Surah Aal-e-Imran Verse 154 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Aal-e-Imranثُمَّ أَنزَلَ عَلَيۡكُم مِّنۢ بَعۡدِ ٱلۡغَمِّ أَمَنَةٗ نُّعَاسٗا يَغۡشَىٰ طَآئِفَةٗ مِّنكُمۡۖ وَطَآئِفَةٞ قَدۡ أَهَمَّتۡهُمۡ أَنفُسُهُمۡ يَظُنُّونَ بِٱللَّهِ غَيۡرَ ٱلۡحَقِّ ظَنَّ ٱلۡجَٰهِلِيَّةِۖ يَقُولُونَ هَل لَّنَا مِنَ ٱلۡأَمۡرِ مِن شَيۡءٖۗ قُلۡ إِنَّ ٱلۡأَمۡرَ كُلَّهُۥ لِلَّهِۗ يُخۡفُونَ فِيٓ أَنفُسِهِم مَّا لَا يُبۡدُونَ لَكَۖ يَقُولُونَ لَوۡ كَانَ لَنَا مِنَ ٱلۡأَمۡرِ شَيۡءٞ مَّا قُتِلۡنَا هَٰهُنَاۗ قُل لَّوۡ كُنتُمۡ فِي بُيُوتِكُمۡ لَبَرَزَ ٱلَّذِينَ كُتِبَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقَتۡلُ إِلَىٰ مَضَاجِعِهِمۡۖ وَلِيَبۡتَلِيَ ٱللَّهُ مَا فِي صُدُورِكُمۡ وَلِيُمَحِّصَ مَا فِي قُلُوبِكُمۡۚ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
Is gham ke baad phir Allah ne tum mein se kuch logon par aisi itminaan ki si halat taari kardi ke woh unghne lagey, magar ek dusra giroh jiske liye sari ehmiyat bas apne mafaad hi ki thi, Allah ke mutaaliq tarah tarah ke jahilana gumaan karne laga jo sarasar khilaf e haqq thay, yeh log ab kehte hain ke, “ is kaam ke chalane mein hamara bhi koi hissa hai?” Unsey kaho, (kisi ka koi hissa nahin) is kaam ke sarey ikhtiyaraat Allah ke haath mein hain. “Darasal yeh log apne dilon mein jo baat chupaye huey hain usey tumpar zaahir nahin karte, inka asal matlab yeh hai ke, “agar (qayadat ke) ikhtiyaraat mein hamara kuch hissa hota to yahan hum na maarey jatey”. Insey kehdo ke, “agar tum apne gharon mein bhi hotey to jin logon ki maut likhi hui thi woh khud apni qatal-gaahon ki taraf nikal aatey”, aur yeh maamla jo pesh aaya, yeh to isliye tha ke jo kuch tumhare seeno mein posheeda(hidden) hai Allah usey aazma le aur jo khot tumhare dilon mein hai usey chaant de. Allah dilon ka haal khoob jaanta hai