Surah An-Nisa Verse 25 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nisaوَمَن لَّمۡ يَسۡتَطِعۡ مِنكُمۡ طَوۡلًا أَن يَنكِحَ ٱلۡمُحۡصَنَٰتِ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ فَمِن مَّا مَلَكَتۡ أَيۡمَٰنُكُم مِّن فَتَيَٰتِكُمُ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتِۚ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِإِيمَٰنِكُمۚ بَعۡضُكُم مِّنۢ بَعۡضٖۚ فَٱنكِحُوهُنَّ بِإِذۡنِ أَهۡلِهِنَّ وَءَاتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ بِٱلۡمَعۡرُوفِ مُحۡصَنَٰتٍ غَيۡرَ مُسَٰفِحَٰتٖ وَلَا مُتَّخِذَٰتِ أَخۡدَانٖۚ فَإِذَآ أُحۡصِنَّ فَإِنۡ أَتَيۡنَ بِفَٰحِشَةٖ فَعَلَيۡهِنَّ نِصۡفُ مَا عَلَى ٱلۡمُحۡصَنَٰتِ مِنَ ٱلۡعَذَابِۚ ذَٰلِكَ لِمَنۡ خَشِيَ ٱلۡعَنَتَ مِنكُمۡۚ وَأَن تَصۡبِرُواْ خَيۡرٞ لَّكُمۡۗ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
aur tum mein se jis kisi ko azaad musalmaan aurato se nikaah karne ki puri wus-ath wa taaqath na ho to wo musalmaan laundiyo se jin ke tum maalik ho (apna nikaah karle) Allah tumhaare amaal ko ba-qoobi jaanne waala hai, tum sab aapas mein ek hee to ho,is liye un ke maaliko ki ijaazath se un se nikaah karlo,aur qaayede ke mutaabiq un ke meher un ko do,wo paak daaman ho, na ke elaaniya badh-kaari karne waaliya, na qofiya ashnaayi karne waaliya,pas jab ye laundiya nikaah mein aa jaaye phir agar wo behayaayi ka kaam kare to unhe aadhi saza hai,us saza se jo azaad aurto ki hai, kanizo se nikaah ka ye hukm tum mein se un logo ke liye hai jinhe gunaah aur takleef ka andesha ho,aur tumhaara zabth7 karna bahuth behtar hai aur Allah ta’ala bada baqshne waala aur badi rehmath waala hai