Surah An-Nisa Verse 171 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nisaيَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لَا تَغۡلُواْ فِي دِينِكُمۡ وَلَا تَقُولُواْ عَلَى ٱللَّهِ إِلَّا ٱلۡحَقَّۚ إِنَّمَا ٱلۡمَسِيحُ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ رَسُولُ ٱللَّهِ وَكَلِمَتُهُۥٓ أَلۡقَىٰهَآ إِلَىٰ مَرۡيَمَ وَرُوحٞ مِّنۡهُۖ فَـَٔامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦۖ وَلَا تَقُولُواْ ثَلَٰثَةٌۚ ٱنتَهُواْ خَيۡرٗا لَّكُمۡۚ إِنَّمَا ٱللَّهُ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞۖ سُبۡحَٰنَهُۥٓ أَن يَكُونَ لَهُۥ وَلَدٞۘ لَّهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۗ وَكَفَىٰ بِٱللَّهِ وَكِيلٗا
aye ahle kitaab! apne deen ke baare mein hadh se na guzar jaao aur Allah par bajuz haq ke aur kuch na kaho, masih Isa bin Maryam (alaihissalaam) to sirf Allah ta’ala ke rasool aur us ke kalima (kun se paida shuda) hai, jise maryam (alaihissalaam) ki taraf daal diya tha aur us ke paas ki ruh hai is liye tum Allah ko aur us ke sab rasulo ko maano aur na kaho ke Allah teen hai, us se baaz aa jaao ke tumhaare liye behetri hai, Allah ibaadath ke laayeq to sirf ek hee hai aur wo us se paak hai ke us ki aulaad ho, osi ke liye hai jo kuch asmaano mein hai aur jo kuch zameen mein hai aur Allah kaafi hai kaam banaane waala