Surah An-Nisa - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱتَّقُواْ رَبَّكُمُ ٱلَّذِي خَلَقَكُم مِّن نَّفۡسٖ وَٰحِدَةٖ وَخَلَقَ مِنۡهَا زَوۡجَهَا وَبَثَّ مِنۡهُمَا رِجَالٗا كَثِيرٗا وَنِسَآءٗۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِي تَسَآءَلُونَ بِهِۦ وَٱلۡأَرۡحَامَۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلَيۡكُمۡ رَقِيبٗا
Logon! Apne Rubb se daro jisne tumko ek jaan se paida kiya aur usi jaan se uska joda banaya aur un dono se bahut mard o aurat duniya mein phayla diye, us khuda se daro jiska waasta dekar tum ek dusre se apne haqq maangte ho, aur rishta o qarabat ke taluqaat ko bigaadne se parheiz karo, yaqeen jaano ke Allah tumpar nigrani kar raha hai
Surah An-Nisa, Verse 1
وَءَاتُواْ ٱلۡيَتَٰمَىٰٓ أَمۡوَٰلَهُمۡۖ وَلَا تَتَبَدَّلُواْ ٱلۡخَبِيثَ بِٱلطَّيِّبِۖ وَلَا تَأۡكُلُوٓاْ أَمۡوَٰلَهُمۡ إِلَىٰٓ أَمۡوَٰلِكُمۡۚ إِنَّهُۥ كَانَ حُوبٗا كَبِيرٗا
Yateemon ke maal unko wapas do, acchey maal ko burey maal se na badal lo, aur unke maal apne maal ke saath mila kar na kha jao, yeh bahut bada gunaah hai
Surah An-Nisa, Verse 2
وَإِنۡ خِفۡتُمۡ أَلَّا تُقۡسِطُواْ فِي ٱلۡيَتَٰمَىٰ فَٱنكِحُواْ مَا طَابَ لَكُم مِّنَ ٱلنِّسَآءِ مَثۡنَىٰ وَثُلَٰثَ وَرُبَٰعَۖ فَإِنۡ خِفۡتُمۡ أَلَّا تَعۡدِلُواْ فَوَٰحِدَةً أَوۡ مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡۚ ذَٰلِكَ أَدۡنَىٰٓ أَلَّا تَعُولُواْ
Aur agar tum yateemon ke saath be-insafi karne se darte ho to jo auratein tumko pasand aayein unmein se do do, teen teen, char char se nikah karlo, lekin agar tumhein andesha ho ke unke saath adal na kar sakoge to phir ek hi biwi karo ya un auraton ko zaojiyat mein lao jo tumhare qabze mein aayi hain, be insafi se bachne ke liye yeh zyada qareen e sawab hai
Surah An-Nisa, Verse 3
وَءَاتُواْ ٱلنِّسَآءَ صَدُقَٰتِهِنَّ نِحۡلَةٗۚ فَإِن طِبۡنَ لَكُمۡ عَن شَيۡءٖ مِّنۡهُ نَفۡسٗا فَكُلُوهُ هَنِيٓـٔٗا مَّرِيٓـٔٗا
Aur auraton ke mehar khush dili ke saath (farz jaante huey) ada karo, albatta agar woh khud apni khushi se mehar ka koi hissa tumhein maaf kardein to usey tum mazey se kha sakte ho
Surah An-Nisa, Verse 4
وَلَا تُؤۡتُواْ ٱلسُّفَهَآءَ أَمۡوَٰلَكُمُ ٱلَّتِي جَعَلَ ٱللَّهُ لَكُمۡ قِيَٰمٗا وَٱرۡزُقُوهُمۡ فِيهَا وَٱكۡسُوهُمۡ وَقُولُواْ لَهُمۡ قَوۡلٗا مَّعۡرُوفٗا
Aur apne woh maal jinhein Allah ne tumhare liye qayaam e zindagi ka zairya banaya hai, nadaan logon ke hawale na karo, albatta unhein khane aur pehanne ke liye do aur unhein neik hidayat karo
Surah An-Nisa, Verse 5
وَٱبۡتَلُواْ ٱلۡيَتَٰمَىٰ حَتَّىٰٓ إِذَا بَلَغُواْ ٱلنِّكَاحَ فَإِنۡ ءَانَسۡتُم مِّنۡهُمۡ رُشۡدٗا فَٱدۡفَعُوٓاْ إِلَيۡهِمۡ أَمۡوَٰلَهُمۡۖ وَلَا تَأۡكُلُوهَآ إِسۡرَافٗا وَبِدَارًا أَن يَكۡبَرُواْۚ وَمَن كَانَ غَنِيّٗا فَلۡيَسۡتَعۡفِفۡۖ وَمَن كَانَ فَقِيرٗا فَلۡيَأۡكُلۡ بِٱلۡمَعۡرُوفِۚ فَإِذَا دَفَعۡتُمۡ إِلَيۡهِمۡ أَمۡوَٰلَهُمۡ فَأَشۡهِدُواْ عَلَيۡهِمۡۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ حَسِيبٗا
Aur yateemon ki aazmaish karte raho yaha tak ke woh nikah ke qabil umar ko pahunch jayein. Phir agar tum unke andar ehliyat paao (mature of mind) to unke maal unke hawale kardo , aisa kabhi na karna ke hadd e insaf se tajawuz karke is khauf se unke maal jaldi jaldi kha jao ke woh baday hokar apne haqq ka mutaliba karenge. Yateem ka jo sarparast maaldaar ho woh parheizgari se kaam le aur jo gareeb ho woh maroof tareeqe se khaye. Phir jab unke maal unke hawale karne lago to logon ko ispar gawah bana lo, aur hisab lene ke liye Allah kafi hai
Surah An-Nisa, Verse 6
لِّلرِّجَالِ نَصِيبٞ مِّمَّا تَرَكَ ٱلۡوَٰلِدَانِ وَٱلۡأَقۡرَبُونَ وَلِلنِّسَآءِ نَصِيبٞ مِّمَّا تَرَكَ ٱلۡوَٰلِدَانِ وَٱلۡأَقۡرَبُونَ مِمَّا قَلَّ مِنۡهُ أَوۡ كَثُرَۚ نَصِيبٗا مَّفۡرُوضٗا
Mardon ke liye us maal mein hissa hai jo Maa Baap aur rishtedar ne choda ho, aur auraton ke liye bhi us maal mein hissa hai jo Maa Baap aur rishtedaron ne choda ho, khwah thoda ho ya bahut , aur yeh hissa (Allah ki taraf se) muqarrar hai
Surah An-Nisa, Verse 7
وَإِذَا حَضَرَ ٱلۡقِسۡمَةَ أُوْلُواْ ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينُ فَٱرۡزُقُوهُم مِّنۡهُ وَقُولُواْ لَهُمۡ قَوۡلٗا مَّعۡرُوفٗا
Aur jab taqseem ke mauqe par kumbe(family) ke log aur yateem aur miskeen aayein to is maal mein se unko bhi kuch do aur unke saath bhale manas-on (insano) ki si baat karo(speak to them kindly)
Surah An-Nisa, Verse 8
وَلۡيَخۡشَ ٱلَّذِينَ لَوۡ تَرَكُواْ مِنۡ خَلۡفِهِمۡ ذُرِّيَّةٗ ضِعَٰفًا خَافُواْ عَلَيۡهِمۡ فَلۡيَتَّقُواْ ٱللَّهَ وَلۡيَقُولُواْ قَوۡلٗا سَدِيدًا
Logon ko is baat ka khayal karke darna chahiye ke agar woh khud apne pichey bebas aulad chodhte to marte waqt unhein apne bacchon ke haqq mein kaise kuch andeshey lahiq hotey. Pas chahiye ke woh khuda ka khauf karein aur raasti ki baat karein
Surah An-Nisa, Verse 9
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَأۡكُلُونَ أَمۡوَٰلَ ٱلۡيَتَٰمَىٰ ظُلۡمًا إِنَّمَا يَأۡكُلُونَ فِي بُطُونِهِمۡ نَارٗاۖ وَسَيَصۡلَوۡنَ سَعِيرٗا
Jo log zulm ke saath yateemon ke maal khate hain dar-haqeeqat woh apne pait aag se bharte hain aur woh zaroor jahannum ki bhadakti hui aag mein jhonke jayenge
Surah An-Nisa, Verse 10
يُوصِيكُمُ ٱللَّهُ فِيٓ أَوۡلَٰدِكُمۡۖ لِلذَّكَرِ مِثۡلُ حَظِّ ٱلۡأُنثَيَيۡنِۚ فَإِن كُنَّ نِسَآءٗ فَوۡقَ ٱثۡنَتَيۡنِ فَلَهُنَّ ثُلُثَا مَا تَرَكَۖ وَإِن كَانَتۡ وَٰحِدَةٗ فَلَهَا ٱلنِّصۡفُۚ وَلِأَبَوَيۡهِ لِكُلِّ وَٰحِدٖ مِّنۡهُمَا ٱلسُّدُسُ مِمَّا تَرَكَ إِن كَانَ لَهُۥ وَلَدٞۚ فَإِن لَّمۡ يَكُن لَّهُۥ وَلَدٞ وَوَرِثَهُۥٓ أَبَوَاهُ فَلِأُمِّهِ ٱلثُّلُثُۚ فَإِن كَانَ لَهُۥٓ إِخۡوَةٞ فَلِأُمِّهِ ٱلسُّدُسُۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصِي بِهَآ أَوۡ دَيۡنٍۗ ءَابَآؤُكُمۡ وَأَبۡنَآؤُكُمۡ لَا تَدۡرُونَ أَيُّهُمۡ أَقۡرَبُ لَكُمۡ نَفۡعٗاۚ فَرِيضَةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Tumhari aulad ke barey mein Allah tumhein hidayat karta hai ke : Mard ka hissa do auraton ke barabar hai, agar ( mayyat ki waris) do se zayid ladkiyan hon to unhein tarke(inheritance) ka do tihayi (2/3rd) diya jaye, aur agar ek hi ladki waris ho to aadha (half) tarka uska hai, agar mayyat sahib e aulad ho to uske walidain mein se har ek ko tarke ka chatta (sixth) hissa milna chahiye, aur agar woh sahib e aulad na ho aur walidain hi uske waris hon to Maa ko tisra (third) hissa diya jaye aur agar mayyat ke bhai behan bhi hon to Maa chattey (sixth) hissey ki haqqdar hogi. (Yeh sab hissey us waqt nikale jayein) jabke wasiyat jo mayyat ne ki ho poori kardi jaye aur qarz jo uspar ho ada kardiya jaye. Tum nahin jaante ke tumhare Maa Baap aur tumhari aulad mein se kaun balihaaz-e-nafa tumse qareeb tarr hai. Yeh hissey Allah ne muqarrar kardiye hain, aur Allah yaqeenan sab haqeeqaton se waqif aur saari maslihaton ka jaanne wala hai
Surah An-Nisa, Verse 11
۞وَلَكُمۡ نِصۡفُ مَا تَرَكَ أَزۡوَٰجُكُمۡ إِن لَّمۡ يَكُن لَّهُنَّ وَلَدٞۚ فَإِن كَانَ لَهُنَّ وَلَدٞ فَلَكُمُ ٱلرُّبُعُ مِمَّا تَرَكۡنَۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصِينَ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٖۚ وَلَهُنَّ ٱلرُّبُعُ مِمَّا تَرَكۡتُمۡ إِن لَّمۡ يَكُن لَّكُمۡ وَلَدٞۚ فَإِن كَانَ لَكُمۡ وَلَدٞ فَلَهُنَّ ٱلثُّمُنُ مِمَّا تَرَكۡتُمۚ مِّنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ تُوصُونَ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٖۗ وَإِن كَانَ رَجُلٞ يُورَثُ كَلَٰلَةً أَوِ ٱمۡرَأَةٞ وَلَهُۥٓ أَخٌ أَوۡ أُخۡتٞ فَلِكُلِّ وَٰحِدٖ مِّنۡهُمَا ٱلسُّدُسُۚ فَإِن كَانُوٓاْ أَكۡثَرَ مِن ذَٰلِكَ فَهُمۡ شُرَكَآءُ فِي ٱلثُّلُثِۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصَىٰ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٍ غَيۡرَ مُضَآرّٖۚ وَصِيَّةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَلِيمٞ
Aur tumhari biwiyon ne jo kuch choda ho uska aadha hissa tumhein milega agar woh be-aulad hon, warna aulad honay ki surat mein tarke ka ek chuthayi (one fourth) hissa tumhara hai jabke wasiyat jo unhon ne ki ho poori kardi jaye, aur qarz jo unhon ne choda ho ada kardiya jaye, aur woh tumhare tarke mein se chauthayi ki haqqdar hongi agar tum be-aulad ho, warna sahib e aulad honay ki surat mein unka hissa aathwa (eighth) hoga, baad iske ke jo wasiyat tumne ki ho woh poori kardi jaye aur jo qarz tumne choda ho woh ada kardiya jaye aur agar woh mard ya aurat ( jiski miras taqseem talab hai) be-aulad bhi ho aur uske Maa baap bhi zinda na hon, magar uska ek bhai ya ek behan maujood ho to bhai aur behan har ek ko chatta(sixth) hissa milega, aur bhai behan ek se zyada hon to kul tarke ke ek tihayi (one third) mein woh sab shareek honge, jabke wasiyat jo ki gayi ho poori kardi jaye, aur qarz jo mayyat ne choda ho ada kardiya jaye, bashrat ye ke woh zarrar rasan na ho (causes no injury). Yeh hukum Allah ki taraf se aur Allah daana o beena aur narm-khu hai
Surah An-Nisa, Verse 12
تِلۡكَ حُدُودُ ٱللَّهِۚ وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ يُدۡخِلۡهُ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ وَذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Yeh Allah ki muqarrar ki hui haddein (limits) hain. Jo Allah aur uske Rasool ki itaat karega usey Allah aisey baaghon mein dakhil karega jinke nichey nehrein behti hongi aur un baaghon mein woh hamesha rahega aur yahi badi kamiyabi hai
Surah An-Nisa, Verse 13
وَمَن يَعۡصِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَيَتَعَدَّ حُدُودَهُۥ يُدۡخِلۡهُ نَارًا خَٰلِدٗا فِيهَا وَلَهُۥ عَذَابٞ مُّهِينٞ
Aur jo Allah aur uske Rasool ki nafarmani karega aur uski muqarrar ki hui haddon (limits) se tajawuz kar jayega usey Allah aag mein daalega jismein woh hamesha rahega aur uske liye ruswa-kun saza hai
Surah An-Nisa, Verse 14
وَٱلَّـٰتِي يَأۡتِينَ ٱلۡفَٰحِشَةَ مِن نِّسَآئِكُمۡ فَٱسۡتَشۡهِدُواْ عَلَيۡهِنَّ أَرۡبَعَةٗ مِّنكُمۡۖ فَإِن شَهِدُواْ فَأَمۡسِكُوهُنَّ فِي ٱلۡبُيُوتِ حَتَّىٰ يَتَوَفَّىٰهُنَّ ٱلۡمَوۡتُ أَوۡ يَجۡعَلَ ٱللَّهُ لَهُنَّ سَبِيلٗا
Tumhari auraton mein se jo badhkari ki murtakib hon unpar apne mein se char aadmiyon ki gawahi lo , aur agar char aadmi gawahi de dein to unko gharon mein bandh rakkho yahan tak ke unhein maut aa jaye ya Allah unke liye koi raasta nikal de
Surah An-Nisa, Verse 15
وَٱلَّذَانِ يَأۡتِيَٰنِهَا مِنكُمۡ فَـَٔاذُوهُمَاۖ فَإِن تَابَا وَأَصۡلَحَا فَأَعۡرِضُواْ عَنۡهُمَآۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ تَوَّابٗا رَّحِيمًا
Aur tum mein se jo is fail ka irtekab karein un dono ko takleef do , phir agar woh tawba karein aur apni islah karlein to unhein chodh do ke Allah bahut tawba qabool karne wala aur reham farmane wala hai
Surah An-Nisa, Verse 16
إِنَّمَا ٱلتَّوۡبَةُ عَلَى ٱللَّهِ لِلَّذِينَ يَعۡمَلُونَ ٱلسُّوٓءَ بِجَهَٰلَةٖ ثُمَّ يَتُوبُونَ مِن قَرِيبٖ فَأُوْلَـٰٓئِكَ يَتُوبُ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Haan yeh jaan lo ke Allah par tawba ki qabooliyat ka haqq unhi logon ke liye hai jo nadaani ki wajah se koi bura fail (amal) kar guzarte hain aur uske baad jaldi hi tawba karlete hain. Aise logon par Allah apni nazar e inayat se phir mutawajjaeh ho jata hai aur Allah saari baaton ki khabar rakhne wala aur hakeem o dana hai
Surah An-Nisa, Verse 17
وَلَيۡسَتِ ٱلتَّوۡبَةُ لِلَّذِينَ يَعۡمَلُونَ ٱلسَّيِّـَٔاتِ حَتَّىٰٓ إِذَا حَضَرَ أَحَدَهُمُ ٱلۡمَوۡتُ قَالَ إِنِّي تُبۡتُ ٱلۡـَٰٔنَ وَلَا ٱلَّذِينَ يَمُوتُونَ وَهُمۡ كُفَّارٌۚ أُوْلَـٰٓئِكَ أَعۡتَدۡنَا لَهُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا
Magar tawba un logon ke liye nahin hai jo burey kaam kiye chale jatey hain yahan tak ke jab unmein se kisi ki maut ka waqt aa jata hai us waqt woh kehta hai ke ab maine tawba ki, aur isi tarah tawba unke liye bhi nahin hai jo marte dum tak kafir rahein .Aisey logon ke liye to humne dardnaak saza tayyar kar rakkhi hai
Surah An-Nisa, Verse 18
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا يَحِلُّ لَكُمۡ أَن تَرِثُواْ ٱلنِّسَآءَ كَرۡهٗاۖ وَلَا تَعۡضُلُوهُنَّ لِتَذۡهَبُواْ بِبَعۡضِ مَآ ءَاتَيۡتُمُوهُنَّ إِلَّآ أَن يَأۡتِينَ بِفَٰحِشَةٖ مُّبَيِّنَةٖۚ وَعَاشِرُوهُنَّ بِٱلۡمَعۡرُوفِۚ فَإِن كَرِهۡتُمُوهُنَّ فَعَسَىٰٓ أَن تَكۡرَهُواْ شَيۡـٔٗا وَيَجۡعَلَ ٱللَّهُ فِيهِ خَيۡرٗا كَثِيرٗا
Aey logon jo iman laye ho, tumhare liye yeh halal nahin hai ke zabardasti auraton ke waris ban baitho aur na yeh halal hai ke unhein tangg karke us mehar ka kuch hissa udha lene ki koshish karo jo tum unhein de chuke ho. Haan agar woh kisi sareeh badh-chalani ki murtakib hon (to zaroor tumhein tangg karne ka haqq hai). Unke saath bhale tareeqe se zindagi basar karo, agar woh tumhein na-pasand hon to ho sakta hai ke ek cheez tumhein pasand na ho magar Allah ne usi mein bahut kuch bhalayi rakh di ho
Surah An-Nisa, Verse 19
وَإِنۡ أَرَدتُّمُ ٱسۡتِبۡدَالَ زَوۡجٖ مَّكَانَ زَوۡجٖ وَءَاتَيۡتُمۡ إِحۡدَىٰهُنَّ قِنطَارٗا فَلَا تَأۡخُذُواْ مِنۡهُ شَيۡـًٔاۚ أَتَأۡخُذُونَهُۥ بُهۡتَٰنٗا وَإِثۡمٗا مُّبِينٗا
Aur agar tum ek biwi ki jagah dusri biwi le aane ka irada hi karlo to khwah tumne usey dhair sa maal hi kyun na diya ho, usmein se kuch wapas na lena, kya tum usey bohtan laga kar aur sareeh zulm karke wapas logey
Surah An-Nisa, Verse 20
وَكَيۡفَ تَأۡخُذُونَهُۥ وَقَدۡ أَفۡضَىٰ بَعۡضُكُمۡ إِلَىٰ بَعۡضٖ وَأَخَذۡنَ مِنكُم مِّيثَٰقًا غَلِيظٗا
Aur aakhir tum usey kis tarah le logey jabke tum ek dusre se lutf-andoz ho chuke ho aur woh tumse pukhta ahad le chuki hain
Surah An-Nisa, Verse 21
وَلَا تَنكِحُواْ مَا نَكَحَ ءَابَآؤُكُم مِّنَ ٱلنِّسَآءِ إِلَّا مَا قَدۡ سَلَفَۚ إِنَّهُۥ كَانَ فَٰحِشَةٗ وَمَقۡتٗا وَسَآءَ سَبِيلًا
Aur jin auraton se tumhare baap nikah kar chuke hon unse hargiz nikah na karo, magar jo pehle ho chuka so ho chuka. Dar-haqeeqat yeh ek behayayi ka fail (kaam) hai, napasandida hai aur bura chalan hai
Surah An-Nisa, Verse 22
حُرِّمَتۡ عَلَيۡكُمۡ أُمَّهَٰتُكُمۡ وَبَنَاتُكُمۡ وَأَخَوَٰتُكُمۡ وَعَمَّـٰتُكُمۡ وَخَٰلَٰتُكُمۡ وَبَنَاتُ ٱلۡأَخِ وَبَنَاتُ ٱلۡأُخۡتِ وَأُمَّهَٰتُكُمُ ٱلَّـٰتِيٓ أَرۡضَعۡنَكُمۡ وَأَخَوَٰتُكُم مِّنَ ٱلرَّضَٰعَةِ وَأُمَّهَٰتُ نِسَآئِكُمۡ وَرَبَـٰٓئِبُكُمُ ٱلَّـٰتِي فِي حُجُورِكُم مِّن نِّسَآئِكُمُ ٱلَّـٰتِي دَخَلۡتُم بِهِنَّ فَإِن لَّمۡ تَكُونُواْ دَخَلۡتُم بِهِنَّ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ وَحَلَـٰٓئِلُ أَبۡنَآئِكُمُ ٱلَّذِينَ مِنۡ أَصۡلَٰبِكُمۡ وَأَن تَجۡمَعُواْ بَيۡنَ ٱلۡأُخۡتَيۡنِ إِلَّا مَا قَدۡ سَلَفَۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
Tum par haram ki gayi tumhari Maayein (mothers) , betiyan, behnein, phoopiyan, khalayein , bhatijiyan, bhanjiyan aur tumhari woh Maayein jinhon ne tumko doodh pilaya ho, aur tumhari doodh shareek behnein, aur tumhari biwiyon ki maayein, aur tumhari biwiyon ki ladkiyan jinhon ne tumhari godhon (laps) mein parwarish payi hai , un biwiyon ki ladkiyan jinsey tumhara taaluq zan o shaw (intimate relation) ho chukka ho warna agar (sirf nikah hua ho aur) taaluq e zan o shaw (intimate relation) na hua ho to (unhein chodh kar unki ladkiyon se nikah karlene mein) tumpar koi mwazkhza nahin hai, aur tumhare un beton ki biwiyan jo tumhari sulb se hon (sprung from you loins) aur yeh bhi tumpar haram kiya gaya hai ke nikah mein do behon ko jamaa karo, magar jo pehle ho gaya so ho gaya, Allah bakshne wala aur reham karne wala hai
Surah An-Nisa, Verse 23
۞وَٱلۡمُحۡصَنَٰتُ مِنَ ٱلنِّسَآءِ إِلَّا مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡۖ كِتَٰبَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡۚ وَأُحِلَّ لَكُم مَّا وَرَآءَ ذَٰلِكُمۡ أَن تَبۡتَغُواْ بِأَمۡوَٰلِكُم مُّحۡصِنِينَ غَيۡرَ مُسَٰفِحِينَۚ فَمَا ٱسۡتَمۡتَعۡتُم بِهِۦ مِنۡهُنَّ فَـَٔاتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ فَرِيضَةٗۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ فِيمَا تَرَٰضَيۡتُم بِهِۦ مِنۢ بَعۡدِ ٱلۡفَرِيضَةِۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Aur woh auratein bhi tumpar haram hain jo kisi dusre ke nikah mein hon (mohsenaat) albatta aisi auratein issey mustasna hain jo (jung mein ) tumhare haath aayein. Yeh Allah ka kanoon hai jiski pabandi tumpar lazim kardi gayi hai. Inke ma-siwa jitni auratein hain unhein apne amwal ke zariye se hasil karna tumhare liye halal kardiya gaya hai, bashart ye ke hisaar nikah mein unko mehfooz karo, na yeh ke azaad shehwat rani (satisfaction of lust) karne lago, phir jo izdhwaji zindagi ka lutf tum unsey uthao uske badle unke mehar batoar farz ada karo. Albatta mehar ki karaardaad ho janey ke baad aapas ki razamandi se tumhare darmiyan agar koi samjhota ho jaye to ismein koi haraj nahin. Allah Aleem aur Dana(wise) hai
Surah An-Nisa, Verse 24
وَمَن لَّمۡ يَسۡتَطِعۡ مِنكُمۡ طَوۡلًا أَن يَنكِحَ ٱلۡمُحۡصَنَٰتِ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ فَمِن مَّا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُم مِّن فَتَيَٰتِكُمُ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتِۚ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِإِيمَٰنِكُمۚ بَعۡضُكُم مِّنۢ بَعۡضٖۚ فَٱنكِحُوهُنَّ بِإِذۡنِ أَهۡلِهِنَّ وَءَاتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ بِٱلۡمَعۡرُوفِ مُحۡصَنَٰتٍ غَيۡرَ مُسَٰفِحَٰتٖ وَلَا مُتَّخِذَٰتِ أَخۡدَانٖۚ فَإِذَآ أُحۡصِنَّ فَإِنۡ أَتَيۡنَ بِفَٰحِشَةٖ فَعَلَيۡهِنَّ نِصۡفُ مَا عَلَى ٱلۡمُحۡصَنَٰتِ مِنَ ٱلۡعَذَابِۚ ذَٰلِكَ لِمَنۡ خَشِيَ ٱلۡعَنَتَ مِنكُمۡۚ وَأَن تَصۡبِرُواْ خَيۡرٞ لَّكُمۡۗ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Aur jo shaks tum mein se itni maqdarat na rakhta ho ke khandani musalmaan auraton (mohsenaat) se nikah kar sakey usey chahiye ke tumhari un laudhiyon mein se kisi ke saath nikah karle jo tumhare qabze mein hon aur momina hon. Allah tumhare imaano ka haal khoob jaanta hai. Tum sab ek hi giroh ke log ho, lihaza unke sarparaston(guradians) ki ijazat se unke saath nikah karlo aur maroof tareeqe se unke mehar ada kardo, taa-ke woh hisar e nikah mein mehfooz (mohsenaat) hokar rahein, azaad shehwat-rani karti phirein aur na chori chupe aashnayian karein(secret love affairs). Phir jab woh hisar e nikah mein mehfooz ho jayein aur uske baad kisi badh-chalni ki murtakib hon to unpar us saza ki ba-nisbat aadhi saza hai jo khandani auraton (mohsenaat) ke liye muqarrar hai. Yeh sahulat tum mein se un logon ke liye paida ki gayi hai jinko shadi na karne se bandh-e-taqwa ke toot jaane ka andesha ho. Lekin agar tum sabr karo to yeh tumhare liye behtar hai. Aur Allah bakshne wala aur reham farmane wala hai
Surah An-Nisa, Verse 25
يُرِيدُ ٱللَّهُ لِيُبَيِّنَ لَكُمۡ وَيَهۡدِيَكُمۡ سُنَنَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِكُمۡ وَيَتُوبَ عَلَيۡكُمۡۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
Allah chahta hai ke tumpar un tareeqon ko wazeh karey aur unhi tareeqon par tumhein chalaye jinki pairwi tumse pehle guzre huey sulaha (righteous) karte thay. Woh apni rehmat ke saath tumhari taraf mutawajjeh honay ka irada rakhta hai. Aur woh aleem bhi hai aur dana bhi
Surah An-Nisa, Verse 26
وَٱللَّهُ يُرِيدُ أَن يَتُوبَ عَلَيۡكُمۡ وَيُرِيدُ ٱلَّذِينَ يَتَّبِعُونَ ٱلشَّهَوَٰتِ أَن تَمِيلُواْ مَيۡلًا عَظِيمٗا
Haan, Allah to tumpar rehmat ke saath tawajju karna chahta hai magar jo log khud apni khwahishat e nafs ki pairwi kar rahey hain woh chahte hein ke tum raah e raast se hatt kar door nikal jao
Surah An-Nisa, Verse 27
يُرِيدُ ٱللَّهُ أَن يُخَفِّفَ عَنكُمۡۚ وَخُلِقَ ٱلۡإِنسَٰنُ ضَعِيفٗا
Allah tumpar se pabandiyon ko halka karna chahta hai kyunke insan kamzoar paida kiya gaya hai
Surah An-Nisa, Verse 28
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَأۡكُلُوٓاْ أَمۡوَٰلَكُم بَيۡنَكُم بِٱلۡبَٰطِلِ إِلَّآ أَن تَكُونَ تِجَٰرَةً عَن تَرَاضٖ مِّنكُمۡۚ وَلَا تَقۡتُلُوٓاْ أَنفُسَكُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِكُمۡ رَحِيمٗا
Aey logon jo iman laye ho, aapas mein ek dusre ke maal batil tareeqon se na khao, lein dein hona chahiye aapas ki razamandi se aur apne aap ko qatal na karo yaqeen maano ke Allah tumhare upar meharban hai
Surah An-Nisa, Verse 29
وَمَن يَفۡعَلۡ ذَٰلِكَ عُدۡوَٰنٗا وَظُلۡمٗا فَسَوۡفَ نُصۡلِيهِ نَارٗاۚ وَكَانَ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرًا
Jo shaks zulm aur zyadati ke saath aisa karega usko hum zaroor aag mein jhonkenge aur yeh Allah ke liye koi mushkil kaam nahin hai
Surah An-Nisa, Verse 30
إِن تَجۡتَنِبُواْ كَبَآئِرَ مَا تُنۡهَوۡنَ عَنۡهُ نُكَفِّرۡ عَنكُمۡ سَيِّـَٔاتِكُمۡ وَنُدۡخِلۡكُم مُّدۡخَلٗا كَرِيمٗا
Agar tum un baday baday gunaahon se parheiz karte raho jinse tumhein mana kiya jaa raha hai to tumhari choti moti buraiyon ko hum tumhare hisaab se saqit kardenge aur tumko izzat ki jagah dakhil karenge
Surah An-Nisa, Verse 31
وَلَا تَتَمَنَّوۡاْ مَا فَضَّلَ ٱللَّهُ بِهِۦ بَعۡضَكُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖۚ لِّلرِّجَالِ نَصِيبٞ مِّمَّا ٱكۡتَسَبُواْۖ وَلِلنِّسَآءِ نَصِيبٞ مِّمَّا ٱكۡتَسَبۡنَۚ وَسۡـَٔلُواْ ٱللَّهَ مِن فَضۡلِهِۦٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٗا
Aur jo kuch Allah ne tum mein se kisi ko dusron ke muqable mein zyada diya hai uski tamanna na karo. Jo kuch Mardon ne kamaya hai uske mutabiq unka hissa hai aur jo kuch auraton ne kamaya hai uske mutabiq unka hissa. Haan Allah se uske fazl ki dua maangte raho. Yaqeenan Allah har cheez ka ilm rakhta hai
Surah An-Nisa, Verse 32
وَلِكُلّٖ جَعَلۡنَا مَوَٰلِيَ مِمَّا تَرَكَ ٱلۡوَٰلِدَانِ وَٱلۡأَقۡرَبُونَۚ وَٱلَّذِينَ عَقَدَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡ فَـَٔاتُوهُمۡ نَصِيبَهُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدًا
Aur humne har us tarke(inheritance) ke haqqdar muqarrar kardiye hain jo waldain aur rishtedar chodein, ab rahey woh log jinse tumhare ahad o paiman hon to unka hissa unhein do. Yaqeenan Allah har cheez par nigraan hai
Surah An-Nisa, Verse 33
ٱلرِّجَالُ قَوَّـٰمُونَ عَلَى ٱلنِّسَآءِ بِمَا فَضَّلَ ٱللَّهُ بَعۡضَهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖ وَبِمَآ أَنفَقُواْ مِنۡ أَمۡوَٰلِهِمۡۚ فَٱلصَّـٰلِحَٰتُ قَٰنِتَٰتٌ حَٰفِظَٰتٞ لِّلۡغَيۡبِ بِمَا حَفِظَ ٱللَّهُۚ وَٱلَّـٰتِي تَخَافُونَ نُشُوزَهُنَّ فَعِظُوهُنَّ وَٱهۡجُرُوهُنَّ فِي ٱلۡمَضَاجِعِ وَٱضۡرِبُوهُنَّۖ فَإِنۡ أَطَعۡنَكُمۡ فَلَا تَبۡغُواْ عَلَيۡهِنَّ سَبِيلًاۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيّٗا كَبِيرٗا
Mard auraton par qawwam (protectors and maintainers) hain, is bina par ke Allah ne unmein se ek ko dusre par fazilat di hai, aur is bina par ke Mard apne maal kharch karte hain. Pas jo saleh auratein hain woh itaat shiaar (obedient) hoti hain aur Mardon ke pichey Allah ki hifazat o nigrani mein unke huqooq ki hifazat karti hain. Aur jin auraton se tumhein sarkashi ka andesha ho unhein samjhao, khwabgaahon mein (in beds) unse alaheda (separate) raho aur maaro, phir agar woh tumhari mutii(obedient) ho jayein to khwa ma khwa unpar dast darazi keliye bahane talash (seek ways to harm )na karo. Yaqeen rakkho ke upar Allah maujood hai jo bada aur baalatar hai (Exalted, Great)
Surah An-Nisa, Verse 34
وَإِنۡ خِفۡتُمۡ شِقَاقَ بَيۡنِهِمَا فَٱبۡعَثُواْ حَكَمٗا مِّنۡ أَهۡلِهِۦ وَحَكَمٗا مِّنۡ أَهۡلِهَآ إِن يُرِيدَآ إِصۡلَٰحٗا يُوَفِّقِ ٱللَّهُ بَيۡنَهُمَآۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا خَبِيرٗا
Aur agar tum logon ko kahin miya aur biwi ke taaluqqat bigad janey ka andesha ho to ek hakam (arbitrator) mard ke rishtedaaron mein se aur ek aurat ke rishtedaaron mein se muqarrar karo. Woh dono islah karna chahenge to Allah unke darmiyan muwafiqat ki surat nikal dega. Allah sabkuch jaanta hai aur bakhabar hai
Surah An-Nisa, Verse 35
۞وَٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ وَلَا تُشۡرِكُواْ بِهِۦ شَيۡـٔٗاۖ وَبِٱلۡوَٰلِدَيۡنِ إِحۡسَٰنٗا وَبِذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينِ وَٱلۡجَارِ ذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡجَارِ ٱلۡجُنُبِ وَٱلصَّاحِبِ بِٱلۡجَنۢبِ وَٱبۡنِ ٱلسَّبِيلِ وَمَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ مَن كَانَ مُخۡتَالٗا فَخُورًا
Aur tum sab Allah ki bandagi karo, uske saath kisi ko shareek na banao, Maa Baap ke saath neik bartao karo, qarabatdaaron (kins) aur yateemon aur miskeeno ke saath husn e sulook se pesh aao, aur padosi rishtedaar se, ajnabi humsaye (neighbor) se, pehlu ke saathi (companion by your side) aur musafir se , aur un laundi ghulamon se jo tumhare qabze mein hon, ehsan ka maamla rakkho, yaqeen jaano Allah kisi aisey shaks ko pasand nahin karta jo apne pindaar mein magroor ho aur apni badayi par fakr karey(arrogant and the boastful)
Surah An-Nisa, Verse 36
ٱلَّذِينَ يَبۡخَلُونَ وَيَأۡمُرُونَ ٱلنَّاسَ بِٱلۡبُخۡلِ وَيَكۡتُمُونَ مَآ ءَاتَىٰهُمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦۗ وَأَعۡتَدۡنَا لِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٗا مُّهِينٗا
Aur aise log bhi Allah ko pasand nahin hain jo kanjoosi karte hain aur dusron ko bhi kanjossi ki hidayat karte hain, aur jo kuch Allah ne apne fazal se unhein diya hai usey chupate hain. Aisey kafir-e-niyamat logon ke liye humne ruswa-kun azaab muhaiyya kar rakkha hai
Surah An-Nisa, Verse 37
وَٱلَّذِينَ يُنفِقُونَ أَمۡوَٰلَهُمۡ رِئَآءَ ٱلنَّاسِ وَلَا يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَلَا بِٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۗ وَمَن يَكُنِ ٱلشَّيۡطَٰنُ لَهُۥ قَرِينٗا فَسَآءَ قَرِينٗا
Aur woh log bhi Allah ko na-pasand hain jo apne maal mehaz logon ko dikhane ke liye kharch karte hain aur dar haqeeqat na Allah par iman rakhte hain na roz e aakhir par, sach yeh hai ke shaytan jiska rafeeq (companion) hua usey bahut hi buri rafaqat muyassar aayi
Surah An-Nisa, Verse 38
وَمَاذَا عَلَيۡهِمۡ لَوۡ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَأَنفَقُواْ مِمَّا رَزَقَهُمُ ٱللَّهُۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِهِمۡ عَلِيمًا
Aakhir in logon par kya aafat aa jati agar yeh Allah aur roz e aakhir par iman rakthe aur jo kuch Allah ne diya hai usmein se kharch karte? Agar yeh aisa karte to Allah se inki neki ka haal chupa na reh jata
Surah An-Nisa, Verse 39
إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَظۡلِمُ مِثۡقَالَ ذَرَّةٖۖ وَإِن تَكُ حَسَنَةٗ يُضَٰعِفۡهَا وَيُؤۡتِ مِن لَّدُنۡهُ أَجۡرًا عَظِيمٗا
Allah kisi par zarra barabar bhi zulm nahin karta, agar koi ek neki karey to Allah usey do chandh karta hai aur phir apni taraf se bada ajar ata farmata hai
Surah An-Nisa, Verse 40
فَكَيۡفَ إِذَا جِئۡنَا مِن كُلِّ أُمَّةِۭ بِشَهِيدٖ وَجِئۡنَا بِكَ عَلَىٰ هَـٰٓؤُلَآءِ شَهِيدٗا
Phir socho ke us waqt yeh kya karenge jab hum har ummat mein se ek gawah layenge aur in logon par tumhein [yani Muhammad (s.a.s) ko] gawah ki haisiyat se khada karenge
Surah An-Nisa, Verse 41
يَوۡمَئِذٖ يَوَدُّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَعَصَوُاْ ٱلرَّسُولَ لَوۡ تُسَوَّىٰ بِهِمُ ٱلۡأَرۡضُ وَلَا يَكۡتُمُونَ ٱللَّهَ حَدِيثٗا
Us waqt woh sab log jinhon ne Rasool ki baat na maani aur uski nafarmani karte rahey, tamanna karenge ke kaash zameen phatt jaye aur woh is mein samaa jayein, wahan yeh apni koi baat Allah se na chupa sakenge
Surah An-Nisa, Verse 42
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَقۡرَبُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَأَنتُمۡ سُكَٰرَىٰ حَتَّىٰ تَعۡلَمُواْ مَا تَقُولُونَ وَلَا جُنُبًا إِلَّا عَابِرِي سَبِيلٍ حَتَّىٰ تَغۡتَسِلُواْۚ وَإِن كُنتُم مَّرۡضَىٰٓ أَوۡ عَلَىٰ سَفَرٍ أَوۡ جَآءَ أَحَدٞ مِّنكُم مِّنَ ٱلۡغَآئِطِ أَوۡ لَٰمَسۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَلَمۡ تَجِدُواْ مَآءٗ فَتَيَمَّمُواْ صَعِيدٗا طَيِّبٗا فَٱمۡسَحُواْ بِوُجُوهِكُمۡ وَأَيۡدِيكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَفُوًّا غَفُورًا
Aey logon jo iman laye ho, jab tum nashey ki halat mein ho to namaz ke qareeb na jao, namaz us waqt padhni chahiye jab tum jaano ke kya keh rahey ho, aur isi tarah janabat ki halat mein bhi namaz ke qareeb na jao jab tak ke ghusl na karlo, illa yeh ke raaste se guzarte ho. Aur agar kabhi aisa ho ke tum bimar ho, ya safar mein ho, ya tum mein se koi shaks rafey hajat karke aaye, ya tumne auraton se lams (intimate relation) kiya ho, aur phir pani na miley to paak mitti se kaam lo aur issey apne chehron aur haathon par masaah karlo. Beshak Allah narmi se kaam lene wala aur bakshish farmane wala hai
Surah An-Nisa, Verse 43
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ أُوتُواْ نَصِيبٗا مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِ يَشۡتَرُونَ ٱلضَّلَٰلَةَ وَيُرِيدُونَ أَن تَضِلُّواْ ٱلسَّبِيلَ
Tumne un logon ko bhi dekha jinhein kitab ke ilm ka kuch hissa diya gaya hai? Woh khud zalalat ke kharidaar baney (purchased error for themselves) hain aur chahte hain ke tum bhi raah ghum kardo
Surah An-Nisa, Verse 44
وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِأَعۡدَآئِكُمۡۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَلِيّٗا وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ نَصِيرٗا
Allah tumhare dushmano ko khoob jaanta hai aur tumhari himayat o madadgaari ke liye Allah hi kafi hai
Surah An-Nisa, Verse 45
مِّنَ ٱلَّذِينَ هَادُواْ يُحَرِّفُونَ ٱلۡكَلِمَ عَن مَّوَاضِعِهِۦ وَيَقُولُونَ سَمِعۡنَا وَعَصَيۡنَا وَٱسۡمَعۡ غَيۡرَ مُسۡمَعٖ وَرَٰعِنَا لَيَّۢا بِأَلۡسِنَتِهِمۡ وَطَعۡنٗا فِي ٱلدِّينِۚ وَلَوۡ أَنَّهُمۡ قَالُواْ سَمِعۡنَا وَأَطَعۡنَا وَٱسۡمَعۡ وَٱنظُرۡنَا لَكَانَ خَيۡرٗا لَّهُمۡ وَأَقۡوَمَ وَلَٰكِن لَّعَنَهُمُ ٱللَّهُ بِكُفۡرِهِمۡ فَلَا يُؤۡمِنُونَ إِلَّا قَلِيلٗا
Jo log Yahudi ban gaye hain unmein kuch log hain jo alfaz ko unke mahal se pher dete hain aur deen e haqq ke khilaf nesh-zani (alter the words from their context) karne ke liye apni zubaano ko toad moad kar kehte hain ‘sameena wa asayna’ (We have heard and we disobey) aur ‘isma gair musmaa’ (Do hear us, may you turn dumb) aur ‘raina’ (Hearken to us). Halanke agar woh kehte ‘sameena wa atana’ (we have heard and we obey), aur Isma aur unzurna [Do listen to us, and look at us (with kindness)] to yeh unhi ke liye behtar tha aur zyada raastbazi ka tareeqa tha. Magar unpar to unki baatil parasti ki badaulat Allah ki phitkar padi hui hai is liye woh kam hi iman latey hain
Surah An-Nisa, Verse 46
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ ءَامِنُواْ بِمَا نَزَّلۡنَا مُصَدِّقٗا لِّمَا مَعَكُم مِّن قَبۡلِ أَن نَّطۡمِسَ وُجُوهٗا فَنَرُدَّهَا عَلَىٰٓ أَدۡبَارِهَآ أَوۡ نَلۡعَنَهُمۡ كَمَا لَعَنَّآ أَصۡحَٰبَ ٱلسَّبۡتِۚ وَكَانَ أَمۡرُ ٱللَّهِ مَفۡعُولًا
Aey woh logon jinhein kitab di gayi thi! Maan lo us kitab ko jo humne ab nazil ki hai aur jo us kitab ki tasdeeq o taeed karti hai jo tumhare paas pehle se maujood thi. Ispar iman le aao qabl iske ke hum chere bigaad kar pichey pher dein ya unko usi tarah laanat zadah kardein jis tarah sabt (Sabbath) walon ke saath humne kiya tha, aur yaad rakkho ke Allah ka hukum nafiz hokar rehta hai
Surah An-Nisa, Verse 47
إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَغۡفِرُ أَن يُشۡرَكَ بِهِۦ وَيَغۡفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَآءُۚ وَمَن يُشۡرِكۡ بِٱللَّهِ فَقَدِ ٱفۡتَرَىٰٓ إِثۡمًا عَظِيمًا
Allah bas shirk hi ko maaf nahin karta, iske ma-siwa dusre jis qadar gunaah hain woh jiske liye chahta hai maaf kardeta hai. Allah ke saath jisne kisi aur ko shareek thehraya usne to bahut hi bada jhoot tasneef kiya aur badey sakht gunnah ki baat ki
Surah An-Nisa, Verse 48
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ يُزَكُّونَ أَنفُسَهُمۚ بَلِ ٱللَّهُ يُزَكِّي مَن يَشَآءُ وَلَا يُظۡلَمُونَ فَتِيلًا
Tumne un logon ko bhi dekha jo bahut apni pakeezgi e nafs ka dum bharte (who boast of their righteousness) hain? Halanke pakeezgi to Allah hi jisey chahta hai ata karta hai, aur (unhein jo pakeezgi nahin milti to dar haqeeqat) unpar zarra barabar bhi zulm nahin kiya jata
Surah An-Nisa, Verse 49
ٱنظُرۡ كَيۡفَ يَفۡتَرُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَۖ وَكَفَىٰ بِهِۦٓ إِثۡمٗا مُّبِينًا
Dekho to sahih, yeh Allah par bhi jhoote iftara ghadhne se (forge lies) nahin chukte aur inke sareehan gunaahgaar honay ke liye yahi ek gunaah kafi hai
Surah An-Nisa, Verse 50
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ أُوتُواْ نَصِيبٗا مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِ يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡجِبۡتِ وَٱلطَّـٰغُوتِ وَيَقُولُونَ لِلَّذِينَ كَفَرُواْ هَـٰٓؤُلَآءِ أَهۡدَىٰ مِنَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ سَبِيلًا
Kya tumne un logon ko nahin dekha jinhein kitab ke ilm mein se kuch hissa diya gaya hai, aur unka haal yeh hai ke jibth (baseless superstitions) aur taguth ( false dieties) ko maante hain aur kafiron ke mutalliq kehte hain ke iman laney walon se to yahi zyada saheeh raaste par hain
Surah An-Nisa, Verse 51
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ لَعَنَهُمُ ٱللَّهُۖ وَمَن يَلۡعَنِ ٱللَّهُ فَلَن تَجِدَ لَهُۥ نَصِيرًا
Aisey bhi log hain jinpar Allah ne laanat ki hai, aur jispar Allah laanat karde phir tum uska koi madadgaar nahin paogey
Surah An-Nisa, Verse 52
أَمۡ لَهُمۡ نَصِيبٞ مِّنَ ٱلۡمُلۡكِ فَإِذٗا لَّا يُؤۡتُونَ ٱلنَّاسَ نَقِيرًا
Kya hukumat mein unka koi hissa hai? Agar aisa hota to yeh dusron ko ek phooti kowdi takk na detay
Surah An-Nisa, Verse 53
أَمۡ يَحۡسُدُونَ ٱلنَّاسَ عَلَىٰ مَآ ءَاتَىٰهُمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦۖ فَقَدۡ ءَاتَيۡنَآ ءَالَ إِبۡرَٰهِيمَ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَءَاتَيۡنَٰهُم مُّلۡكًا عَظِيمٗا
Phir kya yeh dusron se is liye hasad karte hain ke Allah ne unhein apne fazal se nawaz diya? Agar yeh baat hai to unhein maloom ho ke humne to Ibrahim ki aulad ko kitab aur hikmat ata ki aur mulk e azeem baksh diya
Surah An-Nisa, Verse 54
فَمِنۡهُم مَّنۡ ءَامَنَ بِهِۦ وَمِنۡهُم مَّن صَدَّ عَنۡهُۚ وَكَفَىٰ بِجَهَنَّمَ سَعِيرًا
Magar unmein se koi uspar iman laya aur koi ussey mooh moad gaya, aur mooh moadne walon ke liye to bas jahannum ki bhadakti hui aag hi kafi hai
Surah An-Nisa, Verse 55
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِنَا سَوۡفَ نُصۡلِيهِمۡ نَارٗا كُلَّمَا نَضِجَتۡ جُلُودُهُم بَدَّلۡنَٰهُمۡ جُلُودًا غَيۡرَهَا لِيَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَزِيزًا حَكِيمٗا
Jin logon ne hamari aayat ko maanne se inkar kardiya hai unhein bil-yakeen hum aag mein jhonkenge, aur jab unke badan ki khaal (skin) gal jaye(gets roasted) to uski jagah dusri khaal paida kardenge taa-ke woh khoob azaab ka maza chakkhein. Allah badi qudrat rakhta hai aur apne faislon ko amal mein lanay ki hikmat khoob jaanta hai
Surah An-Nisa, Verse 56
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ سَنُدۡخِلُهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ لَّهُمۡ فِيهَآ أَزۡوَٰجٞ مُّطَهَّرَةٞۖ وَنُدۡخِلُهُمۡ ظِلّٗا ظَلِيلًا
Aur jin logon ne hamari aayat ko maan liya aur neik amal kiye unko hum aisey baaghon mein dakhil karenge jinke nichey nehrein behti hongi, jahan woh hamesha hamesha rahenge aur unko pakeeza biwiyan milengi aur unhein hum ghani chaon (shadows) mein rakhenge
Surah An-Nisa, Verse 57
۞إِنَّ ٱللَّهَ يَأۡمُرُكُمۡ أَن تُؤَدُّواْ ٱلۡأَمَٰنَٰتِ إِلَىٰٓ أَهۡلِهَا وَإِذَا حَكَمۡتُم بَيۡنَ ٱلنَّاسِ أَن تَحۡكُمُواْ بِٱلۡعَدۡلِۚ إِنَّ ٱللَّهَ نِعِمَّا يَعِظُكُم بِهِۦٓۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ سَمِيعَۢا بَصِيرٗا
Musalmaano! Allah tumhein hukum deta hai ke amanatein ehle amaat ke supurd kardo, aur jab logon ke darmiyan faisla karo to adal ke saath karo. Allah tumko nihayat umdah naseehat karta hai aur yaqeenan Allah sab kuch sunta aur dekhta hai
Surah An-Nisa, Verse 58
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَ وَأُوْلِي ٱلۡأَمۡرِ مِنكُمۡۖ فَإِن تَنَٰزَعۡتُمۡ فِي شَيۡءٖ فَرُدُّوهُ إِلَى ٱللَّهِ وَٱلرَّسُولِ إِن كُنتُمۡ تُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۚ ذَٰلِكَ خَيۡرٞ وَأَحۡسَنُ تَأۡوِيلًا
Aey logon jo iman laye ho, itaat karo Allah ki aur itaat karo Rasool ki aur un logon ki jo tum mein se sahib e amr hon, phir agar tumhare darmiyan kisi maamle mein nizaa (dispute/differ) ho jaye to usey Allah aur Rasool ki taraf pher do agar tum waqayi Allah aur roz e aakhir par iman rakhte ho. Yahi ek saheeh tareeqe kaar hai aur anjaam ke aitbaar se bhi behtar hai
Surah An-Nisa, Verse 59
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ يَزۡعُمُونَ أَنَّهُمۡ ءَامَنُواْ بِمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ وَمَآ أُنزِلَ مِن قَبۡلِكَ يُرِيدُونَ أَن يَتَحَاكَمُوٓاْ إِلَى ٱلطَّـٰغُوتِ وَقَدۡ أُمِرُوٓاْ أَن يَكۡفُرُواْ بِهِۦۖ وَيُرِيدُ ٱلشَّيۡطَٰنُ أَن يُضِلَّهُمۡ ضَلَٰلَۢا بَعِيدٗا
Aey Nabi! Tumne dekha nahin un logon ko jo dawa to karte hain ke hum iman laye hain us kitab par jo tumhari taraf nazil ki gayi hai aur un kitabon par jo tumse pehle nazil ki gayi thi, magar chahte hain ke apne maamalaat ka faisla karane ke liye taghut ki taraf rujoo karein, halanke unhein taghut se kufr karne ka hukum diya gaya tha. Shaytan unhein bhatka kar raah e raast se bahut door le jana chahta hai
Surah An-Nisa, Verse 60
وَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ تَعَالَوۡاْ إِلَىٰ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ وَإِلَى ٱلرَّسُولِ رَأَيۡتَ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ يَصُدُّونَ عَنكَ صُدُودٗا
Aur jab unse kaha jaata hai ke aao us cheez ki taraf jo Allah ne nazil ki hai aur aao Rasool ki taraf to in munafiqon ko tum dekhte ho ke yeh tumhari taraf aane se katrate hain
Surah An-Nisa, Verse 61
فَكَيۡفَ إِذَآ أَصَٰبَتۡهُم مُّصِيبَةُۢ بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيهِمۡ ثُمَّ جَآءُوكَ يَحۡلِفُونَ بِٱللَّهِ إِنۡ أَرَدۡنَآ إِلَّآ إِحۡسَٰنٗا وَتَوۡفِيقًا
Phir us waqt kya hota hai jab inke apne haathon ki layi hui museebat inpar aa padhti hai? Us waqt yeh tumhare paas kasamein khate huey aate hain aur kehte hain ke khuda ki kasam hum to sirf bhalayi chahte thay aur hamari to niyat yeh thi ke fareeqain (two parties)
Surah An-Nisa, Verse 62
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ يَعۡلَمُ ٱللَّهُ مَا فِي قُلُوبِهِمۡ فَأَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ وَعِظۡهُمۡ وَقُل لَّهُمۡ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ قَوۡلَۢا بَلِيغٗا
Allah jaanta hai jo kuch unke dilon mein hai, unse taaruz mat karo (Leave them alone), unhein samjhao aur aisi naseehat karo jo unke dilon mein utar jaye
Surah An-Nisa, Verse 63
وَمَآ أَرۡسَلۡنَا مِن رَّسُولٍ إِلَّا لِيُطَاعَ بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ وَلَوۡ أَنَّهُمۡ إِذ ظَّلَمُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ جَآءُوكَ فَٱسۡتَغۡفَرُواْ ٱللَّهَ وَٱسۡتَغۡفَرَ لَهُمُ ٱلرَّسُولُ لَوَجَدُواْ ٱللَّهَ تَوَّابٗا رَّحِيمٗا
(Unhein batao ke) humne jo Rasool bhi bheja hai isi liye bheja hai ke izn e khudawandi (by the leave of Allah) ki bina par uski itaat ki jaye, agar unhone yeh tareeqa ikhtiyar kiya hota ke jab yeh apne nafs par zulm kar baithey thay to tumhare paas aa jatey aur Allah se maafi maangte, aur Rasool bhi unke liye maafi ki darkhwast karta, to yaqeenan Allah ko bakshne wala aur reham karne wala paatey
Surah An-Nisa, Verse 64
فَلَا وَرَبِّكَ لَا يُؤۡمِنُونَ حَتَّىٰ يُحَكِّمُوكَ فِيمَا شَجَرَ بَيۡنَهُمۡ ثُمَّ لَا يَجِدُواْ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ حَرَجٗا مِّمَّا قَضَيۡتَ وَيُسَلِّمُواْ تَسۡلِيمٗا
Nahin, (aey Muhammad) tumhare Rubb ki kasam yeh kabhi momin nahin ho sakte jab tak ke apne bahami ikhtilafaat mein yeh tumko faisla karne wala na maan lein, phir jo kuch tum faisla karo uspar apne dilon mein bhi koi tanggi na mehsoos karein, balke sar ba sar tasleem karlein
Surah An-Nisa, Verse 65
وَلَوۡ أَنَّا كَتَبۡنَا عَلَيۡهِمۡ أَنِ ٱقۡتُلُوٓاْ أَنفُسَكُمۡ أَوِ ٱخۡرُجُواْ مِن دِيَٰرِكُم مَّا فَعَلُوهُ إِلَّا قَلِيلٞ مِّنۡهُمۡۖ وَلَوۡ أَنَّهُمۡ فَعَلُواْ مَا يُوعَظُونَ بِهِۦ لَكَانَ خَيۡرٗا لَّهُمۡ وَأَشَدَّ تَثۡبِيتٗا
Agar humne inhein hukum diya hota ke apne aap ko halaak kardo ya apne gharon se nikal jao to inmein se kam hi aadmi ispar amal karte, halaanke jo naseehat inhein ki jaati hai, agar yeh ispar amal karte to yeh inke liye zyada behtari aur zyada sabit qadami ka maujeb hota
Surah An-Nisa, Verse 66
وَإِذٗا لَّأٓتَيۡنَٰهُم مِّن لَّدُنَّآ أَجۡرًا عَظِيمٗا
Aur jab yeh aisa karte to hum inhein apni taraf se bahut bada ajar dete
Surah An-Nisa, Verse 67
وَلَهَدَيۡنَٰهُمۡ صِرَٰطٗا مُّسۡتَقِيمٗا
Aur inhein seedha raasta dikha dete
Surah An-Nisa, Verse 68
وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ مَعَ ٱلَّذِينَ أَنۡعَمَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِم مِّنَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ وَٱلصِّدِّيقِينَ وَٱلشُّهَدَآءِ وَٱلصَّـٰلِحِينَۚ وَحَسُنَ أُوْلَـٰٓئِكَ رَفِيقٗا
Jo Allah aur Rasool ki itaat karega woh un logon ke saath hoga jinpar Allah ne inam farmaya hai, yani ambiya, aur siddiqeen aur shuhada aur saliheen, kaise acchey hain yeh rafeeq jo kisi ko muyassar aayein
Surah An-Nisa, Verse 69
ذَٰلِكَ ٱلۡفَضۡلُ مِنَ ٱللَّهِۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ عَلِيمٗا
Yeh haqeeqi fazal hai jo Allah ki taraf se milta hai aur haqeeqat jaanne ke liye bas Allah hi ka ilm kafi hai
Surah An-Nisa, Verse 70
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ خُذُواْ حِذۡرَكُمۡ فَٱنفِرُواْ ثُبَاتٍ أَوِ ٱنفِرُواْ جَمِيعٗا
Aey logon jo iman laye ho, muqable ke liye har waqt tayyar raho, phir jaisa mauqa ho alag alag daston (groups) ki shakal mein niklo ya ikatthey hokar
Surah An-Nisa, Verse 71
وَإِنَّ مِنكُمۡ لَمَن لَّيُبَطِّئَنَّ فَإِنۡ أَصَٰبَتۡكُم مُّصِيبَةٞ قَالَ قَدۡ أَنۡعَمَ ٱللَّهُ عَلَيَّ إِذۡ لَمۡ أَكُن مَّعَهُمۡ شَهِيدٗا
Haan, tum mein koi aadmi aisa bhi hai jo ladayi se jee churata hai, agar tumpar koi museebat aaye to kehta hai ke Allah ne mujhpar bada fazal kiya ke main in logon ke saath na gaya
Surah An-Nisa, Verse 72
وَلَئِنۡ أَصَٰبَكُمۡ فَضۡلٞ مِّنَ ٱللَّهِ لَيَقُولَنَّ كَأَن لَّمۡ تَكُنۢ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَهُۥ مَوَدَّةٞ يَٰلَيۡتَنِي كُنتُ مَعَهُمۡ فَأَفُوزَ فَوۡزًا عَظِيمٗا
Aur agar Allah ki taraf se tumpar fazal ho to kehta hai aur is tarah kehta hai ke goya tumhare aur uske darmiyaan muhabbat ka to koi taaluq tha hi nahin ke kaash main bhi inke saath hota to bada kaam ban jata
Surah An-Nisa, Verse 73
۞فَلۡيُقَٰتِلۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ ٱلَّذِينَ يَشۡرُونَ ٱلۡحَيَوٰةَ ٱلدُّنۡيَا بِٱلۡأٓخِرَةِۚ وَمَن يُقَٰتِلۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَيُقۡتَلۡ أَوۡ يَغۡلِبۡ فَسَوۡفَ نُؤۡتِيهِ أَجۡرًا عَظِيمٗا
(Aisey logon ko maloom ho ke ) Allah ki raah mein ladna chahiye un logon ko jo aakhirat ke badle duniya ki zindagi ko farokth kardein, phir jo Allah ki raah mein ladega aur mara jayega ya gaalib rahega usey zaror hum ajar e azeem ata karenge
Surah An-Nisa, Verse 74
وَمَا لَكُمۡ لَا تُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَٱلۡمُسۡتَضۡعَفِينَ مِنَ ٱلرِّجَالِ وَٱلنِّسَآءِ وَٱلۡوِلۡدَٰنِ ٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَآ أَخۡرِجۡنَا مِنۡ هَٰذِهِ ٱلۡقَرۡيَةِ ٱلظَّالِمِ أَهۡلُهَا وَٱجۡعَل لَّنَا مِن لَّدُنكَ وَلِيّٗا وَٱجۡعَل لَّنَا مِن لَّدُنكَ نَصِيرًا
Aakhir kya wajah hai ke tum Allah ki raah mein un be-bas mardon, auraton aur bacchon ki khatir na lado jo kamzoar paakar daba liye gaye hain aur fariyaad kar rahey hain ke khudaya humko is basti se nikal jiske bashinday zalim hain aur apni taraf se hamara koi haami o madadgaar paida karde
Surah An-Nisa, Verse 75
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۖ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِ ٱلطَّـٰغُوتِ فَقَٰتِلُوٓاْ أَوۡلِيَآءَ ٱلشَّيۡطَٰنِۖ إِنَّ كَيۡدَ ٱلشَّيۡطَٰنِ كَانَ ضَعِيفًا
Jin logon ne iman ka raasta ikhtiyar kiya hai, woh Allah ki raah mein ladte hain aur jinhon ne kufr ka raasta ikhtiyar kiya hai, woh taagut ki raah mein ladte hain, pas shaytan ke saathiyon se lado aur yaqeen jaano ke shaytaan ki chaalein haqeeqat mein nihayat kamzoar hain
Surah An-Nisa, Verse 76
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ قِيلَ لَهُمۡ كُفُّوٓاْ أَيۡدِيَكُمۡ وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ فَلَمَّا كُتِبَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقِتَالُ إِذَا فَرِيقٞ مِّنۡهُمۡ يَخۡشَوۡنَ ٱلنَّاسَ كَخَشۡيَةِ ٱللَّهِ أَوۡ أَشَدَّ خَشۡيَةٗۚ وَقَالُواْ رَبَّنَا لِمَ كَتَبۡتَ عَلَيۡنَا ٱلۡقِتَالَ لَوۡلَآ أَخَّرۡتَنَآ إِلَىٰٓ أَجَلٖ قَرِيبٖۗ قُلۡ مَتَٰعُ ٱلدُّنۡيَا قَلِيلٞ وَٱلۡأٓخِرَةُ خَيۡرٞ لِّمَنِ ٱتَّقَىٰ وَلَا تُظۡلَمُونَ فَتِيلًا
Tumne un logon ko bhi dekha jinse kaha gaya tha ke apne haath rokey rakkho aur namaz qayam karo aur zakat do? Ab jo unhein ladayi ka hukum diya gaya to unmein se ek fareeq ka haal yeh hai ke logon se aisa darr rahey hain jaisa khuda se darna chahiye ya kuch issey bhi badhkar. Kehte hain khudaya! Yeh humpar ladayi ka hukum kyun likh diya? Kyun na humein abhi kuch aur mohlat di? Unse kaho, duniya ka sarmaya e zindagi thoda hai, aur aakhirat ek khuda-tars Insan ke liye zyada behtar hai, aur tumpar zulm ek shamma (husk of a date-stone) barabar bhi ba kiya jayega
Surah An-Nisa, Verse 77
أَيۡنَمَا تَكُونُواْ يُدۡرِككُّمُ ٱلۡمَوۡتُ وَلَوۡ كُنتُمۡ فِي بُرُوجٖ مُّشَيَّدَةٖۗ وَإِن تُصِبۡهُمۡ حَسَنَةٞ يَقُولُواْ هَٰذِهِۦ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِۖ وَإِن تُصِبۡهُمۡ سَيِّئَةٞ يَقُولُواْ هَٰذِهِۦ مِنۡ عِندِكَۚ قُلۡ كُلّٞ مِّنۡ عِندِ ٱللَّهِۖ فَمَالِ هَـٰٓؤُلَآءِ ٱلۡقَوۡمِ لَا يَكَادُونَ يَفۡقَهُونَ حَدِيثٗا
Rahi maut, to jahan bhi tum ho woh bahar haal tumhein aakar rahegi khwa tum kaisi hi mazboot imaraton mein ho, agar unhein koi faiyda pahunchta hai to kehte hain yeh Allah ki taraf se hai, aur agar koi nuksaan pahunchta hai to kehte hain yeh tumhari badaulat hai. Kaho, sabkuch Allah hi ki taraf se hai, aakhir in logon ko kya ho gaya hai ke koi baat inki samajhe mein nahin aati
Surah An-Nisa, Verse 78
مَّآ أَصَابَكَ مِنۡ حَسَنَةٖ فَمِنَ ٱللَّهِۖ وَمَآ أَصَابَكَ مِن سَيِّئَةٖ فَمِن نَّفۡسِكَۚ وَأَرۡسَلۡنَٰكَ لِلنَّاسِ رَسُولٗاۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدٗا
Aey Insaan! Tujhey jo bhalayi bhi haasil hoti hai Allah ki inayat se hoti hai, aur jo museebat tujhpar aati hai woh tere apne kasb o amal (your own action) ki badaulat hai. (Aey Muhammad) humne tumko logon ke liye Rasool bana kar bheja hai aur ispar khuda ki gawahi kafi hai
Surah An-Nisa, Verse 79
مَّن يُطِعِ ٱلرَّسُولَ فَقَدۡ أَطَاعَ ٱللَّهَۖ وَمَن تَوَلَّىٰ فَمَآ أَرۡسَلۡنَٰكَ عَلَيۡهِمۡ حَفِيظٗا
Jisne Rasool ki itaat ki usne dar-asal khuda ki itaat ki aur jo mooh moad gaya, to bahar haal humne tumhein in logon par pasbaan (keeper/guardian) bana kar to nahin bheja hai
Surah An-Nisa, Verse 80
وَيَقُولُونَ طَاعَةٞ فَإِذَا بَرَزُواْ مِنۡ عِندِكَ بَيَّتَ طَآئِفَةٞ مِّنۡهُمۡ غَيۡرَ ٱلَّذِي تَقُولُۖ وَٱللَّهُ يَكۡتُبُ مَا يُبَيِّتُونَۖ فَأَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ وَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَكِيلًا
Woh mooh par kehte hain ke hum mutii e farmaan hain magar jab tumhare paas se nikalte hain to inmein se ek giroh raaton ko jamaa hokar tumhari baaton ke khilaf mashware karta hai. Allah unki yeh saari sarkashiyan likh raha hai, tum unki parwaah na karo aur Allah par bharosa rakkho, wahi bharose ke liye kafi hai
Surah An-Nisa, Verse 81
أَفَلَا يَتَدَبَّرُونَ ٱلۡقُرۡءَانَۚ وَلَوۡ كَانَ مِنۡ عِندِ غَيۡرِ ٱللَّهِ لَوَجَدُواْ فِيهِ ٱخۡتِلَٰفٗا كَثِيرٗا
Kya yeh log Quran par gaur nahin karte? Agar yeh Allah ke siwa kisi aur ki taraf se hota to ismein bahut kuch ikhtilaf bayani payi jaati
Surah An-Nisa, Verse 82
وَإِذَا جَآءَهُمۡ أَمۡرٞ مِّنَ ٱلۡأَمۡنِ أَوِ ٱلۡخَوۡفِ أَذَاعُواْ بِهِۦۖ وَلَوۡ رَدُّوهُ إِلَى ٱلرَّسُولِ وَإِلَىٰٓ أُوْلِي ٱلۡأَمۡرِ مِنۡهُمۡ لَعَلِمَهُ ٱلَّذِينَ يَسۡتَنۢبِطُونَهُۥ مِنۡهُمۡۗ وَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَرَحۡمَتُهُۥ لَٱتَّبَعۡتُمُ ٱلشَّيۡطَٰنَ إِلَّا قَلِيلٗا
Yeh log jahan koi itminaan baksh ya khaufnaak khabar sun patey hain usey lekar phayla dete hain, halaanke agar yeh usey Rasool aur apni jamaat ke zimmedaar ashaab tak pahunchayein to woh aise logon ke ilm mein aa jaye jo inke darmiyan is baat ki salahiyat rakhte hain ke issey saheeh nateeja akhaz kar sakein. Tum logon par Allah ki meharbaani aur rehmat na hoti to (tumhari kamzoriyan aisi thi ke) madood e chandh(few of you) ke siwa tum sab Shaytaan ke pichey lag gaye hotey
Surah An-Nisa, Verse 83
فَقَٰتِلۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ لَا تُكَلَّفُ إِلَّا نَفۡسَكَۚ وَحَرِّضِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۖ عَسَى ٱللَّهُ أَن يَكُفَّ بَأۡسَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۚ وَٱللَّهُ أَشَدُّ بَأۡسٗا وَأَشَدُّ تَنكِيلٗا
(Pas aey Nabi) tum Allah ki raah mein ladoo (fight), tum apni zaat ke siwa kisi aur ke liye zimmedaar nahin ho, albatta ehle iman ko ladne ke liye uksaoo, baeed nahin ke Allah kafiron ka zoar toad de. Allah ka zoar sabse zyada zabardast aur uski saza sabse zyada sakht hai
Surah An-Nisa, Verse 84
مَّن يَشۡفَعۡ شَفَٰعَةً حَسَنَةٗ يَكُن لَّهُۥ نَصِيبٞ مِّنۡهَاۖ وَمَن يَشۡفَعۡ شَفَٰعَةٗ سَيِّئَةٗ يَكُن لَّهُۥ كِفۡلٞ مِّنۡهَاۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ مُّقِيتٗا
Jo bhalayi ki sifarish karega woh usmein se hissa payega aur jo burayi ki sifarish karega woh usmein se hissa payega, aur Allah har cheez par nazar rakhne wala hai
Surah An-Nisa, Verse 85
وَإِذَا حُيِّيتُم بِتَحِيَّةٖ فَحَيُّواْ بِأَحۡسَنَ مِنۡهَآ أَوۡ رُدُّوهَآۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٍ حَسِيبًا
Aur jab koi ehtaraam ke sath tumhein salaam karey to usko ussey behtar tareeqe ke sath jawab do ya kam-az-kam usi tarah, Allah har cheez ka hisaab lene wala hai
Surah An-Nisa, Verse 86
ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۚ لَيَجۡمَعَنَّكُمۡ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ لَا رَيۡبَ فِيهِۗ وَمَنۡ أَصۡدَقُ مِنَ ٱللَّهِ حَدِيثٗا
Allah woh hai jiske siwa koi khuda nahin hai, woh tum sabko us qayamat ke din jamaa karega jiske aane mein koi shubha (doubt) nahin, aur Allah ki baat se badhkar sacchi baat aur kiski ho sakti hai
Surah An-Nisa, Verse 87
۞فَمَا لَكُمۡ فِي ٱلۡمُنَٰفِقِينَ فِئَتَيۡنِ وَٱللَّهُ أَرۡكَسَهُم بِمَا كَسَبُوٓاْۚ أَتُرِيدُونَ أَن تَهۡدُواْ مَنۡ أَضَلَّ ٱللَّهُۖ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَلَن تَجِدَ لَهُۥ سَبِيلٗا
Phir yeh tumhein kya ho gaya hai ke munafiqeen ke barey mein tumhare darmiyan do rayein(opinions) payi jaati hain, halanke jo buraiyan unhon ne kamayi hain unki badaulat Allah unhein ulta pher chukka hai. Kya tum chahte ho ke jisey Allah ne hidayat nahin bakshi usey tum hidayat baksh do? Halaanke jisko Allah ne raaste se hata diya uske liye tum koi raasta nahin paa sakte
Surah An-Nisa, Verse 88
وَدُّواْ لَوۡ تَكۡفُرُونَ كَمَا كَفَرُواْ فَتَكُونُونَ سَوَآءٗۖ فَلَا تَتَّخِذُواْ مِنۡهُمۡ أَوۡلِيَآءَ حَتَّىٰ يُهَاجِرُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۚ فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَخُذُوهُمۡ وَٱقۡتُلُوهُمۡ حَيۡثُ وَجَدتُّمُوهُمۡۖ وَلَا تَتَّخِذُواْ مِنۡهُمۡ وَلِيّٗا وَلَا نَصِيرًا
Woh to yeh chahte hain ke jis tarah woh khud kafir hain isi tarah tum bhi kafir ho jao, taa-ke woh sab yaksan ho jayein. Lihaza unmein se kisi ko apna dost na banao jab tak ke woh Allah ki raah mein hijrat karke na aa jayein, aur agar woh hijrat se baaz rahey to jahan paao unhein pakdo aur qatal karo aur unmein se kisi ko apna dost aur madadgaar na banao
Surah An-Nisa, Verse 89
إِلَّا ٱلَّذِينَ يَصِلُونَ إِلَىٰ قَوۡمِۭ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَهُم مِّيثَٰقٌ أَوۡ جَآءُوكُمۡ حَصِرَتۡ صُدُورُهُمۡ أَن يُقَٰتِلُوكُمۡ أَوۡ يُقَٰتِلُواْ قَوۡمَهُمۡۚ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَسَلَّطَهُمۡ عَلَيۡكُمۡ فَلَقَٰتَلُوكُمۡۚ فَإِنِ ٱعۡتَزَلُوكُمۡ فَلَمۡ يُقَٰتِلُوكُمۡ وَأَلۡقَوۡاْ إِلَيۡكُمُ ٱلسَّلَمَ فَمَا جَعَلَ ٱللَّهُ لَكُمۡ عَلَيۡهِمۡ سَبِيلٗا
Albatta woh munafiq is hukum se mustasna (exception) hain jo kisi aisi qaum se jaa milein jiske saath tumhara muhaida (covenant) hai, isi tarah woh munafiq bhi mustasna hain jo tumhare paas aate hain aur ladayi se dil bardashta hain(their hearts shrink from fighting), na tumse ladna chahte hain na apni qaum se. Allah chahta to unko tumpar musallat kardeta aur woh bhi tumse ladte, lihaza agar woh tumse kinara kash ho jayein aur ladne se baaz rahein aur tumhari taraf sulah o ashti(offer you peace) ka haath badayein to Allah ne tumhare liye unpar dast darazi ki koi sabeel nahin rakhi hai
Surah An-Nisa, Verse 90
سَتَجِدُونَ ءَاخَرِينَ يُرِيدُونَ أَن يَأۡمَنُوكُمۡ وَيَأۡمَنُواْ قَوۡمَهُمۡ كُلَّ مَا رُدُّوٓاْ إِلَى ٱلۡفِتۡنَةِ أُرۡكِسُواْ فِيهَاۚ فَإِن لَّمۡ يَعۡتَزِلُوكُمۡ وَيُلۡقُوٓاْ إِلَيۡكُمُ ٱلسَّلَمَ وَيَكُفُّوٓاْ أَيۡدِيَهُمۡ فَخُذُوهُمۡ وَٱقۡتُلُوهُمۡ حَيۡثُ ثَقِفۡتُمُوهُمۡۚ وَأُوْلَـٰٓئِكُمۡ جَعَلۡنَا لَكُمۡ عَلَيۡهِمۡ سُلۡطَٰنٗا مُّبِينٗا
Ek aur qisam ke munafiq tumhein aise milenge jo chahte hain ke tumse bhi aman mein rahein aur apni qaum se bhi, magar jab kabhi fitne ka mauqa payenge usmein kood padenge. Aisey log agar tumhare muqable se baaz na rahein aur sulah o salamati tumhare aagey pesh na karein aur apne haath na rokein to jahan woh milein unhein pakdo aur maaro, unpar haath uthane ke liye humne tumhein khuli hujjat de di hai
Surah An-Nisa, Verse 91
وَمَا كَانَ لِمُؤۡمِنٍ أَن يَقۡتُلَ مُؤۡمِنًا إِلَّا خَطَـٔٗاۚ وَمَن قَتَلَ مُؤۡمِنًا خَطَـٔٗا فَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مُّؤۡمِنَةٖ وَدِيَةٞ مُّسَلَّمَةٌ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِۦٓ إِلَّآ أَن يَصَّدَّقُواْۚ فَإِن كَانَ مِن قَوۡمٍ عَدُوّٖ لَّكُمۡ وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مُّؤۡمِنَةٖۖ وَإِن كَانَ مِن قَوۡمِۭ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَهُم مِّيثَٰقٞ فَدِيَةٞ مُّسَلَّمَةٌ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِۦ وَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مُّؤۡمِنَةٖۖ فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ شَهۡرَيۡنِ مُتَتَابِعَيۡنِ تَوۡبَةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Kisi momin ka yeh kaam nahin hai ke dusre momin ko qatal karey, illa yeh ke ussey chook ho jaye, aur jo shaks kisi momin ko galati se qatal karde to uska kaffara yeh hai ke ek momin ko gulami se azad karey aur maqtool ke warison ko khoon baha (blood-money) de, illa yeh ke woh khoon-baha maaf kardein. Lekin agar woh musalman maqtool kisi aisi qaum se tha jissey tumhari dushmani ho to uska kaffara ek momin gulam azad karna hai aur agar woh kisi aisi gair muslim qaum ka fard tha jissey tumhara muhaida ho to iske warison ko khoon-baha (blood-money) diya jayega aur ek momin gulam ko azad karna hoga. Phir jo gulam na paye woh pai dar pai do mahine ke roze rakkhey. Yeh is gunaah par Allah se tawba karne ka tareeqa hai .Aur Allah aleem o daana hai
Surah An-Nisa, Verse 92
وَمَن يَقۡتُلۡ مُؤۡمِنٗا مُّتَعَمِّدٗا فَجَزَآؤُهُۥ جَهَنَّمُ خَٰلِدٗا فِيهَا وَغَضِبَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِ وَلَعَنَهُۥ وَأَعَدَّ لَهُۥ عَذَابًا عَظِيمٗا
Raha woh shaks jo kisi momin ko jaan boojh kar qatal karey to uski jaza jahannum hai jismein woh hamesha rahega. Uspar Allah ka gazab aur uski laanat hai aur Allah ne uske liye sakht azaab muhaiyya kar rakkha hai
Surah An-Nisa, Verse 93
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا ضَرَبۡتُمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَتَبَيَّنُواْ وَلَا تَقُولُواْ لِمَنۡ أَلۡقَىٰٓ إِلَيۡكُمُ ٱلسَّلَٰمَ لَسۡتَ مُؤۡمِنٗا تَبۡتَغُونَ عَرَضَ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا فَعِندَ ٱللَّهِ مَغَانِمُ كَثِيرَةٞۚ كَذَٰلِكَ كُنتُم مِّن قَبۡلُ فَمَنَّ ٱللَّهُ عَلَيۡكُمۡ فَتَبَيَّنُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٗا
Aey logon jo iman laye ho, jab tum Allah ki raah mein jihad ke liye niklo to dost dushman mein tameez karo aur jo tumhari taraf salaam se takdeem (offers you greeting of peace) karey usey fawran na kehdo ke tu momin nahin hai, agar tum duniyavi faiyda chahte ho to Allah ke paas tumhare liye bahut se amwal e ganeemat hain. Aakhir isi halat mein tum khud bhi to issey pehle mubtala reh chuke ho, phir Allah ne tumpar ehsan kiya. Lihaza tehqeeq se kaam lo. Jo kuch tum karte ho Allah ussey bakhabar hai
Surah An-Nisa, Verse 94
لَّا يَسۡتَوِي ٱلۡقَٰعِدُونَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ غَيۡرُ أُوْلِي ٱلضَّرَرِ وَٱلۡمُجَٰهِدُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡۚ فَضَّلَ ٱللَّهُ ٱلۡمُجَٰهِدِينَ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡ عَلَى ٱلۡقَٰعِدِينَ دَرَجَةٗۚ وَكُلّٗا وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلۡحُسۡنَىٰۚ وَفَضَّلَ ٱللَّهُ ٱلۡمُجَٰهِدِينَ عَلَى ٱلۡقَٰعِدِينَ أَجۡرًا عَظِيمٗا
Musalmaano mein se woh log jo kisi maazuri (disabling injury) ke bagair ghar baithe rehte hain aur woh jo Allah ki raah mein jaan o maal se jihad karte hain dono ki haisiyat yaksan nahin hai. Allah ne baithne walon ki ba nisbat jaan o maal se jihad karne walon ka darja bada rakkha hai, agarche har ek ke liye Allah ne bhalayi ka wada farmaya hai, magar uske haan mujaahidon ki khidmat ka muawaza baithne walon se bahut zyada hai
Surah An-Nisa, Verse 95
دَرَجَٰتٖ مِّنۡهُ وَمَغۡفِرَةٗ وَرَحۡمَةٗۚ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمًا
Unke liye Allah ki taraf se badey darje hain aur magfirat aur rehmat hai, aur Allah bada maaf karne wala aur reham farmane wala hai
Surah An-Nisa, Verse 96
إِنَّ ٱلَّذِينَ تَوَفَّىٰهُمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ ظَالِمِيٓ أَنفُسِهِمۡ قَالُواْ فِيمَ كُنتُمۡۖ قَالُواْ كُنَّا مُسۡتَضۡعَفِينَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ قَالُوٓاْ أَلَمۡ تَكُنۡ أَرۡضُ ٱللَّهِ وَٰسِعَةٗ فَتُهَاجِرُواْ فِيهَاۚ فَأُوْلَـٰٓئِكَ مَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُۖ وَسَآءَتۡ مَصِيرًا
Jo log apne nafs par zulm kar rahey thay unki roohein jab farishton ne qabz ki to unse pucha ke yeh tum kis haal mein mubtila thay? Unhon ne jawab diya ke hum zameen mein kamzoor o majboor thay, farishton ne kaha, kya khuda ki zameen waseeh na thi ke tum usmein hijrat karte? Yeh woh log hain jinka thikana jahannum hai aur bada hi bura thikana hai
Surah An-Nisa, Verse 97
إِلَّا ٱلۡمُسۡتَضۡعَفِينَ مِنَ ٱلرِّجَالِ وَٱلنِّسَآءِ وَٱلۡوِلۡدَٰنِ لَا يَسۡتَطِيعُونَ حِيلَةٗ وَلَا يَهۡتَدُونَ سَبِيلٗا
Haan jo Mard, auratein aur bacchey waqayi bebas hain aur nikalne ka koi raasta aur zariya nahin paatey
Surah An-Nisa, Verse 98
فَأُوْلَـٰٓئِكَ عَسَى ٱللَّهُ أَن يَعۡفُوَ عَنۡهُمۡۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَفُوًّا غَفُورٗا
Baeed nahin ke Allah unhein maaf karde, Allah bada maaf karne wala aur darguzar farmane wala hai
Surah An-Nisa, Verse 99
۞وَمَن يُهَاجِرۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ يَجِدۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُرَٰغَمٗا كَثِيرٗا وَسَعَةٗۚ وَمَن يَخۡرُجۡ مِنۢ بَيۡتِهِۦ مُهَاجِرًا إِلَى ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ ثُمَّ يُدۡرِكۡهُ ٱلۡمَوۡتُ فَقَدۡ وَقَعَ أَجۡرُهُۥ عَلَى ٱللَّهِۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
Jo koi Allah ki raah mein hijrat karega woh zameen mein panaah lene ke liye bahut jagah aur basar awqat ke liye badi gunjaish payega, aur jo apne ghar se Allah aur Rasool ki taraf hijrat ke liye nikle, phir raaste hi mein usey maut aa jaye uska ajar Allah ke zimme wajib ho gaya. Allah bahut bakshish farmane wala aur Raheem hai
Surah An-Nisa, Verse 100
وَإِذَا ضَرَبۡتُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَلَيۡسَ عَلَيۡكُمۡ جُنَاحٌ أَن تَقۡصُرُواْ مِنَ ٱلصَّلَوٰةِ إِنۡ خِفۡتُمۡ أَن يَفۡتِنَكُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْۚ إِنَّ ٱلۡكَٰفِرِينَ كَانُواْ لَكُمۡ عَدُوّٗا مُّبِينٗا
Aur jab tumlog safar ke liye niklo to koi muzaika (blame) nahin agar namaz mein ikhtesar(shorten) kardo (khususan) jabke tumhein andesha ho ke kafir tumhein satayenge kyunke woh khullam khulla tumhari dushmani par tuley huey hain
Surah An-Nisa, Verse 101
وَإِذَا كُنتَ فِيهِمۡ فَأَقَمۡتَ لَهُمُ ٱلصَّلَوٰةَ فَلۡتَقُمۡ طَآئِفَةٞ مِّنۡهُم مَّعَكَ وَلۡيَأۡخُذُوٓاْ أَسۡلِحَتَهُمۡۖ فَإِذَا سَجَدُواْ فَلۡيَكُونُواْ مِن وَرَآئِكُمۡ وَلۡتَأۡتِ طَآئِفَةٌ أُخۡرَىٰ لَمۡ يُصَلُّواْ فَلۡيُصَلُّواْ مَعَكَ وَلۡيَأۡخُذُواْ حِذۡرَهُمۡ وَأَسۡلِحَتَهُمۡۗ وَدَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡ تَغۡفُلُونَ عَنۡ أَسۡلِحَتِكُمۡ وَأَمۡتِعَتِكُمۡ فَيَمِيلُونَ عَلَيۡكُم مَّيۡلَةٗ وَٰحِدَةٗۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ إِن كَانَ بِكُمۡ أَذٗى مِّن مَّطَرٍ أَوۡ كُنتُم مَّرۡضَىٰٓ أَن تَضَعُوٓاْ أَسۡلِحَتَكُمۡۖ وَخُذُواْ حِذۡرَكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ أَعَدَّ لِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٗا مُّهِينٗا
Aur (aey Nabi)! Jab tum musalmaano ke darmiyan ho aur (halat e jung mein) unhein namaz padhane khade ho to chahiye ke unmein se ek giroh tumhare saath khada ho aur aslaha (arms) liye rahey, phir jab woh sajda karle to pichey chala jaye aur dusra giroh jisne abhi namaz nahin padhi hai aakar tumhare saath padhey aur woh bhi chaukanna rahey aur apne aslaha(arms) liye rahey, kyunke kuffar is taak mein hain ke tum apne hathiyaron aur apne samaan ki taraf se zara gaafil ho to woh tumpar ek-baar hi toot padein. Albatta agar tum baarish ki wajah se takleef mehsoos karo ya bimaar ho to aslaha rakh dene mein koi muzaika nahin, magar phir bhi chaukanne raho , yaqeen rakkho ke Allah ne kafiron ke liye ruswa kun azaab muhaiyya kar rakkha hai
Surah An-Nisa, Verse 102
فَإِذَا قَضَيۡتُمُ ٱلصَّلَوٰةَ فَٱذۡكُرُواْ ٱللَّهَ قِيَٰمٗا وَقُعُودٗا وَعَلَىٰ جُنُوبِكُمۡۚ فَإِذَا ٱطۡمَأۡنَنتُمۡ فَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَۚ إِنَّ ٱلصَّلَوٰةَ كَانَتۡ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ كِتَٰبٗا مَّوۡقُوتٗا
Phir jab namaz se farig ho jao to khade aur baithey aur letay, har haal mein Allah ko yaad karte raho aur jab itminaan naseeb ho jaye to poori namaz padho , namaz dar haqeeqat aisa farz hai jo pabandi e waqt ke saath ehle iman par lazim kiya gaya hai
Surah An-Nisa, Verse 103
وَلَا تَهِنُواْ فِي ٱبۡتِغَآءِ ٱلۡقَوۡمِۖ إِن تَكُونُواْ تَأۡلَمُونَ فَإِنَّهُمۡ يَأۡلَمُونَ كَمَا تَأۡلَمُونَۖ وَتَرۡجُونَ مِنَ ٱللَّهِ مَا لَا يَرۡجُونَۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمًا
Is giroh ke taaqub mein kamzori na dikhao, agar tum takleef utha rahey ho to tumhari tarah woh bhi takleef utha rahey hain aur tum Allah se us cheez ke umeedwaar ho jiske woh umeedwaar nahin hain. Allah sabkuch jaanta hai aur woh hakeem o dana hai
Surah An-Nisa, Verse 104
إِنَّآ أَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ لِتَحۡكُمَ بَيۡنَ ٱلنَّاسِ بِمَآ أَرَىٰكَ ٱللَّهُۚ وَلَا تَكُن لِّلۡخَآئِنِينَ خَصِيمٗا
(Aey Nabi)! Humne yeh kitab haqq ke saath tumhari taraf nazil ki hai taa-ke jo raah e raast Allah ne tumhein dikhayi hai uske mutabiq logon ke darmiyan faisla karo. Tum bad-dayanat(dishonest) logon ki taraf se jhagadne waley na bano
Surah An-Nisa, Verse 105
وَٱسۡتَغۡفِرِ ٱللَّهَۖ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
Aur Allah se darguzar (forgiveness) ki darkhwast karo, woh bada darguzar farmane wala aur Raheem hai
Surah An-Nisa, Verse 106
وَلَا تُجَٰدِلۡ عَنِ ٱلَّذِينَ يَخۡتَانُونَ أَنفُسَهُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ مَن كَانَ خَوَّانًا أَثِيمٗا
Jo log apne nafs se khayanat karte hain tum unki himayat na karo, Allah ko aisa shaks pasand nahin hai jo khayanatkaar (who betrays trust) aur maasiyat pesha (persists in sin) ho
Surah An-Nisa, Verse 107
يَسۡتَخۡفُونَ مِنَ ٱلنَّاسِ وَلَا يَسۡتَخۡفُونَ مِنَ ٱللَّهِ وَهُوَ مَعَهُمۡ إِذۡ يُبَيِّتُونَ مَا لَا يَرۡضَىٰ مِنَ ٱلۡقَوۡلِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِمَا يَعۡمَلُونَ مُحِيطًا
Yeh log Insano se apni harakat chupa sakte hain magar khuda se nahin chupa sakte , woh to us waqt bhi unke saath hota hai jab yeh raaton ko chupkar uski marzi ke khilaf mashware karte hain, inke sarey aamal par Allah muheet (encompasses) hai
Surah An-Nisa, Verse 108
هَـٰٓأَنتُمۡ هَـٰٓؤُلَآءِ جَٰدَلۡتُمۡ عَنۡهُمۡ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا فَمَن يُجَٰدِلُ ٱللَّهَ عَنۡهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ أَم مَّن يَكُونُ عَلَيۡهِمۡ وَكِيلٗا
Haan! Tum logon ne in mujreemon ki taraf se duniya ki zindagi mein to jhagda karliya, magar qayamat ke roz inki taraf se kaun jhagda karega? Aakhir wahan kaun inka wakeel hoga
Surah An-Nisa, Verse 109
وَمَن يَعۡمَلۡ سُوٓءًا أَوۡ يَظۡلِمۡ نَفۡسَهُۥ ثُمَّ يَسۡتَغۡفِرِ ٱللَّهَ يَجِدِ ٱللَّهَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
Agar koi shaks bura fail (amal) kar guzre ya apne nafs par zulm kar jaye aur iske baad Allah se darguzar (forgiveness) ki darkhwast karey to Allah ko darguzar (maaf) karne wala aur raheem payega
Surah An-Nisa, Verse 110
وَمَن يَكۡسِبۡ إِثۡمٗا فَإِنَّمَا يَكۡسِبُهُۥ عَلَىٰ نَفۡسِهِۦۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Magar jo burayi kama ley to uski yeh kamayi usi ke liye wabal hogi. Allah ko sab baaton ki khabar hai aur woh hakeem o dana hai
Surah An-Nisa, Verse 111
وَمَن يَكۡسِبۡ خَطِيٓـَٔةً أَوۡ إِثۡمٗا ثُمَّ يَرۡمِ بِهِۦ بَرِيٓـٔٗا فَقَدِ ٱحۡتَمَلَ بُهۡتَٰنٗا وَإِثۡمٗا مُّبِينٗا
Phir jisne koi khata ya gunaah karke uska zaam (blame) kisi be-gunaah par thop diya usne to baday bohtaan aur sareeh gunaah ka baar sameith liya
Surah An-Nisa, Verse 112
وَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكَ وَرَحۡمَتُهُۥ لَهَمَّت طَّآئِفَةٞ مِّنۡهُمۡ أَن يُضِلُّوكَ وَمَا يُضِلُّونَ إِلَّآ أَنفُسَهُمۡۖ وَمَا يَضُرُّونَكَ مِن شَيۡءٖۚ وَأَنزَلَ ٱللَّهُ عَلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَعَلَّمَكَ مَا لَمۡ تَكُن تَعۡلَمُۚ وَكَانَ فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكَ عَظِيمٗا
(Aey Nabi)! Agar Allah ka fazal tumpar na hota aur uski rehmat tumhare shamil e haal na hoti to inmein se ek giroh ne to tumhein galat fehmi mein mubtila karne ka faisla kar hi liya tha, halaanke dar-haqeeqat woh khud apne siwa kisi ko galat fehmi mein mubtila nahin kar rahey thay, aur tumhara koi nuqsaan na kar sakte thay. Allah ne tumpar kitab aur hikmat nazil ki hai aur tumko woh kuch bataya hai jo tumhein maloom na tha aur uska fazl tumpar bahut hai
Surah An-Nisa, Verse 113
۞لَّا خَيۡرَ فِي كَثِيرٖ مِّن نَّجۡوَىٰهُمۡ إِلَّا مَنۡ أَمَرَ بِصَدَقَةٍ أَوۡ مَعۡرُوفٍ أَوۡ إِصۡلَٰحِۭ بَيۡنَ ٱلنَّاسِۚ وَمَن يَفۡعَلۡ ذَٰلِكَ ٱبۡتِغَآءَ مَرۡضَاتِ ٱللَّهِ فَسَوۡفَ نُؤۡتِيهِ أَجۡرًا عَظِيمٗا
Logon ki khufiya sargoshiyon(secret talks) mein aksar o beshtar koi bhalayi nahin hoti, haan agar koi posheeda taur par sadaqa o khairaat ki talqeen karey ya kisi neik kaam ke liye ya logon ke maamlaat mein islah karne ke liye kisi se kuch kahey to yeh albatta bhali baat hai. Aur jo koi Allah ki raza-joyi ke liye aisa karega usey hum bada ajar ata karenge
Surah An-Nisa, Verse 114
وَمَن يُشَاقِقِ ٱلرَّسُولَ مِنۢ بَعۡدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُ ٱلۡهُدَىٰ وَيَتَّبِعۡ غَيۡرَ سَبِيلِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ نُوَلِّهِۦ مَا تَوَلَّىٰ وَنُصۡلِهِۦ جَهَنَّمَۖ وَسَآءَتۡ مَصِيرًا
Magar jo shaks Rasool ki mukhalifat par qamar basta ho aur ehle iman ki rawish ke siwa kisi aur rawish par chaley, daraan haal yeh ke uspar raah e raast wazeh ho chuki ho, to usko hum usi taraf chalayenge jidhar woh khud phir gaya aur usey jahannum mein jhonkenge jo badhtareen jaye qarar (evil destination) hai
Surah An-Nisa, Verse 115
إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَغۡفِرُ أَن يُشۡرَكَ بِهِۦ وَيَغۡفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَآءُۚ وَمَن يُشۡرِكۡ بِٱللَّهِ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلَٰلَۢا بَعِيدًا
Allah ke haan bas shirk hi ki bakshish nahin hai, iske siwa aur sab kuch maaf ho sakta hai jisey woh maaf karna chahe. Jisne Allah ke saath kisi ko shareek thehraya woh to gumraahi mein bahut door nikal gaya
Surah An-Nisa, Verse 116
إِن يَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦٓ إِلَّآ إِنَٰثٗا وَإِن يَدۡعُونَ إِلَّا شَيۡطَٰنٗا مَّرِيدٗا
Woh Allah ko chodh kar dewiyon (godesses) ko mabood banate hain, Woh us baagi shaytaan ko mabood banate hain
Surah An-Nisa, Verse 117
لَّعَنَهُ ٱللَّهُۘ وَقَالَ لَأَتَّخِذَنَّ مِنۡ عِبَادِكَ نَصِيبٗا مَّفۡرُوضٗا
Jisko Allah ne laanat zadah kiya hai (woh us shaytaan ki itaat kar rahey hain) jisne Allah se kaha tha ke “main tere bandon se ek muqarrar hissa lekar rahunga
Surah An-Nisa, Verse 118
وَلَأُضِلَّنَّهُمۡ وَلَأُمَنِّيَنَّهُمۡ وَلَأٓمُرَنَّهُمۡ فَلَيُبَتِّكُنَّ ءَاذَانَ ٱلۡأَنۡعَٰمِ وَلَأٓمُرَنَّهُمۡ فَلَيُغَيِّرُنَّ خَلۡقَ ٱللَّهِۚ وَمَن يَتَّخِذِ ٱلشَّيۡطَٰنَ وَلِيّٗا مِّن دُونِ ٱللَّهِ فَقَدۡ خَسِرَ خُسۡرَانٗا مُّبِينٗا
Main unhein behkaunga, main unhein aarzuon(vain desires) mein uljhaunga, main unehin hukum dunga aur woh mere hukum se jaanwaron ke kaan phadenge aur main unhein hukum dunga aur woh mere hukum se khudayi saakht mein radd o badal (disfigure Allah's creation) karenge”. Us Shaytan ko jisne Allah ke bajaye apna wali o sarparast bana liya woh sareeh nuqsaan mein padh gaya
Surah An-Nisa, Verse 119
يَعِدُهُمۡ وَيُمَنِّيهِمۡۖ وَمَا يَعِدُهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ إِلَّا غُرُورًا
Woh in logon se wadey karta hai aur inhein umeedein dilate hai, magar Shaytan ke saarey wadey bajuz fareb ke aur kuch nahin hain
Surah An-Nisa, Verse 120
أُوْلَـٰٓئِكَ مَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُ وَلَا يَجِدُونَ عَنۡهَا مَحِيصٗا
In logon ka thikana jahannum hai jissey khalasi (escape) ki koi surat yeh na payenge
Surah An-Nisa, Verse 121
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ سَنُدۡخِلُهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٗاۚ وَمَنۡ أَصۡدَقُ مِنَ ٱللَّهِ قِيلٗا
Rahey woh log jo iman le aayein aur neik amal karein, to unhein hum aisey baaghon mein dakhil karenge jinke nichey nehrein behti hongi aur woh wahan hamesha hamesha rahenge. Yeh Allah ka saccha wada hai aur Allah se badhkar kaun apni baat mein saccha hoga
Surah An-Nisa, Verse 122
لَّيۡسَ بِأَمَانِيِّكُمۡ وَلَآ أَمَانِيِّ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِۗ مَن يَعۡمَلۡ سُوٓءٗا يُجۡزَ بِهِۦ وَلَا يَجِدۡ لَهُۥ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلِيّٗا وَلَا نَصِيرٗا
Anjaam-e- kaar na tumhari aarzuon par mauquf hai na ehle kitab ki aarzuon par. Jo bhi burayi karega uska phal payega aur Allah ke muqable mein apne liye koi haami o madadgaar na paa sakega
Surah An-Nisa, Verse 123
وَمَن يَعۡمَلۡ مِنَ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ مِن ذَكَرٍ أَوۡ أُنثَىٰ وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَأُوْلَـٰٓئِكَ يَدۡخُلُونَ ٱلۡجَنَّةَ وَلَا يُظۡلَمُونَ نَقِيرٗا
Aur jo neik amal karega, khwa mard ho ya aurat, bashart ye ke ho woh momin, to aisey hi log Jannat mein daakhil honge aur unki zarra barabar haqq talafi na honay payegi
Surah An-Nisa, Verse 124
وَمَنۡ أَحۡسَنُ دِينٗا مِّمَّنۡ أَسۡلَمَ وَجۡهَهُۥ لِلَّهِ وَهُوَ مُحۡسِنٞ وَٱتَّبَعَ مِلَّةَ إِبۡرَٰهِيمَ حَنِيفٗاۗ وَٱتَّخَذَ ٱللَّهُ إِبۡرَٰهِيمَ خَلِيلٗا
Us shaks se behter aur kiska tareeqe zindagi ho sakta hai jisne Allah ke aagey sar-e-tasleem kham kardiya aur apna rawayya neik rakkha aur yaksu hokar Ibrahim ke tareeqe ki pairwi ki, us Ibrahim ke tareeqe ki jisey Allah ne apna dost bana liya tha
Surah An-Nisa, Verse 125
وَلِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٖ مُّحِيطٗا
Aasmaano aur zameen mein jo kuch hai Allah ka hai aur Allah har cheez par muhit hai
Surah An-Nisa, Verse 126
وَيَسۡتَفۡتُونَكَ فِي ٱلنِّسَآءِۖ قُلِ ٱللَّهُ يُفۡتِيكُمۡ فِيهِنَّ وَمَا يُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ فِي يَتَٰمَى ٱلنِّسَآءِ ٱلَّـٰتِي لَا تُؤۡتُونَهُنَّ مَا كُتِبَ لَهُنَّ وَتَرۡغَبُونَ أَن تَنكِحُوهُنَّ وَٱلۡمُسۡتَضۡعَفِينَ مِنَ ٱلۡوِلۡدَٰنِ وَأَن تَقُومُواْ لِلۡيَتَٰمَىٰ بِٱلۡقِسۡطِۚ وَمَا تَفۡعَلُواْ مِنۡ خَيۡرٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِهِۦ عَلِيمٗا
Log tumse auraton ke maamle mein fatwa puchte hain, kaho Allah tumhein unke maamale mein fatwa deta hai, aur saath hi woh ehkam bhi yaad dilata hai jo pehle se tumko is kitab mein sunaye jaa rahey hain, yani woh ehkaam jo un yateem ladkiyon ke mutaaliq hain jinke haqq tum ada nahin karte aur jinke nikah karne se tum baaz rehte ho (ya lalaj ki bina par tum khud unsey nikah karlena chahte ho), aur woh ehkam jo un bacchon ke mutaaliq hain jo bechare koi zoar nahin rakhte , Allah tumhein hidayat karta hai ke yateemon ke saath insaf par qayam raho, aur jo bhalayi tum karoge woh Allah ke ilm se chupi na reh jayegi
Surah An-Nisa, Verse 127
وَإِنِ ٱمۡرَأَةٌ خَافَتۡ مِنۢ بَعۡلِهَا نُشُوزًا أَوۡ إِعۡرَاضٗا فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡهِمَآ أَن يُصۡلِحَا بَيۡنَهُمَا صُلۡحٗاۚ وَٱلصُّلۡحُ خَيۡرٞۗ وَأُحۡضِرَتِ ٱلۡأَنفُسُ ٱلشُّحَّۚ وَإِن تُحۡسِنُواْ وَتَتَّقُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٗا
Jab kisi aurat ko apne shohar se badhsulooki ya be rukhi ka khatara ho to koi muzahiqa nahin agar miya aur biwi (kuch huqooq ki kami beshi par) aapas mein sulah karlein, sulah bahar haal behtar hai. Nafs tangg dili ke taraf jaldi mayil ho jatey hain, lekin agar tumlog ehsan se pesh aao aur khuda tarsi se kaam lo to yaqeen rakkho ke Allah tumhare is tarz-e-amal se be-khabar na hoga
Surah An-Nisa, Verse 128
وَلَن تَسۡتَطِيعُوٓاْ أَن تَعۡدِلُواْ بَيۡنَ ٱلنِّسَآءِ وَلَوۡ حَرَصۡتُمۡۖ فَلَا تَمِيلُواْ كُلَّ ٱلۡمَيۡلِ فَتَذَرُوهَا كَٱلۡمُعَلَّقَةِۚ وَإِن تُصۡلِحُواْ وَتَتَّقُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
Biwiyon ke darmiyan poora poora adal karna tumhare bas mein nahin hai, tum chaho bhi to ispar qaadir nahin ho sakte, lihaza (kanoon e ilahi ka mansha poora karne ke liye yeh kafi hai ke) ek biwi ki taraf is tarah na jhuk jao ke dusri ko adhar latakta (in suspense) chodh do. Agar tum apna tarz e amal durust rakkho aur Allah se darte raho to Allah chashm poshi (All-Forgiving) karne wala aur reham farmane wala hai
Surah An-Nisa, Verse 129
وَإِن يَتَفَرَّقَا يُغۡنِ ٱللَّهُ كُلّٗا مِّن سَعَتِهِۦۚ وَكَانَ ٱللَّهُ وَٰسِعًا حَكِيمٗا
Lekin agar zawjain ek dusre se alag hi ho jayen to Allah apni waseeh qudrat se har ek ko dusre ki mohtaji se be niyaz kardega. Allah ka daaman bahut kushada hai aur woh dana o beena hai
Surah An-Nisa, Verse 130
وَلِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۗ وَلَقَدۡ وَصَّيۡنَا ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِكُمۡ وَإِيَّاكُمۡ أَنِ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ وَإِن تَكۡفُرُواْ فَإِنَّ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ غَنِيًّا حَمِيدٗا
Aasmano aur zameen mein jo kuch bhi hai sab Allah hi ka hai, tumse pehle jinko humne kitab di thi unhein bhi yahi hidayat ki thi aur ab tumko bhi yahi hidayat karte hain ke khuda se darte huey kaam karo, lekin agar tum nahin maante to na maano, aasman o zameen ki saari cheezon ka maalik Allah hi hai aur woh beniyaz hai, har tareef ka mustahiq
Surah An-Nisa, Verse 131
وَلِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَكِيلًا
Haan Allah hi maalik hai un sab cheezon ka jo aasmano mein hain aur jo zameen mein hain, aur kaarsaazi ke liye bas wahi kafi hai
Surah An-Nisa, Verse 132
إِن يَشَأۡ يُذۡهِبۡكُمۡ أَيُّهَا ٱلنَّاسُ وَيَأۡتِ بِـَٔاخَرِينَۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلَىٰ ذَٰلِكَ قَدِيرٗا
Agar woh chahe to tum logon ko hata kar tumhari jagah dusron ko le aaye, aur woh iski poori qudrat rakhta hai
Surah An-Nisa, Verse 133
مَّن كَانَ يُرِيدُ ثَوَابَ ٱلدُّنۡيَا فَعِندَ ٱللَّهِ ثَوَابُ ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ سَمِيعَۢا بَصِيرٗا
Jo shaks mehaz sawab e duniya ka taalib ho usey maloom hona chahiye ke Allah ke paas sawab e duniya bhi hai aur sawab e aakhirat bhi, aur Allah sami o baseer (sunnay aur dekhne wala) hai
Surah An-Nisa, Verse 134
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُونُواْ قَوَّـٰمِينَ بِٱلۡقِسۡطِ شُهَدَآءَ لِلَّهِ وَلَوۡ عَلَىٰٓ أَنفُسِكُمۡ أَوِ ٱلۡوَٰلِدَيۡنِ وَٱلۡأَقۡرَبِينَۚ إِن يَكُنۡ غَنِيًّا أَوۡ فَقِيرٗا فَٱللَّهُ أَوۡلَىٰ بِهِمَاۖ فَلَا تَتَّبِعُواْ ٱلۡهَوَىٰٓ أَن تَعۡدِلُواْۚ وَإِن تَلۡوُۥٓاْ أَوۡ تُعۡرِضُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٗا
Aey logon jo iman laye ho, insaf ke alambardaar aur khuda wastey ke gawah bano agarchey tumhare insaaf aur tumhari gawahi ki zadh (against) khud tumhari apni zaat par ya tumhare walidain aur rishtedaaron par hi kyun na padhti ho, fareeq maamala khwa maaldaar ho ya gareeb, Allah tumse zyada unka khair khwa hai. Lihaza apni khwahish e nafs ki pariwi mein adal (insaf) se baaz na raho aur agar tumne lagi lipti baat kahi ya sacchayi se pehlu bachaya to jaan rakkho ke jo kuch tum karte ho Allah koi uski khabar hai
Surah An-Nisa, Verse 135
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ ءَامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَٱلۡكِتَٰبِ ٱلَّذِي نَزَّلَ عَلَىٰ رَسُولِهِۦ وَٱلۡكِتَٰبِ ٱلَّذِيٓ أَنزَلَ مِن قَبۡلُۚ وَمَن يَكۡفُرۡ بِٱللَّهِ وَمَلَـٰٓئِكَتِهِۦ وَكُتُبِهِۦ وَرُسُلِهِۦ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلَٰلَۢا بَعِيدًا
Aey logon jo iman laye ho, iman lao Allah par aur uske Rasool par aur us kitab par jo Allah ne apne Rasool par nazil ki hai aur har us kitab par jo ussey pehle woh nazil kar chuka hai. Jisne Allah aur uske malaika aur uski kitabon aur uske Rasoolon aur roz e aakhirat se kufr kiya woh gumrahi mein bhatak kar bahut door nikal gaya
Surah An-Nisa, Verse 136
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ثُمَّ كَفَرُواْ ثُمَّ ءَامَنُواْ ثُمَّ كَفَرُواْ ثُمَّ ٱزۡدَادُواْ كُفۡرٗا لَّمۡ يَكُنِ ٱللَّهُ لِيَغۡفِرَ لَهُمۡ وَلَا لِيَهۡدِيَهُمۡ سَبِيلَۢا
Rahey woh log jo iman laye , phir kufr kiya, phir iman laye , phir kufr kiya, phir apne kufr mein badhte chale gaye, to Allah hargiz unko maaf na karega aur na kabhi unko raah e raast dikhaeyga
Surah An-Nisa, Verse 137
بَشِّرِ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ بِأَنَّ لَهُمۡ عَذَابًا أَلِيمًا
Aur jo munafiq ehle iman ko chodh kar kafiron ko apna rafeeq banate hain unhein yeh musda (give tidings) suna do ke unke liye dardnaak saza tayyar hai
Surah An-Nisa, Verse 138
ٱلَّذِينَ يَتَّخِذُونَ ٱلۡكَٰفِرِينَ أَوۡلِيَآءَ مِن دُونِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۚ أَيَبۡتَغُونَ عِندَهُمُ ٱلۡعِزَّةَ فَإِنَّ ٱلۡعِزَّةَ لِلَّهِ جَمِيعٗا
Kya yeh log izzat ki talab mein unke paas jatey hain? Halaanke izzat to sari ki sari Allah hi ke liye hai
Surah An-Nisa, Verse 139
وَقَدۡ نَزَّلَ عَلَيۡكُمۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ أَنۡ إِذَا سَمِعۡتُمۡ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ يُكۡفَرُ بِهَا وَيُسۡتَهۡزَأُ بِهَا فَلَا تَقۡعُدُواْ مَعَهُمۡ حَتَّىٰ يَخُوضُواْ فِي حَدِيثٍ غَيۡرِهِۦٓ إِنَّكُمۡ إِذٗا مِّثۡلُهُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ جَامِعُ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ وَٱلۡكَٰفِرِينَ فِي جَهَنَّمَ جَمِيعًا
Allah is kitab mein tumko pehle hi hukum de chuka hai ke jahan tum suno ke Allah ki aayat ke khilaf kufr baka jaa raha hai aur unka mazaq udaya jaa raha hai wahan na baitho jab tak ke log kisi dusri baat mein na lag jayein, ab agar tum aisa karte ho to tum bhi unhi ki tarah ho. Yaqeen jaano ke Allah munafiqon aur kafiron ko jahannum mein ek jagah jamaa karne wala hai
Surah An-Nisa, Verse 140
ٱلَّذِينَ يَتَرَبَّصُونَ بِكُمۡ فَإِن كَانَ لَكُمۡ فَتۡحٞ مِّنَ ٱللَّهِ قَالُوٓاْ أَلَمۡ نَكُن مَّعَكُمۡ وَإِن كَانَ لِلۡكَٰفِرِينَ نَصِيبٞ قَالُوٓاْ أَلَمۡ نَسۡتَحۡوِذۡ عَلَيۡكُمۡ وَنَمۡنَعۡكُم مِّنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۚ فَٱللَّهُ يَحۡكُمُ بَيۡنَكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ وَلَن يَجۡعَلَ ٱللَّهُ لِلۡكَٰفِرِينَ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ سَبِيلًا
Yeh munafiq tumhare maamale mein intezar kar rahey hain (ke ount kis karwat baithta hai) Agar Allah ki taraf se fatah tumhari hui to aa kar kahenge ke kya hum tumhare saath na thay? Agar kafiron ka palla bhari raha to unse kahenge ke kya hum tumhare khilaf ladne par qaadir na thay aur phir bhi humne tumko musalmaano se bachaya? Bas Allah hi tumhare aur unke maamle ka faisla qayamat ke roz karega aur (is faisley mein) Allah ne kafrion ke liye musalmaano par gaalib aane ki hargiz koi sabeel nahin rakkhi hai
Surah An-Nisa, Verse 141
إِنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ يُخَٰدِعُونَ ٱللَّهَ وَهُوَ خَٰدِعُهُمۡ وَإِذَا قَامُوٓاْ إِلَى ٱلصَّلَوٰةِ قَامُواْ كُسَالَىٰ يُرَآءُونَ ٱلنَّاسَ وَلَا يَذۡكُرُونَ ٱللَّهَ إِلَّا قَلِيلٗا
Yeh munafiq Allah ke saath dhoke-baazi kar rahey hain halaanke dar haqeeqat Allah hi ne inhein dhoke mein daal rakkha hai. Jab yeh namaz ke liye uthte hain to kasmasate huey mehaz logon ko dikhane ki khatir uthte hain, aur khuda ko kam hi yaad karte hain
Surah An-Nisa, Verse 142
مُّذَبۡذَبِينَ بَيۡنَ ذَٰلِكَ لَآ إِلَىٰ هَـٰٓؤُلَآءِ وَلَآ إِلَىٰ هَـٰٓؤُلَآءِۚ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَلَن تَجِدَ لَهُۥ سَبِيلٗا
Kufr o iman ke darmiyan dawa-dol hain, na purey is taraf hain na purey us taraf. Jisey Allah ne bhatka diya ho uske liye tum koi raasta nahin paa sakte
Surah An-Nisa, Verse 143
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ ٱلۡكَٰفِرِينَ أَوۡلِيَآءَ مِن دُونِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۚ أَتُرِيدُونَ أَن تَجۡعَلُواْ لِلَّهِ عَلَيۡكُمۡ سُلۡطَٰنٗا مُّبِينًا
Aey logon jo iman laye ho, momin ko chodh kar kafiron ko apna rafeeq na banao. Kya tum chahte ho ke Allah ko apne khilaf sareeh hujjat dedo
Surah An-Nisa, Verse 144
إِنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ فِي ٱلدَّرۡكِ ٱلۡأَسۡفَلِ مِنَ ٱلنَّارِ وَلَن تَجِدَ لَهُمۡ نَصِيرًا
Yaqeen jaano ke munafiq jahannum ke sabse nichey tabqe mein jayenge aur tum kisi ko unka madadgaar na paogey
Surah An-Nisa, Verse 145
إِلَّا ٱلَّذِينَ تَابُواْ وَأَصۡلَحُواْ وَٱعۡتَصَمُواْ بِٱللَّهِ وَأَخۡلَصُواْ دِينَهُمۡ لِلَّهِ فَأُوْلَـٰٓئِكَ مَعَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۖ وَسَوۡفَ يُؤۡتِ ٱللَّهُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ أَجۡرًا عَظِيمٗا
Albatta jo unmein se taaib ho jayein aur apne tarz e amal ki islah karlein aur Allah ka daaman thaam lein aur apne deen ko Allah ke liye khalis kardein, aisey log momino ke saath hain aur Allah momino ko zaroor ajar e azeem ata farmayega
Surah An-Nisa, Verse 146
مَّا يَفۡعَلُ ٱللَّهُ بِعَذَابِكُمۡ إِن شَكَرۡتُمۡ وَءَامَنتُمۡۚ وَكَانَ ٱللَّهُ شَاكِرًا عَلِيمٗا
Aakhir Allah ko kya padi hai ke tumhein khwa ma khwa saza de agar tum shukarguzar banday baney raho aur iman ki rawish par chalo? Allah bada qadardaan hai aur sabke haal se waqif hai
Surah An-Nisa, Verse 147
۞لَّا يُحِبُّ ٱللَّهُ ٱلۡجَهۡرَ بِٱلسُّوٓءِ مِنَ ٱلۡقَوۡلِ إِلَّا مَن ظُلِمَۚ وَكَانَ ٱللَّهُ سَمِيعًا عَلِيمًا
Allah isko pasand nahin karta ke aadmi badhgoyi par zubaan kholey (speaking evil publicly), illa ye ke kisi par zulm kiya gaya ho. Aur Allah sab kuch sunne aur jaanne wala hai
Surah An-Nisa, Verse 148
إِن تُبۡدُواْ خَيۡرًا أَوۡ تُخۡفُوهُ أَوۡ تَعۡفُواْ عَن سُوٓءٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَفُوّٗا قَدِيرًا
(Mazloom honay ki surat mein agarche tumpar badhgoyi ka haqq hai) lekin agar tum zaahir o baatin mein bhalayi hi kiye jao, ya kam az kam burayi se darguzar karo, to Allah ki siffat bhi yahi hai ke wo bada maaf karne wala hai, Halaanke saza dene par poori qudrat rakhta hai
Surah An-Nisa, Verse 149
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَكۡفُرُونَ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦ وَيُرِيدُونَ أَن يُفَرِّقُواْ بَيۡنَ ٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦ وَيَقُولُونَ نُؤۡمِنُ بِبَعۡضٖ وَنَكۡفُرُ بِبَعۡضٖ وَيُرِيدُونَ أَن يَتَّخِذُواْ بَيۡنَ ذَٰلِكَ سَبِيلًا
Jo log Allah aur uske Rasoolon se kufr karte hain, aur chahte hain ke Allah aur uske Rasoolon ke darmiyan tafreeq karein, aur kehte hain ke hum kisi ko maanenge aur kisi ko na maanenge, aur kufr o iman ke beech mein ek raah nikalne ka irada rakhte hain
Surah An-Nisa, Verse 150
أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡكَٰفِرُونَ حَقّٗاۚ وَأَعۡتَدۡنَا لِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٗا مُّهِينٗا
Woh sab pakke kafir hain aur aise kafrion ke liye humne woh saza muhaiyya kar rakkhi hai jo unhein zaleel o khwar kardene wali hogi
Surah An-Nisa, Verse 151
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦ وَلَمۡ يُفَرِّقُواْ بَيۡنَ أَحَدٖ مِّنۡهُمۡ أُوْلَـٰٓئِكَ سَوۡفَ يُؤۡتِيهِمۡ أُجُورَهُمۡۚ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
Ba-khilaf iske jo log Allah aur uske tamaam Rasoolon ko maanein, aur unke darmiyan tafreeq na karein, unko hum zaroor unke ajar ata karenge, aur Allah bada darguzar farmane wala aur Reham karne wala hai
Surah An-Nisa, Verse 152
يَسۡـَٔلُكَ أَهۡلُ ٱلۡكِتَٰبِ أَن تُنَزِّلَ عَلَيۡهِمۡ كِتَٰبٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِۚ فَقَدۡ سَأَلُواْ مُوسَىٰٓ أَكۡبَرَ مِن ذَٰلِكَ فَقَالُوٓاْ أَرِنَا ٱللَّهَ جَهۡرَةٗ فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلصَّـٰعِقَةُ بِظُلۡمِهِمۡۚ ثُمَّ ٱتَّخَذُواْ ٱلۡعِجۡلَ مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَتۡهُمُ ٱلۡبَيِّنَٰتُ فَعَفَوۡنَا عَن ذَٰلِكَۚ وَءَاتَيۡنَا مُوسَىٰ سُلۡطَٰنٗا مُّبِينٗا
Yeh ehle kitab agar aaj tumse mutalaba kar rahey hain ke tum aasman se koi tehrir (written) unpar nazil karao to issey badh chadh kar mujreemana mutalibe ye pehle Moosa se kar chuke hain. Ussey to inhon ne kaha tha ke humein khuda ko alaniya (with our own eyes) dikha do aur isi sarkashi ki wajah se yakayak inpar bijli toot padi thi. Phir inhon ne bachde(calf) ko apna mabood bana liya, halaanke yeh khuli khuli nishaniyan dekh chuke thay is par bhi humne inse darguzar kiya. Humne Moosa ko sareeh farmaan ata kiya
Surah An-Nisa, Verse 153
وَرَفَعۡنَا فَوۡقَهُمُ ٱلطُّورَ بِمِيثَٰقِهِمۡ وَقُلۡنَا لَهُمُ ٱدۡخُلُواْ ٱلۡبَابَ سُجَّدٗا وَقُلۡنَا لَهُمۡ لَا تَعۡدُواْ فِي ٱلسَّبۡتِ وَأَخَذۡنَا مِنۡهُم مِّيثَٰقًا غَلِيظٗا
Aur in logon par Toor (mount Toor) ko utha kar inse (us farmaan ki itaat ka) ahad liya, humne inko hukum diya ke darwaze mein sajda-raiz hotay huey daakhil hon, humne inse kaha ke sabath ka kanoon na todo aur ispar insey pukhta ahad liya
Surah An-Nisa, Verse 154
فَبِمَا نَقۡضِهِم مِّيثَٰقَهُمۡ وَكُفۡرِهِم بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَقَتۡلِهِمُ ٱلۡأَنۢبِيَآءَ بِغَيۡرِ حَقّٖ وَقَوۡلِهِمۡ قُلُوبُنَا غُلۡفُۢۚ بَلۡ طَبَعَ ٱللَّهُ عَلَيۡهَا بِكُفۡرِهِمۡ فَلَا يُؤۡمِنُونَ إِلَّا قَلِيلٗا
Aakhir e kaar inki ahad shikani (breaking the covenant) ki wajah se, aur is wajah se ke inhon ne Allah ki aayat ko jhutlaya, aur mutaadid paighambaron ko na-haqq qatal kiya, aur yahan tak kaha ke hamare dil gilafon mein mehfooz hain. Halaanke dar haqeeqat inki baatil parasti ke sabab se Allah ne inke dilon par thappa (seal) laga diya hai aur isi wajah se yeh bahut kam iman latey hain
Surah An-Nisa, Verse 155
وَبِكُفۡرِهِمۡ وَقَوۡلِهِمۡ عَلَىٰ مَرۡيَمَ بُهۡتَٰنًا عَظِيمٗا
Phir apne kufr mein itne badhe ke Mariyam par sakht bohtan (slander) lagaya
Surah An-Nisa, Verse 156
وَقَوۡلِهِمۡ إِنَّا قَتَلۡنَا ٱلۡمَسِيحَ عِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ رَسُولَ ٱللَّهِ وَمَا قَتَلُوهُ وَمَا صَلَبُوهُ وَلَٰكِن شُبِّهَ لَهُمۡۚ وَإِنَّ ٱلَّذِينَ ٱخۡتَلَفُواْ فِيهِ لَفِي شَكّٖ مِّنۡهُۚ مَا لَهُم بِهِۦ مِنۡ عِلۡمٍ إِلَّا ٱتِّبَاعَ ٱلظَّنِّۚ وَمَا قَتَلُوهُ يَقِينَۢا
Aur khud kaha ke humne Maseeh, Isa Ibn-Mariyam Rasool Allah ko qatal kardiya hai halaanke filwaqey inhon ne na usko qatal kiya na saleeb (cross) par chadhaya, balke maamla inke liye mushtaba (made dubious to them) kardiya gaya, aur jin logon ne iske baarey mein ikhtilaf kiya hai woh bhi dar-asal shakk mein mubtila hain, unke paas is maamle mein koi ilm nahin hai, mehaz gumaan hi ki pairwi hai. Unhon ne Maseeh ko yaqeen ke saath qatal nahin kiya
Surah An-Nisa, Verse 157
بَل رَّفَعَهُ ٱللَّهُ إِلَيۡهِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمٗا
Balke Allah ne usko apni taraf uthaya, Allah zabardast taaqat rakhne wala aur hakeem hai
Surah An-Nisa, Verse 158
وَإِن مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ إِلَّا لَيُؤۡمِنَنَّ بِهِۦ قَبۡلَ مَوۡتِهِۦۖ وَيَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يَكُونُ عَلَيۡهِمۡ شَهِيدٗا
Aur ehle kitab mein se koi aisa na hoga jo uski maut se pehle uspar iman na le aayega aur qayamat ke roz woh unpar gawahi dega
Surah An-Nisa, Verse 159
فَبِظُلۡمٖ مِّنَ ٱلَّذِينَ هَادُواْ حَرَّمۡنَا عَلَيۡهِمۡ طَيِّبَٰتٍ أُحِلَّتۡ لَهُمۡ وَبِصَدِّهِمۡ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ كَثِيرٗا
Garz in yahudi ban janey walon ke isi zalimana rawaiyye ki bina par, aur is bina par ke yeh bakasrat Allah ke raaste se roakte hain
Surah An-Nisa, Verse 160
وَأَخۡذِهِمُ ٱلرِّبَوٰاْ وَقَدۡ نُهُواْ عَنۡهُ وَأَكۡلِهِمۡ أَمۡوَٰلَ ٱلنَّاسِ بِٱلۡبَٰطِلِۚ وَأَعۡتَدۡنَا لِلۡكَٰفِرِينَ مِنۡهُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا
Aur sood (usury) lete hain jissey inhein mana kiya gaya tha, aur logon ke maal najayiz tareeqon se khate hain , humne bahut si woh paak cheezein inpar haraam kardi jo pehle inke liye halaal thi. Aur jo log inmein se kafir hain unke liye humne dardnaak azaab tayyar kar rakkha hai
Surah An-Nisa, Verse 161
لَّـٰكِنِ ٱلرَّـٰسِخُونَ فِي ٱلۡعِلۡمِ مِنۡهُمۡ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَ يُؤۡمِنُونَ بِمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ وَمَآ أُنزِلَ مِن قَبۡلِكَۚ وَٱلۡمُقِيمِينَ ٱلصَّلَوٰةَۚ وَٱلۡمُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ أُوْلَـٰٓئِكَ سَنُؤۡتِيهِمۡ أَجۡرًا عَظِيمًا
Magar inmein jo log pukhta ilm rakhne waley hain aur imandaar hain woh sab us taleem par iman latey hain jo tumhari taraf nazil ki gayi hai aur jo tumse pehle nazil ki gayi thi. Is tarah ke iman laney waley aur namaz o zakat ki pabandi karne waley aur Allah aur roz-e-aakhir par saccha aqeeda rakhne waley logon ko hum zaroor ajar e azeem ata karenge
Surah An-Nisa, Verse 162
۞إِنَّآ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ كَمَآ أَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ نُوحٖ وَٱلنَّبِيِّـۧنَ مِنۢ بَعۡدِهِۦۚ وَأَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَإِسۡمَٰعِيلَ وَإِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَ وَٱلۡأَسۡبَاطِ وَعِيسَىٰ وَأَيُّوبَ وَيُونُسَ وَهَٰرُونَ وَسُلَيۡمَٰنَۚ وَءَاتَيۡنَا دَاوُۥدَ زَبُورٗا
(Aey Muhammad)! Humne tumhari taraf usi tarah wahee bheji hai jis tarah Noah aur uske baad ke paighambaron ki taraf bheji thi, humne Ibrahim , Ismail , Ishaq, Yaqub aur aulad e yaqub, Isa, Ayub , Yunus, Haroon aur Sulaiman ki taraf wahee bheji, humne Dawood ko Zubur di
Surah An-Nisa, Verse 163
وَرُسُلٗا قَدۡ قَصَصۡنَٰهُمۡ عَلَيۡكَ مِن قَبۡلُ وَرُسُلٗا لَّمۡ نَقۡصُصۡهُمۡ عَلَيۡكَۚ وَكَلَّمَ ٱللَّهُ مُوسَىٰ تَكۡلِيمٗا
Humne un Rasoolon par bhi wahee nazil ki jinka zikr hum issey pehle tumse kar chuke hain aur un Rasoolon par bhi jinka zikar tumse nahin kiya, humne Moosa se is tarah guftagu ki jis tarah guftagu ki jati hai
Surah An-Nisa, Verse 164
رُّسُلٗا مُّبَشِّرِينَ وَمُنذِرِينَ لِئَلَّا يَكُونَ لِلنَّاسِ عَلَى ٱللَّهِ حُجَّةُۢ بَعۡدَ ٱلرُّسُلِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمٗا
Yeh sarey Rasool khush khabri dene waley aur darane waley bana kar bheje gaye thay taa-ke unko maboos kardene ke baad logon ke paas Allah ke muqable mein koi hujjat na rahey aur Allah bahar haal gaalib rehne wala aur hakeem o dana hai
Surah An-Nisa, Verse 165
لَّـٰكِنِ ٱللَّهُ يَشۡهَدُ بِمَآ أَنزَلَ إِلَيۡكَۖ أَنزَلَهُۥ بِعِلۡمِهِۦۖ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يَشۡهَدُونَۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدًا
(Log nahin maante to na maanein) magar Allah gawahi deta hai ke jo kuch usne tumpar nazil kiya hai apne ilm se nazil kiya hai, aur ispar malaika (Farishtey) bhi gawah hain, agarche Allah ka gawah hona bilkul kifayat karta hai
Surah An-Nisa, Verse 166
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ قَدۡ ضَلُّواْ ضَلَٰلَۢا بَعِيدًا
Jo log isko maanne se khud inkar karte hain aur dusron ko khuda ke raaste se roakte hain woh yaqeenan gumraahi mein haqq se bahut door nikal gaye hain
Surah An-Nisa, Verse 167
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَظَلَمُواْ لَمۡ يَكُنِ ٱللَّهُ لِيَغۡفِرَ لَهُمۡ وَلَا لِيَهۡدِيَهُمۡ طَرِيقًا
Is tarah jin logon ne kufr o bagawat ka tareeqa ikhtiyar kiya aur zulm o sitam par utar aaye Allah unko hargiz maaf na karega aur unhein koi raasta
Surah An-Nisa, Verse 168
إِلَّا طَرِيقَ جَهَنَّمَ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۚ وَكَانَ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٗا
Bajuz jahannum ke raaste ke na dikahyega jismein woh hamesha rahenge. Allah ke liye yeh koi mushkil kaam nahin hai
Surah An-Nisa, Verse 169
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ قَدۡ جَآءَكُمُ ٱلرَّسُولُ بِٱلۡحَقِّ مِن رَّبِّكُمۡ فَـَٔامِنُواْ خَيۡرٗا لَّكُمۡۚ وَإِن تَكۡفُرُواْ فَإِنَّ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Logon! yeh Rasool tumhare paas tumhare Rubb ki taraf se haqq lekar aagaya hai, iman le aao, tumhare hi liye behtar hai, aur agar inkar karte ho to jaan lo ke aasmano aur zameen mein jo kuch hai sab Allah ka hai aur Allah aleem bhi hai aur hakeem bhi
Surah An-Nisa, Verse 170
يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لَا تَغۡلُواْ فِي دِينِكُمۡ وَلَا تَقُولُواْ عَلَى ٱللَّهِ إِلَّا ٱلۡحَقَّۚ إِنَّمَا ٱلۡمَسِيحُ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ رَسُولُ ٱللَّهِ وَكَلِمَتُهُۥٓ أَلۡقَىٰهَآ إِلَىٰ مَرۡيَمَ وَرُوحٞ مِّنۡهُۖ فَـَٔامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦۖ وَلَا تَقُولُواْ ثَلَٰثَةٌۚ ٱنتَهُواْ خَيۡرٗا لَّكُمۡۚ إِنَّمَا ٱللَّهُ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞۖ سُبۡحَٰنَهُۥٓ أَن يَكُونَ لَهُۥ وَلَدٞۘ لَّهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۗ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَكِيلٗا
Aey ehle kitab! apne deen mein ghulu (excess) na karo aur Allah ki taraf haqq ke siwa koi baat mansoob na karo, Maseeh Isa Ibne Mariyam iske siwa kuch na tha ke Allah ka ek Rasool tha aur ek farmaan tha jo Allah ne Maryam ki taraf bheja aur ek Rooh thi Allah ki taraf se (jisne Maryam ke reham mein bacchey ki shakal ikhtiyar ki) pas tum Allah aur uske Rasoolon par iman lao, aur na kaho ke “Teen (trinity)” hain baaz aa jao , yeh tumhare hi liye behtar hai, Allah to bas ek hi khuda hai , woh baala-tar hai issey ke koi uska beta ho. Zameen aur aasmano ki saari cheezein uski milk hain, aur inki kafalat o khabargiri ke liye bas wahi kaafi hai
Surah An-Nisa, Verse 171
لَّن يَسۡتَنكِفَ ٱلۡمَسِيحُ أَن يَكُونَ عَبۡدٗا لِّلَّهِ وَلَا ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ ٱلۡمُقَرَّبُونَۚ وَمَن يَسۡتَنكِفۡ عَنۡ عِبَادَتِهِۦ وَيَسۡتَكۡبِرۡ فَسَيَحۡشُرُهُمۡ إِلَيۡهِ جَمِيعٗا
Maseeh ne kabhi is baat ko aar (disdain) nahin samjha ke woh Allah ka banda ho, aur na muqarrab-tareen farishtey isko apne liye aar (disdain) samajhte hain. Agar koi Allah ki bandagi ko apne liye aar samajhta hai aur taqabbur karta hai to ek waqt aayega jab Allah sabko gher kar apne saamne haazir karega
Surah An-Nisa, Verse 172
فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ فَيُوَفِّيهِمۡ أُجُورَهُمۡ وَيَزِيدُهُم مِّن فَضۡلِهِۦۖ وَأَمَّا ٱلَّذِينَ ٱسۡتَنكَفُواْ وَٱسۡتَكۡبَرُواْ فَيُعَذِّبُهُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا وَلَا يَجِدُونَ لَهُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ وَلِيّٗا وَلَا نَصِيرٗا
Us waqt woh log jinhon ne iman laa kar neik tarz e amal iktiyar kiya hai apne ajar poorey poorey payenge aur Allah apne fazal se unko mazeed ajar ata farmayega. Aur jin logon ne bandagi ko aar samjha aur takabbur kiya hai unko Allah dardnaak saza dega aur Allah ke siwa jin jin ki sarparasti o madadgaari par woh bharosa rakhte hain unmein se kisi ko bhi woh wahan na payenge
Surah An-Nisa, Verse 173
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ قَدۡ جَآءَكُم بُرۡهَٰنٞ مِّن رَّبِّكُمۡ وَأَنزَلۡنَآ إِلَيۡكُمۡ نُورٗا مُّبِينٗا
Logon! Tumhare Rubb ki taraf se tumhare paas daleel e roshan aa gayi hai aur humne tumhari taraf aisi roshni bhej di hai jo tumhein saaf saaf raasta dikhane wali hai
Surah An-Nisa, Verse 174
فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَٱعۡتَصَمُواْ بِهِۦ فَسَيُدۡخِلُهُمۡ فِي رَحۡمَةٖ مِّنۡهُ وَفَضۡلٖ وَيَهۡدِيهِمۡ إِلَيۡهِ صِرَٰطٗا مُّسۡتَقِيمٗا
Ab jo log Allah ki baat maan lenge aur uski panaah dhundenge unko Allah apni rehmat aur apne fazal o karam ke daaman mein le lega aur apni taraf aane ka seedha raasta unko dikha dega
Surah An-Nisa, Verse 175
يَسۡتَفۡتُونَكَ قُلِ ٱللَّهُ يُفۡتِيكُمۡ فِي ٱلۡكَلَٰلَةِۚ إِنِ ٱمۡرُؤٌاْ هَلَكَ لَيۡسَ لَهُۥ وَلَدٞ وَلَهُۥٓ أُخۡتٞ فَلَهَا نِصۡفُ مَا تَرَكَۚ وَهُوَ يَرِثُهَآ إِن لَّمۡ يَكُن لَّهَا وَلَدٞۚ فَإِن كَانَتَا ٱثۡنَتَيۡنِ فَلَهُمَا ٱلثُّلُثَانِ مِمَّا تَرَكَۚ وَإِن كَانُوٓاْ إِخۡوَةٗ رِّجَالٗا وَنِسَآءٗ فَلِلذَّكَرِ مِثۡلُ حَظِّ ٱلۡأُنثَيَيۡنِۗ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ أَن تَضِلُّواْۗ وَٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمُۢ
Log tumse ‘kalalah’(inheritance from those woh have left behind no lineal heirs) ke maamle mein fatwa puchte hain. Kaho Allah tumhein fatwa deta hai: agar koi shaks be-aulad marr jaye aur uski ek behan ho to woh uske tarke (what he has left behind) mein se nisf(half) paayegi, aur agar behan be-aulad marey to bhai uska waris hoga. Agar mayyat ki waris do behnein hon to woh tarke mein se do-tihayi (two-third) ki haqqdar hongi, aur agar kayi bhai behnein hon to auraton ka ekehra aur mardon ka dohra hissa (then the male shall have the share of two females) hoga. Allah tumhare liye ehkaam ki tauzeeh (makes clear) karta hai taa-ke tum bhatakte na phiro aur Allah har cheez ka ilm rakhta hai
Surah An-Nisa, Verse 176