Surah An-Nisa Verse 11 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah An-Nisaيُوصِيكُمُ ٱللَّهُ فِيٓ أَوۡلَٰدِكُمۡۖ لِلذَّكَرِ مِثۡلُ حَظِّ ٱلۡأُنثَيَيۡنِۚ فَإِن كُنَّ نِسَآءٗ فَوۡقَ ٱثۡنَتَيۡنِ فَلَهُنَّ ثُلُثَا مَا تَرَكَۖ وَإِن كَانَتۡ وَٰحِدَةٗ فَلَهَا ٱلنِّصۡفُۚ وَلِأَبَوَيۡهِ لِكُلِّ وَٰحِدٖ مِّنۡهُمَا ٱلسُّدُسُ مِمَّا تَرَكَ إِن كَانَ لَهُۥ وَلَدٞۚ فَإِن لَّمۡ يَكُن لَّهُۥ وَلَدٞ وَوَرِثَهُۥٓ أَبَوَاهُ فَلِأُمِّهِ ٱلثُّلُثُۚ فَإِن كَانَ لَهُۥٓ إِخۡوَةٞ فَلِأُمِّهِ ٱلسُّدُسُۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصِي بِهَآ أَوۡ دَيۡنٍۗ ءَابَآؤُكُمۡ وَأَبۡنَآؤُكُمۡ لَا تَدۡرُونَ أَيُّهُمۡ أَقۡرَبُ لَكُمۡ نَفۡعٗاۚ فَرِيضَةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Tumhari aulad ke barey mein Allah tumhein hidayat karta hai ke : Mard ka hissa do auraton ke barabar hai, agar ( mayyat ki waris) do se zayid ladkiyan hon to unhein tarke(inheritance) ka do tihayi (2/3rd) diya jaye, aur agar ek hi ladki waris ho to aadha (half) tarka uska hai, agar mayyat sahib e aulad ho to uske walidain mein se har ek ko tarke ka chatta (sixth) hissa milna chahiye, aur agar woh sahib e aulad na ho aur walidain hi uske waris hon to Maa ko tisra (third) hissa diya jaye aur agar mayyat ke bhai behan bhi hon to Maa chattey (sixth) hissey ki haqqdar hogi. (Yeh sab hissey us waqt nikale jayein) jabke wasiyat jo mayyat ne ki ho poori kardi jaye aur qarz jo uspar ho ada kardiya jaye. Tum nahin jaante ke tumhare Maa Baap aur tumhari aulad mein se kaun balihaaz-e-nafa tumse qareeb tarr hai. Yeh hissey Allah ne muqarrar kardiye hain, aur Allah yaqeenan sab haqeeqaton se waqif aur saari maslihaton ka jaanne wala hai