UAE Prayer Times

  • Dubai
  • Abu Dhabi
  • Sharjah
  • Ajman
  • Fujairah
  • Umm Al Quwain
  • Ras Al Khaimah
  • Quran Translations

Surah Aal-e-Imran - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi


الٓمٓ

Alif Laam meem
Surah Aal-e-Imran, Verse 1


ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ٱلۡحَيُّ ٱلۡقَيُّومُ

Allah Taalaa woh hai jiss kay siwa koi mabood nahi jo zinda aur sab ka nigehban hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 2


نَزَّلَ عَلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ وَأَنزَلَ ٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَ

Jiss ney aap per haq kay sath iss kitab ko nazil farmaya hai jo apney say pehlay ki tasdeeq kerney wali hai ussi ney iss say pehlay toraat aur injeel ko utara tha
Surah Aal-e-Imran, Verse 3


مِن قَبۡلُ هُدٗى لِّلنَّاسِ وَأَنزَلَ ٱلۡفُرۡقَانَۗ إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ لَهُمۡ عَذَابٞ شَدِيدٞۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٞ ذُو ٱنتِقَامٍ

Iss say pehlay logon ko hidayat kerney wali bana ker aur quran bhi ussi ney utara jo log Allah Taalaa ki aayaton say kufur kertay hain unn kay liye sakht azab hai aur Allah Taalaa ghalib hai badla lenay wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 4


إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَخۡفَىٰ عَلَيۡهِ شَيۡءٞ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا فِي ٱلسَّمَآءِ

Yaqeenan Allah Taalaa per zamin-o-aasman ki koi cheez posheeda nahi
Surah Aal-e-Imran, Verse 5


هُوَ ٱلَّذِي يُصَوِّرُكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡحَامِ كَيۡفَ يَشَآءُۚ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ

Woh maa kay pet mein tumhari soorten jiss tarah ki chahta hai banata hai. Uss kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi woh ghalib hai hikmat wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 6


هُوَ ٱلَّذِيٓ أَنزَلَ عَلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ مِنۡهُ ءَايَٰتٞ مُّحۡكَمَٰتٌ هُنَّ أُمُّ ٱلۡكِتَٰبِ وَأُخَرُ مُتَشَٰبِهَٰتٞۖ فَأَمَّا ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِمۡ زَيۡغٞ فَيَتَّبِعُونَ مَا تَشَٰبَهَ مِنۡهُ ٱبۡتِغَآءَ ٱلۡفِتۡنَةِ وَٱبۡتِغَآءَ تَأۡوِيلِهِۦۖ وَمَا يَعۡلَمُ تَأۡوِيلَهُۥٓ إِلَّا ٱللَّهُۗ وَٱلرَّـٰسِخُونَ فِي ٱلۡعِلۡمِ يَقُولُونَ ءَامَنَّا بِهِۦ كُلّٞ مِّنۡ عِندِ رَبِّنَاۗ وَمَا يَذَّكَّرُ إِلَّآ أُوْلُواْ ٱلۡأَلۡبَٰبِ

Wohi Allah Taalaa hai jiss ney tujh per kitab utari jiss mein wazeh mazboot aayaten hain jo asal kitab hain aur baaz mutashabeh aayaten hain. Pus jin kay dilon mein kuji hai woh to iss ki mutashabeh aayaton kay peechay lag jatay hain fitney ki talab aur inn kay murad ki justujoo kay liye halankay inn ki haqeeqi murad ko siwaye Allah Taalaa kay koi nahi janta aur pukhta aur mazboor ilm walay yehi kehtay hain kay hum to inn per eman laa chukay yeh humaray rab ki taraf say hain aur naseehat to sirf aqal mand hi hasil kertay hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 7


رَبَّنَا لَا تُزِغۡ قُلُوبَنَا بَعۡدَ إِذۡ هَدَيۡتَنَا وَهَبۡ لَنَا مِن لَّدُنكَ رَحۡمَةًۚ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡوَهَّابُ

Aey humaray rab! Humen hidayat denay kay baad humaray dil tehray na ker dey aur humen apney pass say rehmat ata farma yaqeena tu hi boht bari ata denay wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 8


رَبَّنَآ إِنَّكَ جَامِعُ ٱلنَّاسِ لِيَوۡمٖ لَّا رَيۡبَ فِيهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُخۡلِفُ ٱلۡمِيعَادَ

Aey humaray rab! Tu yaqeenan logon ko aik din jama kerney wala hai jiss kay aaney mein koi shak nahi yaqeenan Allah Taalaa wada khilafi nahi kerta
Surah Aal-e-Imran, Verse 9


إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَن تُغۡنِيَ عَنۡهُمۡ أَمۡوَٰلُهُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُهُم مِّنَ ٱللَّهِ شَيۡـٔٗاۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمۡ وَقُودُ ٱلنَّارِ

Kafiron ko unn kay maal aur unn ki aulad Allah Taalaa (kay azab) say churaney mein kuch kaam na aayen gi yeh to jahannum ka endhan hi hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 10


كَدَأۡبِ ءَالِ فِرۡعَوۡنَ وَٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا فَأَخَذَهُمُ ٱللَّهُ بِذُنُوبِهِمۡۗ وَٱللَّهُ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ

Jaisa aal-e-firaon ka haal hua aur unn ka jo inn say pehlay thay unhon ney humari aayaton ko jhutlaya phir Allah Taalaa ney bhi unhen unn kay gunahon per pakar liya aur Allah Taalaa sakht azab wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 11


قُل لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ سَتُغۡلَبُونَ وَتُحۡشَرُونَ إِلَىٰ جَهَنَّمَۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمِهَادُ

Kafiron say keh dijiye! Kay tum un-qarib maghloob kiye jao gay aur jahannum ki taraf jama kiye jao gay aur woh bura thikana hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 12


قَدۡ كَانَ لَكُمۡ ءَايَةٞ فِي فِئَتَيۡنِ ٱلۡتَقَتَاۖ فِئَةٞ تُقَٰتِلُ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَأُخۡرَىٰ كَافِرَةٞ يَرَوۡنَهُم مِّثۡلَيۡهِمۡ رَأۡيَ ٱلۡعَيۡنِۚ وَٱللَّهُ يُؤَيِّدُ بِنَصۡرِهِۦ مَن يَشَآءُۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَعِبۡرَةٗ لِّأُوْلِي ٱلۡأَبۡصَٰرِ

Yaqeenan tumharay liye ibrat ki nishani thi unn do jamaton mein jo guth gaee thin aik jamat to Allah Taalaa ki raah mein larr rahi thi aur doosra giroh kafiron ka tha woh unhen apni aankhon say apney say dugna dekhtay thay aur Allah Taalaa jisay chahaye apni madad say qavi kerta hai. Yaqeenan iss mein aankhon walon kay liye bari ibrat hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 13


زُيِّنَ لِلنَّاسِ حُبُّ ٱلشَّهَوَٰتِ مِنَ ٱلنِّسَآءِ وَٱلۡبَنِينَ وَٱلۡقَنَٰطِيرِ ٱلۡمُقَنطَرَةِ مِنَ ٱلذَّهَبِ وَٱلۡفِضَّةِ وَٱلۡخَيۡلِ ٱلۡمُسَوَّمَةِ وَٱلۡأَنۡعَٰمِ وَٱلۡحَرۡثِۗ ذَٰلِكَ مَتَٰعُ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ وَٱللَّهُ عِندَهُۥ حُسۡنُ ٱلۡمَـَٔابِ

Marghoob cheezon ki mohabbat logon kay liye muzayyen ker di gaee hai jaisay aurten aur betay aur soney aur chandi kay jama kiye huye khazaney aur nishandaar ghoray aur chopaye aur kheti yeh duniya ki zidagi ka saman hai aur lotney ka acha thikana to Allah Taalaa hi kay pass hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 14


۞قُلۡ أَؤُنَبِّئُكُم بِخَيۡرٖ مِّن ذَٰلِكُمۡۖ لِلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ عِندَ رَبِّهِمۡ جَنَّـٰتٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَا وَأَزۡوَٰجٞ مُّطَهَّرَةٞ وَرِضۡوَٰنٞ مِّنَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ بَصِيرُۢ بِٱلۡعِبَادِ

Aap keh dijiye! Kiya mein tumhen iss say boht hi behat cheez bataon? Taqwa walon kay liye unn kay rab taalaa kay pass jannaten hain jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha rahen gay aur pakeeza biwiyan aur Allah Taalaa ki raza mandi hai sab banday Allah Taalaa ki nigah mein hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 15


ٱلَّذِينَ يَقُولُونَ رَبَّنَآ إِنَّنَآ ءَامَنَّا فَٱغۡفِرۡ لَنَا ذُنُوبَنَا وَقِنَا عَذَابَ ٱلنَّارِ

Jo kehtay hain kay aey humaray rab! Hum eman laa chukay iss liey humaray gunah moaf farma aur humen aag kay azab say bacha
Surah Aal-e-Imran, Verse 16


ٱلصَّـٰبِرِينَ وَٱلصَّـٰدِقِينَ وَٱلۡقَٰنِتِينَ وَٱلۡمُنفِقِينَ وَٱلۡمُسۡتَغۡفِرِينَ بِٱلۡأَسۡحَارِ

Jo sabar kerney walay aur sach bolney walay aur farmanbardari kerney walay aur Allah ki raah mein kharach kerney walay aur pichli raat ko baksish maangney walay hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 17


شَهِدَ ٱللَّهُ أَنَّهُۥ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ وَأُوْلُواْ ٱلۡعِلۡمِ قَآئِمَۢا بِٱلۡقِسۡطِۚ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ

Allah Taalaa farishtay aur ehal-e-ilm iss baat ki gawahi detay hain kay Allah kay siwa koi mabood nahi aur woh adal ko qaeem rakhney wala hai uss ghalib aur hikmata walay kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi
Surah Aal-e-Imran, Verse 18


إِنَّ ٱلدِّينَ عِندَ ٱللَّهِ ٱلۡإِسۡلَٰمُۗ وَمَا ٱخۡتَلَفَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ إِلَّا مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَهُمُ ٱلۡعِلۡمُ بَغۡيَۢا بَيۡنَهُمۡۗ وَمَن يَكۡفُرۡ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ فَإِنَّ ٱللَّهَ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ

Be-shak Allah Taalaa kay nazdeek deen islam hi hai aur ehal-e-kitab ney apney pass ilm aa janey kay baad aapas ki sirkashi aur hasad ki bina per hi ikhtilaf kiya hai aur Allah Taalaa ki aayaton kay sath jo bhi kufur keray Allah Taalaa uss ka jald hisab lenay wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 19


فَإِنۡ حَآجُّوكَ فَقُلۡ أَسۡلَمۡتُ وَجۡهِيَ لِلَّهِ وَمَنِ ٱتَّبَعَنِۗ وَقُل لِّلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡأُمِّيِّـۧنَ ءَأَسۡلَمۡتُمۡۚ فَإِنۡ أَسۡلَمُواْ فَقَدِ ٱهۡتَدَواْۖ وَّإِن تَوَلَّوۡاْ فَإِنَّمَا عَلَيۡكَ ٱلۡبَلَٰغُۗ وَٱللَّهُ بَصِيرُۢ بِٱلۡعِبَادِ

Phir bhi agar yeh aap say jhagren to aap keh den kay mein aur meray tabey daaron ney Allah Taalaa kay samney apna sir tasleem khum ker diya hai aur ehal-e-kitab say aur un-parh logon say keh dijiye! Kay kiya tum bhi ita’at kertay ho? Pus agar yeh bhi tabye daar bann jayen to yaqeenan hidayat walay hain aur agar yeh roo gardani keren to aap per sirf phoncha dena hai aur Allah bandon ko khoob dekh bhaal raha hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 20


إِنَّ ٱلَّذِينَ يَكۡفُرُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَيَقۡتُلُونَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ بِغَيۡرِ حَقّٖ وَيَقۡتُلُونَ ٱلَّذِينَ يَأۡمُرُونَ بِٱلۡقِسۡطِ مِنَ ٱلنَّاسِ فَبَشِّرۡهُم بِعَذَابٍ أَلِيمٍ

Jo log Allah Taalaa ki aayaton say kufur kertay hain aur na haq nabiyon ko qatal ker daaltay hain aur jo log adal-o-insaf ki baat kahen unhen bhi qatal ker daaltay hain to aey nabi! Enhen dard naak azab ki khabar dey dijiye
Surah Aal-e-Imran, Verse 21


أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ حَبِطَتۡ أَعۡمَٰلُهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِ وَمَا لَهُم مِّن نَّـٰصِرِينَ

Inn kay aemaal duniya-o-aakhirat mein ghaarat hain aur inn ka koi madadgar nahi
Surah Aal-e-Imran, Verse 22


أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ أُوتُواْ نَصِيبٗا مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِ يُدۡعَوۡنَ إِلَىٰ كِتَٰبِ ٱللَّهِ لِيَحۡكُمَ بَيۡنَهُمۡ ثُمَّ يَتَوَلَّىٰ فَرِيقٞ مِّنۡهُمۡ وَهُم مُّعۡرِضُونَ

Kiya aap ney unhen nahi dekha jinhen aik hissa kitab ki diya gaya hai woh apney aapas kay faislon kay liye Allah Taalaa ki kitab ki taraf bulaye jatay hain phir bhi aik jamat inn ki mun pher ker lot jati hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 23


ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَالُواْ لَن تَمَسَّنَا ٱلنَّارُ إِلَّآ أَيَّامٗا مَّعۡدُودَٰتٖۖ وَغَرَّهُمۡ فِي دِينِهِم مَّا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ

Iss ki waja inn ka yeh kehna hai kay humen to ginay chuney chand din hi aag jalaye gi inn ki ghari gharaee baaton ney enhen inn kay deen kay baray mein dhokay mein daal rakha hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 24


فَكَيۡفَ إِذَا جَمَعۡنَٰهُمۡ لِيَوۡمٖ لَّا رَيۡبَ فِيهِ وَوُفِّيَتۡ كُلُّ نَفۡسٖ مَّا كَسَبَتۡ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ

Pus kiya haal hoga jabkay hum enhen uss din jama keren gay? Jiss kay aaney mein koi shak nahi aur her shaks apna apna kiya poora poora diya jayega aur inn per koi zulm na kiya jaye ga
Surah Aal-e-Imran, Verse 25


قُلِ ٱللَّهُمَّ مَٰلِكَ ٱلۡمُلۡكِ تُؤۡتِي ٱلۡمُلۡكَ مَن تَشَآءُ وَتَنزِعُ ٱلۡمُلۡكَ مِمَّن تَشَآءُ وَتُعِزُّ مَن تَشَآءُ وَتُذِلُّ مَن تَشَآءُۖ بِيَدِكَ ٱلۡخَيۡرُۖ إِنَّكَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ

Aap keh dijiye aey Allah ! Aey tamam jahaan kay maalik! Tu jissay chahaye badshahi dey aur jiss say chahaye saltanat cheen ley aur tu jissay chahaye izzat dey aur jissay chahaye zillat dey teray hi haath mein sab bhalaiyan hain be-shak tu her cheez per qadir hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 26


تُولِجُ ٱلَّيۡلَ فِي ٱلنَّهَارِ وَتُولِجُ ٱلنَّهَارَ فِي ٱلَّيۡلِۖ وَتُخۡرِجُ ٱلۡحَيَّ مِنَ ٱلۡمَيِّتِ وَتُخۡرِجُ ٱلۡمَيِّتَ مِنَ ٱلۡحَيِّۖ وَتَرۡزُقُ مَن تَشَآءُ بِغَيۡرِ حِسَابٖ

Tu hi raat ko din mein dakhil kerta hai aur din ko raat mein ley jata hai tu hi bey jaan say jaandar peda kerta hai aur tu jaandar say bey jaan peda kerta hai tu hi hai kay jissay chahata hai bey shumar rozi deta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 27


لَّا يَتَّخِذِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ ٱلۡكَٰفِرِينَ أَوۡلِيَآءَ مِن دُونِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَۖ وَمَن يَفۡعَلۡ ذَٰلِكَ فَلَيۡسَ مِنَ ٱللَّهِ فِي شَيۡءٍ إِلَّآ أَن تَتَّقُواْ مِنۡهُمۡ تُقَىٰةٗۗ وَيُحَذِّرُكُمُ ٱللَّهُ نَفۡسَهُۥۗ وَإِلَى ٱللَّهِ ٱلۡمَصِيرُ

Mominon ko chahaiye kay eman walon ko chor ker kafiron ko apna dost na banayen aur jo aisa keray ga woh Allah Taalaa ki kissi himayat mein nahi magar yeh kay inn kay sharr say kissi tarah bachao maqsood ho aur Allah Taalaa khus tumhen apni zaat say dara raha hai aur Allah Taalaa hi ki taraf lot jana hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 28


قُلۡ إِن تُخۡفُواْ مَا فِي صُدُورِكُمۡ أَوۡ تُبۡدُوهُ يَعۡلَمۡهُ ٱللَّهُۗ وَيَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ

Keh dijiye! Kay khuwa tum apney seenon ki baaten chupao khuwa zahir kero Allah Taalaa (bahar haal) janta hai aasmanon aur zamin mein jo kuch hai sab ussay maloom hai aur Allah Taalaa jer cheez per qadir hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 29


يَوۡمَ تَجِدُ كُلُّ نَفۡسٖ مَّا عَمِلَتۡ مِنۡ خَيۡرٖ مُّحۡضَرٗا وَمَا عَمِلَتۡ مِن سُوٓءٖ تَوَدُّ لَوۡ أَنَّ بَيۡنَهَا وَبَيۡنَهُۥٓ أَمَدَۢا بَعِيدٗاۗ وَيُحَذِّرُكُمُ ٱللَّهُ نَفۡسَهُۥۗ وَٱللَّهُ رَءُوفُۢ بِٱلۡعِبَادِ

Jiss din her nafss (shaks) apni ki hui nekiyon ko aur apni ki hui buraiyon ko mojood paa ley ga aarzoo keray ga kay kaash! Uss kay aur buraiyon kay darmiyan boht hi doori hoti. Allah Taalaa tumhen apni zaat say dara raha hai aur Allah Taalaa apney bandon per bara hi meharban hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 30


قُلۡ إِن كُنتُمۡ تُحِبُّونَ ٱللَّهَ فَٱتَّبِعُونِي يُحۡبِبۡكُمُ ٱللَّهُ وَيَغۡفِرۡ لَكُمۡ ذُنُوبَكُمۡۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ

Keh dijiye! Kay agar tum Allah Taalaa say mohabbat rakhtay ho to meri tabeydari kero khud Allah Taalaa tum say mohabbat keray ga aur tumharay gunah moaf farma dey ga aur Allah Taalaa bara bakshney wala meharban hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 31


قُلۡ أَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَۖ فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَإِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ ٱلۡكَٰفِرِينَ

Keh dijiye! Kay Allah Taalaa aur rasool ki ita’at kero agar yeh mun pher len to be-shak Allah Taalaa kafiron say mohabbat nahi kerta
Surah Aal-e-Imran, Verse 32


۞إِنَّ ٱللَّهَ ٱصۡطَفَىٰٓ ءَادَمَ وَنُوحٗا وَءَالَ إِبۡرَٰهِيمَ وَءَالَ عِمۡرَٰنَ عَلَى ٱلۡعَٰلَمِينَ

Be-shak Allah Taalaa ney tamam jahaan kay logon mein say aadam (alh-e-salam) ko aur nooh (alh-e-salam) ko aur ibrahim (alh-e-salam) kay khandan aur imran kay khandanon ko muntakhib farma liya
Surah Aal-e-Imran, Verse 33


ذُرِّيَّةَۢ بَعۡضُهَا مِنۢ بَعۡضٖۗ وَٱللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٌ

Kay yeh sab aapas mein aik doosray ki nasal say hain aur Allah Taalaa sunta janta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 34


إِذۡ قَالَتِ ٱمۡرَأَتُ عِمۡرَٰنَ رَبِّ إِنِّي نَذَرۡتُ لَكَ مَا فِي بَطۡنِي مُحَرَّرٗا فَتَقَبَّلۡ مِنِّيٓۖ إِنَّكَ أَنتَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ

Jab imran ki biwi ney kaha aey meray rab! Meray pet mein jo kuch hai ussay mein ney teray naam azad kerney ki nazar maani tu meri taraf say qabool farma! Yaqeenan tu khoob sunney wala aur poori tarah janney wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 35


فَلَمَّا وَضَعَتۡهَا قَالَتۡ رَبِّ إِنِّي وَضَعۡتُهَآ أُنثَىٰ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا وَضَعَتۡ وَلَيۡسَ ٱلذَّكَرُ كَٱلۡأُنثَىٰۖ وَإِنِّي سَمَّيۡتُهَا مَرۡيَمَ وَإِنِّيٓ أُعِيذُهَا بِكَ وَذُرِّيَّتَهَا مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ

Jab bachi hui to kehney lagin kay perwerdigar! Mujhay to larki hui Allah Taalaa ko khoob maloom hai kay kiya aulad hui hai aur larka larki jaisa nahi mein ney uss ka naam marium rakha mein issay aur iss ki aulad ko shetan mardood say teri panah mein deti hun
Surah Aal-e-Imran, Verse 36


فَتَقَبَّلَهَا رَبُّهَا بِقَبُولٍ حَسَنٖ وَأَنۢبَتَهَا نَبَاتًا حَسَنٗا وَكَفَّلَهَا زَكَرِيَّاۖ كُلَّمَا دَخَلَ عَلَيۡهَا زَكَرِيَّا ٱلۡمِحۡرَابَ وَجَدَ عِندَهَا رِزۡقٗاۖ قَالَ يَٰمَرۡيَمُ أَنَّىٰ لَكِ هَٰذَاۖ قَالَتۡ هُوَ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِۖ إِنَّ ٱللَّهَ يَرۡزُقُ مَن يَشَآءُ بِغَيۡرِ حِسَابٍ

Pus issay uss kay perwerdigar ney achi tarah qabool farmaya aur ussay behtareen perwerish di. Uss ki khair khabar lenay wala zakariya (alh-e-salam) ko banaya jab kabhi zakariya (alh-e-salam) unn kay hujray mein jatay unn kay pass rozi rakhi hui patay woh poochtay aey marium! Yeh rozi tumharay pass kahan say aaee? Woh jawab detin kay yeh Allah Taalaa kay pass say hai be-shak Allah Taalaa jissay chahaye bey shumar rozi dey
Surah Aal-e-Imran, Verse 37


هُنَالِكَ دَعَا زَكَرِيَّا رَبَّهُۥۖ قَالَ رَبِّ هَبۡ لِي مِن لَّدُنكَ ذُرِّيَّةٗ طَيِّبَةًۖ إِنَّكَ سَمِيعُ ٱلدُّعَآءِ

Ussi jagah zakariya (alh-e-salam) ney apney rab say dua ki kaha kay aey meray perwerdigar! Mujhay apney pass say pakeeza aulad ata farma be-shak tu dua ka sunney wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 38


فَنَادَتۡهُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ وَهُوَ قَآئِمٞ يُصَلِّي فِي ٱلۡمِحۡرَابِ أَنَّ ٱللَّهَ يُبَشِّرُكَ بِيَحۡيَىٰ مُصَدِّقَۢا بِكَلِمَةٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَسَيِّدٗا وَحَصُورٗا وَنَبِيّٗا مِّنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ

Pus farishton ney unhen aawaz di jabkay woh hujray mein kharay namaz parh rahey thay kay Allah Taalaa tujhay yahya ki yaqeeni khushkhabri deta hai jo Allah Taalaa kay kalmay ki tasdeeq kerney wala sardar zaabit nafss aur nabi hai nek logon mein say
Surah Aal-e-Imran, Verse 39


قَالَ رَبِّ أَنَّىٰ يَكُونُ لِي غُلَٰمٞ وَقَدۡ بَلَغَنِيَ ٱلۡكِبَرُ وَٱمۡرَأَتِي عَاقِرٞۖ قَالَ كَذَٰلِكَ ٱللَّهُ يَفۡعَلُ مَا يَشَآءُ

Kehney lagay aey meray rab! Meray haan bacha kaisay hoga? Mein bilkul boorha hogaya hun aur meri biwi baanjh hai farmaya issi tarah Allah jo chahaye kerta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 40


قَالَ رَبِّ ٱجۡعَل لِّيٓ ءَايَةٗۖ قَالَ ءَايَتُكَ أَلَّا تُكَلِّمَ ٱلنَّاسَ ثَلَٰثَةَ أَيَّامٍ إِلَّا رَمۡزٗاۗ وَٱذۡكُر رَّبَّكَ كَثِيرٗا وَسَبِّحۡ بِٱلۡعَشِيِّ وَٱلۡإِبۡكَٰرِ

Kehney lagay perwerdigar! Meray liye iss ki koi nishani muqarrar ker dey farmaya nishani yeh hai kay teen din tak tu logon say baat na ker sakay ga sirf isharay say samjhaye ga tu apney rab kay zikar kasrat say ker aur subha-o-shaam ussi ki tasbeeh biyan kerta reh
Surah Aal-e-Imran, Verse 41


وَإِذۡ قَالَتِ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يَٰمَرۡيَمُ إِنَّ ٱللَّهَ ٱصۡطَفَىٰكِ وَطَهَّرَكِ وَٱصۡطَفَىٰكِ عَلَىٰ نِسَآءِ ٱلۡعَٰلَمِينَ

Aur jab farishton ney kaha aey marium! Allah Taalaa ney tujhay bar gazeedah ker liya aur tujhay pak ker diya aur saray jahaan ki aurton mein say tera intikhab ker liya
Surah Aal-e-Imran, Verse 42


يَٰمَرۡيَمُ ٱقۡنُتِي لِرَبِّكِ وَٱسۡجُدِي وَٱرۡكَعِي مَعَ ٱلرَّـٰكِعِينَ

Aey marium! Tu apney rab ki ita’at ker aur sajda ker aur rukoo kerney walon kay sath rukoo ker
Surah Aal-e-Imran, Verse 43


ذَٰلِكَ مِنۡ أَنۢبَآءِ ٱلۡغَيۡبِ نُوحِيهِ إِلَيۡكَۚ وَمَا كُنتَ لَدَيۡهِمۡ إِذۡ يُلۡقُونَ أَقۡلَٰمَهُمۡ أَيُّهُمۡ يَكۡفُلُ مَرۡيَمَ وَمَا كُنتَ لَدَيۡهِمۡ إِذۡ يَخۡتَصِمُونَ

Yeh ghaib ki ghabron mein say hai jissay hum teri taraf wahee say phonchatay hain tu unn kay pass na tha jabkay woh apney qalam daal rahey thay kay marium ko inn mein say kaun paa ley ga? Aur na tu unn kay jhagray kay waqt unn kay pass tha
Surah Aal-e-Imran, Verse 44


إِذۡ قَالَتِ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يَٰمَرۡيَمُ إِنَّ ٱللَّهَ يُبَشِّرُكِ بِكَلِمَةٖ مِّنۡهُ ٱسۡمُهُ ٱلۡمَسِيحُ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ وَجِيهٗا فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِ وَمِنَ ٱلۡمُقَرَّبِينَ

Jab farishton ney kaha aey marium! Allah Taalaa tujhay apney aik kalmay ki khushkhabri deta hai jiss kay naam maseeh essa bin marium hai jo duniya aur aakhirat mein zee izzat hai aur woh meray muqarrabeen mein say hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 45


وَيُكَلِّمُ ٱلنَّاسَ فِي ٱلۡمَهۡدِ وَكَهۡلٗا وَمِنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ

Woh logon say apney gehwaray mein baaten keray ga aur adher umar mein bhi aur woh nek logon mein say hoga
Surah Aal-e-Imran, Verse 46


قَالَتۡ رَبِّ أَنَّىٰ يَكُونُ لِي وَلَدٞ وَلَمۡ يَمۡسَسۡنِي بَشَرٞۖ قَالَ كَذَٰلِكِ ٱللَّهُ يَخۡلُقُ مَا يَشَآءُۚ إِذَا قَضَىٰٓ أَمۡرٗا فَإِنَّمَا يَقُولُ لَهُۥ كُن فَيَكُونُ

Kehney lagin ilahee mujhay larka kaisay hoga? Halankay mujhay to kissi insan ney haath bhi nahi lagaya farishtay ney kaha issi tarah Allah Taalaa jo chahaye peda kerta hai jab kabhi woh kissi kaam ko kerna chahata hai to sirf yeh keh deta hai kay ho ja! To woh ho jata hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 47


وَيُعَلِّمُهُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَ

Allah Taalaa ussay likhna aur hikmat aur toraat aur injeel sikhaya ga
Surah Aal-e-Imran, Verse 48


وَرَسُولًا إِلَىٰ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ أَنِّي قَدۡ جِئۡتُكُم بِـَٔايَةٖ مِّن رَّبِّكُمۡ أَنِّيٓ أَخۡلُقُ لَكُم مِّنَ ٱلطِّينِ كَهَيۡـَٔةِ ٱلطَّيۡرِ فَأَنفُخُ فِيهِ فَيَكُونُ طَيۡرَۢا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۖ وَأُبۡرِئُ ٱلۡأَكۡمَهَ وَٱلۡأَبۡرَصَ وَأُحۡيِ ٱلۡمَوۡتَىٰ بِإِذۡنِ ٱللَّهِۖ وَأُنَبِّئُكُم بِمَا تَأۡكُلُونَ وَمَا تَدَّخِرُونَ فِي بُيُوتِكُمۡۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لَّكُمۡ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ

Aur woh bani isareel ki taraf rasool hoga kay mein tumharay pass tumharay rab ki nishani laya hun mein tumharay liye parinday ki shakal ki tarah mitti ka parinda banata hun phir uss mein phoonk maarta hun to woh Allah Taalaa kay hukum say parinda bann jata hai aur Allah Taalaa kay hukum say mein maadar zaad andhay ko aur korhi ko acha ker deta hun aur murdon ko zinda kerta hun aur jo kuch tum khao aur jo apney gharon mein zakheera kero mein tumhen bata deta hun iss mein tumharay liye bari nishani hai agar tum eman laney walay ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 49


وَمُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيَّ مِنَ ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَلِأُحِلَّ لَكُم بَعۡضَ ٱلَّذِي حُرِّمَ عَلَيۡكُمۡۚ وَجِئۡتُكُم بِـَٔايَةٖ مِّن رَّبِّكُمۡ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُونِ

Aur mein toraat ki tasdeeq kerney wala hun jo meray samney hai aur mein iss liye aaya hun kay tum per baaz woh cheezen halal keroon jo tum per haram ker di gaeen hain aur mein tumharay pass tumharay rab ki nishani laya hun iss liye tum Allah Taalaa say daro aur meri farmanbardari kero
Surah Aal-e-Imran, Verse 50


إِنَّ ٱللَّهَ رَبِّي وَرَبُّكُمۡ فَٱعۡبُدُوهُۚ هَٰذَا صِرَٰطٞ مُّسۡتَقِيمٞ

Yaqeen maano! Mera aur tumhara rab Allah hi hai tum sab ussi ki ibadat kero yehi seedhi raah hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 51


۞فَلَمَّآ أَحَسَّ عِيسَىٰ مِنۡهُمُ ٱلۡكُفۡرَ قَالَ مَنۡ أَنصَارِيٓ إِلَى ٱللَّهِۖ قَالَ ٱلۡحَوَارِيُّونَ نَحۡنُ أَنصَارُ ٱللَّهِ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَٱشۡهَدۡ بِأَنَّا مُسۡلِمُونَ

Maga jab hazrat essa (alh-e-salam) ney unn ka kufur mehsoos ker liya to kehney lagay Allah Taalaa ki raah mein meri madad kerney wala kaun kaun hai? Hawariyon ney jawab diya kay hum Allah Taalaa ki raah kay madadgar hain hum Allah Taalaa per eman laye aur aap gawah rahiye kay hum tabeydaar hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 52


رَبَّنَآ ءَامَنَّا بِمَآ أَنزَلۡتَ وَٱتَّبَعۡنَا ٱلرَّسُولَ فَٱكۡتُبۡنَا مَعَ ٱلشَّـٰهِدِينَ

Aey humaray paalney walay mabood! Hum teri utari hui wahee per eman laye aur hum ney teray rasool ki ittaba ki pus tu humen gawahon mein likh ley
Surah Aal-e-Imran, Verse 53


وَمَكَرُواْ وَمَكَرَ ٱللَّهُۖ وَٱللَّهُ خَيۡرُ ٱلۡمَٰكِرِينَ

Aur kafiron ney makar kiya aur Allah Taalaa ney bhi (makar) khufiya tadbeer ki aur Allah Taalaa sab khufiya tadbeer kerney walon say behtar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 54


إِذۡ قَالَ ٱللَّهُ يَٰعِيسَىٰٓ إِنِّي مُتَوَفِّيكَ وَرَافِعُكَ إِلَيَّ وَمُطَهِّرُكَ مِنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَجَاعِلُ ٱلَّذِينَ ٱتَّبَعُوكَ فَوۡقَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِۖ ثُمَّ إِلَيَّ مَرۡجِعُكُمۡ فَأَحۡكُمُ بَيۡنَكُمۡ فِيمَا كُنتُمۡ فِيهِ تَخۡتَلِفُونَ

Jab Allah Taalaa ney farmaya kay aey essa! Mein tujhay poora lenay wala hun aur tujhay apni janib uthaney wala hun aur tujhay kafiron say pak kerney wala hun aur teray tabeydaron ko kafiron kay upper ghalib kerney wala hun qayamat kay din tak phir tum sab ka lotna meri hi taraf hai mein hi tumharay aapas kay tamam tar ikhtilafaat ka faisla keroon ga
Surah Aal-e-Imran, Verse 55


فَأَمَّا ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَأُعَذِّبُهُمۡ عَذَابٗا شَدِيدٗا فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِ وَمَا لَهُم مِّن نَّـٰصِرِينَ

Phir kafiron ko to mein duniya aur aakhirat mein sakhta tar azab doon ga aur unn ka koi madadgar na hoga
Surah Aal-e-Imran, Verse 56


وَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ فَيُوَفِّيهِمۡ أُجُورَهُمۡۗ وَٱللَّهُ لَا يُحِبُّ ٱلظَّـٰلِمِينَ

Lekin eman walon aur nek aemaal logon ko Allah Taalaa unn ka sawab poora poora dey ga aur Allah Taalaa zalimon say mohabbat nahi kerta
Surah Aal-e-Imran, Verse 57


ذَٰلِكَ نَتۡلُوهُ عَلَيۡكَ مِنَ ٱلۡأٓيَٰتِ وَٱلذِّكۡرِ ٱلۡحَكِيمِ

Yeh jisay hum teray samney parh rahey hain aayaten hain aur hikmar wali naseehat hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 58


إِنَّ مَثَلَ عِيسَىٰ عِندَ ٱللَّهِ كَمَثَلِ ءَادَمَۖ خَلَقَهُۥ مِن تُرَابٖ ثُمَّ قَالَ لَهُۥ كُن فَيَكُونُ

Allah Taalaa kay nazdeek essa (alh-e-salam) ki misal hoo ba hoo aadam (alh-e-salam) ki misal hai jissay mitti say bana ker keh diya kay ho ja! Pus woh hogaya
Surah Aal-e-Imran, Verse 59


ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّكَ فَلَا تَكُن مِّنَ ٱلۡمُمۡتَرِينَ

Teray rab ki taraf say haq yehi hai khabardar shak kerney walon mein say na hona
Surah Aal-e-Imran, Verse 60


فَمَنۡ حَآجَّكَ فِيهِ مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَكَ مِنَ ٱلۡعِلۡمِ فَقُلۡ تَعَالَوۡاْ نَدۡعُ أَبۡنَآءَنَا وَأَبۡنَآءَكُمۡ وَنِسَآءَنَا وَنِسَآءَكُمۡ وَأَنفُسَنَا وَأَنفُسَكُمۡ ثُمَّ نَبۡتَهِلۡ فَنَجۡعَل لَّعۡنَتَ ٱللَّهِ عَلَى ٱلۡكَٰذِبِينَ

Iss liye jo shaks aap kay pass iss ilm kay aajaney kay baad bhi aap say iss mein jhagray to aap keh den kay aao hum tum apney apney farzandon ko aur hum tum apni apni aurton ko aur hum tum khas apni apni janon ko bula len phir hum aajzi kay sath iltija keren aur jhooton per Allah ki laanat keren
Surah Aal-e-Imran, Verse 61


إِنَّ هَٰذَا لَهُوَ ٱلۡقَصَصُ ٱلۡحَقُّۚ وَمَا مِنۡ إِلَٰهٍ إِلَّا ٱللَّهُۚ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ

Yaqeenan sirf yehi sacha biyan hai aur koi mabood bar haq nahi ba-juz Allah Taalaa kay aur be-shak ghalib aur hikmat wala Allah Taalaa hi hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 62


فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَإِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِٱلۡمُفۡسِدِينَ

Phir bhi agar qabool na keren to Allah Taalaa bhi sahih tor per fasadiyon ko janney wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 63


قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ تَعَالَوۡاْ إِلَىٰ كَلِمَةٖ سَوَآءِۭ بَيۡنَنَا وَبَيۡنَكُمۡ أَلَّا نَعۡبُدَ إِلَّا ٱللَّهَ وَلَا نُشۡرِكَ بِهِۦ شَيۡـٔٗا وَلَا يَتَّخِذَ بَعۡضُنَا بَعۡضًا أَرۡبَابٗا مِّن دُونِ ٱللَّهِۚ فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَقُولُواْ ٱشۡهَدُواْ بِأَنَّا مُسۡلِمُونَ

Aap keh dijiye kay aey ehal-e-kitab! Aisi insaf wali baat ki taraf aao jo hum mein tum mein barabar hai kay hum Allah Taalaa kay siwa kissi ki ibadat na keren na uss kay sath kissi ko shareek banayen na Allah Taalaa ko chor ker aapas mein aik doosray ko hi rab banayen. Pus agar woh mun pher len to tum keh do kay gawah raho hum to musalman hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 64


يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لِمَ تُحَآجُّونَ فِيٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَمَآ أُنزِلَتِ ٱلتَّوۡرَىٰةُ وَٱلۡإِنجِيلُ إِلَّا مِنۢ بَعۡدِهِۦٓۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ

Aey ehal-e-kitab! Tum ibrahim ki babat kiyon jhagartay ho halankay toraat-o-injeel to unn kay baad nazil ki gaeen kiya tum phir bhi nahi samjhtay
Surah Aal-e-Imran, Verse 65


هَـٰٓأَنتُمۡ هَـٰٓؤُلَآءِ حَٰجَجۡتُمۡ فِيمَا لَكُم بِهِۦ عِلۡمٞ فَلِمَ تُحَآجُّونَ فِيمَا لَيۡسَ لَكُم بِهِۦ عِلۡمٞۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ وَأَنتُمۡ لَا تَعۡلَمُونَ

Suno! Tum uss mein jhagar chukay jiss ka tumhen ilm tha phir abb iss baat mein kiyon jhagartay ho jiss ka tumhen ilm hi nahi? Aur Allah Taalaa janta hai aur tum nahi jantay
Surah Aal-e-Imran, Verse 66


مَا كَانَ إِبۡرَٰهِيمُ يَهُودِيّٗا وَلَا نَصۡرَانِيّٗا وَلَٰكِن كَانَ حَنِيفٗا مُّسۡلِمٗا وَمَا كَانَ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ

Ibrahim to na yahudi thay na nasrani thay bulkay woh to yak tarfa (khalis) musalman thay woh mushrik bhi na thay
Surah Aal-e-Imran, Verse 67


إِنَّ أَوۡلَى ٱلنَّاسِ بِإِبۡرَٰهِيمَ لَلَّذِينَ ٱتَّبَعُوهُ وَهَٰذَا ٱلنَّبِيُّ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْۗ وَٱللَّهُ وَلِيُّ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

Sab logon say ziyada ibrahim say nazdeek tar woh log hain jinhon ney unn ka kaha maana aur yeh nabi aur jo log eman laye mominon ka wali aur shahara Allah hi hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 68


وَدَّت طَّآئِفَةٞ مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ لَوۡ يُضِلُّونَكُمۡ وَمَا يُضِلُّونَ إِلَّآ أَنفُسَهُمۡ وَمَا يَشۡعُرُونَ

Ehal-e-kitab ki aik jamat chahati hai kay tumhen gumrah ker den dar-asal woh khud apney aap ko gumrah ker rahey hain aur samajhtay nahi
Surah Aal-e-Imran, Verse 69


يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لِمَ تَكۡفُرُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَأَنتُمۡ تَشۡهَدُونَ

Aey ehal-e-kitab tum (ba wajood qaeel honey kay phir bhi) daanista Allah ki aayaat ka kiyon kufur ker rahey ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 70


يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لِمَ تَلۡبِسُونَ ٱلۡحَقَّ بِٱلۡبَٰطِلِ وَتَكۡتُمُونَ ٱلۡحَقَّ وَأَنتُمۡ تَعۡلَمُونَ

Aey ehal-e-kitab! Ba wajood janney kay haq-o-baatil ko kiyon khalat malat ker rahey ho aur kiyon haq ko chupa rahey ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 71


وَقَالَت طَّآئِفَةٞ مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ ءَامِنُواْ بِٱلَّذِيٓ أُنزِلَ عَلَى ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَجۡهَ ٱلنَّهَارِ وَٱكۡفُرُوٓاْ ءَاخِرَهُۥ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ

Aur ehal-e-kitab ki aik jamat ney kaha kay jo kuch eman walon per utara gaya hai uss per din charhay to eman lao aur shaam kay waqt kafir bann jao takay yeh log bhi palat jayen
Surah Aal-e-Imran, Verse 72


وَلَا تُؤۡمِنُوٓاْ إِلَّا لِمَن تَبِعَ دِينَكُمۡ قُلۡ إِنَّ ٱلۡهُدَىٰ هُدَى ٱللَّهِ أَن يُؤۡتَىٰٓ أَحَدٞ مِّثۡلَ مَآ أُوتِيتُمۡ أَوۡ يُحَآجُّوكُمۡ عِندَ رَبِّكُمۡۗ قُلۡ إِنَّ ٱلۡفَضۡلَ بِيَدِ ٱللَّهِ يُؤۡتِيهِ مَن يَشَآءُۗ وَٱللَّهُ وَٰسِعٌ عَلِيمٞ

Aur siwaye tumharay deen per chalney walon kay aur kissi ka yaqeen na kero. Aap keh dijiye kay be-shak hidayat to Allah hi ki hidayat hai (aur yeh bhi kehtay hain kay iss baat ka bhi yaqeen na kero) kay koi uss jaisa diya jaye jaisa tum diye gaye ho ya yeh kay yeh tum say tumharay rab kay pass jhagra keren gay aap keh dijiye kay fazal to Allah Taalaa hi kay haath mein hai woh jissay chahaye ussay dey Allah Taalaa wusat wala aur janney wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 73


يَخۡتَصُّ بِرَحۡمَتِهِۦ مَن يَشَآءُۗ وَٱللَّهُ ذُو ٱلۡفَضۡلِ ٱلۡعَظِيمِ

Woh apni rehmat kay sath jissay chahaye makhsoos ker ley aur Allah Taalaa baray fazal wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 74


۞وَمِنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ مَنۡ إِن تَأۡمَنۡهُ بِقِنطَارٖ يُؤَدِّهِۦٓ إِلَيۡكَ وَمِنۡهُم مَّنۡ إِن تَأۡمَنۡهُ بِدِينَارٖ لَّا يُؤَدِّهِۦٓ إِلَيۡكَ إِلَّا مَا دُمۡتَ عَلَيۡهِ قَآئِمٗاۗ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَالُواْ لَيۡسَ عَلَيۡنَا فِي ٱلۡأُمِّيِّـۧنَ سَبِيلٞ وَيَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ وَهُمۡ يَعۡلَمُونَ

Baaz ehal-e-kitab to aisay hain kay agar tu enhen khazaney ka amin bana dey to bhi woh tujhay wapis ker den aur inn mein say baaz aisay bhi hain kay agar tu enhen aik dinar bhi amanat dey to tujhay ada na keren. Haan yeh aur baat hai kay tu uss kay sir per hi khara rahey yeh iss liye kay enhon ney keh rakha hai kay hum per inn jahilon (ghair yahudiyon) kay haq ka koi gunah nahi yeh log ba wajood janney kay Allah Taalaa per jhoot kehtay hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 75


بَلَىٰۚ مَنۡ أَوۡفَىٰ بِعَهۡدِهِۦ وَٱتَّقَىٰ فَإِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُتَّقِينَ

Kiyon nahi (moakhiza hoga) albatta jo shaks apna qarar poora keray aur perhezgari keray to Allah Taalaa bhi aisay perhezgaron say mohabbat kerta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 76


إِنَّ ٱلَّذِينَ يَشۡتَرُونَ بِعَهۡدِ ٱللَّهِ وَأَيۡمَٰنِهِمۡ ثَمَنٗا قَلِيلًا أُوْلَـٰٓئِكَ لَا خَلَٰقَ لَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ وَلَا يُكَلِّمُهُمُ ٱللَّهُ وَلَا يَنظُرُ إِلَيۡهِمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ وَلَا يُزَكِّيهِمۡ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ

Be-shak jo log Allah Taalaa kay ehad aur apni qasmon ko thori qeemat mein baich daaltay hain unn kay liye aakhirat mein koi hissa nahi Allah Taalaa na to unn say baat cheet keray ga na unn ki taraf qayamat kay din dekhay ga na unhen pak keray ga aur unn kay liye dard naak azab hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 77


وَإِنَّ مِنۡهُمۡ لَفَرِيقٗا يَلۡوُۥنَ أَلۡسِنَتَهُم بِٱلۡكِتَٰبِ لِتَحۡسَبُوهُ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَمَا هُوَ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَيَقُولُونَ هُوَ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِ وَمَا هُوَ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِۖ وَيَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ وَهُمۡ يَعۡلَمُونَ

Yaqeenan inn mein aisa giroh bhi hai jo kitab parhtay huye apni zaban marorta hai takay tum ussay kitab hi ki ibarat khayal kero halankay kay dar-asal woh kitab mein say nahi aur yeh kehtay bhi hain kay woh Allah Taalaa ki taraf say hai halankay woh dar-asal Allah Taalaa ki taraf say nahi woh to daanista Allah Taalaa ki taraf jhoot boltay hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 78


مَا كَانَ لِبَشَرٍ أَن يُؤۡتِيَهُ ٱللَّهُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحُكۡمَ وَٱلنُّبُوَّةَ ثُمَّ يَقُولَ لِلنَّاسِ كُونُواْ عِبَادٗا لِّي مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلَٰكِن كُونُواْ رَبَّـٰنِيِّـۧنَ بِمَا كُنتُمۡ تُعَلِّمُونَ ٱلۡكِتَٰبَ وَبِمَا كُنتُمۡ تَدۡرُسُونَ

Kissi aisay insan ko jissay Allah Taalaa kitab-o-hikmat aur nabooat dey yeh laeeq nahi kay phir bhi woh logon say kahey kay tum Allah Taalaa ko chor ker meray banday bann jao bulkay woh to kahey ga kay tum sab rab kay ho jao tumharay kitab sikhaney kay baees aur tumharay kitab parhney kay sabab
Surah Aal-e-Imran, Verse 79


وَلَا يَأۡمُرَكُمۡ أَن تَتَّخِذُواْ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةَ وَٱلنَّبِيِّـۧنَ أَرۡبَابًاۚ أَيَأۡمُرُكُم بِٱلۡكُفۡرِ بَعۡدَ إِذۡ أَنتُم مُّسۡلِمُونَ

Aur yeh nahi (hosakta) kay woh tumhen fariston aur nabiyon ko rab bana lenay ka hukum keray kiya woh tumharay musalman honey kay baad bhi tumhen kufur ka hukum dey ga
Surah Aal-e-Imran, Verse 80


وَإِذۡ أَخَذَ ٱللَّهُ مِيثَٰقَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ لَمَآ ءَاتَيۡتُكُم مِّن كِتَٰبٖ وَحِكۡمَةٖ ثُمَّ جَآءَكُمۡ رَسُولٞ مُّصَدِّقٞ لِّمَا مَعَكُمۡ لَتُؤۡمِنُنَّ بِهِۦ وَلَتَنصُرُنَّهُۥۚ قَالَ ءَأَقۡرَرۡتُمۡ وَأَخَذۡتُمۡ عَلَىٰ ذَٰلِكُمۡ إِصۡرِيۖ قَالُوٓاْ أَقۡرَرۡنَاۚ قَالَ فَٱشۡهَدُواْ وَأَنَا۠ مَعَكُم مِّنَ ٱلشَّـٰهِدِينَ

Jab Allah Taalaa ney nabiyon say ehad liya kay jo kuch mein tumhen kitab-o-hikmat doon phir tumharay pass woh rasool aaye jo tumharay pass ki cheez ko sach bataye to tumharay liye uss per eman lana aur uss ki madad kerna zaroori hai. Farmaya kay tum iss kay iqrari ho aur iss per mera zimma ley rahey ho? Sab ney kaha humen iqrar hai farmaya to abb gawah raho aur khud mein bhi tumharay sath gawahon mein hun
Surah Aal-e-Imran, Verse 81


فَمَن تَوَلَّىٰ بَعۡدَ ذَٰلِكَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ

Pus iss kay baad jo palat jayen woh yaqeenan pooray na farman hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 82


أَفَغَيۡرَ دِينِ ٱللَّهِ يَبۡغُونَ وَلَهُۥٓ أَسۡلَمَ مَن فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ طَوۡعٗا وَكَرۡهٗا وَإِلَيۡهِ يُرۡجَعُونَ

Kiya woh Allah Taalaa kay deen kay siwa aur deen ki talash mein hain? Halankay tamam aasmanon walay aur sab zamin walay Allah Taalaa hi kay farmanbardar hain khushi say hon ya na khushi say sab ussi ki taraf lotaye jayen gay
Surah Aal-e-Imran, Verse 83


قُلۡ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَمَآ أُنزِلَ عَلَيۡنَا وَمَآ أُنزِلَ عَلَىٰٓ إِبۡرَٰهِيمَ وَإِسۡمَٰعِيلَ وَإِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَ وَٱلۡأَسۡبَاطِ وَمَآ أُوتِيَ مُوسَىٰ وَعِيسَىٰ وَٱلنَّبِيُّونَ مِن رَّبِّهِمۡ لَا نُفَرِّقُ بَيۡنَ أَحَدٖ مِّنۡهُمۡ وَنَحۡنُ لَهُۥ مُسۡلِمُونَ

Aap keh dijiye kay hum Allah Taalaa per aur jo kuch hum per utara gaya hai aur jo kuch ibrahim (alh-e-salam) aur ismail (alh-e-salam) aur yaqoob (alh-e-salam) aur unn ki aulad per utara gaya aur jo kuch musa (alh-e-salam) aur essa (alh-e-salam) aur doosray anbiya Allah Taalaa ki taraf say diya gaye unn sab per eman laye hum inn mein say kissi kay darmiyan farq nahi kertay aur hum Allah Taalaa kay farmanbardar hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 84


وَمَن يَبۡتَغِ غَيۡرَ ٱلۡإِسۡلَٰمِ دِينٗا فَلَن يُقۡبَلَ مِنۡهُ وَهُوَ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ

Jo shaks islam kay siwa aur deen talash keray uss ka deen qabool na kiya jayega aur woh aakhirat mein nuksan paney walon mein hoga
Surah Aal-e-Imran, Verse 85


كَيۡفَ يَهۡدِي ٱللَّهُ قَوۡمٗا كَفَرُواْ بَعۡدَ إِيمَٰنِهِمۡ وَشَهِدُوٓاْ أَنَّ ٱلرَّسُولَ حَقّٞ وَجَآءَهُمُ ٱلۡبَيِّنَٰتُۚ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ

Allah Taalaa unn logon ko kaisay hidayat dey ga jo apney eman laney aur rasool ko haqqaniyat ki gawahi denay aur apney pass roshan daleel aajaney kay baad kafir hojayen Allah Taalaa aisay bey insaf logon ko raah-e-raast per nahi laata
Surah Aal-e-Imran, Verse 86


أُوْلَـٰٓئِكَ جَزَآؤُهُمۡ أَنَّ عَلَيۡهِمۡ لَعۡنَةَ ٱللَّهِ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ وَٱلنَّاسِ أَجۡمَعِينَ

Inn ki to yehi saza hai kay inn per Allah Taalaa ki aur farishton ki aur tamam logon ki laanat ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 87


خَٰلِدِينَ فِيهَا لَا يُخَفَّفُ عَنۡهُمُ ٱلۡعَذَابُ وَلَا هُمۡ يُنظَرُونَ

Jiss mein yeh hamesha paray rahen gay na to inn say azab halka kiya jayega na enhen mohlat di jaye gi
Surah Aal-e-Imran, Verse 88


إِلَّا ٱلَّذِينَ تَابُواْ مِنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَ وَأَصۡلَحُواْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٌ

Magar jo log iss kay baad tauba aur islaah ker len to be-shak Allah Taalaa bakshney wala meharban hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 89


إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بَعۡدَ إِيمَٰنِهِمۡ ثُمَّ ٱزۡدَادُواْ كُفۡرٗا لَّن تُقۡبَلَ تَوۡبَتُهُمۡ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلضَّآلُّونَ

Be-shak jo log apney eman laney kay baad kufur keren phir kufur mein barh jayen unn ki tauba hergiz hergiz qabool na ki jaye gi yehi gumrah log hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 90


إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَمَاتُواْ وَهُمۡ كُفَّارٞ فَلَن يُقۡبَلَ مِنۡ أَحَدِهِم مِّلۡءُ ٱلۡأَرۡضِ ذَهَبٗا وَلَوِ ٱفۡتَدَىٰ بِهِۦٓۗ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ وَمَا لَهُم مِّن نَّـٰصِرِينَ

Haan jo log kufur keren aur martay dum tak kafir rahen unn mein agar koi zamin bhar sona go fidiye mein hi ho to bhi hergiz qabool na kiya jayega yehi log hain jin kay liye takleef denay wala azab hai aur jin ka koi madadgar nahi
Surah Aal-e-Imran, Verse 91


لَن تَنَالُواْ ٱلۡبِرَّ حَتَّىٰ تُنفِقُواْ مِمَّا تُحِبُّونَۚ وَمَا تُنفِقُواْ مِن شَيۡءٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ بِهِۦ عَلِيمٞ

Jab tak tum apni pasandeedah cheez say Allah Taalaa ki raah mein kharach na kero gay hergiz bhalaee na pao gay aur tum jo kharach kero ussay Allah Taalaa bakhoobi janta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 92


۞كُلُّ ٱلطَّعَامِ كَانَ حِلّٗا لِّبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ إِلَّا مَا حَرَّمَ إِسۡرَـٰٓءِيلُ عَلَىٰ نَفۡسِهِۦ مِن قَبۡلِ أَن تُنَزَّلَ ٱلتَّوۡرَىٰةُۚ قُلۡ فَأۡتُواْ بِٱلتَّوۡرَىٰةِ فَٱتۡلُوهَآ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ

Toraat kay nuzool say pehlay (hazrat) yaqoob (alh-e-salam) ney jiss cheez ko apney upper haram ker liya tha uss kay siwa tamam khaney bani israeel per halal thay aap keh dijiye kay agar tum sachay ho to toraat ley aao aur parh sunao
Surah Aal-e-Imran, Verse 93


فَمَنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ مِنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ

Iss kay baad bhi jo log Allah Taalaa per jhoot bohtan bandhen wohi zalim hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 94


قُلۡ صَدَقَ ٱللَّهُۗ فَٱتَّبِعُواْ مِلَّةَ إِبۡرَٰهِيمَ حَنِيفٗاۖ وَمَا كَانَ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ

Keh dijiye kay Allah Taalaa sacha hai tum sab ibrahim hanif kay millat ki pairwi kero jo mushrik na thay
Surah Aal-e-Imran, Verse 95


إِنَّ أَوَّلَ بَيۡتٖ وُضِعَ لِلنَّاسِ لَلَّذِي بِبَكَّةَ مُبَارَكٗا وَهُدٗى لِّلۡعَٰلَمِينَ

Allah Taalaa ka pehla ghar jo logon kay liye muqarrar kiya gaya woh hai jo makkah (sharif) mein hai jo tamam duniya kay liye barkat-o-hidayat wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 96


فِيهِ ءَايَٰتُۢ بَيِّنَٰتٞ مَّقَامُ إِبۡرَٰهِيمَۖ وَمَن دَخَلَهُۥ كَانَ ءَامِنٗاۗ وَلِلَّهِ عَلَى ٱلنَّاسِ حِجُّ ٱلۡبَيۡتِ مَنِ ٱسۡتَطَاعَ إِلَيۡهِ سَبِيلٗاۚ وَمَن كَفَرَ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَنِيٌّ عَنِ ٱلۡعَٰلَمِينَ

Jiss mein khuli khuli nishaniyan hain muqam-e-ibrahim hai iss mein jo aajaye aman wala hojata hai Allah Taalaa ney unn logon per jo uss ki taraf raah paa saktay hon uss ghar ka hajj farz ker diya hai. Aur jo koi kufur keray to Allah Taalaa (uss sau bulkay) tamam duniya say bey perwah hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 97


قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لِمَ تَكۡفُرُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَٱللَّهُ شَهِيدٌ عَلَىٰ مَا تَعۡمَلُونَ

Aap keh dijiye kay ehal-e-kitab tum Allah Taalaa ki aayaton kay sath kufur kiyon kertay ho? Jo kuch tum kertay ho Allah Taalaa uss per gawah hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 98


قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لِمَ تَصُدُّونَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ مَنۡ ءَامَنَ تَبۡغُونَهَا عِوَجٗا وَأَنتُمۡ شُهَدَآءُۗ وَمَا ٱللَّهُ بِغَٰفِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُونَ

Inn ehal-e-kitab say kaho kay tum Allah Taalaa ki raah say logon ko kiyon roktay ho? Aur iss mein aib tatoltay ho halankay tum khud shahid ho Allah Taalaa tumharay aemaal say bey khabar nahi
Surah Aal-e-Imran, Verse 99


يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِن تُطِيعُواْ فَرِيقٗا مِّنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ يَرُدُّوكُم بَعۡدَ إِيمَٰنِكُمۡ كَٰفِرِينَ

Aey eman walo! Agar tum ehal-e-kitab ki kissi jamat ki baaten maano gay to woh tumhen tumharay eman laney kay baad murtid kafir bana den gay
Surah Aal-e-Imran, Verse 100


وَكَيۡفَ تَكۡفُرُونَ وَأَنتُمۡ تُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتُ ٱللَّهِ وَفِيكُمۡ رَسُولُهُۥۗ وَمَن يَعۡتَصِم بِٱللَّهِ فَقَدۡ هُدِيَ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ

(go yeh zahir hai kay) tum kaisay kufur ker saktay ho? Bawajood yeh kay tum per Allah Taalaa ki aayaten parhi jati hain aur tum mein rasool (PBUH) mojood hain. Jo shaks Allah Taalaa (kay deen) ko mazboot thaam ley to bila shuba ussay raah-e-raast dikha di gaee
Surah Aal-e-Imran, Verse 101


يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ حَقَّ تُقَاتِهِۦ وَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسۡلِمُونَ

Aey eman walo! Allah Taalaa say daro jitna uss say darna chahaiye aur dekho martay dum tak musalman hi rehna
Surah Aal-e-Imran, Verse 102


وَٱعۡتَصِمُواْ بِحَبۡلِ ٱللَّهِ جَمِيعٗا وَلَا تَفَرَّقُواْۚ وَٱذۡكُرُواْ نِعۡمَتَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ إِذۡ كُنتُمۡ أَعۡدَآءٗ فَأَلَّفَ بَيۡنَ قُلُوبِكُمۡ فَأَصۡبَحۡتُم بِنِعۡمَتِهِۦٓ إِخۡوَٰنٗا وَكُنتُمۡ عَلَىٰ شَفَا حُفۡرَةٖ مِّنَ ٱلنَّارِ فَأَنقَذَكُم مِّنۡهَاۗ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَهۡتَدُونَ

Allah Taalaa ki rassi ko mill ker sab mazbooti say thaam lo aur phoot na dalo aur Allah Taalaa ki uss waqt ki nemta ko yaad kero jab tum aik doosray kay dushman thay to uss ney tumharay dilon mein ulfat daal di pus tum uss ki meharbani say bhai bhai hogaye aur tum aag kay garhay kay kinaray phonch chukay thay to uss ney tumhen bacha liya. Allah Taalaa issi tarah tumharay liye apni nishaniyan biyan kerta hai takay tum hidayat pao
Surah Aal-e-Imran, Verse 103


وَلۡتَكُن مِّنكُمۡ أُمَّةٞ يَدۡعُونَ إِلَى ٱلۡخَيۡرِ وَيَأۡمُرُونَ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَيَنۡهَوۡنَ عَنِ ٱلۡمُنكَرِۚ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ

Tum mein say aik jamat aisi honi chahaiye jo bhalaee ki taraf bulaye aur nek kaamon ka hukum keray aur burray kaamon say rokay aur yehil log falah aur nijat paney walay hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 104


وَلَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ تَفَرَّقُواْ وَٱخۡتَلَفُواْ مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَهُمُ ٱلۡبَيِّنَٰتُۚ وَأُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٞ

Tum unn logon ki tarah na hojana jinhon ney apney pass roshan daleelen aajaney kay baad bhi tafarrqa daala aur ikhtilaf kiya enhin logon kay liye bara azab hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 105


يَوۡمَ تَبۡيَضُّ وُجُوهٞ وَتَسۡوَدُّ وُجُوهٞۚ فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ٱسۡوَدَّتۡ وُجُوهُهُمۡ أَكَفَرۡتُم بَعۡدَ إِيمَٰنِكُمۡ فَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡفُرُونَ

Jiss din baaz chehray safaid hongay aur baaz siyah, siyah chehray walon (say kaha jayega) kay kiya tum ney eman laney kay baad kufur kiya? Abb apney kufur ka azab chakho
Surah Aal-e-Imran, Verse 106


وَأَمَّا ٱلَّذِينَ ٱبۡيَضَّتۡ وُجُوهُهُمۡ فَفِي رَحۡمَةِ ٱللَّهِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ

Aur safaid chehray walay Allah Taalaa ki rehmat mein dakhil hongay aur iss mein hamesha rahen gay
Surah Aal-e-Imran, Verse 107


تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱللَّهِ نَتۡلُوهَا عَلَيۡكَ بِٱلۡحَقِّۗ وَمَا ٱللَّهُ يُرِيدُ ظُلۡمٗا لِّلۡعَٰلَمِينَ

Aey nabi! Hum inn haqqani aayaton ki tilawat aap per ker rahey hain aur Allah Taalaa ka irada logon per zulm kerney ka nahi
Surah Aal-e-Imran, Verse 108


وَلِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ وَإِلَى ٱللَّهِ تُرۡجَعُ ٱلۡأُمُورُ

Allah Taalaa hi kay liye hai jo kuch aasmanon aur zamin mein hai aur Allah Taalaa hi ki taraf tamam kaam lotaye jatay hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 109


كُنتُمۡ خَيۡرَ أُمَّةٍ أُخۡرِجَتۡ لِلنَّاسِ تَأۡمُرُونَ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَتَنۡهَوۡنَ عَنِ ٱلۡمُنكَرِ وَتُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِۗ وَلَوۡ ءَامَنَ أَهۡلُ ٱلۡكِتَٰبِ لَكَانَ خَيۡرٗا لَّهُمۚ مِّنۡهُمُ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ وَأَكۡثَرُهُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ

Tum behtareen ummat ho jo logon kay liye peda ki gaee ho kay tum nek baaton ka hukum kertay ho aur buri baaton say roktay ho aur Allah Taalaa per eman rakhtay ho agar ehal-e-kitab bhi eman latay to unn kay liye behtar hota unn mein eman walay bhi hain lekin aksar to fasiq hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 110


لَن يَضُرُّوكُمۡ إِلَّآ أَذٗىۖ وَإِن يُقَٰتِلُوكُمۡ يُوَلُّوكُمُ ٱلۡأَدۡبَارَ ثُمَّ لَا يُنصَرُونَ

Yeh tumhen sataney kay siwa aur ziyada kuch zarar nahi phoncha saktay agar laraee kay moqa aajaye to peeth mor len gay phir madad na kiye jayen gay
Surah Aal-e-Imran, Verse 111


ضُرِبَتۡ عَلَيۡهِمُ ٱلذِّلَّةُ أَيۡنَ مَا ثُقِفُوٓاْ إِلَّا بِحَبۡلٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَحَبۡلٖ مِّنَ ٱلنَّاسِ وَبَآءُو بِغَضَبٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَضُرِبَتۡ عَلَيۡهِمُ ٱلۡمَسۡكَنَةُۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ كَانُواْ يَكۡفُرُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَيَقۡتُلُونَ ٱلۡأَنۢبِيَآءَ بِغَيۡرِ حَقّٖۚ ذَٰلِكَ بِمَا عَصَواْ وَّكَانُواْ يَعۡتَدُونَ

Inn per her jagah zillat ki maar pari illa yeh kay Allah Taalaa ki ya logon ki panah mein hon yeh ghazab-e-elahee kay mustahiq hogaye aur inn per faqeeri daal di gaee yeh iss liye kay yeh log Allah Taalaa ki aayaton say kufur kertay thay aur bey waja anbiya ko qatal kiya kertay thay yeh badla hai inn ki na farmaniyon aur ziyadtiyon ka
Surah Aal-e-Imran, Verse 112


۞لَيۡسُواْ سَوَآءٗۗ مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ أُمَّةٞ قَآئِمَةٞ يَتۡلُونَ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ ءَانَآءَ ٱلَّيۡلِ وَهُمۡ يَسۡجُدُونَ

Yeh saray kay saray yaksan nahi bulkay inn ehal-e-kitab mein aik jamat (haq per) qaeem rehney wali bhi hai jo raaton kay waqt bhi kalam ullah ki tilawat kertay hain aur sajday bhi kertay hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 113


يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَيَأۡمُرُونَ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَيَنۡهَوۡنَ عَنِ ٱلۡمُنكَرِ وَيُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡخَيۡرَٰتِۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ مِنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ

Yeh Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman bhi rakhtay hain bhalaiyon ka hukum kertay hain aur buraiyon say roktay hain aur bhalaee kay kaamon mein jaldi kertay hain. Yeh nek bakht logon mein say hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 114


وَمَا يَفۡعَلُواْ مِنۡ خَيۡرٖ فَلَن يُكۡفَرُوهُۗ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِٱلۡمُتَّقِينَ

Yeh jo kuch bhi bhalaiyan keren unn ki na qadri na ki jaye gi aur Allah Taalaa perhezgaron ko khoob janta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 115


إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَن تُغۡنِيَ عَنۡهُمۡ أَمۡوَٰلُهُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُهُم مِّنَ ٱللَّهِ شَيۡـٔٗاۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ

Kafiron ko unn kay maal aur unn ki aulad Allah kay haan kuch kaam na aayen gi yeh to jahannumi hain jo hamesha issi mein paray rahen gay
Surah Aal-e-Imran, Verse 116


مَثَلُ مَا يُنفِقُونَ فِي هَٰذِهِ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا كَمَثَلِ رِيحٖ فِيهَا صِرٌّ أَصَابَتۡ حَرۡثَ قَوۡمٖ ظَلَمُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ فَأَهۡلَكَتۡهُۚ وَمَا ظَلَمَهُمُ ٱللَّهُ وَلَٰكِنۡ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ

Yeh kuffaar jo kharach ikhraajaat keren uss ki misal yeh hai kay aik tund hawa chali jiss mein pala tha jo zalimon ki kheti per para aur ussay tehus nehus ker diya. Allah Taalaa ney unn per zulm nahi kiya bulkay woh khud apni janon per zulm kertay thay
Surah Aal-e-Imran, Verse 117


يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ بِطَانَةٗ مِّن دُونِكُمۡ لَا يَأۡلُونَكُمۡ خَبَالٗا وَدُّواْ مَا عَنِتُّمۡ قَدۡ بَدَتِ ٱلۡبَغۡضَآءُ مِنۡ أَفۡوَٰهِهِمۡ وَمَا تُخۡفِي صُدُورُهُمۡ أَكۡبَرُۚ قَدۡ بَيَّنَّا لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِۖ إِن كُنتُمۡ تَعۡقِلُونَ

Aey eman walo! Tum apna dili dost eman walon kay siwa kissi ko na banao. (tum to) nahi dekhtay doosray log tumhari tabahi mein koi kasar utha nahi rakhtay woh to chahtay hain kay tum dukh mein paro inn ki adawat to khud inn ki zaban say zahir ho chuki hai aur jo inn kay seenon mein posheeda hai woh boht ziyada hai hum ney tumharay liye aayaten biyan ker den
Surah Aal-e-Imran, Verse 118


هَـٰٓأَنتُمۡ أُوْلَآءِ تُحِبُّونَهُمۡ وَلَا يُحِبُّونَكُمۡ وَتُؤۡمِنُونَ بِٱلۡكِتَٰبِ كُلِّهِۦ وَإِذَا لَقُوكُمۡ قَالُوٓاْ ءَامَنَّا وَإِذَا خَلَوۡاْ عَضُّواْ عَلَيۡكُمُ ٱلۡأَنَامِلَ مِنَ ٱلۡغَيۡظِۚ قُلۡ مُوتُواْ بِغَيۡظِكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ

Agar aqal mand ho (to ghor kero) haan tum to enhen chahtay ho aur woh tum say mohabbat nahi rakhtay tum poori kitab ki mantay ho (woh nahi mantay phir mohabbat kaisi?) yeh tumharay samney to apney eman ka iqrar kertay hain lekin tanahi mein maaray gussay kay ungliyan chabatay hain kehdo kay apney gussay hi mein marr jao Allah Taalaa dilon kay raazon ko bakhoobi janta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 119


إِن تَمۡسَسۡكُمۡ حَسَنَةٞ تَسُؤۡهُمۡ وَإِن تُصِبۡكُمۡ سَيِّئَةٞ يَفۡرَحُواْ بِهَاۖ وَإِن تَصۡبِرُواْ وَتَتَّقُواْ لَا يَضُرُّكُمۡ كَيۡدُهُمۡ شَيۡـًٔاۗ إِنَّ ٱللَّهَ بِمَا يَعۡمَلُونَ مُحِيطٞ

Tumhen agar bhalaee milay to yeh na khush hotay hain haan! Agar buraee phonchay to khush hotay hain tum agar sabar kero aur perhezgari kero to inn ka makar tumhen kuch nuksan na dey ga. Allah Taalaa ney inn kay aemaal ka ehata ker rakha hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 120


وَإِذۡ غَدَوۡتَ مِنۡ أَهۡلِكَ تُبَوِّئُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ مَقَٰعِدَ لِلۡقِتَالِۗ وَٱللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٌ

Aey nabi! Uss waqt ko bhi yaad kero jab subha hi subha aap apney ghar say nikal ker musalmanon ko maidan-e-jang mein laraee kay morchon mein bitha rahey thay Allah Taalaa sunney janney wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 121


إِذۡ هَمَّت طَّآئِفَتَانِ مِنكُمۡ أَن تَفۡشَلَا وَٱللَّهُ وَلِيُّهُمَاۗ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ

Jab tumhari do jamaten pust himmati ka irada ker chuki thin Allah Taalaa unn ka wali aur madadgar hai. Aur ussi ki pak zaat per mominon ko bharosa rakhna chahaiye
Surah Aal-e-Imran, Verse 122


وَلَقَدۡ نَصَرَكُمُ ٱللَّهُ بِبَدۡرٖ وَأَنتُمۡ أَذِلَّةٞۖ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ

Jang-e-badar mein Allah Taalaa ney ain uss waqt tumhari madad farmaee thi jabkay tum nihayat giri hui halat mein thay iss liye Allah hi say daro!(na kiss aur say) takay tumhen shukar guzari ki tofiq ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 123


إِذۡ تَقُولُ لِلۡمُؤۡمِنِينَ أَلَن يَكۡفِيَكُمۡ أَن يُمِدَّكُمۡ رَبُّكُم بِثَلَٰثَةِ ءَالَٰفٖ مِّنَ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ مُنزَلِينَ

(aur yeh shukar guzari baees-e-nusrat-o-imdad ho) jab aap momino ko tasalli dey rahey thay kiya aasman say teen hazar farishtay utaar ker Allah Taalaa ka tumhari madad kerna tumhen kafi na hoga
Surah Aal-e-Imran, Verse 124


بَلَىٰٓۚ إِن تَصۡبِرُواْ وَتَتَّقُواْ وَيَأۡتُوكُم مِّن فَوۡرِهِمۡ هَٰذَا يُمۡدِدۡكُمۡ رَبُّكُم بِخَمۡسَةِ ءَالَٰفٖ مِّنَ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ مُسَوِّمِينَ

Kiyon nahi bulkay agar tum sabar-o-perhezgari kero aur yeh log ussi dum tumharay pass aajayen to tumhara rab tumhari imdad paanch hazar farishton say keray ga jo nishandaar hongay
Surah Aal-e-Imran, Verse 125


وَمَا جَعَلَهُ ٱللَّهُ إِلَّا بُشۡرَىٰ لَكُمۡ وَلِتَطۡمَئِنَّ قُلُوبُكُم بِهِۦۗ وَمَا ٱلنَّصۡرُ إِلَّا مِنۡ عِندِ ٱللَّهِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَكِيمِ

Aur yeh to mehaz tumharay dil ki khuwaish aur itminan-e-qalb kay liye hai werna madad to Allah hi ki taraf say hai jo ghalib aur hikmaton wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 126


لِيَقۡطَعَ طَرَفٗا مِّنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَوۡ يَكۡبِتَهُمۡ فَيَنقَلِبُواْ خَآئِبِينَ

(iss imdad-e-elahee ka maqsad yeh tha kay Allah ) kafiron ki aik jamat ko kaat dey ya unhen zaleel ker dalay aur (saray kay saray) nu murad ho ker wapis chalay jayen
Surah Aal-e-Imran, Verse 127


لَيۡسَ لَكَ مِنَ ٱلۡأَمۡرِ شَيۡءٌ أَوۡ يَتُوبَ عَلَيۡهِمۡ أَوۡ يُعَذِّبَهُمۡ فَإِنَّهُمۡ ظَٰلِمُونَ

Aey payghumbar! Aap kay ikhtiyar mein kuch nahi Allah Taalaa chahaye to unn ki tauba qabool keray ya azab dey kiyon kay woh zalim hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 128


وَلِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ يَغۡفِرُ لِمَن يَشَآءُ وَيُعَذِّبُ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ

Aasmanon aur zamin mein jo kuch hai sab Allah hi ka hai woh jissay chahaye bakshay aur jissay chahaye azab keray Allah Taalaa bakshish kerney wala meharban hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 129


يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَأۡكُلُواْ ٱلرِّبَوٰٓاْ أَضۡعَٰفٗا مُّضَٰعَفَةٗۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ

Aey eman walo! Barha charha ker sood na khao aur Allah Taalaa say daro takay tumhen nijat milay
Surah Aal-e-Imran, Verse 130


وَٱتَّقُواْ ٱلنَّارَ ٱلَّتِيٓ أُعِدَّتۡ لِلۡكَٰفِرِينَ

Aur uss aag say daro jo kafiron kay liye tayyar ki gaee hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 131


وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَ لَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُونَ

Aur Allah aur uss kay rasool ki farmanbardari kero takay tum per raham kiya jaye
Surah Aal-e-Imran, Verse 132


۞وَسَارِعُوٓاْ إِلَىٰ مَغۡفِرَةٖ مِّن رَّبِّكُمۡ وَجَنَّةٍ عَرۡضُهَا ٱلسَّمَٰوَٰتُ وَٱلۡأَرۡضُ أُعِدَّتۡ لِلۡمُتَّقِينَ

Aur apney rab ki bakshish ki taraf aur uss jannat ki taraf doro jiss ka araz aasamanon aur zamin kay barabar hai jo perhezgaron kay liye tayyar ki gaee hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 133


ٱلَّذِينَ يُنفِقُونَ فِي ٱلسَّرَّآءِ وَٱلضَّرَّآءِ وَٱلۡكَٰظِمِينَ ٱلۡغَيۡظَ وَٱلۡعَافِينَ عَنِ ٱلنَّاسِۗ وَٱللَّهُ يُحِبُّ ٱلۡمُحۡسِنِينَ

Jo log aasani mein aur sakhti kay moqay per bhi Allah kay rastay mein kharach kertay hain gussa peenay walay aur logon say dar guzar kerney walay hain Allah Taalaa unn neko kaaron say mohabbat kerta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 134


وَٱلَّذِينَ إِذَا فَعَلُواْ فَٰحِشَةً أَوۡ ظَلَمُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ ذَكَرُواْ ٱللَّهَ فَٱسۡتَغۡفَرُواْ لِذُنُوبِهِمۡ وَمَن يَغۡفِرُ ٱلذُّنُوبَ إِلَّا ٱللَّهُ وَلَمۡ يُصِرُّواْ عَلَىٰ مَا فَعَلُواْ وَهُمۡ يَعۡلَمُونَ

Jab unn say koi na shaista kaam hojaye ya koi gunah ker bethen to foran Allah ka zikar aur apney gunahon kay liye istaghfaar kertay hain fil waqey Allah Taalaa kay siwa aur kaun gunahon ko baksh sakta hai? Aur woh log ba wajood ilm kay kissi buray kaam per arr nahi jatay
Surah Aal-e-Imran, Verse 135


أُوْلَـٰٓئِكَ جَزَآؤُهُم مَّغۡفِرَةٞ مِّن رَّبِّهِمۡ وَجَنَّـٰتٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ وَنِعۡمَ أَجۡرُ ٱلۡعَٰمِلِينَ

Enhin kay badla unn kay rab ki taraf say maghfirat hai aur jannaten hain jin kay neechay nehren behti hain jin mein woh hamesha rahen gay inn nek kaamon kay kerney walon ka sawab kiya hi acha hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 136


قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِكُمۡ سُنَنٞ فَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَٱنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُكَذِّبِينَ

Tum say pehlay bhi aisay waqiyaat guzar chukay hain so zamin mein chal phir ker dekh lo kay (aasmani taleem kay) jhutlaney walon ka kiya anjam hua
Surah Aal-e-Imran, Verse 137


هَٰذَا بَيَانٞ لِّلنَّاسِ وَهُدٗى وَمَوۡعِظَةٞ لِّلۡمُتَّقِينَ

Aam logon kay liye to yeh (quran) biyan hai aur perhezgari kay liye hidayat-o-naseehat hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 138


وَلَا تَهِنُواْ وَلَا تَحۡزَنُواْ وَأَنتُمُ ٱلۡأَعۡلَوۡنَ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ

Tum na susti kero aur na ghumgeen ho tum hi ghalib raho gay agar tum eman daar ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 139


إِن يَمۡسَسۡكُمۡ قَرۡحٞ فَقَدۡ مَسَّ ٱلۡقَوۡمَ قَرۡحٞ مِّثۡلُهُۥۚ وَتِلۡكَ ٱلۡأَيَّامُ نُدَاوِلُهَا بَيۡنَ ٱلنَّاسِ وَلِيَعۡلَمَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَيَتَّخِذَ مِنكُمۡ شُهَدَآءَۗ وَٱللَّهُ لَا يُحِبُّ ٱلظَّـٰلِمِينَ

Agar tum zakhmi huye ho to tumharay mukhalif log bhi to aisay hi zakhmi ho chukay hain hum inn dino ko logon kay darmiyan adaltay badaltay rehtay hain. (shikast-e-ohod) iss liye thi kay Allah Taalaa eman walon ko zahir ker dey aur tum mein say baaz ko shahdat ka darja ata farmaye Allah Taalaa zalimon say mohabbat nahi kerta
Surah Aal-e-Imran, Verse 140


وَلِيُمَحِّصَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَيَمۡحَقَ ٱلۡكَٰفِرِينَ

(yeh waja bhi thi) kay Allah Taalaa eman walon ko bilkul alag kerdey aur kafiron ko mita dey
Surah Aal-e-Imran, Verse 141


أَمۡ حَسِبۡتُمۡ أَن تَدۡخُلُواْ ٱلۡجَنَّةَ وَلَمَّا يَعۡلَمِ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ جَٰهَدُواْ مِنكُمۡ وَيَعۡلَمَ ٱلصَّـٰبِرِينَ

Kiya tum yeh samajh bethay ho kay tum jannat mein chalay jao gay halankay abb tak Allah Taalaa ney yeh zahir nahi kiya kay tum mein say jihad kerney walay kaun hain aur sabar kerney walay kaun hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 142


وَلَقَدۡ كُنتُمۡ تَمَنَّوۡنَ ٱلۡمَوۡتَ مِن قَبۡلِ أَن تَلۡقَوۡهُ فَقَدۡ رَأَيۡتُمُوهُ وَأَنتُمۡ تَنظُرُونَ

Jang say pehlay to tum shahdat ki aarzoo mein thay abb issay apni aankhon say apney samney dekh liya
Surah Aal-e-Imran, Verse 143


وَمَا مُحَمَّدٌ إِلَّا رَسُولٞ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِ ٱلرُّسُلُۚ أَفَإِيْن مَّاتَ أَوۡ قُتِلَ ٱنقَلَبۡتُمۡ عَلَىٰٓ أَعۡقَٰبِكُمۡۚ وَمَن يَنقَلِبۡ عَلَىٰ عَقِبَيۡهِ فَلَن يَضُرَّ ٱللَّهَ شَيۡـٔٗاۚ وَسَيَجۡزِي ٱللَّهُ ٱلشَّـٰكِرِينَ

(hazrat) Muhammad (PBUH) sirf rasool hi hain inn say pehlay boht say rasool ho chukay hain kiya agar inn ka intiqal hojaye ya yeh shaheed hojayen to tum islam say apni aeyrhiyon kay ball phir jaogay? Aur jo koi phir jaye apni aeyrhiyon per to hergiz Allah Taalaa ka kuch na bigaray ga un-qarib Allah Taalaa shukar guzaron ko nek badla dey ga
Surah Aal-e-Imran, Verse 144


وَمَا كَانَ لِنَفۡسٍ أَن تَمُوتَ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِ كِتَٰبٗا مُّؤَجَّلٗاۗ وَمَن يُرِدۡ ثَوَابَ ٱلدُّنۡيَا نُؤۡتِهِۦ مِنۡهَا وَمَن يُرِدۡ ثَوَابَ ٱلۡأٓخِرَةِ نُؤۡتِهِۦ مِنۡهَاۚ وَسَنَجۡزِي ٱلشَّـٰكِرِينَ

Baghair Allah Taalaa kay hukum kay koi jaandaar nahi marr sakta muqarrar shuda waqt likha hua hai duniya ki chahat walon ko hum kuch duniya dey detay hain aur aakhirat ka sawab chahaney walon ko hum woh bhi den gay. Aue ehsan manney walon ko hum boht jald nek badla den gay
Surah Aal-e-Imran, Verse 145


وَكَأَيِّن مِّن نَّبِيّٖ قَٰتَلَ مَعَهُۥ رِبِّيُّونَ كَثِيرٞ فَمَا وَهَنُواْ لِمَآ أَصَابَهُمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَمَا ضَعُفُواْ وَمَا ٱسۡتَكَانُواْۗ وَٱللَّهُ يُحِبُّ ٱلصَّـٰبِرِينَ

Boht say nabiyon kay hum rakaab ho ker boht say Allah walay jihad ker chukay hain unhen bhi Allah ki raah mein takleefen phonchi lekin na to unhon ney himmat haari na sust rahey aur na dabay aur Allah sabar kerney walon ko (hi) chahata hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 146


وَمَا كَانَ قَوۡلَهُمۡ إِلَّآ أَن قَالُواْ رَبَّنَا ٱغۡفِرۡ لَنَا ذُنُوبَنَا وَإِسۡرَافَنَا فِيٓ أَمۡرِنَا وَثَبِّتۡ أَقۡدَامَنَا وَٱنصُرۡنَا عَلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡكَٰفِرِينَ

Woh yehi kehtay rahey kay aey perwerdigar! Humaray gunahon ko baksh dey aur hum say humaray kaamon mein jo bey jaa ziyadti hui hai ussay bhi moaf farma aur humen sabit qadmi ata farma aur humen kafiron ki qom per madad dey
Surah Aal-e-Imran, Verse 147


فَـَٔاتَىٰهُمُ ٱللَّهُ ثَوَابَ ٱلدُّنۡيَا وَحُسۡنَ ثَوَابِ ٱلۡأٓخِرَةِۗ وَٱللَّهُ يُحِبُّ ٱلۡمُحۡسِنِينَ

Allah Taalaa ney unehn duniya ka sawab bhi diya aur aakhirat kay sawab ki khoobi bhi ata farmaee aur Allah Taalaa nek logon say mohabbat kerta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 148


يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِن تُطِيعُواْ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يَرُدُّوكُمۡ عَلَىٰٓ أَعۡقَٰبِكُمۡ فَتَنقَلِبُواْ خَٰسِرِينَ

Aey eman walo! Agar tum kafiron ki baaten maano gay to woh tumhen tumhari aeyrhiyon kay ball palta den gay (yani tumhen murtid bana den gay) phir tum na murad ho jao gay
Surah Aal-e-Imran, Verse 149


بَلِ ٱللَّهُ مَوۡلَىٰكُمۡۖ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلنَّـٰصِرِينَ

Bulkay Allah hi tumhara mola hai aur woh behtareen madadgar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 150


سَنُلۡقِي فِي قُلُوبِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱلرُّعۡبَ بِمَآ أَشۡرَكُواْ بِٱللَّهِ مَا لَمۡ يُنَزِّلۡ بِهِۦ سُلۡطَٰنٗاۖ وَمَأۡوَىٰهُمُ ٱلنَّارُۖ وَبِئۡسَ مَثۡوَى ٱلظَّـٰلِمِينَ

Hum un-qarib kafiron kay dilon mein rob daal den gay iss waja say kay yeh Allah kay sath unn cheezon ko sharik kertay hain jiss ki koi daleel Allah ney nahi utaari inn ka thikana jahannum hai aur inn zalimon ki buri jagah hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 151


وَلَقَدۡ صَدَقَكُمُ ٱللَّهُ وَعۡدَهُۥٓ إِذۡ تَحُسُّونَهُم بِإِذۡنِهِۦۖ حَتَّىٰٓ إِذَا فَشِلۡتُمۡ وَتَنَٰزَعۡتُمۡ فِي ٱلۡأَمۡرِ وَعَصَيۡتُم مِّنۢ بَعۡدِ مَآ أَرَىٰكُم مَّا تُحِبُّونَۚ مِنكُم مَّن يُرِيدُ ٱلدُّنۡيَا وَمِنكُم مَّن يُرِيدُ ٱلۡأٓخِرَةَۚ ثُمَّ صَرَفَكُمۡ عَنۡهُمۡ لِيَبۡتَلِيَكُمۡۖ وَلَقَدۡ عَفَا عَنكُمۡۗ وَٱللَّهُ ذُو فَضۡلٍ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

Allah Taalaa ney tum say apna wada sacha ker dikhaya jabkay tum uss kay hukum say enhen kaat rahey thay. Yahan tak kay jab tum ney pust himmati ikhtiyar ki aur kaam mein jhagarney lagay aur na farmani ki uss kay baad uss ney tumhari chahat ki cheez tumhen dikha di tum mein say baaz duniya chahatay thay aur baaz ka irada aakhirat ka tha to phir uss ney tumhen unn say pher diya kay tum ko aazmaye aur yaqeenan uss ney tumhari laghzish say dar guzar farma diya aue eman walon per Allah baray fazal wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 152


۞إِذۡ تُصۡعِدُونَ وَلَا تَلۡوُۥنَ عَلَىٰٓ أَحَدٖ وَٱلرَّسُولُ يَدۡعُوكُمۡ فِيٓ أُخۡرَىٰكُمۡ فَأَثَٰبَكُمۡ غَمَّۢا بِغَمّٖ لِّكَيۡلَا تَحۡزَنُواْ عَلَىٰ مَا فَاتَكُمۡ وَلَا مَآ أَصَٰبَكُمۡۗ وَٱللَّهُ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ

Jabkay tum charhay chalay jarahey thay aur kissi ki taraf tawajja tak nahi kertay thay aur Allah kay rasool tumhen tumharay peechay say aawazen dey rahey thay bus tumhen ghum per ghum phoncha takay tum fot shuda cheez per ghumgeen na ho aur na phonchney wali (takleef) per udas ho Allah Taalaa tumharay tamam aemaal say khabardaar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 153


ثُمَّ أَنزَلَ عَلَيۡكُم مِّنۢ بَعۡدِ ٱلۡغَمِّ أَمَنَةٗ نُّعَاسٗا يَغۡشَىٰ طَآئِفَةٗ مِّنكُمۡۖ وَطَآئِفَةٞ قَدۡ أَهَمَّتۡهُمۡ أَنفُسُهُمۡ يَظُنُّونَ بِٱللَّهِ غَيۡرَ ٱلۡحَقِّ ظَنَّ ٱلۡجَٰهِلِيَّةِۖ يَقُولُونَ هَل لَّنَا مِنَ ٱلۡأَمۡرِ مِن شَيۡءٖۗ قُلۡ إِنَّ ٱلۡأَمۡرَ كُلَّهُۥ لِلَّهِۗ يُخۡفُونَ فِيٓ أَنفُسِهِم مَّا لَا يُبۡدُونَ لَكَۖ يَقُولُونَ لَوۡ كَانَ لَنَا مِنَ ٱلۡأَمۡرِ شَيۡءٞ مَّا قُتِلۡنَا هَٰهُنَاۗ قُل لَّوۡ كُنتُمۡ فِي بُيُوتِكُمۡ لَبَرَزَ ٱلَّذِينَ كُتِبَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقَتۡلُ إِلَىٰ مَضَاجِعِهِمۡۖ وَلِيَبۡتَلِيَ ٱللَّهُ مَا فِي صُدُورِكُمۡ وَلِيُمَحِّصَ مَا فِي قُلُوبِكُمۡۚ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ

Phir uss ney iss ghum kay baad tum per aman nazil farmaya aur tum mein say aik jamat ko aman ki neend aaney lagi. Haan kuch woh log bhi thay kay unhen apni janon ki pari hui thi woh Allah Taalaa kay sath na haq jahalat bhari bad gumani ker rahey thay aur kehtay thay kiya humen bhi kissi cheez ka ikhtiyar hai? Aap keh dijiye kay kaam kul ka kul Allah hi kay ikhtiyar mein hai yeh log apney dilon kay bhed aap ko nahi batatay kehtay hain kay agar humen kuch bhi ikhtiyar hota to yahan qatal na kiye jatay. Aap keh dijiye kay go tum apney gharon mein hotay phir bhi jin ki qismat mein qatal hona tha woh to maqtal ki taraf chal kharay hotay Allah Taalaa ko tumharay seenon ki andar ki cheez ka aazmana aur jo kuch tumharay dilon mein hai uss ko pak kerna tha aur Allah Taalaa seenon kay bhed say aagah hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 154


إِنَّ ٱلَّذِينَ تَوَلَّوۡاْ مِنكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡتَقَى ٱلۡجَمۡعَانِ إِنَّمَا ٱسۡتَزَلَّهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ بِبَعۡضِ مَا كَسَبُواْۖ وَلَقَدۡ عَفَا ٱللَّهُ عَنۡهُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٌ حَلِيمٞ

Tum mein say jin logon ney uss din peeth dikhaee jiss din dono jamaton ki mudd bher hui thi yeh log apney baaz kartooton kay baees shetan kay phuslaney mein aagaye lakin yaqeen jano kay Allah Taalaa ney unhen moaf ker diya Allah Taalaa hai bakshney wala aur tahammul wala
Surah Aal-e-Imran, Verse 155


يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَقَالُواْ لِإِخۡوَٰنِهِمۡ إِذَا ضَرَبُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ أَوۡ كَانُواْ غُزّٗى لَّوۡ كَانُواْ عِندَنَا مَا مَاتُواْ وَمَا قُتِلُواْ لِيَجۡعَلَ ٱللَّهُ ذَٰلِكَ حَسۡرَةٗ فِي قُلُوبِهِمۡۗ وَٱللَّهُ يُحۡيِۦ وَيُمِيتُۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ

Aey eman walo! Tum unn logon ki tarah na ho jana jinhon ney kufur kiya aur apney bhaiyon kay haq mein jabkay woh safar mein hon ya jihad mein hon kaha kay agar yeh humaray pass hotay to na martay aur na maaray jatay iss ki waja yeh thi kay iss khayal ko Allah Taalaa unn ki dili hasrat ka sabab bana dey Allah Taalaa jilata aur maarta hai aur Allah tumharay amal ko dekh raha hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 156


وَلَئِن قُتِلۡتُمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ أَوۡ مُتُّمۡ لَمَغۡفِرَةٞ مِّنَ ٱللَّهِ وَرَحۡمَةٌ خَيۡرٞ مِّمَّا يَجۡمَعُونَ

Qasam hai agar Allah Taalaa ki raah mein shaheed kiye jao ya apni maut maro to be-shak Allah Taalaa ki bakshish-o-rehmat uss say behtar hai jisay yeh jama ker rahey hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 157


وَلَئِن مُّتُّمۡ أَوۡ قُتِلۡتُمۡ لَإِلَى ٱللَّهِ تُحۡشَرُونَ

Bil yaqeen tum marr jao ya maar dalay jao jama to Allah Taalaa hi ki taraf kiye jao gay
Surah Aal-e-Imran, Verse 158


فَبِمَا رَحۡمَةٖ مِّنَ ٱللَّهِ لِنتَ لَهُمۡۖ وَلَوۡ كُنتَ فَظًّا غَلِيظَ ٱلۡقَلۡبِ لَٱنفَضُّواْ مِنۡ حَوۡلِكَۖ فَٱعۡفُ عَنۡهُمۡ وَٱسۡتَغۡفِرۡ لَهُمۡ وَشَاوِرۡهُمۡ فِي ٱلۡأَمۡرِۖ فَإِذَا عَزَمۡتَ فَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُتَوَكِّلِينَ

Allah Taalaa ki rehmat kay baees aap inn per naram dil hain aur agar aap bad zaban aur sakht dil hotay to yeh sab aap kay pass say chatt jatay so aap inn say dar guzar keren aur inn kay liye istaghfaar keren aur kaam ka mashwara inn say kiya keren phir jab aap ka pukhta irada hojaye to Allah Taalaa per bharosa keren be-shak Allah Taalaa tawakkal kerney walon say mohabbat kerta hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 159


إِن يَنصُرۡكُمُ ٱللَّهُ فَلَا غَالِبَ لَكُمۡۖ وَإِن يَخۡذُلۡكُمۡ فَمَن ذَا ٱلَّذِي يَنصُرُكُم مِّنۢ بَعۡدِهِۦۗ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ

Agar Allah Taalaa tumhari madad keray to tum per koi ghalib nahi aa sakta aur agar woh tumhen chor dey to uss kay baad kaun hai jo tumhari madad keray? Emal walon ko Allah Taalaa per hi bharosa rakhan chahaiye
Surah Aal-e-Imran, Verse 160


وَمَا كَانَ لِنَبِيٍّ أَن يَغُلَّۚ وَمَن يَغۡلُلۡ يَأۡتِ بِمَا غَلَّ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ ثُمَّ تُوَفَّىٰ كُلُّ نَفۡسٖ مَّا كَسَبَتۡ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ

Na mumkin hai kay nabi say khayanat hojaye her khayanat kerney wala khayanat ko liye huye qayamat kay din hazir hoga phir her shaks apney aemaal ka poora poora badla diya jayega aur woh zulm na kiye jayen gay
Surah Aal-e-Imran, Verse 161


أَفَمَنِ ٱتَّبَعَ رِضۡوَٰنَ ٱللَّهِ كَمَنۢ بَآءَ بِسَخَطٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَمَأۡوَىٰهُ جَهَنَّمُۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ

Kiya pus woh shaks jo Allah Taalaa ki khushnoodi kay dar pay hain uss shaks jaisa hai jo Allah Taalaa ki narazgi ley ker lot’ta hai? Aur jiss ki jagah jahannum hai jo bad tareen jagah hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 162


هُمۡ دَرَجَٰتٌ عِندَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ بَصِيرُۢ بِمَا يَعۡمَلُونَ

Allah Taalaa kay pass inn kay alag alag darjay hain aur inn kay tamam aemaal ko Allah bakhoobi dekh raha hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 163


لَقَدۡ مَنَّ ٱللَّهُ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ إِذۡ بَعَثَ فِيهِمۡ رَسُولٗا مِّنۡ أَنفُسِهِمۡ يَتۡلُواْ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتِهِۦ وَيُزَكِّيهِمۡ وَيُعَلِّمُهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَإِن كَانُواْ مِن قَبۡلُ لَفِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ

Be-shak musalmanon per Allah Taalaa ka bara ehsan hai kay inn hi mein say aik rasool inn mein bheja jo enhen uss ki aayaten parh ker sunata hai aur enhen pak kerta hai aur enhen kitab aur hikmat sikhata hai yaqeenan yeh sab iss say pehlay khuli gumrahi mein thay
Surah Aal-e-Imran, Verse 164


أَوَلَمَّآ أَصَٰبَتۡكُم مُّصِيبَةٞ قَدۡ أَصَبۡتُم مِّثۡلَيۡهَا قُلۡتُمۡ أَنَّىٰ هَٰذَاۖ قُلۡ هُوَ مِنۡ عِندِ أَنفُسِكُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ

(kiya baat hai kay) kay jab tumhen aik aisi takleef phonchi kay tum iss jaisi do chand phonch chukay to yeh kehney lagay kay yeh kahan say aagaee? Aap keh dijiye kay yeh khud tumhari taraf say hai be-shak Allah Taalaa her cheez per qadir hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 165


وَمَآ أَصَٰبَكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡتَقَى ٱلۡجَمۡعَانِ فَبِإِذۡنِ ٱللَّهِ وَلِيَعۡلَمَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

Aur tumhen jo kuch uss din phoncha jiss din do jamaton mein mudd bher hui thi woh sab Allah kay hukum say tha aur iss liye kay Allah Taalaa eman walon ko zahiri tor per jaan ley
Surah Aal-e-Imran, Verse 166


وَلِيَعۡلَمَ ٱلَّذِينَ نَافَقُواْۚ وَقِيلَ لَهُمۡ تَعَالَوۡاْ قَٰتِلُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ أَوِ ٱدۡفَعُواْۖ قَالُواْ لَوۡ نَعۡلَمُ قِتَالٗا لَّٱتَّبَعۡنَٰكُمۡۗ هُمۡ لِلۡكُفۡرِ يَوۡمَئِذٍ أَقۡرَبُ مِنۡهُمۡ لِلۡإِيمَٰنِۚ يَقُولُونَ بِأَفۡوَٰهِهِم مَّا لَيۡسَ فِي قُلُوبِهِمۡۚ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا يَكۡتُمُونَ

Aur munafiqon bhi maloom kerley jin say kaha gaya kay aao Allah ki raah mein jihad kero ya kafiron ko hatao to woh kehney lagay kay agar hum laraee jantay hotay to zaroor sath detay woh uss din ba nisbat eman kay kufur say boht qarib thay apney mun say woh baaten banatay hain jo inn kay dilon mein nahi aur Allah Taalaa khoob janta hai jisay woh chupatay hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 167


ٱلَّذِينَ قَالُواْ لِإِخۡوَٰنِهِمۡ وَقَعَدُواْ لَوۡ أَطَاعُونَا مَا قُتِلُواْۗ قُلۡ فَٱدۡرَءُواْ عَنۡ أَنفُسِكُمُ ٱلۡمَوۡتَ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ

Yeh woh log hai jo khud bhi behtay rahey aur apney bhaiyon ki babat kaha kay agar woh bhi humari baat maan letay to qatal na kiye jatay. Keh dijiye! kay agar tum sachay ho to apni janon say maut ko hata do
Surah Aal-e-Imran, Verse 168


وَلَا تَحۡسَبَنَّ ٱلَّذِينَ قُتِلُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ أَمۡوَٰتَۢاۚ بَلۡ أَحۡيَآءٌ عِندَ رَبِّهِمۡ يُرۡزَقُونَ

Jo log Allah ki raah mein shaheed kiye gaye hain unn ko hergiz murda na samjhen bulkay woh zinda hain apney rab kay pass say roziyan diye jatay hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 169


فَرِحِينَ بِمَآ ءَاتَىٰهُمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦ وَيَسۡتَبۡشِرُونَ بِٱلَّذِينَ لَمۡ يَلۡحَقُواْ بِهِم مِّنۡ خَلۡفِهِمۡ أَلَّا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ

Allah Taalaa ney jo apna fazal unhen dey rakha hai uss say boht khush hain aur khushiyan mana rahey hain unn logon ki babat jo abb tak unn say nahi milay unn kay peechay hain iss per kay unhen na koi khof hai aur na woh ghumgeen hongay
Surah Aal-e-Imran, Verse 170


۞يَسۡتَبۡشِرُونَ بِنِعۡمَةٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَفَضۡلٖ وَأَنَّ ٱللَّهَ لَا يُضِيعُ أَجۡرَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ

Woh khush hotay hain Allah ki nemat aur fazal say aur iss say bhi kay Allah Taalaa eman walon kay ajar ko barbad nahi kerta
Surah Aal-e-Imran, Verse 171


ٱلَّذِينَ ٱسۡتَجَابُواْ لِلَّهِ وَٱلرَّسُولِ مِنۢ بَعۡدِ مَآ أَصَابَهُمُ ٱلۡقَرۡحُۚ لِلَّذِينَ أَحۡسَنُواْ مِنۡهُمۡ وَٱتَّقَوۡاْ أَجۡرٌ عَظِيمٌ

Jin logon ney Allah aur uss kay rasool kay hukum ko qabool kiya iss kay baad kay unhen pooray zakham lag chukay thay inn mein say jinhon ney neki ki aur perezgari barti unn kay liye boht ziyada ajar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 172


ٱلَّذِينَ قَالَ لَهُمُ ٱلنَّاسُ إِنَّ ٱلنَّاسَ قَدۡ جَمَعُواْ لَكُمۡ فَٱخۡشَوۡهُمۡ فَزَادَهُمۡ إِيمَٰنٗا وَقَالُواْ حَسۡبُنَا ٱللَّهُ وَنِعۡمَ ٱلۡوَكِيلُ

Woh log kay jab inn say logon ney kaha kay kafiron ney tumharay muqabley mein lashkar jama ker liye hain tum unn say khof khao to iss baat ney unhen eman mein aur barha diya aur kehne lagay humen Allah kafi hai aur woh boht acha kaar saaz hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 173


فَٱنقَلَبُواْ بِنِعۡمَةٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَفَضۡلٖ لَّمۡ يَمۡسَسۡهُمۡ سُوٓءٞ وَٱتَّبَعُواْ رِضۡوَٰنَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ ذُو فَضۡلٍ عَظِيمٍ

(nateeja yeh hua kay) Allah ki nemat-o-fazal kay sath yeh lotay enhen koi buraee na phonchi enhon ney Allah Taalaa ki raza mandi ki pairwi ki Allah boht baray fazal wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 174


إِنَّمَا ذَٰلِكُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ يُخَوِّفُ أَوۡلِيَآءَهُۥ فَلَا تَخَافُوهُمۡ وَخَافُونِ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ

Yeh khabar denay wala sird shetan hi hai jo apney doston say darata hai tum inn kafiron say na daro aur mera khof rakho agar tum momin ho
Surah Aal-e-Imran, Verse 175


وَلَا يَحۡزُنكَ ٱلَّذِينَ يُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡكُفۡرِۚ إِنَّهُمۡ لَن يَضُرُّواْ ٱللَّهَ شَيۡـٔٗاۚ يُرِيدُ ٱللَّهُ أَلَّا يَجۡعَلَ لَهُمۡ حَظّٗا فِي ٱلۡأٓخِرَةِۖ وَلَهُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٌ

Kufur mein aagay barhney walay log tumhen ghum naak naa keren yaqeen maano kay yeh Allah Taalaa ka kuch na bigar saken gay Allah Taalaa ka irada hai kay inn ka liye aakhirat ka koi hissa ata na keray aur inn kay liye bara azab hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 176


إِنَّ ٱلَّذِينَ ٱشۡتَرَوُاْ ٱلۡكُفۡرَ بِٱلۡإِيمَٰنِ لَن يَضُرُّواْ ٱللَّهَ شَيۡـٔٗاۖ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ

Kufur ko eman kay badlay khareedney walay hergiz hergiz Allah Taalaa ko koi nuksan nahi phoncha saktay aur inn hi kay liye alam naak azab hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 177


وَلَا يَحۡسَبَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَنَّمَا نُمۡلِي لَهُمۡ خَيۡرٞ لِّأَنفُسِهِمۡۚ إِنَّمَا نُمۡلِي لَهُمۡ لِيَزۡدَادُوٓاْ إِثۡمٗاۖ وَلَهُمۡ عَذَابٞ مُّهِينٞ

Kafir log humari di hui mohlat ko apney haq mein behtar na samjhen yeh mohlat to iss liye hai kay woh gunahon mein aur barh jayen inn hi kay liye zaleel kerney wala azab hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 178


مَّا كَانَ ٱللَّهُ لِيَذَرَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ عَلَىٰ مَآ أَنتُمۡ عَلَيۡهِ حَتَّىٰ يَمِيزَ ٱلۡخَبِيثَ مِنَ ٱلطَّيِّبِۗ وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيُطۡلِعَكُمۡ عَلَى ٱلۡغَيۡبِ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يَجۡتَبِي مِن رُّسُلِهِۦ مَن يَشَآءُۖ فَـَٔامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرُسُلِهِۦۚ وَإِن تُؤۡمِنُواْ وَتَتَّقُواْ فَلَكُمۡ أَجۡرٌ عَظِيمٞ

Jiss haal per tum ho ussi per Allah eman walon ko na chor dey ga jab tak kay pak aur na pak ko alag alag na ker dey aur na Allah Taalaa aisa hai kay tumhen ghaib say aagah ker dey bulkay Allah Taalaa apney rasoolon mein say jiss ka chahaye intikhab ker leta hai iss liye tum Allah Taalaa per aur uss kay rasoolon per eman rakho agar tum eman lao aur taqwa kero to tumharay liye bhari ajar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 179


وَلَا يَحۡسَبَنَّ ٱلَّذِينَ يَبۡخَلُونَ بِمَآ ءَاتَىٰهُمُ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦ هُوَ خَيۡرٗا لَّهُمۖ بَلۡ هُوَ شَرّٞ لَّهُمۡۖ سَيُطَوَّقُونَ مَا بَخِلُواْ بِهِۦ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۗ وَلِلَّهِ مِيرَٰثُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ

Jinhen Allah Taalaa ney apney fazal say kuch dey rakha hai woh iss mein apni kanjoosi ko apney liye behtar khayal na keren bulkay woh inn kay liye nihayat bad tar hai un-qarib qayamat walay din yeh apni kanjoosi ki cheez kay toq daalay jayen gay aasmanon aur zamin ki meeras Allah Taalaa hi kay liye aur jo kuch tum ker rahey ho uss say Allah Taalaa aagah hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 180


لَّقَدۡ سَمِعَ ٱللَّهُ قَوۡلَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ فَقِيرٞ وَنَحۡنُ أَغۡنِيَآءُۘ سَنَكۡتُبُ مَا قَالُواْ وَقَتۡلَهُمُ ٱلۡأَنۢبِيَآءَ بِغَيۡرِ حَقّٖ وَنَقُولُ ذُوقُواْ عَذَابَ ٱلۡحَرِيقِ

Yaqeenan Allah Taalaa ney unn logon ka qol bhi suna jinhon ney kaha kay Allah Taalaa faqir hai aur hum to toongar hain unn kay iss qol ko hum likh len gay. Aur inn ka anbiya ko bila waja qatal kerna bhi aur hum inn say kahen gay kay jalney wala azab chakho
Surah Aal-e-Imran, Verse 181


ذَٰلِكَ بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيكُمۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ لَيۡسَ بِظَلَّامٖ لِّلۡعَبِيدِ

Yeh tumharay paish kerda aemaal ka badla hai aur Allah Taalaa apney bandon per zulm kerney wala nahi
Surah Aal-e-Imran, Verse 182


ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ عَهِدَ إِلَيۡنَآ أَلَّا نُؤۡمِنَ لِرَسُولٍ حَتَّىٰ يَأۡتِيَنَا بِقُرۡبَانٖ تَأۡكُلُهُ ٱلنَّارُۗ قُلۡ قَدۡ جَآءَكُمۡ رُسُلٞ مِّن قَبۡلِي بِٱلۡبَيِّنَٰتِ وَبِٱلَّذِي قُلۡتُمۡ فَلِمَ قَتَلۡتُمُوهُمۡ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ

Yeh woh log hai jonhon ney kaha kay Allah Taalaa ney humen hukum diya hai kay kissi rasool ko na manen jab tak woh humaray pass aisi qurbani na laye jissay aag kha jaye. Aap keh dijiye kay agar um sachay ho to mujh say pehlay tumharay pass jo rasool deegar moajzon kay sath yeh bhi laye jissay tum keh rahey ho to phir tum ney unhen kiyon maar dala
Surah Aal-e-Imran, Verse 183


فَإِن كَذَّبُوكَ فَقَدۡ كُذِّبَ رُسُلٞ مِّن قَبۡلِكَ جَآءُو بِٱلۡبَيِّنَٰتِ وَٱلزُّبُرِ وَٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡمُنِيرِ

Phir bhi agar yeh log aap ko jhutlayen to aap say pehlay bhi boht say woh rasool jhutlaye gaye hain jo roshan daleelen aur munawar kitab ley ker aaye
Surah Aal-e-Imran, Verse 184


كُلُّ نَفۡسٖ ذَآئِقَةُ ٱلۡمَوۡتِۗ وَإِنَّمَا تُوَفَّوۡنَ أُجُورَكُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۖ فَمَن زُحۡزِحَ عَنِ ٱلنَّارِ وَأُدۡخِلَ ٱلۡجَنَّةَ فَقَدۡ فَازَۗ وَمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَآ إِلَّا مَتَٰعُ ٱلۡغُرُورِ

Her jaan maut ka maza chakhney wali hai aur qayamat kay din tum apney badlay pooray pooray diye jao gay pus jo shaks aag say hata diya jaye aur jannat mein dakhil ker diya jaye be-shak woh kaamyaab hogaya aur duniya ki zindagi to sirf dhokay ki jinss hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 185


۞لَتُبۡلَوُنَّ فِيٓ أَمۡوَٰلِكُمۡ وَأَنفُسِكُمۡ وَلَتَسۡمَعُنَّ مِنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِكُمۡ وَمِنَ ٱلَّذِينَ أَشۡرَكُوٓاْ أَذٗى كَثِيرٗاۚ وَإِن تَصۡبِرُواْ وَتَتَّقُواْ فَإِنَّ ذَٰلِكَ مِنۡ عَزۡمِ ٱلۡأُمُورِ

Yaqeenan tumharay maalon aur tumhari jaanon say tumhari aazmaish ki jaye gi aur yeh bhi yaqeen hai kay tumhen unn logon ki jo tum say pehlay kitab diye gaye aur mushrikon ki boht si dukh denay wali baaten bhi sunni paren gi aur agar tum sabar kerlo aur perhezgari ikhtiyar kero to yaqeenan yeh boht bari himmat ka kaam hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 186


وَإِذۡ أَخَذَ ٱللَّهُ مِيثَٰقَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ لَتُبَيِّنُنَّهُۥ لِلنَّاسِ وَلَا تَكۡتُمُونَهُۥ فَنَبَذُوهُ وَرَآءَ ظُهُورِهِمۡ وَٱشۡتَرَوۡاْ بِهِۦ ثَمَنٗا قَلِيلٗاۖ فَبِئۡسَ مَا يَشۡتَرُونَ

Aur Allah Taalaa ney jab ehal-e-kitab say ehad liya kay tum issay sab logon say zaroor biyan kero gay aur issay chupao gay nahi to phir bhi inn logon ney iss ehad ko apni peeth peechay daal diya aur issay boht kum qeemat per baich daala. Inn kay yeh beopaar boht bura hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 187


لَا تَحۡسَبَنَّ ٱلَّذِينَ يَفۡرَحُونَ بِمَآ أَتَواْ وَّيُحِبُّونَ أَن يُحۡمَدُواْ بِمَا لَمۡ يَفۡعَلُواْ فَلَا تَحۡسَبَنَّهُم بِمَفَازَةٖ مِّنَ ٱلۡعَذَابِۖ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ

Woh log jo apney kartooton per khush hain aur chahatay hain kay jo unhon ney nahi kiya uss per bhi unn ki tareef ki jayen aap unhen azab say chutkaray mein na samjhiye inn kay liye to dard naak azab hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 188


وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ

Aasmanon aur zamin ki badshahi Allah hi kay liye hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 189


إِنَّ فِي خَلۡقِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَٱخۡتِلَٰفِ ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ لَأٓيَٰتٖ لِّأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ

Aasmanon aur zamin ki pedaish mein aur raat din kay hair pher mein yaqeenan aqal mandon kay liye nishaniyan hain
Surah Aal-e-Imran, Verse 190


ٱلَّذِينَ يَذۡكُرُونَ ٱللَّهَ قِيَٰمٗا وَقُعُودٗا وَعَلَىٰ جُنُوبِهِمۡ وَيَتَفَكَّرُونَ فِي خَلۡقِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ رَبَّنَا مَا خَلَقۡتَ هَٰذَا بَٰطِلٗا سُبۡحَٰنَكَ فَقِنَا عَذَابَ ٱلنَّارِ

Jo Allah Taalaa ka zikar kharay aur bethay aur apni kerwaton per letay huye kertay hain aur aasmanon-o-zamin ki pedaish mein ghor-o-fiker kertay hain aur kehtay hain aey humaray perwerdigar! Tu ney yeh bey faeeda nahi banaya tu pak hai pus humen aag kay azab say bacha ley
Surah Aal-e-Imran, Verse 191


رَبَّنَآ إِنَّكَ مَن تُدۡخِلِ ٱلنَّارَ فَقَدۡ أَخۡزَيۡتَهُۥۖ وَمَا لِلظَّـٰلِمِينَ مِنۡ أَنصَارٖ

Aey humaray palney walay! Tu jissay jahannum mein dalay yaqeenan tu ney ussay ruswa kiya aur zalimon ka madadgar koi nahi
Surah Aal-e-Imran, Verse 192


رَّبَّنَآ إِنَّنَا سَمِعۡنَا مُنَادِيٗا يُنَادِي لِلۡإِيمَٰنِ أَنۡ ءَامِنُواْ بِرَبِّكُمۡ فَـَٔامَنَّاۚ رَبَّنَا فَٱغۡفِرۡ لَنَا ذُنُوبَنَا وَكَفِّرۡ عَنَّا سَيِّـَٔاتِنَا وَتَوَفَّنَا مَعَ ٱلۡأَبۡرَارِ

Aey humaray rab! Hum ney suna kay munadi kerney wala ba-aawaz buland eman ki taraf bula raha hai kay logo! Apney rab per eman lao pus hum eman laye. Ya elahee! Abb to humaray gunah moaf farma aur humari buraiyan hum say door ker dey aur humari maut nekon kay sath ker
Surah Aal-e-Imran, Verse 193


رَبَّنَا وَءَاتِنَا مَا وَعَدتَّنَا عَلَىٰ رُسُلِكَ وَلَا تُخۡزِنَا يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۖ إِنَّكَ لَا تُخۡلِفُ ٱلۡمِيعَادَ

Aey humaray palney walay mabood! Humen woh dey jiss ka wada tu ney hum say apney rasoolon ki zabani kiya hai aur humen qayamat kay din ruswa na ker yaqeenan tu wada khilafi nahi kerta
Surah Aal-e-Imran, Verse 194


فَٱسۡتَجَابَ لَهُمۡ رَبُّهُمۡ أَنِّي لَآ أُضِيعُ عَمَلَ عَٰمِلٖ مِّنكُم مِّن ذَكَرٍ أَوۡ أُنثَىٰۖ بَعۡضُكُم مِّنۢ بَعۡضٖۖ فَٱلَّذِينَ هَاجَرُواْ وَأُخۡرِجُواْ مِن دِيَٰرِهِمۡ وَأُوذُواْ فِي سَبِيلِي وَقَٰتَلُواْ وَقُتِلُواْ لَأُكَفِّرَنَّ عَنۡهُمۡ سَيِّـَٔاتِهِمۡ وَلَأُدۡخِلَنَّهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ ثَوَابٗا مِّنۡ عِندِ ٱللَّهِۚ وَٱللَّهُ عِندَهُۥ حُسۡنُ ٱلثَّوَابِ

Pus unn kay rab ney unn ki dua qabool farma li kay tum say kissi kaam kerney walay kay kaam ko khuwa woh mard ho ya aurat mein hergiz zaya nahi kerta tum aapas mein aik doosray kay hum jinss ho iss liye woh log jinhon ney hijrat ki aur apney gharon say nikal diye gaye aur jinhen meri raah mein izza di gaee aur jinhon ney jihad kiya aur shaheed kiye gaye mein zaroor zaroor unn ki buraiyan unn say door kerdoon ga aur bil yaqeen unhen unn jannaton mein ley jaon ga jin key neechay nehren beh rahi han yeh hai sawab Allah Talaa ki taraf say aur Allah Taalaa hi kay pass behtareen sawab hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 195


لَا يَغُرَّنَّكَ تَقَلُّبُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فِي ٱلۡبِلَٰدِ

Tujhay kafiron ka shehron mein chalna phirna fareb mein na daal dey
Surah Aal-e-Imran, Verse 196


مَتَٰعٞ قَلِيلٞ ثُمَّ مَأۡوَىٰهُمۡ جَهَنَّمُۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمِهَادُ

Yeh to boht hi thora faeeda hai iss kay baad unn ka thikana to jahannum hai aur woh buri jagah hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 197


لَٰكِنِ ٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ رَبَّهُمۡ لَهُمۡ جَنَّـٰتٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَا نُزُلٗا مِّنۡ عِندِ ٱللَّهِۗ وَمَا عِندَ ٱللَّهِ خَيۡرٞ لِّلۡأَبۡرَارِ

Lekin jo log apney rab say dartay rahey unn kay liye jannaten hain jin kay neechay nehren jari hain inn mein woh hamesha rahen gay yeh mehmani hai Allah ki taraf say aur nek kaaron kay liye jo kuch Allah Taalaa kay pass hai woh boht hi behtar hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 198


وَإِنَّ مِنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ لَمَن يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكُمۡ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡهِمۡ خَٰشِعِينَ لِلَّهِ لَا يَشۡتَرُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ ثَمَنٗا قَلِيلًاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ أَجۡرُهُمۡ عِندَ رَبِّهِمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ

Yaqeenan ehal-e-kitab mein say baaz aisay bhi hain jo Allah Taalaa per eman latay hain aur tumhari taraf jo utaata gaya hai aur unn ki janib jo nazil hua uss per bhi Allah Taalaa say dartay hain aur Allah Taalaa ki aayaton ko thori thori qeemat per baichtay bhi nahi inn ka badla inn kay rab kay pass hai yaqeenan Allah Taalaa jald hisab lenay wala hai
Surah Aal-e-Imran, Verse 199


يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱصۡبِرُواْ وَصَابِرُواْ وَرَابِطُواْ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ

Aey eman walo! Tum sabit qadam raho aur aik doosray ko thamay rakho aur jihad kay liye tayyar raho aur Allah Taalaa say dartay raho takay tum murad ko phoncho
Surah Aal-e-Imran, Verse 200


Author: Muhammad Junagarhi


<< Surah 2
>> Surah 4

Urdu Translations by other Authors


Urdu Translation By Abul Ala Maududi
Urdu Translation By Abul A Ala Maududi
Urdu Translation By Ahmed Ali
Urdu Translation By Fateh Muhammad Jalandhry
Urdu Translation By Mahmood Ul Hassan
Urdu Translation By Muhammad Hussain Najafi
Urdu Translation By Muhammad Junagarhi
Urdu Translation By Muhammad Junagarhi
Urdu Translation By Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Urdu Translation By Muhammad Karam Shah Al Azhari
Urdu Translation By Muhammad Taqi Usmani
Urdu Translation By Syed Zeeshan Haider Jawadi
Popular Areas
Apartments for rent in Dubai Apartments for rent Abu Dhabi Villas for rent in Dubai House for rent Abu Dhabi Apartments for sale in Dubai Apartments for sale in Abu Dhabi Flat for rent Sharjah
Popular Searches
Studios for rent in UAE Apartments for rent in UAE Villas for rent in UAE Apartments for sale in UAE Villas for sale in UAE Land for sale in UAE Dubai Real Estate
Trending Areas
Apartments for rent in Dubai Marina Apartments for sale in Dubai Marina Villa for rent in Sharjah Villa for sale in Dubai Flat for rent in Ajman Studio for rent in Abu Dhabi Villa for rent in Ajman
Trending Searches
Villa for rent in Abu Dhabi Shop for rent in Dubai Villas for sale in Ajman Studio for rent in Sharjah 1 Bedroom Apartment for rent in Dubai Property for rent in Abu Dhabi Commercial properties for sale
© Copyright Dubai Prayer Time. All Rights Reserved
Designed by Prayer Time In Dubai