Surah An-Nisa Verse 173 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nisaفَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ فَيُوَفِّيهِمۡ أُجُورَهُمۡ وَيَزِيدُهُم مِّن فَضۡلِهِۦۖ وَأَمَّا ٱلَّذِينَ ٱسۡتَنكَفُواْ وَٱسۡتَكۡبَرُواْ فَيُعَذِّبُهُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا وَلَا يَجِدُونَ لَهُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ وَلِيّٗا وَلَا نَصِيرٗا
pas jo log imaan laaye hai aur shaayesta amaal kiye hai un ko un ka pura pura sawaab inaayath farmayega aur apne fazl se unhe aur zyaada dega aur jin logo ne nang wa aar aur sarkashi ki aur inkaar kiya unhe almnaak azaab dega aur wo apne liye sivaaye Allah ke koyi himaayati dosth aur imdaad karne waala na payenge