Surah An-Nisa Verse 153 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nisaيَسۡـَٔلُكَ أَهۡلُ ٱلۡكِتَٰبِ أَن تُنَزِّلَ عَلَيۡهِمۡ كِتَٰبٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِۚ فَقَدۡ سَأَلُواْ مُوسَىٰٓ أَكۡبَرَ مِن ذَٰلِكَ فَقَالُوٓاْ أَرِنَا ٱللَّهَ جَهۡرَةٗ فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلصَّـٰعِقَةُ بِظُلۡمِهِمۡۚ ثُمَّ ٱتَّخَذُواْ ٱلۡعِجۡلَ مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَتۡهُمُ ٱلۡبَيِّنَٰتُ فَعَفَوۡنَا عَن ذَٰلِكَۚ وَءَاتَيۡنَا مُوسَىٰ سُلۡطَٰنٗا مُّبِينٗا
aap se ye ahle kitaab darqaast karte hai ke aap un ke paas koi asmaani kitaab laaye, hazrath Mosa (alaihissalaam) se to unhone is se bahuth badi darqaast ki thi ke hamein khullam khulla Allah ta’ala ko dikhaade, pas un ke us zulm ke baayes un par kadaake ki bijli aa padi, phir ba-wajoodh ye ke un ke paas bahuth dalile pahonch chuki thi, unhone bachde ko apna maboodh bana liya, lekin hum ne ye bhi maaf farma diya aur hum ne Mosa ko khola ghalba(aur sarih dalil) inaayath farmaayi