Surah An-Nisa Verse 92 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nisaوَمَا كَانَ لِمُؤۡمِنٍ أَن يَقۡتُلَ مُؤۡمِنًا إِلَّا خَطَـٔٗاۚ وَمَن قَتَلَ مُؤۡمِنًا خَطَـٔٗا فَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مُّؤۡمِنَةٖ وَدِيَةٞ مُّسَلَّمَةٌ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِۦٓ إِلَّآ أَن يَصَّدَّقُواْۚ فَإِن كَانَ مِن قَوۡمٍ عَدُوّٖ لَّكُمۡ وَهُوَ مُؤۡمِنٞ فَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مُّؤۡمِنَةٖۖ وَإِن كَانَ مِن قَوۡمِۭ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَهُم مِّيثَٰقٞ فَدِيَةٞ مُّسَلَّمَةٌ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِۦ وَتَحۡرِيرُ رَقَبَةٖ مُّؤۡمِنَةٖۖ فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ شَهۡرَيۡنِ مُتَتَابِعَيۡنِ تَوۡبَةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ وَكَانَ ٱللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمٗا
kisi momin ko dosre momin ka qatl kar dena zeba nahi magar ghalti se ho jaaye (to aur baath hai) jo shaqs kisi musalmaan ko bila qasd maar daale us par ek musalmaan ghulaam ki gardan azaad karna aur maqtool ke azizo ko qoon baha pahochaana hai, haan ye aur baath hai ke wo log ba-taur sadqa maaf karde aur agar maqtool tumhaari dushman khaum ka ho aur ho wo musalmaan to sirf ek momin ghulaam ki gardan azaad karna laazmi hai aur agar maqtool us khaum se ho ke tum mein aur un mein ahad wa paimaan hai to qoon baha laazim hai jo us ke kumbe waalo ko pahonchaaya jaaye aur ek musalmaan ghulaam ka azaad karna bhi (zaruri hai) pas jo na paaye us ke zimme do mahine ke lagaa-taar roze hai,Allah ta’ala se baqsh waane ke liye aur Allah ta’ala ba-qoobi jaanne waala aur hikmath waala hai