Surah An-Nisa Verse 12 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nisa۞وَلَكُمۡ نِصۡفُ مَا تَرَكَ أَزۡوَٰجُكُمۡ إِن لَّمۡ يَكُن لَّهُنَّ وَلَدٞۚ فَإِن كَانَ لَهُنَّ وَلَدٞ فَلَكُمُ ٱلرُّبُعُ مِمَّا تَرَكۡنَۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصِينَ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٖۚ وَلَهُنَّ ٱلرُّبُعُ مِمَّا تَرَكۡتُمۡ إِن لَّمۡ يَكُن لَّكُمۡ وَلَدٞۚ فَإِن كَانَ لَكُمۡ وَلَدٞ فَلَهُنَّ ٱلثُّمُنُ مِمَّا تَرَكۡتُمۚ مِّنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ تُوصُونَ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٖۗ وَإِن كَانَ رَجُلٞ يُورَثُ كَلَٰلَةً أَوِ ٱمۡرَأَةٞ وَلَهُۥٓ أَخٌ أَوۡ أُخۡتٞ فَلِكُلِّ وَٰحِدٖ مِّنۡهُمَا ٱلسُّدُسُۚ فَإِن كَانُوٓاْ أَكۡثَرَ مِن ذَٰلِكَ فَهُمۡ شُرَكَآءُ فِي ٱلثُّلُثِۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصَىٰ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٍ غَيۡرَ مُضَآرّٖۚ وَصِيَّةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَلِيمٞ
tumhaari biwiya jo kuch chohd mare aur un ki aulaad na ho to aadho-aadh (yaani adhaa) tumhaara hai aur agar un ki aulaad ho to un ke chohde hoye maal mein se tumhaare liye chauthaayi hissa hai, us wasiyath ki adaayegi ke baadh jo wo kar gayi ho ya qarz ke baadh,aur jo (tarka) tum chohd jaao us mein un ke liye chauthaayi hai aur agar tumhaari aulaad na ho,aur agar tumhaari aulaad ho to phir unhe tumhaare tarke ka aatwa hissa milega,us wasiyath ke baadh jo tum kar gaye ho aur qarz ki adayegi ke baadh,aur jin ki miraas li jaati hai wo mard ya aurath kalaala ho yani us ka baap beta na ho aur us ka ek bhai ya ek bahen ho,to un duno mein se har ek ka cheta hissa hai aur agar us se zyaada ho to ek tihaayi mein sab shareek hai, us wasiyath ke baadh jo ki jaaye aur qarz ke baadh jab ke auro ka nuqsaan na kiya gaya ho,ye muqarrar kiya hoa Allah ta’ala ki taraf se hai aur Allah ta’ala daana hai burdubaar hai