Surah An-Nisa Verse 157 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nisaوَقَوۡلِهِمۡ إِنَّا قَتَلۡنَا ٱلۡمَسِيحَ عِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ رَسُولَ ٱللَّهِ وَمَا قَتَلُوهُ وَمَا صَلَبُوهُ وَلَٰكِن شُبِّهَ لَهُمۡۚ وَإِنَّ ٱلَّذِينَ ٱخۡتَلَفُواْ فِيهِ لَفِي شَكّٖ مِّنۡهُۚ مَا لَهُم بِهِۦ مِنۡ عِلۡمٍ إِلَّا ٱتِّبَاعَ ٱلظَّنِّۚ وَمَا قَتَلُوهُ يَقِينَۢا
aur yo kehne ke baayes ke hum ne Allah ke rasool masih Isa bin Maryam ko qatl kar diya, halaan ke na to unhone ose qatl kiya na soli par chadaaya, balke un ke liye un (Isa) ka shabih bana diya gaya tha, yaqeen jaano ke hazrath Isa(alaihissalaam) ke baare mein eqtilaaf karne waale un ke baare mein shak mein hai, unhe us ka koi yaqeen nahi, ba-juz taqmini baatho par amal karne ke, itna yaqini hai ke unhone inhe qatl nahi kiya