Surah An-Nisa - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱتَّقُواْ رَبَّكُمُ ٱلَّذِي خَلَقَكُم مِّن نَّفۡسٖ وَٰحِدَةٖ وَخَلَقَ مِنۡهَا زَوۡجَهَا وَبَثَّ مِنۡهُمَا رِجَالٗا كَثِيرٗا وَنِسَآءٗۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِي تَسَآءَلُونَ بِهِۦ وَٱلۡأَرۡحَامَۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلَيۡكُمۡ رَقِيبٗا
aye logo! apne parvardigaar se daro jis ne tumhe ek jaan se paida kiya aur osi se us ki biwi ko paida kar ke un duno se bahuth se mard aur aurte phaila di, us Allah se daro jis ke nam par ek dosre se mangte ho aur rishte naate tudne se bhi bacho, beshak Allah ta’ala tum par nigehbaan hai
Surah An-Nisa, Verse 1
وَءَاتُواْ ٱلۡيَتَٰمَىٰٓ أَمۡوَٰلَهُمۡۖ وَلَا تَتَبَدَّلُواْ ٱلۡخَبِيثَ بِٱلطَّيِّبِۖ وَلَا تَأۡكُلُوٓاْ أَمۡوَٰلَهُمۡ إِلَىٰٓ أَمۡوَٰلِكُمۡۚ إِنَّهُۥ كَانَ حُوبٗا كَبِيرٗا
aur yatimo ko un ke maal de do aur paak aur halaal cheez ke badle na-paak aur haraam cheez na lo, aur apne maalo ke saath un ke maal mila kar kha na jaao, be-shak ye bahuth bada gunaah hai
Surah An-Nisa, Verse 2
وَإِنۡ خِفۡتُمۡ أَلَّا تُقۡسِطُواْ فِي ٱلۡيَتَٰمَىٰ فَٱنكِحُواْ مَا طَابَ لَكُم مِّنَ ٱلنِّسَآءِ مَثۡنَىٰ وَثُلَٰثَ وَرُبَٰعَۖ فَإِنۡ خِفۡتُمۡ أَلَّا تَعۡدِلُواْ فَوَٰحِدَةً أَوۡ مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡۚ ذَٰلِكَ أَدۡنَىٰٓ أَلَّا تَعُولُواْ
agar tumhe dar ho ke yateem ladkiyo se nikaah kar ke tum insaaf na rakh sakoge, to aur aurto mein se jo bhi tumhe acchi lage tum un se nikaah karlo, do do, teen teen, chaar chaar se, lekin agar tumhe baraabari na kar sakne ka khauf ho, to ek hee kaafi hai, ya tumhaari milkiyath ki laundi, ye zyaada qareeb hai ke (aisa karne se na-insaafi aur) ek taraf jhuk padne se bach jaao
Surah An-Nisa, Verse 3
وَءَاتُواْ ٱلنِّسَآءَ صَدُقَٰتِهِنَّ نِحۡلَةٗۚ فَإِن طِبۡنَ لَكُمۡ عَن شَيۡءٖ مِّنۡهُ نَفۡسٗا فَكُلُوهُ هَنِيٓـٔٗا مَّرِيٓـٔٗا
aur aurto ko un ke meher raazi khushi se de do, haan agar wo khud apni khushi se kuch meher chohd de, to ose shauq se khush ho kar khaalo
Surah An-Nisa, Verse 4
وَلَا تُؤۡتُواْ ٱلسُّفَهَآءَ أَمۡوَٰلَكُمُ ٱلَّتِي جَعَلَ ٱللَّهُ لَكُمۡ قِيَٰمٗا وَٱرۡزُقُوهُمۡ فِيهَا وَٱكۡسُوهُمۡ وَقُولُواْ لَهُمۡ قَوۡلٗا مَّعۡرُوفٗا
be-aqal logo ko apna maal na de do, jis maal ko Allah ta’ala ne tumhaari guzraan1 ke qaayam rakhne ka zariya banaaya hai, haan unhe us maal se khilaao, pilaao, pehnaao aur udhaao aur unhe maaquliyath2 se narm baath kaho
Surah An-Nisa, Verse 5
وَٱبۡتَلُواْ ٱلۡيَتَٰمَىٰ حَتَّىٰٓ إِذَا بَلَغُواْ ٱلنِّكَاحَ فَإِنۡ ءَانَسۡتُم مِّنۡهُمۡ رُشۡدٗا فَٱدۡفَعُوٓاْ إِلَيۡهِمۡ أَمۡوَٰلَهُمۡۖ وَلَا تَأۡكُلُوهَآ إِسۡرَافٗا وَبِدَارًا أَن يَكۡبَرُواْۚ وَمَن كَانَ غَنِيّٗا فَلۡيَسۡتَعۡفِفۡۖ وَمَن كَانَ فَقِيرٗا فَلۡيَأۡكُلۡ بِٱلۡمَعۡرُوفِۚ فَإِذَا دَفَعۡتُمۡ إِلَيۡهِمۡ أَمۡوَٰلَهُمۡ فَأَشۡهِدُواْ عَلَيۡهِمۡۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ حَسِيبٗا
aur yaqtimo ko un ke baaligh ho jaane tak sudhaarte aur azmaate raho, phir agar un mein tum hoshyaari aur husn tadbeer3 paao, to unhe un ke maal saunp do aur un ke bade ho jaane ke darr se un ke maalo ko jaldi jaldi fuzool qarchiyo mein tabaah na kardo, maal-daaro ko chaahiye ke (un ke maal se) bachte rahe, haan miskeen muhtaaj ho to dastoor ke mutaabiq waajbi taur se khaale, phir jab unhe un ke maal saunpo to gawaah banaalo, dar-asl hisaab lene waala Allah ta’ala hee kaafi hai
Surah An-Nisa, Verse 6
لِّلرِّجَالِ نَصِيبٞ مِّمَّا تَرَكَ ٱلۡوَٰلِدَانِ وَٱلۡأَقۡرَبُونَ وَلِلنِّسَآءِ نَصِيبٞ مِّمَّا تَرَكَ ٱلۡوَٰلِدَانِ وَٱلۡأَقۡرَبُونَ مِمَّا قَلَّ مِنۡهُ أَوۡ كَثُرَۚ نَصِيبٗا مَّفۡرُوضٗا
maa baap aur qeesh wa aqaarib4 ke tarke mein mardu ka hissa bhi hai aur aurto ka bhi, (jo maal maa baap aur qeesh wa aqaarib chohd mare) qaah wo maal kam ho ya zyaada (us mein) hissa muqarrar kiya hoa hai
Surah An-Nisa, Verse 7
وَإِذَا حَضَرَ ٱلۡقِسۡمَةَ أُوْلُواْ ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينُ فَٱرۡزُقُوهُم مِّنۡهُ وَقُولُواْ لَهُمۡ قَوۡلٗا مَّعۡرُوفٗا
aur jab taqseem ke waqth qaraabat-daar aur yateem aur miskeen aa jaaye to tum us mein se thuda bahuth unhe bhi de do, aur un se narmi se bulo
Surah An-Nisa, Verse 8
وَلۡيَخۡشَ ٱلَّذِينَ لَوۡ تَرَكُواْ مِنۡ خَلۡفِهِمۡ ذُرِّيَّةٗ ضِعَٰفًا خَافُواْ عَلَيۡهِمۡ فَلۡيَتَّقُواْ ٱللَّهَ وَلۡيَقُولُواْ قَوۡلٗا سَدِيدًا
aur chaahiye ke wo us baath se dare ke agar wo khud apne piche (nanne nanne) na-tawaa bacche chod jaate jin ke zaaye ho jaane ka andesha rehta hai, (to un ki chaahat kya hoti) pas Allah ta’ala se dar kar jachi tuli baath kahaa kare
Surah An-Nisa, Verse 9
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَأۡكُلُونَ أَمۡوَٰلَ ٱلۡيَتَٰمَىٰ ظُلۡمًا إِنَّمَا يَأۡكُلُونَ فِي بُطُونِهِمۡ نَارٗاۖ وَسَيَصۡلَوۡنَ سَعِيرٗا
jo log na-haq zulm se yatimo ka maal khaa jaate hai, wo apne pet mein aag hee bhar rahe hai aur an-qareeb wo dozakh mein jayenge
Surah An-Nisa, Verse 10
يُوصِيكُمُ ٱللَّهُ فِيٓ أَوۡلَٰدِكُمۡۖ لِلذَّكَرِ مِثۡلُ حَظِّ ٱلۡأُنثَيَيۡنِۚ فَإِن كُنَّ نِسَآءٗ فَوۡقَ ٱثۡنَتَيۡنِ فَلَهُنَّ ثُلُثَا مَا تَرَكَۖ وَإِن كَانَتۡ وَٰحِدَةٗ فَلَهَا ٱلنِّصۡفُۚ وَلِأَبَوَيۡهِ لِكُلِّ وَٰحِدٖ مِّنۡهُمَا ٱلسُّدُسُ مِمَّا تَرَكَ إِن كَانَ لَهُۥ وَلَدٞۚ فَإِن لَّمۡ يَكُن لَّهُۥ وَلَدٞ وَوَرِثَهُۥٓ أَبَوَاهُ فَلِأُمِّهِ ٱلثُّلُثُۚ فَإِن كَانَ لَهُۥٓ إِخۡوَةٞ فَلِأُمِّهِ ٱلسُّدُسُۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصِي بِهَآ أَوۡ دَيۡنٍۗ ءَابَآؤُكُمۡ وَأَبۡنَآؤُكُمۡ لَا تَدۡرُونَ أَيُّهُمۡ أَقۡرَبُ لَكُمۡ نَفۡعٗاۚ فَرِيضَةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Allah ta’ala tumhe tumhaari aulaad ke baare mein hukm karta hai ke ek ladke ka hissa do ladkiyo ke baraabar hai aur agar sirf ladkiya hee ho, aur do se zyaada ho to unhe maal matruka5 ka do-tihaayi milega, aur agar ek hee ladki ho, to us ke liye adhaa hai aur mayyath ke maa baap mein se har ek ke liye us ke chohde hoye maal ka cheta hissa hai, agar us ki (mayyath) ki aulad ho,aur agar aulaad na ho aur maa baap waaris hote ho to us ki maa ke liye tisra hissa hai,haan agar mayyath ke kayi bhai ho to phir us ki maa ka cheta hissa hai,ye hisse us wasiyath (ki takmil) ke baadh hai jo marne waala kar gaya ho, ya adhaaye qarz ke baadh, tumhaare baap ho ya tumhaare bete,tumhe nahi maalom ke un mein kaun tumhe nafa pahochaane mein zyaada qareeb hai,ye hisse Allah ta’ala ki taraf se muqarrar karda hai,beshak Allah ta’ala pure ilm aur kaamil hikmato waala hai
Surah An-Nisa, Verse 11
۞وَلَكُمۡ نِصۡفُ مَا تَرَكَ أَزۡوَٰجُكُمۡ إِن لَّمۡ يَكُن لَّهُنَّ وَلَدٞۚ فَإِن كَانَ لَهُنَّ وَلَدٞ فَلَكُمُ ٱلرُّبُعُ مِمَّا تَرَكۡنَۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصِينَ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٖۚ وَلَهُنَّ ٱلرُّبُعُ مِمَّا تَرَكۡتُمۡ إِن لَّمۡ يَكُن لَّكُمۡ وَلَدٞۚ فَإِن كَانَ لَكُمۡ وَلَدٞ فَلَهُنَّ ٱلثُّمُنُ مِمَّا تَرَكۡتُمۚ مِّنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ تُوصُونَ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٖۗ وَإِن كَانَ رَجُلٞ يُورَثُ كَلَٰلَةً أَوِ ٱمۡرَأَةٞ وَلَهُۥٓ أَخٌ أَوۡ أُخۡتٞ فَلِكُلِّ وَٰحِدٖ مِّنۡهُمَا ٱلسُّدُسُۚ فَإِن كَانُوٓاْ أَكۡثَرَ مِن ذَٰلِكَ فَهُمۡ شُرَكَآءُ فِي ٱلثُّلُثِۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصَىٰ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٍ غَيۡرَ مُضَآرّٖۚ وَصِيَّةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَلِيمٞ
tumhaari biwiya jo kuch chohd mare aur un ki aulaad na ho to aadho-aadh (yaani adhaa) tumhaara hai aur agar un ki aulaad ho to un ke chohde hoye maal mein se tumhaare liye chauthaayi hissa hai, us wasiyath ki adaayegi ke baadh jo wo kar gayi ho ya qarz ke baadh,aur jo (tarka) tum chohd jaao us mein un ke liye chauthaayi hai aur agar tumhaari aulaad na ho,aur agar tumhaari aulaad ho to phir unhe tumhaare tarke ka aatwa hissa milega,us wasiyath ke baadh jo tum kar gaye ho aur qarz ki adayegi ke baadh,aur jin ki miraas li jaati hai wo mard ya aurath kalaala ho yani us ka baap beta na ho aur us ka ek bhai ya ek bahen ho,to un duno mein se har ek ka cheta hissa hai aur agar us se zyaada ho to ek tihaayi mein sab shareek hai, us wasiyath ke baadh jo ki jaaye aur qarz ke baadh jab ke auro ka nuqsaan na kiya gaya ho,ye muqarrar kiya hoa Allah ta’ala ki taraf se hai aur Allah ta’ala daana hai burdubaar hai
Surah An-Nisa, Verse 12
تِلۡكَ حُدُودُ ٱللَّهِۚ وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ يُدۡخِلۡهُ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ وَذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
ye hadein Allah ta’ala ki muqarrar ki hoi hai aur jo Allah ta’ala ki aur us ke rasool(sallalahualaihiwasallam) ki farmabardaari karega, ose Allah ta’ala jannato mein le jayega jin ke niche nehre beh rahi hai jin mein wo hamesha rahenge aur ye bahuth badi kaamyabi hai
Surah An-Nisa, Verse 13
وَمَن يَعۡصِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَيَتَعَدَّ حُدُودَهُۥ يُدۡخِلۡهُ نَارًا خَٰلِدٗا فِيهَا وَلَهُۥ عَذَابٞ مُّهِينٞ
aur jo shaqs Allah ta’ala ki aur us ke rasool(sallallahualaihiwasallam) ki na-farmani kare aur us ki muqarrara hadho se aage nikle ose wo jahannam mein daal dega jis mein wo hamesha rahega, aiso hee ke liye ruswa kun azaab hai
Surah An-Nisa, Verse 14
وَٱلَّـٰتِي يَأۡتِينَ ٱلۡفَٰحِشَةَ مِن نِّسَآئِكُمۡ فَٱسۡتَشۡهِدُواْ عَلَيۡهِنَّ أَرۡبَعَةٗ مِّنكُمۡۖ فَإِن شَهِدُواْ فَأَمۡسِكُوهُنَّ فِي ٱلۡبُيُوتِ حَتَّىٰ يَتَوَفَّىٰهُنَّ ٱلۡمَوۡتُ أَوۡ يَجۡعَلَ ٱللَّهُ لَهُنَّ سَبِيلٗا
tumhaari aurto mein se jo behayaayi ka kaam kare un par apne mein se chaar gawaah talab karo,agar wo gawaahi de to un aurto ko gharo mein khaid rakho,yahaa tak ke mauth un ki umre puri karde,ya Allah ta’ala un ke liye koyi aur raasta nikaale
Surah An-Nisa, Verse 15
وَٱلَّذَانِ يَأۡتِيَٰنِهَا مِنكُمۡ فَـَٔاذُوهُمَاۖ فَإِن تَابَا وَأَصۡلَحَا فَأَعۡرِضُواْ عَنۡهُمَآۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ تَوَّابٗا رَّحِيمًا
tum mein se jo do afraad aisa kaam karle unhe eza do,agar wo tauba aur islaah karle to un se mu pherlo be-shak Allah ta’ala tauba qubool karne waala aur rahem karne waala hai
Surah An-Nisa, Verse 16
إِنَّمَا ٱلتَّوۡبَةُ عَلَى ٱللَّهِ لِلَّذِينَ يَعۡمَلُونَ ٱلسُّوٓءَ بِجَهَٰلَةٖ ثُمَّ يَتُوبُونَ مِن قَرِيبٖ فَأُوْلَـٰٓئِكَ يَتُوبُ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا
Allah ta’ala sirf unhee logo ki tauba qubool farmaata hai, jo ba-wajah nadaani koyi boraayi kar guzre phir jald us se baaz aa jaaye aur tauba kare to Allah ta’ala bhi un ki tauba qubool karta hai, Allah ta’ala bade ilm waala hikmath waala hai
Surah An-Nisa, Verse 17
وَلَيۡسَتِ ٱلتَّوۡبَةُ لِلَّذِينَ يَعۡمَلُونَ ٱلسَّيِّـَٔاتِ حَتَّىٰٓ إِذَا حَضَرَ أَحَدَهُمُ ٱلۡمَوۡتُ قَالَ إِنِّي تُبۡتُ ٱلۡـَٰٔنَ وَلَا ٱلَّذِينَ يَمُوتُونَ وَهُمۡ كُفَّارٌۚ أُوْلَـٰٓئِكَ أَعۡتَدۡنَا لَهُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا
un ki tauba nahi jo buraiyya karte chale jaaye yaha tak ke jab un mein se kisi ke paas mauth aa jaaye to keh de ke, main ne ab tauba ki, aur un ki tauba bhi qubool nahi jo kufr par hee mar jaaye, yahi log hai jin ke liye hum ne alamnaak azaab tayyaar kar rakha hai
Surah An-Nisa, Verse 18
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا يَحِلُّ لَكُمۡ أَن تَرِثُواْ ٱلنِّسَآءَ كَرۡهٗاۖ وَلَا تَعۡضُلُوهُنَّ لِتَذۡهَبُواْ بِبَعۡضِ مَآ ءَاتَيۡتُمُوهُنَّ إِلَّآ أَن يَأۡتِينَ بِفَٰحِشَةٖ مُّبَيِّنَةٖۚ وَعَاشِرُوهُنَّ بِٱلۡمَعۡرُوفِۚ فَإِن كَرِهۡتُمُوهُنَّ فَعَسَىٰٓ أَن تَكۡرَهُواْ شَيۡـٔٗا وَيَجۡعَلَ ٱللَّهُ فِيهِ خَيۡرٗا كَثِيرٗا
imaan waalo! tumhe halaal nahi ke zabar-dasti aurto ko wirse mein le baitho unhe is liye rok na rakho ke jo tumne unhe de rakha hai,us mein se kuch le lo, haan ye aur baath hai ke wo koyi kholi burayi ya behayaayi kare,un ke saath acche tariqe se budobaash6 rakho,go tum unhe na-pasand karo,lekin bahuth mumkin hai ke tum kisi cheez ko bura jaano aur Allah ta’ala us mein bahuth hee bhalaayi karde
Surah An-Nisa, Verse 19
وَإِنۡ أَرَدتُّمُ ٱسۡتِبۡدَالَ زَوۡجٖ مَّكَانَ زَوۡجٖ وَءَاتَيۡتُمۡ إِحۡدَىٰهُنَّ قِنطَارٗا فَلَا تَأۡخُذُواْ مِنۡهُ شَيۡـًٔاۚ أَتَأۡخُذُونَهُۥ بُهۡتَٰنٗا وَإِثۡمٗا مُّبِينٗا
agar tum ek biwi ki jagah dosri karna hee chaaho, aur un mein se kisi ko tum ne khazaana ka qazaana de rakha ho,to bhi us mein se kuch na lo,kya tum ose na-haq aur khula gunaah hote hoye bhi le loge
Surah An-Nisa, Verse 20
وَكَيۡفَ تَأۡخُذُونَهُۥ وَقَدۡ أَفۡضَىٰ بَعۡضُكُمۡ إِلَىٰ بَعۡضٖ وَأَخَذۡنَ مِنكُم مِّيثَٰقًا غَلِيظٗا
tum ose kaise le loge, halaan ke tum ek dosre se mil chuke ho aur un aurto ne tum se mazbooth ahad wa paimaan le rakha hai
Surah An-Nisa, Verse 21
وَلَا تَنكِحُواْ مَا نَكَحَ ءَابَآؤُكُم مِّنَ ٱلنِّسَآءِ إِلَّا مَا قَدۡ سَلَفَۚ إِنَّهُۥ كَانَ فَٰحِشَةٗ وَمَقۡتٗا وَسَآءَ سَبِيلًا
aur un aurto se nikaah na karo jin se tumhaare baapo ne nikaah kiya hai,magar jo guzar chuka hai,ye be-hayaayi ka kaam aur baghz ka sabab hai aur badi buri raah hai
Surah An-Nisa, Verse 22
حُرِّمَتۡ عَلَيۡكُمۡ أُمَّهَٰتُكُمۡ وَبَنَاتُكُمۡ وَأَخَوَٰتُكُمۡ وَعَمَّـٰتُكُمۡ وَخَٰلَٰتُكُمۡ وَبَنَاتُ ٱلۡأَخِ وَبَنَاتُ ٱلۡأُخۡتِ وَأُمَّهَٰتُكُمُ ٱلَّـٰتِيٓ أَرۡضَعۡنَكُمۡ وَأَخَوَٰتُكُم مِّنَ ٱلرَّضَٰعَةِ وَأُمَّهَٰتُ نِسَآئِكُمۡ وَرَبَـٰٓئِبُكُمُ ٱلَّـٰتِي فِي حُجُورِكُم مِّن نِّسَآئِكُمُ ٱلَّـٰتِي دَخَلۡتُم بِهِنَّ فَإِن لَّمۡ تَكُونُواْ دَخَلۡتُم بِهِنَّ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ وَحَلَـٰٓئِلُ أَبۡنَآئِكُمُ ٱلَّذِينَ مِنۡ أَصۡلَٰبِكُمۡ وَأَن تَجۡمَعُواْ بَيۡنَ ٱلۡأُخۡتَيۡنِ إِلَّا مَا قَدۡ سَلَفَۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
haraam ki gayi tum par tumhaari maaye tumhaari ladkiya aur tumhaari behne,tumhaari phupiya aur tumhaari qalaaye,aur bhai ki ladkiya aur bahan ki ladkiya aur tumhaari wo maaye jinhone tumhe doodh pilaaya ho aur tumhaari doodh shareek behne aur tumhaari saas aur tumhaari wo parvarish karda ladkiya jo tumhaari goodh mein hai,tumhaari un aurto se jin se tum duqool kar chuke ho,haan agar tum ne un se jima na kiya ho to tum par koyi gunaah nahi aur tumhaare sulbi sageh beto ki biwiya aur tumhaara do behno ka jama karna,haan jo guzar chuka so guzar chuka,yaqinan Allah ta’ala baqshne waala meherbaan hai
Surah An-Nisa, Verse 23
۞وَٱلۡمُحۡصَنَٰتُ مِنَ ٱلنِّسَآءِ إِلَّا مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡۖ كِتَٰبَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡۚ وَأُحِلَّ لَكُم مَّا وَرَآءَ ذَٰلِكُمۡ أَن تَبۡتَغُواْ بِأَمۡوَٰلِكُم مُّحۡصِنِينَ غَيۡرَ مُسَٰفِحِينَۚ فَمَا ٱسۡتَمۡتَعۡتُم بِهِۦ مِنۡهُنَّ فَـَٔاتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ فَرِيضَةٗۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ فِيمَا تَرَٰضَيۡتُم بِهِۦ مِنۢ بَعۡدِ ٱلۡفَرِيضَةِۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمٗا
aur haraam ki gayi shuhar waali aurte magar wo jo tumhaari milkiyath mein aa jaaye,Allah ta’ala ne ye ehkaam tum par farz kar diye hai aur in aurto ke siva aur aurte tumhaare liye halaal ki gayi ke apne maal ke meher se tum un se nikaah karna chaaho, bure kaam se bachne ke liye na ke shehwath raani karne ke liye,is liye jin se tum faayeda uthaao unhe un ka muqarrar kiya hoa meher de do,aur meher muqarrar ho jaane ke baadh tum aapas ki raza-mandhi se jo taye karlo us mein tum par koyi gunaah nahi, beshak Allah ta’ala ilm waala hikmath waala hai
Surah An-Nisa, Verse 24
وَمَن لَّمۡ يَسۡتَطِعۡ مِنكُمۡ طَوۡلًا أَن يَنكِحَ ٱلۡمُحۡصَنَٰتِ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ فَمِن مَّا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُم مِّن فَتَيَٰتِكُمُ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتِۚ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِإِيمَٰنِكُمۚ بَعۡضُكُم مِّنۢ بَعۡضٖۚ فَٱنكِحُوهُنَّ بِإِذۡنِ أَهۡلِهِنَّ وَءَاتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ بِٱلۡمَعۡرُوفِ مُحۡصَنَٰتٍ غَيۡرَ مُسَٰفِحَٰتٖ وَلَا مُتَّخِذَٰتِ أَخۡدَانٖۚ فَإِذَآ أُحۡصِنَّ فَإِنۡ أَتَيۡنَ بِفَٰحِشَةٖ فَعَلَيۡهِنَّ نِصۡفُ مَا عَلَى ٱلۡمُحۡصَنَٰتِ مِنَ ٱلۡعَذَابِۚ ذَٰلِكَ لِمَنۡ خَشِيَ ٱلۡعَنَتَ مِنكُمۡۚ وَأَن تَصۡبِرُواْ خَيۡرٞ لَّكُمۡۗ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
aur tum mein se jis kisi ko azaad musalmaan aurato se nikaah karne ki puri wus-ath wa taaqath na ho to wo musalmaan laundiyo se jin ke tum maalik ho (apna nikaah karle) Allah tumhaare amaal ko ba-qoobi jaanne waala hai, tum sab aapas mein ek hee to ho,is liye un ke maaliko ki ijaazath se un se nikaah karlo,aur qaayede ke mutaabiq un ke meher un ko do,wo paak daaman ho, na ke elaaniya badh-kaari karne waaliya, na qofiya ashnaayi karne waaliya,pas jab ye laundiya nikaah mein aa jaaye phir agar wo behayaayi ka kaam kare to unhe aadhi saza hai,us saza se jo azaad aurto ki hai, kanizo se nikaah ka ye hukm tum mein se un logo ke liye hai jinhe gunaah aur takleef ka andesha ho,aur tumhaara zabth7 karna bahuth behtar hai aur Allah ta’ala bada baqshne waala aur badi rehmath waala hai
Surah An-Nisa, Verse 25
يُرِيدُ ٱللَّهُ لِيُبَيِّنَ لَكُمۡ وَيَهۡدِيَكُمۡ سُنَنَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِكُمۡ وَيَتُوبَ عَلَيۡكُمۡۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٞ
Allah ta’ala chaahta hai ke tumhaare waaste qoob khol kar bayaan kare aur tumhe tumse pehle ke (nek) logo ki raah par chalaaye aur tumhaari tauba qubool kare,aur Allah ta’ala jaanne waala hikmath waala hai
Surah An-Nisa, Verse 26
وَٱللَّهُ يُرِيدُ أَن يَتُوبَ عَلَيۡكُمۡ وَيُرِيدُ ٱلَّذِينَ يَتَّبِعُونَ ٱلشَّهَوَٰتِ أَن تَمِيلُواْ مَيۡلًا عَظِيمٗا
aur Allah chaahta hai ke tumhaari tauba qubool kare aur jo log qaahishaath ke pairav hai wo chaahte hai ke tum us se bahuth door hat jaao
Surah An-Nisa, Verse 27
يُرِيدُ ٱللَّهُ أَن يُخَفِّفَ عَنكُمۡۚ وَخُلِقَ ٱلۡإِنسَٰنُ ضَعِيفٗا
Allah chaahta hai ke tum se taqfeef karde kyo ke insaan kamzoor paida kiya gaya hai
Surah An-Nisa, Verse 28
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَأۡكُلُوٓاْ أَمۡوَٰلَكُم بَيۡنَكُم بِٱلۡبَٰطِلِ إِلَّآ أَن تَكُونَ تِجَٰرَةً عَن تَرَاضٖ مِّنكُمۡۚ وَلَا تَقۡتُلُوٓاْ أَنفُسَكُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِكُمۡ رَحِيمٗا
aye imaan waalo! apne aapas ke maal na-jaayez tariqe se math khaao,magar ye ke qareed wa farooqth tumhaari aapas ki raza-mandhi se ho,aur apne aap ko qatal na karo,yaqinan Allah ta’ala tum par nihaayath meherbaan hai
Surah An-Nisa, Verse 29
وَمَن يَفۡعَلۡ ذَٰلِكَ عُدۡوَٰنٗا وَظُلۡمٗا فَسَوۡفَ نُصۡلِيهِ نَارٗاۚ وَكَانَ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرًا
aur jo shaqs ye (na-farmaaniya) sar-kashi aur zulm se karega to an-qareeb hum us ko aag mein daakhil karenge, aur ye Allah par asaan hai
Surah An-Nisa, Verse 30
إِن تَجۡتَنِبُواْ كَبَآئِرَ مَا تُنۡهَوۡنَ عَنۡهُ نُكَفِّرۡ عَنكُمۡ سَيِّـَٔاتِكُمۡ وَنُدۡخِلۡكُم مُّدۡخَلٗا كَرِيمٗا
agar tum un bade gunaaho se bachte rahoge jin se tum ko mana kiya jaata hai to hum tumhaare chote gunaah door kar denge aur izzath wa buz-rugi ki jagaah daakhil karenge
Surah An-Nisa, Verse 31
وَلَا تَتَمَنَّوۡاْ مَا فَضَّلَ ٱللَّهُ بِهِۦ بَعۡضَكُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖۚ لِّلرِّجَالِ نَصِيبٞ مِّمَّا ٱكۡتَسَبُواْۖ وَلِلنِّسَآءِ نَصِيبٞ مِّمَّا ٱكۡتَسَبۡنَۚ وَسۡـَٔلُواْ ٱللَّهَ مِن فَضۡلِهِۦٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٗا
aur us cheez ki aarzo na karo jis ke baayes Allah ta’ala ne tum mein se baaz ko baaz par buzrugi di hai,mardo ka us mein se hissa hai jo unhone kamaaya aur aurto ke liye us mein se hissa hai jo unhone kamaaya,aur Allah ta’ala se us ka fazal maango,yaqinan Allah har cheez ka jaanne waala hai
Surah An-Nisa, Verse 32
وَلِكُلّٖ جَعَلۡنَا مَوَٰلِيَ مِمَّا تَرَكَ ٱلۡوَٰلِدَانِ وَٱلۡأَقۡرَبُونَۚ وَٱلَّذِينَ عَقَدَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡ فَـَٔاتُوهُمۡ نَصِيبَهُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدًا
maa baap ya qaraabatdaar jo chohd mare us ke waaris hum ne har shaqs ke muqarrar kar diye hai,aur jin se tum ne apne haatho muaaheda kiya hai unhe un ka hissa do,haqi-qatan Allah ta’ala har cheez par haazir hai
Surah An-Nisa, Verse 33
ٱلرِّجَالُ قَوَّـٰمُونَ عَلَى ٱلنِّسَآءِ بِمَا فَضَّلَ ٱللَّهُ بَعۡضَهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖ وَبِمَآ أَنفَقُواْ مِنۡ أَمۡوَٰلِهِمۡۚ فَٱلصَّـٰلِحَٰتُ قَٰنِتَٰتٌ حَٰفِظَٰتٞ لِّلۡغَيۡبِ بِمَا حَفِظَ ٱللَّهُۚ وَٱلَّـٰتِي تَخَافُونَ نُشُوزَهُنَّ فَعِظُوهُنَّ وَٱهۡجُرُوهُنَّ فِي ٱلۡمَضَاجِعِ وَٱضۡرِبُوهُنَّۖ فَإِنۡ أَطَعۡنَكُمۡ فَلَا تَبۡغُواْ عَلَيۡهِنَّ سَبِيلًاۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيّٗا كَبِيرٗا
mard aurto par haakim hai is wajeh se ke Allah ta’ala ne ek ko dosre par fazilath di hai aur is wajeh se ke mardo ne apne maal qarch kiye hai,pas nek farma-bardaar aurte qaawind ki adam maujodgi mein ba-hifaazath ilaahi nigehdaasht rakhne waaliya hai aur jin aurto ki na-farmaani aur badh-dimaaghi ka tumhe khauf ho unhe nasihath karo aur unhe alag bistaro par chohd do aur unhe maar ki saza do, phir agar wo tabedaari kare, to un par koyi raasta talaash na karo,be’shak Allah ta’ala badi bulandi aur badaayi waala hai
Surah An-Nisa, Verse 34
وَإِنۡ خِفۡتُمۡ شِقَاقَ بَيۡنِهِمَا فَٱبۡعَثُواْ حَكَمٗا مِّنۡ أَهۡلِهِۦ وَحَكَمٗا مِّنۡ أَهۡلِهَآ إِن يُرِيدَآ إِصۡلَٰحٗا يُوَفِّقِ ٱللَّهُ بَيۡنَهُمَآۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا خَبِيرٗا
agar tumhe miya biwi ke darmiyaan aapas ki an-ban ka khauf ho to ek munsif mardh waalo mein se aur ek auarth ke ghar waalo mein se muqarrar karo, agar ye duno sulaah karaana chahenge to Allah duno mein milaap kara dega,yaqinan Allah ta’ala pure ilm waala puri qabar waala hai
Surah An-Nisa, Verse 35
۞وَٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ وَلَا تُشۡرِكُواْ بِهِۦ شَيۡـٔٗاۖ وَبِٱلۡوَٰلِدَيۡنِ إِحۡسَٰنٗا وَبِذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينِ وَٱلۡجَارِ ذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡجَارِ ٱلۡجُنُبِ وَٱلصَّاحِبِ بِٱلۡجَنۢبِ وَٱبۡنِ ٱلسَّبِيلِ وَمَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ مَن كَانَ مُخۡتَالٗا فَخُورًا
aur Allah ta’ala ki ibaadath karo aur us ke saath kisi ko shareek na karo aur maa baap ke saath sulook wa ehsaan karo aur rishtedaaro se aur yatimo se aur miskino se aur qaraabat-daar hum saaya se aur ajnabi hum saaya se aur pehlo ke saathi se aur raah ke musaafir se aur un se jin ke maalik tumhaare haath hai(ghulaam kaneez)yaqinan Allah ta’ala takabbur karne waalo ko aur shekhi quro ko pasand nahi farmaata
Surah An-Nisa, Verse 36
ٱلَّذِينَ يَبۡخَلُونَ وَيَأۡمُرُونَ ٱلنَّاسَ بِٱلۡبُخۡلِ وَيَكۡتُمُونَ مَآ ءَاتَىٰهُمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦۗ وَأَعۡتَدۡنَا لِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٗا مُّهِينٗا
jo log khud baqili karte hai aur dusro ko bhi baqili karne ko kehte hai aur Allah ta’ala ne jo apna fazl unhe de rakha hai ose chipa lete hai, hum ne un kaafiro ke liye zillath ki maar tayyaar kar rakhi hai
Surah An-Nisa, Verse 37
وَٱلَّذِينَ يُنفِقُونَ أَمۡوَٰلَهُمۡ رِئَآءَ ٱلنَّاسِ وَلَا يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَلَا بِٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۗ وَمَن يَكُنِ ٱلشَّيۡطَٰنُ لَهُۥ قَرِينٗا فَسَآءَ قَرِينٗا
aur jo log apna maal logo ke dikhaawe ke liye qarch karte hai aur Allah ta’ala par aur qayaamath ke din par imaan nahi rakhte aur jis ka hum nasheen aur saathi shaitaan ho,wo badh-tareen saathi hai
Surah An-Nisa, Verse 38
وَمَاذَا عَلَيۡهِمۡ لَوۡ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَأَنفَقُواْ مِمَّا رَزَقَهُمُ ٱللَّهُۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِهِمۡ عَلِيمًا
bhala un ka kya nuqsaan tha agar ye Allah ta’ala par aur qayaamath ke din par imaan laate aur Allah ta’ala ne jo unhe de rakha hai us mein se qarch karte,Allah ta’ala unhe qoob jaanne wala hai
Surah An-Nisa, Verse 39
إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَظۡلِمُ مِثۡقَالَ ذَرَّةٖۖ وَإِن تَكُ حَسَنَةٗ يُضَٰعِفۡهَا وَيُؤۡتِ مِن لَّدُنۡهُ أَجۡرًا عَظِيمٗا
beshak Allah ta’ala ek zarra baraabar zulm nahi karta aur agar neki ho to ose dogni kar deta hai aur qaas apne paas se bahuth bada sawaab deta hai
Surah An-Nisa, Verse 40
فَكَيۡفَ إِذَا جِئۡنَا مِن كُلِّ أُمَّةِۭ بِشَهِيدٖ وَجِئۡنَا بِكَ عَلَىٰ هَـٰٓؤُلَآءِ شَهِيدٗا
pas kya haal hoga jis waqth ke har ummath mein se ek gawaah hum layenge aur aap ko un logo par gawaah bana kar layenge
Surah An-Nisa, Verse 41
يَوۡمَئِذٖ يَوَدُّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَعَصَوُاْ ٱلرَّسُولَ لَوۡ تُسَوَّىٰ بِهِمُ ٱلۡأَرۡضُ وَلَا يَكۡتُمُونَ ٱللَّهَ حَدِيثٗا
jis roz kaafir aur rasool ke na-farmaan aarzo karenge ke kaash! unhe zameen ke saath humwaar kar diya jaata aur Allah ta’ala se koyi baath na chupa sakenge
Surah An-Nisa, Verse 42
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَقۡرَبُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَأَنتُمۡ سُكَٰرَىٰ حَتَّىٰ تَعۡلَمُواْ مَا تَقُولُونَ وَلَا جُنُبًا إِلَّا عَابِرِي سَبِيلٍ حَتَّىٰ تَغۡتَسِلُواْۚ وَإِن كُنتُم مَّرۡضَىٰٓ أَوۡ عَلَىٰ سَفَرٍ أَوۡ جَآءَ أَحَدٞ مِّنكُم مِّنَ ٱلۡغَآئِطِ أَوۡ لَٰمَسۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَلَمۡ تَجِدُواْ مَآءٗ فَتَيَمَّمُواْ صَعِيدٗا طَيِّبٗا فَٱمۡسَحُواْ بِوُجُوهِكُمۡ وَأَيۡدِيكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَفُوًّا غَفُورًا
ae imaan waalo! jab tum nashe mein masth ho, namaaz ke qareeb bhi na jaao, jab tak ke apni baath ko samajhne na lago aur janaabath ki haalath mein jab tak ke ghusul na karlo,haan agar raah chalte guzar jaane waale ho to aur baath hai,aur agar tum bimaar ho ya safar mein ho ya tum mein se koyi qaza haajath se aaya ho ya tum ne aurto se mubaasherath ki ho aur tumhe paani na mile to paak mitthi ka qasd8 karo aur apne muh aur apne haath mal lo,be-shak Allah ta’ala maaf karne waala baqshne waala hai
Surah An-Nisa, Verse 43
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ أُوتُواْ نَصِيبٗا مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِ يَشۡتَرُونَ ٱلضَّلَٰلَةَ وَيُرِيدُونَ أَن تَضِلُّواْ ٱلسَّبِيلَ
kya tum ne unhe nahi dekha? jinhe kitaab ka kuch hissa diya gaya hai,wo gumraahi qaridte hai aur chaahte hai ke tum bhi raah se bhatak jaao
Surah An-Nisa, Verse 44
وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِأَعۡدَآئِكُمۡۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَلِيّٗا وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ نَصِيرٗا
Allah ta’ala tumhaare dushmano ko qoob jaanne waala hai aur Allah ta’ala ka dosth hona kaafi hai aur Allah ta’ala ka madadgaar hona bas hai
Surah An-Nisa, Verse 45
مِّنَ ٱلَّذِينَ هَادُواْ يُحَرِّفُونَ ٱلۡكَلِمَ عَن مَّوَاضِعِهِۦ وَيَقُولُونَ سَمِعۡنَا وَعَصَيۡنَا وَٱسۡمَعۡ غَيۡرَ مُسۡمَعٖ وَرَٰعِنَا لَيَّۢا بِأَلۡسِنَتِهِمۡ وَطَعۡنٗا فِي ٱلدِّينِۚ وَلَوۡ أَنَّهُمۡ قَالُواْ سَمِعۡنَا وَأَطَعۡنَا وَٱسۡمَعۡ وَٱنظُرۡنَا لَكَانَ خَيۡرٗا لَّهُمۡ وَأَقۡوَمَ وَلَٰكِن لَّعَنَهُمُ ٱللَّهُ بِكُفۡرِهِمۡ فَلَا يُؤۡمِنُونَ إِلَّا قَلِيلٗا
baaz yahood kalimaath ko un ki theek jagah se her pher kar dete hai aur kehte hai ke hum ne suna aur na-farmaani ki aur sun us ke baghair ke tu suna jaaye aur hamaari riaayath kar! (lekin us kehne mein) apni zabaan ko pech9 dete hai aur deen mein taana dete hai aur agar ye log kehte ke hum ne suna aur humne farma-bardaari ki aur aap suniye aur hamein dekhiye to ye un ke liye bahuth behtar aur nihaayath hee munaasib tha,lekin Allah ta’ala ne un ke kufr ki wajeh se unhe laanath ki hai, pas ye bahuth hee kam imaan laate hai
Surah An-Nisa, Verse 46
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ ءَامِنُواْ بِمَا نَزَّلۡنَا مُصَدِّقٗا لِّمَا مَعَكُم مِّن قَبۡلِ أَن نَّطۡمِسَ وُجُوهٗا فَنَرُدَّهَا عَلَىٰٓ أَدۡبَارِهَآ أَوۡ نَلۡعَنَهُمۡ كَمَا لَعَنَّآ أَصۡحَٰبَ ٱلسَّبۡتِۚ وَكَانَ أَمۡرُ ٱللَّهِ مَفۡعُولًا
aye ahle kitaab! jo kuch hum ne naazil faramaaya hai jo us ki bhi tasdeeq karne waala hai jo tumhaare paas hai,us par imaan laao is se pehle ke hum chehre bigaad de aur unhe lauta kar peet ki taraf karde,ya un par laanath bheje jaise hum ne hafte ke din waalo par laanath ki aur hai Allah ta’ala ka kaam kiya gaya
Surah An-Nisa, Verse 47
إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَغۡفِرُ أَن يُشۡرَكَ بِهِۦ وَيَغۡفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَآءُۚ وَمَن يُشۡرِكۡ بِٱللَّهِ فَقَدِ ٱفۡتَرَىٰٓ إِثۡمًا عَظِيمًا
yaqinan Allah ta’ala apne saath shareek kiye jaane ko nahi baqshta aur us ke siva jise chaahe baqsh deta hai,aur jo Allah ta’ala ke saath shareek muqarrar kare us ne bahuth bada gunaah aur buhtaan baandha
Surah An-Nisa, Verse 48
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ يُزَكُّونَ أَنفُسَهُمۚ بَلِ ٱللَّهُ يُزَكِّي مَن يَشَآءُ وَلَا يُظۡلَمُونَ فَتِيلًا
kya aap ne unhe nahi dekha jo apni paakizgi aur sataayesh10 khud karte hai? balke Allah ta’ala jise chaahe paakiza karta hai,kisi par ek dhage baraabar zulm na kiya jaega
Surah An-Nisa, Verse 49
ٱنظُرۡ كَيۡفَ يَفۡتَرُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَۖ وَكَفَىٰ بِهِۦٓ إِثۡمٗا مُّبِينًا
dekho ye log Allah ta’ala par kis tarah jhoot baandhte hai aur ye (harkath) sarih gunaah hone ke liye kaafi hai
Surah An-Nisa, Verse 50
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ أُوتُواْ نَصِيبٗا مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِ يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡجِبۡتِ وَٱلطَّـٰغُوتِ وَيَقُولُونَ لِلَّذِينَ كَفَرُواْ هَـٰٓؤُلَآءِ أَهۡدَىٰ مِنَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ سَبِيلًا
kya aap ne unhe nahi dekha jinhe kitaab ka kuch hissa mila hai? jo buth ka aur baatil maboodh ka eteqaad11 rakhte hai aur kaafiro ke haq mein kehte hai ke ye log imaan waalo se zyaada raah raasth par hai
Surah An-Nisa, Verse 51
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ لَعَنَهُمُ ٱللَّهُۖ وَمَن يَلۡعَنِ ٱللَّهُ فَلَن تَجِدَ لَهُۥ نَصِيرًا
yahi wo log hai jinhe Allah ta’ala ne laanath ki hai aur jise Allah ta’ala laanath kar de, tu us ka koi madadgaar na payega
Surah An-Nisa, Verse 52
أَمۡ لَهُمۡ نَصِيبٞ مِّنَ ٱلۡمُلۡكِ فَإِذٗا لَّا يُؤۡتُونَ ٱلنَّاسَ نَقِيرًا
kya un ka koyi hissa saltanath mein hai? agar aisa ho to phir ye kisi ko ek khajoor ki gutli ke shigaaf ke baraabar bhi kuch na denge
Surah An-Nisa, Verse 53
أَمۡ يَحۡسُدُونَ ٱلنَّاسَ عَلَىٰ مَآ ءَاتَىٰهُمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦۖ فَقَدۡ ءَاتَيۡنَآ ءَالَ إِبۡرَٰهِيمَ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَءَاتَيۡنَٰهُم مُّلۡكًا عَظِيمٗا
ya ye logo se hasad karte hai us par jo Allah ta’ala ne apne fazal se unhe diya hai,pas hum ne to aal Ibrahim ko kitaab aur hikmath bhi di hai aur badi saltanath bhi ata farmaayi hai
Surah An-Nisa, Verse 54
فَمِنۡهُم مَّنۡ ءَامَنَ بِهِۦ وَمِنۡهُم مَّن صَدَّ عَنۡهُۚ وَكَفَىٰ بِجَهَنَّمَ سَعِيرًا
phir un mein se baaz ne to us kitaab ko maana aur baaz us se ruk gaye, aur jahannam ka jalaana kaafi hai
Surah An-Nisa, Verse 55
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِنَا سَوۡفَ نُصۡلِيهِمۡ نَارٗا كُلَّمَا نَضِجَتۡ جُلُودُهُم بَدَّلۡنَٰهُمۡ جُلُودًا غَيۡرَهَا لِيَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَزِيزًا حَكِيمٗا
jin logo ne hamaari aayato se kufr kiya unhe hum yaqinan aag mein daal denge,jab unki khaale pak jayengi hum un ke siva aur khaale badal denge, ta ke wo azaab chakte rahe,yaqinan Allah ta’ala ghaalib hikmath waala hai
Surah An-Nisa, Verse 56
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ سَنُدۡخِلُهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ لَّهُمۡ فِيهَآ أَزۡوَٰجٞ مُّطَهَّرَةٞۖ وَنُدۡخِلُهُمۡ ظِلّٗا ظَلِيلًا
aur jo log imaan laaye aur shaayesta amal kiye hum an-qareeb unhe un jannato mein le jaayenge jin ke niche nehre beh rahi hai,jin mein wo hamesha hamesha rahenge,un ke liye wahaa saaf suthri biwiya hongi aur hum unhe ghani chaao (aur puri raahath)mein le jaayenge
Surah An-Nisa, Verse 57
۞إِنَّ ٱللَّهَ يَأۡمُرُكُمۡ أَن تُؤَدُّواْ ٱلۡأَمَٰنَٰتِ إِلَىٰٓ أَهۡلِهَا وَإِذَا حَكَمۡتُم بَيۡنَ ٱلنَّاسِ أَن تَحۡكُمُواْ بِٱلۡعَدۡلِۚ إِنَّ ٱللَّهَ نِعِمَّا يَعِظُكُم بِهِۦٓۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ سَمِيعَۢا بَصِيرٗا
Allah ta’ala tumhe taakidi hukm deta hai ke amaanath waalo ki amaanate unhe pahochaao! aur jab logo ka faisla karo to adl wa insaaf ke saath faisla karo! yaqinan wo behtar cheez hai jis ki nasihath tumhe Allah ta’ala kar raha hai, be-shak Allah ta’ala sunta hai dekhta hai
Surah An-Nisa, Verse 58
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَ وَأُوْلِي ٱلۡأَمۡرِ مِنكُمۡۖ فَإِن تَنَٰزَعۡتُمۡ فِي شَيۡءٖ فَرُدُّوهُ إِلَى ٱللَّهِ وَٱلرَّسُولِ إِن كُنتُمۡ تُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۚ ذَٰلِكَ خَيۡرٞ وَأَحۡسَنُ تَأۡوِيلًا
aye imaan waalo farma-bardaari karo Allah ta’ala ki aur farma-bardaari karo rasool (sallallahualaihiwasallam) ki aur tum mein se eqtiyaar waalo ki,phir agar kisi cheez mein eqtilaaf karo to ose lautaao,Allah ta’ala ki taraf aur rasool ki taraf agar tumhe Allah ta’ala par aur qayaamath ke din par imaan hai,ye bahuth behtar hai aur ba-etebaar anjaam ke bahuth accha hai
Surah An-Nisa, Verse 59
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ يَزۡعُمُونَ أَنَّهُمۡ ءَامَنُواْ بِمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ وَمَآ أُنزِلَ مِن قَبۡلِكَ يُرِيدُونَ أَن يَتَحَاكَمُوٓاْ إِلَى ٱلطَّـٰغُوتِ وَقَدۡ أُمِرُوٓاْ أَن يَكۡفُرُواْ بِهِۦۖ وَيُرِيدُ ٱلشَّيۡطَٰنُ أَن يُضِلَّهُمۡ ضَلَٰلَۢا بَعِيدٗا
kya aap ne unhe nahi dekha? jin ka daawah to ye hai ke jo kuch aap par aur jo kuch aap se pehle utaara gaya hai us par un ka imaan hai,lekin wo apne faisle ghairullah ki taraf le jaana chaahte hai,halaan ke unhe hukm diya gaya hai ke shaitaan ka inkaar kare,shaitaan to ye chaahta hai ke unhe behka kar door daal de
Surah An-Nisa, Verse 60
وَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ تَعَالَوۡاْ إِلَىٰ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ وَإِلَى ٱلرَّسُولِ رَأَيۡتَ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ يَصُدُّونَ عَنكَ صُدُودٗا
un se jab kabhi kaha jaaye ke Allah ta’ala ke naazil karda kalaam ki aur rasool(sallallahualaihiwaallam)ki taraf aao to aap dekh lenge ke ye munaafiq aap se mu pher kar ruke jaate hai
Surah An-Nisa, Verse 61
فَكَيۡفَ إِذَآ أَصَٰبَتۡهُم مُّصِيبَةُۢ بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيهِمۡ ثُمَّ جَآءُوكَ يَحۡلِفُونَ بِٱللَّهِ إِنۡ أَرَدۡنَآ إِلَّآ إِحۡسَٰنٗا وَتَوۡفِيقًا
phir kya baath hai ke jab un par un ke kartooth ke baayes koyi musibath aa padti hai to phir ye aap ke paas aa kar Allah ta’ala ki qasme khaate hai ke hamaara iraada to sirf bhalaayi aur mel milaap hee ka tha
Surah An-Nisa, Verse 62
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ يَعۡلَمُ ٱللَّهُ مَا فِي قُلُوبِهِمۡ فَأَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ وَعِظۡهُمۡ وَقُل لَّهُمۡ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ قَوۡلَۢا بَلِيغٗا
ye wo log hai ke in ka dilo ka bhed Allah ta’ala par ba-qoobi roushan hai,aap un se chashm poshi ki jiye12, unhe nasihath karte rahiye ar unhe wo baath kahiye! jo un ke dilo mein ghar karne waali ho
Surah An-Nisa, Verse 63
وَمَآ أَرۡسَلۡنَا مِن رَّسُولٍ إِلَّا لِيُطَاعَ بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ وَلَوۡ أَنَّهُمۡ إِذ ظَّلَمُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ جَآءُوكَ فَٱسۡتَغۡفَرُواْ ٱللَّهَ وَٱسۡتَغۡفَرَ لَهُمُ ٱلرَّسُولُ لَوَجَدُواْ ٱللَّهَ تَوَّابٗا رَّحِيمٗا
hum ne har har rasool ko sirf isi liye bheja ke Allah ta’ala ke hukm se us ki farmabardaari ki jaaye aur agar ye log jab unhone apni jaano par zulm kiya tha tere paas aa jaate aur Allah ta’ala se esteghfaar karte aur rasool bhi un ke liye esteghfaar karte,to yaqinan ye log Allah ta’ala ko maaf karne waala meherbaan paate
Surah An-Nisa, Verse 64
فَلَا وَرَبِّكَ لَا يُؤۡمِنُونَ حَتَّىٰ يُحَكِّمُوكَ فِيمَا شَجَرَ بَيۡنَهُمۡ ثُمَّ لَا يَجِدُواْ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ حَرَجٗا مِّمَّا قَضَيۡتَ وَيُسَلِّمُواْ تَسۡلِيمٗا
so qasam hai tere parvardigaar ki! ye momin nahi so sakte jab tak ke tamaam aapas ke eqtelaaf mein aap ko haakim na maan le,phir jo faisle aap un mein karde un se apne dil mein kisi tarah ki tangi aur na-khushi na paaye aur farmabardaari ke saath qubool karle
Surah An-Nisa, Verse 65
وَلَوۡ أَنَّا كَتَبۡنَا عَلَيۡهِمۡ أَنِ ٱقۡتُلُوٓاْ أَنفُسَكُمۡ أَوِ ٱخۡرُجُواْ مِن دِيَٰرِكُم مَّا فَعَلُوهُ إِلَّا قَلِيلٞ مِّنۡهُمۡۖ وَلَوۡ أَنَّهُمۡ فَعَلُواْ مَا يُوعَظُونَ بِهِۦ لَكَانَ خَيۡرٗا لَّهُمۡ وَأَشَدَّ تَثۡبِيتٗا
aur agar hum un par farz kar dete ke apni jaano ko qatal kar daalo! ya apne gharo se nikal jaao! to ose un mein se bahuth hee kam log baja laate aur agar ye wahi kare jis ki unhe nasihath ki jaati hai to yaqinan yahi un ke liye behtar aur bahuth zyaada mazbooti waala ho
Surah An-Nisa, Verse 66
وَإِذٗا لَّأٓتَيۡنَٰهُم مِّن لَّدُنَّآ أَجۡرًا عَظِيمٗا
aur tabh to unhe hum apne paas se bada sawaab de
Surah An-Nisa, Verse 67
وَلَهَدَيۡنَٰهُمۡ صِرَٰطٗا مُّسۡتَقِيمٗا
aur yaqinan unhe raah raasth dikhaade
Surah An-Nisa, Verse 68
وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ مَعَ ٱلَّذِينَ أَنۡعَمَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِم مِّنَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ وَٱلصِّدِّيقِينَ وَٱلشُّهَدَآءِ وَٱلصَّـٰلِحِينَۚ وَحَسُنَ أُوْلَـٰٓئِكَ رَفِيقٗا
aur jo bhi Allah ta’ala ki aur rasool(sallalahualaihiwasallam) ki farmabardaari kare,wo un logo ke saath hoga jin par Allah ta’ala ne inaam kiya hai, jaise nabi aur siddiq aur shaheed aur nek log,ye behetreen rafeeq hai
Surah An-Nisa, Verse 69
ذَٰلِكَ ٱلۡفَضۡلُ مِنَ ٱللَّهِۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ عَلِيمٗا
ye fazal Allah ta’ala ki taraf se hai aur kaafi hai Allah ta’ala jaanne waala
Surah An-Nisa, Verse 70
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ خُذُواْ حِذۡرَكُمۡ فَٱنفِرُواْ ثُبَاتٍ أَوِ ٱنفِرُواْ جَمِيعٗا
aye musalmaano! apne bachaao ka samaan le lo phir gruh gruh ban kar kooch karo ya sab ke sab eqatte ho kar nikal khade ho
Surah An-Nisa, Verse 71
وَإِنَّ مِنكُمۡ لَمَن لَّيُبَطِّئَنَّ فَإِنۡ أَصَٰبَتۡكُم مُّصِيبَةٞ قَالَ قَدۡ أَنۡعَمَ ٱللَّهُ عَلَيَّ إِذۡ لَمۡ أَكُن مَّعَهُمۡ شَهِيدٗا
aur yaqinan tum mein baaz wo bhi hai jo pas-wa-pesh karte hai, phir agar tumhe koyi nuqsaan hota hai to wo kehte hai ke Allah ta’ala ne mujh par bada fazal kiya ke, main un ke saath maujoodh na tha
Surah An-Nisa, Verse 72
وَلَئِنۡ أَصَٰبَكُمۡ فَضۡلٞ مِّنَ ٱللَّهِ لَيَقُولَنَّ كَأَن لَّمۡ تَكُنۢ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَهُۥ مَوَدَّةٞ يَٰلَيۡتَنِي كُنتُ مَعَهُمۡ فَأَفُوزَ فَوۡزًا عَظِيمٗا
aur agar tumhe Allah ta’ala ka koyi fazal mil jaaye to us tarah ke goya tum mein un mein dosti thi hee nahi, kehte hai ke kaash! main bhi un ke hamraah hota to badi kamyaabi ko pahonchta
Surah An-Nisa, Verse 73
۞فَلۡيُقَٰتِلۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ ٱلَّذِينَ يَشۡرُونَ ٱلۡحَيَوٰةَ ٱلدُّنۡيَا بِٱلۡأٓخِرَةِۚ وَمَن يُقَٰتِلۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَيُقۡتَلۡ أَوۡ يَغۡلِبۡ فَسَوۡفَ نُؤۡتِيهِ أَجۡرًا عَظِيمٗا
pas jo log dunya ki zindagi ko aaqirath ke badhle bech chuke hai unhe Allah ta’ala ki raah mein jihaad karna chaahiye, aur jo shaqs Allah ta’ala ki raah mein jihaad karte hoye shahaadath paale ya ghaalib aa jaaye, yaqinan hum ose bahuth bada sawaab inaayath farmaayenge
Surah An-Nisa, Verse 74
وَمَا لَكُمۡ لَا تُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَٱلۡمُسۡتَضۡعَفِينَ مِنَ ٱلرِّجَالِ وَٱلنِّسَآءِ وَٱلۡوِلۡدَٰنِ ٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَآ أَخۡرِجۡنَا مِنۡ هَٰذِهِ ٱلۡقَرۡيَةِ ٱلظَّالِمِ أَهۡلُهَا وَٱجۡعَل لَّنَا مِن لَّدُنكَ وَلِيّٗا وَٱجۡعَل لَّنَا مِن لَّدُنكَ نَصِيرًا
bhala kya wajeh hai ke tum Allah ki raah mein aur un na-tawaa mardu,aurto aur nanne nanne baccho ke chutkaare ke liye jihaad na karo? jo yo duae maang rahe hai ke aye hamaare parvardigaar! un zaalimo ki basti se hamein najaath de aur hamaare liye khud apne paas se himaayati muqarrar karde aur hamaare liye qaas apne paas se madadgaar bana
Surah An-Nisa, Verse 75
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۖ وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِ ٱلطَّـٰغُوتِ فَقَٰتِلُوٓاْ أَوۡلِيَآءَ ٱلشَّيۡطَٰنِۖ إِنَّ كَيۡدَ ٱلشَّيۡطَٰنِ كَانَ ضَعِيفًا
jo log imaan laaye hai wo to Allah ta’ala ki raah mein jihaad karte hai aur jin logo ne kufr kiya hai wo Allah ta’ala ke siva auro ki raah mein ladte hai,pas tum shaitaan ke dosto se jung karo!yaqeen maano ke shaitaani hila (bilkul bodha aur)saqth kamzoor hai
Surah An-Nisa, Verse 76
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ قِيلَ لَهُمۡ كُفُّوٓاْ أَيۡدِيَكُمۡ وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ فَلَمَّا كُتِبَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقِتَالُ إِذَا فَرِيقٞ مِّنۡهُمۡ يَخۡشَوۡنَ ٱلنَّاسَ كَخَشۡيَةِ ٱللَّهِ أَوۡ أَشَدَّ خَشۡيَةٗۚ وَقَالُواْ رَبَّنَا لِمَ كَتَبۡتَ عَلَيۡنَا ٱلۡقِتَالَ لَوۡلَآ أَخَّرۡتَنَآ إِلَىٰٓ أَجَلٖ قَرِيبٖۗ قُلۡ مَتَٰعُ ٱلدُّنۡيَا قَلِيلٞ وَٱلۡأٓخِرَةُ خَيۡرٞ لِّمَنِ ٱتَّقَىٰ وَلَا تُظۡلَمُونَ فَتِيلًا
kya tum ne unhe nahi dekha jinhe hukm kiya gaya tha ke apne haatho ko roke rakho aur namaaze padte raho aur zakaath ada karte raho,phir jab unhe jihaad ka hukm diya gaya to osi waqt un ki ek jamaath logo se is qadar darne lagi jaise Allah ta’ala ka dar ho, balke us se bhi zyaada,aur kehne lage aye hamaare rab! tu ne hum par jihaad kyo farz kar diya? kyo hamein thodi si zindagi aur na jine di? aap keh dijiye ke dunya ki soodh-mandhi 13 to bahuth hee kam hai aur parhezgaaro ke liye to aaqirath hee behtar hai,aur tum par ek dhaage ke baraabar bhi sitam rawa na rakha jayega
Surah An-Nisa, Verse 77
أَيۡنَمَا تَكُونُواْ يُدۡرِككُّمُ ٱلۡمَوۡتُ وَلَوۡ كُنتُمۡ فِي بُرُوجٖ مُّشَيَّدَةٖۗ وَإِن تُصِبۡهُمۡ حَسَنَةٞ يَقُولُواْ هَٰذِهِۦ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِۖ وَإِن تُصِبۡهُمۡ سَيِّئَةٞ يَقُولُواْ هَٰذِهِۦ مِنۡ عِندِكَۚ قُلۡ كُلّٞ مِّنۡ عِندِ ٱللَّهِۖ فَمَالِ هَـٰٓؤُلَآءِ ٱلۡقَوۡمِ لَا يَكَادُونَ يَفۡقَهُونَ حَدِيثٗا
tum jaha kahi bhi ho mauth tumhe aa pakdegi, go tum mazbooth qilo mein ho,aur agar unhe koyi bhalaayi milti hai to kehte hai ke ye Allah ta’ala ki taraf se hai aur agar koyi buraayi pahonchti hai to keh uthte hai ke ye teri taraf se hai,unhe keh do ke ye sab kuch Allah ta’ala ki taraf se hai,unhe kya ho gaya hai ke koyi baath samajhne ke bhi qareeb nahi
Surah An-Nisa, Verse 78
مَّآ أَصَابَكَ مِنۡ حَسَنَةٖ فَمِنَ ٱللَّهِۖ وَمَآ أَصَابَكَ مِن سَيِّئَةٖ فَمِن نَّفۡسِكَۚ وَأَرۡسَلۡنَٰكَ لِلنَّاسِ رَسُولٗاۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدٗا
tujhe jo bhalaayi milti hai wo Allah ta’ala ki taraf se hai aur jo boraayi pahonchti hai wo tere apne nafs ki taraf se hai,hum ne tujhe tamaam logo ko paighaam pahonchaane waala bana kar bheja hai aur Allah ta’ala gawaah kaafi hai
Surah An-Nisa, Verse 79
مَّن يُطِعِ ٱلرَّسُولَ فَقَدۡ أَطَاعَ ٱللَّهَۖ وَمَن تَوَلَّىٰ فَمَآ أَرۡسَلۡنَٰكَ عَلَيۡهِمۡ حَفِيظٗا
is rasool(salallahualihiwasallam)ki jo ita’ath kare osi ne Allah ta’ala ki farmabardaari ki aur jo mu pher le to hum ne aap ko kuch un par nigehbaan bana kar nahi bheja
Surah An-Nisa, Verse 80
وَيَقُولُونَ طَاعَةٞ فَإِذَا بَرَزُواْ مِنۡ عِندِكَ بَيَّتَ طَآئِفَةٞ مِّنۡهُمۡ غَيۡرَ ٱلَّذِي تَقُولُۖ وَٱللَّهُ يَكۡتُبُ مَا يُبَيِّتُونَۖ فَأَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ وَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَكِيلًا
ye kehte to hai ke ita’ath hai, phir jab aap ke paas se ut kar baaher nikalte hai to un mein ki ek jamaath, jo baath aap ne ya us ne kahi hai us ke qilaaf raatho ko mashwere karti hai,un ki raatho ki baath cheeth Allah likh raha hai,to aap un se mu pher le aur Allah par bharosa rakhe,Allah ta’ala kaafi kaar saaz hai
Surah An-Nisa, Verse 81
أَفَلَا يَتَدَبَّرُونَ ٱلۡقُرۡءَانَۚ وَلَوۡ كَانَ مِنۡ عِندِ غَيۡرِ ٱللَّهِ لَوَجَدُواْ فِيهِ ٱخۡتِلَٰفٗا كَثِيرٗا
kya ye log Qur’an mein ghaur nahi karte? agar ye Allah ta’ala ke siva kisi aur ki taraf se hota to yaqinan us mein bahuth kuch eqtelaaf paate
Surah An-Nisa, Verse 82
وَإِذَا جَآءَهُمۡ أَمۡرٞ مِّنَ ٱلۡأَمۡنِ أَوِ ٱلۡخَوۡفِ أَذَاعُواْ بِهِۦۖ وَلَوۡ رَدُّوهُ إِلَى ٱلرَّسُولِ وَإِلَىٰٓ أُوْلِي ٱلۡأَمۡرِ مِنۡهُمۡ لَعَلِمَهُ ٱلَّذِينَ يَسۡتَنۢبِطُونَهُۥ مِنۡهُمۡۗ وَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَرَحۡمَتُهُۥ لَٱتَّبَعۡتُمُ ٱلشَّيۡطَٰنَ إِلَّا قَلِيلٗا
jaha unhe koyi qabar aman ki ya khauf ki mili unhone ose mashoor karna shuro kar diya halaan ke agar ye log ise rasool(sallallahualaihiwasallam)ke aur apne mein se aisi baatho ki teh tak pahonchne waalo ke hawaale kar dete to us ki haqiqath wo log maalom kar lete, jo natija aqz14 karte hai aur agar Allah ta’ala ka fazl aur us ki rehmath tum par na hoti to maadood-e-chandh15 ke ilawa tum sub shaitaan ke pairokaar ban jaate
Surah An-Nisa, Verse 83
فَقَٰتِلۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ لَا تُكَلَّفُ إِلَّا نَفۡسَكَۚ وَحَرِّضِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۖ عَسَى ٱللَّهُ أَن يَكُفَّ بَأۡسَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۚ وَٱللَّهُ أَشَدُّ بَأۡسٗا وَأَشَدُّ تَنكِيلٗا
tu Allah ta’ala ki raah mein jung karta reh,tujhe sirf teri zaath ki nisbath hukm diya jata hai, haan imaan waalo ko raghbath dilaata reh, bahuth mumkin hai ke Allah ta’ala kaafiro ki jung ko rok de aur Allah ta’ala saqth quwwath waala hai aur saza dene mein bhi saqt hai
Surah An-Nisa, Verse 84
مَّن يَشۡفَعۡ شَفَٰعَةً حَسَنَةٗ يَكُن لَّهُۥ نَصِيبٞ مِّنۡهَاۖ وَمَن يَشۡفَعۡ شَفَٰعَةٗ سَيِّئَةٗ يَكُن لَّهُۥ كِفۡلٞ مِّنۡهَاۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ مُّقِيتٗا
jo shaqs kisi neki ya bhale kaam ki sifaarish kare ose bhi us ka kuch hissa milega aur jo buraayi aur badhi ki sifaarish kare us ke liye bhi us mein se ek hissa hai aur Allah ta’ala har cheez par khudrath rakhne waala hai
Surah An-Nisa, Verse 85
وَإِذَا حُيِّيتُم بِتَحِيَّةٖ فَحَيُّواْ بِأَحۡسَنَ مِنۡهَآ أَوۡ رُدُّوهَآۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٍ حَسِيبًا
aur jab tumhe salaam kiya jaaye to tum us se accha jawaab do,ya un hee alfaaz ko lauta do, be-shuba Allah ta’ala har cheez ka hisaab lene waala hai
Surah An-Nisa, Verse 86
ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۚ لَيَجۡمَعَنَّكُمۡ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ لَا رَيۡبَ فِيهِۗ وَمَنۡ أَصۡدَقُ مِنَ ٱللَّهِ حَدِيثٗا
Allah wo hai jis ke siva koyi maaboodh (bar-haq) nahi,wo tum sab ko yaqinan qayaamath ke din jama karega jis ke (aane) mein koyi shak nahi,Allah ta’ala se zyaada sacchi baath waala aur kaun hoga
Surah An-Nisa, Verse 87
۞فَمَا لَكُمۡ فِي ٱلۡمُنَٰفِقِينَ فِئَتَيۡنِ وَٱللَّهُ أَرۡكَسَهُم بِمَا كَسَبُوٓاْۚ أَتُرِيدُونَ أَن تَهۡدُواْ مَنۡ أَضَلَّ ٱللَّهُۖ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَلَن تَجِدَ لَهُۥ سَبِيلٗا
tumhe kya ho gaya hai? ke munaafiqo ke baare mein do gruh ho rahe ho? unhe to un ke amaal ki wajeh se Allah ta’ala ne aundha kar diya hai, ab kya tum ye mansobe baandh rahe ho ke Allah ta’ala ke gumraah kiye huo ko tum raah raasth par la khada karo, jise Allah ta’ala raah bhulaade, tu har giz us ke liye raah na payega
Surah An-Nisa, Verse 88
وَدُّواْ لَوۡ تَكۡفُرُونَ كَمَا كَفَرُواْ فَتَكُونُونَ سَوَآءٗۖ فَلَا تَتَّخِذُواْ مِنۡهُمۡ أَوۡلِيَآءَ حَتَّىٰ يُهَاجِرُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۚ فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَخُذُوهُمۡ وَٱقۡتُلُوهُمۡ حَيۡثُ وَجَدتُّمُوهُمۡۖ وَلَا تَتَّخِذُواْ مِنۡهُمۡ وَلِيّٗا وَلَا نَصِيرًا
un ki chaahath hai ke jis tarah ke kaafir wo hai tum bhi un ki tarah kufr karne lago aur phir sab eksa ho jaao, pas jab tak ye islaam ki qaatir watan na chohde un mein se kisi ko haqiqi dosth na banaao, phir agar ye mu pher le to unhe pakdo aur qatl karo jahaan bhi ye haath lag jaaye, qabardaar! un mein se kisi ko apna rafeeq aur madadgaar na samajh baithna
Surah An-Nisa, Verse 89
إِلَّا ٱلَّذِينَ يَصِلُونَ إِلَىٰ قَوۡمِۭ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَهُم مِّيثَٰقٌ أَوۡ جَآءُوكُمۡ حَصِرَتۡ صُدُورُهُمۡ أَن يُقَٰتِلُوكُمۡ أَوۡ يُقَٰتِلُواْ قَوۡمَهُمۡۚ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَسَلَّطَهُمۡ عَلَيۡكُمۡ فَلَقَٰتَلُوكُمۡۚ فَإِنِ ٱعۡتَزَلُوكُمۡ فَلَمۡ يُقَٰتِلُوكُمۡ وَأَلۡقَوۡاْ إِلَيۡكُمُ ٱلسَّلَمَ فَمَا جَعَلَ ٱللَّهُ لَكُمۡ عَلَيۡهِمۡ سَبِيلٗا
sivaaye un ke jo us khaum se taalluq rakhte ho jin se tumhaara maaheda ho chuka hai ya jo tumhaare paas us haalath mein aaye ke tum se jung karne se bhi tang dil hai aur apni khaum se bhi jung karne se tang dil hai aur agar Allah ta’ala chaahta to unhe tum par musallath kar deta aur wo tum se yaqinan jung karte,pas agar ye log tum se kinaara kashi eqtiyaar karle aur tum se ladaayi na kare aure tumhari jaanib sulaah ka paighaam daale to Allah ta’ala ne tumhaare liye un par koyi raah ladaayi ki nahi ki
Surah An-Nisa, Verse 90
سَتَجِدُونَ ءَاخَرِينَ يُرِيدُونَ أَن يَأۡمَنُوكُمۡ وَيَأۡمَنُواْ قَوۡمَهُمۡ كُلَّ مَا رُدُّوٓاْ إِلَى ٱلۡفِتۡنَةِ أُرۡكِسُواْ فِيهَاۚ فَإِن لَّمۡ يَعۡتَزِلُوكُمۡ وَيُلۡقُوٓاْ إِلَيۡكُمُ ٱلسَّلَمَ وَيَكُفُّوٓاْ أَيۡدِيَهُمۡ فَخُذُوهُمۡ وَٱقۡتُلُوهُمۡ حَيۡثُ ثَقِفۡتُمُوهُمۡۚ وَأُوْلَـٰٓئِكُمۡ جَعَلۡنَا لَكُمۡ عَلَيۡهِمۡ سُلۡطَٰنٗا مُّبِينٗا
tum kuch aur logo ko aisa bhi paoge jin ki (ba-zaaher)chaahath hai ke tum se bhi aman mein rahe aur apni khaum se bhi aman mein rahe (lekin)jab kabhi fitna angezi ki taraf lautaaye jaate hai to aundhe mu us mein daal diye jaate hai,pas agar ye log tum se kinaara kashi na kare aur tum se sulah ka sil-sila jumbaani16 na kare aur apne haath na rokle to unhe pakdo aur maar daalo jahaan kahi bhi paalo! yahi wo hai jin par hum ne tumhe zaaher hujjath inaayath farmaayi hai
Surah An-Nisa, Verse 91
وَمَا كَانَ لِمُؤۡمِنٍ أَن يَقۡتُلَ مُؤۡمِنًا إِلَّا خَطَـٔٗاۚ وَمَن قَتَلَ مُؤۡمِنًا خَطَـٔٗا فَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مُّؤۡمِنَةٖ وَدِيَةٞ مُّسَلَّمَةٌ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِۦٓ إِلَّآ أَن يَصَّدَّقُواْۚ فَإِن كَانَ مِن قَوۡمٍ عَدُوّٖ لَّكُمۡ وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مُّؤۡمِنَةٖۖ وَإِن كَانَ مِن قَوۡمِۭ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَهُم مِّيثَٰقٞ فَدِيَةٞ مُّسَلَّمَةٌ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِۦ وَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مُّؤۡمِنَةٖۖ فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ شَهۡرَيۡنِ مُتَتَابِعَيۡنِ تَوۡبَةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا
kisi momin ko dosre momin ka qatl kar dena zeba nahi magar ghalti se ho jaaye (to aur baath hai) jo shaqs kisi musalmaan ko bila qasd maar daale us par ek musalmaan ghulaam ki gardan azaad karna aur maqtool ke azizo ko qoon baha pahochaana hai, haan ye aur baath hai ke wo log ba-taur sadqa maaf karde aur agar maqtool tumhaari dushman khaum ka ho aur ho wo musalmaan to sirf ek momin ghulaam ki gardan azaad karna laazmi hai aur agar maqtool us khaum se ho ke tum mein aur un mein ahad wa paimaan hai to qoon baha laazim hai jo us ke kumbe waalo ko pahonchaaya jaaye aur ek musalmaan ghulaam ka azaad karna bhi (zaruri hai) pas jo na paaye us ke zimme do mahine ke lagaa-taar roze hai,Allah ta’ala se baqsh waane ke liye aur Allah ta’ala ba-qoobi jaanne waala aur hikmath waala hai
Surah An-Nisa, Verse 92
وَمَن يَقۡتُلۡ مُؤۡمِنٗا مُّتَعَمِّدٗا فَجَزَآؤُهُۥ جَهَنَّمُ خَٰلِدٗا فِيهَا وَغَضِبَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِ وَلَعَنَهُۥ وَأَعَدَّ لَهُۥ عَذَابًا عَظِيمٗا
aur jo koyi kisi momin ko qasdan qatl kar daale us ki saza dozakh hai jis mein wo hamesha rahega, us par Allah ta’ala ka ghazab hai, ose Allah ta’ala ne laanath ki hai aur us ke liye bada azaab tayyaar kar rakha hai
Surah An-Nisa, Verse 93
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا ضَرَبۡتُمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَتَبَيَّنُواْ وَلَا تَقُولُواْ لِمَنۡ أَلۡقَىٰٓ إِلَيۡكُمُ ٱلسَّلَٰمَ لَسۡتَ مُؤۡمِنٗا تَبۡتَغُونَ عَرَضَ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا فَعِندَ ٱللَّهِ مَغَانِمُ كَثِيرَةٞۚ كَذَٰلِكَ كُنتُم مِّن قَبۡلُ فَمَنَّ ٱللَّهُ عَلَيۡكُمۡ فَتَبَيَّنُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٗا
aye imaan waalo! jab tum Allah ki raah mein ja rahe ho tu tehqeeq kar liya karo aur jo tum se salaam-alaik kare tum ose ye na kehdo ke to imaan wala nahi, tum dunyaawi zindagi ke azbab ki talaash mein ho, to Allah ta’ala ke paas bahuth si ghanimate hai, pehle tum bhi to aise hee thein, phir Allah ta’ala ne tum par ehsaan kiya, lehaaza tum zaroor tehqeeq wa tafteesh kar liya karo, be-shak Allah ta’ala tumhaare amaal se ba-qabar hai
Surah An-Nisa, Verse 94
لَّا يَسۡتَوِي ٱلۡقَٰعِدُونَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ غَيۡرُ أُوْلِي ٱلضَّرَرِ وَٱلۡمُجَٰهِدُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡۚ فَضَّلَ ٱللَّهُ ٱلۡمُجَٰهِدِينَ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡ عَلَى ٱلۡقَٰعِدِينَ دَرَجَةٗۚ وَكُلّٗا وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلۡحُسۡنَىٰۚ وَفَضَّلَ ٱللَّهُ ٱلۡمُجَٰهِدِينَ عَلَى ٱلۡقَٰعِدِينَ أَجۡرًا عَظِيمٗا
apni jaano aur maalo se Allah ki raah mein jihaad karne waale momin aur baghair uzr17 ke bait rehne waale momin baraabar nahi, apne maalo se aur apni jaano se jihaad karne waalo ko bait rehne waalo par Allah ta’ala ne darjo mein bahuth fazilath de rakhi hai aur yo to Allah ta’ala ne har ek ko qoobi aur acchaayi ka waada diya hai lekin mujahedeen ko bait rehne waalo par bahuth bade ajr ki fazilath de rakhi hai
Surah An-Nisa, Verse 95
دَرَجَٰتٖ مِّنۡهُ وَمَغۡفِرَةٗ وَرَحۡمَةٗۚ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمًا
apni taraf se martabe ki bhi aur baqshish ki bhi aur rehmath ki bhi, aur Allah ta’ala baqshish karne waala aur rahem karne waala hai
Surah An-Nisa, Verse 96
إِنَّ ٱلَّذِينَ تَوَفَّىٰهُمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ ظَالِمِيٓ أَنفُسِهِمۡ قَالُواْ فِيمَ كُنتُمۡۖ قَالُواْ كُنَّا مُسۡتَضۡعَفِينَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ قَالُوٓاْ أَلَمۡ تَكُنۡ أَرۡضُ ٱللَّهِ وَٰسِعَةٗ فَتُهَاجِرُواْ فِيهَاۚ فَأُوْلَـٰٓئِكَ مَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُۖ وَسَآءَتۡ مَصِيرًا
jo log apni jaano par zulm karne waale hai, jab farishte un ki ruh qabz karte hai to pochte hai tum kis haal mein thein? ye jawaab dete hai ke hum apni jageh kamzoor aur maghloob thein,farishte kehte hai kya Allah ta’ala ki zameen kushaada na thi ke tum hijrath kar jaate? yahi log hai jin ka thikaana dozakh hai aur wo pahonchne ki buri jageh hai
Surah An-Nisa, Verse 97
إِلَّا ٱلۡمُسۡتَضۡعَفِينَ مِنَ ٱلرِّجَالِ وَٱلنِّسَآءِ وَٱلۡوِلۡدَٰنِ لَا يَسۡتَطِيعُونَ حِيلَةٗ وَلَا يَهۡتَدُونَ سَبِيلٗا
magar jo mardh, aurte aur bacche be-bas hai, jinhe na to kisi chaaraye-kaar ki taaqath aur na kisi raaste ka ilm hai
Surah An-Nisa, Verse 98
فَأُوْلَـٰٓئِكَ عَسَى ٱللَّهُ أَن يَعۡفُوَ عَنۡهُمۡۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَفُوًّا غَفُورٗا
bahuth mumkin hai ke Allah ta’ala un se dar-guzar kare, Allah ta’ala dar-guzar karne waala aur maaf farmaane waala hai
Surah An-Nisa, Verse 99
۞وَمَن يُهَاجِرۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ يَجِدۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُرَٰغَمٗا كَثِيرٗا وَسَعَةٗۚ وَمَن يَخۡرُجۡ مِنۢ بَيۡتِهِۦ مُهَاجِرًا إِلَى ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ ثُمَّ يُدۡرِكۡهُ ٱلۡمَوۡتُ فَقَدۡ وَقَعَ أَجۡرُهُۥ عَلَى ٱللَّهِۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
jo koyi Allah ki raah mein watan ko chohdega wo zameen mein bahuth si qayaam ki jageh bhi paayega aur koshaadgi bhi aur jo koyi apne ghar se Allah ta’ala aur us ke rasool (sallallahualaihiwasallam) ki taraf nikal khada hoa, phir ose mauth ne aa pakda to bhi yaqinan us ka ajr Allah ta’ala ke zimme saabith ho gaya aur Allah ta’ala bada baqshne waala meherbaan hai
Surah An-Nisa, Verse 100
وَإِذَا ضَرَبۡتُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَلَيۡسَ عَلَيۡكُمۡ جُنَاحٌ أَن تَقۡصُرُواْ مِنَ ٱلصَّلَوٰةِ إِنۡ خِفۡتُمۡ أَن يَفۡتِنَكُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْۚ إِنَّ ٱلۡكَٰفِرِينَ كَانُواْ لَكُمۡ عَدُوّٗا مُّبِينٗا
jab tum safar mein ja rahe ho to tum par namaazo ke qasar karne mein koyi gunaah nahi,agar tumhe dar ho ke kaafir tumhe satayenge,yaqinan kaafir tumhaare khule dushman hai
Surah An-Nisa, Verse 101
وَإِذَا كُنتَ فِيهِمۡ فَأَقَمۡتَ لَهُمُ ٱلصَّلَوٰةَ فَلۡتَقُمۡ طَآئِفَةٞ مِّنۡهُم مَّعَكَ وَلۡيَأۡخُذُوٓاْ أَسۡلِحَتَهُمۡۖ فَإِذَا سَجَدُواْ فَلۡيَكُونُواْ مِن وَرَآئِكُمۡ وَلۡتَأۡتِ طَآئِفَةٌ أُخۡرَىٰ لَمۡ يُصَلُّواْ فَلۡيُصَلُّواْ مَعَكَ وَلۡيَأۡخُذُواْ حِذۡرَهُمۡ وَأَسۡلِحَتَهُمۡۗ وَدَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡ تَغۡفُلُونَ عَنۡ أَسۡلِحَتِكُمۡ وَأَمۡتِعَتِكُمۡ فَيَمِيلُونَ عَلَيۡكُم مَّيۡلَةٗ وَٰحِدَةٗۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ إِن كَانَ بِكُمۡ أَذٗى مِّن مَّطَرٍ أَوۡ كُنتُم مَّرۡضَىٰٓ أَن تَضَعُوٓاْ أَسۡلِحَتَكُمۡۖ وَخُذُواْ حِذۡرَكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ أَعَدَّ لِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٗا مُّهِينٗا
jab tum un mein ho aur un ke liye namaaz khadi karo to chaahiye ke un ki ek jamaath tumhaare saath apne hatyaar liye khadi ho,phir jab ye sajda kar chuke to ye hat kar tumhaare piche aa jaaye aur wo dosri jamaath jis ne namaaz nahi padi, wo aa jaaye aur tere saath namaaz ada kare aur apna bachaao aur apne hatyaar liye rahe,kaafir chaahte hai ke kisi tarah tum apne hatyaaro aur apne samaan se be-qabar ho jaao to wo tum par achaanak dhaaba bol de, haan apne hatyaar utaar rakhne mein us waqth tum par koyi gunaah nahi ke tumhe takleef ho ya ba-wajeh baarish ke, ya ba-sabab bimaar ho jaane ke aur apne bachaao ki chize saath liye raho,yaqinan Allah ta’ala ne munkiro ke liye zillath ki maar tayyaar kar rakhi hai
Surah An-Nisa, Verse 102
فَإِذَا قَضَيۡتُمُ ٱلصَّلَوٰةَ فَٱذۡكُرُواْ ٱللَّهَ قِيَٰمٗا وَقُعُودٗا وَعَلَىٰ جُنُوبِكُمۡۚ فَإِذَا ٱطۡمَأۡنَنتُمۡ فَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَۚ إِنَّ ٱلصَّلَوٰةَ كَانَتۡ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ كِتَٰبٗا مَّوۡقُوتٗا
phir jab tum namaz ada kar chuko to uthte baithte aur lete Allah ta’ala ka zikr karte raho aur jab itmenaan paao to namaaz qaayam karo,yaqinan namaaz momino par muqarrar waqto par farz hai
Surah An-Nisa, Verse 103
وَلَا تَهِنُواْ فِي ٱبۡتِغَآءِ ٱلۡقَوۡمِۖ إِن تَكُونُواْ تَأۡلَمُونَ فَإِنَّهُمۡ يَأۡلَمُونَ كَمَا تَأۡلَمُونَۖ وَتَرۡجُونَ مِنَ ٱللَّهِ مَا لَا يَرۡجُونَۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمًا
un logo ka picha karne se haare dil ho kar bait na raho! agar tumhe be-araami hoti hai to unhe bhi tumhaari tarah be-araami hoti hai aur tum Allah ta’ala se wo ummide rakhte ho,jo ummide unhe nahi aur Allah ta’ala daana aur hakeem hai
Surah An-Nisa, Verse 104
إِنَّآ أَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ لِتَحۡكُمَ بَيۡنَ ٱلنَّاسِ بِمَآ أَرَىٰكَ ٱللَّهُۚ وَلَا تَكُن لِّلۡخَآئِنِينَ خَصِيمٗا
yaqinan hum ne tumhaari taraf haq ke saath apni kitaab naazil farmaayi hai ta ke tum logo mein us cheez ke mutaabiq faisla karo jis se Allah ne tum ko shanaasa18 kiya hai aur qayaanat karne waalo ke himaayati na bano
Surah An-Nisa, Verse 105
وَٱسۡتَغۡفِرِ ٱللَّهَۖ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
aur Allah ta’ala se baqshish maango,be’shak Allah ta’ala baqshish karne waala, meherbaani karne waala hai
Surah An-Nisa, Verse 106
وَلَا تُجَٰدِلۡ عَنِ ٱلَّذِينَ يَخۡتَانُونَ أَنفُسَهُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ مَن كَانَ خَوَّانًا أَثِيمٗا
aur un ki taraf se jhagda na karo jo khud apni hee qayaanath karte hai,yaqinan dagha baaz gunehgaar Allah ta’ala ko accha nahi lagta
Surah An-Nisa, Verse 107
يَسۡتَخۡفُونَ مِنَ ٱلنَّاسِ وَلَا يَسۡتَخۡفُونَ مِنَ ٱللَّهِ وَهُوَ مَعَهُمۡ إِذۡ يُبَيِّتُونَ مَا لَا يَرۡضَىٰ مِنَ ٱلۡقَوۡلِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِمَا يَعۡمَلُونَ مُحِيطًا
wo logo se to chup jaate hai (lekin)Allah ta’ala se nahi chup sakte,wo raatho ke waqth jab ke Allah ki na-pasandida baatho ke qufiya mashwere karte hai,us waqth bhi Allah un ke paas hota hai,un ke tamaam amaal ko wo ghere hoye hai
Surah An-Nisa, Verse 108
هَـٰٓأَنتُمۡ هَـٰٓؤُلَآءِ جَٰدَلۡتُمۡ عَنۡهُمۡ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا فَمَن يُجَٰدِلُ ٱللَّهَ عَنۡهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ أَم مَّن يَكُونُ عَلَيۡهِمۡ وَكِيلٗا
haan, to ye ho, tum log ke dunya mein tum ne un ki himaayath ki,lekin Allah ta’ala ke saamne qayaamath ke din un ki himaayath kaun karega? aur wo kaun hai jo un ka wakeel ban kar khada ho sakega
Surah An-Nisa, Verse 109
وَمَن يَعۡمَلۡ سُوٓءًا أَوۡ يَظۡلِمۡ نَفۡسَهُۥ ثُمَّ يَسۡتَغۡفِرِ ٱللَّهَ يَجِدِ ٱللَّهَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
jo shaqs koyi buraayi kare ya apni jaan par zulm kare phir Allah se isteghfaar kare to wo Allah ko baqshne waala meherbaani karne waala payega
Surah An-Nisa, Verse 110
وَمَن يَكۡسِبۡ إِثۡمٗا فَإِنَّمَا يَكۡسِبُهُۥ عَلَىٰ نَفۡسِهِۦۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا
aur jo gunaah karta hai us ka boojh osi par hai,aur Allah ba-qoobi jaanne waala aur puri hikmath waala hai
Surah An-Nisa, Verse 111
وَمَن يَكۡسِبۡ خَطِيٓـَٔةً أَوۡ إِثۡمٗا ثُمَّ يَرۡمِ بِهِۦ بَرِيٓـٔٗا فَقَدِ ٱحۡتَمَلَ بُهۡتَٰنٗا وَإِثۡمٗا مُّبِينٗا
aur jo shaqs koyi gunaah ya qata kar ke kisi be-gunaah ke zimme thoop de, us ne bahuth bada buhtan uthaaya aur khula gunaah kiya
Surah An-Nisa, Verse 112
وَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكَ وَرَحۡمَتُهُۥ لَهَمَّت طَّآئِفَةٞ مِّنۡهُمۡ أَن يُضِلُّوكَ وَمَا يُضِلُّونَ إِلَّآ أَنفُسَهُمۡۖ وَمَا يَضُرُّونَكَ مِن شَيۡءٖۚ وَأَنزَلَ ٱللَّهُ عَلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَعَلَّمَكَ مَا لَمۡ تَكُن تَعۡلَمُۚ وَكَانَ فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكَ عَظِيمٗا
agar Allah ta’ala ka fazal wa rahem tujh par na hota to un ki ek jamaath ne to tujhe beh-kaane ka qasad kar hee liya tha,magar dar asal ye apne aap ko hee gumraah karte hai,ye tera kuch nahi bigaad sakte,Allah ta’ala ne tujh par kitaab wa hikmath utaari hai aur tujhe wo sikhaaya hai jise tu nahi jaanta tha,aur Allah ta’ala ka tujh par bada bhaari fazal hai
Surah An-Nisa, Verse 113
۞لَّا خَيۡرَ فِي كَثِيرٖ مِّن نَّجۡوَىٰهُمۡ إِلَّا مَنۡ أَمَرَ بِصَدَقَةٍ أَوۡ مَعۡرُوفٍ أَوۡ إِصۡلَٰحِۭ بَيۡنَ ٱلنَّاسِۚ وَمَن يَفۡعَلۡ ذَٰلِكَ ٱبۡتِغَآءَ مَرۡضَاتِ ٱللَّهِ فَسَوۡفَ نُؤۡتِيهِ أَجۡرًا عَظِيمٗا
un ke aksar qufiya mashwero mein koyi khair nahi, haan! bhalaayi us ke mashware mein hai jo qairaath ka ya nek baath ka ya logo mein sulaah karaane ka hukm kare,aur jo shaqs sirf Allah ta’ala ki razaa-mandhi haasil karne ke iraade se ye kaam kare,ose hum yaqinan bahuth bada sawaab denge
Surah An-Nisa, Verse 114
وَمَن يُشَاقِقِ ٱلرَّسُولَ مِنۢ بَعۡدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُ ٱلۡهُدَىٰ وَيَتَّبِعۡ غَيۡرَ سَبِيلِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ نُوَلِّهِۦ مَا تَوَلَّىٰ وَنُصۡلِهِۦ جَهَنَّمَۖ وَسَآءَتۡ مَصِيرًا
jo shaqs ba-wajoodh raah hidaayath ke waazeh ho jaane ke bhi rasool (sallallahualaihiwasallam)ka qilaaf kare aur tamaam momino ki raah chohd kar chale,hum ose udhar hee mutawajje kar denge jidhar wo khud mutawajje ho aur dozakh mein daal denge,wo pahonchne ki bahuth hee buri jagah hai
Surah An-Nisa, Verse 115
إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَغۡفِرُ أَن يُشۡرَكَ بِهِۦ وَيَغۡفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَآءُۚ وَمَن يُشۡرِكۡ بِٱللَّهِ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلَٰلَۢا بَعِيدًا
ose Allah ta’ala qatan na baqshega ke us ke saath shareek muqarrar kiya jaaye, haan shirk ke alaawa gunaah jis ke chaahe maaf farma deta hai aur Allah ke saath shareek karne waala bahuth door ki gumraahi mein ja pada
Surah An-Nisa, Verse 116
إِن يَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦٓ إِلَّآ إِنَٰثٗا وَإِن يَدۡعُونَ إِلَّا شَيۡطَٰنٗا مَّرِيدٗا
ye to Allah ta’ala ko chohd kar sirf aurto ko pukaarte hai aur dar asal ye sirf sarkash shaitaan ko pujte hai
Surah An-Nisa, Verse 117
لَّعَنَهُ ٱللَّهُۘ وَقَالَ لَأَتَّخِذَنَّ مِنۡ عِبَادِكَ نَصِيبٗا مَّفۡرُوضٗا
jise Allah ne laanath ki hai aur us ne beda uthaaya hai ke tere bandho mein se muqarrar shuda hissa le kar rahonga
Surah An-Nisa, Verse 118
وَلَأُضِلَّنَّهُمۡ وَلَأُمَنِّيَنَّهُمۡ وَلَأٓمُرَنَّهُمۡ فَلَيُبَتِّكُنَّ ءَاذَانَ ٱلۡأَنۡعَٰمِ وَلَأٓمُرَنَّهُمۡ فَلَيُغَيِّرُنَّ خَلۡقَ ٱللَّهِۚ وَمَن يَتَّخِذِ ٱلشَّيۡطَٰنَ وَلِيّٗا مِّن دُونِ ٱللَّهِ فَقَدۡ خَسِرَ خُسۡرَانٗا مُّبِينٗا
aur unhe raah se behkaata rahonga aur baatil ummide dilaata rahonga aur unhe sikhaonga ke jaanwaro ke kaan cheer de,aur un se kahonga ke Allah ta’ala ki banaayi hoyi surato ko bigaad de,suno! jo shaqs Allah ko chohd kar shaitaan ko apna rafeeq banayega,wo sarih nuqsaan mein dobega
Surah An-Nisa, Verse 119
يَعِدُهُمۡ وَيُمَنِّيهِمۡۖ وَمَا يَعِدُهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ إِلَّا غُرُورًا
wo un se zabaani waade karta rahega,aur sabz baagh dikhaata rahega (magar yaad rakho!) shaitaan ke jo waade un se hai wo saraasar fareb kaarya hai
Surah An-Nisa, Verse 120
أُوْلَـٰٓئِكَ مَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُ وَلَا يَجِدُونَ عَنۡهَا مَحِيصٗا
ye wo log hai jin ki jagah jahannam hai, jahaan se unhe chutkaara na milega
Surah An-Nisa, Verse 121
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ سَنُدۡخِلُهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٗاۚ وَمَنۡ أَصۡدَقُ مِنَ ٱللَّهِ قِيلٗا
aur jo imaan laaye aur bhale kaam kare hum unhe un jannato mein le jaayenge jin ke niche chashme jaari hai, jaha ye abadul abaadh rahenge19,ye hai Allah ka waada jo saraasar saccha hai,aur kaun hai jo apni baath mein Allah se zyaada saccha ho
Surah An-Nisa, Verse 122
لَّيۡسَ بِأَمَانِيِّكُمۡ وَلَآ أَمَانِيِّ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِۗ مَن يَعۡمَلۡ سُوٓءٗا يُجۡزَ بِهِۦ وَلَا يَجِدۡ لَهُۥ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلِيّٗا وَلَا نَصِيرٗا
haqiqath haal na to tumhaari aarzo ke mutaabiq hai aur na ahle kitaab ki ummido par mauqoof hai,jo bura karega us ki saza payega aur kisi ko na payega jo us ki himaayath wa madad Allah ke paas kar sake
Surah An-Nisa, Verse 123
وَمَن يَعۡمَلۡ مِنَ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ مِن ذَكَرٍ أَوۡ أُنثَىٰ وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَأُوْلَـٰٓئِكَ يَدۡخُلُونَ ٱلۡجَنَّةَ وَلَا يُظۡلَمُونَ نَقِيرٗا
jo imaan waala ho mardh ho ya aurath aur wo nek amaal kare,yaqinan aise log jannath mein jayenge aur khajoor ki gutli ke shigaaf baraabar bhi un ka haq na maara jayega
Surah An-Nisa, Verse 124
وَمَنۡ أَحۡسَنُ دِينٗا مِّمَّنۡ أَسۡلَمَ وَجۡهَهُۥ لِلَّهِ وَهُوَ مُحۡسِنٞ وَٱتَّبَعَ مِلَّةَ إِبۡرَٰهِيمَ حَنِيفٗاۗ وَٱتَّخَذَ ٱللَّهُ إِبۡرَٰهِيمَ خَلِيلٗا
ba-etebaar deen20 ke us se accha kaun hai? jo apne ko Allah ke taabe karde aur ho bhi nekukaar,saath hee yek-soyi waale Ibraheem ke deen ki pairvi kar raha ho aur Ibraheem (alaihissalaam) ko Allah ne apna dosth bana liya hai
Surah An-Nisa, Verse 125
وَلِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٖ مُّحِيطٗا
asmaano aur zameen mein jo kuch hai sab Allah ta’ala hee ka hai aur Allah ta’ala har cheez ko gherne waala hai
Surah An-Nisa, Verse 126
وَيَسۡتَفۡتُونَكَ فِي ٱلنِّسَآءِۖ قُلِ ٱللَّهُ يُفۡتِيكُمۡ فِيهِنَّ وَمَا يُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ فِي يَتَٰمَى ٱلنِّسَآءِ ٱلَّـٰتِي لَا تُؤۡتُونَهُنَّ مَا كُتِبَ لَهُنَّ وَتَرۡغَبُونَ أَن تَنكِحُوهُنَّ وَٱلۡمُسۡتَضۡعَفِينَ مِنَ ٱلۡوِلۡدَٰنِ وَأَن تَقُومُواْ لِلۡيَتَٰمَىٰ بِٱلۡقِسۡطِۚ وَمَا تَفۡعَلُواْ مِنۡ خَيۡرٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِهِۦ عَلِيمٗا
aap se aurto ke baare mein hukm daryaafth karte hai,aap keh dijiye! ke khud Allah un ke baare mein hukm de raha hai aur Qur’aan ki wo aayate jo tum par un yateem ladkiyo ke baare mein padi jaati hai jinhe unka muqarrar haq tum nahi dete aur unhe apne nikaah mein laane ki raghbath rakhte ho aur kamzoor baccho ke baare mein aur us baare mein ke yatimo ki kaar guzaari insaaf ke saath karo,tum jo nek kaam karo,be-shuba Allah ose puri tarah jaanne waala hai
Surah An-Nisa, Verse 127
وَإِنِ ٱمۡرَأَةٌ خَافَتۡ مِنۢ بَعۡلِهَا نُشُوزًا أَوۡ إِعۡرَاضٗا فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡهِمَآ أَن يُصۡلِحَا بَيۡنَهُمَا صُلۡحٗاۚ وَٱلصُّلۡحُ خَيۡرٞۗ وَأُحۡضِرَتِ ٱلۡأَنفُسُ ٱلشُّحَّۚ وَإِن تُحۡسِنُواْ وَتَتَّقُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٗا
agar kisi aurath ko apne shuhar ki baadh-dimaaghi aur be-parvaahi ka khauf ho to duno aapas mein jo sulah karle us mein kisi par koyi gunaah nahi, sulah bahuth behtar cheez hai,tama21 har ek nafs mein shaamil kardi gayi hai, agar tum accha sulook karo aur parhezgari karo to,tum jo kar rahe ho us par Allah puri taraah qabardaar hai
Surah An-Nisa, Verse 128
وَلَن تَسۡتَطِيعُوٓاْ أَن تَعۡدِلُواْ بَيۡنَ ٱلنِّسَآءِ وَلَوۡ حَرَصۡتُمۡۖ فَلَا تَمِيلُواْ كُلَّ ٱلۡمَيۡلِ فَتَذَرُوهَا كَٱلۡمُعَلَّقَةِۚ وَإِن تُصۡلِحُواْ وَتَتَّقُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
tum se ye to kabhi na ho sakega ke apni tamaam biwiyo mein har taraah adl karo, go tum us ki kitni hee qaahish wa koshish karlo,is liye bilkul hee ek ki taraf maayel ho kar dosri ko adhad latakti hoyi na chuhdo, aur agar tum islaah karo aur taqwa eqtiyaar karo to be-shak Allah ta’ala badi maghfirath aur rehmath waala hai
Surah An-Nisa, Verse 129
وَإِن يَتَفَرَّقَا يُغۡنِ ٱللَّهُ كُلّٗا مِّن سَعَتِهِۦۚ وَكَانَ ٱللَّهُ وَٰسِعًا حَكِيمٗا
aur agar miya biwi judha ho jaaye to Allah ta’ala apni wus-ath se har ek ko be-niyaaz kar dega, Allah ta’ala wus-ath waala hikmath waala hai
Surah An-Nisa, Verse 130
وَلِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۗ وَلَقَدۡ وَصَّيۡنَا ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِكُمۡ وَإِيَّاكُمۡ أَنِ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ وَإِن تَكۡفُرُواْ فَإِنَّ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ غَنِيًّا حَمِيدٗا
zameen aur asmaano ki har har cheez Allah ta’ala hee ki milkiyath mein hai aur waqeyi hum ne un logo ko jo tum se pehle kitaab diye gaye thein aur tum ko bhi yahi hukm kiya hai ke Allah se darte raho aur agar tum kufr karo to yaad rakho ke Allah ke liye hai jo kuch asmaano mein hai aur jo kuch zameen mein hai aur Allah bahuth be-niyaaz aur taareef kiya gaya hai
Surah An-Nisa, Verse 131
وَلِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَكِيلًا
Allah ke eqtiyaar mein hai asmaano ki sab chize aur zameen ki bhi aur Allah kaar-saaz kaafi hai
Surah An-Nisa, Verse 132
إِن يَشَأۡ يُذۡهِبۡكُمۡ أَيُّهَا ٱلنَّاسُ وَيَأۡتِ بِـَٔاخَرِينَۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلَىٰ ذَٰلِكَ قَدِيرٗا
agar ose manzoor ho to aye logo wo tum sab ko le jaaye aur dosro ko le aaye, Allah ta’ala is par puri khudrath rakhne waala hai
Surah An-Nisa, Verse 133
مَّن كَانَ يُرِيدُ ثَوَابَ ٱلدُّنۡيَا فَعِندَ ٱللَّهِ ثَوَابُ ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ سَمِيعَۢا بَصِيرٗا
jo shaqs dunya ka sawaab chaahta ho to (yaad rakho ke) Allah ta’ala ke paas dunya aur aaqirath (duno) ka sawaab maujoodh hai aur Allah ta’ala bahuth sunne waala aur qoob dekhne waala hai
Surah An-Nisa, Verse 134
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُونُواْ قَوَّـٰمِينَ بِٱلۡقِسۡطِ شُهَدَآءَ لِلَّهِ وَلَوۡ عَلَىٰٓ أَنفُسِكُمۡ أَوِ ٱلۡوَٰلِدَيۡنِ وَٱلۡأَقۡرَبِينَۚ إِن يَكُنۡ غَنِيًّا أَوۡ فَقِيرٗا فَٱللَّهُ أَوۡلَىٰ بِهِمَاۖ فَلَا تَتَّبِعُواْ ٱلۡهَوَىٰٓ أَن تَعۡدِلُواْۚ وَإِن تَلۡوُۥٓاْ أَوۡ تُعۡرِضُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٗا
aye imaan waalo adl wa insaaf par mazbooti se jam jaane waale aur khush-nudi maula ke liye sacchi gawaahi dene waale ban jaao, go wo khud tumhaare apne qilaaf ho ya apne maa baap ke ya rishtedaar azizo ke, wo shaqs agar ameer ho to aur faqeer ho to duno ke saath Allah ko zyaada taalluq hai, is liye tum qaahishe nafs ke piche pad kar insaaf na chohd dena aur agar tum ne kaj-bayaani22 ya pehlo tahi ki, to jaan lo ke jo kuch tum karoge Allah ta’ala us se puri tarah ba-qabar hai
Surah An-Nisa, Verse 135
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ ءَامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَٱلۡكِتَٰبِ ٱلَّذِي نَزَّلَ عَلَىٰ رَسُولِهِۦ وَٱلۡكِتَٰبِ ٱلَّذِيٓ أَنزَلَ مِن قَبۡلُۚ وَمَن يَكۡفُرۡ بِٱللَّهِ وَمَلَـٰٓئِكَتِهِۦ وَكُتُبِهِۦ وَرُسُلِهِۦ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلَٰلَۢا بَعِيدًا
aye imaan waalo! Allah ta’ala par us ke rasool(sallallahualaihiwasallam) par aur us kitaab par jo us ne apne rasool (sallallahualaihiwasallam) par utaari hai aur un kitaabo par jo us se pehle us ne naazil farmaayi hai imaan laao! jo shaqs Allah ta’ala se aur us ke farishto se aur us ki kitaabo se aur us ke rasulo se aur qayaamath ke din se kufr kare wo to bahuth badi door ki gumraahi mein ja pada
Surah An-Nisa, Verse 136
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ثُمَّ كَفَرُواْ ثُمَّ ءَامَنُواْ ثُمَّ كَفَرُواْ ثُمَّ ٱزۡدَادُواْ كُفۡرٗا لَّمۡ يَكُنِ ٱللَّهُ لِيَغۡفِرَ لَهُمۡ وَلَا لِيَهۡدِيَهُمۡ سَبِيلَۢا
jin logo ne imaan qubool kar ke phir kufr kiya, phir imaan la kar phir kufr kiya, phir apne kufr mein bad gaye, Allah ta’ala yaqinan unhe na baqshega aur na unhe raahe hidaayath samjhayega
Surah An-Nisa, Verse 137
بَشِّرِ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ بِأَنَّ لَهُمۡ عَذَابًا أَلِيمًا
munafiqo ko us amr ki qabar pahoncha do ke un ke liye dardnaak azaab yaqini hai
Surah An-Nisa, Verse 138
ٱلَّذِينَ يَتَّخِذُونَ ٱلۡكَٰفِرِينَ أَوۡلِيَآءَ مِن دُونِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۚ أَيَبۡتَغُونَ عِندَهُمُ ٱلۡعِزَّةَ فَإِنَّ ٱلۡعِزَّةَ لِلَّهِ جَمِيعٗا
jin ki ye haalath hai ke musalmaano ko chohd kar kaafiro ko dosth banaate phirte hai, kya un ke paas izzath ki talaash mein jaate hai? (to yaad rakhe ke) izzath to saari ki saari Allah ta’ala ke qabze mein hai
Surah An-Nisa, Verse 139
وَقَدۡ نَزَّلَ عَلَيۡكُمۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ أَنۡ إِذَا سَمِعۡتُمۡ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ يُكۡفَرُ بِهَا وَيُسۡتَهۡزَأُ بِهَا فَلَا تَقۡعُدُواْ مَعَهُمۡ حَتَّىٰ يَخُوضُواْ فِي حَدِيثٍ غَيۡرِهِۦٓ إِنَّكُمۡ إِذٗا مِّثۡلُهُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ جَامِعُ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ وَٱلۡكَٰفِرِينَ فِي جَهَنَّمَ جَمِيعًا
aur Allah ta’ala tumhaare paas apni kitaab mein ye hukm utaar chuka hai ke tum jab kisi majlis waalo ko Allah ta’ala ki aayato ke saath kufr karte aur mazaaq udaate hoye suno to us majme mein un ke saath na baitho! jab tak ke wo us ke alaawa aur baatein na karne lage (warna) tum bhi us waqt unhi jaise ho, yaqinan Allah ta’ala tamaam kaafiro aur sab munaafiqo ko jahannam mein jama karne waala hai
Surah An-Nisa, Verse 140
ٱلَّذِينَ يَتَرَبَّصُونَ بِكُمۡ فَإِن كَانَ لَكُمۡ فَتۡحٞ مِّنَ ٱللَّهِ قَالُوٓاْ أَلَمۡ نَكُن مَّعَكُمۡ وَإِن كَانَ لِلۡكَٰفِرِينَ نَصِيبٞ قَالُوٓاْ أَلَمۡ نَسۡتَحۡوِذۡ عَلَيۡكُمۡ وَنَمۡنَعۡكُم مِّنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۚ فَٱللَّهُ يَحۡكُمُ بَيۡنَكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ وَلَن يَجۡعَلَ ٱللَّهُ لِلۡكَٰفِرِينَ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ سَبِيلًا
ye log tumhaare anjaame kaar ka intezaar karte rehte hai, phir agar tumhe Allah fatah de, to ye kehte hai ke kya hum tumhaare saathi nahi aur agar kaafiro ko thuda sa ghalba mil jaaye to (un se) kehte hai ke hum tum par ghaalib na aane lage thein aur kya hum ne tumhe musalmaano ke haatho se na bachaya tha? pas qayaamath mein khud Allah ta’ala tumhaare darmiyaan faisla karega aur Allah ta’ala kaafiro ko imaan waalo par har-giz raah na dega
Surah An-Nisa, Verse 141
إِنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ يُخَٰدِعُونَ ٱللَّهَ وَهُوَ خَٰدِعُهُمۡ وَإِذَا قَامُوٓاْ إِلَى ٱلصَّلَوٰةِ قَامُواْ كُسَالَىٰ يُرَآءُونَ ٱلنَّاسَ وَلَا يَذۡكُرُونَ ٱللَّهَ إِلَّا قَلِيلٗا
be-shak munaafiq Allah se chaal baaziya kar rahe hai aur wo unhe us chaal baazi ka badhla dene waala hai, aur jab namaaz ko khade hote hai to badi kaaheli ki haalath mein khade hote hai, sirf logo ko dikhaate hai aur yaad ilaahi to yo hee si baraaye naam karte hai
Surah An-Nisa, Verse 142
مُّذَبۡذَبِينَ بَيۡنَ ذَٰلِكَ لَآ إِلَىٰ هَـٰٓؤُلَآءِ وَلَآ إِلَىٰ هَـٰٓؤُلَآءِۚ وَمَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَلَن تَجِدَ لَهُۥ سَبِيلٗا
wo darmiyaan mein hee mu-allaq dag maga rahe hai, na pure un ki taraf na sahi taur par un ki taraf aur jise Allah ta’ala gumraahi mein daal de to tu us ke liye koyi raah na payega
Surah An-Nisa, Verse 143
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ ٱلۡكَٰفِرِينَ أَوۡلِيَآءَ مِن دُونِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۚ أَتُرِيدُونَ أَن تَجۡعَلُواْ لِلَّهِ عَلَيۡكُمۡ سُلۡطَٰنٗا مُّبِينًا
aye imaan waalo! momino ko chohd kar kaafiro ko dosth na banao,kya tum ye chahte ho ke apne upar Allah ta’ala ki saaf hujjath qaayem karlo
Surah An-Nisa, Verse 144
إِنَّ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ فِي ٱلدَّرۡكِ ٱلۡأَسۡفَلِ مِنَ ٱلنَّارِ وَلَن تَجِدَ لَهُمۡ نَصِيرًا
munafiq to yaqinan jahannam ke sab se niche ke tabqe mein jayenge, na mumkin hai ke tu un ka koyi madadgaar pa le
Surah An-Nisa, Verse 145
إِلَّا ٱلَّذِينَ تَابُواْ وَأَصۡلَحُواْ وَٱعۡتَصَمُواْ بِٱللَّهِ وَأَخۡلَصُواْ دِينَهُمۡ لِلَّهِ فَأُوْلَـٰٓئِكَ مَعَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۖ وَسَوۡفَ يُؤۡتِ ٱللَّهُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ أَجۡرًا عَظِيمٗا
haan jo tauba karle aur islaah karle aur Allah ta’ala par kaamil yaqeen rakhe aur qaalis Allah hee ke liye deen daari kare to ye log momino ke saath hai, Allah ta’ala momino ko bahuth bada ajr dega
Surah An-Nisa, Verse 146
مَّا يَفۡعَلُ ٱللَّهُ بِعَذَابِكُمۡ إِن شَكَرۡتُمۡ وَءَامَنتُمۡۚ وَكَانَ ٱللَّهُ شَاكِرًا عَلِيمٗا
Allah ta’ala tumhe saza de kar kya karega? agar tum shukr guzaari karte raho aur ba-imaan raho, Allah ta’ala bahuth khadr karne waala aur pura ilm rakhne waala hai
Surah An-Nisa, Verse 147
۞لَّا يُحِبُّ ٱللَّهُ ٱلۡجَهۡرَ بِٱلسُّوٓءِ مِنَ ٱلۡقَوۡلِ إِلَّا مَن ظُلِمَۚ وَكَانَ ٱللَّهُ سَمِيعًا عَلِيمًا
borayi ke saath awaaz bulandh karne ko Allah ta’ala pasand nahi farmaata magar mazloom ko ijaazath hai aur Allah ta’ala qoob sunta jaanta hai
Surah An-Nisa, Verse 148
إِن تُبۡدُواْ خَيۡرًا أَوۡ تُخۡفُوهُ أَوۡ تَعۡفُواْ عَن سُوٓءٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَفُوّٗا قَدِيرًا
agar tum kisi neki ko elaaniya karo ya poshida ya kisi buraayi se dar-guzar karo pas yaqinan Allah ta’ala maafi dene waala aur puri khudrath waala hai
Surah An-Nisa, Verse 149
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَكۡفُرُونَ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦ وَيُرِيدُونَ أَن يُفَرِّقُواْ بَيۡنَ ٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦ وَيَقُولُونَ نُؤۡمِنُ بِبَعۡضٖ وَنَكۡفُرُ بِبَعۡضٖ وَيُرِيدُونَ أَن يَتَّخِذُواْ بَيۡنَ ذَٰلِكَ سَبِيلًا
jo log Allah ke saath aur us ke paighambaro ke saath kufr karte hai aur jo log ye chaahte hai ke Allah aur us ke rasulo ke darmiyaan farq rakhe aur jo log kehte hai ke baaz nabiyo par to hamaara imaan hai aur baaz par nahi aur chaahte hai ke us ke aur us ke bain bain23 koyi raah nikaale
Surah An-Nisa, Verse 150
أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡكَٰفِرُونَ حَقّٗاۚ وَأَعۡتَدۡنَا لِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٗا مُّهِينٗا
yaqeen maaqno ke ye sab log asli kaafir hai aur kaafiro ke liye hum ne ihaanath aamez24 saza tayyaar kar rakhi hai
Surah An-Nisa, Verse 151
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦ وَلَمۡ يُفَرِّقُواْ بَيۡنَ أَحَدٖ مِّنۡهُمۡ أُوْلَـٰٓئِكَ سَوۡفَ يُؤۡتِيهِمۡ أُجُورَهُمۡۚ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
aur jo log Allah par aur us ke tamaam paighambaro par imaan laate hai aur un mein se kisi mein farq nahi karte, ye hai jinhe Allah un ko pure sawaab dega aur Allah badi maghfirath waala badi rehmath waala hai
Surah An-Nisa, Verse 152
يَسۡـَٔلُكَ أَهۡلُ ٱلۡكِتَٰبِ أَن تُنَزِّلَ عَلَيۡهِمۡ كِتَٰبٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِۚ فَقَدۡ سَأَلُواْ مُوسَىٰٓ أَكۡبَرَ مِن ذَٰلِكَ فَقَالُوٓاْ أَرِنَا ٱللَّهَ جَهۡرَةٗ فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلصَّـٰعِقَةُ بِظُلۡمِهِمۡۚ ثُمَّ ٱتَّخَذُواْ ٱلۡعِجۡلَ مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَتۡهُمُ ٱلۡبَيِّنَٰتُ فَعَفَوۡنَا عَن ذَٰلِكَۚ وَءَاتَيۡنَا مُوسَىٰ سُلۡطَٰنٗا مُّبِينٗا
aap se ye ahle kitaab darqaast karte hai ke aap un ke paas koi asmaani kitaab laaye, hazrath Mosa (alaihissalaam) se to unhone is se bahuth badi darqaast ki thi ke hamein khullam khulla Allah ta’ala ko dikhaade, pas un ke us zulm ke baayes un par kadaake ki bijli aa padi, phir ba-wajoodh ye ke un ke paas bahuth dalile pahonch chuki thi, unhone bachde ko apna maboodh bana liya, lekin hum ne ye bhi maaf farma diya aur hum ne Mosa ko khola ghalba(aur sarih dalil) inaayath farmaayi
Surah An-Nisa, Verse 153
وَرَفَعۡنَا فَوۡقَهُمُ ٱلطُّورَ بِمِيثَٰقِهِمۡ وَقُلۡنَا لَهُمُ ٱدۡخُلُواْ ٱلۡبَابَ سُجَّدٗا وَقُلۡنَا لَهُمۡ لَا تَعۡدُواْ فِي ٱلسَّبۡتِ وَأَخَذۡنَا مِنۡهُم مِّيثَٰقًا غَلِيظٗا
aur un ka qaul lene ke liye hum ne un ke saro par toor pahaad la khada kar diya aur unhe hukm diya ke sajda karte hoye darwaaze mein jaao aur ye bhi farmaaya ke hafte ke din mein tajaawuz na karna aur hum ne un se saqth se saqth qaul wa qaraar liye
Surah An-Nisa, Verse 154
فَبِمَا نَقۡضِهِم مِّيثَٰقَهُمۡ وَكُفۡرِهِم بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَقَتۡلِهِمُ ٱلۡأَنۢبِيَآءَ بِغَيۡرِ حَقّٖ وَقَوۡلِهِمۡ قُلُوبُنَا غُلۡفُۢۚ بَلۡ طَبَعَ ٱللَّهُ عَلَيۡهَا بِكُفۡرِهِمۡ فَلَا يُؤۡمِنُونَ إِلَّا قَلِيلٗا
(ye saza thi) ba-sabab un ki ahad shikni ke aur ehkaame ilaahi ke saath kufr karne ke aur Allah ke nabiyo ko na-haq qatl kar daalne ke aur us sabab se ke yo kehte hai ke hamaare dilo par ghilaaf hai, halaan ke dar asal un ke kufr ki wajeh se un ke dilo par Allah ta’ala ne muhar laga di hai, is liye ye qadr qaleel hee imaan laate hai
Surah An-Nisa, Verse 155
وَبِكُفۡرِهِمۡ وَقَوۡلِهِمۡ عَلَىٰ مَرۡيَمَ بُهۡتَٰنًا عَظِيمٗا
aur un ke kufr ke baayes aur Maryam par bahuth bada buhtaan baandhne ke baayes
Surah An-Nisa, Verse 156
وَقَوۡلِهِمۡ إِنَّا قَتَلۡنَا ٱلۡمَسِيحَ عِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ رَسُولَ ٱللَّهِ وَمَا قَتَلُوهُ وَمَا صَلَبُوهُ وَلَٰكِن شُبِّهَ لَهُمۡۚ وَإِنَّ ٱلَّذِينَ ٱخۡتَلَفُواْ فِيهِ لَفِي شَكّٖ مِّنۡهُۚ مَا لَهُم بِهِۦ مِنۡ عِلۡمٍ إِلَّا ٱتِّبَاعَ ٱلظَّنِّۚ وَمَا قَتَلُوهُ يَقِينَۢا
aur yo kehne ke baayes ke hum ne Allah ke rasool masih Isa bin Maryam ko qatl kar diya, halaan ke na to unhone ose qatl kiya na soli par chadaaya, balke un ke liye un (Isa) ka shabih bana diya gaya tha, yaqeen jaano ke hazrath Isa(alaihissalaam) ke baare mein eqtilaaf karne waale un ke baare mein shak mein hai, unhe us ka koi yaqeen nahi, ba-juz taqmini baatho par amal karne ke, itna yaqini hai ke unhone inhe qatl nahi kiya
Surah An-Nisa, Verse 157
بَل رَّفَعَهُ ٱللَّهُ إِلَيۡهِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمٗا
balke Allah ta’ala ne unhe apni taraf utha liya aur Allah bada zabarast aur puri hikmato waala hai
Surah An-Nisa, Verse 158
وَإِن مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ إِلَّا لَيُؤۡمِنَنَّ بِهِۦ قَبۡلَ مَوۡتِهِۦۖ وَيَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يَكُونُ عَلَيۡهِمۡ شَهِيدٗا
ahale kitaab mein ek bhi aisa na bachega jo hazrath Isa (alaihissalaam) ki mauth se pehle un par imaan na la chuke, aur qayaamath ke din aap un par gawaah honge
Surah An-Nisa, Verse 159
فَبِظُلۡمٖ مِّنَ ٱلَّذِينَ هَادُواْ حَرَّمۡنَا عَلَيۡهِمۡ طَيِّبَٰتٍ أُحِلَّتۡ لَهُمۡ وَبِصَدِّهِمۡ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ كَثِيرٗا
jo nafees chize un ke liye halaal ki gayi thi wo hum ne un par haraam kardi un ke zulm ke baayes aur Allah ta’ala ki raah se aksar logo ko rokne ke baayes
Surah An-Nisa, Verse 160
وَأَخۡذِهِمُ ٱلرِّبَوٰاْ وَقَدۡ نُهُواْ عَنۡهُ وَأَكۡلِهِمۡ أَمۡوَٰلَ ٱلنَّاسِ بِٱلۡبَٰطِلِۚ وَأَعۡتَدۡنَا لِلۡكَٰفِرِينَ مِنۡهُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا
aur soodh jis se mana kiye gaye thein ose lene ke baayes aur logo ka maal na-haq maar khaane ke baayes aur un mein jo kuffaar hai hum ne un ke liye almnaak azaab muhiya kar rakha hai
Surah An-Nisa, Verse 161
لَّـٰكِنِ ٱلرَّـٰسِخُونَ فِي ٱلۡعِلۡمِ مِنۡهُمۡ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَ يُؤۡمِنُونَ بِمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ وَمَآ أُنزِلَ مِن قَبۡلِكَۚ وَٱلۡمُقِيمِينَ ٱلصَّلَوٰةَۚ وَٱلۡمُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ أُوْلَـٰٓئِكَ سَنُؤۡتِيهِمۡ أَجۡرًا عَظِيمًا
lekin un mein se jo kaamil aur mazbooth ilm waale hai aur imaan waale hai jo us par imaan laate hai jo aap ki taraf utaara gaya aur jo aap se pehle utaara gaya aur namaazo ko qaayem rakhne waale hai aur zakaath ke adaa karne waale hai aur Allah par aur qayaamath ke din par imaan rakhne waale hai, ye hai jinhe hum bahuth bade ajr ata farmayenge
Surah An-Nisa, Verse 162
۞إِنَّآ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ كَمَآ أَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ نُوحٖ وَٱلنَّبِيِّـۧنَ مِنۢ بَعۡدِهِۦۚ وَأَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَإِسۡمَٰعِيلَ وَإِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَ وَٱلۡأَسۡبَاطِ وَعِيسَىٰ وَأَيُّوبَ وَيُونُسَ وَهَٰرُونَ وَسُلَيۡمَٰنَۚ وَءَاتَيۡنَا دَاوُۥدَ زَبُورٗا
yaqinan hum ne aap ki taraf osi tarah wahi ki hai jaise ke Nuh (alaihissalaam) aur un ke baadh waale nabiyo ki taraf ki aur hum ne wahi ki Ibraheem aur Ismail aur Is’haaq aur Yaqoob aur un ki aulaad par aur Isa aur Ayyub aur Yonus aur Haaroon aur Sulaiman ki taraf
Surah An-Nisa, Verse 163
وَرُسُلٗا قَدۡ قَصَصۡنَٰهُمۡ عَلَيۡكَ مِن قَبۡلُ وَرُسُلٗا لَّمۡ نَقۡصُصۡهُمۡ عَلَيۡكَۚ وَكَلَّمَ ٱللَّهُ مُوسَىٰ تَكۡلِيمٗا
aur hum ne Dawood(alaihissalaam) ko zaboor ataa farmaayi aur aap se pehle ke bahuth se rasulo ke waqeaath hum ne aap se bayaan kiye hai aur bahuth se rasulo ke nahi bhi kiye aur Mosa (alaihissalaam) se Allah ta’ala ne saaf taur par kalaam kiya
Surah An-Nisa, Verse 164
رُّسُلٗا مُّبَشِّرِينَ وَمُنذِرِينَ لِئَلَّا يَكُونَ لِلنَّاسِ عَلَى ٱللَّهِ حُجَّةُۢ بَعۡدَ ٱلرُّسُلِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمٗا
hum ne unhe rasool banaya hai khush qabriyaa sunaane waale aur agaah karne waale ta ke logo ki koyi hujjath aur ilzaam rasulo ke bhejne ke baadh Allah ta’ala par reh na jaaye, Allah ta’ala bada ghaalib aur bada ba-hikmath hai
Surah An-Nisa, Verse 165
لَّـٰكِنِ ٱللَّهُ يَشۡهَدُ بِمَآ أَنزَلَ إِلَيۡكَۖ أَنزَلَهُۥ بِعِلۡمِهِۦۖ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يَشۡهَدُونَۚ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ شَهِيدًا
jo kuch aap ki taraf utaara hai us ki baabath khud Allah ta’ala gawaahi deta hai ke ose apne ilm se utaara aur farishte bi gawaahi dete hai aur Allah ta’ala ba-taure gawaah kaafi hai
Surah An-Nisa, Verse 166
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَصَدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ قَدۡ ضَلُّواْ ضَلَٰلَۢا بَعِيدًا
jin logo ne kufr kiya aur Allah ta’ala ki raah se auro ko roka wo yaqinan gumraahi mein door nikal gaye
Surah An-Nisa, Verse 167
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَظَلَمُواْ لَمۡ يَكُنِ ٱللَّهُ لِيَغۡفِرَ لَهُمۡ وَلَا لِيَهۡدِيَهُمۡ طَرِيقًا
jin logo ne kufr kiya aur zulm kiya unhe Allah ta’ala har-giz har-giz na baqshega aur na unhe koyi raah dikhayega
Surah An-Nisa, Verse 168
إِلَّا طَرِيقَ جَهَنَّمَ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۚ وَكَانَ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٗا
bajuz jahannam ki raah ke jis mein wo hamesha hamesha pade rahenge aur ye Allah ta’ala par bilkul asaan hai
Surah An-Nisa, Verse 169
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ قَدۡ جَآءَكُمُ ٱلرَّسُولُ بِٱلۡحَقِّ مِن رَّبِّكُمۡ فَـَٔامِنُواْ خَيۡرٗا لَّكُمۡۚ وَإِن تَكۡفُرُواْ فَإِنَّ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا
aye logo! tumhaare paas tumhaare rab ki taraf se haq le kar rasool aa gaya hai, pas tum imaan laao ta ke tumhaare liye behetri ho aur agar tum kaafir ho gaye to Allah hee ki hai har wo cheez jo asmaano aur zameen mein hai aur Allah daana hai hikmath waala hai
Surah An-Nisa, Verse 170
يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لَا تَغۡلُواْ فِي دِينِكُمۡ وَلَا تَقُولُواْ عَلَى ٱللَّهِ إِلَّا ٱلۡحَقَّۚ إِنَّمَا ٱلۡمَسِيحُ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ رَسُولُ ٱللَّهِ وَكَلِمَتُهُۥٓ أَلۡقَىٰهَآ إِلَىٰ مَرۡيَمَ وَرُوحٞ مِّنۡهُۖ فَـَٔامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦۖ وَلَا تَقُولُواْ ثَلَٰثَةٌۚ ٱنتَهُواْ خَيۡرٗا لَّكُمۡۚ إِنَّمَا ٱللَّهُ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞۖ سُبۡحَٰنَهُۥٓ أَن يَكُونَ لَهُۥ وَلَدٞۘ لَّهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۗ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَكِيلٗا
aye ahle kitaab! apne deen ke baare mein hadh se na guzar jaao aur Allah par bajuz haq ke aur kuch na kaho, masih Isa bin Maryam (alaihissalaam) to sirf Allah ta’ala ke rasool aur us ke kalima (kun se paida shuda) hai, jise maryam (alaihissalaam) ki taraf daal diya tha aur us ke paas ki ruh hai is liye tum Allah ko aur us ke sab rasulo ko maano aur na kaho ke Allah teen hai, us se baaz aa jaao ke tumhaare liye behetri hai, Allah ibaadath ke laayeq to sirf ek hee hai aur wo us se paak hai ke us ki aulaad ho, osi ke liye hai jo kuch asmaano mein hai aur jo kuch zameen mein hai aur Allah kaafi hai kaam banaane waala
Surah An-Nisa, Verse 171
لَّن يَسۡتَنكِفَ ٱلۡمَسِيحُ أَن يَكُونَ عَبۡدٗا لِّلَّهِ وَلَا ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ ٱلۡمُقَرَّبُونَۚ وَمَن يَسۡتَنكِفۡ عَنۡ عِبَادَتِهِۦ وَيَسۡتَكۡبِرۡ فَسَيَحۡشُرُهُمۡ إِلَيۡهِ جَمِيعٗا
Masih (alaihissalaam) ko Allah ka bandha hone mein koyi nang wa aar25 ya takabbur wa inkaar har-giz ho hee nahi sakta aur na muqarrab farishto ko us ki bandagi se jo bhi dil churaaye aur takabbur wa inkaar kare Allah ta’ala un sab ko eqatta apni taraf jama karega
Surah An-Nisa, Verse 172
فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ فَيُوَفِّيهِمۡ أُجُورَهُمۡ وَيَزِيدُهُم مِّن فَضۡلِهِۦۖ وَأَمَّا ٱلَّذِينَ ٱسۡتَنكَفُواْ وَٱسۡتَكۡبَرُواْ فَيُعَذِّبُهُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا وَلَا يَجِدُونَ لَهُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ وَلِيّٗا وَلَا نَصِيرٗا
pas jo log imaan laaye hai aur shaayesta amaal kiye hai un ko un ka pura pura sawaab inaayath farmayega aur apne fazl se unhe aur zyaada dega aur jin logo ne nang wa aar aur sarkashi ki aur inkaar kiya unhe almnaak azaab dega aur wo apne liye sivaaye Allah ke koyi himaayati dosth aur imdaad karne waala na payenge
Surah An-Nisa, Verse 173
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ قَدۡ جَآءَكُم بُرۡهَٰنٞ مِّن رَّبِّكُمۡ وَأَنزَلۡنَآ إِلَيۡكُمۡ نُورٗا مُّبِينٗا
aye logo! tumhaare paas tumhaare rab ki taraf se sanadh aur daleel aa pahonchi aur hum ne tumhaari jaanib waazeh aur saaf noor utar diya hai
Surah An-Nisa, Verse 174
فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَٱعۡتَصَمُواْ بِهِۦ فَسَيُدۡخِلُهُمۡ فِي رَحۡمَةٖ مِّنۡهُ وَفَضۡلٖ وَيَهۡدِيهِمۡ إِلَيۡهِ صِرَٰطٗا مُّسۡتَقِيمٗا
pas jo log Allah ta’ala par imaan laaye aur ose mazbooth pakad liya unhe to wo an-qareeb apni rehmath aur fazal mein le lega aur unhe apni taraf ki raah raasth dikha dega
Surah An-Nisa, Verse 175
يَسۡتَفۡتُونَكَ قُلِ ٱللَّهُ يُفۡتِيكُمۡ فِي ٱلۡكَلَٰلَةِۚ إِنِ ٱمۡرُؤٌاْ هَلَكَ لَيۡسَ لَهُۥ وَلَدٞ وَلَهُۥٓ أُخۡتٞ فَلَهَا نِصۡفُ مَا تَرَكَۚ وَهُوَ يَرِثُهَآ إِن لَّمۡ يَكُن لَّهَا وَلَدٞۚ فَإِن كَانَتَا ٱثۡنَتَيۡنِ فَلَهُمَا ٱلثُّلُثَانِ مِمَّا تَرَكَۚ وَإِن كَانُوٓاْ إِخۡوَةٗ رِّجَالٗا وَنِسَآءٗ فَلِلذَّكَرِ مِثۡلُ حَظِّ ٱلۡأُنثَيَيۡنِۗ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ أَن تَضِلُّواْۗ وَٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمُۢ
aap se fatwa pochte hai, aap keh dijiye ke Allah ta’ala (khud) tumhe kalaala26 ke baare mein fatwa deta hai, agar koyi shaqs mar jaaye jis ki aulaad na ho aur ek behan ho to us ke chohde hoye maal ka aadha hissa hai aur wo bhai us behan ka waaris hoga agar us ke aulaad na ho, pas agar behne do ho to unhe kul chohde hoye ka do tihaayi milega aur agar kayi shaqs us naate ke hai mardh bhi aur aurte bhi, to mardh ke liye hissa hai, misl do aurto ke, Allah ta’ala tumhaare liye bayaan farma raha hai, ke aisa na ho ke tum bahek jaao, aur Allah ta’ala har cheez se waaqif hai
Surah An-Nisa, Verse 176