Surah Aal-e-Imran Verse 44 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Aal-e-Imranذَٰلِكَ مِنۡ أَنۢبَآءِ ٱلۡغَيۡبِ نُوحِيهِ إِلَيۡكَۚ وَمَا كُنتَ لَدَيۡهِمۡ إِذۡ يُلۡقُونَ أَقۡلَٰمَهُمۡ أَيُّهُمۡ يَكۡفُلُ مَرۡيَمَ وَمَا كُنتَ لَدَيۡهِمۡ إِذۡ يَخۡتَصِمُونَ
(Aey Muhammad)! Yeh gaib ki khabrein hain jo hum tumko wahee ke zariye se bata rahey hain, warna tum us waqt wahan maujood na thay jab haykal ke khadim yeh faisla karne ke liye ke Mayram ka sarparast kaun ho apne apne qalam phenk rahey thay, aur na tum us waqt hazir thay jab unke darmiyaan jhagda barpa tha