Surah An-Nisa Verse 102 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah An-Nisaوَإِذَا كُنتَ فِيهِمۡ فَأَقَمۡتَ لَهُمُ ٱلصَّلَوٰةَ فَلۡتَقُمۡ طَآئِفَةٞ مِّنۡهُم مَّعَكَ وَلۡيَأۡخُذُوٓاْ أَسۡلِحَتَهُمۡۖ فَإِذَا سَجَدُواْ فَلۡيَكُونُواْ مِن وَرَآئِكُمۡ وَلۡتَأۡتِ طَآئِفَةٌ أُخۡرَىٰ لَمۡ يُصَلُّواْ فَلۡيُصَلُّواْ مَعَكَ وَلۡيَأۡخُذُواْ حِذۡرَهُمۡ وَأَسۡلِحَتَهُمۡۗ وَدَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡ تَغۡفُلُونَ عَنۡ أَسۡلِحَتِكُمۡ وَأَمۡتِعَتِكُمۡ فَيَمِيلُونَ عَلَيۡكُم مَّيۡلَةٗ وَٰحِدَةٗۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ إِن كَانَ بِكُمۡ أَذٗى مِّن مَّطَرٍ أَوۡ كُنتُم مَّرۡضَىٰٓ أَن تَضَعُوٓاْ أَسۡلِحَتَكُمۡۖ وَخُذُواْ حِذۡرَكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ أَعَدَّ لِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٗا مُّهِينٗا
jab tum un mein ho aur un ke liye namaaz khadi karo to chaahiye ke un ki ek jamaath tumhaare saath apne hatyaar liye khadi ho,phir jab ye sajda kar chuke to ye hat kar tumhaare piche aa jaaye aur wo dosri jamaath jis ne namaaz nahi padi, wo aa jaaye aur tere saath namaaz ada kare aur apna bachaao aur apne hatyaar liye rahe,kaafir chaahte hai ke kisi tarah tum apne hatyaaro aur apne samaan se be-qabar ho jaao to wo tum par achaanak dhaaba bol de, haan apne hatyaar utaar rakhne mein us waqth tum par koyi gunaah nahi ke tumhe takleef ho ya ba-wajeh baarish ke, ya ba-sabab bimaar ho jaane ke aur apne bachaao ki chize saath liye raho,yaqinan Allah ta’ala ne munkiro ke liye zillath ki maar tayyaar kar rakhi hai