi tarah wahee ki hai jaisay kay nooh (alh-e-salam) aur inn kay baad walay nabiyon ki taraf ki aur hum ney wahee ki ibrahim aur isamail aur ishaq aur yaqoob aur unn ki aulad per aur essa aur ayub aur younus aur haroon aur suleman ki taraf. Aur hum ney dawood (alh-e-salam) ko zaboor ata farmaee
Surah An-Nisa, Verse 163
وَرُسُلٗا قَدۡ قَصَصۡنَٰهُمۡ عَلَيۡكَ مِن قَبۡلُ وَرُسُلٗا لَّمۡ نَقۡصُصۡهُمۡ عَلَيۡكَۚ وَكَلَّمَ ٱللَّهُ مُوسَىٰ تَكۡلِيمٗا
Aur aap say pehlay kay boht say rasoolon kay waqiyaat hum ney aap say biyan kiye hain aur boht say rasoolon kay nahi bhi kiye aur musa (alh-e-salam) say Allah Taalaa ney saaf tor per kalaam kiya
Surah An-Nisa, Verse 164
رُّسُلٗا مُّبَشِّرِينَ وَمُنذِرِينَ لِئَلَّا يَكُونَ لِلنَّاسِ عَلَى ٱللَّهِ حُجَّةُۢ بَعۡدَ ٱلرُّسُلِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمٗا
Hum ney enhen rasool banaya hai khushkhabriyan sunaney walay aur aagah kerney walay takay logon ki koi hujjat aur ilzam rasoolon kay bhejney kay baad Allah Taalaa per reh na jaye. Allah Taalaa bara ghalib aur bara hikmat wala hai
Surah An-Nisa, Verse 165
لَّـٰكِنِ ٱللَّهُ يَشۡهَدُ بِمَآ أَنزَلَ إِلَيۡكَۖ أَنزَلَهُۥ بِعِلۡمِهِۦۖ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يَشۡهَدُونَۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدًا
Jo kuch aap ki taraf utara hai uss ki babat khud Allah Taalaa gawahi deta hai kay issay apney ilm say utara hai aur farishtay bhi gawahi detay hain aur Allah Taalaa bator gawah kafi hai
Surah An-Nisa, Verse 166
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ قَدۡ ضَلُّواْ ضَلَٰلَۢا بَعِيدًا
Jin logon ney kufur kiya aur Allah Taalaa ki raah say auron ko roka woh yaqeenan gumrahi mein door nikal gay
Surah An-Nisa, Verse 167
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَظَلَمُواْ لَمۡ يَكُنِ ٱللَّهُ لِيَغۡفِرَ لَهُمۡ وَلَا لِيَهۡدِيَهُمۡ طَرِيقًا
Jin logon ney kufur kiya aur zulm kiya unhen Allah Taalaa hergiz hergiz na bakshay ga aur na unhen koi raah dikhaye ga
Surah An-Nisa, Verse 168
إِلَّا طَرِيقَ جَهَنَّمَ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۚ وَكَانَ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٗا
Ba-juz jahannum ki raah kay jiss mein woh hamesha hamesha paray rahen gay aur yeh Allah Taalaa per bilkul aasan hai
Surah An-Nisa, Verse 169
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ قَدۡ جَآءَكُمُ ٱلرَّسُولُ بِٱلۡحَقِّ مِن رَّبِّكُمۡ فَـَٔامِنُواْ خَيۡرٗا لَّكُمۡۚ وَإِن تَكۡفُرُواْ فَإِنَّ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Aey logo! Tumharay pass tumharya rab ki taraf say haq ley ker rasool aagaya hai pus tum eman lao takay tumharay liye behtri ho aur agar tum kafir hogaye to Allah hi ki hai her woh cheez jo aasmanon aur zamin mein hai aur Allah daana hai hikmat wala hai
Surah An-Nisa, Verse 170
يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لَا تَغۡلُواْ فِي دِينِكُمۡ وَلَا تَقُولُواْ عَلَى ٱللَّهِ إِلَّا ٱلۡحَقَّۚ إِنَّمَا ٱلۡمَسِيحُ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ رَسُولُ ٱللَّهِ وَكَلِمَتُهُۥٓ أَلۡقَىٰهَآ إِلَىٰ مَرۡيَمَ وَرُوحٞ مِّنۡهُۖ فَـَٔامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦۖ وَلَا تَقُولُواْ ثَلَٰثَةٌۚ ٱنتَهُواْ خَيۡرٗا لَّكُمۡۚ إِنَّمَا ٱللَّهُ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞۖ سُبۡحَٰنَهُۥٓ أَن يَكُونَ لَهُۥ وَلَدٞۘ لَّهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۗ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَكِيلٗا
Aey ehal-e-kitab! Apney deen kay baray mein hadd say na guzar jao aur Allah per ba-juz haq kay aur kuch na kaho maseeh essa bin marium (alh-e-salam) to sirf Allah Taalaa kay rasool aur uss kay kalma (kunn say peda shuda) hain jisay marium (alh-e-salam) ki taraf daal diya tha aur uss kay pass ki rooh hain iss liye tum Allah ko aur uss kay sab rasoolon ko maano aur na kaho kay Allah teen hain iss say baaz aajao kay tumharay liye behtri hai Allah ibadat kay laeeq to sirf aik hi hai aur woh iss say pak hai kay uss ki aulad ho ussi kay liye hai jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zamin mein hai. Aur Allah kafi hai kaam bananey wala
Surah An-Nisa, Verse 171
لَّن يَسۡتَنكِفَ ٱلۡمَسِيحُ أَن يَكُونَ عَبۡدٗا لِّلَّهِ وَلَا ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ ٱلۡمُقَرَّبُونَۚ وَمَن يَسۡتَنكِفۡ عَنۡ عِبَادَتِهِۦ وَيَسۡتَكۡبِرۡ فَسَيَحۡشُرُهُمۡ إِلَيۡهِ جَمِيعٗا
Maseeh (alh-e-salam) ko Allah ka banda honey mein ko nang-o-aar ya takabbur-o-inkar hergiz ho hi nahi sakta aur na muqarrab farishton ko uss ki bandagi say jo bhi dil churaye aur takabbur-o-inkar keray Allah Taalaa unn sab ko ikhatta apni taraf jama keray ga
Surah An-Nisa, Verse 172
فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ فَيُوَفِّيهِمۡ أُجُورَهُمۡ وَيَزِيدُهُم مِّن فَضۡلِهِۦۖ وَأَمَّا ٱلَّذِينَ ٱسۡتَنكَفُواْ وَٱسۡتَكۡبَرُواْ فَيُعَذِّبُهُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا وَلَا يَجِدُونَ لَهُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ وَلِيّٗا وَلَا نَصِيرٗا
Pus jo log eman laye hain aur shaista aemaal kiye hain unn ko unn ka poora poora sawab inayat farmaye ga aur apney fazal say unhen aur ziyada dey ga aur jin logon ney nang-o-aar aur sikashi aur inkar kiya unhen alam naak azab dey ga aur woh apney liye siwaye Allah kay koi himayati aur imdad kerney wala na payen gay
Surah An-Nisa, Verse 173
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ قَدۡ جَآءَكُم بُرۡهَٰنٞ مِّن رَّبِّكُمۡ وَأَنزَلۡنَآ إِلَيۡكُمۡ نُورٗا مُّبِينٗا
Aey logo tumharay pass tumharay rab ki taraf say sanad aur daleel aa phonchi aur hum ney tumhari janib wazeh aur saaf noor utaar diya hai
Surah An-Nisa, Verse 174
فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَٱعۡتَصَمُواْ بِهِۦ فَسَيُدۡخِلُهُمۡ فِي رَحۡمَةٖ مِّنۡهُ وَفَضۡلٖ وَيَهۡدِيهِمۡ إِلَيۡهِ صِرَٰطٗا مُّسۡتَقِيمٗا
Pus jo log Allah Taalaa per eman laye aur ussay mazboot pakar liya unhen to woh un-qarib apni rehmat mein ley ley ga aur unhen apni taraf ki raah-e-raast dikha dey ga
Surah An-Nisa, Verse 175
يَسۡتَفۡتُونَكَ قُلِ ٱللَّهُ يُفۡتِيكُمۡ فِي ٱلۡكَلَٰلَةِۚ إِنِ ٱمۡرُؤٌاْ هَلَكَ لَيۡسَ لَهُۥ وَلَدٞ وَلَهُۥٓ أُخۡتٞ فَلَهَا نِصۡفُ مَا تَرَكَۚ وَهُوَ يَرِثُهَآ إِن لَّمۡ يَكُن لَّهَا وَلَدٞۚ فَإِن كَانَتَا ٱثۡنَتَيۡنِ فَلَهُمَا ٱلثُّلُثَانِ مِمَّا تَرَكَۚ وَإِن كَانُوٓاْ إِخۡوَةٗ رِّجَالٗا وَنِسَآءٗ فَلِلذَّكَرِ مِثۡلُ حَظِّ ٱلۡأُنثَيَيۡنِۗ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ أَن تَضِلُّواْۗ وَٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمُۢ
Aap say fatwa poochtay hain aap keh dijiye kay Allah Taalaa (khud) tumhen kalala kay baray mein fatwa deta hai. Agar koi shaks marr jaye jiss ki aulad na ho aur aik behan ho to uss kay liye choray huye maal ka aadha hissa hai aur woh bhai uss behan ka waris hoga agar uss ki aulad na ho. Pus agar behnen do hon to unhen kul choray huye ka do tehaee milay ga. Aur agar koi shaks iss natay kay hain mard bhi aur aurten bhi to mard kay liye hissa hai misil do aurton kay Allah Taalaa tumharay liye biyan farma raha hai kay aisa na ho kay tum behak jao aur Allah Taalaa her cheez say waqif hai
Surah An-Nisa, Verse 176