Surah An-Nisa Verse 140 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nisaوَقَدۡ نَزَّلَ عَلَيۡكُمۡ فِي ٱلۡكِتَٰبِ أَنۡ إِذَا سَمِعۡتُمۡ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ يُكۡفَرُ بِهَا وَيُسۡتَهۡزَأُ بِهَا فَلَا تَقۡعُدُواْ مَعَهُمۡ حَتَّىٰ يَخُوضُواْ فِي حَدِيثٍ غَيۡرِهِۦٓ إِنَّكُمۡ إِذٗا مِّثۡلُهُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ جَامِعُ ٱلۡمُنَٰفِقِينَ وَٱلۡكَٰفِرِينَ فِي جَهَنَّمَ جَمِيعًا
aur Allah ta’ala tumhaare paas apni kitaab mein ye hukm utaar chuka hai ke tum jab kisi majlis waalo ko Allah ta’ala ki aayato ke saath kufr karte aur mazaaq udaate hoye suno to us majme mein un ke saath na baitho! jab tak ke wo us ke alaawa aur baatein na karne lage (warna) tum bhi us waqt unhi jaise ho, yaqinan Allah ta’ala tamaam kaafiro aur sab munaafiqo ko jahannam mein jama karne waala hai