Surah Aal-e-Imran Verse 101 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Aal-e-Imranوَكَيۡفَ تَكۡفُرُونَ وَأَنتُمۡ تُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتُ ٱللَّهِ وَفِيكُمۡ رَسُولُهُۥۗ وَمَن يَعۡتَصِم بِٱللَّهِ فَقَدۡ هُدِيَ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Tumhare liye kufr ki taraf janey ka ab kya mauqa baki hai jabke tumko Allah ki aayat sunayi jaa rahi hain aur tumhare darmiyan uska Rasool maujood hai? Jo Allah ka daaman mazbooti ke saath thaamega woh zaroor raah e raast payega