Surah An-Nisa Verse 77 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nisaأَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ قِيلَ لَهُمۡ كُفُّوٓاْ أَيۡدِيَكُمۡ وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ فَلَمَّا كُتِبَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقِتَالُ إِذَا فَرِيقٞ مِّنۡهُمۡ يَخۡشَوۡنَ ٱلنَّاسَ كَخَشۡيَةِ ٱللَّهِ أَوۡ أَشَدَّ خَشۡيَةٗۚ وَقَالُواْ رَبَّنَا لِمَ كَتَبۡتَ عَلَيۡنَا ٱلۡقِتَالَ لَوۡلَآ أَخَّرۡتَنَآ إِلَىٰٓ أَجَلٖ قَرِيبٖۗ قُلۡ مَتَٰعُ ٱلدُّنۡيَا قَلِيلٞ وَٱلۡأٓخِرَةُ خَيۡرٞ لِّمَنِ ٱتَّقَىٰ وَلَا تُظۡلَمُونَ فَتِيلًا
kya tum ne unhe nahi dekha jinhe hukm kiya gaya tha ke apne haatho ko roke rakho aur namaaze padte raho aur zakaath ada karte raho,phir jab unhe jihaad ka hukm diya gaya to osi waqt un ki ek jamaath logo se is qadar darne lagi jaise Allah ta’ala ka dar ho, balke us se bhi zyaada,aur kehne lage aye hamaare rab! tu ne hum par jihaad kyo farz kar diya? kyo hamein thodi si zindagi aur na jine di? aap keh dijiye ke dunya ki soodh-mandhi 13 to bahuth hee kam hai aur parhezgaaro ke liye to aaqirath hee behtar hai,aur tum par ek dhaage ke baraabar bhi sitam rawa na rakha jayega