Surah An-Nisa Verse 12 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah An-Nisa۞وَلَكُمۡ نِصۡفُ مَا تَرَكَ أَزۡوَٰجُكُمۡ إِن لَّمۡ يَكُن لَّهُنَّ وَلَدٞۚ فَإِن كَانَ لَهُنَّ وَلَدٞ فَلَكُمُ ٱلرُّبُعُ مِمَّا تَرَكۡنَۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصِينَ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٖۚ وَلَهُنَّ ٱلرُّبُعُ مِمَّا تَرَكۡتُمۡ إِن لَّمۡ يَكُن لَّكُمۡ وَلَدٞۚ فَإِن كَانَ لَكُمۡ وَلَدٞ فَلَهُنَّ ٱلثُّمُنُ مِمَّا تَرَكۡتُمۚ مِّنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ تُوصُونَ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٖۗ وَإِن كَانَ رَجُلٞ يُورَثُ كَلَٰلَةً أَوِ ٱمۡرَأَةٞ وَلَهُۥٓ أَخٌ أَوۡ أُخۡتٞ فَلِكُلِّ وَٰحِدٖ مِّنۡهُمَا ٱلسُّدُسُۚ فَإِن كَانُوٓاْ أَكۡثَرَ مِن ذَٰلِكَ فَهُمۡ شُرَكَآءُ فِي ٱلثُّلُثِۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصَىٰ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٍ غَيۡرَ مُضَآرّٖۚ وَصِيَّةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَلِيمٞ
Aur tumhari biwiyon ne jo kuch choda ho uska aadha hissa tumhein milega agar woh be-aulad hon, warna aulad honay ki surat mein tarke ka ek chuthayi (one fourth) hissa tumhara hai jabke wasiyat jo unhon ne ki ho poori kardi jaye, aur qarz jo unhon ne choda ho ada kardiya jaye, aur woh tumhare tarke mein se chauthayi ki haqqdar hongi agar tum be-aulad ho, warna sahib e aulad honay ki surat mein unka hissa aathwa (eighth) hoga, baad iske ke jo wasiyat tumne ki ho woh poori kardi jaye aur jo qarz tumne choda ho woh ada kardiya jaye aur agar woh mard ya aurat ( jiski miras taqseem talab hai) be-aulad bhi ho aur uske Maa baap bhi zinda na hon, magar uska ek bhai ya ek behan maujood ho to bhai aur behan har ek ko chatta(sixth) hissa milega, aur bhai behan ek se zyada hon to kul tarke ke ek tihayi (one third) mein woh sab shareek honge, jabke wasiyat jo ki gayi ho poori kardi jaye, aur qarz jo mayyat ne choda ho ada kardiya jaye, bashrat ye ke woh zarrar rasan na ho (causes no injury). Yeh hukum Allah ki taraf se aur Allah daana o beena aur narm-khu hai