Surah Aal-e-Imran Verse 41 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Aal-e-Imranقَالَ رَبِّ ٱجۡعَل لِّيٓ ءَايَةٗۖ قَالَ ءَايَتُكَ أَلَّا تُكَلِّمَ ٱلنَّاسَ ثَلَٰثَةَ أَيَّامٍ إِلَّا رَمۡزٗاۗ وَٱذۡكُر رَّبَّكَ كَثِيرٗا وَسَبِّحۡ بِٱلۡعَشِيِّ وَٱلۡإِبۡكَٰرِ
Arz kiya “Maalik! Phir koi nishani mere liye muqarrar farma de”. Kaha, Nishani yeh hai ke tum teen din tak logon se isharey ke siwa koi baat-chit na karoge (ya na kar sakoge), is dauraan mein apne Rubb ko bahut yaad karna aur subah o sham uski tasbeeh karte rehna.”