Surah Aal-e-Imran Verse 39 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Aal-e-Imranفَنَادَتۡهُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ وَهُوَ قَآئِمٞ يُصَلِّي فِي ٱلۡمِحۡرَابِ أَنَّ ٱللَّهَ يُبَشِّرُكَ بِيَحۡيَىٰ مُصَدِّقَۢا بِكَلِمَةٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَسَيِّدٗا وَحَصُورٗا وَنَبِيّٗا مِّنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
Jawab mein Farishton ne awaaz di, jab ke woh mehraab mein khada namaz padh raha tha ke “Allah tujhey Yahya ki khushkhabri deta hai , woh Allah ki taraf se ek farmaan ki tasdeeq karne wala bankar aayega, usmein sardari o buzurgi ki shaan hogi kamal darje ka zaabit (utterly chaste) hoga, nabuwat se sarfaraz hoga aur saliheen mein shumaar kiya jayega”