Surah Aal-e-Imran Verse 159 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Aal-e-Imranفَبِمَا رَحۡمَةٖ مِّنَ ٱللَّهِ لِنتَ لَهُمۡۖ وَلَوۡ كُنتَ فَظًّا غَلِيظَ ٱلۡقَلۡبِ لَٱنفَضُّواْ مِنۡ حَوۡلِكَۖ فَٱعۡفُ عَنۡهُمۡ وَٱسۡتَغۡفِرۡ لَهُمۡ وَشَاوِرۡهُمۡ فِي ٱلۡأَمۡرِۖ فَإِذَا عَزَمۡتَ فَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُتَوَكِّلِينَ
(Aey paighambar) yeh Allah ki badi rehmat hai ke tum in logon ke liye bahut narm mijaz waqey huye ho, warna agar kahin tum tundh-khu (rough) aur sangh dil hotey to yeh sab tumhare gird o pesh se chath jatey. Inke kasoor maaf kardo, inke haqq mein dua-e-magfirat karo, aur deen ke kaam mein inko bhi shareek e mashwara rakkho. Phir jab tumhara azam (resolve) kisi rai par mustahkam ho jaye to Allah par bharosa karo, Allah ko woh log pasand hain jo usi ke bharose par kaam karte hain