Surah An-Nisa Verse 36 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nisa۞وَٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ وَلَا تُشۡرِكُواْ بِهِۦ شَيۡـٔٗاۖ وَبِٱلۡوَٰلِدَيۡنِ إِحۡسَٰنٗا وَبِذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينِ وَٱلۡجَارِ ذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡجَارِ ٱلۡجُنُبِ وَٱلصَّاحِبِ بِٱلۡجَنۢبِ وَٱبۡنِ ٱلسَّبِيلِ وَمَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ مَن كَانَ مُخۡتَالٗا فَخُورًا
aur Allah ta’ala ki ibaadath karo aur us ke saath kisi ko shareek na karo aur maa baap ke saath sulook wa ehsaan karo aur rishtedaaro se aur yatimo se aur miskino se aur qaraabat-daar hum saaya se aur ajnabi hum saaya se aur pehlo ke saathi se aur raah ke musaafir se aur un se jin ke maalik tumhaare haath hai(ghulaam kaneez)yaqinan Allah ta’ala takabbur karne waalo ko aur shekhi quro ko pasand nahi farmaata