Surah An-Nisa Verse 100 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nisa۞وَمَن يُهَاجِرۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ يَجِدۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُرَٰغَمٗا كَثِيرٗا وَسَعَةٗۚ وَمَن يَخۡرُجۡ مِنۢ بَيۡتِهِۦ مُهَاجِرًا إِلَى ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ ثُمَّ يُدۡرِكۡهُ ٱلۡمَوۡتُ فَقَدۡ وَقَعَ أَجۡرُهُۥ عَلَى ٱللَّهِۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورٗا رَّحِيمٗا
jo koyi Allah ki raah mein watan ko chohdega wo zameen mein bahuth si qayaam ki jageh bhi paayega aur koshaadgi bhi aur jo koyi apne ghar se Allah ta’ala aur us ke rasool (sallallahualaihiwasallam) ki taraf nikal khada hoa, phir ose mauth ne aa pakda to bhi yaqinan us ka ajr Allah ta’ala ke zimme saabith ho gaya aur Allah ta’ala bada baqshne waala meherbaan hai