Surah Aal-e-Imran Verse 164 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Aal-e-Imranلَقَدۡ مَنَّ ٱللَّهُ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ إِذۡ بَعَثَ فِيهِمۡ رَسُولٗا مِّنۡ أَنفُسِهِمۡ يَتۡلُواْ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتِهِۦ وَيُزَكِّيهِمۡ وَيُعَلِّمُهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَإِن كَانُواْ مِن قَبۡلُ لَفِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ
Dar-haqeeqat ehle iman par to Allah ne yeh bahut bada ehsaan kiya hai ke unke darmiyan khud unhi mein se ek aisa paigambar uthaya jo uski ayaat unhein sunata hai, unki zindagiyon ko sanwaarta hai aur unko kitab aur danayi (wisdom) ki taleem deta hai, halaanke issey pehle yahi log sareeh gumraahiyon mein padey huey thay