Surah Aal-e-Imran - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
الٓمٓ
Alif laam meem
Surah Aal-e-Imran, Verse 1
ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ٱلۡحَيُّ ٱلۡقَيُّومُ
Allah , woh zinda e javed hasti (Self-Subsisting), jo nizam e qayinaat ko sambhale huey hai, haqeeqat mein uske siwa koi khuda nahin hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 2
نَزَّلَ عَلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ وَأَنزَلَ ٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَ
Usne tumpar yeh kitab nazil ki hai, jo haqq lekar aayi hai aur un kitabon ki tasdeeq kar rahi hai jo pehle se aayi hui thi, issey pehle woh insaano ki hidayat ke liye taurat aur injil nazil kar chukka hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 3
مِن قَبۡلُ هُدٗى لِّلنَّاسِ وَأَنزَلَ ٱلۡفُرۡقَانَۗ إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ لَهُمۡ عَذَابٞ شَدِيدٞۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٞ ذُو ٱنتِقَامٍ
Aur usne woh kasauti (criteria) utari hai (jo haqq aur baatil ka farq dikhane wali hai). Ab jo log Allah ke farameen ko qabool karne se inkar karein, unko yaqeenan sakht saza milegi. Allah be-panaah taaqat ka maalik hai aur burayi ka badla dene wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 4
إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَخۡفَىٰ عَلَيۡهِ شَيۡءٞ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا فِي ٱلسَّمَآءِ
Zameen aur asmaan ki koi cheez Allah se posheeda nahin
Surah Aal-e-Imran, Verse 5
هُوَ ٱلَّذِي يُصَوِّرُكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡحَامِ كَيۡفَ يَشَآءُۚ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Wahi to hai jo tumhari Maaon (mothers) ke pait mein tumhari suratein , jaisi chahta hai, banata hai. Us zabardast hikmat waley ke siwa koi aur khuda nahin hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 6
هُوَ ٱلَّذِيٓ أَنزَلَ عَلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ مِنۡهُ ءَايَٰتٞ مُّحۡكَمَٰتٌ هُنَّ أُمُّ ٱلۡكِتَٰبِ وَأُخَرُ مُتَشَٰبِهَٰتٞۖ فَأَمَّا ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِمۡ زَيۡغٞ فَيَتَّبِعُونَ مَا تَشَٰبَهَ مِنۡهُ ٱبۡتِغَآءَ ٱلۡفِتۡنَةِ وَٱبۡتِغَآءَ تَأۡوِيلِهِۦۖ وَمَا يَعۡلَمُ تَأۡوِيلَهُۥٓ إِلَّا ٱللَّهُۗ وَٱلرَّـٰسِخُونَ فِي ٱلۡعِلۡمِ يَقُولُونَ ءَامَنَّا بِهِۦ كُلّٞ مِّنۡ عِندِ رَبِّنَاۗ وَمَا يَذَّكَّرُ إِلَّآ أُوْلُواْ ٱلۡأَلۡبَٰبِ
Wahi khuda hai, jisne yeh kitab tumpar nazil ki hai. Is kitab mein do tarah ki ayaat hain : ek mohkamaat, jo kitab ki asal buniyaad hain aur dusri mutashaabihaat (ambiguous). Jin logon ke dilon mein tedh hai, woh fitne ki talash mein hamesha mutashabihaat hi ke pichey padey rehte hain aur unko maani pehnane ki koshish kiya karte hain, halaanke unka haqiqi mafhoom Allah ke siwa koi nahin jaanta. Bakhilaf iske jo log ilm mein pukhta-kaar hain, woh kehte hain ke “ hamara unpar iman hai, yeh sab hamare Rubb hi ki taraf se hain” aur sach yeh hai ke kisi cheez se saheeh sabaq sirf daanishmand log hi hasil karte hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 7
رَبَّنَا لَا تُزِغۡ قُلُوبَنَا بَعۡدَ إِذۡ هَدَيۡتَنَا وَهَبۡ لَنَا مِن لَّدُنكَ رَحۡمَةًۚ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡوَهَّابُ
Woh Allah se dua karte rehte hain ke “ parwardigaar! Jab tu humein seedhe raste par laga chukka hai, to phir kahin hamare dilon ko kaji (crookedness) mein mubtila na kardijiyo. Humein apne khazane faiz se rehmat ata kar ke tu hi fayyaz e haqiqi (ata farmane wala) hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 8
رَبَّنَآ إِنَّكَ جَامِعُ ٱلنَّاسِ لِيَوۡمٖ لَّا رَيۡبَ فِيهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُخۡلِفُ ٱلۡمِيعَادَ
Parwardigaar! Tu yaqeenan sab logon ko ek roz jamaa karne wala hai, jiske aane mein koi shubha (shakk) nahin, tu hargiz apne wadey se talne wala nahin hai”
Surah Aal-e-Imran, Verse 9
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَن تُغۡنِيَ عَنۡهُمۡ أَمۡوَٰلُهُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُهُم مِّنَ ٱللَّهِ شَيۡـٔٗاۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمۡ وَقُودُ ٱلنَّارِ
Jin logon ne kufr ka rawayya ikhtiyar kiya hai, unhein Allah ke muqable mein na unka maal kuch kaam dega, na aulad , woh dozakh ka indhan (fuel) bankar rahenge
Surah Aal-e-Imran, Verse 10
كَدَأۡبِ ءَالِ فِرۡعَوۡنَ وَٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا فَأَخَذَهُمُ ٱللَّهُ بِذُنُوبِهِمۡۗ وَٱللَّهُ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Unka anjaam waisa hi hoga, jaisa Firoun ke saathiyon aur unse pehle ke nafarmaano ka ho chukka hai ke unhon ne ayaat e ilahi ko jhutlaya, nateeja yeh hua ke Allah ne unke gunaahon par unhein pakad liya aur haqq yeh hai ke Allah sakht saza dene wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 11
قُل لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ سَتُغۡلَبُونَ وَتُحۡشَرُونَ إِلَىٰ جَهَنَّمَۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمِهَادُ
Pas (aey Muhammad) ! jin logon ne tumhari dawat ko qabool karne se inkar kardiya hai, unse kehdo ke qareeb hai woh waqt , jab tum magloob ho jaogey aur jahannum ki taraf haanke jaogey aur jahannum bada hi bura thikana hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 12
قَدۡ كَانَ لَكُمۡ ءَايَةٞ فِي فِئَتَيۡنِ ٱلۡتَقَتَاۖ فِئَةٞ تُقَٰتِلُ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَأُخۡرَىٰ كَافِرَةٞ يَرَوۡنَهُم مِّثۡلَيۡهِمۡ رَأۡيَ ٱلۡعَيۡنِۚ وَٱللَّهُ يُؤَيِّدُ بِنَصۡرِهِۦ مَن يَشَآءُۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَعِبۡرَةٗ لِّأُوْلِي ٱلۡأَبۡصَٰرِ
Tumhare liye un do giroohon mein ek nishan e ibrat tha, jo (badr mein) ek dusre se nabard aazma (encountered) huey, ek giroh Allah ki raah mein ladd raha tha aur dusra giroh kafir tha, dekhne waley ba-chashm e sar dekh rahey thay ke kafir giroh momin giroh se do chandh (twice the number) hai magar (nateeje ne saabit kardiya ke) Allah apni fatah o nusrat se jisko chahta hai madad deta hai. Deedha e beena(eyes to see) rakhne walon ke liye ismein bada sabaq posheeda hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 13
زُيِّنَ لِلنَّاسِ حُبُّ ٱلشَّهَوَٰتِ مِنَ ٱلنِّسَآءِ وَٱلۡبَنِينَ وَٱلۡقَنَٰطِيرِ ٱلۡمُقَنطَرَةِ مِنَ ٱلذَّهَبِ وَٱلۡفِضَّةِ وَٱلۡخَيۡلِ ٱلۡمُسَوَّمَةِ وَٱلۡأَنۡعَٰمِ وَٱلۡحَرۡثِۗ ذَٰلِكَ مَتَٰعُ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ وَٱللَّهُ عِندَهُۥ حُسۡنُ ٱلۡمَـَٔابِ
Logon ke liye margoobaat e nafs (naturally tempted by the lure of) auratein, aulad, soney chandi ke dhair, cheeda ghodey(branded horses) maweshi aur zarayi zameenein badi khush-aand bana di gayi hain. Magar yeh sab duniya ki chandh roza zindagi ke samaan hain , haqeeqat mein jo behtar thikana hai woh to Allah ke paas hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 14
۞قُلۡ أَؤُنَبِّئُكُم بِخَيۡرٖ مِّن ذَٰلِكُمۡۖ لِلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ عِندَ رَبِّهِمۡ جَنَّـٰتٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَا وَأَزۡوَٰجٞ مُّطَهَّرَةٞ وَرِضۡوَٰنٞ مِّنَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ بَصِيرُۢ بِٱلۡعِبَادِ
Kaho: main tumhein bataoon ke inse zyada acchi cheez kya hai? Jo log taqwa ki rawish ikhtiyar karein, unke liye unke Rubb ke paas baagh hain, jinke nichey nehrein behti hongi, wahan unhein hameshgi ki zindagi haasil hogi, pakeeza biwiyan unki rafeeq (companions) hongi aur Allah ki raza se woh sarfaraz honge. Allah apne bandon ke rawayye par gehri nazar rakhta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 15
ٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَآ إِنَّنَآ ءَامَنَّا فَٱغۡفِرۡ لَنَا ذُنُوبَنَا وَقِنَا عَذَابَ ٱلنَّارِ
Yeh woh log hain, jo kehte hain ke “ maalik ! hum iman laye, hamari khataon se darguzar farma aur humein aatish e dozakh se bacha ley”
Surah Aal-e-Imran, Verse 16
ٱلصَّـٰبِرِينَ وَٱلصَّـٰدِقِينَ وَٱلۡقَٰنِتِينَ وَٱلۡمُنفِقِينَ وَٱلۡمُسۡتَغۡفِرِينَ بِٱلۡأَسۡحَارِ
Yeh log sabr karne waley hain, raastbaaz hain, farmabardaar aur fayyaz hain aur raat ki aaakhri ghadiyon mein Allah se magfirat ki duaein maanga karte hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 17
شَهِدَ ٱللَّهُ أَنَّهُۥ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ وَأُوْلُواْ ٱلۡعِلۡمِ قَآئِمَۢا بِٱلۡقِسۡطِۚ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Allah ne khud shahadat di hai ke uske siwa koi khuda nahin hai, aur ( yahi shahadat) Farishton aur sab ehle ilm ne bhi di hai, woh insaaf par qayam hai, us zabardast hakeem ke siwa fil waqeh koi khuda nahin hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 18
إِنَّ ٱلدِّينَ عِندَ ٱللَّهِ ٱلۡإِسۡلَٰمُۗ وَمَا ٱخۡتَلَفَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ إِلَّا مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَهُمُ ٱلۡعِلۡمُ بَغۡيَۢا بَيۡنَهُمۡۗ وَمَن يَكۡفُرۡ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ فَإِنَّ ٱللَّهَ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ
Allah ke nazdeek deen sirf Islam hai, is deen se hatt kar jo mukhtalif tareeqe un logon ne ikhtiyar kiye jinhein kitab di gayi thi, unke is tarz e amal ki koi wajah iske siwa na thi ke unhon ne ilm aa janey ke baad aapas mein ek dusre par zyadati karne ke liye aisa kiya. Aur jo koi Allah ke ehkaam o hidayaat ki itaat se inkar karde, Allah ko ussey hisaab lete kuch dair nahin lagti hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 19
فَإِنۡ حَآجُّوكَ فَقُلۡ أَسۡلَمۡتُ وَجۡهِيَ لِلَّهِ وَمَنِ ٱتَّبَعَنِۗ وَقُل لِّلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡأُمِّيِّـۧنَ ءَأَسۡلَمۡتُمۡۚ فَإِنۡ أَسۡلَمُواْ فَقَدِ ٱهۡتَدَواْۖ وَّإِن تَوَلَّوۡاْ فَإِنَّمَا عَلَيۡكَ ٱلۡبَلَٰغُۗ وَٱللَّهُ بَصِيرُۢ بِٱلۡعِبَادِ
Ab agar yeh log tumse jhaghda karein, to inse kaho : “ maine aur mere pairawon (followers) ne to Allah ke aagey sar tasleem kham kardiya hai”. Phir ehle kitab aur gair ehle kitab dono se pucho: “ kya tumne bhi uski itaat o bandagi qabool ki?” Agar ki to woh raah e raast paa gaye, aur agar issey mooh moda to tumpar sirf paigaam pahuncha dene ki zimmedari thi, aagey Allah khud apne bandon ke maamlaat dekhne wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 20
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَكۡفُرُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَيَقۡتُلُونَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ بِغَيۡرِ حَقّٖ وَيَقۡتُلُونَ ٱلَّذِينَ يَأۡمُرُونَ بِٱلۡقِسۡطِ مِنَ ٱلنَّاسِ فَبَشِّرۡهُم بِعَذَابٍ أَلِيمٍ
Jo log Allah ke ehkaam o hidayaat ko maanne se inkar karte hain aur uske paigambaron ko na-haqq qatal karte hain aur aisey logon ki jaan ke darpe ho jatey hain jo khalq e khuda mein adal o raasti ka hukum dene ke liye uthein, unko dardnaak saza ki khushkhabri suna do
Surah Aal-e-Imran, Verse 21
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ حَبِطَتۡ أَعۡمَٰلُهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِ وَمَا لَهُم مِّن نَّـٰصِرِينَ
Yeh woh log hain jinke aamaal duniya aur aakhirat dono mein zaya ho gaye, aur inka madadgaar koi nahin hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 22
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ أُوتُواْ نَصِيبٗا مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِ يُدۡعَوۡنَ إِلَىٰ كِتَٰبِ ٱللَّهِ لِيَحۡكُمَ بَيۡنَهُمۡ ثُمَّ يَتَوَلَّىٰ فَرِيقٞ مِّنۡهُمۡ وَهُم مُّعۡرِضُونَ
Tumne dekha nahin ke jin logon ko kitab ke ilm mein se kuch hissa mila hai, unka haal kya hai? Unhein jab kitab e ilahi ki taraf bulaya jata hai taa-ke woh unke darmiyan faisla karey, to unmein se ek fareeq issey pehlu-tahi (turns away) karta hai aur is faisle ki taraf aane se mooh pher jata hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 23
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَالُواْ لَن تَمَسَّنَا ٱلنَّارُ إِلَّآ أَيَّامٗا مَّعۡدُودَٰتٖۖ وَغَرَّهُمۡ فِي دِينِهِم مَّا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
Unka yeh tarz-e-amal is wajah se hai ke woh kehte hain “ aatish e dozakh to humein mass (choo) tak na karegi aur agar dozakh ki saza humko milegi bhi to bas chandh roz”. Unke khud saakhta aqeedon ne unko apne deen ke maamle mein badi galat fehmiyon mein daal rakkha hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 24
فَكَيۡفَ إِذَا جَمَعۡنَٰهُمۡ لِيَوۡمٖ لَّا رَيۡبَ فِيهِ وَوُفِّيَتۡ كُلُّ نَفۡسٖ مَّا كَسَبَتۡ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
Magar kya banegi unpar jab hum unhein us roz jamaa karenge jiska aana yaqeeni hai? Us roz har shaks ko uski kamayi ka badla poora poora de diya jayega aur kisi par zulm na hoga
Surah Aal-e-Imran, Verse 25
قُلِ ٱللَّهُمَّ مَٰلِكَ ٱلۡمُلۡكِ تُؤۡتِي ٱلۡمُلۡكَ مَن تَشَآءُ وَتَنزِعُ ٱلۡمُلۡكَ مِمَّن تَشَآءُ وَتُعِزُّ مَن تَشَآءُ وَتُذِلُّ مَن تَشَآءُۖ بِيَدِكَ ٱلۡخَيۡرُۖ إِنَّكَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Kaho! Khudaya! Mulk ke maalik! Tu jisey chahey, hukumat de aur jissey chahey cheen le, jisey chahey izzat bakshey aur jisko chahey zillat de. Bhalayi tere ikhtiyar mein hai. Beshak tu har cheez par qaadir hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 26
تُولِجُ ٱلَّيۡلَ فِي ٱلنَّهَارِ وَتُولِجُ ٱلنَّهَارَ فِي ٱلَّيۡلِۖ وَتُخۡرِجُ ٱلۡحَيَّ مِنَ ٱلۡمَيِّتِ وَتُخۡرِجُ ٱلۡمَيِّتَ مِنَ ٱلۡحَيِّۖ وَتَرۡزُقُ مَن تَشَآءُ بِغَيۡرِ حِسَابٖ
Raat ko din mein pirota hua le aata hai aur din ko raat mein, jaandaar mein se be-jaan ko nikalta hai aur be-jaan mein se jaandaar ko, aur jisey chahta hai be-hisaab rizq deta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 27
لَّا يَتَّخِذِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ ٱلۡكَٰفِرِينَ أَوۡلِيَآءَ مِن دُونِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۖ وَمَن يَفۡعَلۡ ذَٰلِكَ فَلَيۡسَ مِنَ ٱللَّهِ فِي شَيۡءٍ إِلَّآ أَن تَتَّقُواْ مِنۡهُمۡ تُقَىٰةٗۗ وَيُحَذِّرُكُمُ ٱللَّهُ نَفۡسَهُۥۗ وَإِلَى ٱللَّهِ ٱلۡمَصِيرُ
Momineen ehle iman ko chodh kar kafiron ko apna rafeeq aur dost hargiz na banayein, jo aisa karega uska Allah se koi talluq nahin, haan yeh maaf hai ke tum unke zulm se bachne ke liye bazahir aisa tarz e amal ikhtiyar kar jao, magar Allah tumhein apne aap se darata hai aur tumhein usi ki taraf palat kar jana hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 28
قُلۡ إِن تُخۡفُواْ مَا فِي صُدُورِكُمۡ أَوۡ تُبۡدُوهُ يَعۡلَمۡهُ ٱللَّهُۗ وَيَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
(Aey Nabi)! Logon ko khabardaar kardo ke tumhare dilon mein jo kuch hai, usey khwa tum chupao ya zaahir karo, Allah bahar haal usey jaanta hai. Zameen o asmaan ki koi cheez uske ilm se bahar nahin hai aur uska iqtedar har cheez par haawi hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 29
يَوۡمَ تَجِدُ كُلُّ نَفۡسٖ مَّا عَمِلَتۡ مِنۡ خَيۡرٖ مُّحۡضَرٗا وَمَا عَمِلَتۡ مِن سُوٓءٖ تَوَدُّ لَوۡ أَنَّ بَيۡنَهَا وَبَيۡنَهُۥٓ أَمَدَۢا بَعِيدٗاۗ وَيُحَذِّرُكُمُ ٱللَّهُ نَفۡسَهُۥۗ وَٱللَّهُ رَءُوفُۢ بِٱلۡعِبَادِ
Woh din aane wala hai, jab har nafs apne kiye ka phal hazir payega khwa usne bhalayi ki ho ya burayi. Us roz aadmi yeh tamanna karega ke kaash abhi yeh din ussey bahut door hota! Allah tumhein apne aap se darata hai aur woh apne bandon ka nihayat khair khwa hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 30
قُلۡ إِن كُنتُمۡ تُحِبُّونَ ٱللَّهَ فَٱتَّبِعُونِي يُحۡبِبۡكُمُ ٱللَّهُ وَيَغۡفِرۡ لَكُمۡ ذُنُوبَكُمۡۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
(Aey Nabi)! Logon se kehdo ke “agar tum haqeeqat mein Allah se muhabbat rakhte ho , to meri pairwi ikhtiyar karo, Allah tumse muhabbat karega aur tumhari khataon se darguzar farmayega, woh bada maaf karne wala aur Raheem hai”
Surah Aal-e-Imran, Verse 31
قُلۡ أَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَۖ فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَإِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Unse kaho ke “Allah aur Rasool ki itaat qabool karlo” phir agar woh tumhari dawat qabool na karein, to yaqeenan yeh mumkin nahin hai ke Allah aise logon se muhabbat karey jo uski aur uske Rasool ki itaat se inkar karte hon
Surah Aal-e-Imran, Verse 32
۞إِنَّ ٱللَّهَ ٱصۡطَفَىٰٓ ءَادَمَ وَنُوحٗا وَءَالَ إِبۡرَٰهِيمَ وَءَالَ عِمۡرَٰنَ عَلَى ٱلۡعَٰلَمِينَ
Allah ne Adam aur Nooh aur aale- Ibrahim aur aal-e-Imran ko tamaam duniya walon par tarjeeh dekar ( apni risalat ke liye) muntakhab kiya tha
Surah Aal-e-Imran, Verse 33
ذُرِّيَّةَۢ بَعۡضُهَا مِنۢ بَعۡضٖۗ وَٱللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٌ
Yeh ek silsile ke log thay, jo ek dusre ki nasal se paida huey thay, Allah sabkuch sunta aur jaanta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 34
إِذۡ قَالَتِ ٱمۡرَأَتُ عِمۡرَٰنَ رَبِّ إِنِّي نَذَرۡتُ لَكَ مَا فِي بَطۡنِي مُحَرَّرٗا فَتَقَبَّلۡ مِنِّيٓۖ إِنَّكَ أَنتَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
(Woh us waqt sun raha tha) jab Imran ki aurat keh rahi thi ke, “ mere parwardigaar! Main is bacchey ko jo mere pait mein hai teri nazar karti hoon, woh tere hi kaam ke liye waqf hoga, meri is peshkash ko qabool farma, tu sunne aur jaanne wala hai.”
Surah Aal-e-Imran, Verse 35
فَلَمَّا وَضَعَتۡهَا قَالَتۡ رَبِّ إِنِّي وَضَعۡتُهَآ أُنثَىٰ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا وَضَعَتۡ وَلَيۡسَ ٱلذَّكَرُ كَٱلۡأُنثَىٰۖ وَإِنِّي سَمَّيۡتُهَا مَرۡيَمَ وَإِنِّيٓ أُعِيذُهَا بِكَ وَذُرِّيَّتَهَا مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ
Phir jab woh bacchi uske haan paida hui to usne kaha “Maalik! Mere haan to ladki paida ho gayi hai, halaanke jo kuch usne janaa(delivered) tha, Allah ko iski khabar thi aur ladka ladki ki tarah nahin hota. Khair, maine uska naam Maryam rakh diya hai aur main usey aur uski aainda nasal ko shaytan mardood ke fitne se teri panaah mein deti hoon”
Surah Aal-e-Imran, Verse 36
فَتَقَبَّلَهَا رَبُّهَا بِقَبُولٍ حَسَنٖ وَأَنۢبَتَهَا نَبَاتًا حَسَنٗا وَكَفَّلَهَا زَكَرِيَّاۖ كُلَّمَا دَخَلَ عَلَيۡهَا زَكَرِيَّا ٱلۡمِحۡرَابَ وَجَدَ عِندَهَا رِزۡقٗاۖ قَالَ يَٰمَرۡيَمُ أَنَّىٰ لَكِ هَٰذَاۖ قَالَتۡ هُوَ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِۖ إِنَّ ٱللَّهَ يَرۡزُقُ مَن يَشَآءُ بِغَيۡرِ حِسَابٍ
Aakhir e kaar uske Rubb ne us ladki ko ba-khushi qabool farma liya , usey badi acchi ladki banakar uthaya aur Zakariya ko uska sarparast bana diya. Zakariya jab kabhi uske paas mehraab (sanctuary) mein jaata to uske paas kuch na kuch khane peene ka samaan paata. Puchta Maryam! Yeh tere paas kahan se aaya? Woh jawab deti Allah ke paas se aaya hai, Allah jisey chahta hai be-hisaab deta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 37
هُنَالِكَ دَعَا زَكَرِيَّا رَبَّهُۥۖ قَالَ رَبِّ هَبۡ لِي مِن لَّدُنكَ ذُرِّيَّةٗ طَيِّبَةًۖ إِنَّكَ سَمِيعُ ٱلدُّعَآءِ
Yeh haal dekh kar Zakariya ne apne Rubb ko pukara “parwardigaar! Apni qudrat se mujhey neik aulad ata kar, tu hi dua sunne wala hai”
Surah Aal-e-Imran, Verse 38
فَنَادَتۡهُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ وَهُوَ قَآئِمٞ يُصَلِّي فِي ٱلۡمِحۡرَابِ أَنَّ ٱللَّهَ يُبَشِّرُكَ بِيَحۡيَىٰ مُصَدِّقَۢا بِكَلِمَةٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَسَيِّدٗا وَحَصُورٗا وَنَبِيّٗا مِّنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
Jawab mein Farishton ne awaaz di, jab ke woh mehraab mein khada namaz padh raha tha ke “Allah tujhey Yahya ki khushkhabri deta hai , woh Allah ki taraf se ek farmaan ki tasdeeq karne wala bankar aayega, usmein sardari o buzurgi ki shaan hogi kamal darje ka zaabit (utterly chaste) hoga, nabuwat se sarfaraz hoga aur saliheen mein shumaar kiya jayega”
Surah Aal-e-Imran, Verse 39
قَالَ رَبِّ أَنَّىٰ يَكُونُ لِي غُلَٰمٞ وَقَدۡ بَلَغَنِيَ ٱلۡكِبَرُ وَٱمۡرَأَتِي عَاقِرٞۖ قَالَ كَذَٰلِكَ ٱللَّهُ يَفۡعَلُ مَا يَشَآءُ
Zakariya ne kaha,“Parwardigaar! Bhala mere haan ladka kahan se hoga, main to boodha ho chuka hoon aur meri biwi baanjh hai, “ jawab mila, aisa hi hoga, Allah jo chahta hai karta hai”
Surah Aal-e-Imran, Verse 40
قَالَ رَبِّ ٱجۡعَل لِّيٓ ءَايَةٗۖ قَالَ ءَايَتُكَ أَلَّا تُكَلِّمَ ٱلنَّاسَ ثَلَٰثَةَ أَيَّامٍ إِلَّا رَمۡزٗاۗ وَٱذۡكُر رَّبَّكَ كَثِيرٗا وَسَبِّحۡ بِٱلۡعَشِيِّ وَٱلۡإِبۡكَٰرِ
Arz kiya “Maalik! Phir koi nishani mere liye muqarrar farma de”. Kaha, Nishani yeh hai ke tum teen din tak logon se isharey ke siwa koi baat-chit na karoge (ya na kar sakoge), is dauraan mein apne Rubb ko bahut yaad karna aur subah o sham uski tasbeeh karte rehna.”
Surah Aal-e-Imran, Verse 41
وَإِذۡ قَالَتِ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يَٰمَرۡيَمُ إِنَّ ٱللَّهَ ٱصۡطَفَىٰكِ وَطَهَّرَكِ وَٱصۡطَفَىٰكِ عَلَىٰ نِسَآءِ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Phir woh waqt aaya jab Maryan se Farishton ne aakar kaha, “ Aey Maryam! Allah ne tujhey barguzeeda kiya aur pakeezgi ata ki aur tamaam duniya ki auraton par tujhko tarjeeh dekar apni khidmat ke liye chun liya
Surah Aal-e-Imran, Verse 42
يَٰمَرۡيَمُ ٱقۡنُتِي لِرَبِّكِ وَٱسۡجُدِي وَٱرۡكَعِي مَعَ ٱلرَّـٰكِعِينَ
Aey Maryam! Apne Rubb ki tabeh farmaan bankar reh, uske aagey sar ba-sajood ho, aur jo banday uske huzoor jhukne waley hain unke saath tu bhi jhuk ja”
Surah Aal-e-Imran, Verse 43
ذَٰلِكَ مِنۡ أَنۢبَآءِ ٱلۡغَيۡبِ نُوحِيهِ إِلَيۡكَۚ وَمَا كُنتَ لَدَيۡهِمۡ إِذۡ يُلۡقُونَ أَقۡلَٰمَهُمۡ أَيُّهُمۡ يَكۡفُلُ مَرۡيَمَ وَمَا كُنتَ لَدَيۡهِمۡ إِذۡ يَخۡتَصِمُونَ
(Aey Muhammad)! Yeh gaib ki khabrein hain jo hum tumko wahee ke zariye se bata rahey hain, warna tum us waqt wahan maujood na thay jab haykal ke khadim yeh faisla karne ke liye ke Mayram ka sarparast kaun ho apne apne qalam phenk rahey thay, aur na tum us waqt hazir thay jab unke darmiyaan jhagda barpa tha
Surah Aal-e-Imran, Verse 44
إِذۡ قَالَتِ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يَٰمَرۡيَمُ إِنَّ ٱللَّهَ يُبَشِّرُكِ بِكَلِمَةٖ مِّنۡهُ ٱسۡمُهُ ٱلۡمَسِيحُ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ وَجِيهٗا فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِ وَمِنَ ٱلۡمُقَرَّبِينَ
Aur jab Farishton ne kaha, “Aey Maryam! Allah tujhey apne ek farmaan ki khush-khabri deta hai, uska naam Maseeh Isa Ibn e Maryam hoga, duniya aur aakhirat mein muazzaz (highly honoured) hoga, Allah ke muqarrab bandon mein shumaar kiya jayega
Surah Aal-e-Imran, Verse 45
وَيُكَلِّمُ ٱلنَّاسَ فِي ٱلۡمَهۡدِ وَكَهۡلٗا وَمِنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
Logon se gehware(cradle) mein bhi kalaam(baat) karega aur badi umar ko pahunch kar bhi, aur woh ek mard e saleeh hoga”
Surah Aal-e-Imran, Verse 46
قَالَتۡ رَبِّ أَنَّىٰ يَكُونُ لِي وَلَدٞ وَلَمۡ يَمۡسَسۡنِي بَشَرٞۖ قَالَ كَذَٰلِكِ ٱللَّهُ يَخۡلُقُ مَا يَشَآءُۚ إِذَا قَضَىٰٓ أَمۡرٗا فَإِنَّمَا يَقُولُ لَهُۥ كُن فَيَكُونُ
Yeh sunkar Maryam boli, “parwardigaar! Mere haan bacha kahan se hoga, muhjey to kisi shaks ne haath tak nahin lagaya” jawab mila, “aisa hi hoga, Allah jo chahta hai paida karta hai. Woh jab kisi kaam ke karne ka faisla farmata hai to bas kehta hai ke hoja aur woh ho jata hai”
Surah Aal-e-Imran, Verse 47
وَيُعَلِّمُهُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَ
(Farishton ne phir silsila e kalaam mein kaha) “Aur Allah usey kitab aur hikmat ki taleem dega, Taurat aur Injil ka ilm sikhayega
Surah Aal-e-Imran, Verse 48
وَرَسُولًا إِلَىٰ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ أَنِّي قَدۡ جِئۡتُكُم بِـَٔايَةٖ مِّن رَّبِّكُمۡ أَنِّيٓ أَخۡلُقُ لَكُم مِّنَ ٱلطِّينِ كَهَيۡـَٔةِ ٱلطَّيۡرِ فَأَنفُخُ فِيهِ فَيَكُونُ طَيۡرَۢا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۖ وَأُبۡرِئُ ٱلۡأَكۡمَهَ وَٱلۡأَبۡرَصَ وَأُحۡيِ ٱلۡمَوۡتَىٰ بِإِذۡنِ ٱللَّهِۖ وَأُنَبِّئُكُم بِمَا تَأۡكُلُونَ وَمَا تَدَّخِرُونَ فِي بُيُوتِكُمۡۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لَّكُمۡ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Aur bani Israel ki taraf apna Rasool muqarrar karega” (aur jab woh bahaisiyat e Rasool bani Israel ke paas aaya to usne kaha) “ main tumhare Rubb ki taraf se tumhare paas nishani lekar aaya hoon, main tumhare samne mitti se parinde ki surat mein ek mujassama banata hoon aur usmein phoonk maarta hoon, woh Allah ke hukum se parinda ban jata hai, main Allah ke hukum se madar zaadh (by birth) andhey aur kodi (leper) ko accha karta hoon aur murde ko zinda karta hoon, main tumhein batata hoon ke tum kya khate ho aur kya apne gharon mein zakheera (store) karke rakhte ho. Ismein tumhare liye kaafi nishani hai agar tum iman laney waley ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 49
وَمُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيَّ مِنَ ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَلِأُحِلَّ لَكُم بَعۡضَ ٱلَّذِي حُرِّمَ عَلَيۡكُمۡۚ وَجِئۡتُكُم بِـَٔايَةٖ مِّن رَّبِّكُمۡ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُونِ
Aur main us taleem o hidayat ki tasdeeq karne wala bankar aaya hoon jo Taurat mein se is waqt mere zamane mein maujood hai, aur isliye aaya hoon ke tumhare liye baaz un cheezon ko halal kardoon jo tumpar haraam kardi gayi hain. Dekho main tumhare Rubb ki taraf se tumhare paas nishani lekar aaya hoon , lihaza Allah se daro aur meri itaat karo
Surah Aal-e-Imran, Verse 50
إِنَّ ٱللَّهَ رَبِّي وَرَبُّكُمۡ فَٱعۡبُدُوهُۚ هَٰذَا صِرَٰطٞ مُّسۡتَقِيمٞ
Allah mera Rubb hai aur tumhara Rubb bhi, lihaza tum usi ki bandagi ikhtiyar karo, yahi seedha raasta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 51
۞فَلَمَّآ أَحَسَّ عِيسَىٰ مِنۡهُمُ ٱلۡكُفۡرَ قَالَ مَنۡ أَنصَارِيٓ إِلَى ٱللَّهِۖ قَالَ ٱلۡحَوَارِيُّونَ نَحۡنُ أَنصَارُ ٱللَّهِ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَٱشۡهَدۡ بِأَنَّا مُسۡلِمُونَ
Jab Isa ne mehsoos kiya ke bani Israel kufr o inkar par aamaada hain to usne kaha “kaun Allah ki raah mein mera madadgaar hota hai?” Hawariyon (desciples) ne jawab diya, “hum Allah ke madadgaar hain, hum Allah par iman laye, gawah raho ke hum muslim (Allah ke aagey sar itaat jhuka dene waley) hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 52
رَبَّنَآ ءَامَنَّا بِمَآ أَنزَلۡتَ وَٱتَّبَعۡنَا ٱلرَّسُولَ فَٱكۡتُبۡنَا مَعَ ٱلشَّـٰهِدِينَ
Maalik! Jo farmaan tu nay nazil kiya hai humne usey maan liya aur Rasool ki pairwi qabool ki, hamara naam gawahi dene walon mein likh le”
Surah Aal-e-Imran, Verse 53
وَمَكَرُواْ وَمَكَرَ ٱللَّهُۖ وَٱللَّهُ خَيۡرُ ٱلۡمَٰكِرِينَ
Phir bani Israel ( Maseeh ke khilaf) khufiya tadbeerein karne lagey, jawab mein Allah ne bhi apni khufiya tadbeer ki aur aisi tadbeeron mein Allah sab se badh kar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 54
إِذۡ قَالَ ٱللَّهُ يَٰعِيسَىٰٓ إِنِّي مُتَوَفِّيكَ وَرَافِعُكَ إِلَيَّ وَمُطَهِّرُكَ مِنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَجَاعِلُ ٱلَّذِينَ ٱتَّبَعُوكَ فَوۡقَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِۖ ثُمَّ إِلَيَّ مَرۡجِعُكُمۡ فَأَحۡكُمُ بَيۡنَكُمۡ فِيمَا كُنتُمۡ فِيهِ تَخۡتَلِفُونَ
(Woh Allah ki khufiya tadbeer hi thi) jab usne kaha, “ aey Isa! Ab main tujhey wapas le lunga aur tujhko apni taraf utha lunga aur jinhon ne tera inkar kiya unse (yani inki maiyat se aur unke gandey maahol mein unke saath rehne se) tujhey paak kardunga aur teri pairwi karne walon ko qayamat tak un logon par balaadast rakhunga jinhon ne tera inkar kiya hai. Phir tum sabko aakhir mere paas aana hai, us waqt main un baaton ka faisla kardunga jinmein tumhare darmiyan ikhtilaf hua hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 55
فَأَمَّا ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَأُعَذِّبُهُمۡ عَذَابٗا شَدِيدٗا فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِ وَمَا لَهُم مِّن نَّـٰصِرِينَ
Jin logon ne kufr o inkar ki rawish ikhtiyar ki hai unhein duniya aur aakhirat dono mein sakht saza dunga aur woh koi madadgaar na payenge
Surah Aal-e-Imran, Verse 56
وَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ فَيُوَفِّيهِمۡ أُجُورَهُمۡۗ وَٱللَّهُ لَا يُحِبُّ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur jinhon ne iman aur neik amal ka rawayya ikhtiyar kiya hai unhein unke ajar poorey poorey de diye jayenge, aur khoob jaan le ke zalimon se Allah hargiz muhabbat nahin karta”
Surah Aal-e-Imran, Verse 57
ذَٰلِكَ نَتۡلُوهُ عَلَيۡكَ مِنَ ٱلۡأٓيَٰتِ وَٱلذِّكۡرِ ٱلۡحَكِيمِ
Yeh ayaat aur hikmat se labrez tazkeere hain jo hum tumhein suna rahey hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 58
إِنَّ مَثَلَ عِيسَىٰ عِندَ ٱللَّهِ كَمَثَلِ ءَادَمَۖ خَلَقَهُۥ مِن تُرَابٖ ثُمَّ قَالَ لَهُۥ كُن فَيَكُونُ
Allah ke nazdeek Isa ki misaal Adam ki si hai ke Allah ne usey mitti se paida kiya aur hukum diya ke hoja aur woh hogaya
Surah Aal-e-Imran, Verse 59
ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّكَ فَلَا تَكُن مِّنَ ٱلۡمُمۡتَرِينَ
Yeh asal haqeeqat hai jo tumhare Rubb ki tarf se batayi jaa rahi hai aur tum un logon mein shamil na ho jo ismein shakk karte hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 60
فَمَنۡ حَآجَّكَ فِيهِ مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَكَ مِنَ ٱلۡعِلۡمِ فَقُلۡ تَعَالَوۡاْ نَدۡعُ أَبۡنَآءَنَا وَأَبۡنَآءَكُمۡ وَنِسَآءَنَا وَنِسَآءَكُمۡ وَأَنفُسَنَا وَأَنفُسَكُمۡ ثُمَّ نَبۡتَهِلۡ فَنَجۡعَل لَّعۡنَتَ ٱللَّهِ عَلَى ٱلۡكَٰذِبِينَ
Yeh ilm aa janey ke baad ab koi us maamle mein tumse jhagda karey to (aey Muhammad)! Ussey kaho, “ aao hum aur tum khud bhi aa jayein aur apne apne baal bacchon ko bhi le aayein aur khuda se dua karein ke jo jhuta ho uspar khuda ki laanat ho”
Surah Aal-e-Imran, Verse 61
إِنَّ هَٰذَا لَهُوَ ٱلۡقَصَصُ ٱلۡحَقُّۚ وَمَا مِنۡ إِلَٰهٍ إِلَّا ٱللَّهُۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Yeh bilkul saheeh waqiyaat hain, aur haqeeqat yeh hai ke Allah ke siwa koi khuda-wand nahin hai, aur woh Allah hi ki hasti hai jiski taaqat sabse baala aur jiski hikmat nizaam-e-aalam mein kaar farma hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 62
فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَإِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِٱلۡمُفۡسِدِينَ
Pas agar yeh log ( is shart par muqable mein aane se) mooh moadein to (unka mufsid hona saaf khul jayega) aur Allah to mufsidon ke haal se waqif hi hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 63
قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ تَعَالَوۡاْ إِلَىٰ كَلِمَةٖ سَوَآءِۭ بَيۡنَنَا وَبَيۡنَكُمۡ أَلَّا نَعۡبُدَ إِلَّا ٱللَّهَ وَلَا نُشۡرِكَ بِهِۦ شَيۡـٔٗا وَلَا يَتَّخِذَ بَعۡضُنَا بَعۡضًا أَرۡبَابٗا مِّن دُونِ ٱللَّهِۚ فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَقُولُواْ ٱشۡهَدُواْ بِأَنَّا مُسۡلِمُونَ
Kaho, “aey ehle kitab! Aao ek aisi baat ki taraf jo hamare aur tumhare darmiyan yaksaan hai , yeh ke hum Allah ke siwa kisi ki bandagi na karein, uske saath kisi ko shareek na thehrayein , aur hum mein se koi Allah ke siwa kisi ko apna Rubb na bana ley”. Is dawat ko qabool karne se agar woh mooh moadein to saaf kehdo ke gawah raho, hum to Muslim (sirf khuda ki bandagi o itaat karne waley) hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 64
يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لِمَ تُحَآجُّونَ فِيٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَمَآ أُنزِلَتِ ٱلتَّوۡرَىٰةُ وَٱلۡإِنجِيلُ إِلَّا مِنۢ بَعۡدِهِۦٓۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
Aey ehle kitab! Tum Ibrahim ke barey mein humse kyun jhagda karte ho? Taurat aur Injil to Ibrahim ke baad hi nazil hui hai, phir kya tum itni baat bhi nahin samajhte
Surah Aal-e-Imran, Verse 65
هَـٰٓأَنتُمۡ هَـٰٓؤُلَآءِ حَٰجَجۡتُمۡ فِيمَا لَكُم بِهِۦ عِلۡمٞ فَلِمَ تُحَآجُّونَ فِيمَا لَيۡسَ لَكُم بِهِۦ عِلۡمٞۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ وَأَنتُمۡ لَا تَعۡلَمُونَ
Tum log jin cheezon kai ilm rakhte ho unmein to khoob behasein (arguments) kar chuke, ab un maamlaat mein kyun behas karne chale ho jinka tumhare paas kuch bhi ilm nahin .Allah jaanta hai , tum nahin jaantey
Surah Aal-e-Imran, Verse 66
مَا كَانَ إِبۡرَٰهِيمُ يَهُودِيّٗا وَلَا نَصۡرَانِيّٗا وَلَٰكِن كَانَ حَنِيفٗا مُّسۡلِمٗا وَمَا كَانَ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Ibrahim na yahudi tha na isayi , balke woh ek Muslim, yaksu tha aur woh hargiz Mushirkon mein se na tha
Surah Aal-e-Imran, Verse 67
إِنَّ أَوۡلَى ٱلنَّاسِ بِإِبۡرَٰهِيمَ لَلَّذِينَ ٱتَّبَعُوهُ وَهَٰذَا ٱلنَّبِيُّ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْۗ وَٱللَّهُ وَلِيُّ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Ibrahim se nisbat rakhne ka sabse zyada haqq agar kisi ko pahunchta hai to un logon ko pahunchta hai jinhon ne uski pairwi ki aur ab yeh Nabi aur uske maanne waley is nisbat ke zyada haqqdar hain. Allah sirf unhi ka haami o madadgaar hai jo iman rakhte hon
Surah Aal-e-Imran, Verse 68
وَدَّت طَّآئِفَةٞ مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ لَوۡ يُضِلُّونَكُمۡ وَمَا يُضِلُّونَ إِلَّآ أَنفُسَهُمۡ وَمَا يَشۡعُرُونَ
(Aey Iman laney walon) ehle kitab mein se ek giroh chahta hai ke kisi tarah tumhein raah e raast se hata de, halaanke dar haqeeqat woh apne siwa kisi ko gumraahi mein nahin daal rahey hain magar unhein iska shaoor nahin hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 69
يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لِمَ تَكۡفُرُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَأَنتُمۡ تَشۡهَدُونَ
Aey ehle kitab! Kyun Allah ki ayaat ka inkar karte ho halaanke tum khud inka mushahida kar rahey ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 70
يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لِمَ تَلۡبِسُونَ ٱلۡحَقَّ بِٱلۡبَٰطِلِ وَتَكۡتُمُونَ ٱلۡحَقَّ وَأَنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Aey ehle kitab! Kyun haqq ko baatil ka rang chadha kar mushtaba (confound ) banate ho? Kyun jaante boojhte haqq ko jhutlate ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 71
وَقَالَت طَّآئِفَةٞ مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ ءَامِنُواْ بِٱلَّذِيٓ أُنزِلَ عَلَى ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَجۡهَ ٱلنَّهَارِ وَٱكۡفُرُوٓاْ ءَاخِرَهُۥ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ
Ehle kitab mein se ek giroh kehta hai ke is Nabi ke maanne walon par jo kuch nazil hua hai uspar subah iman lao aur sham ko issey inkar kardo, shayad is tarkeeb se yeh log apne iman se phir jayein
Surah Aal-e-Imran, Verse 72
وَلَا تُؤۡمِنُوٓاْ إِلَّا لِمَن تَبِعَ دِينَكُمۡ قُلۡ إِنَّ ٱلۡهُدَىٰ هُدَى ٱللَّهِ أَن يُؤۡتَىٰٓ أَحَدٞ مِّثۡلَ مَآ أُوتِيتُمۡ أَوۡ يُحَآجُّوكُمۡ عِندَ رَبِّكُمۡۗ قُلۡ إِنَّ ٱلۡفَضۡلَ بِيَدِ ٱللَّهِ يُؤۡتِيهِ مَن يَشَآءُۗ وَٱللَّهُ وَٰسِعٌ عَلِيمٞ
Neiz yeh log aapas mein kehte hain ke apne mazhab waley ke siwa kisi ki baat na maano. Aey Nabi! Insey kehdo ke, “asal mein hidayat to Allah ki hidayat hai aur yeh usi ki dain hai ke kisi ko wahi kuch de diya jaye jo kabhi tumko diya gaya tha, ya yeh ke dusron ko tumhare Rubb ke huzoor pesh karne ke liye tumhare khilaf koi hujjat mil jaye. “(Aey Nabi)! Inse kaho ke, “ fazal o sharf Allah ke ikhtiyar mein hai, jisey chahe ata farmaye. Woh waseeh ul nazar hai aur sab kuch jaanta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 73
يَخۡتَصُّ بِرَحۡمَتِهِۦ مَن يَشَآءُۗ وَٱللَّهُ ذُو ٱلۡفَضۡلِ ٱلۡعَظِيمِ
Apni rehmat ke liye jisko chahta hai makhsoos karleta hai aur uska fazal bahut bada hai.”
Surah Aal-e-Imran, Verse 74
۞وَمِنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ مَنۡ إِن تَأۡمَنۡهُ بِقِنطَارٖ يُؤَدِّهِۦٓ إِلَيۡكَ وَمِنۡهُم مَّنۡ إِن تَأۡمَنۡهُ بِدِينَارٖ لَّا يُؤَدِّهِۦٓ إِلَيۡكَ إِلَّا مَا دُمۡتَ عَلَيۡهِ قَآئِمٗاۗ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَالُواْ لَيۡسَ عَلَيۡنَا فِي ٱلۡأُمِّيِّـۧنَ سَبِيلٞ وَيَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ وَهُمۡ يَعۡلَمُونَ
Ehle kitab mein koi to aisa hai ke agar tum uske aitamaad(bharose) par maal o daulat ka ek dhair bhi dedo to woh tumhara maal tumhein ada kardega, aur kisi ka haal yeh hai ke agar tum ek dinar ke maamle mein bhi uspar bharosa karo to woh ada na karega, illa yeh ke tum uske sar par sawar ho jao, unki is akhlaqi haalat ka sabab yeh hai ke woh kehte hain, “ummiyon (gair yahudi logon) ke maamle mein humpar koi mwazkhza (blame) nahin hai” aur yeh baat woh mehaz jhoot ghadh kar Allah ki taraf mansoob karte hai, halaanke unhein maloom hai ke Allah ne aisi koi baat nahin farmayi hai.( Aakhir kyun unse baaz purs na hogi)
Surah Aal-e-Imran, Verse 75
بَلَىٰۚ مَنۡ أَوۡفَىٰ بِعَهۡدِهِۦ وَٱتَّقَىٰ فَإِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُتَّقِينَ
Jo bhi apne ahad ko poora karega aur burayi se bachkar rahega woh Allah ka mehboob banega, kyunke parheizgaar log Allah ko pasand hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 76
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَشۡتَرُونَ بِعَهۡدِ ٱللَّهِ وَأَيۡمَٰنِهِمۡ ثَمَنٗا قَلِيلًا أُوْلَـٰٓئِكَ لَا خَلَٰقَ لَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ وَلَا يُكَلِّمُهُمُ ٱللَّهُ وَلَا يَنظُرُ إِلَيۡهِمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ وَلَا يُزَكِّيهِمۡ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Rahey woh log jo Allah ke ahad aur apne kasamo ko thodi keemat par bech daalte hain, to unke liye aakhirat mein koi hissa nahin, Allah qayamat ke roz na unse baat karega na unki taraf dekhega aur na unhein paak karega, balke unke liye to sakht dardnaak saza hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 77
وَإِنَّ مِنۡهُمۡ لَفَرِيقٗا يَلۡوُۥنَ أَلۡسِنَتَهُم بِٱلۡكِتَٰبِ لِتَحۡسَبُوهُ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَمَا هُوَ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَيَقُولُونَ هُوَ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِ وَمَا هُوَ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِۖ وَيَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ وَهُمۡ يَعۡلَمُونَ
Unmein kuch log aise hain jo kitab padhte huey is tarah zubaan ka ulat pher karte hain ke tum samjho jo kuch woh padh rahey hain woh kitab hi ki ibarat hai, halaanke woh kitab ki ibarat nahin hoti. Woh kehte hain ke yeh jo kuch hum padh rahey hain yeh khuda ki taraf se hai, halaanke woh khuda ki taraf se nahin hota. Woh jaan boojh kar jhoot baat Allah ki taraf mansoob kardete hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 78
مَا كَانَ لِبَشَرٍ أَن يُؤۡتِيَهُ ٱللَّهُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحُكۡمَ وَٱلنُّبُوَّةَ ثُمَّ يَقُولَ لِلنَّاسِ كُونُواْ عِبَادٗا لِّي مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلَٰكِن كُونُواْ رَبَّـٰنِيِّـۧنَ بِمَا كُنتُمۡ تُعَلِّمُونَ ٱلۡكِتَٰبَ وَبِمَا كُنتُمۡ تَدۡرُسُونَ
Kisi Insaan ka yeh kaam nahin hai ke Allah to usko kitab aur hukum aur nabuwat ata farmaye aur woh logon se kahey ke Allah ke bajaye tum mere banday ban jao. Woh to yahi kahega ke sacchey Rabbani bano jaisa ke is kitab ki taleem ka taqaza hai jisey tum padhte aur padhate ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 79
وَلَا يَأۡمُرَكُمۡ أَن تَتَّخِذُواْ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةَ وَٱلنَّبِيِّـۧنَ أَرۡبَابًاۚ أَيَأۡمُرُكُم بِٱلۡكُفۡرِ بَعۡدَ إِذۡ أَنتُم مُّسۡلِمُونَ
Woh tumse hargiz yeh na kahega ke Farishton ko ya paigambaron ko apna Rubb bana lo, kya yeh mumkin hai ke ek Nabi tumhein kufr ka hukum de jab ke tum Muslim ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 80
وَإِذۡ أَخَذَ ٱللَّهُ مِيثَٰقَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ لَمَآ ءَاتَيۡتُكُم مِّن كِتَٰبٖ وَحِكۡمَةٖ ثُمَّ جَآءَكُمۡ رَسُولٞ مُّصَدِّقٞ لِّمَا مَعَكُمۡ لَتُؤۡمِنُنَّ بِهِۦ وَلَتَنصُرُنَّهُۥۚ قَالَ ءَأَقۡرَرۡتُمۡ وَأَخَذۡتُمۡ عَلَىٰ ذَٰلِكُمۡ إِصۡرِيۖ قَالُوٓاْ أَقۡرَرۡنَاۚ قَالَ فَٱشۡهَدُواْ وَأَنَا۠ مَعَكُم مِّنَ ٱلشَّـٰهِدِينَ
Yaad karo , Allah ne paigambaron se ahad liya tha ke, “aaj humne tumhein kitab aur hikmat o Danish se Nawaza hai, kal agar koi doosra Rasool tumhare paas usi taleem ki tasdeeq karta hua aaye jo pehle se tumhare paas maujood hai, to tumko uspar iman lana hoga aur uski madad karni hogi”. Yeh irshad farma kar Allah be pucha, “kya tum iska iqrar karte ho aur ispar meri taraf se ahad ki bhari zimmedari uthate ho?” Unhon ne kaha haan hum iqrar karte hain, Allah ne farmaya, “accha to gawah raho aur main bhi tumhare saath gawaah hoon
Surah Aal-e-Imran, Verse 81
فَمَن تَوَلَّىٰ بَعۡدَ ذَٰلِكَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
Iske baad jo apne ahad se phir jaye wahi faasiq hai”
Surah Aal-e-Imran, Verse 82
أَفَغَيۡرَ دِينِ ٱللَّهِ يَبۡغُونَ وَلَهُۥٓ أَسۡلَمَ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ طَوۡعٗا وَكَرۡهٗا وَإِلَيۡهِ يُرۡجَعُونَ
Ab kya yeh log Allah ki itaat ka tareeqa (deen Allah) chodh kar koi aur tareeqa chahte hain? Halaanke asmaan o zameen ki saari cheezein char o nachaar (willingly or un willingly) Allah hi ki taabeh farmaan (Muslim) hain aur usi ki taraf sabko palatna hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 83
قُلۡ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَمَآ أُنزِلَ عَلَيۡنَا وَمَآ أُنزِلَ عَلَىٰٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَإِسۡمَٰعِيلَ وَإِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَ وَٱلۡأَسۡبَاطِ وَمَآ أُوتِيَ مُوسَىٰ وَعِيسَىٰ وَٱلنَّبِيُّونَ مِن رَّبِّهِمۡ لَا نُفَرِّقُ بَيۡنَ أَحَدٖ مِّنۡهُمۡ وَنَحۡنُ لَهُۥ مُسۡلِمُونَ
(Aey Nabi)! Kaho ke “ hum Allah ko maante hain, us taleem ko maante hain jo humpar nazil ki gayi hai, un taleemat ko bhi maante hain jo Ibrahim, Ismael, Ishaq, Yaqub aur aulad e Yaqub par nazil hui thi aur un hidayaat par bhi iman rakhte hain jo Moosa aur Isa aur dusre paigambaron ko unke Rubb ki taraf se di gayi. Hum inke darmiyan farq nahin karte aur hum Allah ke taabey farmaan (Muslim) hain”
Surah Aal-e-Imran, Verse 84
وَمَن يَبۡتَغِ غَيۡرَ ٱلۡإِسۡلَٰمِ دِينٗا فَلَن يُقۡبَلَ مِنۡهُ وَهُوَ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
Is farmabardari (Islam) ke siwa jo shaks koi aur tareeqa ikhtiyar karna chahe uska woh tareeqa hargiz qabool na kiya jayega aur aakhirat mein woh nakaam o na-murad rahega
Surah Aal-e-Imran, Verse 85
كَيۡفَ يَهۡدِي ٱللَّهُ قَوۡمٗا كَفَرُواْ بَعۡدَ إِيمَٰنِهِمۡ وَشَهِدُوٓاْ أَنَّ ٱلرَّسُولَ حَقّٞ وَجَآءَهُمُ ٱلۡبَيِّنَٰتُۚ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Kaise ho sakta hai ke Allah un logon o hidayat bakshe jinhon ne niyamat e iman paa lene ke baad phir kufr ikhtiyar kiya halaanke woh khud is baat par gawahi de chuke hain ke yeh Rasool haqq par hai aur inke paas roshan nishaniyan bhi aa chuki hain, Allah zalimon ko to hidayat nahin diya karta
Surah Aal-e-Imran, Verse 86
أُوْلَـٰٓئِكَ جَزَآؤُهُمۡ أَنَّ عَلَيۡهِمۡ لَعۡنَةَ ٱللَّهِ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ وَٱلنَّاسِ أَجۡمَعِينَ
Unke zulm ka saheeh badla yahi hai ke unpar Allah aur Farishton aur tamaam Insaano ki phitkar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 87
خَٰلِدِينَ فِيهَا لَا يُخَفَّفُ عَنۡهُمُ ٱلۡعَذَابُ وَلَا هُمۡ يُنظَرُونَ
Isi halat mein woh hamesha rahenge, na unki saza mein takhfif(kami) hogi aur na unhein mohlat di jayegi
Surah Aal-e-Imran, Verse 88
إِلَّا ٱلَّذِينَ تَابُواْ مِنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَ وَأَصۡلَحُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٌ
Albatta woh log bach jayenge jo iske baad tawba karke apne tarz e amal ki islah karlein, Allah bakhsne wala aur reham farmane wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 89
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بَعۡدَ إِيمَٰنِهِمۡ ثُمَّ ٱزۡدَادُواْ كُفۡرٗا لَّن تُقۡبَلَ تَوۡبَتُهُمۡ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلضَّآلُّونَ
Magar jin logon ne iman laney ke baad kufr ikhtiyar kiya phir apne kufr mein badhte chale gaye unki tawba bhi qabool na hogi, aisey log to pakke gumraah hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 90
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَمَاتُواْ وَهُمۡ كُفَّارٞ فَلَن يُقۡبَلَ مِنۡ أَحَدِهِم مِّلۡءُ ٱلۡأَرۡضِ ذَهَبٗا وَلَوِ ٱفۡتَدَىٰ بِهِۦٓۗ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ وَمَا لَهُم مِّن نَّـٰصِرِينَ
Yaqeen rakkho, jin logon ne kufr ikhtiyar kiya aur kufr hi ki haalat mein jaan di unmein se koi agar apne aap ko saza se bachane ke liye rooh-e-zameen bhar kar bhi sona(gold) fidye (expiation) mein de to usey qabool na kiya jayege, aisey logon ke liye dardnaak saza tayyar hai aur woh apna koi madadgaar na payenge
Surah Aal-e-Imran, Verse 91
لَن تَنَالُواْ ٱلۡبِرَّ حَتَّىٰ تُنفِقُواْ مِمَّا تُحِبُّونَۚ وَمَا تُنفِقُواْ مِن شَيۡءٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ بِهِۦ عَلِيمٞ
Tum neki ko nahin pahunch sakte jab tak ke apni woh cheezein (khuda ki raah mein) kharch na karo jinhein tum azeez rakthe to, aur jo kuch tum kharch karoge Allah ussey be khabar na hoga
Surah Aal-e-Imran, Verse 92
۞كُلُّ ٱلطَّعَامِ كَانَ حِلّٗا لِّبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ إِلَّا مَا حَرَّمَ إِسۡرَـٰٓءِيلُ عَلَىٰ نَفۡسِهِۦ مِن قَبۡلِ أَن تُنَزَّلَ ٱلتَّوۡرَىٰةُۚ قُلۡ فَأۡتُواْ بِٱلتَّوۡرَىٰةِ فَٱتۡلُوهَآ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Khane ki yeh saari cheezein (jo shariyat e Muhammadi mein halal hain) bani Israel ke liye bhi halal thi, albatta baaz chezein aisi thi jinhein Tourat ke nazil kiye janey se pehle Israel (Yakub) ne khud apne upar haraam karliya tha. Unsey kaho, agar tum (apne aitraaz mein) sacchey ho to lao Taurat aur pesh karo uski koi ibarat
Surah Aal-e-Imran, Verse 93
فَمَنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ مِنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Iske baad bhi jo log apni jhooti ghadi hui baatein Allah ki taraf mansoob karte rahein wahi dar-haqeeqat zalim hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 94
قُلۡ صَدَقَ ٱللَّهُۗ فَٱتَّبِعُواْ مِلَّةَ إِبۡرَٰهِيمَ حَنِيفٗاۖ وَمَا كَانَ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Kaho, Allah ne jo kuch farmaya hai sach farmaya hai. Tumko yaksu hokar Ibrahim ke tareeqe ki pairwi karni chahiye, aur Ibrahim shirk karne walon mein se na tha
Surah Aal-e-Imran, Verse 95
إِنَّ أَوَّلَ بَيۡتٖ وُضِعَ لِلنَّاسِ لَلَّذِي بِبَكَّةَ مُبَارَكٗا وَهُدٗى لِّلۡعَٰلَمِينَ
Beshak sabse pehli ibadat-gaah jo Insaano ke liye tameer hui woh wahi hai jo Makkah mein waqeh hai, usko khair o barakat di gayi thi aur tamaam jahaan walon ke liye markaz e hidayat banaya gaya tha
Surah Aal-e-Imran, Verse 96
فِيهِ ءَايَٰتُۢ بَيِّنَٰتٞ مَّقَامُ إِبۡرَٰهِيمَۖ وَمَن دَخَلَهُۥ كَانَ ءَامِنٗاۗ وَلِلَّهِ عَلَى ٱلنَّاسِ حِجُّ ٱلۡبَيۡتِ مَنِ ٱسۡتَطَاعَ إِلَيۡهِ سَبِيلٗاۚ وَمَن كَفَرَ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَنِيٌّ عَنِ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Ismein khuli hui nishaniyan hain, Ibrahim ka muqaam e ibadat hai, aur iska haal yeh hai ke jo ismein dakhil hua mamoon(secure) ho gaya. Logon par Allah ka yeh haqq hai ke jo is ghar tak pahuchne ki istitaat rakhta ho woh iska hajj karey, aur jo koi is hukum ki pairwi se inkar karey to usey maloom ho jana chahiye ke Allah tamaam duniya walon se be-niyaz hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 97
قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لِمَ تَكۡفُرُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَٱللَّهُ شَهِيدٌ عَلَىٰ مَا تَعۡمَلُونَ
Kaho, aey ehle kitab! Tum kyun Allah ki baatein maanne se inkar karte ho? Jo harkatein tum kar rahey ho Allah sab kuch dekh raha hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 98
قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لِمَ تَصُدُّونَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ مَنۡ ءَامَنَ تَبۡغُونَهَا عِوَجٗا وَأَنتُمۡ شُهَدَآءُۗ وَمَا ٱللَّهُ بِغَٰفِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُونَ
Kaho, aey ehle kitab! yeh tumhari kya rawish hai ke jo Allah ki baat maanta hai usey bhi tum Allah ke raaste se rokte ho aur chahte ho ke woh tedhi raah chale, halaanke tum khud (iske raah e raast honay par) gawah ho. Tumhari harkaton se Allah gaafil nahin hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 99
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِن تُطِيعُواْ فَرِيقٗا مِّنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ يَرُدُّوكُم بَعۡدَ إِيمَٰنِكُمۡ كَٰفِرِينَ
Aey logon jo iman laye ho, agar tumne in ehle kitab mein se ek giroh ki baat maani to yeh tumhein iman se phir kufr ki taraf pher le jayenge
Surah Aal-e-Imran, Verse 100
وَكَيۡفَ تَكۡفُرُونَ وَأَنتُمۡ تُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتُ ٱللَّهِ وَفِيكُمۡ رَسُولُهُۥۗ وَمَن يَعۡتَصِم بِٱللَّهِ فَقَدۡ هُدِيَ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Tumhare liye kufr ki taraf janey ka ab kya mauqa baki hai jabke tumko Allah ki aayat sunayi jaa rahi hain aur tumhare darmiyan uska Rasool maujood hai? Jo Allah ka daaman mazbooti ke saath thaamega woh zaroor raah e raast payega
Surah Aal-e-Imran, Verse 101
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ حَقَّ تُقَاتِهِۦ وَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسۡلِمُونَ
Aey logon jo iman laye ho, Allah se daro jaisa ke ussey darne ka haqq hai, tumko maut na aaye magar is haal mein ke tum Muslim ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 102
وَٱعۡتَصِمُواْ بِحَبۡلِ ٱللَّهِ جَمِيعٗا وَلَا تَفَرَّقُواْۚ وَٱذۡكُرُواْ نِعۡمَتَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ إِذۡ كُنتُمۡ أَعۡدَآءٗ فَأَلَّفَ بَيۡنَ قُلُوبِكُمۡ فَأَصۡبَحۡتُم بِنِعۡمَتِهِۦٓ إِخۡوَٰنٗا وَكُنتُمۡ عَلَىٰ شَفَا حُفۡرَةٖ مِّنَ ٱلنَّارِ فَأَنقَذَكُم مِّنۡهَاۗ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَهۡتَدُونَ
Sab milkar Allah ki rassi ko mazboot pakad lo aur tafraqe (divide) mein na pado. Allah ke us ehsan ko yaad rakkho jo usne tumpar kiya hai, tum ek dusre ke dusman thay, usne tumhare dil joad diye aur uske fazal o karam se tum bhai bhai ban gaye. Tum aag se bhare huey ek gadhe (pit) ke kinare khade thay, Allah ne tumko ussey bacha liya, is tarah Allah apni nishaniyan tumhare saamne roshan karta hai shayad ke in alamaton se tumhein apni falaah ka seedha raasta nazar aa jaye
Surah Aal-e-Imran, Verse 103
وَلۡتَكُن مِّنكُمۡ أُمَّةٞ يَدۡعُونَ إِلَى ٱلۡخَيۡرِ وَيَأۡمُرُونَ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَيَنۡهَوۡنَ عَنِ ٱلۡمُنكَرِۚ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
Tum mein kuch log to aisey zaroor hi rehne chahiye jo neki ki taraf bulayein, bhalayi ka hukum dein, aur burayion se roakte rahein, jo log yeh kaam karenge wahi falaah payenge
Surah Aal-e-Imran, Verse 104
وَلَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ تَفَرَّقُواْ وَٱخۡتَلَفُواْ مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَهُمُ ٱلۡبَيِّنَٰتُۚ وَأُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٞ
Kahin tum un logon ki tarah na ho jana jo firqon mein batt gaye aur khuli khuli wazeh hidayaat paney ke baad phir ikhtilafaat mein mubtila huey. Jinhon ne yeh rawish ikhtiyar ki woh us roz sakht saza payenge
Surah Aal-e-Imran, Verse 105
يَوۡمَ تَبۡيَضُّ وُجُوهٞ وَتَسۡوَدُّ وُجُوهٞۚ فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ٱسۡوَدَّتۡ وُجُوهُهُمۡ أَكَفَرۡتُم بَعۡدَ إِيمَٰنِكُمۡ فَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡفُرُونَ
Jabke kuch log surkhru (bright) hongey aur kuch ka mooh kala hoga, jinka mooh kala hoga (unse kaha jayega ke) niyamat e iman paney ke baad bhi tumne kaafirana rawayya ikhtiyar kiya? Accha to ab is kufraan e niyamat ke siley mein azaab ka maza chakkho
Surah Aal-e-Imran, Verse 106
وَأَمَّا ٱلَّذِينَ ٱبۡيَضَّتۡ وُجُوهُهُمۡ فَفِي رَحۡمَةِ ٱللَّهِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Rahey woh log jinke chehre roshan hongay to unko Allah ke daaman e rehmat mein jagah milegi aur hamesha woh isi haalat mein rahenge
Surah Aal-e-Imran, Verse 107
تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱللَّهِ نَتۡلُوهَا عَلَيۡكَ بِٱلۡحَقِّۗ وَمَا ٱللَّهُ يُرِيدُ ظُلۡمٗا لِّلۡعَٰلَمِينَ
Yeh Allah ke irshadaat hain jo hum tumhein theek theek suna rahey hain kyunke Allah duniya walon par zulm karne ka koi irada nahin rakhta
Surah Aal-e-Imran, Verse 108
وَلِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَإِلَى ٱللَّهِ تُرۡجَعُ ٱلۡأُمُورُ
Zameen o asmaan ki sari cheezon ka maalik Allah hai aur sarey maamlaat Allah hi ke huzoor pesh hotey hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 109
كُنتُمۡ خَيۡرَ أُمَّةٍ أُخۡرِجَتۡ لِلنَّاسِ تَأۡمُرُونَ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَتَنۡهَوۡنَ عَنِ ٱلۡمُنكَرِ وَتُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِۗ وَلَوۡ ءَامَنَ أَهۡلُ ٱلۡكِتَٰبِ لَكَانَ خَيۡرٗا لَّهُمۚ مِّنۡهُمُ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ وَأَكۡثَرُهُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
Ab duniya mein woh behtareen giroh tum ho jisey Insano ki hidayat o Islah ke liye maidan mein laya gaya hai, tum neki ka hukum dete ho, badi (burayi) se roakte ho aur Allah par iman rakhte ho. Yeh ehle kitab iman latey to inhi ke haqq mein behtar tha, agarchey inmein kuch log imandaar bhi paye jatey hain magar inke beshtar (aksar) afraad nafarmaan hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 110
لَن يَضُرُّوكُمۡ إِلَّآ أَذٗىۖ وَإِن يُقَٰتِلُوكُمۡ يُوَلُّوكُمُ ٱلۡأَدۡبَارَ ثُمَّ لَا يُنصَرُونَ
Yeh tumhara kuch bigaad nahin sakte, zyada se zyada bas kuch sataa sakte hain, agar yeh tumse ladenge to muqable mein peet dikhayenge, phir aisey bebas honge ke kahin se inko madad na milegi
Surah Aal-e-Imran, Verse 111
ضُرِبَتۡ عَلَيۡهِمُ ٱلذِّلَّةُ أَيۡنَ مَا ثُقِفُوٓاْ إِلَّا بِحَبۡلٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَحَبۡلٖ مِّنَ ٱلنَّاسِ وَبَآءُو بِغَضَبٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَضُرِبَتۡ عَلَيۡهِمُ ٱلۡمَسۡكَنَةُۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ كَانُواْ يَكۡفُرُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَيَقۡتُلُونَ ٱلۡأَنۢبِيَآءَ بِغَيۡرِ حَقّٖۚ ذَٰلِكَ بِمَا عَصَواْ وَّكَانُواْ يَعۡتَدُونَ
Yeh jahan bhi paye gaye inpar zillat ki maar hi padi, kahin Allah ke zimme ya Insaano ke zimme mein panaah mil gayi to yeh aur baat hai, yeh Allah ke gazab mein ghir chuke hain, inpar mohtaji o magloobi musallat kardi gayi hai (Allah's wrath, and humiliation is stuck upon them), aur yeh sabkuch sirf is wajah se hua hai ke yeh Allah ki aayat se kufr karte rahey aur inhon ne paigambaron ko na-haqq qatal kiya. Yeh inki nafarmaniyon aur zyadatiyon ka anjam hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 112
۞لَيۡسُواْ سَوَآءٗۗ مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ أُمَّةٞ قَآئِمَةٞ يَتۡلُونَ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ ءَانَآءَ ٱلَّيۡلِ وَهُمۡ يَسۡجُدُونَ
Magar sarey ehle kitab yaksan nahin hain, inmein kuch log aisey bhi hain jo raah e raast par qayam hain, raaton ko Allah ki ayaat padhte hain aur uske aagey sajdarez hotey hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 113
يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَيَأۡمُرُونَ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَيَنۡهَوۡنَ عَنِ ٱلۡمُنكَرِ وَيُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡخَيۡرَٰتِۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ مِنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
Allah aur roz e aakhirt par iman rakhte hain, neki ka hukum dete hain, buraiyon se roakte hain aur bhalayi ke kaamon mein sargarm rehte hain, yeh saleh log hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 114
وَمَا يَفۡعَلُواْ مِنۡ خَيۡرٖ فَلَن يُكۡفَرُوهُۗ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِٱلۡمُتَّقِينَ
Aur jo neki bhi yeh karenge uski na-qadari na ki jayegi, Allah parheizgaar logon ko khoob jaanta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 115
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَن تُغۡنِيَ عَنۡهُمۡ أَمۡوَٰلُهُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُهُم مِّنَ ٱللَّهِ شَيۡـٔٗاۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Rahey woh log jinhon ne kufr ka rawayya ikhtiyar kiya to Allah ke muqable mein unko na unka maal kuch kaam dega na aulad, woh to aag mein janey waley log hain aur aag hi mein hamesha rahenge
Surah Aal-e-Imran, Verse 116
مَثَلُ مَا يُنفِقُونَ فِي هَٰذِهِ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا كَمَثَلِ رِيحٖ فِيهَا صِرٌّ أَصَابَتۡ حَرۡثَ قَوۡمٖ ظَلَمُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ فَأَهۡلَكَتۡهُۚ وَمَا ظَلَمَهُمُ ٱللَّهُ وَلَٰكِنۡ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ
Jo kuch woh apni is duniya ki zindagi mein kharch kar rahey hain uski misaal us hawa ki si hai jismein pala ho (accompanied with frost) aur woh un logon ki kheti par chale jinhon ne apne upar aap zulm kiya hai aur usey barbaad karke rakhde, Allah ne inpar zulm nahin kiya, darhaqeeqat yeh khud apne upar zulm kar rahey hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 117
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ بِطَانَةٗ مِّن دُونِكُمۡ لَا يَأۡلُونَكُمۡ خَبَالٗا وَدُّواْ مَا عَنِتُّمۡ قَدۡ بَدَتِ ٱلۡبَغۡضَآءُ مِنۡ أَفۡوَٰهِهِمۡ وَمَا تُخۡفِي صُدُورُهُمۡ أَكۡبَرُۚ قَدۡ بَيَّنَّا لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِۖ إِن كُنتُمۡ تَعۡقِلُونَ
Aey logon jo iman laye ho, apni jamaat ke logon ke siwa dusron ko apna raazdaar na banao, woh tumhari kharabi ke kisi mauqe se faiyda uthane mein nahin chukte, tumhein jis cheez se nuqsan pahunche wahi unko mehboob hai, unke dil ka bugz unke mooh se nikla padhta hai aur jo kuch woh apne seeno mein chupaye huey hain woh issey shadeed-tar hai. Humne tumhein saaf saaf hidayaat de di hain, agar tum aqal rakhte ho (to unsey taaluq rakhne mein ehtiyat bartoge)
Surah Aal-e-Imran, Verse 118
هَـٰٓأَنتُمۡ أُوْلَآءِ تُحِبُّونَهُمۡ وَلَا يُحِبُّونَكُمۡ وَتُؤۡمِنُونَ بِٱلۡكِتَٰبِ كُلِّهِۦ وَإِذَا لَقُوكُمۡ قَالُوٓاْ ءَامَنَّا وَإِذَا خَلَوۡاْ عَضُّواْ عَلَيۡكُمُ ٱلۡأَنَامِلَ مِنَ ٱلۡغَيۡظِۚ قُلۡ مُوتُواْ بِغَيۡظِكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
Tum unse muhabbat rakhte ho magar woh tumse muhabbat nahin rakhte, halaanke tum tamaam kutoob e asmaani ko maante ho. Jab woh tumse milte hain to kehte hain ke humne bhi (tumhare Rasool aur tumhari kitab ko) maan liya hai, magar jab juda hotey hain to tumhare khilaf unke gaiz o gazab ka yeh haal hota hai ke apni ungliyan chabane lagte hain. Unsey kehdo ke apne gussey mein aap jal maro, Allah dilon ke chupey huey raaz tak jaanta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 119
إِن تَمۡسَسۡكُمۡ حَسَنَةٞ تَسُؤۡهُمۡ وَإِن تُصِبۡكُمۡ سَيِّئَةٞ يَفۡرَحُواْ بِهَاۖ وَإِن تَصۡبِرُواْ وَتَتَّقُواْ لَا يَضُرُّكُمۡ كَيۡدُهُمۡ شَيۡـًٔاۗ إِنَّ ٱللَّهَ بِمَا يَعۡمَلُونَ مُحِيطٞ
Tumhara bhala hota hai to unko bura maloom hota hai, aur tumpar koi museebat aati hai to yeh khush hotey hain, magar inki koi tadbeer tumhare khilaf kaargar nahin ho sakti basharth yeh ke tum sabr se kaam lo aur Allah se darr kar kaam karte raho. Jo kuch yeh kar rahey hain Allah uspar haawi hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 120
وَإِذۡ غَدَوۡتَ مِنۡ أَهۡلِكَ تُبَوِّئُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ مَقَٰعِدَ لِلۡقِتَالِۗ وَٱللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٌ
(Aey paigambar! Musalmano ke samne us mauqe ka zikr karo) jab tum subah sawere apne ghar se nikle thay aur ( Uhud ke maidan mein) musalmaano ko jung ke liye ja-baja mamoor (placed the believers in battle arrays) kar rahey thay , Allah saari baatein sunta hai aur woh nihayat bakhabar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 121
إِذۡ هَمَّت طَّآئِفَتَانِ مِنكُمۡ أَن تَفۡشَلَا وَٱللَّهُ وَلِيُّهُمَاۗ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
Yaad karo jab tum mein se do giroh buzdili dikhane par aamaada ho gaye thay, halaanke Allah unki madad par maujood tha aur mominon ko Allah hi par bharosa rakhna chahiye
Surah Aal-e-Imran, Verse 122
وَلَقَدۡ نَصَرَكُمُ ٱللَّهُ بِبَدۡرٖ وَأَنتُمۡ أَذِلَّةٞۖ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Aakhir issey pehle jung e badr mein Allah tumhari madad kar chuka tha , halaanke us waqt tum bahut kamzoar thay, lihaza tumko chahiye ke Allah ki nashukri se bacho, umeed hai ke ab tum shukarguzar banoge
Surah Aal-e-Imran, Verse 123
إِذۡ تَقُولُ لِلۡمُؤۡمِنِينَ أَلَن يَكۡفِيَكُمۡ أَن يُمِدَّكُمۡ رَبُّكُم بِثَلَٰثَةِ ءَالَٰفٖ مِّنَ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ مُنزَلِينَ
Yaad karo jab tum momino se keh rahey thay, “ kya tumhare liye yeh baat kafi nahin ke Allah teen hazaar farishte utar kar tumhari madad karey?”
Surah Aal-e-Imran, Verse 124
بَلَىٰٓۚ إِن تَصۡبِرُواْ وَتَتَّقُواْ وَيَأۡتُوكُم مِّن فَوۡرِهِمۡ هَٰذَا يُمۡدِدۡكُمۡ رَبُّكُم بِخَمۡسَةِ ءَالَٰفٖ مِّنَ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ مُسَوِّمِينَ
Beshak, Agar tum sabr karo aur khuda se darte huey kaam karo to jis aan dushman tumhare upar chadh kar aayenge usi aan tumhara Rubb (teen hazaar nahin) paanch hazaar saahib e nishan farishton se tumhari madad karega
Surah Aal-e-Imran, Verse 125
وَمَا جَعَلَهُ ٱللَّهُ إِلَّا بُشۡرَىٰ لَكُمۡ وَلِتَطۡمَئِنَّ قُلُوبُكُم بِهِۦۗ وَمَا ٱلنَّصۡرُ إِلَّا مِنۡ عِندِ ٱللَّهِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَكِيمِ
Yeh baat Allah ne tumhein isliye bata di hai ke tum khush ho jao aur tumhare dil mutmaeen ho jayein, fatah o nusrat jo kuch bhi hai Allah ki taraf se hai jo badi quwwat wala aur dana o beena hai (the All-Mighty, the All-Wise)
Surah Aal-e-Imran, Verse 126
لِيَقۡطَعَ طَرَفٗا مِّنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَوۡ يَكۡبِتَهُمۡ فَيَنقَلِبُواْ خَآئِبِينَ
(Aur yeh madad woh tumhein isliye dega) taa-ke kufr ki raah chalne waalon ka ek bazu kaat de, ya unko aisi zaleel shikast de ke woh na-muradi ke saath paspan ho jayein
Surah Aal-e-Imran, Verse 127
لَيۡسَ لَكَ مِنَ ٱلۡأَمۡرِ شَيۡءٌ أَوۡ يَتُوبَ عَلَيۡهِمۡ أَوۡ يُعَذِّبَهُمۡ فَإِنَّهُمۡ ظَٰلِمُونَ
(Aey paigambar) faisle ke ikhtiyaraat mein tumhara koi hissa nahin, Allah ko ikhtiyar hai chahey unhein maaf karey chahey saza de, kyunke woh zalim hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 128
وَلِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ يَغۡفِرُ لِمَن يَشَآءُ وَيُعَذِّبُ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Zameen aur asmaano mein jo kuch hai uska Maalik Allah hai, jisko chahe baksh de aur jisko chahe azaab de, woh maaf karne wala aur raheem hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 129
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَأۡكُلُواْ ٱلرِّبَوٰٓاْ أَضۡعَٰفٗا مُّضَٰعَفَةٗۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
Aey logon jo iman laye ho , yeh badhta aur chadhta sood (usury) khana chodh do aur Allah se daro, umeed hai ke falaah paogey
Surah Aal-e-Imran, Verse 130
وَٱتَّقُواْ ٱلنَّارَ ٱلَّتِيٓ أُعِدَّتۡ لِلۡكَٰفِرِينَ
Us aag se bacho jo kafiron ke liye muhaiyya ki gayi hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 131
وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَ لَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُونَ
Aur Allah aur Rasool ka hukum maan lo, tawaqqu hai ke tumpar reham kiya jayega
Surah Aal-e-Imran, Verse 132
۞وَسَارِعُوٓاْ إِلَىٰ مَغۡفِرَةٖ مِّن رَّبِّكُمۡ وَجَنَّةٍ عَرۡضُهَا ٱلسَّمَٰوَٰتُ وَٱلۡأَرۡضُ أُعِدَّتۡ لِلۡمُتَّقِينَ
Daud kar chalo us raah par jo tumhare Rubb ki bakshish aur us jannat ki taraf jati hai jiski wusat (vastness) zameen aur asmaano jaisi hai, aur woh un khuda-tars logon ke liye muhaiyaa ki gayi
Surah Aal-e-Imran, Verse 133
ٱلَّذِينَ يُنفِقُونَ فِي ٱلسَّرَّآءِ وَٱلضَّرَّآءِ وَٱلۡكَٰظِمِينَ ٱلۡغَيۡظَ وَٱلۡعَافِينَ عَنِ ٱلنَّاسِۗ وَٱللَّهُ يُحِبُّ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Jo har haal mein apne maal kharch karte hain khwah badh haal hon ya khush haal , jo gussey ko pee jatey hain aur dusron ke kasoor maaf kardete hain, aisey neik log Allah ko bahut pasand hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 134
وَٱلَّذِينَ إِذَا فَعَلُواْ فَٰحِشَةً أَوۡ ظَلَمُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ ذَكَرُواْ ٱللَّهَ فَٱسۡتَغۡفَرُواْ لِذُنُوبِهِمۡ وَمَن يَغۡفِرُ ٱلذُّنُوبَ إِلَّا ٱللَّهُ وَلَمۡ يُصِرُّواْ عَلَىٰ مَا فَعَلُواْ وَهُمۡ يَعۡلَمُونَ
Aur jinka haal yeh hai ke agar kabhi koi fahash kaam unse sarzad ho jata hai ya kisi gunaah ka irtikaab karke woh apne upar zulm kar baithte hain to ma’an Allah unhein yaad aa jata hai aur ussey woh apne kasooron ki maafi chahte hain, kyunke Allah ke siwa aur kaun hai jo gunaah maaf kar sakta ho aur woh deedha o daanista(wilfully persist) apne kiye par israr nahin karte
Surah Aal-e-Imran, Verse 135
أُوْلَـٰٓئِكَ جَزَآؤُهُم مَّغۡفِرَةٞ مِّن رَّبِّهِمۡ وَجَنَّـٰتٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ وَنِعۡمَ أَجۡرُ ٱلۡعَٰمِلِينَ
Aisey logon ki jazaa unke Rubb ke paas yeh hai ke woh unko maaf kardega aur aise baaghon mein unhein daakil karega jinke nichey nehrein bethi hongi aur wahan woh hamesha rahenge. Kaisa accha badla hai neik amal karne walon ke liye
Surah Aal-e-Imran, Verse 136
قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِكُمۡ سُنَنٞ فَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَٱنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُكَذِّبِينَ
Tumse pehle bahut se daur guzar chuke hain, zameen mein chal phir kar dekhlo ke un logon ka kya anjaam hua jinhon ne (Allah ke ehkam o hidayat ko) jhutlaya
Surah Aal-e-Imran, Verse 137
هَٰذَا بَيَانٞ لِّلنَّاسِ وَهُدٗى وَمَوۡعِظَةٞ لِّلۡمُتَّقِينَ
Yeh logon ke liye ek saaf aur sareeh tambeeh hai aur jo Allah se darte hon unke liye hidayat aur naseehat
Surah Aal-e-Imran, Verse 138
وَلَا تَهِنُواْ وَلَا تَحۡزَنُواْ وَأَنتُمُ ٱلۡأَعۡلَوۡنَ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Dil shikasta na ho, gham na karo , tum hi galib rahoge agar tum momin ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 139
إِن يَمۡسَسۡكُمۡ قَرۡحٞ فَقَدۡ مَسَّ ٱلۡقَوۡمَ قَرۡحٞ مِّثۡلُهُۥۚ وَتِلۡكَ ٱلۡأَيَّامُ نُدَاوِلُهَا بَيۡنَ ٱلنَّاسِ وَلِيَعۡلَمَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَيَتَّخِذَ مِنكُمۡ شُهَدَآءَۗ وَٱللَّهُ لَا يُحِبُّ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Is waqt agar tumhein chot(wound) lagi hai to issey pehle aisi hi chot tumhare mukhalif fareeq ko bhi lag chuki hai. Yeh to zamane ke nasheb o faraaz hain jinhein hum logon ke darmiyan gardish dete rehte hain, tumpar yeh waqt isliye laya gaya ke Allah dekhna chahta tha ke tum mein sacchey momin kaun hain, aur un logon ko chant lena chahta tha jo waqayi (raasti ke) gawaah hon, kyunke zalim log Allah ko pasand nahin hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 140
وَلِيُمَحِّصَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَيَمۡحَقَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Aur woh is aazmaish ke zariye se momino ko alag chant (purge )kar kafiron ki sarkobi (blot out )kardena chahta tha
Surah Aal-e-Imran, Verse 141
أَمۡ حَسِبۡتُمۡ أَن تَدۡخُلُواْ ٱلۡجَنَّةَ وَلَمَّا يَعۡلَمِ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ جَٰهَدُواْ مِنكُمۡ وَيَعۡلَمَ ٱلصَّـٰبِرِينَ
Kya tumne yeh samajh rakkha hai ke yunhi jannat mein chale jaogey halaanke abhi Allah ne yeh to dekha hi nahin ke tum mein kaun woh log hain jo uski raah mein jaanein ladane waley aur uski khatir sabr karne waley hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 142
وَلَقَدۡ كُنتُمۡ تَمَنَّوۡنَ ٱلۡمَوۡتَ مِن قَبۡلِ أَن تَلۡقَوۡهُ فَقَدۡ رَأَيۡتُمُوهُ وَأَنتُمۡ تَنظُرُونَ
Tum to maut ki tamannayein kar rahey thay ! magar yeh us waqt ki baat thi jab maut samne na aayi thi, lo ab woh tumhare samne aa gayi aur tumne usey aankhon dekh liya
Surah Aal-e-Imran, Verse 143
وَمَا مُحَمَّدٌ إِلَّا رَسُولٞ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِ ٱلرُّسُلُۚ أَفَإِيْن مَّاتَ أَوۡ قُتِلَ ٱنقَلَبۡتُمۡ عَلَىٰٓ أَعۡقَٰبِكُمۡۚ وَمَن يَنقَلِبۡ عَلَىٰ عَقِبَيۡهِ فَلَن يَضُرَّ ٱللَّهَ شَيۡـٔٗاۚ وَسَيَجۡزِي ٱللَّهُ ٱلشَّـٰكِرِينَ
Muhammad iske siwa kuch nahin ke bas ek Rasool hain, unsey pehle aur Rasool bhi guzar chuke hain. Phir kya agar woh marr jayein ya qatal kardiye jayein to tum log ultey paon phir jaogey? Yaad rakkho! Jo ulta phir gaya woh Allah ka kuch nuksaan na karega, albatta jo Allah ke shukarguzar banday bankar rahenge unhein woh iski jaza dega
Surah Aal-e-Imran, Verse 144
وَمَا كَانَ لِنَفۡسٍ أَن تَمُوتَ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِ كِتَٰبٗا مُّؤَجَّلٗاۗ وَمَن يُرِدۡ ثَوَابَ ٱلدُّنۡيَا نُؤۡتِهِۦ مِنۡهَا وَمَن يُرِدۡ ثَوَابَ ٱلۡأٓخِرَةِ نُؤۡتِهِۦ مِنۡهَاۚ وَسَنَجۡزِي ٱلشَّـٰكِرِينَ
Koi zi rooh Allah ke izan ke bagair nahin marr sakta. Maut ka waqt to likha hua hai, jo shaks sawab e duniya ke irade se kaam karega usko hum duniya hi mein se denge, aur jo sawab e aakhirat ke irade se kaam karega woh aakhirat ka sawab payega aur shukar karne walon ko hum unki jaza zaroor ata karenge
Surah Aal-e-Imran, Verse 145
وَكَأَيِّن مِّن نَّبِيّٖ قَٰتَلَ مَعَهُۥ رِبِّيُّونَ كَثِيرٞ فَمَا وَهَنُواْ لِمَآ أَصَابَهُمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَمَا ضَعُفُواْ وَمَا ٱسۡتَكَانُواْۗ وَٱللَّهُ يُحِبُّ ٱلصَّـٰبِرِينَ
Issey pehle kitne hi Nabi aisey guzar chuke hain jinke saath milkar bahut se khuda paraston ne jung ki, Allah ki raah mein jo museebatein unpar padin unse woh dil shikashta nahin huey, unhon ne kamzori nahin dikhayi, woh ( baatil ke aagey) sarnagon (abase) nahin huey, aisey hi saabiron ko Allah pasand karta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 146
وَمَا كَانَ قَوۡلَهُمۡ إِلَّآ أَن قَالُواْ رَبَّنَا ٱغۡفِرۡ لَنَا ذُنُوبَنَا وَإِسۡرَافَنَا فِيٓ أَمۡرِنَا وَثَبِّتۡ أَقۡدَامَنَا وَٱنصُرۡنَا عَلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Unki dua bas yeh thi ke “aey hamare Rubb! Hamari galatiyon aur kotahiyon se darguzar farma, hamare kaam mein tere hudood se jo kuch tajawuz ho gaya ho usey maaf karde, hamare qadam jamaa de aur kafiron ke muqable mein hamari madad kar.”
Surah Aal-e-Imran, Verse 147
فَـَٔاتَىٰهُمُ ٱللَّهُ ثَوَابَ ٱلدُّنۡيَا وَحُسۡنَ ثَوَابِ ٱلۡأٓخِرَةِۗ وَٱللَّهُ يُحِبُّ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Aakhir e kaar Allah ne unko duniya ka sawab bhi diya aur issey behtar sawab e aakhirat bhi ata kiya. Allah ko aisey hi neik amal log pasand hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 148
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِن تُطِيعُواْ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يَرُدُّوكُمۡ عَلَىٰٓ أَعۡقَٰبِكُمۡ فَتَنقَلِبُواْ خَٰسِرِينَ
Aey logon jo iman laye ho, agar tum un logon ke isharon par chaloge jinhon ne kufr ki raah ikhtiyar ki hai to woh tumko ulta pher le jayenge aur tum na-murad ho jaogey
Surah Aal-e-Imran, Verse 149
بَلِ ٱللَّهُ مَوۡلَىٰكُمۡۖ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلنَّـٰصِرِينَ
(Unki baatein galat hain) haqeeqat yeh hai ke Allah tumhara haami o madadgaar hai aur woh behtareen madad karne wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 150
سَنُلۡقِي فِي قُلُوبِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱلرُّعۡبَ بِمَآ أَشۡرَكُواْ بِٱللَّهِ مَا لَمۡ يُنَزِّلۡ بِهِۦ سُلۡطَٰنٗاۖ وَمَأۡوَىٰهُمُ ٱلنَّارُۖ وَبِئۡسَ مَثۡوَى ٱلظَّـٰلِمِينَ
Anqareeb woh waqt aane wala hai jab hum munkireen e haqq ke dilon mein roab (terror/darr) bitha denge, isliye ke unhon ne Allah ke saath unko khudayi mein shareek thehraya hai jinke shareek honay par Allah ne koi sanad nazil nahin ki, unka aakhri thikana jahannum hai aur bahut hi buri hai woh qayaam-gaah jo un zalimon ko naseeb hogi
Surah Aal-e-Imran, Verse 151
وَلَقَدۡ صَدَقَكُمُ ٱللَّهُ وَعۡدَهُۥٓ إِذۡ تَحُسُّونَهُم بِإِذۡنِهِۦۖ حَتَّىٰٓ إِذَا فَشِلۡتُمۡ وَتَنَٰزَعۡتُمۡ فِي ٱلۡأَمۡرِ وَعَصَيۡتُم مِّنۢ بَعۡدِ مَآ أَرَىٰكُم مَّا تُحِبُّونَۚ مِنكُم مَّن يُرِيدُ ٱلدُّنۡيَا وَمِنكُم مَّن يُرِيدُ ٱلۡأٓخِرَةَۚ ثُمَّ صَرَفَكُمۡ عَنۡهُمۡ لِيَبۡتَلِيَكُمۡۖ وَلَقَدۡ عَفَا عَنكُمۡۗ وَٱللَّهُ ذُو فَضۡلٍ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Allah ne (taeed o nusrat ka) jo wada tumse kiya tha woh to usne poora kardiya, ibteda mein uske hukum se tumhi unko qatal kar rahey thay magar jab tumne kamzori dikhayi aur apne kaam mein baham ikhtilaf kiya, aur junhi ke woh cheez Allah ne tumhein dikhayi jiski muhabbat mein tum giraftar thay ( yani maal o ganeemat) tum apne sardar ke hukum ki khilaf warzi kar baithey isliye ke tum mein se kuch log duniya ke taalib thay aur kuch aakhirat ki khwahish rakhte thay, tab Allah ne tumhein kafiron ke muqable mein paspan kardiya taa-ke tumhari aazmaish karey aur haqq yeh hai ke Allah ne phir bhi tumhein maaf hi kardiya kyunke momino par Allah badi nazar e inayat rakhta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 152
۞إِذۡ تُصۡعِدُونَ وَلَا تَلۡوُۥنَ عَلَىٰٓ أَحَدٖ وَٱلرَّسُولُ يَدۡعُوكُمۡ فِيٓ أُخۡرَىٰكُمۡ فَأَثَٰبَكُمۡ غَمَّۢا بِغَمّٖ لِّكَيۡلَا تَحۡزَنُواْ عَلَىٰ مَا فَاتَكُمۡ وَلَا مَآ أَصَٰبَكُمۡۗ وَٱللَّهُ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ
Yaad karo jab tum bhaage chale jaa rhey thay, kisi ki taraf palat kar dekhne tak ka hosh tumhein na tha, aur Rasool tumhare pichey tumko pukar raha tha us waqt tumhari is rawish ka badla Allah ne tumhein yeh diya ke tumko ranjh par ranjh diye taa-ke aainda ke liye tumhein yeh sabaq miley ke jo kuch tumhare haath se jaye ya jo museebat tumpar nazil ho uspar malul (grieve)na ho, Allah tumhare sab amaal se bakhabar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 153
ثُمَّ أَنزَلَ عَلَيۡكُم مِّنۢ بَعۡدِ ٱلۡغَمِّ أَمَنَةٗ نُّعَاسٗا يَغۡشَىٰ طَآئِفَةٗ مِّنكُمۡۖ وَطَآئِفَةٞ قَدۡ أَهَمَّتۡهُمۡ أَنفُسُهُمۡ يَظُنُّونَ بِٱللَّهِ غَيۡرَ ٱلۡحَقِّ ظَنَّ ٱلۡجَٰهِلِيَّةِۖ يَقُولُونَ هَل لَّنَا مِنَ ٱلۡأَمۡرِ مِن شَيۡءٖۗ قُلۡ إِنَّ ٱلۡأَمۡرَ كُلَّهُۥ لِلَّهِۗ يُخۡفُونَ فِيٓ أَنفُسِهِم مَّا لَا يُبۡدُونَ لَكَۖ يَقُولُونَ لَوۡ كَانَ لَنَا مِنَ ٱلۡأَمۡرِ شَيۡءٞ مَّا قُتِلۡنَا هَٰهُنَاۗ قُل لَّوۡ كُنتُمۡ فِي بُيُوتِكُمۡ لَبَرَزَ ٱلَّذِينَ كُتِبَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقَتۡلُ إِلَىٰ مَضَاجِعِهِمۡۖ وَلِيَبۡتَلِيَ ٱللَّهُ مَا فِي صُدُورِكُمۡ وَلِيُمَحِّصَ مَا فِي قُلُوبِكُمۡۚ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
Is gham ke baad phir Allah ne tum mein se kuch logon par aisi itminaan ki si halat taari kardi ke woh unghne lagey, magar ek dusra giroh jiske liye sari ehmiyat bas apne mafaad hi ki thi, Allah ke mutaaliq tarah tarah ke jahilana gumaan karne laga jo sarasar khilaf e haqq thay, yeh log ab kehte hain ke, “ is kaam ke chalane mein hamara bhi koi hissa hai?” Unsey kaho, (kisi ka koi hissa nahin) is kaam ke sarey ikhtiyaraat Allah ke haath mein hain. “Darasal yeh log apne dilon mein jo baat chupaye huey hain usey tumpar zaahir nahin karte, inka asal matlab yeh hai ke, “agar (qayadat ke) ikhtiyaraat mein hamara kuch hissa hota to yahan hum na maarey jatey”. Insey kehdo ke, “agar tum apne gharon mein bhi hotey to jin logon ki maut likhi hui thi woh khud apni qatal-gaahon ki taraf nikal aatey”, aur yeh maamla jo pesh aaya, yeh to isliye tha ke jo kuch tumhare seeno mein posheeda(hidden) hai Allah usey aazma le aur jo khot tumhare dilon mein hai usey chaant de. Allah dilon ka haal khoob jaanta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 154
إِنَّ ٱلَّذِينَ تَوَلَّوۡاْ مِنكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡتَقَى ٱلۡجَمۡعَانِ إِنَّمَا ٱسۡتَزَلَّهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ بِبَعۡضِ مَا كَسَبُواْۖ وَلَقَدۡ عَفَا ٱللَّهُ عَنۡهُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٌ حَلِيمٞ
Tum mein se jo log muqable ke din peeth pher gaye thay unki is lagzish ka sabab yeh tha ke unki baaz kamzoriyon ki wajah se shaytan nay unke qadam dagmaga diye thay. Allah ne unhein maaf kardiya, Allah bahut darguzar karne wala aur burdbaar (All-Forbearing) hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 155
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَقَالُواْ لِإِخۡوَٰنِهِمۡ إِذَا ضَرَبُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ أَوۡ كَانُواْ غُزّٗى لَّوۡ كَانُواْ عِندَنَا مَا مَاتُواْ وَمَا قُتِلُواْ لِيَجۡعَلَ ٱللَّهُ ذَٰلِكَ حَسۡرَةٗ فِي قُلُوبِهِمۡۗ وَٱللَّهُ يُحۡيِۦ وَيُمِيتُۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ
Aey logon jo iman laye ho, kafiron ki si baatein na karo jinke azeez o aqarib agar kabhi safar par jatey hain ya jung mein shareek hotey hain ( aur wahan kisi haadse se do-char ho jatey hain ) to woh kehte hain ke agar woh hamare paas hotey to na marey jatey aur na qatal hotey. Allah is qism ki baaton ko unke dilon mein hasrat o andoh ka sabab bana deta hai, warna dar-asal maarne aur jilane wala to Allah hi hai aur tumhari tamaam harakaat par wahi nigraan hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 156
وَلَئِن قُتِلۡتُمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ أَوۡ مُتُّمۡ لَمَغۡفِرَةٞ مِّنَ ٱللَّهِ وَرَحۡمَةٌ خَيۡرٞ مِّمَّا يَجۡمَعُونَ
Agar tum Allah ki raah mein maarey jao ya marr jao to Allah ki jo rehmat aur bakshish tumhare hissey mein aayegi woh un saari cheezon se zyada behtar hai jinhein yeh log jamaa karte hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 157
وَلَئِن مُّتُّمۡ أَوۡ قُتِلۡتُمۡ لَإِلَى ٱللَّهِ تُحۡشَرُونَ
Aur khwah tum maro ya maarey jao bahar-haal tum sabko simat kar jana Allah hi ki taraf hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 158
فَبِمَا رَحۡمَةٖ مِّنَ ٱللَّهِ لِنتَ لَهُمۡۖ وَلَوۡ كُنتَ فَظًّا غَلِيظَ ٱلۡقَلۡبِ لَٱنفَضُّواْ مِنۡ حَوۡلِكَۖ فَٱعۡفُ عَنۡهُمۡ وَٱسۡتَغۡفِرۡ لَهُمۡ وَشَاوِرۡهُمۡ فِي ٱلۡأَمۡرِۖ فَإِذَا عَزَمۡتَ فَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُتَوَكِّلِينَ
(Aey paighambar) yeh Allah ki badi rehmat hai ke tum in logon ke liye bahut narm mijaz waqey huye ho, warna agar kahin tum tundh-khu (rough) aur sangh dil hotey to yeh sab tumhare gird o pesh se chath jatey. Inke kasoor maaf kardo, inke haqq mein dua-e-magfirat karo, aur deen ke kaam mein inko bhi shareek e mashwara rakkho. Phir jab tumhara azam (resolve) kisi rai par mustahkam ho jaye to Allah par bharosa karo, Allah ko woh log pasand hain jo usi ke bharose par kaam karte hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 159
إِن يَنصُرۡكُمُ ٱللَّهُ فَلَا غَالِبَ لَكُمۡۖ وَإِن يَخۡذُلۡكُمۡ فَمَن ذَا ٱلَّذِي يَنصُرُكُم مِّنۢ بَعۡدِهِۦۗ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
Allah tumhari madad par ho to koi taaqat tumpar gaalib aane wali nahin, aur woh tumhein chodh de to iske baad kaun hain jo tumhari madad kar sakta ho? Pas jo sacchey momin hain unko Allah hi par bharosa rakhna chahiye
Surah Aal-e-Imran, Verse 160
وَمَا كَانَ لِنَبِيٍّ أَن يَغُلَّۚ وَمَن يَغۡلُلۡ يَأۡتِ بِمَا غَلَّ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ ثُمَّ تُوَفَّىٰ كُلُّ نَفۡسٖ مَّا كَسَبَتۡ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
Kisi Nabi ka yeh kaam nahin ho sakta ke woh khayanat kar jaye aur jo koi khayanat karey to woh apni khayanat samaith qayamat ke roz hazir ho jayega, phir har mutanaffis ko uski kamayi ka poora poora badla mil jayega aur kisi par kuch zulm na hoga
Surah Aal-e-Imran, Verse 161
أَفَمَنِ ٱتَّبَعَ رِضۡوَٰنَ ٱللَّهِ كَمَنۢ بَآءَ بِسَخَطٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَمَأۡوَىٰهُ جَهَنَّمُۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
Bhala yeh kaise ho sakta hai ke jo shaks hamesha Allah ki raza par chalne wala ho woh us shaks ke say kaam karey jo Allah ke gazab mein ghir gaya ho, aur jiska aakhri thikana jahannum ho jo badhtareen thikana hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 162
هُمۡ دَرَجَٰتٌ عِندَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ بَصِيرُۢ بِمَا يَعۡمَلُونَ
Allah ke nazdeek dono qism ke aadmiyon mein badarjaha farq hai aur Allah sabke aamaal par nazar rakhta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 163
لَقَدۡ مَنَّ ٱللَّهُ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ إِذۡ بَعَثَ فِيهِمۡ رَسُولٗا مِّنۡ أَنفُسِهِمۡ يَتۡلُواْ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتِهِۦ وَيُزَكِّيهِمۡ وَيُعَلِّمُهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَإِن كَانُواْ مِن قَبۡلُ لَفِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ
Dar-haqeeqat ehle iman par to Allah ne yeh bahut bada ehsaan kiya hai ke unke darmiyan khud unhi mein se ek aisa paigambar uthaya jo uski ayaat unhein sunata hai, unki zindagiyon ko sanwaarta hai aur unko kitab aur danayi (wisdom) ki taleem deta hai, halaanke issey pehle yahi log sareeh gumraahiyon mein padey huey thay
Surah Aal-e-Imran, Verse 164
أَوَلَمَّآ أَصَٰبَتۡكُم مُّصِيبَةٞ قَدۡ أَصَبۡتُم مِّثۡلَيۡهَا قُلۡتُمۡ أَنَّىٰ هَٰذَاۖ قُلۡ هُوَ مِنۡ عِندِ أَنفُسِكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Aur yeh tumhara kya haal hai ke jab tumpar museebat aa padi to tum kehne lagey yeh kahan se aayi? Halaanke ( jung e Badr mein) issey dugni (double) museebat tumhare haathon [ fareeq e mukhalif (enemies) par] padh chuki hai. (Aey Nabi)! Insey kaho, yeh museebat tumhari apni layi hui hai, Allah har cheez par qaadir hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 165
وَمَآ أَصَٰبَكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡتَقَى ٱلۡجَمۡعَانِ فَبِإِذۡنِ ٱللَّهِ وَلِيَعۡلَمَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Jo nuqsaan ladayi ke din tumhein pahuncha woh Allah ke izan se tha aur isliye tha ke Allah dekhle tum mein se momin kaun hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 166
وَلِيَعۡلَمَ ٱلَّذِينَ نَافَقُواْۚ وَقِيلَ لَهُمۡ تَعَالَوۡاْ قَٰتِلُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ أَوِ ٱدۡفَعُواْۖ قَالُواْ لَوۡ نَعۡلَمُ قِتَالٗا لَّٱتَّبَعۡنَٰكُمۡۗ هُمۡ لِلۡكُفۡرِ يَوۡمَئِذٍ أَقۡرَبُ مِنۡهُمۡ لِلۡإِيمَٰنِۚ يَقُولُونَ بِأَفۡوَٰهِهِم مَّا لَيۡسَ فِي قُلُوبِهِمۡۚ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا يَكۡتُمُونَ
Aur munafiq kaun. Woh munafiq ke jab unsey kaha gaya, aao Allah ki raah mein jung karo ya kam az kam (apne shehar ki) mudafiyat (defense) hi karo, to kehne lagey agar humein ilm hota ke aaj jung hogi to hum zaroor tumhare saath chalte. Yeh baat jab woh keh rahey thay us waqt woh iman ki ba-nisbat kufr se zyada qareeb thay. Woh apni zubaano se woh baatein kehte hain jo unke dilon mein nahin hoti, aur jo kuch woh dilon mein chupate hain Allah usey khoob jaanta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 167
ٱلَّذِينَ قَالُواْ لِإِخۡوَٰنِهِمۡ وَقَعَدُواْ لَوۡ أَطَاعُونَا مَا قُتِلُواْۗ قُلۡ فَٱدۡرَءُواْ عَنۡ أَنفُسِكُمُ ٱلۡمَوۡتَ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Yeh wahi log hain jo khud to baithey rahey aur unke jo bhai-band ladne gaye aur maarey gaye unke mutaaliq inhon ne kehdiya ke agar woh hamari baat maan lete to na marey jatey. Insey kaho agar tum apne is qaul mein sachhey ho to khud tumhari maut jab aaye usey taal kar dikha dena
Surah Aal-e-Imran, Verse 168
وَلَا تَحۡسَبَنَّ ٱلَّذِينَ قُتِلُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ أَمۡوَٰتَۢاۚ بَلۡ أَحۡيَآءٌ عِندَ رَبِّهِمۡ يُرۡزَقُونَ
Jo log Allah ki raah mein qatal huey hain unhein murda na samjho, woh to haqeeqat mein zinda hain, apne Rubb ke paas rizq paa rahey hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 169
فَرِحِينَ بِمَآ ءَاتَىٰهُمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦ وَيَسۡتَبۡشِرُونَ بِٱلَّذِينَ لَمۡ يَلۡحَقُواْ بِهِم مِّنۡ خَلۡفِهِمۡ أَلَّا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Jo kuch Allah ne apne fazal se unhein diya hai uspar khush o khurram hain, aur mutmaeen hain ke jo ehle iman unke pichey duniya mein reh gaye hain aur abhi wahaan nahin pahunchey hain unke liye bhi kisi khauf aur ranjh ka mauqa nahin hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 170
۞يَسۡتَبۡشِرُونَ بِنِعۡمَةٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَفَضۡلٖ وَأَنَّ ٱللَّهَ لَا يُضِيعُ أَجۡرَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Woh Allah ke inam aur uske fazal par shadaan o farhaan hain aur unko maloom ho chuka hai ke Allah momino ke ajar ko zaya nahin karta
Surah Aal-e-Imran, Verse 171
ٱلَّذِينَ ٱسۡتَجَابُواْ لِلَّهِ وَٱلرَّسُولِ مِنۢ بَعۡدِ مَآ أَصَابَهُمُ ٱلۡقَرۡحُۚ لِلَّذِينَ أَحۡسَنُواْ مِنۡهُمۡ وَٱتَّقَوۡاْ أَجۡرٌ عَظِيمٌ
Jin logon ne zakm khane ke baad bhi Allah aur Rasool ki pukar par labbaik kaha(responded) un mein jo ashkhaas neikukar aur parheizgaar hain unke liye bada ajar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 172
ٱلَّذِينَ قَالَ لَهُمُ ٱلنَّاسُ إِنَّ ٱلنَّاسَ قَدۡ جَمَعُواْ لَكُمۡ فَٱخۡشَوۡهُمۡ فَزَادَهُمۡ إِيمَٰنٗا وَقَالُواْ حَسۡبُنَا ٱللَّهُ وَنِعۡمَ ٱلۡوَكِيلُ
Aur woh jinse logon ne kaha ke, “ tumhare khilaf badi faujein jamaa hui hain, unsey daro”, to yeh sunkar unka iman aur badh gaya (increased) aur unhon ne jawab diya ke hamare liye Allah kafi hai aur wahi behtareen kaarsaaz hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 173
فَٱنقَلَبُواْ بِنِعۡمَةٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَفَضۡلٖ لَّمۡ يَمۡسَسۡهُمۡ سُوٓءٞ وَٱتَّبَعُواْ رِضۡوَٰنَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ ذُو فَضۡلٍ عَظِيمٍ
Aakhir e kaar woh Allah taala ki niyamat aur fazal ke saath palat aaye, unko kisi qism ka zarar bhi na pahuncha aur Allah ki raza par chalne ka sharaf bhi unhein haasil ho gaya, Allah bada fazal farmane wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 174
إِنَّمَا ذَٰلِكُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ يُخَوِّفُ أَوۡلِيَآءَهُۥ فَلَا تَخَافُوهُمۡ وَخَافُونِ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Ab tumhein maloom hogaya ke woh dar-asal shaytan tha jo apne doston se khwa-ma-khwa (tumko) dara raha tha, lihaza aainda tum Insaano se na darna, mujhse darna agar tum haqeeqat mein saahib e iman ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 175
وَلَا يَحۡزُنكَ ٱلَّذِينَ يُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡكُفۡرِۚ إِنَّهُمۡ لَن يَضُرُّواْ ٱللَّهَ شَيۡـٔٗاۚ يُرِيدُ ٱللَّهُ أَلَّا يَجۡعَلَ لَهُمۡ حَظّٗا فِي ٱلۡأٓخِرَةِۖ وَلَهُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٌ
(Aey Paighambar) jo log aaj kufr ki raah mein badi daud dhoop kar rahey hain unki sargarmiyan tumhein azurda na karein(grieve you). Yeh Allah ka kuch bhi na bigaad sakenge. Allah ka irada yeh hai ke unke liye aakhirat mein koi hissa na rakkhey, aur bil aakhir unko sakht saza milne wali hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 176
إِنَّ ٱلَّذِينَ ٱشۡتَرَوُاْ ٱلۡكُفۡرَ بِٱلۡإِيمَٰنِ لَن يَضُرُّواْ ٱللَّهَ شَيۡـٔٗاۖ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Jo log iman ko chodh kar kufr ke kharidaar baney hain woh yaqeenan Allah ka koi nuqsaan nahin kar rahey hain. Unke liye dardnaak azaab tayyar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 177
وَلَا يَحۡسَبَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَنَّمَا نُمۡلِي لَهُمۡ خَيۡرٞ لِّأَنفُسِهِمۡۚ إِنَّمَا نُمۡلِي لَهُمۡ لِيَزۡدَادُوٓاْ إِثۡمٗاۖ وَلَهُمۡ عَذَابٞ مُّهِينٞ
Yeh dheel jo hum unhein diye jatey hain isko yeh kaafir apne haqq mein behtari na samjhein. Hum to unhein isliye dheel de rahey hain ke yeh khoob baar-e-gunaah sameit lein, phir unke liye sakht zaleel karne wali saza hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 178
مَّا كَانَ ٱللَّهُ لِيَذَرَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ عَلَىٰ مَآ أَنتُمۡ عَلَيۡهِ حَتَّىٰ يَمِيزَ ٱلۡخَبِيثَ مِنَ ٱلطَّيِّبِۗ وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيُطۡلِعَكُمۡ عَلَى ٱلۡغَيۡبِ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يَجۡتَبِي مِن رُّسُلِهِۦ مَن يَشَآءُۖ فَـَٔامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦۚ وَإِن تُؤۡمِنُواْ وَتَتَّقُواْ فَلَكُمۡ أَجۡرٌ عَظِيمٞ
Allah momino ko is haalat mein hargiz na rehne dega jismein tum is waqt paye jatey ho. Woh paak logon ko napaak logon se alag karke rahega. Magar Allah ka yeh tareeqa nahin hai ke tumko gaib par muttala karde. Gaib ki baatein batane ke liye to woh apne Rasoolon mein jisko chahta hai muntakhab karleta hai. Lihaza (umoor e gaib ke baarey mein) Allah aur uske Rasool par iman rakkho agar tum iman aur khuda tarsi ki rawish par chaloge to tumko bada ajar milega
Surah Aal-e-Imran, Verse 179
وَلَا يَحۡسَبَنَّ ٱلَّذِينَ يَبۡخَلُونَ بِمَآ ءَاتَىٰهُمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦ هُوَ خَيۡرٗا لَّهُمۖ بَلۡ هُوَ شَرّٞ لَّهُمۡۖ سَيُطَوَّقُونَ مَا بَخِلُواْ بِهِۦ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۗ وَلِلَّهِ مِيرَٰثُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
Jin logon ko Allah ne apne fazal se nawaza hai aur phir woh bukhl (kanjoosi/niggardly) se kaam lete hain woh is khayal mein na rahein ke yeh bakheeli unke liye acchi hai. Nahin, yeh unke haqq mein nihayat buri hai, Jo kuch woh apni kanjoosi se jamaa kar rahey hain wahi qayamat ke roz unke galey ka tauq ban jayega. Zameen aur asmaano ki miras Allah hi ke liye hai aur tum jo kuch karte ho Allah ussey bakhabar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 180
لَّقَدۡ سَمِعَ ٱللَّهُ قَوۡلَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ فَقِيرٞ وَنَحۡنُ أَغۡنِيَآءُۘ سَنَكۡتُبُ مَا قَالُواْ وَقَتۡلَهُمُ ٱلۡأَنۢبِيَآءَ بِغَيۡرِ حَقّٖ وَنَقُولُ ذُوقُواْ عَذَابَ ٱلۡحَرِيقِ
Allah ne un logon ka qaul suna jo kehte hain ke Allah fakeer hai aur hum gani hain. Unki yeh baatein bhi hum likh lenge, aur issey pehle jo woh paigambaron ko na-haqq qatal karte rahey hain woh bhi unke naam e aamaal mein sabt hai (jab faisle ka waqt aayega us waqt) hum unse kahenge ke lo ab azaab e jahannum ka maza chakkho
Surah Aal-e-Imran, Verse 181
ذَٰلِكَ بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيكُمۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ لَيۡسَ بِظَلَّامٖ لِّلۡعَبِيدِ
Yeh tumhare apne haathon ki kamayi hai, Allah apne bandon ke liye zalim nahin hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 182
ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ عَهِدَ إِلَيۡنَآ أَلَّا نُؤۡمِنَ لِرَسُولٍ حَتَّىٰ يَأۡتِيَنَا بِقُرۡبَانٖ تَأۡكُلُهُ ٱلنَّارُۗ قُلۡ قَدۡ جَآءَكُمۡ رُسُلٞ مِّن قَبۡلِي بِٱلۡبَيِّنَٰتِ وَبِٱلَّذِي قُلۡتُمۡ فَلِمَ قَتَلۡتُمُوهُمۡ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Jo log kehte hain “Allah ne humko hidayat kardi hai ke hum kisi ko Rasool tasleem na karein jab tak woh hamare saamne aisi qurbani na karey jisey (gaib se aakar) aag kha le”, unsey kaho, “ tumhare paas mujhse pehle bahut se Rasool aa chuke hain jo bahut si roshan nishaniyan laye thay aur woh nishani bhi laye thay jiska tum zikr karte ho. Phir agar (iman laney ke liye yeh sharth pesh karne mein) tum sacchey ho to un Rasoolon ko tumne kyun qatal kiya?”
Surah Aal-e-Imran, Verse 183
فَإِن كَذَّبُوكَ فَقَدۡ كُذِّبَ رُسُلٞ مِّن قَبۡلِكَ جَآءُو بِٱلۡبَيِّنَٰتِ وَٱلزُّبُرِ وَٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡمُنِيرِ
Ab (aey Muhammad)!Agar yeh log tumhein jhutlate hain to bahut se Rasool tumse pehle jhutlaye jaa chuke hain jo khuli khuli nishaniyan aur sahifey (scriptures) aur roshni bakshne wali kitabein laye thay
Surah Aal-e-Imran, Verse 184
كُلُّ نَفۡسٖ ذَآئِقَةُ ٱلۡمَوۡتِۗ وَإِنَّمَا تُوَفَّوۡنَ أُجُورَكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۖ فَمَن زُحۡزِحَ عَنِ ٱلنَّارِ وَأُدۡخِلَ ٱلۡجَنَّةَ فَقَدۡ فَازَۗ وَمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَآ إِلَّا مَتَٰعُ ٱلۡغُرُورِ
Aakhir e kaar har shaks ko marna hai aur tum sab apne apne poorey ajar qayamat ke roz paney waley ho. Kamiyab dar-asal woh hai jo wahaan aatish e dozakh se bach jaye aur jannat mein dakhil kardiya jaye. Rahi yeh duniya, to yeh mehaz ek zaahir fareb cheez hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 185
۞لَتُبۡلَوُنَّ فِيٓ أَمۡوَٰلِكُمۡ وَأَنفُسِكُمۡ وَلَتَسۡمَعُنَّ مِنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِكُمۡ وَمِنَ ٱلَّذِينَ أَشۡرَكُوٓاْ أَذٗى كَثِيرٗاۚ وَإِن تَصۡبِرُواْ وَتَتَّقُواْ فَإِنَّ ذَٰلِكَ مِنۡ عَزۡمِ ٱلۡأُمُورِ
(Musalmaano)! Tumhein maal aur jaan dono ki aazmaishein pesh aakar rahengi, aur tum ehle kitab aur mushrikeen se bahut se takleef-de baatein sunogey. Agar in sab haalat mein tum sabr aur khuda tarsi ki rawish par qayam raho to yeh baday hausle ka kaam hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 186
وَإِذۡ أَخَذَ ٱللَّهُ مِيثَٰقَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ لَتُبَيِّنُنَّهُۥ لِلنَّاسِ وَلَا تَكۡتُمُونَهُۥ فَنَبَذُوهُ وَرَآءَ ظُهُورِهِمۡ وَٱشۡتَرَوۡاْ بِهِۦ ثَمَنٗا قَلِيلٗاۖ فَبِئۡسَ مَا يَشۡتَرُونَ
In ehle kitab ko woh ahad bhi yaad dilao jo Allah ne unse liya tha ke tumhein kitab ki taleemat ko logon mein phaylana hoga, inhein posheeda rakhna nahin hoga. Magar unhon ne kitab ko pas-e-pusht (behind their backs) daal diya aur thodi keemat par usey bech daala. Kitna bura kaarobaar hai jo yeh kar rahey hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 187
لَا تَحۡسَبَنَّ ٱلَّذِينَ يَفۡرَحُونَ بِمَآ أَتَواْ وَّيُحِبُّونَ أَن يُحۡمَدُواْ بِمَا لَمۡ يَفۡعَلُواْ فَلَا تَحۡسَبَنَّهُم بِمَفَازَةٖ مِّنَ ٱلۡعَذَابِۖ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Tum un logon ko azaab se mehfooz na samjho jo apne kartooton par khush hain aur chahte hain ke aisey kaamon ki tareef unhein hasil ho jo fil waqey unhon ne nahin kiye hain. Haqeeqat mein unke liye dardnaak saza tayyar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 188
وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ
Zameen aur asmaano ka maalik Allah hai aur uski qudrat sab par haawi hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 189
إِنَّ فِي خَلۡقِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَٱخۡتِلَٰفِ ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ لَأٓيَٰتٖ لِّأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ
Zameen aur asmaano ki paidaish mein aur raat aur din ke bari bari se aane mein un hoshmand logon ke liye bahut nishaniyan hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 190
ٱلَّذِينَ يَذۡكُرُونَ ٱللَّهَ قِيَٰمٗا وَقُعُودٗا وَعَلَىٰ جُنُوبِهِمۡ وَيَتَفَكَّرُونَ فِي خَلۡقِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ رَبَّنَا مَا خَلَقۡتَ هَٰذَا بَٰطِلٗا سُبۡحَٰنَكَ فَقِنَا عَذَابَ ٱلنَّارِ
Jo uthte, baithte aur latetey, har haal mein khuda ko yaad karte hain aur asmaan o zameen ki saakht (creation) mein gaur o fikr karte hain. (Woh be-ikhtiyar bol uthte hain) “ parwardigar! Yeh sab kuch tu nay fizul aur be-maqsad nahin banaya hai, tu paak hai issey ke abas (bekar / in vain) kaam karey. Pas aey Rubb! Humein dozakh ke azaab se bacha le
Surah Aal-e-Imran, Verse 191
رَبَّنَآ إِنَّكَ مَن تُدۡخِلِ ٱلنَّارَ فَقَدۡ أَخۡزَيۡتَهُۥۖ وَمَا لِلظَّـٰلِمِينَ مِنۡ أَنصَارٖ
Tu nay jisey dozakh mein dala usey dar haqeeqat badi zillat o ruswayi mein daal diya, aur phir aisey zalimon ka koi madadgaar na hoga
Surah Aal-e-Imran, Verse 192
رَّبَّنَآ إِنَّنَا سَمِعۡنَا مُنَادِيٗا يُنَادِي لِلۡإِيمَٰنِ أَنۡ ءَامِنُواْ بِرَبِّكُمۡ فَـَٔامَنَّاۚ رَبَّنَا فَٱغۡفِرۡ لَنَا ذُنُوبَنَا وَكَفِّرۡ عَنَّا سَيِّـَٔاتِنَا وَتَوَفَّنَا مَعَ ٱلۡأَبۡرَارِ
Maalik! Humne ek pukarne waley ko suna jo iman ki taraf bulata tha aur kehta tha ke apne Rubb ko maano, humne uski dawat qabool karli, pas aey hamare aaqa! Jo kasoor humse huey hain unsey darguzar farma. Jo buraiyan hum mein hain unhein door karde aur hamara khaatma neik logon ke saath kar
Surah Aal-e-Imran, Verse 193
رَبَّنَا وَءَاتِنَا مَا وَعَدتَّنَا عَلَىٰ رُسُلِكَ وَلَا تُخۡزِنَا يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۖ إِنَّكَ لَا تُخۡلِفُ ٱلۡمِيعَادَ
Khudawanda! Jo wadey tu nay apne Rasoolon ke zariye se kiye hain unko hamare saath poora kar aur qayamat ke din humein ruswayi mein na daal, beshak tu apne wadey ke khilaf karne wala nahin hai”
Surah Aal-e-Imran, Verse 194
فَٱسۡتَجَابَ لَهُمۡ رَبُّهُمۡ أَنِّي لَآ أُضِيعُ عَمَلَ عَٰمِلٖ مِّنكُم مِّن ذَكَرٍ أَوۡ أُنثَىٰۖ بَعۡضُكُم مِّنۢ بَعۡضٖۖ فَٱلَّذِينَ هَاجَرُواْ وَأُخۡرِجُواْ مِن دِيَٰرِهِمۡ وَأُوذُواْ فِي سَبِيلِي وَقَٰتَلُواْ وَقُتِلُواْ لَأُكَفِّرَنَّ عَنۡهُمۡ سَيِّـَٔاتِهِمۡ وَلَأُدۡخِلَنَّهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ ثَوَابٗا مِّنۡ عِندِ ٱللَّهِۚ وَٱللَّهُ عِندَهُۥ حُسۡنُ ٱلثَّوَابِ
Jawab mein unke Rubb ne farmaya, “ mai tum mein se kisi ka amal zaya karne wala nahin hoon, khwa mard ho ya aurat, tum sab ek dusre ke hum jins ho. Lihaza jin logon ne meri khatir apne watan chodey aur jo meri raah mein apne gharon se nikale gaye aur sataye gaye aur mere liye ladey aur maarey gaye unke sab kasoor mai maaf kardunga aur unhein aisey baaghon mein daakhil karunga jinke nichey nehrein behti hongi. Yeh unki jaza hai Allah ke haan aur behtareen jaza Allah hi ke paas hai”
Surah Aal-e-Imran, Verse 195
لَا يَغُرَّنَّكَ تَقَلُّبُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فِي ٱلۡبِلَٰدِ
(Aey Nabi)! Duniya ke mulkon mein khuda ke nafarmaan logon ki chalat phirat tumhein kisi dhoke mein na daaley
Surah Aal-e-Imran, Verse 196
مَتَٰعٞ قَلِيلٞ ثُمَّ مَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمِهَادُ
Yeh mehaz chandh roza zindagi ka thoda sa lutf hai, phir yeh sab jahannum mein jayenge jo badhtareen jaaye qaraar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 197
لَٰكِنِ ٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ رَبَّهُمۡ لَهُمۡ جَنَّـٰتٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَا نُزُلٗا مِّنۡ عِندِ ٱللَّهِۗ وَمَا عِندَ ٱللَّهِ خَيۡرٞ لِّلۡأَبۡرَارِ
Baraks iske jo log apne Rubb se darte huey zindagi basar karte hain unke liye aisey baagh hain jinke nichey nehrein behti hain, in baaghon mein woh hamesha rahenge, Allah ki taraf se yeh samaan e ziyafat hai unke liye, aur jo kuch Allah ke paas hai neik logon ke liye wahi sabse behtar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 198
وَإِنَّ مِنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ لَمَن يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكُمۡ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡهِمۡ خَٰشِعِينَ لِلَّهِ لَا يَشۡتَرُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ ثَمَنٗا قَلِيلًاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ أَجۡرُهُمۡ عِندَ رَبِّهِمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ
Ehle kitab mein bhi kuch log aisey hain jo Allah ko maante hain, us kitab par iman latey hain jo tumhari taraf bheji gayi hai aur us kitab par bhi iman rakhte hain jo issey pehle khud unki taraf bheji gayi thi. Allah ke aagey jhuke huey hain, aur Allah ki aayaat ko thodi si keemat par bech nahin dete. Inka ajar inke Rubb ke paas hai aur Allah hisaab chukane mein dair nahin lagata
Surah Aal-e-Imran, Verse 199
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱصۡبِرُواْ وَصَابِرُواْ وَرَابِطُواْ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
Aey logon jo iman laye ho, Sabr se kaam lo, baatil paraston ke muqable mein pa-mardi dikhao, haqq ki khidmat ke liye kamar-basta ho jao, aur Allah se darte raho, umeed hai ke falaah paogey
Surah Aal-e-Imran, Verse 200