Surah An-Nisa Verse 24 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nisa۞وَٱلۡمُحۡصَنَٰتُ مِنَ ٱلنِّسَآءِ إِلَّا مَا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُمۡۖ كِتَٰبَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡۚ وَأُحِلَّ لَكُم مَّا وَرَآءَ ذَٰلِكُمۡ أَن تَبۡتَغُواْ بِأَمۡوَٰلِكُم مُّحۡصِنِينَ غَيۡرَ مُسَٰفِحِينَۚ فَمَا ٱسۡتَمۡتَعۡتُم بِهِۦ مِنۡهُنَّ فَـَٔاتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ فَرِيضَةٗۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ فِيمَا تَرَٰضَيۡتُم بِهِۦ مِنۢ بَعۡدِ ٱلۡفَرِيضَةِۚ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمٗا
aur haraam ki gayi shuhar waali aurte magar wo jo tumhaari milkiyath mein aa jaaye,Allah ta’ala ne ye ehkaam tum par farz kar diye hai aur in aurto ke siva aur aurte tumhaare liye halaal ki gayi ke apne maal ke meher se tum un se nikaah karna chaaho, bure kaam se bachne ke liye na ke shehwath raani karne ke liye,is liye jin se tum faayeda uthaao unhe un ka muqarrar kiya hoa meher de do,aur meher muqarrar ho jaane ke baadh tum aapas ki raza-mandhi se jo taye karlo us mein tum par koyi gunaah nahi, beshak Allah ta’ala ilm waala hikmath waala hai