Surah An-Nisa Verse 12 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah An-Nisa۞وَلَكُمۡ نِصۡفُ مَا تَرَكَ أَزۡوَٰجُكُمۡ إِن لَّمۡ يَكُن لَّهُنَّ وَلَدٞۚ فَإِن كَانَ لَهُنَّ وَلَدٞ فَلَكُمُ ٱلرُّبُعُ مِمَّا تَرَكۡنَۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصِينَ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٖۚ وَلَهُنَّ ٱلرُّبُعُ مِمَّا تَرَكۡتُمۡ إِن لَّمۡ يَكُن لَّكُمۡ وَلَدٞۚ فَإِن كَانَ لَكُمۡ وَلَدٞ فَلَهُنَّ ٱلثُّمُنُ مِمَّا تَرَكۡتُمۚ مِّنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ تُوصُونَ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٖۗ وَإِن كَانَ رَجُلٞ يُورَثُ كَلَٰلَةً أَوِ ٱمۡرَأَةٞ وَلَهُۥٓ أَخٌ أَوۡ أُخۡتٞ فَلِكُلِّ وَٰحِدٖ مِّنۡهُمَا ٱلسُّدُسُۚ فَإِن كَانُوٓاْ أَكۡثَرَ مِن ذَٰلِكَ فَهُمۡ شُرَكَآءُ فِي ٱلثُّلُثِۚ مِنۢ بَعۡدِ وَصِيَّةٖ يُوصَىٰ بِهَآ أَوۡ دَيۡنٍ غَيۡرَ مُضَآرّٖۚ وَصِيَّةٗ مِّنَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَلِيمٞ
Tumhari biwiyan jo kuch chor maren aur unn ki aulad na ho to aadhon aadh tumhara hai aur agar unn ki aulad ho to unn kay choray huye maal say tumharay liye chothaee hissa hai. Uss wasiyat ki adaayegi kay baad jo woh ker gaee hon ya qarz kay baad. Aur jo (tarka) tum chor jao uss mein unn kay liye aik chothaee hai agar tumhari aulad na ho aur agar tumhari aulad ho to phir unhen tumharay tarkay ka aathwan hissa milay ga uss wasiyat kay baad jo tum ker gaye ho aur qarz ki adaayegi kay baad. Aur jin ki meerass li jati hai woh mard ya aurat kalala ho yani uss ka baap beta na ho aur uss ka aik bhai ya aik behan ho to inn dono mein say her aik ka chatha hissa hai aur agar iss say ziyada hon to aik tehaee mein sab shareek hain uss wasiyat kay baad jo ki jaye aur qarz kay baad jabkay auron ka nuksan na kiya gaya ho yeh muqarrar kiya hua Allah Taalaa ki taraf say hai aur Allah Taalaa daana hai burdbaar