Surah An-Nisa Verse 11 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nisaيُوصِيكُمُ ٱللَّهُ فِيٓ أَوۡلَٰدِكُمۡۖ لِلذَّكَرِ مِثۡلُ حَظِّ ٱلۡأُنثَيَيۡنِۚ فَإِن كُنَّ نِسَآءٗ فَوۡقَ ٱثۡنَتَيۡنِ فَلَهُنَّ ثُلُثَا مَا تَرَكَۖ وَإِن كَانَتۡ وَٰحِدَةٗ فَلَهَا ٱلنِّصۡفُۚ وَلِأَبَوَيۡهِ لِكُلِّ وَٰحِدٖ مِّنۡهُمَا ٱلسُّدُسُ مِمَّا تَرَكَ إِن كَانَ لَهُۥ وَلَدٞۚ فَإِن لَّمۡ يَكُن لَّهُۥ وَلَدٞ وَوَرِثَهُۥٓ أَبَوَاهُ فَلِأُمِّهِ ٱلثُّلُثُۚ فَإِن كَانَ لَهُۥٓ إِخۡوَةٞ فَلِأُمِّهِ ٱلسُّدُسُۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصِي بِهَآ أَوۡ دَيۡنٍۗ ءَابَآؤُكُمۡ وَأَبۡنَآؤُكُمۡ لَا تَدۡرُونَ أَيُّهُمۡ أَقۡرَبُ لَكُمۡ نَفۡعٗاۚ فَرِيضَةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Allah ta’ala tumhe tumhaari aulaad ke baare mein hukm karta hai ke ek ladke ka hissa do ladkiyo ke baraabar hai aur agar sirf ladkiya hee ho, aur do se zyaada ho to unhe maal matruka5 ka do-tihaayi milega, aur agar ek hee ladki ho, to us ke liye adhaa hai aur mayyath ke maa baap mein se har ek ke liye us ke chohde hoye maal ka cheta hissa hai, agar us ki (mayyath) ki aulad ho,aur agar aulaad na ho aur maa baap waaris hote ho to us ki maa ke liye tisra hissa hai,haan agar mayyath ke kayi bhai ho to phir us ki maa ka cheta hissa hai,ye hisse us wasiyath (ki takmil) ke baadh hai jo marne waala kar gaya ho, ya adhaaye qarz ke baadh, tumhaare baap ho ya tumhaare bete,tumhe nahi maalom ke un mein kaun tumhe nafa pahochaane mein zyaada qareeb hai,ye hisse Allah ta’ala ki taraf se muqarrar karda hai,beshak Allah ta’ala pure ilm aur kaamil hikmato waala hai