Surah Aal-e-Imran Verse 11 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Aal-e-Imranكَدَأۡبِ ءَالِ فِرۡعَوۡنَ وَٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا فَأَخَذَهُمُ ٱللَّهُ بِذُنُوبِهِمۡۗ وَٱللَّهُ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Unka anjaam waisa hi hoga, jaisa Firoun ke saathiyon aur unse pehle ke nafarmaano ka ho chukka hai ke unhon ne ayaat e ilahi ko jhutlaya, nateeja yeh hua ke Allah ne unke gunaahon par unhein pakad liya aur haqq yeh hai ke Allah sakht saza dene wala hai