Surah Al-Baqara - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
الٓمٓ
Alif laam meem
Surah Al-Baqara, Verse 1
ذَٰلِكَ ٱلۡكِتَٰبُ لَا رَيۡبَۛ فِيهِۛ هُدٗى لِّلۡمُتَّقِينَ
Iss kitab (kay Allah ki kitab honey) mein koi shak nahi perhezgaron ko raah dikhaney wali hai
Surah Al-Baqara, Verse 2
ٱلَّذِينَ يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡغَيۡبِ وَيُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ وَمِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ يُنفِقُونَ
Jo log ghaib per eman latay hain aur namaz ko qaeem rakhtay hain aur humaray diye huye (maal) mein say kharach kertay hain
Surah Al-Baqara, Verse 3
وَٱلَّذِينَ يُؤۡمِنُونَ بِمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ وَمَآ أُنزِلَ مِن قَبۡلِكَ وَبِٱلۡأٓخِرَةِ هُمۡ يُوقِنُونَ
Aur jo log eman latay hain uss per jo aap ki taraf utara gaya aur jo aap say pehlay utara gaya aur woh aakhirat per bhi yaqeen rakhtay hain
Surah Al-Baqara, Verse 4
أُوْلَـٰٓئِكَ عَلَىٰ هُدٗى مِّن رَّبِّهِمۡۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
Yehi log apney rab ki taraf say hidayat per hain aur yehi log falah aur nijat paney walay hain
Surah Al-Baqara, Verse 5
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ سَوَآءٌ عَلَيۡهِمۡ ءَأَنذَرۡتَهُمۡ أَمۡ لَمۡ تُنذِرۡهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
Kafiron ko aap ka darana ya na darana barabar hai yeh log eman na layen gay
Surah Al-Baqara, Verse 6
خَتَمَ ٱللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ وَعَلَىٰ سَمۡعِهِمۡۖ وَعَلَىٰٓ أَبۡصَٰرِهِمۡ غِشَٰوَةٞۖ وَلَهُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٞ
Allah Taalaa ney inn kay dilon per aur inn kay kanon per mohar laga di hai aur inn ki aankhon per parda hai aur inn kay liye bara azab hai
Surah Al-Baqara, Verse 7
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَقُولُ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَبِٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَمَا هُم بِمُؤۡمِنِينَ
baaz log kehtay hain kay hum Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain lekin dar haqeeqat woh eman walay nahi hain
Surah Al-Baqara, Verse 8
يُخَٰدِعُونَ ٱللَّهَ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَمَا يَخۡدَعُونَ إِلَّآ أَنفُسَهُمۡ وَمَا يَشۡعُرُونَ
Woh Allah Taalaa ko aur eman walon ko dhoka detay hain lekin dar-asal woh khud apney aap ko dhoka dey rahey hain magar samajhtay nahi
Surah Al-Baqara, Verse 9
فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ فَزَادَهُمُ ٱللَّهُ مَرَضٗاۖ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمُۢ بِمَا كَانُواْ يَكۡذِبُونَ
Unn kay dilon mein beemari thi Allah Taalaa ney unhen beemari mein mazeed barha diya aur unn kay jhoot ki waja say unn kay liye dard naak azab hai
Surah Al-Baqara, Verse 10
وَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ لَا تُفۡسِدُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ قَالُوٓاْ إِنَّمَا نَحۡنُ مُصۡلِحُونَ
Aur jab inn say kaha jata hai kay zamin mein fasaad na kero o jawab detay hain kay hum to sirf islaah kerney walay hain
Surah Al-Baqara, Verse 11
أَلَآ إِنَّهُمۡ هُمُ ٱلۡمُفۡسِدُونَ وَلَٰكِن لَّا يَشۡعُرُونَ
Khabardaar ho! yaqeenan yehi log fasaad kerney walay hain lekin shaoor (samajh) nahi rakhtay
Surah Al-Baqara, Verse 12
وَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ ءَامِنُواْ كَمَآ ءَامَنَ ٱلنَّاسُ قَالُوٓاْ أَنُؤۡمِنُ كَمَآ ءَامَنَ ٱلسُّفَهَآءُۗ أَلَآ إِنَّهُمۡ هُمُ ٱلسُّفَهَآءُ وَلَٰكِن لَّا يَعۡلَمُونَ
Aur jab inn say kaha jata hai kay aur logon (yani sahaba) ki tarah tum bhi eman lao to jawab detay hain kay kiya hum aisa eman layen jaisa bey waqoof laye hain khabardaar hojao! yaqeenan yehi bey waqoof hain lekin jantay nahi
Surah Al-Baqara, Verse 13
وَإِذَا لَقُواْ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ قَالُوٓاْ ءَامَنَّا وَإِذَا خَلَوۡاْ إِلَىٰ شَيَٰطِينِهِمۡ قَالُوٓاْ إِنَّا مَعَكُمۡ إِنَّمَا نَحۡنُ مُسۡتَهۡزِءُونَ
Aur jab eman walon say miltay hain to kehtay hain kay hum bhi eman walay hain aur jab apney baron kay pass jatay hain to kehtay hain kay hum to tumharay sath hain hum to inn say sirf mazaq kertay hain
Surah Al-Baqara, Verse 14
ٱللَّهُ يَسۡتَهۡزِئُ بِهِمۡ وَيَمُدُّهُمۡ فِي طُغۡيَٰنِهِمۡ يَعۡمَهُونَ
Allah Taalaa bhi inn say mazaq kerta hai aur enhen inn ki sirkashi aur behkaway mein aur barha deta hai
Surah Al-Baqara, Verse 15
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ ٱشۡتَرَوُاْ ٱلضَّلَٰلَةَ بِٱلۡهُدَىٰ فَمَا رَبِحَت تِّجَٰرَتُهُمۡ وَمَا كَانُواْ مُهۡتَدِينَ
Yeh woh log hain jinhon ney gumrahi ko hidayat kay badlay mein khareed liya pus na to inn ki tijarat ney inn ko faeeda phonchaya aur na yeh hidayat walay huye
Surah Al-Baqara, Verse 16
مَثَلُهُمۡ كَمَثَلِ ٱلَّذِي ٱسۡتَوۡقَدَ نَارٗا فَلَمَّآ أَضَآءَتۡ مَا حَوۡلَهُۥ ذَهَبَ ٱللَّهُ بِنُورِهِمۡ وَتَرَكَهُمۡ فِي ظُلُمَٰتٖ لَّا يُبۡصِرُونَ
Inn ki misal uss shaks ki si hai jiss ney aag jalaee pus aas pass ki cheezen roshni mein aaee hi thin kay Allah unn kay noor ko ley gaya aur enhen andheron mein chor diya jo nahi dekhtay
Surah Al-Baqara, Verse 17
صُمُّۢ بُكۡمٌ عُمۡيٞ فَهُمۡ لَا يَرۡجِعُونَ
Behray goongay andhay hain. Pus woh nahi lottay
Surah Al-Baqara, Verse 18
أَوۡ كَصَيِّبٖ مِّنَ ٱلسَّمَآءِ فِيهِ ظُلُمَٰتٞ وَرَعۡدٞ وَبَرۡقٞ يَجۡعَلُونَ أَصَٰبِعَهُمۡ فِيٓ ءَاذَانِهِم مِّنَ ٱلصَّوَٰعِقِ حَذَرَ ٱلۡمَوۡتِۚ وَٱللَّهُ مُحِيطُۢ بِٱلۡكَٰفِرِينَ
Ya aasmani barsaat ki tarah jiss mein andheriyan aur garaj aur bijli ho maut ki darr say karakay ki waja say apni ungliyan apney kaanon mein daal letay hain. Aur Allah Taalaa kafiron ko gherney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 19
يَكَادُ ٱلۡبَرۡقُ يَخۡطَفُ أَبۡصَٰرَهُمۡۖ كُلَّمَآ أَضَآءَ لَهُم مَّشَوۡاْ فِيهِ وَإِذَآ أَظۡلَمَ عَلَيۡهِمۡ قَامُواْۚ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَذَهَبَ بِسَمۡعِهِمۡ وَأَبۡصَٰرِهِمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Qareeb hai kay bijli inn ki aankhen uchak ley jaye jab inn kay liye roshni kerti hai to chaltay phirtay hain aur jab inn per andhera kerti hai to kharay hojatay hain aur agar Allah Taalaa chahaye to inn kay kanon aur aankhon ko bey kaar kerdey. Yaqeenan Allah Taalaa her cheez per qudrat rakhney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 20
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱعۡبُدُواْ رَبَّكُمُ ٱلَّذِي خَلَقَكُمۡ وَٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَتَّقُونَ
Aey logo! apney uss rab ki ibadat kero jiss ney tumhen aur tum say pehlay kay logon ko peda kiya yehi tumhara bachao hai
Surah Al-Baqara, Verse 21
ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلۡأَرۡضَ فِرَٰشٗا وَٱلسَّمَآءَ بِنَآءٗ وَأَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَخۡرَجَ بِهِۦ مِنَ ٱلثَّمَرَٰتِ رِزۡقٗا لَّكُمۡۖ فَلَا تَجۡعَلُواْ لِلَّهِ أَندَادٗا وَأَنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Jiss ney tumharay liye zamin ko farash aur aasman ko chatt banaya aur aasman say pani utaar ker uss say phal peda ker kay tumhen rozi di khabardaar bawajood janney kay Allah kay shareek muqarrar na kero
Surah Al-Baqara, Verse 22
وَإِن كُنتُمۡ فِي رَيۡبٖ مِّمَّا نَزَّلۡنَا عَلَىٰ عَبۡدِنَا فَأۡتُواْ بِسُورَةٖ مِّن مِّثۡلِهِۦ وَٱدۡعُواْ شُهَدَآءَكُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Hum ney jo kuch apney banday per utara hai uss mein agar tumhen shak ho aur tum sachay ho to iss jaisi aik surat to bana lao tumhen ikhtiyar hai kay Allah Taalaa kay siwa apney madadgaron ko bhi bula lo
Surah Al-Baqara, Verse 23
فَإِن لَّمۡ تَفۡعَلُواْ وَلَن تَفۡعَلُواْ فَٱتَّقُواْ ٱلنَّارَ ٱلَّتِي وَقُودُهَا ٱلنَّاسُ وَٱلۡحِجَارَةُۖ أُعِدَّتۡ لِلۡكَٰفِرِينَ
Pus agar tum ney na kiya aur tum hergiz nahi ker saktayto (issay sacha maan ker) uss aag say bacho jiss ka endhan insan aur pathar hain jo kafiron kay liye tayyar ki gaee hai
Surah Al-Baqara, Verse 24
وَبَشِّرِ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ أَنَّ لَهُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ كُلَّمَا رُزِقُواْ مِنۡهَا مِن ثَمَرَةٖ رِّزۡقٗا قَالُواْ هَٰذَا ٱلَّذِي رُزِقۡنَا مِن قَبۡلُۖ وَأُتُواْ بِهِۦ مُتَشَٰبِهٗاۖ وَلَهُمۡ فِيهَآ أَزۡوَٰجٞ مُّطَهَّرَةٞۖ وَهُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Aur eman walon aur nek amal kerney walon ko unn jannaton ki khushkhabriyan do jin kay neechay nehren beh rahi hain. Jab kabhi woh phalon ka rizq diye jayen gay aur hum shakal laye jayen gay to kahen gay yeh wohi hain jo hum iss say pehlay diye gaye thay aur unn kay liye biwiyan hain saaf suthri aur unn jannaton mein hamesha rehney walay hain
Surah Al-Baqara, Verse 25
۞إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَسۡتَحۡيِۦٓ أَن يَضۡرِبَ مَثَلٗا مَّا بَعُوضَةٗ فَمَا فَوۡقَهَاۚ فَأَمَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ فَيَعۡلَمُونَ أَنَّهُ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّهِمۡۖ وَأَمَّا ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَيَقُولُونَ مَاذَآ أَرَادَ ٱللَّهُ بِهَٰذَا مَثَلٗاۘ يُضِلُّ بِهِۦ كَثِيرٗا وَيَهۡدِي بِهِۦ كَثِيرٗاۚ وَمَا يُضِلُّ بِهِۦٓ إِلَّا ٱلۡفَٰسِقِينَ
Yaqeenan Allah Taalaa kissi misal kay biyan kerney say nahi sharmata khuwa machar ki ho ya iss say bhi halki cheez ki. eman walay to issay apney rab ki janib say sahih samajhtay hain aur kuffaar kehtay hain kay iss misal say Allah Taalaa ney kiya murad li hai? iss kay zariye baishtar ko gumrah kerta hai aur aksar logon ko raah-e-raast per lata hai aur gumrah to sirf fasiqon ko hi kerta hai
Surah Al-Baqara, Verse 26
ٱلَّذِينَ يَنقُضُونَ عَهۡدَ ٱللَّهِ مِنۢ بَعۡدِ مِيثَٰقِهِۦ وَيَقۡطَعُونَ مَآ أَمَرَ ٱللَّهُ بِهِۦٓ أَن يُوصَلَ وَيُفۡسِدُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
Jo log Allah Taalaa kay mazboot ehad ko tor detay hain aur Allah Taalaa ney jin cheezon kay jorney ka hukum diya hai unhen kaattay aur zamin mein fasaad phelatay hain yehi log nuksan uthaney walay hain
Surah Al-Baqara, Verse 27
كَيۡفَ تَكۡفُرُونَ بِٱللَّهِ وَكُنتُمۡ أَمۡوَٰتٗا فَأَحۡيَٰكُمۡۖ ثُمَّ يُمِيتُكُمۡ ثُمَّ يُحۡيِيكُمۡ ثُمَّ إِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
Tum Allah kay sath kaisay kufur kertay ho? Halankay tum murda thay uss ney tumhen zinda kiya phir tumhen maar dalay ga phir zinda keray ga phir ussi ki taraf lotaye jao gay
Surah Al-Baqara, Verse 28
هُوَ ٱلَّذِي خَلَقَ لَكُم مَّا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰٓ إِلَى ٱلسَّمَآءِ فَسَوَّىٰهُنَّ سَبۡعَ سَمَٰوَٰتٖۚ وَهُوَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٞ
Woh Allah jiss ney tumharay liye zamin ki tamam cheezon ko peda kiya phir aasman ki taraf qasad kiya aur unn ko theek thaak saat aasman banaya aur woh her cheez ko janta hai
Surah Al-Baqara, Verse 29
وَإِذۡ قَالَ رَبُّكَ لِلۡمَلَـٰٓئِكَةِ إِنِّي جَاعِلٞ فِي ٱلۡأَرۡضِ خَلِيفَةٗۖ قَالُوٓاْ أَتَجۡعَلُ فِيهَا مَن يُفۡسِدُ فِيهَا وَيَسۡفِكُ ٱلدِّمَآءَ وَنَحۡنُ نُسَبِّحُ بِحَمۡدِكَ وَنُقَدِّسُ لَكَۖ قَالَ إِنِّيٓ أَعۡلَمُ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
Aur jab teray rab ney farishton say kaha kay mein zamin mein khalifa bananey wala hun to unhon ney kaha aisay shaks ko kiyon khalifa peda kerta hai jo zamin mein fasaad keray aur khoon bahaye? Aur hum teri tasbeeh hamd aur pakeezgi biyan kerney wala hain. Allah Taalaa ney farmaya jo mein janta hun tum nahi jantay
Surah Al-Baqara, Verse 30
وَعَلَّمَ ءَادَمَ ٱلۡأَسۡمَآءَ كُلَّهَا ثُمَّ عَرَضَهُمۡ عَلَى ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ فَقَالَ أَنۢبِـُٔونِي بِأَسۡمَآءِ هَـٰٓؤُلَآءِ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Aur Allah Taalaa ney aadam ko tamam naam sikha ker unn cheezon ko farishton kay samney paish kiya aur farmaya agar tum sachay ho to inn cheezon kay naam batao
Surah Al-Baqara, Verse 31
قَالُواْ سُبۡحَٰنَكَ لَا عِلۡمَ لَنَآ إِلَّا مَا عَلَّمۡتَنَآۖ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَلِيمُ ٱلۡحَكِيمُ
Unn sab ney kaha aey Allah ! Teri zaat pak hai hum to sirf utna hi ilm hai jitna tu ney humen sikha rakha hai pooray ilm-o-hikmat wala to tu hi hai
Surah Al-Baqara, Verse 32
قَالَ يَـٰٓـَٔادَمُ أَنۢبِئۡهُم بِأَسۡمَآئِهِمۡۖ فَلَمَّآ أَنۢبَأَهُم بِأَسۡمَآئِهِمۡ قَالَ أَلَمۡ أَقُل لَّكُمۡ إِنِّيٓ أَعۡلَمُ غَيۡبَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَأَعۡلَمُ مَا تُبۡدُونَ وَمَا كُنتُمۡ تَكۡتُمُونَ
Allah Taalaa ney (hazrat) aadam (alh-e-salam) say farmaya tum inn kay naam bata do. Jab unhon ney bata diye to to farmaya kay kiya mein ney tumhen (pehlay hi) na kaha tha kay zamin aur aasmanon ka ghaib mein hi janta hun aur meray ilm mein hai jo tum zahir ker rahey ho aur jo tum chupatay thay
Surah Al-Baqara, Verse 33
وَإِذۡ قُلۡنَا لِلۡمَلَـٰٓئِكَةِ ٱسۡجُدُواْ لِأٓدَمَ فَسَجَدُوٓاْ إِلَّآ إِبۡلِيسَ أَبَىٰ وَٱسۡتَكۡبَرَ وَكَانَ مِنَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Aur jab hum ney farishton say kaha kay aadam ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney sajda kiya. Uss ney inkar kiya aur takabbur kiya aur woh kafiron mein hogaya
Surah Al-Baqara, Verse 34
وَقُلۡنَا يَـٰٓـَٔادَمُ ٱسۡكُنۡ أَنتَ وَزَوۡجُكَ ٱلۡجَنَّةَ وَكُلَا مِنۡهَا رَغَدًا حَيۡثُ شِئۡتُمَا وَلَا تَقۡرَبَا هَٰذِهِ ٱلشَّجَرَةَ فَتَكُونَا مِنَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur hum ney keh diya kay aey aadam! Tum aur tumhari biwi jannat mein raho aur jahan kahin say chahao ba faraghat khao piyo lekin uss darakht kay qareeb na jana werna zalim hojao gay
Surah Al-Baqara, Verse 35
فَأَزَلَّهُمَا ٱلشَّيۡطَٰنُ عَنۡهَا فَأَخۡرَجَهُمَا مِمَّا كَانَا فِيهِۖ وَقُلۡنَا ٱهۡبِطُواْ بَعۡضُكُمۡ لِبَعۡضٍ عَدُوّٞۖ وَلَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُسۡتَقَرّٞ وَمَتَٰعٌ إِلَىٰ حِينٖ
Lekin shetan ney unn ko behka ker wahan say nikwa hi diya aur hum ney keh diya kay utar jao! um aik doosray kay dushman ho aur aik waqt-e-muqarrara tak tumharay liye zamin mein theharna aur faeeda uthana hai
Surah Al-Baqara, Verse 36
فَتَلَقَّىٰٓ ءَادَمُ مِن رَّبِّهِۦ كَلِمَٰتٖ فَتَابَ عَلَيۡهِۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلتَّوَّابُ ٱلرَّحِيمُ
(hazrat) aadam (alh-e-salam) ney apney rab say chand baaten seekh lin aur Allah Taalaa ney unn ki tauba qabool farmaee be-shak wohi tauba qabool kerney wala aur reham kerney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 37
قُلۡنَا ٱهۡبِطُواْ مِنۡهَا جَمِيعٗاۖ فَإِمَّا يَأۡتِيَنَّكُم مِّنِّي هُدٗى فَمَن تَبِعَ هُدَايَ فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Hum ney kaha tum sab yahan say chalay jao jab kabhi tumharay pass meri hidayat phonchay to uss ki tabey daari kerney walon per koi khof-o-ghum nahi
Surah Al-Baqara, Verse 38
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Aur jo inkar keren aur meri aayaton ko jhutlayen woh jahannumi hain aur hamesha ussi mein rahey gay
Surah Al-Baqara, Verse 39
يَٰبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ ٱذۡكُرُواْ نِعۡمَتِيَ ٱلَّتِيٓ أَنۡعَمۡتُ عَلَيۡكُمۡ وَأَوۡفُواْ بِعَهۡدِيٓ أُوفِ بِعَهۡدِكُمۡ وَإِيَّـٰيَ فَٱرۡهَبُونِ
Aey bani israeel! meri uss nemat ko yaad kero jo mein ney tum per inam ki aur meray ehad ko poora kero mein tumharay ehad ko poora keroon ga aur mujh say hi daro
Surah Al-Baqara, Verse 40
وَءَامِنُواْ بِمَآ أَنزَلۡتُ مُصَدِّقٗا لِّمَا مَعَكُمۡ وَلَا تَكُونُوٓاْ أَوَّلَ كَافِرِۭ بِهِۦۖ وَلَا تَشۡتَرُواْ بِـَٔايَٰتِي ثَمَنٗا قَلِيلٗا وَإِيَّـٰيَ فَٱتَّقُونِ
Aur uss kitab per eman lao jo mein ney tumhari kitabon ki tasdeeq mein nazil farmaee hai aur uss kay sath tum hi pehlay kafir na bano aur meri aayaton ko thori thori qeematon per na farokht kero aur sirf mujh hi say daro
Surah Al-Baqara, Verse 41
وَلَا تَلۡبِسُواْ ٱلۡحَقَّ بِٱلۡبَٰطِلِ وَتَكۡتُمُواْ ٱلۡحَقَّ وَأَنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Aur haq ko baatil kay sath khalat malat na kero aur na haq ko chupao tumhen to khud iss ka ilm hai
Surah Al-Baqara, Verse 42
وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ وَٱرۡكَعُواْ مَعَ ٱلرَّـٰكِعِينَ
Aur namazon ko qaeem kero aur zakat do aur rukoo kerney walon kay sath rukoo kero
Surah Al-Baqara, Verse 43
۞أَتَأۡمُرُونَ ٱلنَّاسَ بِٱلۡبِرِّ وَتَنسَوۡنَ أَنفُسَكُمۡ وَأَنتُمۡ تَتۡلُونَ ٱلۡكِتَٰبَۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
Kiya logon ko bhalaiyon ka hukum kertay ho? Aur khud apney aap ko bhool jatay ho ba wajood yeh kay tum kitab parhtay ho kiya itni bhi tum mein samajh nahi
Surah Al-Baqara, Verse 44
وَٱسۡتَعِينُواْ بِٱلصَّبۡرِ وَٱلصَّلَوٰةِۚ وَإِنَّهَا لَكَبِيرَةٌ إِلَّا عَلَى ٱلۡخَٰشِعِينَ
Aur sabar aur namaz kay sath madad talab kero yeh cheezen shaaq hain magar darr rakhney walon per
Surah Al-Baqara, Verse 45
ٱلَّذِينَ يَظُنُّونَ أَنَّهُم مُّلَٰقُواْ رَبِّهِمۡ وَأَنَّهُمۡ إِلَيۡهِ رَٰجِعُونَ
Jo jantay hain kay be-shak woh apney rab say mulaqat kerney walay aur yaqeenan woh ussi ki taraf lot ker janey walay hain
Surah Al-Baqara, Verse 46
يَٰبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ ٱذۡكُرُواْ نِعۡمَتِيَ ٱلَّتِيٓ أَنۡعَمۡتُ عَلَيۡكُمۡ وَأَنِّي فَضَّلۡتُكُمۡ عَلَى ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aey aulad-e-yaqoob! Meri uss nemat ko yaad kero jo mein ney tum per inam ki aur mein ney tumhen tamam jahanon per fazilat di
Surah Al-Baqara, Verse 47
وَٱتَّقُواْ يَوۡمٗا لَّا تَجۡزِي نَفۡسٌ عَن نَّفۡسٖ شَيۡـٔٗا وَلَا يُقۡبَلُ مِنۡهَا شَفَٰعَةٞ وَلَا يُؤۡخَذُ مِنۡهَا عَدۡلٞ وَلَا هُمۡ يُنصَرُونَ
Uss din say dartay raho jab koi kissi ko nafa na dey sakay ga aur na hi uss ki babat ki koi sifarish qabool hogi aur na koi badla uss kay ewaz liya jaye ga aur na woh madad kiye jayen gay
Surah Al-Baqara, Verse 48
وَإِذۡ نَجَّيۡنَٰكُم مِّنۡ ءَالِ فِرۡعَوۡنَ يَسُومُونَكُمۡ سُوٓءَ ٱلۡعَذَابِ يُذَبِّحُونَ أَبۡنَآءَكُمۡ وَيَسۡتَحۡيُونَ نِسَآءَكُمۡۚ وَفِي ذَٰلِكُم بَلَآءٞ مِّن رَّبِّكُمۡ عَظِيمٞ
Aur jab hum ney tumhen firaoniyon say nijat di jo tumhen bad tareen azab detay thay jo tumharay larkon ko maar daltay thay aur tumhari larkiyon ko chor detay thay uss nijat denay mein tumharay rab ki bari meharbani thi
Surah Al-Baqara, Verse 49
وَإِذۡ فَرَقۡنَا بِكُمُ ٱلۡبَحۡرَ فَأَنجَيۡنَٰكُمۡ وَأَغۡرَقۡنَآ ءَالَ فِرۡعَوۡنَ وَأَنتُمۡ تَنظُرُونَ
Aur jab hum ney tumharay liye dariya cheer (phaar) diya aur tumhen uss say paar ker diya aur firaoniyon ko tumhari nazron kay samney uss mein dobo diya
Surah Al-Baqara, Verse 50
وَإِذۡ وَٰعَدۡنَا مُوسَىٰٓ أَرۡبَعِينَ لَيۡلَةٗ ثُمَّ ٱتَّخَذۡتُمُ ٱلۡعِجۡلَ مِنۢ بَعۡدِهِۦ وَأَنتُمۡ ظَٰلِمُونَ
Aur hum ney (hazrat) musa (alh-e-salam) say chalees raaton ka wada kiya phir tum ney uss kay baad bachra poojna shuroo ker diya aur zalim bann gaye
Surah Al-Baqara, Verse 51
ثُمَّ عَفَوۡنَا عَنكُم مِّنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Lekin hum ney ba wajood iss kay phir tumhen moaf ker diya takay tum shukar kero
Surah Al-Baqara, Verse 52
وَإِذۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡفُرۡقَانَ لَعَلَّكُمۡ تَهۡتَدُونَ
Aur hum ney (hazrat) musa (alh-e-salam) ko tumhari hidayat kay liye kitab aur moajzay ata farmaye
Surah Al-Baqara, Verse 53
وَإِذۡ قَالَ مُوسَىٰ لِقَوۡمِهِۦ يَٰقَوۡمِ إِنَّكُمۡ ظَلَمۡتُمۡ أَنفُسَكُم بِٱتِّخَاذِكُمُ ٱلۡعِجۡلَ فَتُوبُوٓاْ إِلَىٰ بَارِئِكُمۡ فَٱقۡتُلُوٓاْ أَنفُسَكُمۡ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ عِندَ بَارِئِكُمۡ فَتَابَ عَلَيۡكُمۡۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلتَّوَّابُ ٱلرَّحِيمُ
Jab (hazrat) musa (alh-e-salam) ney apni qom say kaha kay aey meri qom! bachray ko mabood bana ker tum ney apni janon per zulm kiya hai abb tum apney peda kerney walay ki taraf rujoo kero apney ko aapas mein qatal kero tumhari behtri Allah Taalaa kay nazdeek issi mein hai to uss ney tumhari tauba qabool ki woh tauba qabool kerney wala aur reham-o-karam kerney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 54
وَإِذۡ قُلۡتُمۡ يَٰمُوسَىٰ لَن نُّؤۡمِنَ لَكَ حَتَّىٰ نَرَى ٱللَّهَ جَهۡرَةٗ فَأَخَذَتۡكُمُ ٱلصَّـٰعِقَةُ وَأَنتُمۡ تَنظُرُونَ
Aur (tum ussay bhi yaad kero) tum ney (hazrat) musa (alh-e-salam) say kaha tha kay jab tak hum apney rab ko apney samney na dekh len hergiz eman na layen gay (jiss ki gustakhi ki saza mein) tum per tumharay dekhtay huye bijli giri
Surah Al-Baqara, Verse 55
ثُمَّ بَعَثۡنَٰكُم مِّنۢ بَعۡدِ مَوۡتِكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Phir iss liye kay tum shukar guzari kero iss maut kay baad bhi hum ney tumhen zinda ker diya
Surah Al-Baqara, Verse 56
وَظَلَّلۡنَا عَلَيۡكُمُ ٱلۡغَمَامَ وَأَنزَلۡنَا عَلَيۡكُمُ ٱلۡمَنَّ وَٱلسَّلۡوَىٰۖ كُلُواْ مِن طَيِّبَٰتِ مَا رَزَقۡنَٰكُمۡۚ وَمَا ظَلَمُونَا وَلَٰكِن كَانُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ
Aur hum ney tum per badal ka saya kiya aur tum per mann-o-salwa utara (aur keh diya) kay humari di hui pakeeza cheezen khao aur unhon ney hum per zulm nahi kiya albatta woh khud apni janon per zulm kertay thay
Surah Al-Baqara, Verse 57
وَإِذۡ قُلۡنَا ٱدۡخُلُواْ هَٰذِهِ ٱلۡقَرۡيَةَ فَكُلُواْ مِنۡهَا حَيۡثُ شِئۡتُمۡ رَغَدٗا وَٱدۡخُلُواْ ٱلۡبَابَ سُجَّدٗا وَقُولُواْ حِطَّةٞ نَّغۡفِرۡ لَكُمۡ خَطَٰيَٰكُمۡۚ وَسَنَزِيدُ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Aur hum ney tum say kaha uss basti mein jao aur jo kuch ja kahin say chahao ba faraghat khao piyo aur darwazay mein sajday kertay huye guzro aur zaban say hitta kaho hum tumhari khatayen moaf farma den gay aur neki kerney walon ko aur ziyada den gay
Surah Al-Baqara, Verse 58
فَبَدَّلَ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ قَوۡلًا غَيۡرَ ٱلَّذِي قِيلَ لَهُمۡ فَأَنزَلۡنَا عَلَى ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ رِجۡزٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِ بِمَا كَانُواْ يَفۡسُقُونَ
Phir unn zalimon ney uss baat ko jo unn say kahi gaee thi badal daali hum ney bhi unn zalimon per unn kay fisq-o-nafarmani ki waja say aasmani azab nazil kiya
Surah Al-Baqara, Verse 59
۞وَإِذِ ٱسۡتَسۡقَىٰ مُوسَىٰ لِقَوۡمِهِۦ فَقُلۡنَا ٱضۡرِب بِّعَصَاكَ ٱلۡحَجَرَۖ فَٱنفَجَرَتۡ مِنۡهُ ٱثۡنَتَا عَشۡرَةَ عَيۡنٗاۖ قَدۡ عَلِمَ كُلُّ أُنَاسٖ مَّشۡرَبَهُمۡۖ كُلُواْ وَٱشۡرَبُواْ مِن رِّزۡقِ ٱللَّهِ وَلَا تَعۡثَوۡاْ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُفۡسِدِينَ
Aur jab musa (alh-e-salam) ney apni qom kay liye pani maanga to hum ney kaha kay apni laathi pathar per maaro jiss say baara chashmey phoot niklay aur her giroh ney apna chashma pehchan liya (aur hum ney keh diya kay) Allah Taalaa ka rizq khao piyo aur zamin mein fasaad na kertay phiro
Surah Al-Baqara, Verse 60
وَإِذۡ قُلۡتُمۡ يَٰمُوسَىٰ لَن نَّصۡبِرَ عَلَىٰ طَعَامٖ وَٰحِدٖ فَٱدۡعُ لَنَا رَبَّكَ يُخۡرِجۡ لَنَا مِمَّا تُنۢبِتُ ٱلۡأَرۡضُ مِنۢ بَقۡلِهَا وَقِثَّآئِهَا وَفُومِهَا وَعَدَسِهَا وَبَصَلِهَاۖ قَالَ أَتَسۡتَبۡدِلُونَ ٱلَّذِي هُوَ أَدۡنَىٰ بِٱلَّذِي هُوَ خَيۡرٌۚ ٱهۡبِطُواْ مِصۡرٗا فَإِنَّ لَكُم مَّا سَأَلۡتُمۡۗ وَضُرِبَتۡ عَلَيۡهِمُ ٱلذِّلَّةُ وَٱلۡمَسۡكَنَةُ وَبَآءُو بِغَضَبٖ مِّنَ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ كَانُواْ يَكۡفُرُونَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَيَقۡتُلُونَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّۚ ذَٰلِكَ بِمَا عَصَواْ وَّكَانُواْ يَعۡتَدُونَ
Aur jab tum ney kah aey musa! hum say aik hi qisam kay khaney per sabar na hosakay ga iss liye apeny rab say dua kijiye kay woh humen zamin ki peda waar saag kakri gehon masoor aur piyaz dey aap ney farmaya behtar cheez kay badlay adna cheez kiyon talab kertay ho! acha shehar mein jao wahan tumhari chahat ki yeh sab cheezen milen gi. Unn per zillat aur miskeeni daal di gaee aur Allah ka ghazab ley ker woh lotay yeh iss liey kay woh Allah ki aayaton kay sath kufur kertay thay aur nabiyon ko na haq qatal kertay thay yeh unn ki na farmaniyon aur ziyadtiyon ka nateeja hai
Surah Al-Baqara, Verse 61
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَٱلَّذِينَ هَادُواْ وَٱلنَّصَٰرَىٰ وَٱلصَّـٰبِـِٔينَ مَنۡ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا فَلَهُمۡ أَجۡرُهُمۡ عِندَ رَبِّهِمۡ وَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Musalman hon yahudi hon nasaara hon ya saabi hon jo koi bhi Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman laye aur nek amal keray unn kay ajar un kay rab kay pass hain aur unn per na o koi khof hai na udasi
Surah Al-Baqara, Verse 62
وَإِذۡ أَخَذۡنَا مِيثَٰقَكُمۡ وَرَفَعۡنَا فَوۡقَكُمُ ٱلطُّورَ خُذُواْ مَآ ءَاتَيۡنَٰكُم بِقُوَّةٖ وَٱذۡكُرُواْ مَا فِيهِ لَعَلَّكُمۡ تَتَّقُونَ
Aur jab hum ney tum say wada liya aur tum per toor pahar laa khara ker diya (aur kaha) jo hum ney tumhen diya hai ussay mazbooti say thaam lo aur jo kuch iss mein hain ussay yaad kero takay tum bach sako
Surah Al-Baqara, Verse 63
ثُمَّ تَوَلَّيۡتُم مِّنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَۖ فَلَوۡلَا فَضۡلُ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَرَحۡمَتُهُۥ لَكُنتُم مِّنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
Lekin tum iss kay baad bhi phir gaye phir agar Allah Taalaa ka fazal aur uss ki rehmat tum per na hoti to tum nuksan walay ho jatay
Surah Al-Baqara, Verse 64
وَلَقَدۡ عَلِمۡتُمُ ٱلَّذِينَ ٱعۡتَدَوۡاْ مِنكُمۡ فِي ٱلسَّبۡتِ فَقُلۡنَا لَهُمۡ كُونُواْ قِرَدَةً خَٰسِـِٔينَ
Aur yaqeenan tumhen unn logon ka ilm bhi hai jo tum mein say haftay kay baray mein hadd say barh gaye aur hum ney bhi keh diya kay tum zaleel bandar bann jao
Surah Al-Baqara, Verse 65
فَجَعَلۡنَٰهَا نَكَٰلٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهَا وَمَا خَلۡفَهَا وَمَوۡعِظَةٗ لِّلۡمُتَّقِينَ
Issay hum ney aglon pichlon kay liye ibrat ka sabab bana diya aur perhezgaron kay liye waaz-o-naseehat ka
Surah Al-Baqara, Verse 66
وَإِذۡ قَالَ مُوسَىٰ لِقَوۡمِهِۦٓ إِنَّ ٱللَّهَ يَأۡمُرُكُمۡ أَن تَذۡبَحُواْ بَقَرَةٗۖ قَالُوٓاْ أَتَتَّخِذُنَا هُزُوٗاۖ قَالَ أَعُوذُ بِٱللَّهِ أَنۡ أَكُونَ مِنَ ٱلۡجَٰهِلِينَ
Aur (hazrat) musa (alh-e-salam) ney jab apni qom say kaha kay Allah Taalaa tumhen aik gaaye zibah kerney ka hukum deta hai to unhon ney kaha hum say mazak kiyon kertay ho? Aap ney jawab diya kay mein aisa jahil honey say Allah ki panah pakarta hun
Surah Al-Baqara, Verse 67
قَالُواْ ٱدۡعُ لَنَا رَبَّكَ يُبَيِّن لَّنَا مَا هِيَۚ قَالَ إِنَّهُۥ يَقُولُ إِنَّهَا بَقَرَةٞ لَّا فَارِضٞ وَلَا بِكۡرٌ عَوَانُۢ بَيۡنَ ذَٰلِكَۖ فَٱفۡعَلُواْ مَا تُؤۡمَرُونَ
Unhon ney kaha aey musa! dua kijiye kay Allah Taalaa humaray liye iss ki maahiyat biyan ker dey aap ney farmaya suno! woh gaaye na to bilkul burhiya ho na bacha bulkay darmiyani umar ki no jawan ho abb jo tumhen hukum diya gaya hai baja lao
Surah Al-Baqara, Verse 68
قَالُواْ ٱدۡعُ لَنَا رَبَّكَ يُبَيِّن لَّنَا مَا لَوۡنُهَاۚ قَالَ إِنَّهُۥ يَقُولُ إِنَّهَا بَقَرَةٞ صَفۡرَآءُ فَاقِعٞ لَّوۡنُهَا تَسُرُّ ٱلنَّـٰظِرِينَ
Woh phir kehnay lagay kay dua kijiye kay Allah Taalaa biyan keray uss ka rang kiya hai? Farmaya woh kehta hai kay woh gaaye zard rang ki hai chamkeela aur dekhney walon ko bhala lagney wala uss ka rang hai
Surah Al-Baqara, Verse 69
قَالُواْ ٱدۡعُ لَنَا رَبَّكَ يُبَيِّن لَّنَا مَا هِيَ إِنَّ ٱلۡبَقَرَ تَشَٰبَهَ عَلَيۡنَا وَإِنَّآ إِن شَآءَ ٱللَّهُ لَمُهۡتَدُونَ
Woh kehney lagay apney rab say aur dua kijiye kay humen uss ki mazeed maahiyat batlaye iss qisam ki gaye to boht hain pata nahi chalta agar Allah ney chaha to hum hidayat walay hojayen gay
Surah Al-Baqara, Verse 70
قَالَ إِنَّهُۥ يَقُولُ إِنَّهَا بَقَرَةٞ لَّا ذَلُولٞ تُثِيرُ ٱلۡأَرۡضَ وَلَا تَسۡقِي ٱلۡحَرۡثَ مُسَلَّمَةٞ لَّا شِيَةَ فِيهَاۚ قَالُواْ ٱلۡـَٰٔنَ جِئۡتَ بِٱلۡحَقِّۚ فَذَبَحُوهَا وَمَا كَادُواْ يَفۡعَلُونَ
Aap ney farmaya kay Allah ka farman hai kay woh gaaye kaam kerney wali zamin mein hal jootney wali aur kheton ko pani pilaney wali nahi woh tandrust aur bey daagh hai unhon ney kaha abb aap ney haq wazeh ker diya go woh hukum bardari kay qarib na thay lekin ussay mana aur gaaye zibah ker di
Surah Al-Baqara, Verse 71
وَإِذۡ قَتَلۡتُمۡ نَفۡسٗا فَٱدَّـٰرَ ٰٔتُمۡ فِيهَاۖ وَٱللَّهُ مُخۡرِجٞ مَّا كُنتُمۡ تَكۡتُمُونَ
Jab tum ney aik shaks ko qatal ker dala phir uss mein ikhtilaf kerney lagay aur tumhari posheedgi ko Allah Taalaa zahir kerney wala tha
Surah Al-Baqara, Verse 72
فَقُلۡنَا ٱضۡرِبُوهُ بِبَعۡضِهَاۚ كَذَٰلِكَ يُحۡيِ ٱللَّهُ ٱلۡمَوۡتَىٰ وَيُرِيكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ
Hum ney kaha iss gaaye ka aik tukra maqtool kay jism ko laga do (woh ji utahay ga) issi tarah Allah Taalaa murdon ko zinda ker kay tumhen tumhari aqal mandi kay liye apni nishaniyan dikhata hai
Surah Al-Baqara, Verse 73
ثُمَّ قَسَتۡ قُلُوبُكُم مِّنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَ فَهِيَ كَٱلۡحِجَارَةِ أَوۡ أَشَدُّ قَسۡوَةٗۚ وَإِنَّ مِنَ ٱلۡحِجَارَةِ لَمَا يَتَفَجَّرُ مِنۡهُ ٱلۡأَنۡهَٰرُۚ وَإِنَّ مِنۡهَا لَمَا يَشَّقَّقُ فَيَخۡرُجُ مِنۡهُ ٱلۡمَآءُۚ وَإِنَّ مِنۡهَا لَمَا يَهۡبِطُ مِنۡ خَشۡيَةِ ٱللَّهِۗ وَمَا ٱللَّهُ بِغَٰفِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُونَ
Phir iss kay baad tumharay dil pathar jaisay bulkay iss bhi ziyada sakhta hogaye baaz patharon say to nehren beh nikalti hain aur baaz phat jatay hain aur baaz Allah Taalaa kay darr say gir gir partay hain aur tum Allah Taalaa ko apney aemaal say ghafil na jano
Surah Al-Baqara, Verse 74
۞أَفَتَطۡمَعُونَ أَن يُؤۡمِنُواْ لَكُمۡ وَقَدۡ كَانَ فَرِيقٞ مِّنۡهُمۡ يَسۡمَعُونَ كَلَٰمَ ٱللَّهِ ثُمَّ يُحَرِّفُونَهُۥ مِنۢ بَعۡدِ مَا عَقَلُوهُ وَهُمۡ يَعۡلَمُونَ
(musalmano!) kiya tumhari khuwaish hai kay yeh log eman daar bann jayen halankay inn mein aisay log bhi hain jo kalam ullah ko sunn ker aqal-o-ilm walay hotay huye phir bhi badal dala kertay hain
Surah Al-Baqara, Verse 75
وَإِذَا لَقُواْ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ قَالُوٓاْ ءَامَنَّا وَإِذَا خَلَا بَعۡضُهُمۡ إِلَىٰ بَعۡضٖ قَالُوٓاْ أَتُحَدِّثُونَهُم بِمَا فَتَحَ ٱللَّهُ عَلَيۡكُمۡ لِيُحَآجُّوكُم بِهِۦ عِندَ رَبِّكُمۡۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
Jab eman walon say miltay hain to apni eman daari zahir kertay hain aur jab aapas mein miltay hain to kehtay hain kay musalmanon ko kiyon woh baaten phonchatay ho jo Allah Taalaa ney tumhen sikhaee hain kiya jantay nahi kay yeh to Allah Taalaa kay pass tum per inn ki hujjat hojaye gi
Surah Al-Baqara, Verse 76
أَوَلَا يَعۡلَمُونَ أَنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ مَا يُسِرُّونَ وَمَا يُعۡلِنُونَ
Kiya yeh nahi janatay kay Allah Taalaa inn ki posheedgi aur zahri daari sab ko janta hai
Surah Al-Baqara, Verse 77
وَمِنۡهُمۡ أُمِّيُّونَ لَا يَعۡلَمُونَ ٱلۡكِتَٰبَ إِلَّآ أَمَانِيَّ وَإِنۡ هُمۡ إِلَّا يَظُنُّونَ
Inn mein say baaz un parh aisay bhi hain kay jo kitab kay sirf zahiri alfaaz ko hi jantay hain aur sirf guman aur atkal hi per hain
Surah Al-Baqara, Verse 78
فَوَيۡلٞ لِّلَّذِينَ يَكۡتُبُونَ ٱلۡكِتَٰبَ بِأَيۡدِيهِمۡ ثُمَّ يَقُولُونَ هَٰذَا مِنۡ عِندِ ٱللَّهِ لِيَشۡتَرُواْ بِهِۦ ثَمَنٗا قَلِيلٗاۖ فَوَيۡلٞ لَّهُم مِّمَّا كَتَبَتۡ أَيۡدِيهِمۡ وَوَيۡلٞ لَّهُم مِّمَّا يَكۡسِبُونَ
Unn logon kay liye well hai jo apni haathon ki likhi hui kitab ko Allah Taalaa ki taraf ki kehtay hain aur iss tarag duniya kamatay hain inn ki haathon ki likhaee ko aur inn ki kamaee ko well (halakat) aur afsos hai
Surah Al-Baqara, Verse 79
وَقَالُواْ لَن تَمَسَّنَا ٱلنَّارُ إِلَّآ أَيَّامٗا مَّعۡدُودَةٗۚ قُلۡ أَتَّخَذۡتُمۡ عِندَ ٱللَّهِ عَهۡدٗا فَلَن يُخۡلِفَ ٱللَّهُ عَهۡدَهُۥٓۖ أَمۡ تَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
Yeh log kehtay hain kay hum to sirf chand roz jahannum mein rahen gay inn say kaho kay kiya tumharay pass Allah Taalaa ka koi parwana hai? Agar hai to yaqeenan Allah Taalaa apney waday kay khilaf nahi keray ga (hergiz nahi) bulkay tum to Allah kay zimmay woh baaten lagatay ho jinhen tum nahi jantay
Surah Al-Baqara, Verse 80
بَلَىٰۚ مَن كَسَبَ سَيِّئَةٗ وَأَحَٰطَتۡ بِهِۦ خَطِيٓـَٔتُهُۥ فَأُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Yaqeenan jiss ney bhi buray kaam kiye aur uss ki na farmaniyon ney ussay gher liya woh hamesha kay liye jahannumi hai
Surah Al-Baqara, Verse 81
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Aur jo log eman laye aur nek kaam keren woh jannati hain jo jannat mein hamesha rahen gay
Surah Al-Baqara, Verse 82
وَإِذۡ أَخَذۡنَا مِيثَٰقَ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ لَا تَعۡبُدُونَ إِلَّا ٱللَّهَ وَبِٱلۡوَٰلِدَيۡنِ إِحۡسَانٗا وَذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينِ وَقُولُواْ لِلنَّاسِ حُسۡنٗا وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ ثُمَّ تَوَلَّيۡتُمۡ إِلَّا قَلِيلٗا مِّنكُمۡ وَأَنتُم مُّعۡرِضُونَ
Aur jab hum ney bani israeel say wada liya kay tum Allah Taalaa kay siwa doosray ki ibadat na kerna aur maa baap kay sath acha sulook kerna issi tarah qarabat daron yateemon aur miskeenon kay sath aur logon ko achi baaten kehna namazen qaeem rakhna aur zakat detay raha kerna lekin thoray say logon kay ilawa tum sab phir gaye aur mun mor liya
Surah Al-Baqara, Verse 83
وَإِذۡ أَخَذۡنَا مِيثَٰقَكُمۡ لَا تَسۡفِكُونَ دِمَآءَكُمۡ وَلَا تُخۡرِجُونَ أَنفُسَكُم مِّن دِيَٰرِكُمۡ ثُمَّ أَقۡرَرۡتُمۡ وَأَنتُمۡ تَشۡهَدُونَ
Aur jab hum ney tum say wada liya kay aapas mein khoon na bahana (qatal na kerna) aur aapas walon ko jila watan na kerna tum ney iqrar kiya aur tum iss kay shahid banay
Surah Al-Baqara, Verse 84
ثُمَّ أَنتُمۡ هَـٰٓؤُلَآءِ تَقۡتُلُونَ أَنفُسَكُمۡ وَتُخۡرِجُونَ فَرِيقٗا مِّنكُم مِّن دِيَٰرِهِمۡ تَظَٰهَرُونَ عَلَيۡهِم بِٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِ وَإِن يَأۡتُوكُمۡ أُسَٰرَىٰ تُفَٰدُوهُمۡ وَهُوَ مُحَرَّمٌ عَلَيۡكُمۡ إِخۡرَاجُهُمۡۚ أَفَتُؤۡمِنُونَ بِبَعۡضِ ٱلۡكِتَٰبِ وَتَكۡفُرُونَ بِبَعۡضٖۚ فَمَا جَزَآءُ مَن يَفۡعَلُ ذَٰلِكَ مِنكُمۡ إِلَّا خِزۡيٞ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ وَيَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يُرَدُّونَ إِلَىٰٓ أَشَدِّ ٱلۡعَذَابِۗ وَمَا ٱللَّهُ بِغَٰفِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُونَ
Lekin phir bhi tum ney aapas mein qatal kiya aur aapas kay aik firqay ko jila watan bhi kiya aur gunah aur ziyadti kay kaamon mein inn kay khilaf doosray ki taraf daari ki haan woh jab qaidi ho ker tumharay pass aaye to tum ney unn kay fidye diye lekin inn ka nikalna jo tum per haram tha (uss ka kuch khayal na kiya) kiya baaz ehkaam per eman rakhtay ho aur baaz kay sath kufur kertay ho? Tum mein say jo bhi aisa keray uss ki saza iss kay siwa kiya ho kay duniya mein ruswaee aur qayamat kay din sakht azab ki maar aur Allah Taalaa tumharay aemaal say bey khabar nahi
Surah Al-Baqara, Verse 85
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ ٱشۡتَرَوُاْ ٱلۡحَيَوٰةَ ٱلدُّنۡيَا بِٱلۡأٓخِرَةِۖ فَلَا يُخَفَّفُ عَنۡهُمُ ٱلۡعَذَابُ وَلَا هُمۡ يُنصَرُونَ
Yeh woh log hai jinhon ney duniya ki zindagi ko aakhirat kay badlay khareed liya hai inn kay na to azab halkay hongay aur na inn ki madad ki jaye gi
Surah Al-Baqara, Verse 86
وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ وَقَفَّيۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِۦ بِٱلرُّسُلِۖ وَءَاتَيۡنَا عِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ٱلۡبَيِّنَٰتِ وَأَيَّدۡنَٰهُ بِرُوحِ ٱلۡقُدُسِۗ أَفَكُلَّمَا جَآءَكُمۡ رَسُولُۢ بِمَا لَا تَهۡوَىٰٓ أَنفُسُكُمُ ٱسۡتَكۡبَرۡتُمۡ فَفَرِيقٗا كَذَّبۡتُمۡ وَفَرِيقٗا تَقۡتُلُونَ
Hum ney (hazrat) musa ko kitab di aur inn kay peechay aur rasool bhejay aur hum ney (hazrat) essa ibn-e-marium ko roshan daleelen din aur rooh-ul-qudus say unn ki taeed kerwaee. Lekin jab kabhi tumharay pass rasool woh cheez laye jo tumhari tabiyaton kay khilaf thi tum ney jhat say takabbur kiya pus baaz ko to jhutla diya aur baaz ko qatal bhi ker dala
Surah Al-Baqara, Verse 87
وَقَالُواْ قُلُوبُنَا غُلۡفُۢۚ بَل لَّعَنَهُمُ ٱللَّهُ بِكُفۡرِهِمۡ فَقَلِيلٗا مَّا يُؤۡمِنُونَ
Yeh kehtay hain kay humaray dil ghilaaf walay hain nahi nahi bulkay inn kay kufur ki waja say enhen Allah Taalaa ney malaoon ker diya hai inn ka eman boht hi thora hai
Surah Al-Baqara, Verse 88
وَلَمَّا جَآءَهُمۡ كِتَٰبٞ مِّنۡ عِندِ ٱللَّهِ مُصَدِّقٞ لِّمَا مَعَهُمۡ وَكَانُواْ مِن قَبۡلُ يَسۡتَفۡتِحُونَ عَلَى ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَلَمَّا جَآءَهُم مَّا عَرَفُواْ كَفَرُواْ بِهِۦۚ فَلَعۡنَةُ ٱللَّهِ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ
Aur inn kay pass jab Allah Taalaa ki kitab inn ki kitab ko sacha kerney wali aaee halankay pehlay yeh khud (iss kay zariye) kafiron per fatah chahatay thay to ba wajood aajaney aur ba wajood pehchan lenay kay phir kufur kerney lagay Allah Taalaa ki laanat ho kafirion per
Surah Al-Baqara, Verse 89
بِئۡسَمَا ٱشۡتَرَوۡاْ بِهِۦٓ أَنفُسَهُمۡ أَن يَكۡفُرُواْ بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ بَغۡيًا أَن يُنَزِّلَ ٱللَّهُ مِن فَضۡلِهِۦ عَلَىٰ مَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦۖ فَبَآءُو بِغَضَبٍ عَلَىٰ غَضَبٖۚ وَلِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٞ مُّهِينٞ
Boht buri hai woh cheez jiss kay badlay enhon ney apney aap ko baich dala woh inn kay kufur kerna hai. Allah Taalaa ki taraf say nazil shuda cheez kay sath mehaz iss baat say jal ker kay Allah Taalaa ney apna fazal apney jiss banday per chaha nazil farmaya iss kay baees ye log ghazab per ghazab kay mustahiq hogaye aur inn kafiron kay liye ruswa kerney wala azab hai
Surah Al-Baqara, Verse 90
وَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ ءَامِنُواْ بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ قَالُواْ نُؤۡمِنُ بِمَآ أُنزِلَ عَلَيۡنَا وَيَكۡفُرُونَ بِمَا وَرَآءَهُۥ وَهُوَ ٱلۡحَقُّ مُصَدِّقٗا لِّمَا مَعَهُمۡۗ قُلۡ فَلِمَ تَقۡتُلُونَ أَنۢبِيَآءَ ٱللَّهِ مِن قَبۡلُ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Aur jab inn say kaha jata hai kay Allah Taalaa ki utari hui kitab per eman lao to keh detay hain kay jo hum per utari gaee uss per humara eman hai. Halankay iss kay baad wali kay sath jo inn ki kitab ki tasdeeq kerney wali hai kufur kertay hain acha inn say yeh to daryaft keren kay agar tumhara eman pehli kitabon per hai to phir tum ney aglay anbiya ko kiyon qatal kiya
Surah Al-Baqara, Verse 91
۞وَلَقَدۡ جَآءَكُم مُّوسَىٰ بِٱلۡبَيِّنَٰتِ ثُمَّ ٱتَّخَذۡتُمُ ٱلۡعِجۡلَ مِنۢ بَعۡدِهِۦ وَأَنتُمۡ ظَٰلِمُونَ
Tumharay pass to musa yehi daleelen ley ker aaye lekin phir bhi tum ney bachra pooja tum ho hi zalim
Surah Al-Baqara, Verse 92
وَإِذۡ أَخَذۡنَا مِيثَٰقَكُمۡ وَرَفَعۡنَا فَوۡقَكُمُ ٱلطُّورَ خُذُواْ مَآ ءَاتَيۡنَٰكُم بِقُوَّةٖ وَٱسۡمَعُواْۖ قَالُواْ سَمِعۡنَا وَعَصَيۡنَا وَأُشۡرِبُواْ فِي قُلُوبِهِمُ ٱلۡعِجۡلَ بِكُفۡرِهِمۡۚ قُلۡ بِئۡسَمَا يَأۡمُرُكُم بِهِۦٓ إِيمَٰنُكُمۡ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Jab hum ney tum say wada liya aur tum per toor ko khara ker diya (aur keh diya) kay humari di hui cheez ko mazboot thaamo aur suno! To enhon ney kaha hum ney suna aur na famani ki aur inn kay dilon mein bachray ki mohabbat (goya) pila di gaee ba sabab inn kay kufur kay. Inn say keh dijiye kay tumhara eman tumhen bura hukum dey raha hai agar tum momin ho
Surah Al-Baqara, Verse 93
قُلۡ إِن كَانَتۡ لَكُمُ ٱلدَّارُ ٱلۡأٓخِرَةُ عِندَ ٱللَّهِ خَالِصَةٗ مِّن دُونِ ٱلنَّاسِ فَتَمَنَّوُاْ ٱلۡمَوۡتَ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Aap keh dijiye kay agar aakhirat ka ghar sirf tumharay liye hai Allah kay nazdeek aur kissi kay liye nahi to aao apni sachaee kay saboot mein maut talab kero
Surah Al-Baqara, Verse 94
وَلَن يَتَمَنَّوۡهُ أَبَدَۢا بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيهِمۡۚ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِٱلظَّـٰلِمِينَ
Lekin apney kartooton ko dekhtay huye kabhi bhi maut nahi maangen gay Allah Taalaa zalimon ko khoob janta hai
Surah Al-Baqara, Verse 95
وَلَتَجِدَنَّهُمۡ أَحۡرَصَ ٱلنَّاسِ عَلَىٰ حَيَوٰةٖ وَمِنَ ٱلَّذِينَ أَشۡرَكُواْۚ يَوَدُّ أَحَدُهُمۡ لَوۡ يُعَمَّرُ أَلۡفَ سَنَةٖ وَمَا هُوَ بِمُزَحۡزِحِهِۦ مِنَ ٱلۡعَذَابِ أَن يُعَمَّرَۗ وَٱللَّهُ بَصِيرُۢ بِمَا يَعۡمَلُونَ
Bulkay sab say ziyada duniya ki zindagi ka harees aey nabi! Aap enhin ko paayen gay. Yeh hirs-e-zindagi mein mushrikon say bhi ziyada hai inn mein say to her shaks aik aik hazar saal ki umar chahata hai go yeh umar diya jana bhi enhen azab say nahi chura sakta Allah Taalaa inn kay kaamon ko bakhoobi dekh raha hai
Surah Al-Baqara, Verse 96
قُلۡ مَن كَانَ عَدُوّٗا لِّـجِبۡرِيلَ فَإِنَّهُۥ نَزَّلَهُۥ عَلَىٰ قَلۡبِكَ بِإِذۡنِ ٱللَّهِ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ وَهُدٗى وَبُشۡرَىٰ لِلۡمُؤۡمِنِينَ
(aey nabi!) aap keh dijiye kay jo jibraeel ka dushman ho jiss ney aap kay dil per paygham-e-baari taalaa utaara hai jo paygham inn kay pass ki kitab ki tasdeeq kerney wala aur mominon ko hidayat aur khushkhabri denay wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 97
مَن كَانَ عَدُوّٗا لِّلَّهِ وَمَلَـٰٓئِكَتِهِۦ وَرُسُلِهِۦ وَجِبۡرِيلَ وَمِيكَىٰلَ فَإِنَّ ٱللَّهَ عَدُوّٞ لِّلۡكَٰفِرِينَ
(To Allah bhi uss ka dushman hai) jo shaks Allah ka aur uss kay farishton aur uss kay rasoolon aur jibraeel aur mikaeel ka dushman ho aisay kafiron ka dushman khud Allah hai
Surah Al-Baqara, Verse 98
وَلَقَدۡ أَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ ءَايَٰتِۭ بَيِّنَٰتٖۖ وَمَا يَكۡفُرُ بِهَآ إِلَّا ٱلۡفَٰسِقُونَ
Aur yaqeenan hum ney aap ki taraf roshan daleelen bheji hain jin ka inkar siwaye bad kaaron kay koi nahi kerta
Surah Al-Baqara, Verse 99
أَوَكُلَّمَا عَٰهَدُواْ عَهۡدٗا نَّبَذَهُۥ فَرِيقٞ مِّنۡهُمۚ بَلۡ أَكۡثَرُهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
Yeh log jab kabhi koi ehad kertay hain to inn kay aik na aik jamat issay tor deti hai bulkay inn mein say aksar eman say khali hain
Surah Al-Baqara, Verse 100
وَلَمَّا جَآءَهُمۡ رَسُولٞ مِّنۡ عِندِ ٱللَّهِ مُصَدِّقٞ لِّمَا مَعَهُمۡ نَبَذَ فَرِيقٞ مِّنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ كِتَٰبَ ٱللَّهِ وَرَآءَ ظُهُورِهِمۡ كَأَنَّهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Jab kabhi inn kay pass Allah ka koi rasool inn ki kitab ki tasdeeq kerney wala aaya inn ehal-e-kitab kay aik firqay ney Allah ki kitab ko iss tarah peeth peechay daal diya goya jantay hi na thay
Surah Al-Baqara, Verse 101
وَٱتَّبَعُواْ مَا تَتۡلُواْ ٱلشَّيَٰطِينُ عَلَىٰ مُلۡكِ سُلَيۡمَٰنَۖ وَمَا كَفَرَ سُلَيۡمَٰنُ وَلَٰكِنَّ ٱلشَّيَٰطِينَ كَفَرُواْ يُعَلِّمُونَ ٱلنَّاسَ ٱلسِّحۡرَ وَمَآ أُنزِلَ عَلَى ٱلۡمَلَكَيۡنِ بِبَابِلَ هَٰرُوتَ وَمَٰرُوتَۚ وَمَا يُعَلِّمَانِ مِنۡ أَحَدٍ حَتَّىٰ يَقُولَآ إِنَّمَا نَحۡنُ فِتۡنَةٞ فَلَا تَكۡفُرۡۖ فَيَتَعَلَّمُونَ مِنۡهُمَا مَا يُفَرِّقُونَ بِهِۦ بَيۡنَ ٱلۡمَرۡءِ وَزَوۡجِهِۦۚ وَمَا هُم بِضَآرِّينَ بِهِۦ مِنۡ أَحَدٍ إِلَّا بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ وَيَتَعَلَّمُونَ مَا يَضُرُّهُمۡ وَلَا يَنفَعُهُمۡۚ وَلَقَدۡ عَلِمُواْ لَمَنِ ٱشۡتَرَىٰهُ مَا لَهُۥ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ مِنۡ خَلَٰقٖۚ وَلَبِئۡسَ مَا شَرَوۡاْ بِهِۦٓ أَنفُسَهُمۡۚ لَوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ
Aur uss cheez kay peechay parr gaye jissay shayateen (hazrat) suleman ki hukoomat mein parhtay thay. Suleman ney to kufur na kiya tha bulkay yeh kufur shetanon ka tha woh logon ko jadoo sikhaya kertay thay aur babul mein haroot maroot do farishton per jo utaara gaya tha woh dono bhi kissi shaks ko uss waqt tak nahi sikhatay thay jab tak yeh na keh den kay hum to aik aazmaeesh hain tu kufur na ker phir log inn say woh seekhtay jiss say khawind-o-biwi mein judaee daal den aur dar-asal woh baghair Allah Taalaa ki marzi kay kissi ko koi nuksan nahi phoncha saktay yeh log woh seekhtay hain jo enhen nuksan phonchaye aur nafa na phoncha sakay aur woh bil yaqeen jantay hain kay iss key lenay walay ka aakhirat mein koi hissa nahi. Aur woh bad tareen cheez hai jiss kay badlay mein woh apney aap ko farokht ker rahey hain kaash kay yeh jantay hotay
Surah Al-Baqara, Verse 102
وَلَوۡ أَنَّهُمۡ ءَامَنُواْ وَٱتَّقَوۡاْ لَمَثُوبَةٞ مِّنۡ عِندِ ٱللَّهِ خَيۡرٞۚ لَّوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ
Agar yeh log sahib-e-eman mutaqqi bann jatay to Allah Taalaa ki taraf say behtareen sawab enehn milta agar yeh jantay hotay
Surah Al-Baqara, Verse 103
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَقُولُواْ رَٰعِنَا وَقُولُواْ ٱنظُرۡنَا وَٱسۡمَعُواْۗ وَلِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Aey eman walo! Tum nabi (PBUH ko) Raaeena na kaha kero un-zurna kaho yani humari taraf dekhiye aur suntay raha kero aur kafiron kay liye dard naak azab hai
Surah Al-Baqara, Verse 104
مَّا يَوَدُّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ وَلَا ٱلۡمُشۡرِكِينَ أَن يُنَزَّلَ عَلَيۡكُم مِّنۡ خَيۡرٖ مِّن رَّبِّكُمۡۚ وَٱللَّهُ يَخۡتَصُّ بِرَحۡمَتِهِۦ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ ذُو ٱلۡفَضۡلِ ٱلۡعَظِيمِ
Na to ehal-e-kitab kay kafir aur na mushrikeen chahatay hain kay tum per tumharay rab ki koi bhalaee nazil ho (inn kay iss hasad say kiya hua) Allah Taalaa jissay chahaye apni rehmat-e-khusoosiyat say ata farmaye Allah Taalaa baray fazal wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 105
۞مَا نَنسَخۡ مِنۡ ءَايَةٍ أَوۡ نُنسِهَا نَأۡتِ بِخَيۡرٖ مِّنۡهَآ أَوۡ مِثۡلِهَآۗ أَلَمۡ تَعۡلَمۡ أَنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ
Jiss aayat ko hum mansookh ker den ya bhula den iss say behtar ya iss jaisi aur latay hain kiya tu nahi janta kay Allah Taalaa her cheez per qadir hai
Surah Al-Baqara, Verse 106
أَلَمۡ تَعۡلَمۡ أَنَّ ٱللَّهَ لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۗ وَمَا لَكُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ مِن وَلِيّٖ وَلَا نَصِيرٍ
Kiya tujhay nahi maloom kay zamin-o-aasman ka mulk Allah hi kay liye hai aur Allah kay siwa tumhara koi wali aur madadgar nahi
Surah Al-Baqara, Verse 107
أَمۡ تُرِيدُونَ أَن تَسۡـَٔلُواْ رَسُولَكُمۡ كَمَا سُئِلَ مُوسَىٰ مِن قَبۡلُۗ وَمَن يَتَبَدَّلِ ٱلۡكُفۡرَ بِٱلۡإِيمَٰنِ فَقَدۡ ضَلَّ سَوَآءَ ٱلسَّبِيلِ
Kiya tum apney rasool say yehi poochna chahatay ho jo iss say pehlay musa (alh-e-salam) poocha gaya tha? (suno) eman ko kufur say badalney wala seedhi raah say bhatak jata hai
Surah Al-Baqara, Verse 108
وَدَّ كَثِيرٞ مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ لَوۡ يَرُدُّونَكُم مِّنۢ بَعۡدِ إِيمَٰنِكُمۡ كُفَّارًا حَسَدٗا مِّنۡ عِندِ أَنفُسِهِم مِّنۢ بَعۡدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمُ ٱلۡحَقُّۖ فَٱعۡفُواْ وَٱصۡفَحُواْ حَتَّىٰ يَأۡتِيَ ٱللَّهُ بِأَمۡرِهِۦٓۗ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Inn ehal-e-kitab kay aksay log ba wajood haq wazeh ho janey kay mehaz hasad-o-bughz ki bina per tumhen bhi eman say hata dena chahatay hain tum bhi moad kero aur choro yahan tak kay Allah Taalaa apna hukum laye. Yaqeenan Allah Taalaa her cheez per qudrat rakhta hai
Surah Al-Baqara, Verse 109
وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَۚ وَمَا تُقَدِّمُواْ لِأَنفُسِكُم مِّنۡ خَيۡرٖ تَجِدُوهُ عِندَ ٱللَّهِۗ إِنَّ ٱللَّهَ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ
Tum namazen qaeem rakho aur zakat detay raha kero aur jo kuch bhalaee tum apney liye aagay bhejo gay sab kuch Allah kay pass paa lo gay be-shak Allah Taalaa tumharay aemaalon ko khoob dekh raha hai
Surah Al-Baqara, Verse 110
وَقَالُواْ لَن يَدۡخُلَ ٱلۡجَنَّةَ إِلَّا مَن كَانَ هُودًا أَوۡ نَصَٰرَىٰۗ تِلۡكَ أَمَانِيُّهُمۡۗ قُلۡ هَاتُواْ بُرۡهَٰنَكُمۡ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Yeh kehtay hain kay jannat mein yahud-o-nasaaraa kay siwa aur koi na jayega yeh sirf inn ki aarzooyen hain inn say kaho agar tum sachay ho to koi daleel to paish kero
Surah Al-Baqara, Verse 111
بَلَىٰۚ مَنۡ أَسۡلَمَ وَجۡهَهُۥ لِلَّهِ وَهُوَ مُحۡسِنٞ فَلَهُۥٓ أَجۡرُهُۥ عِندَ رَبِّهِۦ وَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Suno! Jo bhi apney aap ko khuloos kay sath Allah kay samney jhuka dey. Be-shak ussay uss ka rab poora badla dey ga iss per na to koi khof hoga na ghum aur udasi
Surah Al-Baqara, Verse 112
وَقَالَتِ ٱلۡيَهُودُ لَيۡسَتِ ٱلنَّصَٰرَىٰ عَلَىٰ شَيۡءٖ وَقَالَتِ ٱلنَّصَٰرَىٰ لَيۡسَتِ ٱلۡيَهُودُ عَلَىٰ شَيۡءٖ وَهُمۡ يَتۡلُونَ ٱلۡكِتَٰبَۗ كَذَٰلِكَ قَالَ ٱلَّذِينَ لَا يَعۡلَمُونَ مِثۡلَ قَوۡلِهِمۡۚ فَٱللَّهُ يَحۡكُمُ بَيۡنَهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ فِيمَا كَانُواْ فِيهِ يَخۡتَلِفُونَ
Yahud kehtay hain kay nasrani haq per nahi aur nasrani kehtay hain kay yahudi haq per nahi halankay yeh sab log toraat parhtay hain issi tarah inn hi jaisi baat bey ilm bhi kehtay hain. Qayamat kay din Allah inn kay iss ikhtilaf ka faisla inn kay darmiyan ker dey ga
Surah Al-Baqara, Verse 113
وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّن مَّنَعَ مَسَٰجِدَ ٱللَّهِ أَن يُذۡكَرَ فِيهَا ٱسۡمُهُۥ وَسَعَىٰ فِي خَرَابِهَآۚ أُوْلَـٰٓئِكَ مَا كَانَ لَهُمۡ أَن يَدۡخُلُوهَآ إِلَّا خَآئِفِينَۚ لَهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَا خِزۡيٞ وَلَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٞ
Uss shaks say barh ker zalim kaun hai jo Allah Taalaa ki masjidon mein Allah Taalaa kay zikar kiye janey ko rokay aur unn ki barbadi ki kosish keray aisay logon ko khof khatay huye hi iss mein jana chahaiye inn kay liye duniya mein bhi ruswaee hai aur aakhirat mein bhi bara azab hai
Surah Al-Baqara, Verse 114
وَلِلَّهِ ٱلۡمَشۡرِقُ وَٱلۡمَغۡرِبُۚ فَأَيۡنَمَا تُوَلُّواْ فَثَمَّ وَجۡهُ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ وَٰسِعٌ عَلِيمٞ
Aur mashriq aur maghrib ka maalik Allah hi hai. Tum jidhar bhi mun kero udhar hi Allah ka mun hai Allah Taalaa kushadgi aur wusat wala aur baray ilm wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 115
وَقَالُواْ ٱتَّخَذَ ٱللَّهُ وَلَدٗاۗ سُبۡحَٰنَهُۥۖ بَل لَّهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ كُلّٞ لَّهُۥ قَٰنِتُونَ
Yeh kehtay hain kay Allah Taalaa ki aulad hai (nahi bulkay) woh pak hai zamin-o-aasman ki tamam makhlooq uss ki milkiyat mein hai aur her aik uss ka farmanbardar hai
Surah Al-Baqara, Verse 116
بَدِيعُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ وَإِذَا قَضَىٰٓ أَمۡرٗا فَإِنَّمَا يَقُولُ لَهُۥ كُن فَيَكُونُ
Woh zamin aur aasmanon ka ibtida’an peda kerney wala hai woh jiss kaam ko kerna chahye keh deta hai kay hoja bus woh wahin hojata hai
Surah Al-Baqara, Verse 117
وَقَالَ ٱلَّذِينَ لَا يَعۡلَمُونَ لَوۡلَا يُكَلِّمُنَا ٱللَّهُ أَوۡ تَأۡتِينَآ ءَايَةٞۗ كَذَٰلِكَ قَالَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِم مِّثۡلَ قَوۡلِهِمۡۘ تَشَٰبَهَتۡ قُلُوبُهُمۡۗ قَدۡ بَيَّنَّا ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يُوقِنُونَ
Issi tarah bey ilm logon ney bhi kaha kay khud Allah Taalaa hum say baaten kiyon nahi kerta ya humaray pass koi nishani kiyon nahi aati? Issi tarah aisi hi baat inn kay aglon ney bhi kahi thi unn kay aur inn kay dil yaksan hogaye. Hum ney to yaqeen kerney walon kay liye nishaniyan biyan ker den
Surah Al-Baqara, Verse 118
إِنَّآ أَرۡسَلۡنَٰكَ بِٱلۡحَقِّ بَشِيرٗا وَنَذِيرٗاۖ وَلَا تُسۡـَٔلُ عَنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلۡجَحِيمِ
Hum ney aap ko haq kay sath khushkhabri denay wala aur daraney wala bana ker bheja hai aur jahannumiyon kay baray mein aap say pursish nahi hogi
Surah Al-Baqara, Verse 119
وَلَن تَرۡضَىٰ عَنكَ ٱلۡيَهُودُ وَلَا ٱلنَّصَٰرَىٰ حَتَّىٰ تَتَّبِعَ مِلَّتَهُمۡۗ قُلۡ إِنَّ هُدَى ٱللَّهِ هُوَ ٱلۡهُدَىٰۗ وَلَئِنِ ٱتَّبَعۡتَ أَهۡوَآءَهُم بَعۡدَ ٱلَّذِي جَآءَكَ مِنَ ٱلۡعِلۡمِ مَا لَكَ مِنَ ٱللَّهِ مِن وَلِيّٖ وَلَا نَصِيرٍ
Aap say yahud-o-nasaaraa hergiz razi nahi hongay jab tak kay aap inn kay mazaahib kay tabey na bann jayen aap keh dijiye kay Allah ki hidayat hi hidayat hai aur agar aap ney apney pass ba wajood ilm aajaney kay phir inn ki khuwaishon ki pairwee ki to Allah kay pass aap ka na to koi wali hoga aur na madadgar
Surah Al-Baqara, Verse 120
ٱلَّذِينَ ءَاتَيۡنَٰهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ يَتۡلُونَهُۥ حَقَّ تِلَاوَتِهِۦٓ أُوْلَـٰٓئِكَ يُؤۡمِنُونَ بِهِۦۗ وَمَن يَكۡفُرۡ بِهِۦ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
Jinhen hum ney kitab di hai aur woh issay parhney kay haq kay sath parhtay hain woh iss kitab per bhi eman rakhtay hain aur jo iss kay sath kufur keray woh nuksan wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 121
يَٰبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ ٱذۡكُرُواْ نِعۡمَتِيَ ٱلَّتِيٓ أَنۡعَمۡتُ عَلَيۡكُمۡ وَأَنِّي فَضَّلۡتُكُمۡ عَلَى ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aey aulad-e-yaqoob! Mein ney jo nematen tum per inam ki hain unhen yaad kero aur mein to tumhen tamam jahanon per fazilat dey rakhi thi
Surah Al-Baqara, Verse 122
وَٱتَّقُواْ يَوۡمٗا لَّا تَجۡزِي نَفۡسٌ عَن نَّفۡسٖ شَيۡـٔٗا وَلَا يُقۡبَلُ مِنۡهَا عَدۡلٞ وَلَا تَنفَعُهَا شَفَٰعَةٞ وَلَا هُمۡ يُنصَرُونَ
Uss din say daro jiss din koi nafss kissi nafss ko kuch faeeda na phoncha sakay ga na kissi shaks say koi fidya qabool kiya jayega na ussay koi shifaat nafa dey gi na unn ki madad ki jayegi
Surah Al-Baqara, Verse 123
۞وَإِذِ ٱبۡتَلَىٰٓ إِبۡرَٰهِـۧمَ رَبُّهُۥ بِكَلِمَٰتٖ فَأَتَمَّهُنَّۖ قَالَ إِنِّي جَاعِلُكَ لِلنَّاسِ إِمَامٗاۖ قَالَ وَمِن ذُرِّيَّتِيۖ قَالَ لَا يَنَالُ عَهۡدِي ٱلظَّـٰلِمِينَ
Jab ibrhim (alh-e-salam) ko unn kay rab ney kaee kaee baaton say aazmaya aur unhon ney sab ko poora ker diya to Allah ney farmaya mein tumhen logon ka imam bana doon ga araz kerney lagay aur meri aulad ko farmaya mera wada zalimon say nahi
Surah Al-Baqara, Verse 124
وَإِذۡ جَعَلۡنَا ٱلۡبَيۡتَ مَثَابَةٗ لِّلنَّاسِ وَأَمۡنٗا وَٱتَّخِذُواْ مِن مَّقَامِ إِبۡرَٰهِـۧمَ مُصَلّٗىۖ وَعَهِدۡنَآ إِلَىٰٓ إِبۡرَٰهِـۧمَ وَإِسۡمَٰعِيلَ أَن طَهِّرَا بَيۡتِيَ لِلطَّآئِفِينَ وَٱلۡعَٰكِفِينَ وَٱلرُّكَّعِ ٱلسُّجُودِ
Hum ney bait-ullah ko logon kay liye sawab aur aman-o-aman ki jagah banaee tum muqam-e-ibrahim ko jaye namaz muqarrar ker lo hum ney ibrahim (alh-e-salam) aur ismail (alh-e-salam) say wada liya kay tum meray ghar ko tawaf kerney walon aur aeytikaaf kerney walon aur rukoo sajda kerney walon kay pak saaf rakho
Surah Al-Baqara, Verse 125
وَإِذۡ قَالَ إِبۡرَٰهِـۧمُ رَبِّ ٱجۡعَلۡ هَٰذَا بَلَدًا ءَامِنٗا وَٱرۡزُقۡ أَهۡلَهُۥ مِنَ ٱلثَّمَرَٰتِ مَنۡ ءَامَنَ مِنۡهُم بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۚ قَالَ وَمَن كَفَرَ فَأُمَتِّعُهُۥ قَلِيلٗا ثُمَّ أَضۡطَرُّهُۥٓ إِلَىٰ عَذَابِ ٱلنَّارِۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
Jab ibrahim ney kaha aey perwerdigar! Tu iss jagah ko aman wala shehar bana aur yahan kay bashindon ko jo Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhney walay hon phalon ki roziyan dey. Allah Taalaa ney farmaya: mein kafiron ko bhi thora faeeda doon ga phir unhen aag kay azab ki taraf bey bus ker doon ga yeh phonchney ki jagah buri hai
Surah Al-Baqara, Verse 126
وَإِذۡ يَرۡفَعُ إِبۡرَٰهِـۧمُ ٱلۡقَوَاعِدَ مِنَ ٱلۡبَيۡتِ وَإِسۡمَٰعِيلُ رَبَّنَا تَقَبَّلۡ مِنَّآۖ إِنَّكَ أَنتَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
Ibrahim (alh-e-salam) aur ismail (alh-e-salam) kaaba ki bunyaden aur deewaren uthatay jatay thay aur kehtay jaa rahey thay kay humaray perwerdigar! Tu hum say qabool farma tu hi sunnay wala aur janney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 127
رَبَّنَا وَٱجۡعَلۡنَا مُسۡلِمَيۡنِ لَكَ وَمِن ذُرِّيَّتِنَآ أُمَّةٗ مُّسۡلِمَةٗ لَّكَ وَأَرِنَا مَنَاسِكَنَا وَتُبۡ عَلَيۡنَآۖ إِنَّكَ أَنتَ ٱلتَّوَّابُ ٱلرَّحِيمُ
Aey humaray rab! Humen apne farmanbardar bana ley aur humari aulad mein say bhi aik jamat ko apni ita’at guzaar rakh aur humen apni ibadaten sikha aur humari tauba qabool farma tu tauba qabool farmaney wala aur reham-o-karam kerney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 128
رَبَّنَا وَٱبۡعَثۡ فِيهِمۡ رَسُولٗا مِّنۡهُمۡ يَتۡلُواْ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتِكَ وَيُعَلِّمُهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَيُزَكِّيهِمۡۖ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Aey humaray rab! Inn mein inhi mein say rasool bhej jo inn kay pass teri aayaten parhay enhen kitab-o-hikmat sikhaye aur enhen pak keray yaqeena tu ghalbay wala aur hikmat wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 129
وَمَن يَرۡغَبُ عَن مِّلَّةِ إِبۡرَٰهِـۧمَ إِلَّا مَن سَفِهَ نَفۡسَهُۥۚ وَلَقَدِ ٱصۡطَفَيۡنَٰهُ فِي ٱلدُّنۡيَاۖ وَإِنَّهُۥ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ لَمِنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
Deen-e-ibrahim say wohi bey raghabti keray ga jo mehaz bey waqoof ho hum ney to ussay duniya mein bhi bar gazeedah kiya tha aur aakhirat mein bhi woh nekon kaaron mein say hai
Surah Al-Baqara, Verse 130
إِذۡ قَالَ لَهُۥ رَبُّهُۥٓ أَسۡلِمۡۖ قَالَ أَسۡلَمۡتُ لِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Jab kabhi bhi unhen unn kay rab ney kaha farmanbardar hoja unhon ney kaha mein ney rab-ul-aalameen ki farmanbardari
Surah Al-Baqara, Verse 131
وَوَصَّىٰ بِهَآ إِبۡرَٰهِـۧمُ بَنِيهِ وَيَعۡقُوبُ يَٰبَنِيَّ إِنَّ ٱللَّهَ ٱصۡطَفَىٰ لَكُمُ ٱلدِّينَ فَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسۡلِمُونَ
Issi ki wasiyat ibrahim aur yaqoob ney apni aulad ko ki kay humaray bacho! Allah Taalaa ney tumharay liye iss deen ko pasand farma liya hai khabradar! Tum musalman hi marna
Surah Al-Baqara, Verse 132
أَمۡ كُنتُمۡ شُهَدَآءَ إِذۡ حَضَرَ يَعۡقُوبَ ٱلۡمَوۡتُ إِذۡ قَالَ لِبَنِيهِ مَا تَعۡبُدُونَ مِنۢ بَعۡدِيۖ قَالُواْ نَعۡبُدُ إِلَٰهَكَ وَإِلَٰهَ ءَابَآئِكَ إِبۡرَٰهِـۧمَ وَإِسۡمَٰعِيلَ وَإِسۡحَٰقَ إِلَٰهٗا وَٰحِدٗا وَنَحۡنُ لَهُۥ مُسۡلِمُونَ
Kiya (hazrat) yaqoob kay intiqal kay waqt tum mojood thay? Jab unhon ney apni aulad ko kaha kay meray baad tum kiss ki ibadat kero gay? To sab ney jawab diya kayk aap kay mabood ki aur aap kay aaba-o-ajdaad ibrahim (alh-e-salam) aur ismail (alh-e-salam) aur ishaq (alh-e-salam) kay mabood ki jo mabood aik hi hai aur hum ussi kay farmanbardar rahen gay
Surah Al-Baqara, Verse 133
تِلۡكَ أُمَّةٞ قَدۡ خَلَتۡۖ لَهَا مَا كَسَبَتۡ وَلَكُم مَّا كَسَبۡتُمۡۖ وَلَا تُسۡـَٔلُونَ عَمَّا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Yeh jamat to guzar chuki jo unhon ney kaha woh unn kay liye hai aur jo tum kero gay woh tumharay liye hai. Unn kay aemaal kay baray mein tum nahi poochay jao gay
Surah Al-Baqara, Verse 134
وَقَالُواْ كُونُواْ هُودًا أَوۡ نَصَٰرَىٰ تَهۡتَدُواْۗ قُلۡ بَلۡ مِلَّةَ إِبۡرَٰهِـۧمَ حَنِيفٗاۖ وَمَا كَانَ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Yeh kehtay hain kay yahud-o-nasaaraa bann jao to hidayat pao gay. Tum kaho bulkay sahih raah per millat-e-ibrahimi walay hain aur ibrahim khalis Allah kay paristaar thay aur mushrik na thay
Surah Al-Baqara, Verse 135
قُولُوٓاْ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡنَا وَمَآ أُنزِلَ إِلَىٰٓ إِبۡرَٰهِـۧمَ وَإِسۡمَٰعِيلَ وَإِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَ وَٱلۡأَسۡبَاطِ وَمَآ أُوتِيَ مُوسَىٰ وَعِيسَىٰ وَمَآ أُوتِيَ ٱلنَّبِيُّونَ مِن رَّبِّهِمۡ لَا نُفَرِّقُ بَيۡنَ أَحَدٖ مِّنۡهُمۡ وَنَحۡنُ لَهُۥ مُسۡلِمُونَ
Aey musalmano! Tum sab kaho kay hum Allah per eman laye aur uss cheez per bhi jo humari taraf utari gaee aur jo cheez ibrahim ismail ishaq yaqoob (aleyhim-us-salam) aur inn ki aulad per utari gaee aur jo kuch Allah ki janib say musa aur essa (aleyhim-us-salam) aur doosray anbiya (aleyhim-us-salam) diye gaye. Hum inn say mein say kissi kay darmiyan farq nahi kertay hum Allah kay farmanbardar hain
Surah Al-Baqara, Verse 136
فَإِنۡ ءَامَنُواْ بِمِثۡلِ مَآ ءَامَنتُم بِهِۦ فَقَدِ ٱهۡتَدَواْۖ وَّإِن تَوَلَّوۡاْ فَإِنَّمَا هُمۡ فِي شِقَاقٖۖ فَسَيَكۡفِيكَهُمُ ٱللَّهُۚ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
Agar woh tum jaisa eman layen to hidayat payen aur agar mun moren to woh sareeh ikhtilaf mein hain Allah Taalaa inn say un qarib aap ki kifayat keray ga aur woh khoob sunnay aur janney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 137
صِبۡغَةَ ٱللَّهِ وَمَنۡ أَحۡسَنُ مِنَ ٱللَّهِ صِبۡغَةٗۖ وَنَحۡنُ لَهُۥ عَٰبِدُونَ
Allah ka rang ikhtiyar kero aur Allah Taalaa say acha rang kiss ka hoga? Hum to ussi ki ibadat kerney walay hain
Surah Al-Baqara, Verse 138
قُلۡ أَتُحَآجُّونَنَا فِي ٱللَّهِ وَهُوَ رَبُّنَا وَرَبُّكُمۡ وَلَنَآ أَعۡمَٰلُنَا وَلَكُمۡ أَعۡمَٰلُكُمۡ وَنَحۡنُ لَهُۥ مُخۡلِصُونَ
Aap keh dijiye kay kiya tum hum say Allah kay baray mein jhagartay ho jo humara aur tumhara rab hai humaray liye humaray aemaal hain aur tumharay liye tumharay aemaal hum to ussi kay liye mukhlis hain
Surah Al-Baqara, Verse 139
أَمۡ تَقُولُونَ إِنَّ إِبۡرَٰهِـۧمَ وَإِسۡمَٰعِيلَ وَإِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَ وَٱلۡأَسۡبَاطَ كَانُواْ هُودًا أَوۡ نَصَٰرَىٰۗ قُلۡ ءَأَنتُمۡ أَعۡلَمُ أَمِ ٱللَّهُۗ وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّن كَتَمَ شَهَٰدَةً عِندَهُۥ مِنَ ٱللَّهِۗ وَمَا ٱللَّهُ بِغَٰفِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُونَ
Kiya tum kehtay ho kay ibrahim aur ismail aur ishaq aur yaqoob (aleyhim-us-salam) aur unn ki aulad yahudi ya nasrani thay? Keh do kiya tum ziyada jantay ho ya Allah Taalaa? Allah kay pass shahdat chupney walay say ziyada zalim aur kaun hai? Aur Allah tumharay kaamon say ghafil nahi
Surah Al-Baqara, Verse 140
تِلۡكَ أُمَّةٞ قَدۡ خَلَتۡۖ لَهَا مَا كَسَبَتۡ وَلَكُم مَّا كَسَبۡتُمۡۖ وَلَا تُسۡـَٔلُونَ عَمَّا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Yeh ummat hai jo guzar chuki jo unhon ney kiya unn kay liye hai aur jo tum ney kiya tumharay liye tum unn kay aemaal kay baray mein sawal na kiye jao gay
Surah Al-Baqara, Verse 141
۞سَيَقُولُ ٱلسُّفَهَآءُ مِنَ ٱلنَّاسِ مَا وَلَّىٰهُمۡ عَن قِبۡلَتِهِمُ ٱلَّتِي كَانُواْ عَلَيۡهَاۚ قُل لِّلَّهِ ٱلۡمَشۡرِقُ وَٱلۡمَغۡرِبُۚ يَهۡدِي مَن يَشَآءُ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Un qarib nadan log kahen gay kay jiss qabeelay per yeh thay iss say enhen kiss cheez na hataya? Aap keh dijiye kay mashriq-o-maghrib ka maalik Allah Taalaa hi hai woh jissay chahaye seedhi raah ki hidayat ker dey
Surah Al-Baqara, Verse 142
وَكَذَٰلِكَ جَعَلۡنَٰكُمۡ أُمَّةٗ وَسَطٗا لِّتَكُونُواْ شُهَدَآءَ عَلَى ٱلنَّاسِ وَيَكُونَ ٱلرَّسُولُ عَلَيۡكُمۡ شَهِيدٗاۗ وَمَا جَعَلۡنَا ٱلۡقِبۡلَةَ ٱلَّتِي كُنتَ عَلَيۡهَآ إِلَّا لِنَعۡلَمَ مَن يَتَّبِعُ ٱلرَّسُولَ مِمَّن يَنقَلِبُ عَلَىٰ عَقِبَيۡهِۚ وَإِن كَانَتۡ لَكَبِيرَةً إِلَّا عَلَى ٱلَّذِينَ هَدَى ٱللَّهُۗ وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيُضِيعَ إِيمَٰنَكُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ بِٱلنَّاسِ لَرَءُوفٞ رَّحِيمٞ
Hum ney issi tarah tumhen aadil ummat banaya hai takay tum logon per gawah hojao aur rasool (PBUH) tum per gawah hojayen jiss qiblay per tum pehlay say thay ussay hum ney iss liye muqarrar kiya tha kay hum jaan len kay rasool ka sacha tabey daar kaun hai aur kaun hai jo apni aeyrhiyon kay ball palat jata hai go yeh kaam mushkil hai magar jinhen Allah ney hidayat di hai (unn per koi mushkil nahi) Allah Taalaa tumharay aemaal zaya na keray ga Allah Taalaa logon kay sath shafqat aur meharbani kerney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 143
قَدۡ نَرَىٰ تَقَلُّبَ وَجۡهِكَ فِي ٱلسَّمَآءِۖ فَلَنُوَلِّيَنَّكَ قِبۡلَةٗ تَرۡضَىٰهَاۚ فَوَلِّ وَجۡهَكَ شَطۡرَ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِۚ وَحَيۡثُ مَا كُنتُمۡ فَوَلُّواْ وُجُوهَكُمۡ شَطۡرَهُۥۗ وَإِنَّ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ لَيَعۡلَمُونَ أَنَّهُ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّهِمۡۗ وَمَا ٱللَّهُ بِغَٰفِلٍ عَمَّا يَعۡمَلُونَ
Hum aap kay chehray ko baar baar aasman ki taraf uthtay uthtay huye dekh rahey hain abb hum aap ko uss qiblay ki janib mutawajja keren gay jiss say aap khush hojayen aap apna mun masjid-e-haram ki taraf pher len aur aap jahan kahin hon apna mun ussi taraf phera keren. Ehal-e-kitab ko iss baat kay Allah ki taraf say bar haq honey ka qataee ilm hai aur Allah Taalaa unn aemaal say ghafil nahi jo yeh kertay hain
Surah Al-Baqara, Verse 144
وَلَئِنۡ أَتَيۡتَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ بِكُلِّ ءَايَةٖ مَّا تَبِعُواْ قِبۡلَتَكَۚ وَمَآ أَنتَ بِتَابِعٖ قِبۡلَتَهُمۡۚ وَمَا بَعۡضُهُم بِتَابِعٖ قِبۡلَةَ بَعۡضٖۚ وَلَئِنِ ٱتَّبَعۡتَ أَهۡوَآءَهُم مِّنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَكَ مِنَ ٱلۡعِلۡمِ إِنَّكَ إِذٗا لَّمِنَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur aap agar cheh ehal-e-kitab ko tamam daleelen dey den lekin woh aap kay qiblay ki pairwi nahi keren gay aur na aap inn kay qiblay ko manney walay hain aur na yeh aapas mein aik doosray kay qiblay ko manney walay hain aur agar aap ba wajood yeh kay aap kay pass ilm aa chuka phir bhi inn ki khuwaishon kay peechay lag jayen to bil yaqeen aap bhi zalimon mein say hojayen
Surah Al-Baqara, Verse 145
ٱلَّذِينَ ءَاتَيۡنَٰهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ يَعۡرِفُونَهُۥ كَمَا يَعۡرِفُونَ أَبۡنَآءَهُمۡۖ وَإِنَّ فَرِيقٗا مِّنۡهُمۡ لَيَكۡتُمُونَ ٱلۡحَقَّ وَهُمۡ يَعۡلَمُونَ
Jinhen hum ney kitab di hai woh to issay aisa pehchantay hain jaisay koi apney bachon ko pehchaney inn kay aik jamat haq ko pehchan ker phri chupati hai
Surah Al-Baqara, Verse 146
ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّكَ فَلَا تَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡمُمۡتَرِينَ
Aap kay rab ki taraf say yeh sira sir haq hai khabardaar aap shak kerney walon mein say na hona
Surah Al-Baqara, Verse 147
وَلِكُلّٖ وِجۡهَةٌ هُوَ مُوَلِّيهَاۖ فَٱسۡتَبِقُواْ ٱلۡخَيۡرَٰتِۚ أَيۡنَ مَا تَكُونُواْ يَأۡتِ بِكُمُ ٱللَّهُ جَمِيعًاۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Her shaks aik na aik tarf mutawajja horaha hai tum nekiyon ki taraf doro. Jahan kahin bhi tum hogay Allah tumhen ley aaye ga. Allah Taalaa her cheez per qadir hai
Surah Al-Baqara, Verse 148
وَمِنۡ حَيۡثُ خَرَجۡتَ فَوَلِّ وَجۡهَكَ شَطۡرَ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِۖ وَإِنَّهُۥ لَلۡحَقُّ مِن رَّبِّكَۗ وَمَا ٱللَّهُ بِغَٰفِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُونَ
Aap jahan say niklay apna mun (namaz kay liye) masjid-e-haram ki taraf ker liya keren yehi haq hai aap kay rab ki taraf say jo kuch tum ker rahey ho uss say Allah Taalaa bey khabar nahi
Surah Al-Baqara, Verse 149
وَمِنۡ حَيۡثُ خَرَجۡتَ فَوَلِّ وَجۡهَكَ شَطۡرَ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِۚ وَحَيۡثُ مَا كُنتُمۡ فَوَلُّواْ وُجُوهَكُمۡ شَطۡرَهُۥ لِئَلَّا يَكُونَ لِلنَّاسِ عَلَيۡكُمۡ حُجَّةٌ إِلَّا ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنۡهُمۡ فَلَا تَخۡشَوۡهُمۡ وَٱخۡشَوۡنِي وَلِأُتِمَّ نِعۡمَتِي عَلَيۡكُمۡ وَلَعَلَّكُمۡ تَهۡتَدُونَ
Aur jiss jagah say aap niklen apna mun masjid-e-haram ki taraf pher len aur jahan kahin tum ho apney chehray issi taraf kiya kero takay logon ki koi hujjat tum per baqi na reh jaye siwaye unn logon kay jinhon ney inn mein say zulm kiya hai tum inn say na daro mujh hi say daro aur takay mein apni nemat tum per poori keroon aur iss liye bhi kay tum raah-e-raast pao
Surah Al-Baqara, Verse 150
كَمَآ أَرۡسَلۡنَا فِيكُمۡ رَسُولٗا مِّنكُمۡ يَتۡلُواْ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتِنَا وَيُزَكِّيكُمۡ وَيُعَلِّمُكُمُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَيُعَلِّمُكُم مَّا لَمۡ تَكُونُواْ تَعۡلَمُونَ
Jiss tarah hum ney tum mein tumhin mein say rasool bheja jo humari aayaten tumharay samney tilawat kerta hai aur tumhen kitab-o-hikmat aur woh cheezen sikhata hai jin say tum bey ilm nahi
Surah Al-Baqara, Verse 151
فَٱذۡكُرُونِيٓ أَذۡكُرۡكُمۡ وَٱشۡكُرُواْ لِي وَلَا تَكۡفُرُونِ
Iss liye tum mera ziker kero mein bhi tumhen yaad keroon ga meri shukar guzari kero aur na shukri say bacho
Surah Al-Baqara, Verse 152
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱسۡتَعِينُواْ بِٱلصَّبۡرِ وَٱلصَّلَوٰةِۚ إِنَّ ٱللَّهَ مَعَ ٱلصَّـٰبِرِينَ
Aey eman walo! Sabar aur namaz kay zariye madad chahao Allah Taalaa sabar kerney walon ka sath deta hai
Surah Al-Baqara, Verse 153
وَلَا تَقُولُواْ لِمَن يُقۡتَلُ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ أَمۡوَٰتُۢۚ بَلۡ أَحۡيَآءٞ وَلَٰكِن لَّا تَشۡعُرُونَ
Aur Allah Taalaa ki raah kay shaheedon ko murda mat kaho woh zinda hain lekin tum nahi samajhtay
Surah Al-Baqara, Verse 154
وَلَنَبۡلُوَنَّكُم بِشَيۡءٖ مِّنَ ٱلۡخَوۡفِ وَٱلۡجُوعِ وَنَقۡصٖ مِّنَ ٱلۡأَمۡوَٰلِ وَٱلۡأَنفُسِ وَٱلثَّمَرَٰتِۗ وَبَشِّرِ ٱلصَّـٰبِرِينَ
Aur hum kissi na kissi tarah tumhari aazmaish zaroor keren gay dushman kay darr say bhook piyas say maal-o-jaan aur phalon ki kami say aur unn sabar kerney walon ko khushkhabri dey dijiye
Surah Al-Baqara, Verse 155
ٱلَّذِينَ إِذَآ أَصَٰبَتۡهُم مُّصِيبَةٞ قَالُوٓاْ إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّآ إِلَيۡهِ رَٰجِعُونَ
Jinhen jab koi musibat aati hai to keh diya kertay hain kay hum to khud Allah Taalaa ki milkiyat hain aur hum ussi ki taraf lotney walay hain
Surah Al-Baqara, Verse 156
أُوْلَـٰٓئِكَ عَلَيۡهِمۡ صَلَوَٰتٞ مِّن رَّبِّهِمۡ وَرَحۡمَةٞۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُهۡتَدُونَ
Unn per unn kay rab ki nawazishen aur rehmaten hain aur yehi log hidayat yaafta hain
Surah Al-Baqara, Verse 157
۞إِنَّ ٱلصَّفَا وَٱلۡمَرۡوَةَ مِن شَعَآئِرِ ٱللَّهِۖ فَمَنۡ حَجَّ ٱلۡبَيۡتَ أَوِ ٱعۡتَمَرَ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡهِ أَن يَطَّوَّفَ بِهِمَاۚ وَمَن تَطَوَّعَ خَيۡرٗا فَإِنَّ ٱللَّهَ شَاكِرٌ عَلِيمٌ
Safa aur marwa Allah Taalaa ki nishaniyon mein say hain iss liye bait ullah ka hajj aur umrah kerney walay per inn ka tawaf ker lenay mein bhi koi gunah nahi apni khushi say bhalaee kerney walon ka Allah qadar daan hai aur unhen khoob janney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 158
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَكۡتُمُونَ مَآ أَنزَلۡنَا مِنَ ٱلۡبَيِّنَٰتِ وَٱلۡهُدَىٰ مِنۢ بَعۡدِ مَا بَيَّنَّـٰهُ لِلنَّاسِ فِي ٱلۡكِتَٰبِ أُوْلَـٰٓئِكَ يَلۡعَنُهُمُ ٱللَّهُ وَيَلۡعَنُهُمُ ٱللَّـٰعِنُونَ
Jo log humari utari hui daleelon aur hidayat ko chupatay hain ba wajood yeh kay hum ussay apni kitab mein logon kay liye biyan ker chukay hain unn logon per Allah ki aur tamam laanat kerney walon ki laanat hai
Surah Al-Baqara, Verse 159
إِلَّا ٱلَّذِينَ تَابُواْ وَأَصۡلَحُواْ وَبَيَّنُواْ فَأُوْلَـٰٓئِكَ أَتُوبُ عَلَيۡهِمۡ وَأَنَا ٱلتَّوَّابُ ٱلرَّحِيمُ
Magar woh log jo tauba ker len aur islaah ker len aur biyan ker den to mein unn ki tauba qabool ker leta hun aur mein tauba qabool kerney wala aur reham-o-karam kerney wala hun
Surah Al-Baqara, Verse 160
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَمَاتُواْ وَهُمۡ كُفَّارٌ أُوْلَـٰٓئِكَ عَلَيۡهِمۡ لَعۡنَةُ ٱللَّهِ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ وَٱلنَّاسِ أَجۡمَعِينَ
Yaqeenan jo kuffaar apney kufur mein hi marr jayen unn per Allah Taalaa ki farishton ki aur tamam logon ki laanat hai
Surah Al-Baqara, Verse 161
خَٰلِدِينَ فِيهَا لَا يُخَفَّفُ عَنۡهُمُ ٱلۡعَذَابُ وَلَا هُمۡ يُنظَرُونَ
Jiss mein yeh hamesha rahen gay na unn say azab halka kiya jayega aur na unhen dheel di jaye gi
Surah Al-Baqara, Verse 162
وَإِلَٰهُكُمۡ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞۖ لَّآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ٱلرَّحۡمَٰنُ ٱلرَّحِيمُ
Tum sab ka mabood aik hi mabood hai uss kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi woh boht reham kerney wala aur bara meharban hai
Surah Al-Baqara, Verse 163
إِنَّ فِي خَلۡقِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَٱخۡتِلَٰفِ ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ وَٱلۡفُلۡكِ ٱلَّتِي تَجۡرِي فِي ٱلۡبَحۡرِ بِمَا يَنفَعُ ٱلنَّاسَ وَمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مِن مَّآءٖ فَأَحۡيَا بِهِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَا وَبَثَّ فِيهَا مِن كُلِّ دَآبَّةٖ وَتَصۡرِيفِ ٱلرِّيَٰحِ وَٱلسَّحَابِ ٱلۡمُسَخَّرِ بَيۡنَ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يَعۡقِلُونَ
Aasmanon aur zamin ki pedaeesh raat din ka hair pher kashtiyon ka logon ko nafa denay wali cheezon ko liye huye samandar mein chalna aasman say pani utaar ker murda zamin ko zinda ker dena iss mein her qisam kay janwaron ko phela dena hawaon kay rukh badalna aur badal jo aasmana ur zamin kay darmiyan musakhhar hain unn mein aqal mandon kay liye qudrat-e-elahee ki nishaniyan hain
Surah Al-Baqara, Verse 164
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَتَّخِذُ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَندَادٗا يُحِبُّونَهُمۡ كَحُبِّ ٱللَّهِۖ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَشَدُّ حُبّٗا لِّلَّهِۗ وَلَوۡ يَرَى ٱلَّذِينَ ظَلَمُوٓاْ إِذۡ يَرَوۡنَ ٱلۡعَذَابَ أَنَّ ٱلۡقُوَّةَ لِلَّهِ جَمِيعٗا وَأَنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعَذَابِ
Baaz log aisay bhi hain jo Allah kay shareek auron ko thehra ker uss say aisi mohabbat rakhtay hain jaisi mohabbat Allah say honi chahaiye aur eman walay Allah ki mohabbat mein boht sakht hotay hain kaash kay mushrik log jantay jab kay Allah kay azab ko dekh ker (jaan len gay) kay tamam taqat Allah hi ko hai aur Allah Taalaa sakht azab denay wala hai (to hergiz shirk na kertay)
Surah Al-Baqara, Verse 165
إِذۡ تَبَرَّأَ ٱلَّذِينَ ٱتُّبِعُواْ مِنَ ٱلَّذِينَ ٱتَّبَعُواْ وَرَأَوُاْ ٱلۡعَذَابَ وَتَقَطَّعَتۡ بِهِمُ ٱلۡأَسۡبَابُ
Jiss waqt paishwa log apney tabey daron say bey zaar hojayen gay aur azab ko apni aankhon say dekh len gay aur kul rishtay naatay toot jayen gay
Surah Al-Baqara, Verse 166
وَقَالَ ٱلَّذِينَ ٱتَّبَعُواْ لَوۡ أَنَّ لَنَا كَرَّةٗ فَنَتَبَرَّأَ مِنۡهُمۡ كَمَا تَبَرَّءُواْ مِنَّاۗ كَذَٰلِكَ يُرِيهِمُ ٱللَّهُ أَعۡمَٰلَهُمۡ حَسَرَٰتٍ عَلَيۡهِمۡۖ وَمَا هُم بِخَٰرِجِينَ مِنَ ٱلنَّارِ
Aur tabey daar log kehney lagen gay kaash hum duniya ki taraf doobara jayen to hum bhi inn say aisay hi bey zaar hojayen jaisay yeh hum say hain issi tarah Allah Taalaa unhen unn kay aemaal dikhaye ga unn ko hasrat dilaney ko yeh hergiz jahannum say na niklen gay
Surah Al-Baqara, Verse 167
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ كُلُواْ مِمَّا فِي ٱلۡأَرۡضِ حَلَٰلٗا طَيِّبٗا وَلَا تَتَّبِعُواْ خُطُوَٰتِ ٱلشَّيۡطَٰنِۚ إِنَّهُۥ لَكُمۡ عَدُوّٞ مُّبِينٌ
Logn! Zamin mein jitni bhi halal aur pakeezah cheezen hain unhen khao piyo aur shetani raah per na chalo woh tumhara khula hua dushman hai
Surah Al-Baqara, Verse 168
إِنَّمَا يَأۡمُرُكُم بِٱلسُّوٓءِ وَٱلۡفَحۡشَآءِ وَأَن تَقُولُواْ عَلَى ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
Woh tumhen sirf buraee aur bey hayaee ka aur Allah Taalaa per unn baaton kay kehnay ka hukum deta hai jin ka tumhen ilm nahi
Surah Al-Baqara, Verse 169
وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ ٱتَّبِعُواْ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ قَالُواْ بَلۡ نَتَّبِعُ مَآ أَلۡفَيۡنَا عَلَيۡهِ ءَابَآءَنَآۚ أَوَلَوۡ كَانَ ءَابَآؤُهُمۡ لَا يَعۡقِلُونَ شَيۡـٔٗا وَلَا يَهۡتَدُونَ
Aur inn say jab kabhi kaha jata hai kay Allah Taalaa ki utari hui kitab ki tabeydari kero to jawab detay hain kay hum to iss tareeqay ki pairwi keren gay jiss per hum ney apney baap dadon ko paya go inn kay baap daday bey aqal aur gum kerda raahon mein hon
Surah Al-Baqara, Verse 170
وَمَثَلُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ كَمَثَلِ ٱلَّذِي يَنۡعِقُ بِمَا لَا يَسۡمَعُ إِلَّا دُعَآءٗ وَنِدَآءٗۚ صُمُّۢ بُكۡمٌ عُمۡيٞ فَهُمۡ لَا يَعۡقِلُونَ
Kuffaar ki misal unn janwaron ki tarah hai jo apney charwahey ki sirf pukar aur aawaz hi ko suntay hain (samajhtay nahi) woh behray goongay andhay hain enhan aqal nahi
Surah Al-Baqara, Verse 171
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُلُواْ مِن طَيِّبَٰتِ مَا رَزَقۡنَٰكُمۡ وَٱشۡكُرُواْ لِلَّهِ إِن كُنتُمۡ إِيَّاهُ تَعۡبُدُونَ
Aey eman walo! Jo pajeeza cheezen hum ney tumhen dey rakhi hain unhen khao piyo aur Allah Taalaa ka shukar kero agar tum khaas ussi ki ibadat kertay ho
Surah Al-Baqara, Verse 172
إِنَّمَا حَرَّمَ عَلَيۡكُمُ ٱلۡمَيۡتَةَ وَٱلدَّمَ وَلَحۡمَ ٱلۡخِنزِيرِ وَمَآ أُهِلَّ بِهِۦ لِغَيۡرِ ٱللَّهِۖ فَمَنِ ٱضۡطُرَّ غَيۡرَ بَاغٖ وَلَا عَادٖ فَلَآ إِثۡمَ عَلَيۡهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٌ
Tum per murda aur (baha hua) khoon aur sooar ka gosht aur her woh cheez jiss per Allah kay siwa doosron ka naam pukara gaya ho haram hai phir jo majboor hojaye aur hadd say barhney wala aur ziyadti kerney wala na ho uss per inn kay khaney mein koi gunah nahi Allah Taalaa baksish kerney wala meharban hai
Surah Al-Baqara, Verse 173
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَكۡتُمُونَ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَيَشۡتَرُونَ بِهِۦ ثَمَنٗا قَلِيلًا أُوْلَـٰٓئِكَ مَا يَأۡكُلُونَ فِي بُطُونِهِمۡ إِلَّا ٱلنَّارَ وَلَا يُكَلِّمُهُمُ ٱللَّهُ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ وَلَا يُزَكِّيهِمۡ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٌ
Be-shak jo log Allah Taalaa ki utari hui kitab chupatay hain ussay thori thori si qeemat per baichtay hain yaqeen mano kay yeh apney pet mein aag bhar rahey hain qayamat kay din Allah unn say baat bhi na keray ga na unhen pak keray ga bulkay unn kay liye dard naak azab hai
Surah Al-Baqara, Verse 174
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ ٱشۡتَرَوُاْ ٱلضَّلَٰلَةَ بِٱلۡهُدَىٰ وَٱلۡعَذَابَ بِٱلۡمَغۡفِرَةِۚ فَمَآ أَصۡبَرَهُمۡ عَلَى ٱلنَّارِ
Yeh woh log hain jinhon ney gumrahi ko hidayat kay badlay aur azab ko maghfirat kay badlay khareed liya hai yeh log aag ka azab kitan bardasht kerney walay hain
Surah Al-Baqara, Verse 175
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ نَزَّلَ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّۗ وَإِنَّ ٱلَّذِينَ ٱخۡتَلَفُواْ فِي ٱلۡكِتَٰبِ لَفِي شِقَاقِۭ بَعِيدٖ
Inn azabon ka baees yeh hi hai kay Allah Taalaa ney sachi kitab utari aur iss kitab mein ikhtilaf kerney walay yaqeenan door kay khilaf mein hain
Surah Al-Baqara, Verse 176
۞لَّيۡسَ ٱلۡبِرَّ أَن تُوَلُّواْ وُجُوهَكُمۡ قِبَلَ ٱلۡمَشۡرِقِ وَٱلۡمَغۡرِبِ وَلَٰكِنَّ ٱلۡبِرَّ مَنۡ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ وَٱلۡكِتَٰبِ وَٱلنَّبِيِّـۧنَ وَءَاتَى ٱلۡمَالَ عَلَىٰ حُبِّهِۦ ذَوِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينَ وَٱبۡنَ ٱلسَّبِيلِ وَٱلسَّآئِلِينَ وَفِي ٱلرِّقَابِ وَأَقَامَ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَى ٱلزَّكَوٰةَ وَٱلۡمُوفُونَ بِعَهۡدِهِمۡ إِذَا عَٰهَدُواْۖ وَٱلصَّـٰبِرِينَ فِي ٱلۡبَأۡسَآءِ وَٱلضَّرَّآءِ وَحِينَ ٱلۡبَأۡسِۗ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ صَدَقُواْۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُتَّقُونَ
Sari achaee mashriq-o-maghrib ki taraf mun kerney mein hi nahi bulkay acha woh shaks hai jo Allah Taalaa per qayamat kay din per aur farishton per kitab ullah per aur nabiyon per eman rakhney wala ho jo maal say mohabbat kerney kay bawajood qarabat daron yateemon miskeenon musafiron aur sawal kerney walon ko dey ghulamon ko aazad keray namaz ki pabandi aur zakat ki adaeegi keray jab wada keray tab ussay poora keray tangdast dukh dard aur laraee kay waqt sabar keray yehi sachay log hain aur yehi perhezgar hain
Surah Al-Baqara, Verse 177
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُتِبَ عَلَيۡكُمُ ٱلۡقِصَاصُ فِي ٱلۡقَتۡلَىۖ ٱلۡحُرُّ بِٱلۡحُرِّ وَٱلۡعَبۡدُ بِٱلۡعَبۡدِ وَٱلۡأُنثَىٰ بِٱلۡأُنثَىٰۚ فَمَنۡ عُفِيَ لَهُۥ مِنۡ أَخِيهِ شَيۡءٞ فَٱتِّبَاعُۢ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَأَدَآءٌ إِلَيۡهِ بِإِحۡسَٰنٖۗ ذَٰلِكَ تَخۡفِيفٞ مِّن رَّبِّكُمۡ وَرَحۡمَةٞۗ فَمَنِ ٱعۡتَدَىٰ بَعۡدَ ذَٰلِكَ فَلَهُۥ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Aey eman walon! Tum per maqtoolon ka qisass lena farz kiya gaya hai aazad aazad kay badlay ghulam ghulam kay badlay aurat aurat kay badlay. Haan jiss kissi ko uss kay bhai kay badlay moafi dey di jaye ussay bhalaee ki ittaba kerni chahaiye aur aasani kay sath deeyat ada kerni chahaiye. Tumharay rab ki taraf say yeh takhfeef aur rehmat hai iss kay baad bhi jo sirkashi keray ussay dard naak azab hoga
Surah Al-Baqara, Verse 178
وَلَكُمۡ فِي ٱلۡقِصَاصِ حَيَوٰةٞ يَـٰٓأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ لَعَلَّكُمۡ تَتَّقُونَ
Aqal mandon! Qisass mein tumharay liye zindagi hai iss baees tum (qatal-e-na haq say) ruko gay
Surah Al-Baqara, Verse 179
كُتِبَ عَلَيۡكُمۡ إِذَا حَضَرَ أَحَدَكُمُ ٱلۡمَوۡتُ إِن تَرَكَ خَيۡرًا ٱلۡوَصِيَّةُ لِلۡوَٰلِدَيۡنِ وَٱلۡأَقۡرَبِينَ بِٱلۡمَعۡرُوفِۖ حَقًّا عَلَى ٱلۡمُتَّقِينَ
Tum per farz ker diya gaya hai kay jab tum mein say koi marney lagay aur maal chor jata ho to apney maa baap aur qarabat daron kay liye achai kay sath waseeyat ker jaye perhezgaron per yeh haq aur sabit hai
Surah Al-Baqara, Verse 180
فَمَنۢ بَدَّلَهُۥ بَعۡدَ مَا سَمِعَهُۥ فَإِنَّمَآ إِثۡمُهُۥ عَلَى ٱلَّذِينَ يُبَدِّلُونَهُۥٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٞ
Abb jo shaks issay sunney kay baad badal dey uss ka gunah badlaney walay per hi hoga waqaee Allah Taalaa sunney wala janney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 181
فَمَنۡ خَافَ مِن مُّوصٖ جَنَفًا أَوۡ إِثۡمٗا فَأَصۡلَحَ بَيۡنَهُمۡ فَلَآ إِثۡمَ عَلَيۡهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Haan jo shaks waeeyat kerney walay ki janib daari ya gunah ki waseeyat ker denay say daray pus woh inn mein aapas mein islaah kera dey to uss per gunah nahi Allah Taalaa bakshney wala meharban hai
Surah Al-Baqara, Verse 182
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُتِبَ عَلَيۡكُمُ ٱلصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَتَّقُونَ
Aey eman walo! Tum per rozay rakhna farz kiya gaya jiss tarah tum say pehlay logon per farz kiye gaye thay takay tum taqwa ikhtiyar kero
Surah Al-Baqara, Verse 183
أَيَّامٗا مَّعۡدُودَٰتٖۚ فَمَن كَانَ مِنكُم مَّرِيضًا أَوۡ عَلَىٰ سَفَرٖ فَعِدَّةٞ مِّنۡ أَيَّامٍ أُخَرَۚ وَعَلَى ٱلَّذِينَ يُطِيقُونَهُۥ فِدۡيَةٞ طَعَامُ مِسۡكِينٖۖ فَمَن تَطَوَّعَ خَيۡرٗا فَهُوَ خَيۡرٞ لَّهُۥۚ وَأَن تَصُومُواْ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Ginti kay chand hi din hain lekin tum mein say jo shaks beemar ho ya safar mein ho to woh aur dinon mein ginti ko poora ker ley aur iss ki taqat rakhney walay fidiye mein aik miskeen ko khana den phir jo shaks neki mein sabqat keray woh ussi kay liye behtar hai lekin tumharay haq mein behtareen kaam rozay rakhna hi hai agar tum ba ilm ho
Surah Al-Baqara, Verse 184
شَهۡرُ رَمَضَانَ ٱلَّذِيٓ أُنزِلَ فِيهِ ٱلۡقُرۡءَانُ هُدٗى لِّلنَّاسِ وَبَيِّنَٰتٖ مِّنَ ٱلۡهُدَىٰ وَٱلۡفُرۡقَانِۚ فَمَن شَهِدَ مِنكُمُ ٱلشَّهۡرَ فَلۡيَصُمۡهُۖ وَمَن كَانَ مَرِيضًا أَوۡ عَلَىٰ سَفَرٖ فَعِدَّةٞ مِّنۡ أَيَّامٍ أُخَرَۗ يُرِيدُ ٱللَّهُ بِكُمُ ٱلۡيُسۡرَ وَلَا يُرِيدُ بِكُمُ ٱلۡعُسۡرَ وَلِتُكۡمِلُواْ ٱلۡعِدَّةَ وَلِتُكَبِّرُواْ ٱللَّهَ عَلَىٰ مَا هَدَىٰكُمۡ وَلَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Maah-e-ramzan woh hai jiss mein quran utaara gaya jo logon ko hidayat kerney wala hai aur jiss mein hidayat ki aur haq-o-baatil ki tameez ki nishaniyan hain tum mein say jo shaks iss maheeney ko paye ussay roza rakhna chahaiye haan jo beemar ho ya musafir ho ussay doosray dinon mein yeh ginti poori kerni chahaiye Allah Taalaa ka irada tumharay sath aasani ka hai sakhti ka nahi woh chahata hai kay tum ginti poori ker lo aur Allah Taalaa ki di hui hidayat per uss ki baraiyan biyan kero aur uss ka shukar kero
Surah Al-Baqara, Verse 185
وَإِذَا سَأَلَكَ عِبَادِي عَنِّي فَإِنِّي قَرِيبٌۖ أُجِيبُ دَعۡوَةَ ٱلدَّاعِ إِذَا دَعَانِۖ فَلۡيَسۡتَجِيبُواْ لِي وَلۡيُؤۡمِنُواْ بِي لَعَلَّهُمۡ يَرۡشُدُونَ
Jab meray banday meray baray mein aap say sawal keren to aap keh den kay mein boht hi qarib hun her pukarney walay ki pukar ko jab kabhi woh mujhay pukaray qabool kerta hun iss liye logon ko bhi chahaiye kay woh meri baat maan liya keren aur mujh per eman rakhen yehi unn ki bhalaee ka baees hai
Surah Al-Baqara, Verse 186
أُحِلَّ لَكُمۡ لَيۡلَةَ ٱلصِّيَامِ ٱلرَّفَثُ إِلَىٰ نِسَآئِكُمۡۚ هُنَّ لِبَاسٞ لَّكُمۡ وَأَنتُمۡ لِبَاسٞ لَّهُنَّۗ عَلِمَ ٱللَّهُ أَنَّكُمۡ كُنتُمۡ تَخۡتَانُونَ أَنفُسَكُمۡ فَتَابَ عَلَيۡكُمۡ وَعَفَا عَنكُمۡۖ فَٱلۡـَٰٔنَ بَٰشِرُوهُنَّ وَٱبۡتَغُواْ مَا كَتَبَ ٱللَّهُ لَكُمۡۚ وَكُلُواْ وَٱشۡرَبُواْ حَتَّىٰ يَتَبَيَّنَ لَكُمُ ٱلۡخَيۡطُ ٱلۡأَبۡيَضُ مِنَ ٱلۡخَيۡطِ ٱلۡأَسۡوَدِ مِنَ ٱلۡفَجۡرِۖ ثُمَّ أَتِمُّواْ ٱلصِّيَامَ إِلَى ٱلَّيۡلِۚ وَلَا تُبَٰشِرُوهُنَّ وَأَنتُمۡ عَٰكِفُونَ فِي ٱلۡمَسَٰجِدِۗ تِلۡكَ حُدُودُ ٱللَّهِ فَلَا تَقۡرَبُوهَاۗ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ ءَايَٰتِهِۦ لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمۡ يَتَّقُونَ
Rozay ki raaton mein apni biwiyon say milna tumharay liye halal kiya gaya woh tumhara libas hain aur tum unn kay libas ho tumhari posheeda khayanaton ka Allah Taalaa ko ilm hai uss ney tumhari tauba qabool farma ker tum say dar guzar farma liya abb tumhen inn say mubashirat ki aur Allah Taalaa ki likhi hui cheez ko talash kerney ki ijazat hai tum khatay peetay raho yahan tak kay subha ka safaid dhaga siyah dhagay say zahir hojaye. Phir raat tak rozay ko poora kero aur aurton say uss waqt mubashirat na kero jab kay tum masjidon mein aeytikaaf mein ho. Yeh Allah Taalaa ki hudood hain tum unn kay qarib bhi na jao. Issi tarah Allah Taalaa apni aayaten logon kay liye biyan farmata hai takay woh bachen
Surah Al-Baqara, Verse 187
وَلَا تَأۡكُلُوٓاْ أَمۡوَٰلَكُم بَيۡنَكُم بِٱلۡبَٰطِلِ وَتُدۡلُواْ بِهَآ إِلَى ٱلۡحُكَّامِ لِتَأۡكُلُواْ فَرِيقٗا مِّنۡ أَمۡوَٰلِ ٱلنَّاسِ بِٱلۡإِثۡمِ وَأَنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Aur aik doosray ka maal na haq na khaya kero na hakimon ko rishwat phoncha ker kissi ka kuch maal zulm-o-sitam say apna liya kero halankay tum jantay ho
Surah Al-Baqara, Verse 188
۞يَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلۡأَهِلَّةِۖ قُلۡ هِيَ مَوَٰقِيتُ لِلنَّاسِ وَٱلۡحَجِّۗ وَلَيۡسَ ٱلۡبِرُّ بِأَن تَأۡتُواْ ٱلۡبُيُوتَ مِن ظُهُورِهَا وَلَٰكِنَّ ٱلۡبِرَّ مَنِ ٱتَّقَىٰۗ وَأۡتُواْ ٱلۡبُيُوتَ مِنۡ أَبۡوَٰبِهَاۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
Log aap say chaand kay baray mein sawal kertay hain aap keh dijiye kay yeh logon (ki ibadat) kay waqton aur hajj kay mausam kay liye hai (ehraam ki halat main) aur gharon kay peechay say tumhara aana kuch neki nahi bulkay neki wala woh hai jo muttaqi ho. Aur gharon mein to darwazon say aaya kero aur Allah say dartay raho takay tum kaamyaab hojao
Surah Al-Baqara, Verse 189
وَقَٰتِلُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ ٱلَّذِينَ يُقَٰتِلُونَكُمۡ وَلَا تَعۡتَدُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُعۡتَدِينَ
Laro Allah ki raah mein unn say jo tum say lartay hain aur ziyadti na kero Allah Taalaa ziyadti kerney walon ko pasand nahi fermata
Surah Al-Baqara, Verse 190
وَٱقۡتُلُوهُمۡ حَيۡثُ ثَقِفۡتُمُوهُمۡ وَأَخۡرِجُوهُم مِّنۡ حَيۡثُ أَخۡرَجُوكُمۡۚ وَٱلۡفِتۡنَةُ أَشَدُّ مِنَ ٱلۡقَتۡلِۚ وَلَا تُقَٰتِلُوهُمۡ عِندَ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ حَتَّىٰ يُقَٰتِلُوكُمۡ فِيهِۖ فَإِن قَٰتَلُوكُمۡ فَٱقۡتُلُوهُمۡۗ كَذَٰلِكَ جَزَآءُ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Enhen maaro jahan bhi pao aur enhen nikalo jahan say enhon ney tumhen nikala hai aur (suno) fitna qatal say ziyada sakht hai aur masjid-e-haram kay pass inn say laraee na kero jabtak kay yeh khu tum say na laren agar yeh tum say laren to tum bhi enhen maaro kafiron ka badla yehi hai
Surah Al-Baqara, Verse 191
فَإِنِ ٱنتَهَوۡاْ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Agar yeh baaz aajyen to Allah Taalaa bakshney wala meharban hai
Surah Al-Baqara, Verse 192
وَقَٰتِلُوهُمۡ حَتَّىٰ لَا تَكُونَ فِتۡنَةٞ وَيَكُونَ ٱلدِّينُ لِلَّهِۖ فَإِنِ ٱنتَهَوۡاْ فَلَا عُدۡوَٰنَ إِلَّا عَلَى ٱلظَّـٰلِمِينَ
Inn say laro jabtak kay fitna na mitt jaye aur Allah Taalaa ka deen ghalib na aajaye agar yeh ruk jayen (to tum bhi ruk jao) ziyadti to sirf zalimon per hi hai
Surah Al-Baqara, Verse 193
ٱلشَّهۡرُ ٱلۡحَرَامُ بِٱلشَّهۡرِ ٱلۡحَرَامِ وَٱلۡحُرُمَٰتُ قِصَاصٞۚ فَمَنِ ٱعۡتَدَىٰ عَلَيۡكُمۡ فَٱعۡتَدُواْ عَلَيۡهِ بِمِثۡلِ مَا ٱعۡتَدَىٰ عَلَيۡكُمۡۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ مَعَ ٱلۡمُتَّقِينَ
Hurmat walay maheeney hurmat walay maheenon kay badlay hain aur hurmaten adlay badlay ki hain jo tum per ziyadti keray tum bhi ussi tarah ussi ki misil ziyadti kero jo tum per ki hai aur Allah Taalaa say dartay raha kero aur jaan rakho kay Allah Taalaa perhezgaron kay sath hai
Surah Al-Baqara, Verse 194
وَأَنفِقُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَلَا تُلۡقُواْ بِأَيۡدِيكُمۡ إِلَى ٱلتَّهۡلُكَةِ وَأَحۡسِنُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Allah Taalaa ki raah mein kharach kero aur apney haathon halakat mein na paro aur sulook-o-ehsan kero Allah Taalaa ehsan kerney walon ko dost rakhta hai
Surah Al-Baqara, Verse 195
وَأَتِمُّواْ ٱلۡحَجَّ وَٱلۡعُمۡرَةَ لِلَّهِۚ فَإِنۡ أُحۡصِرۡتُمۡ فَمَا ٱسۡتَيۡسَرَ مِنَ ٱلۡهَدۡيِۖ وَلَا تَحۡلِقُواْ رُءُوسَكُمۡ حَتَّىٰ يَبۡلُغَ ٱلۡهَدۡيُ مَحِلَّهُۥۚ فَمَن كَانَ مِنكُم مَّرِيضًا أَوۡ بِهِۦٓ أَذٗى مِّن رَّأۡسِهِۦ فَفِدۡيَةٞ مِّن صِيَامٍ أَوۡ صَدَقَةٍ أَوۡ نُسُكٖۚ فَإِذَآ أَمِنتُمۡ فَمَن تَمَتَّعَ بِٱلۡعُمۡرَةِ إِلَى ٱلۡحَجِّ فَمَا ٱسۡتَيۡسَرَ مِنَ ٱلۡهَدۡيِۚ فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ ثَلَٰثَةِ أَيَّامٖ فِي ٱلۡحَجِّ وَسَبۡعَةٍ إِذَا رَجَعۡتُمۡۗ تِلۡكَ عَشَرَةٞ كَامِلَةٞۗ ذَٰلِكَ لِمَن لَّمۡ يَكُنۡ أَهۡلُهُۥ حَاضِرِي ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Hajj aur umray ko Allah Taalaa kay liye poora kero haan agar tum rok liye jao to jo qurbani mayyassar ho ussay ker daalo aur apney sir na mundwao jabtak kay qurbani qurban gaah tak na phonch jaye albatta tum mein say jo beemar ho ya uss kay sir mein koi takleef ho (jiss ki waja say sir munda ley) to uss per diya hai khuwa rozay rakh ley khuwa sadqa dey dey khuwa qurabi keray pus tum amann ki halat mein hojao to jo shaks umray say ley ker hajj tak tamatto keray pus ussay jo qurabni mayyassar ho ker dalay jissay taqat hi na ho to woh teen rozay to hajj kay dinon mein rakh ley aur saat wapsi mein yeh pooray das hogaye. Yeh hukum unn kay liye hai jo masjid-e-haram kay rehney walay na hon logo! Allah say dartay raho aur jaan lo kay Allah Taalaa sakht azab wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 196
ٱلۡحَجُّ أَشۡهُرٞ مَّعۡلُومَٰتٞۚ فَمَن فَرَضَ فِيهِنَّ ٱلۡحَجَّ فَلَا رَفَثَ وَلَا فُسُوقَ وَلَا جِدَالَ فِي ٱلۡحَجِّۗ وَمَا تَفۡعَلُواْ مِنۡ خَيۡرٖ يَعۡلَمۡهُ ٱللَّهُۗ وَتَزَوَّدُواْ فَإِنَّ خَيۡرَ ٱلزَّادِ ٱلتَّقۡوَىٰۖ وَٱتَّقُونِ يَـٰٓأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ
Hajj kay maheenay muqarrar hain iss liye jo shaks inn mein hajj lazim ker ley woh apni biwi say milaap kerney gunah kerney aur laraee kerney say bachta rahey tum jo neki kero gay uss say Allah Taalaa ba khabar hai aur apney sath safar kharach ley liya kero sab say behtar tosha Allah Taalaa ka darr hai aur aey aqal mando! Mujh say dartay raha kero
Surah Al-Baqara, Verse 197
لَيۡسَ عَلَيۡكُمۡ جُنَاحٌ أَن تَبۡتَغُواْ فَضۡلٗا مِّن رَّبِّكُمۡۚ فَإِذَآ أَفَضۡتُم مِّنۡ عَرَفَٰتٖ فَٱذۡكُرُواْ ٱللَّهَ عِندَ ٱلۡمَشۡعَرِ ٱلۡحَرَامِۖ وَٱذۡكُرُوهُ كَمَا هَدَىٰكُمۡ وَإِن كُنتُم مِّن قَبۡلِهِۦ لَمِنَ ٱلضَّآلِّينَ
Tum per apney rab ka fazal ka talash kerney mein koi gunah nahi jab tum arfaat say loto to to mash’ar-e-haram kay pass zikar-e-elahee kero aur uss ka zikar kero jaisay kay uss ney tumhen hidayat di halankay tum iss say pehlay raah bhoolay huye thay
Surah Al-Baqara, Verse 198
ثُمَّ أَفِيضُواْ مِنۡ حَيۡثُ أَفَاضَ ٱلنَّاسُ وَٱسۡتَغۡفِرُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Phir tum uss jagah loto jiss jagah sab log lot’tay hain aur Allah Taalaa say talab-e-bakshish kertay raho yaqeenan Allah Taalaa bakshney wala meharban hai
Surah Al-Baqara, Verse 199
فَإِذَا قَضَيۡتُم مَّنَٰسِكَكُمۡ فَٱذۡكُرُواْ ٱللَّهَ كَذِكۡرِكُمۡ ءَابَآءَكُمۡ أَوۡ أَشَدَّ ذِكۡرٗاۗ فَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَقُولُ رَبَّنَآ ءَاتِنَا فِي ٱلدُّنۡيَا وَمَا لَهُۥ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ مِنۡ خَلَٰقٖ
Phir jab tum arkaan-e-hajj ada ker chuko to Allah Taalaa ka zikar kero jiss tarah tum apney baap dadon ka zikar kiya kertay thay bulkay iss say bhi ziyada baaz log woh bhi hain jo kehtay hain aey humaray rab! Humen duniya mein dey. Aisay logon ka aakhirat mein koi hissa nahi
Surah Al-Baqara, Verse 200
وَمِنۡهُم مَّن يَقُولُ رَبَّنَآ ءَاتِنَا فِي ٱلدُّنۡيَا حَسَنَةٗ وَفِي ٱلۡأٓخِرَةِ حَسَنَةٗ وَقِنَا عَذَابَ ٱلنَّارِ
Aur baaz log woh bhi hain jo kehtay hain aey humaray rab! Humen duniya mein neki dey aur aakhirat mein bhi bhalaee ata farma aur humen azab-e-jahannum say nujat dey
Surah Al-Baqara, Verse 201
أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ نَصِيبٞ مِّمَّا كَسَبُواْۚ وَٱللَّهُ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ
Yeh woh log hain jin kay liye unn kay aemaal ka hissa hai aur Allah Taalaa jalad hisab lenay wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 202
۞وَٱذۡكُرُواْ ٱللَّهَ فِيٓ أَيَّامٖ مَّعۡدُودَٰتٖۚ فَمَن تَعَجَّلَ فِي يَوۡمَيۡنِ فَلَآ إِثۡمَ عَلَيۡهِ وَمَن تَأَخَّرَ فَلَآ إِثۡمَ عَلَيۡهِۖ لِمَنِ ٱتَّقَىٰۗ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّكُمۡ إِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
Aur Allah Taalaa ki yaad unn ginti kay chand dinon (ayyaam-e-tashreeq) mein kero do din ki jaldi kerney walay per bhi koi gunah nahi aur jo peechay reh jaye uss per bhi koi gunah nahi yeh perhezgar kay liye hai aur Allah Taalaa say dartay raho aur jaan rakho kay tum sab ussi ki taraf jama kiye jao gay
Surah Al-Baqara, Verse 203
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يُعۡجِبُكَ قَوۡلُهُۥ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا وَيُشۡهِدُ ٱللَّهَ عَلَىٰ مَا فِي قَلۡبِهِۦ وَهُوَ أَلَدُّ ٱلۡخِصَامِ
Baaz logon ki dunyawi gharaz ki baaten aap ko khush ker deti hain aur woh apney dil ki baaton per Allah ko gawah kerta hai halankay dar asal woh zabardast jhagraloo hai
Surah Al-Baqara, Verse 204
وَإِذَا تَوَلَّىٰ سَعَىٰ فِي ٱلۡأَرۡضِ لِيُفۡسِدَ فِيهَا وَيُهۡلِكَ ٱلۡحَرۡثَ وَٱلنَّسۡلَۚ وَٱللَّهُ لَا يُحِبُّ ٱلۡفَسَادَ
Jab woh lot ker jata hai to zamin mein fasad phelaney ki aur kheti aur nasal ki barbadi ki koshish mein laga rehta hai aur Allah Taalaa fasad ko na pasand kerta hai
Surah Al-Baqara, Verse 205
وَإِذَا قِيلَ لَهُ ٱتَّقِ ٱللَّهَ أَخَذَتۡهُ ٱلۡعِزَّةُ بِٱلۡإِثۡمِۚ فَحَسۡبُهُۥ جَهَنَّمُۖ وَلَبِئۡسَ ٱلۡمِهَادُ
Aur jab uss say kaha jaye kay Allah say darr to takabbur aur ta’assub ussay gunah per aamada ker deta hai aisay kay liye bus jahannum hi hai aur yaqeenan woh badtareen jagah hai
Surah Al-Baqara, Verse 206
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَشۡرِي نَفۡسَهُ ٱبۡتِغَآءَ مَرۡضَاتِ ٱللَّهِۚ وَٱللَّهُ رَءُوفُۢ بِٱلۡعِبَادِ
Aur baaz log woh bhi hai jo Allah Taalaa ki raza mandi ki talab mein apni jaan tak baich detay daltay hain aur Allah Taalaa apney bandon per bari meharbani kerney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 207
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱدۡخُلُواْ فِي ٱلسِّلۡمِ كَآفَّةٗ وَلَا تَتَّبِعُواْ خُطُوَٰتِ ٱلشَّيۡطَٰنِۚ إِنَّهُۥ لَكُمۡ عَدُوّٞ مُّبِينٞ
Eman walo! Islam mein pooray pooray dakhil hojao aur shetan kay qadmon ki tabeydari na kero woh tumhara khula dushman hai
Surah Al-Baqara, Verse 208
فَإِن زَلَلۡتُم مِّنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَتۡكُمُ ٱلۡبَيِّنَٰتُ فَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٌ
Agar tum bawajoob tumharay daleel aajaney kay bhi phisal jao to jaan lo kay Allah Taalaa ghalbay wala aur hikmat wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 209
هَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّآ أَن يَأۡتِيَهُمُ ٱللَّهُ فِي ظُلَلٖ مِّنَ ٱلۡغَمَامِ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ وَقُضِيَ ٱلۡأَمۡرُۚ وَإِلَى ٱللَّهِ تُرۡجَعُ ٱلۡأُمُورُ
Kiya logon ko iss baat ka intizar hai kay unn kay pass khud Allah Taalaa abar kay sayebanon mein aajaye aur farishtay bhi aur kaam inteha tak phoncha diya jaye Allah hi ki taraf tamam kaam lotaye jatay hain
Surah Al-Baqara, Verse 210
سَلۡ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ كَمۡ ءَاتَيۡنَٰهُم مِّنۡ ءَايَةِۭ بَيِّنَةٖۗ وَمَن يُبَدِّلۡ نِعۡمَةَ ٱللَّهِ مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَتۡهُ فَإِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Bani israeel say poocho to kay hum ney unhen kiss qadar roshan nishaniyan ata farameen aur jo shaks Allah Taalaa ki nematon ko apney pass phonch janey kay baad badal dalay (woh jaan ley) kay Allah Taalaa sakht azabon wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 211
زُيِّنَ لِلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا وَيَسۡخَرُونَ مِنَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْۘ وَٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ فَوۡقَهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۗ وَٱللَّهُ يَرۡزُقُ مَن يَشَآءُ بِغَيۡرِ حِسَابٖ
Kafiron kay liye duniya ki zindagi khoob zeenat daar ki gaee hai woh eman walon say hansi mazaq kertay hain halankay perhezgar log qayamat kay din unn say aala hongay Allah Taalaa jisay chahata hai bey hisab rozi deta hai
Surah Al-Baqara, Verse 212
كَانَ ٱلنَّاسُ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ فَبَعَثَ ٱللَّهُ ٱلنَّبِيِّـۧنَ مُبَشِّرِينَ وَمُنذِرِينَ وَأَنزَلَ مَعَهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ لِيَحۡكُمَ بَيۡنَ ٱلنَّاسِ فِيمَا ٱخۡتَلَفُواْ فِيهِۚ وَمَا ٱخۡتَلَفَ فِيهِ إِلَّا ٱلَّذِينَ أُوتُوهُ مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَتۡهُمُ ٱلۡبَيِّنَٰتُ بَغۡيَۢا بَيۡنَهُمۡۖ فَهَدَى ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لِمَا ٱخۡتَلَفُواْ فِيهِ مِنَ ٱلۡحَقِّ بِإِذۡنِهِۦۗ وَٱللَّهُ يَهۡدِي مَن يَشَآءُ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٍ
Dar-asal log aik hi giroh thay Allah Taalaa ney nabiyon ko khushkhabri denay aur daraney wala bana ker bheja aur unn kay sath sachi kitaben nazil farmaeen takay logon kay her ikhtilafi amar ka faisla hojaye. Aur sirf unhi logon ney jinhen kitab di gaee thi apney pass dalaeel aa chukney kay baad aapas kay bughz-o-aeynaad ki waja say iss mein ikhtilaf kiya iss liye Allah pak ney eman walon ki iss ikhtilaf mein bhi haq ki taraf apni mashiyat say rehbari ki aur Allah jiss ko chahaye seedhi raah ki taraf rehbari kerta hai
Surah Al-Baqara, Verse 213
أَمۡ حَسِبۡتُمۡ أَن تَدۡخُلُواْ ٱلۡجَنَّةَ وَلَمَّا يَأۡتِكُم مَّثَلُ ٱلَّذِينَ خَلَوۡاْ مِن قَبۡلِكُمۖ مَّسَّتۡهُمُ ٱلۡبَأۡسَآءُ وَٱلضَّرَّآءُ وَزُلۡزِلُواْ حَتَّىٰ يَقُولَ ٱلرَّسُولُ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَعَهُۥ مَتَىٰ نَصۡرُ ٱللَّهِۗ أَلَآ إِنَّ نَصۡرَ ٱللَّهِ قَرِيبٞ
Kiya tum yeh guman kiye bethay ho kay jannat mein chalay jao gay halankay abb tak tum per woh halaat nahi aaye jo tum say aglay logon per aaye thay. Unehn beemariyan aur musibaten phonchi aur woh yahan tak jhanjoray gaye kay rasool aur uss kay sath kay eman walay kehney lagay kay Allah ki madad kab aaye gi? Sun rakho kay Allah ki madad qarib hi hai
Surah Al-Baqara, Verse 214
يَسۡـَٔلُونَكَ مَاذَا يُنفِقُونَۖ قُلۡ مَآ أَنفَقۡتُم مِّنۡ خَيۡرٖ فَلِلۡوَٰلِدَيۡنِ وَٱلۡأَقۡرَبِينَ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينِ وَٱبۡنِ ٱلسَّبِيلِۗ وَمَا تَفۡعَلُواْ مِنۡ خَيۡرٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ بِهِۦ عَلِيمٞ
Aap say poochtay hain kay woh kiya kharach keren? Aap keh dijiye kay jo maal tum kharach kero woh maa baap kay liye hai aur rishtay daron aur yateemon aur miskeenon aur musafiron kay liye hai aur tum jo kuch bhalaee kero gay Allah Taalaa to uss ka ilm hai
Surah Al-Baqara, Verse 215
كُتِبَ عَلَيۡكُمُ ٱلۡقِتَالُ وَهُوَ كُرۡهٞ لَّكُمۡۖ وَعَسَىٰٓ أَن تَكۡرَهُواْ شَيۡـٔٗا وَهُوَ خَيۡرٞ لَّكُمۡۖ وَعَسَىٰٓ أَن تُحِبُّواْ شَيۡـٔٗا وَهُوَ شَرّٞ لَّكُمۡۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ وَأَنتُمۡ لَا تَعۡلَمُونَ
Tum per jihad farz kiya gaya go woh tumhen dushwar maloom ho mumkin hai tum kissi cheez ko buri jano aur wohi tumharay liye bhali ho aur yeh bhi mumkin hai kay tum kissi cheez ko achi samjho halankay woh tumharay liye buri ho haqeeqi ilm Allah hi ko hai tum mehaz bey khabar ho
Surah Al-Baqara, Verse 216
يَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلشَّهۡرِ ٱلۡحَرَامِ قِتَالٖ فِيهِۖ قُلۡ قِتَالٞ فِيهِ كَبِيرٞۚ وَصَدٌّ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ وَكُفۡرُۢ بِهِۦ وَٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ وَإِخۡرَاجُ أَهۡلِهِۦ مِنۡهُ أَكۡبَرُ عِندَ ٱللَّهِۚ وَٱلۡفِتۡنَةُ أَكۡبَرُ مِنَ ٱلۡقَتۡلِۗ وَلَا يَزَالُونَ يُقَٰتِلُونَكُمۡ حَتَّىٰ يَرُدُّوكُمۡ عَن دِينِكُمۡ إِنِ ٱسۡتَطَٰعُواْۚ وَمَن يَرۡتَدِدۡ مِنكُمۡ عَن دِينِهِۦ فَيَمُتۡ وَهُوَ كَافِرٞ فَأُوْلَـٰٓئِكَ حَبِطَتۡ أَعۡمَٰلُهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Log aap say hurmat walay maheenon mein laraee ki babat sawal kertay hain aap keh dijiye kay inn mein laraee kerna bara gunah hai lekin Allah ki raah say rokna uss kay sath kufur kerna aur masjid-e-haram say rokna aur wahan kay rehney walon ko wahan say nikalna Allah kay nazdeek uss say bhi bara gunah hai yeh fitna qatal say bhi bara gunah hai yeh log tum say laraee bhiraee kertay hi rahen gay yahan tak kay agar hosakay to tumhen tumharay deen say murtid ker den aur tum mein say jo log apney deen say palat jayen aur issi kufur ki halat mein maren unn kay aemaal-e-duyawi aur ukhrawi sab ghaarat hojayen gay. Yeh log jahannumi hongay aur hamesha hamesha jahannum mein hi rahen gay
Surah Al-Baqara, Verse 217
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَٱلَّذِينَ هَاجَرُواْ وَجَٰهَدُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ أُوْلَـٰٓئِكَ يَرۡجُونَ رَحۡمَتَ ٱللَّهِۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Alabatta eman laney walay hijrat kerney walay Allah ki raah mein jihad kerney walay hi rehmat-e-elahee kay umeedwar hain Allah Taalaa boht bakshney wala aur boht meharbani kerney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 218
۞يَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلۡخَمۡرِ وَٱلۡمَيۡسِرِۖ قُلۡ فِيهِمَآ إِثۡمٞ كَبِيرٞ وَمَنَٰفِعُ لِلنَّاسِ وَإِثۡمُهُمَآ أَكۡبَرُ مِن نَّفۡعِهِمَاۗ وَيَسۡـَٔلُونَكَ مَاذَا يُنفِقُونَۖ قُلِ ٱلۡعَفۡوَۗ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّكُمۡ تَتَفَكَّرُونَ
Log aap say sharab aur juye ka masla poochtay hain aap keh dijiye inn dono mein boht bara gunah hai aur logon ko iss say dunyawi faeeda bhi hota hai lekin inn ka gunah unn kay nafay say boht ziyada hai. Aap say yeh bhi daryaft kertay hain kay kiya kuch kharach keren? To aap keh dijiye hajat say zaeed cheez, Allah Taalaa issi taraf apney ehkaam saaf saaf tumharay liye biyan farma raha hai takay tum soch samajh sako
Surah Al-Baqara, Verse 219
فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِۗ وَيَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلۡيَتَٰمَىٰۖ قُلۡ إِصۡلَاحٞ لَّهُمۡ خَيۡرٞۖ وَإِن تُخَالِطُوهُمۡ فَإِخۡوَٰنُكُمۡۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ ٱلۡمُفۡسِدَ مِنَ ٱلۡمُصۡلِحِۚ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَأَعۡنَتَكُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
Duniya aur aakhirat kay umoor ko. Aur tujh say yateemon kay baray mein bhi sawal kertay hain aap keh dijiye kay inn ki khair khuwahi behtar hai tum agar inn ka maal apney maal mein mila bhi lo to woh tumharay bhai hain bad niyat aur nek niyat her aik ko Allah khoob janta hai aur agar Allah chahata to tumhen mushaqqat mein daal deta yaqeenan Allah Taalaa ghalbay wala hikmat wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 220
وَلَا تَنكِحُواْ ٱلۡمُشۡرِكَٰتِ حَتَّىٰ يُؤۡمِنَّۚ وَلَأَمَةٞ مُّؤۡمِنَةٌ خَيۡرٞ مِّن مُّشۡرِكَةٖ وَلَوۡ أَعۡجَبَتۡكُمۡۗ وَلَا تُنكِحُواْ ٱلۡمُشۡرِكِينَ حَتَّىٰ يُؤۡمِنُواْۚ وَلَعَبۡدٞ مُّؤۡمِنٌ خَيۡرٞ مِّن مُّشۡرِكٖ وَلَوۡ أَعۡجَبَكُمۡۗ أُوْلَـٰٓئِكَ يَدۡعُونَ إِلَى ٱلنَّارِۖ وَٱللَّهُ يَدۡعُوٓاْ إِلَى ٱلۡجَنَّةِ وَٱلۡمَغۡفِرَةِ بِإِذۡنِهِۦۖ وَيُبَيِّنُ ءَايَٰتِهِۦ لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمۡ يَتَذَكَّرُونَ
Aur shirk kerney wali aurton say tawaqt-e-kay woh eman na layen tum nikkah na kero eman walo londi bhi shiek kerney wali aazad aurat say boht behtar hai go tumhen mushrika hi achi lagti ho aur na shirk kerney walay mardon kay nikkah mein apni aurton ko do jab tak woh eman na layen eman wala ghulam aazad mushrik say behtar hai go mushrik tumhen acha lagay. Yeh log jahannum ki taraf bulatay hain aur Allah jannat ki taraf aur apni bakshish ki taraf apney hukum say bulata hai woh apni aayaten logon kay liye biyan farma raha hai takay woh naseehat hasil keren
Surah Al-Baqara, Verse 221
وَيَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلۡمَحِيضِۖ قُلۡ هُوَ أَذٗى فَٱعۡتَزِلُواْ ٱلنِّسَآءَ فِي ٱلۡمَحِيضِ وَلَا تَقۡرَبُوهُنَّ حَتَّىٰ يَطۡهُرۡنَۖ فَإِذَا تَطَهَّرۡنَ فَأۡتُوهُنَّ مِنۡ حَيۡثُ أَمَرَكُمُ ٱللَّهُۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلتَّوَّـٰبِينَ وَيُحِبُّ ٱلۡمُتَطَهِّرِينَ
Aap say haiz kay baray mein sawal kertay hain keh dijiyewoh gandagi hai haiz halaton mein aurton say alag raho aur jab tak woh pak na hojayen unn kay qarib na jao han jab woh pak hojayen o unn kay pass jao jahan say Allah ney tumhen ijazat di hai Allah tauba kerney walon ko aur pak rehney walon ko pasand farmata hai
Surah Al-Baqara, Verse 222
نِسَآؤُكُمۡ حَرۡثٞ لَّكُمۡ فَأۡتُواْ حَرۡثَكُمۡ أَنَّىٰ شِئۡتُمۡۖ وَقَدِّمُواْ لِأَنفُسِكُمۡۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّكُم مُّلَٰقُوهُۗ وَبَشِّرِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Tumhari biwiyan tumhari khetiyan hain apni khetiyon mein jiss tarah chahao aao aur apney liye (nek aemaal) aagay bhejo aur Allah Taalaa say dartay raha kero aur jaan rakho kay tum uss say milney walay ho aur eman walon ko khushkhabri suna dijiye
Surah Al-Baqara, Verse 223
وَلَا تَجۡعَلُواْ ٱللَّهَ عُرۡضَةٗ لِّأَيۡمَٰنِكُمۡ أَن تَبَرُّواْ وَتَتَّقُواْ وَتُصۡلِحُواْ بَيۡنَ ٱلنَّاسِۚ وَٱللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٞ
Aur Allah Taalaa ko apni qasmon ka iss tarah nishana na banao kay bhalaee aur perhezgari aur logon kay darmiyan ki islaah ko chor betho aur Allah Taalaa sunney wala janney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 224
لَّا يُؤَاخِذُكُمُ ٱللَّهُ بِٱللَّغۡوِ فِيٓ أَيۡمَٰنِكُمۡ وَلَٰكِن يُؤَاخِذُكُم بِمَا كَسَبَتۡ قُلُوبُكُمۡۗ وَٱللَّهُ غَفُورٌ حَلِيمٞ
Allah Taalaa tumhen tumhari unn qasmon per na pakray ga jo pukhta na hon haan uss ki pakar uss cheez per hai jo tumharay dilon ka fail ho Allah Taalaa bakshney wala aur burdbaar hai
Surah Al-Baqara, Verse 225
لِّلَّذِينَ يُؤۡلُونَ مِن نِّسَآئِهِمۡ تَرَبُّصُ أَرۡبَعَةِ أَشۡهُرٖۖ فَإِن فَآءُو فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Jo log apni biwiyon say (talluq na rakhney) qasmen khayen unn kay liye chaar maheeney ki iddat hai phir agar woh lot aayen to Allah Taalaa bhi bakshney wala meharban hai
Surah Al-Baqara, Verse 226
وَإِنۡ عَزَمُواْ ٱلطَّلَٰقَ فَإِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٞ
Aur agar tallaq ka hi qasad ker len to Allah Taalaa sunney wala janney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 227
وَٱلۡمُطَلَّقَٰتُ يَتَرَبَّصۡنَ بِأَنفُسِهِنَّ ثَلَٰثَةَ قُرُوٓءٖۚ وَلَا يَحِلُّ لَهُنَّ أَن يَكۡتُمۡنَ مَا خَلَقَ ٱللَّهُ فِيٓ أَرۡحَامِهِنَّ إِن كُنَّ يُؤۡمِنَّ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۚ وَبُعُولَتُهُنَّ أَحَقُّ بِرَدِّهِنَّ فِي ذَٰلِكَ إِنۡ أَرَادُوٓاْ إِصۡلَٰحٗاۚ وَلَهُنَّ مِثۡلُ ٱلَّذِي عَلَيۡهِنَّ بِٱلۡمَعۡرُوفِۚ وَلِلرِّجَالِ عَلَيۡهِنَّ دَرَجَةٞۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٌ
Tallaq wali aurten apney aap ko teen haiz tak rokay rakhen unhen halal nahi kay Allah ney unn kay reham mein jo paida kiya ho ussay chupayen agar unhen Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman ho unn kay khawind iss muddat mein unhen lota lenay kay pooray haq daar hain agar unn ka irada islaah ka ho. Aur aurton kay bhi wesay hi haq hain jaisay unn per mardon kay hain achai kay sath. Haan mardon ko aurton per fazeelat hai aur Allah Taalaa ghalib hai aur hikmat wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 228
ٱلطَّلَٰقُ مَرَّتَانِۖ فَإِمۡسَاكُۢ بِمَعۡرُوفٍ أَوۡ تَسۡرِيحُۢ بِإِحۡسَٰنٖۗ وَلَا يَحِلُّ لَكُمۡ أَن تَأۡخُذُواْ مِمَّآ ءَاتَيۡتُمُوهُنَّ شَيۡـًٔا إِلَّآ أَن يَخَافَآ أَلَّا يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِۖ فَإِنۡ خِفۡتُمۡ أَلَّا يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡهِمَا فِيمَا ٱفۡتَدَتۡ بِهِۦۗ تِلۡكَ حُدُودُ ٱللَّهِ فَلَا تَعۡتَدُوهَاۚ وَمَن يَتَعَدَّ حُدُودَ ٱللَّهِ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Yeh tallaqen do martaba hain phir ya to achai say rokna ya umdagi kay sath chor dena aur tumhen halal nahi kay tum ney unhen jo dey diya hai uss mein say kuch bhi lo haan yeh aur baat hai kay dono ko Allah ki hudood qaeem na rakh sakney ka khof ho iss liye agar tumhen darr ho kay yeh dono Allah ki haden qaeem na rakh saken gay to aurat rehaee paney kay liye kuch dey dalay iss mein dono per gunah nahi yeh Allah ki hudood hain khabardar inn say aagay na barhna aur jo log Allah ki haddon say tajawuz ker jayen woh zalim hain
Surah Al-Baqara, Verse 229
فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُۥ مِنۢ بَعۡدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوۡجًا غَيۡرَهُۥۗ فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡهِمَآ أَن يَتَرَاجَعَآ إِن ظَنَّآ أَن يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِۗ وَتِلۡكَ حُدُودُ ٱللَّهِ يُبَيِّنُهَا لِقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ
Phir agar iss ko (teesri baar) tallaq dey dey to abb iss kay liye halal nahi jab tak kay woh aurat iss kay siwa doosray say nikkah na keray phir agar woh bhi tallaq dey dey to inn dono ko mail jol ker lenay mein koi gunah nahi ba shart-e-kay yeh jaan len kay Allah ki haddon ko qaeem rakh saken gay yeh Allah Taalaa ki hudood hain jinhen woh janney walon kay liye biyan farma raha hai
Surah Al-Baqara, Verse 230
وَإِذَا طَلَّقۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَبَلَغۡنَ أَجَلَهُنَّ فَأَمۡسِكُوهُنَّ بِمَعۡرُوفٍ أَوۡ سَرِّحُوهُنَّ بِمَعۡرُوفٖۚ وَلَا تُمۡسِكُوهُنَّ ضِرَارٗا لِّتَعۡتَدُواْۚ وَمَن يَفۡعَلۡ ذَٰلِكَ فَقَدۡ ظَلَمَ نَفۡسَهُۥۚ وَلَا تَتَّخِذُوٓاْ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ هُزُوٗاۚ وَٱذۡكُرُواْ نِعۡمَتَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَمَآ أَنزَلَ عَلَيۡكُم مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَٱلۡحِكۡمَةِ يَعِظُكُم بِهِۦۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٞ
Jab tum aurton ko tallaq do aur woh apni iddat khatam kerney per aayen to abb enehn achi tarah basao ya bhalaee kay sath alag ker do aur enhen takleef phonchaney ki gharaz say zulm-o-ziyadti kay liye na roko jo shaks aisa keray uss ney apni jaan per zulm kiya. Tum Allah kay ehkaam ko hansi khel na banao aur Allah kay ehsan jo tum per hai yaad kero aur jo kuch kiab-o-hikmat uss ney nazil farmaee hai jiss say tumehn naseehat ker raha hai ussay bhi. Aur Allah Taalaa say dartay raha kero aur jaan rakho kay Allah Taalaa her cheez ko janta hai
Surah Al-Baqara, Verse 231
وَإِذَا طَلَّقۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَبَلَغۡنَ أَجَلَهُنَّ فَلَا تَعۡضُلُوهُنَّ أَن يَنكِحۡنَ أَزۡوَٰجَهُنَّ إِذَا تَرَٰضَوۡاْ بَيۡنَهُم بِٱلۡمَعۡرُوفِۗ ذَٰلِكَ يُوعَظُ بِهِۦ مَن كَانَ مِنكُمۡ يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۗ ذَٰلِكُمۡ أَزۡكَىٰ لَكُمۡ وَأَطۡهَرُۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ وَأَنتُمۡ لَا تَعۡلَمُونَ
Aur jab tum apni aurton ko tallaq do aur woh apni iddat poori ker len o unhen unn kay khawindon say nikkah kerney say na roko jab kay woh aapas mein dastoor kay mutabiq raza mand hon. Yeh naseehat unhen ki jati hai jinhen tum mein say Allah Taalaa per aur qayamat kay din per yaqeen-o-eman ho iss mein tumhari behtareen safaee aur pakeezgi hai. Allah Taalaa janta hai aur tum nahi jantay
Surah Al-Baqara, Verse 232
۞وَٱلۡوَٰلِدَٰتُ يُرۡضِعۡنَ أَوۡلَٰدَهُنَّ حَوۡلَيۡنِ كَامِلَيۡنِۖ لِمَنۡ أَرَادَ أَن يُتِمَّ ٱلرَّضَاعَةَۚ وَعَلَى ٱلۡمَوۡلُودِ لَهُۥ رِزۡقُهُنَّ وَكِسۡوَتُهُنَّ بِٱلۡمَعۡرُوفِۚ لَا تُكَلَّفُ نَفۡسٌ إِلَّا وُسۡعَهَاۚ لَا تُضَآرَّ وَٰلِدَةُۢ بِوَلَدِهَا وَلَا مَوۡلُودٞ لَّهُۥ بِوَلَدِهِۦۚ وَعَلَى ٱلۡوَارِثِ مِثۡلُ ذَٰلِكَۗ فَإِنۡ أَرَادَا فِصَالًا عَن تَرَاضٖ مِّنۡهُمَا وَتَشَاوُرٖ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡهِمَاۗ وَإِنۡ أَرَدتُّمۡ أَن تَسۡتَرۡضِعُوٓاْ أَوۡلَٰدَكُمۡ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ إِذَا سَلَّمۡتُم مَّآ ءَاتَيۡتُم بِٱلۡمَعۡرُوفِۗ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ
Mayen apni aulad ko do saal kamil doodh pilayen jin ka irada doodh pilaney ki muddat bilkul poori kerney ka ho aur jin kay bachay hain unn kay zimmay unn ka roti kapra hai jo mutabiq dastoor kay ho. Her shaks utni hi takleef diya jata hai jitni uss ki taqat ho. Maa ko uss kay bachay ki waja say ya baap ko uss ki aulad ki waja say koi zarar na phonchaya jaye waris per bhi issi jaisi zimmay dari hai phir agar dono (yani maa baap) apni raza mandi aur bahumi mashwaray say doodh churana chayen to dono per kuch gunah nahi aur agar tumhara irada apni aulad ko doodh pilwaney ka ho to bhi tum per koi gunah nahi jab kay tum unn ko muabiq dastoor kay jo dena ho woh inn kay hawalay ker do Allah Taalaa say dartay raho aur jantay raho kay Allah Taalaa tumharay aemaal ki dekh bhaal ker raha hai
Surah Al-Baqara, Verse 233
وَٱلَّذِينَ يُتَوَفَّوۡنَ مِنكُمۡ وَيَذَرُونَ أَزۡوَٰجٗا يَتَرَبَّصۡنَ بِأَنفُسِهِنَّ أَرۡبَعَةَ أَشۡهُرٖ وَعَشۡرٗاۖ فَإِذَا بَلَغۡنَ أَجَلَهُنَّ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ فِيمَا فَعَلۡنَ فِيٓ أَنفُسِهِنَّ بِٱلۡمَعۡرُوفِۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
Tum mein say jo log fot ho jayen aur biwiyan chor jayen woh aurten apney aap ko chaar maheeney aur das (din) iddat mein rakhen phir jab muddat khatam ker len to jo achai kay sath woh apney liye keren uss mein tum per koi gunah nahi aur Allah Taalaa tumharay her amal say khabardar hai
Surah Al-Baqara, Verse 234
وَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ فِيمَا عَرَّضۡتُم بِهِۦ مِنۡ خِطۡبَةِ ٱلنِّسَآءِ أَوۡ أَكۡنَنتُمۡ فِيٓ أَنفُسِكُمۡۚ عَلِمَ ٱللَّهُ أَنَّكُمۡ سَتَذۡكُرُونَهُنَّ وَلَٰكِن لَّا تُوَاعِدُوهُنَّ سِرًّا إِلَّآ أَن تَقُولُواْ قَوۡلٗا مَّعۡرُوفٗاۚ وَلَا تَعۡزِمُواْ عُقۡدَةَ ٱلنِّكَاحِ حَتَّىٰ يَبۡلُغَ ٱلۡكِتَٰبُ أَجَلَهُۥۚ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ مَا فِيٓ أَنفُسِكُمۡ فَٱحۡذَرُوهُۚ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ غَفُورٌ حَلِيمٞ
Tum per iss mein koi gunah nahi kay tum isharatan kanayatan inn aurton say nikkah ki babat kaho ya apney dil mein posheeda irada kero Allah Taalaa ko ilm hai kay kay tum zaroor inn ko yaad kero gay lekin tum inn say posheeda waday na ker lo haan yeh aur baat hai kay tum bhali baat bola kero aur aqad nikkah jab tak kay iddat khatam na hojaye pukhta na kero jaan rakho kay Allah Taalaa ko tumharay dilon ki baaton ka bhi ilm hai tum uss say khof khatay raha kero aur yeh bhi jaan rakho kay Allah Taalaa bakshish aur hilm wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 235
لَّا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ إِن طَلَّقۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ مَا لَمۡ تَمَسُّوهُنَّ أَوۡ تَفۡرِضُواْ لَهُنَّ فَرِيضَةٗۚ وَمَتِّعُوهُنَّ عَلَى ٱلۡمُوسِعِ قَدَرُهُۥ وَعَلَى ٱلۡمُقۡتِرِ قَدَرُهُۥ مَتَٰعَۢا بِٱلۡمَعۡرُوفِۖ حَقًّا عَلَى ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Agar tum aurton ko baghair haath lagaye aur baghair mehar muqarrar kiye tallaq dey do to bhi tum per koi gunah nahi haan unhen kuch na kuch faeeda do. Khushal apney andaz say aur tangdast apni taqat kay mutabiq dasatoor kay mutabiq acha faeeda dey. Bhalaee kerney walon per yeh lazim hai
Surah Al-Baqara, Verse 236
وَإِن طَلَّقۡتُمُوهُنَّ مِن قَبۡلِ أَن تَمَسُّوهُنَّ وَقَدۡ فَرَضۡتُمۡ لَهُنَّ فَرِيضَةٗ فَنِصۡفُ مَا فَرَضۡتُمۡ إِلَّآ أَن يَعۡفُونَ أَوۡ يَعۡفُوَاْ ٱلَّذِي بِيَدِهِۦ عُقۡدَةُ ٱلنِّكَاحِۚ وَأَن تَعۡفُوٓاْ أَقۡرَبُ لِلتَّقۡوَىٰۚ وَلَا تَنسَوُاْ ٱلۡفَضۡلَ بَيۡنَكُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٌ
Aur agar tum aurton ko iss say pehlay tallaq dey do kay tum ney unhen haath lagaya ho aur tum ney unn ka mehar bhi muqarrar ker diya ho to muqarrar mehar ka aadha mehar dey do yeh aur baat hai kay woh khud moaf ker den ya woh shaks moaf ker dey jiss kay haath mein nikkah ki girah hai tumhara moaf ker dena taqwa say boht nazdeek hai aur aapas ki fazeelat aur buzrugi ko faramosh na kero yaqeenan Allah Taalaa tumharay aemaal ko dekh raha hai
Surah Al-Baqara, Verse 237
حَٰفِظُواْ عَلَى ٱلصَّلَوَٰتِ وَٱلصَّلَوٰةِ ٱلۡوُسۡطَىٰ وَقُومُواْ لِلَّهِ قَٰنِتِينَ
Namazon ki hifazat kero bilkhusoos darmiyan wali namaz ki aur Allah Taalaa kay liye ba adab kharay raha kero
Surah Al-Baqara, Verse 238
فَإِنۡ خِفۡتُمۡ فَرِجَالًا أَوۡ رُكۡبَانٗاۖ فَإِذَآ أَمِنتُمۡ فَٱذۡكُرُواْ ٱللَّهَ كَمَا عَلَّمَكُم مَّا لَمۡ تَكُونُواْ تَعۡلَمُونَ
Agar tumhen khof ho to paidal hi sahih ya sawari hi sahih haan jab aman hojaye to Allah ka zikar kero jiss tarah ka uss ney tumhen uss baat ki taleem di jissay tum nahi jantay thay
Surah Al-Baqara, Verse 239
وَٱلَّذِينَ يُتَوَفَّوۡنَ مِنكُمۡ وَيَذَرُونَ أَزۡوَٰجٗا وَصِيَّةٗ لِّأَزۡوَٰجِهِم مَّتَٰعًا إِلَى ٱلۡحَوۡلِ غَيۡرَ إِخۡرَاجٖۚ فَإِنۡ خَرَجۡنَ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡكُمۡ فِي مَا فَعَلۡنَ فِيٓ أَنفُسِهِنَّ مِن مَّعۡرُوفٖۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
Jo log tum mein say fot hojayen aur biwiyan chor jayen woh waseeyat ker jayen kay unn ki biwiyan saal bhar tak faeeda uthayen unhen koi na nikalay haan agar woh khud nikal jayen to tum per iss mein koi gunah nahi jo woh apney liye achai say keren Allah Taalaa ghalib aur hakeem hai
Surah Al-Baqara, Verse 240
وَلِلۡمُطَلَّقَٰتِ مَتَٰعُۢ بِٱلۡمَعۡرُوفِۖ حَقًّا عَلَى ٱلۡمُتَّقِينَ
Tallaq waliyon ko achi tarah faeeda dena perhezgaron per lazim hai
Surah Al-Baqara, Verse 241
كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ
Allah Taalaa issi tarah apni aayaten tum per zahir ker raha farma raha hai takay tum samjho
Surah Al-Baqara, Verse 242
۞أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ خَرَجُواْ مِن دِيَٰرِهِمۡ وَهُمۡ أُلُوفٌ حَذَرَ ٱلۡمَوۡتِ فَقَالَ لَهُمُ ٱللَّهُ مُوتُواْ ثُمَّ أَحۡيَٰهُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَذُو فَضۡلٍ عَلَى ٱلنَّاسِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَشۡكُرُونَ
Kiya tum ney unhen nahi dekha jo hazaron ki tadaad mein thay aur maut kay darr kay maaray apney gharon say nikal kharay huye thay Allah Taalaa ney unhen farmaya marr jao phir unhen zinda ker diya be-shak Allah Taalaa logon per bara fazal wala hai lekin aksar log na shukray hain
Surah Al-Baqara, Verse 243
وَقَٰتِلُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٞ
Allah ki raah mein jihad kero aur jaan lo kay Allah Taalaa sunta janta hai
Surah Al-Baqara, Verse 244
مَّن ذَا ٱلَّذِي يُقۡرِضُ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗا فَيُضَٰعِفَهُۥ لَهُۥٓ أَضۡعَافٗا كَثِيرَةٗۚ وَٱللَّهُ يَقۡبِضُ وَيَبۡصُۜطُ وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
Aisa bhi koi hai jo Allah Taalaa ko acha qarz dey pus Allah Taalaa ussay boht barha charha ker ata farmaye Allah hi tangi aur kushadgi kerta hai aur tum sab ussi ki taraf lotaye jao gay
Surah Al-Baqara, Verse 245
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلۡمَلَإِ مِنۢ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ مِنۢ بَعۡدِ مُوسَىٰٓ إِذۡ قَالُواْ لِنَبِيّٖ لَّهُمُ ٱبۡعَثۡ لَنَا مَلِكٗا نُّقَٰتِلۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۖ قَالَ هَلۡ عَسَيۡتُمۡ إِن كُتِبَ عَلَيۡكُمُ ٱلۡقِتَالُ أَلَّا تُقَٰتِلُواْۖ قَالُواْ وَمَا لَنَآ أَلَّا نُقَٰتِلَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَقَدۡ أُخۡرِجۡنَا مِن دِيَٰرِنَا وَأَبۡنَآئِنَاۖ فَلَمَّا كُتِبَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقِتَالُ تَوَلَّوۡاْ إِلَّا قَلِيلٗا مِّنۡهُمۡۚ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِٱلظَّـٰلِمِينَ
Kiya aap ney (hazrat) musa kay baad wali bani israeel ki jamat ko nahi dekha jab kay unhon ney apney payghumbar say kaha kay kissi ko humara badshah bana dijiye takay hum Allah ki raah mein jihad keren. Payghumbar ney kaha mumkin hai jihad farz hojaney kay baad tum jihad na kero unhon ney kaha bhala hum Allah ki raah mein jihad kiyon na keren gay? Hum to apney gharon say ujaray gaye hain aur bachon say door ker diye gaye hain. Phir jab unn per jihad farz hua to siwaye thoray say logon kay sab phir gaye aur Allah Taalaa zalimon ko khoob janta hai
Surah Al-Baqara, Verse 246
وَقَالَ لَهُمۡ نَبِيُّهُمۡ إِنَّ ٱللَّهَ قَدۡ بَعَثَ لَكُمۡ طَالُوتَ مَلِكٗاۚ قَالُوٓاْ أَنَّىٰ يَكُونُ لَهُ ٱلۡمُلۡكُ عَلَيۡنَا وَنَحۡنُ أَحَقُّ بِٱلۡمُلۡكِ مِنۡهُ وَلَمۡ يُؤۡتَ سَعَةٗ مِّنَ ٱلۡمَالِۚ قَالَ إِنَّ ٱللَّهَ ٱصۡطَفَىٰهُ عَلَيۡكُمۡ وَزَادَهُۥ بَسۡطَةٗ فِي ٱلۡعِلۡمِ وَٱلۡجِسۡمِۖ وَٱللَّهُ يُؤۡتِي مُلۡكَهُۥ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ وَٰسِعٌ عَلِيمٞ
Aur unhen unn kay nabi ney farmaya kay Allah Taalaa ney taloot ko tumahra badshah bana diya hai to kehney lagay bhala uss ki hum per hukoomat kaisay ho sakti hai? Uss say to boht ziyada haq daar badshaat kay hum hain uss ko to maali kushadgi bhi nahi di gaee. Nabi ney farmaya suno Allah Taalaa ney ussi ko tum per bar gazeedah kiya hai aur ussay ilmi aur jismani bartari bhi ata farmaee hai baat yeh hai kay Allah jisay chahaye apna mulk dey Allah Taalaa kushadgi wala aur ilm wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 247
وَقَالَ لَهُمۡ نَبِيُّهُمۡ إِنَّ ءَايَةَ مُلۡكِهِۦٓ أَن يَأۡتِيَكُمُ ٱلتَّابُوتُ فِيهِ سَكِينَةٞ مِّن رَّبِّكُمۡ وَبَقِيَّةٞ مِّمَّا تَرَكَ ءَالُ مُوسَىٰ وَءَالُ هَٰرُونَ تَحۡمِلُهُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لَّكُمۡ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Unn kay nabi ney unhen phir kaha kay uss ki badshaat ki zahiri nishani yeh hai kay tumharay pass woh sandooq aa jaye ga jiss mein tumharay rab ki taraf say dil jamaee aur aal-e-musa aur aal-e-haroon ka baqiya tarqa hai farishtay ussay utha ker layen gay. Yaqeenan yeh to tumharay liye khuli daleel hai agar tum eman laye ho
Surah Al-Baqara, Verse 248
فَلَمَّا فَصَلَ طَالُوتُ بِٱلۡجُنُودِ قَالَ إِنَّ ٱللَّهَ مُبۡتَلِيكُم بِنَهَرٖ فَمَن شَرِبَ مِنۡهُ فَلَيۡسَ مِنِّي وَمَن لَّمۡ يَطۡعَمۡهُ فَإِنَّهُۥ مِنِّيٓ إِلَّا مَنِ ٱغۡتَرَفَ غُرۡفَةَۢ بِيَدِهِۦۚ فَشَرِبُواْ مِنۡهُ إِلَّا قَلِيلٗا مِّنۡهُمۡۚ فَلَمَّا جَاوَزَهُۥ هُوَ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَعَهُۥ قَالُواْ لَا طَاقَةَ لَنَا ٱلۡيَوۡمَ بِجَالُوتَ وَجُنُودِهِۦۚ قَالَ ٱلَّذِينَ يَظُنُّونَ أَنَّهُم مُّلَٰقُواْ ٱللَّهِ كَم مِّن فِئَةٖ قَلِيلَةٍ غَلَبَتۡ فِئَةٗ كَثِيرَةَۢ بِإِذۡنِ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ مَعَ ٱلصَّـٰبِرِينَ
Jab (hazrat) taloot lashkaron ko ley ker niklay to kaha suno Allah Taalaa tumhen aik nehar say aazmaney wala hai jiss ney uss mein say pani pi liya woh mera nahi aur jo ussay na chakhay woh mera hai haan yeh aur baat hai kay apney haath say aik chillo bhar ley. Lekin siwaye chand kay baqi sab ney woh pani pi liya (hazrat) taloot momineen samet jab nehar say guzar gaye to woh kehney lagay aaj to hum mein taqat nahi kay jaloot aur uss kay lashkaron say laren. Lekin Allah Taalaa ki mulaqat ka yaqeen rakhney walon ney kaha basa oqat choti aur thori si jamaten bari aur boht si jamaton per Allah kay hukum say ghalba paa leti hain Allah Taalaa sabar kerney walon kay sath hai
Surah Al-Baqara, Verse 249
وَلَمَّا بَرَزُواْ لِجَالُوتَ وَجُنُودِهِۦ قَالُواْ رَبَّنَآ أَفۡرِغۡ عَلَيۡنَا صَبۡرٗا وَثَبِّتۡ أَقۡدَامَنَا وَٱنصُرۡنَا عَلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Jab unn ka jaloot aur uss kay lashkar say muqabla hua to unhon ney dua maangi kay aey perwerdigar humen sabar dey sabit qadmi dey aur qom-e-kuffaar per humari madad farma
Surah Al-Baqara, Verse 250
فَهَزَمُوهُم بِإِذۡنِ ٱللَّهِ وَقَتَلَ دَاوُۥدُ جَالُوتَ وَءَاتَىٰهُ ٱللَّهُ ٱلۡمُلۡكَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَعَلَّمَهُۥ مِمَّا يَشَآءُۗ وَلَوۡلَا دَفۡعُ ٱللَّهِ ٱلنَّاسَ بَعۡضَهُم بِبَعۡضٖ لَّفَسَدَتِ ٱلۡأَرۡضُ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ ذُو فَضۡلٍ عَلَى ٱلۡعَٰلَمِينَ
Chunacha Allah Taalaa kay hukum say unhon ney jalootiyon ko shikast dey di aur (hazrat) dawood (alh-e-salam) ko mamlikat-o-hikmat aur jitna kuch chaha ilm bhi ata farmaya. Agar Allah Taalaa baaz logon ko baaz say dafa na kerta to zamin mein fasad phel jata lekin Allah Taalaa duniya walon per bara fazal-o-karam kerney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 251
تِلۡكَ ءَايَٰتُ ٱللَّهِ نَتۡلُوهَا عَلَيۡكَ بِٱلۡحَقِّۚ وَإِنَّكَ لَمِنَ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
Yeh Allah Taalaa ki aayaten hain jinhen hum haqqaaniyat kay sath aap per parhtay hain bil yaqeen aap rasoolon mein say hain
Surah Al-Baqara, Verse 252
۞تِلۡكَ ٱلرُّسُلُ فَضَّلۡنَا بَعۡضَهُمۡ عَلَىٰ بَعۡضٖۘ مِّنۡهُم مَّن كَلَّمَ ٱللَّهُۖ وَرَفَعَ بَعۡضَهُمۡ دَرَجَٰتٖۚ وَءَاتَيۡنَا عِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ٱلۡبَيِّنَٰتِ وَأَيَّدۡنَٰهُ بِرُوحِ ٱلۡقُدُسِۗ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَا ٱقۡتَتَلَ ٱلَّذِينَ مِنۢ بَعۡدِهِم مِّنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَتۡهُمُ ٱلۡبَيِّنَٰتُ وَلَٰكِنِ ٱخۡتَلَفُواْ فَمِنۡهُم مَّنۡ ءَامَنَ وَمِنۡهُم مَّن كَفَرَۚ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَا ٱقۡتَتَلُواْ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يَفۡعَلُ مَا يُرِيدُ
Yeh rasool hain jin mein say hum ney baaz ko baaz per fazilat di hai inn mein say baaz woh hain jin say Allah Taalaa ney baat cheet ki hai aur baaz kay darjay buland kiye hain aur hum ney essa bin marium ko moajzaat ata farmaye aur rooh-ul-qudus say unn ki taeed ki. Agar Allah Taalaa chahata to unn kay baad aaney walay apney pass daleel aajaney kay baad hegiz aapas mein laraee bhiraee na kertay lekin unn logon ney ikhtilaf kiya inn mein say baaz to momin huye aur baaz kafir aur agar Allah Taalaa chahata to yeh aapas mein na lartay lekin Allah Taalaa jo chahata hai kerta hai
Surah Al-Baqara, Verse 253
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَنفِقُواْ مِمَّا رَزَقۡنَٰكُم مِّن قَبۡلِ أَن يَأۡتِيَ يَوۡمٞ لَّا بَيۡعٞ فِيهِ وَلَا خُلَّةٞ وَلَا شَفَٰعَةٞۗ وَٱلۡكَٰفِرُونَ هُمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Aey eman walon hum ney tumhen dey rakha hai uss mein say kharach kertay raho iss say pehlay kay woh din aaye jiss mein na tijarat hai na dosti aur shifaat aur kafir hi zalim hain
Surah Al-Baqara, Verse 254
ٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ٱلۡحَيُّ ٱلۡقَيُّومُۚ لَا تَأۡخُذُهُۥ سِنَةٞ وَلَا نَوۡمٞۚ لَّهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۗ مَن ذَا ٱلَّذِي يَشۡفَعُ عِندَهُۥٓ إِلَّا بِإِذۡنِهِۦۚ يَعۡلَمُ مَا بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَمَا خَلۡفَهُمۡۖ وَلَا يُحِيطُونَ بِشَيۡءٖ مِّنۡ عِلۡمِهِۦٓ إِلَّا بِمَا شَآءَۚ وَسِعَ كُرۡسِيُّهُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَۖ وَلَا يَـُٔودُهُۥ حِفۡظُهُمَاۚ وَهُوَ ٱلۡعَلِيُّ ٱلۡعَظِيمُ
Allah Taalaa hi mabood-e-bar haq hai jiss kay siwa koi mabood nahi jo zinda aur sab kay thamney wala hai jissay na oongh aaye na neend uss ki milkiyat mein zamin aur aasmanon ki tamam cheezen hain. Kaun hai jo uss ki ijazat kay baghair uss kay samney shifaat ker sakay woh janta hai jo inn kay samney hai aur jo inn kay peechay hai aur woh iss kay ilm mein say kissi cheez ka ehaata nahi ker saktay magar jitna woh chahaye uss ki kursi ki wusat ney zamin-o-aasman ko gher rakha hai aur Allah Taalaa inn ki hifazat say na thakta na uktata hai woh to boht buland aur boht bara hai
Surah Al-Baqara, Verse 255
لَآ إِكۡرَاهَ فِي ٱلدِّينِۖ قَد تَّبَيَّنَ ٱلرُّشۡدُ مِنَ ٱلۡغَيِّۚ فَمَن يَكۡفُرۡ بِٱلطَّـٰغُوتِ وَيُؤۡمِنۢ بِٱللَّهِ فَقَدِ ٱسۡتَمۡسَكَ بِٱلۡعُرۡوَةِ ٱلۡوُثۡقَىٰ لَا ٱنفِصَامَ لَهَاۗ وَٱللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٌ
Deen kay baray mein koi zabardasti nahi hodayat zalalat say roshan ho chuki hai iss liye jo shaks Allah Taalaa kay siwa doosray maboodon ka inkar ker kay Allah Taalaa per eman laye uss ney mazboot karay ko thaam liya jo kabhi na tootay ga aur Allah Taalaa sunney wala janney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 256
ٱللَّهُ وَلِيُّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ يُخۡرِجُهُم مِّنَ ٱلظُّلُمَٰتِ إِلَى ٱلنُّورِۖ وَٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ أَوۡلِيَآؤُهُمُ ٱلطَّـٰغُوتُ يُخۡرِجُونَهُم مِّنَ ٱلنُّورِ إِلَى ٱلظُّلُمَٰتِۗ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Eman laney walon ka kaar saaz Allah Taalaa khud hai woh eunhen andheron say roshni ki taraf nikal ley jata hai aur kafiron kay auliya shayateen hain. Woh enhen roshni say nikal ker andheron ki taraf ley jatay hain yeh log jahannumi hain jo hamesha issi mein paray rahen gay
Surah Al-Baqara, Verse 257
أَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِي حَآجَّ إِبۡرَٰهِـۧمَ فِي رَبِّهِۦٓ أَنۡ ءَاتَىٰهُ ٱللَّهُ ٱلۡمُلۡكَ إِذۡ قَالَ إِبۡرَٰهِـۧمُ رَبِّيَ ٱلَّذِي يُحۡيِۦ وَيُمِيتُ قَالَ أَنَا۠ أُحۡيِۦ وَأُمِيتُۖ قَالَ إِبۡرَٰهِـۧمُ فَإِنَّ ٱللَّهَ يَأۡتِي بِٱلشَّمۡسِ مِنَ ٱلۡمَشۡرِقِ فَأۡتِ بِهَا مِنَ ٱلۡمَغۡرِبِ فَبُهِتَ ٱلَّذِي كَفَرَۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Kiya tu ney ussay nahi dekha jo saltanat paa ker ibrahim (alh-e-salam) say uss kay rab kay baray mein jhagar raha tha jab ibrahim (alh-e-salam) ney kaha mera rab to woh hai jo jilata aur maarta hai woh kehney laga mein bhi jilata aur maarta hun ibrahim (alh-e-salam) ney kaha Allah Taalaa sooraj ko mashriq ki taraf say ley aata hai tu issay maghrib ki janib say ley aa. Abb to woh kafir bhoncka reh gaya aur Allah Taalaa zalimon ko hidayat nahi deta
Surah Al-Baqara, Verse 258
أَوۡ كَٱلَّذِي مَرَّ عَلَىٰ قَرۡيَةٖ وَهِيَ خَاوِيَةٌ عَلَىٰ عُرُوشِهَا قَالَ أَنَّىٰ يُحۡيِۦ هَٰذِهِ ٱللَّهُ بَعۡدَ مَوۡتِهَاۖ فَأَمَاتَهُ ٱللَّهُ مِاْئَةَ عَامٖ ثُمَّ بَعَثَهُۥۖ قَالَ كَمۡ لَبِثۡتَۖ قَالَ لَبِثۡتُ يَوۡمًا أَوۡ بَعۡضَ يَوۡمٖۖ قَالَ بَل لَّبِثۡتَ مِاْئَةَ عَامٖ فَٱنظُرۡ إِلَىٰ طَعَامِكَ وَشَرَابِكَ لَمۡ يَتَسَنَّهۡۖ وَٱنظُرۡ إِلَىٰ حِمَارِكَ وَلِنَجۡعَلَكَ ءَايَةٗ لِّلنَّاسِۖ وَٱنظُرۡ إِلَى ٱلۡعِظَامِ كَيۡفَ نُنشِزُهَا ثُمَّ نَكۡسُوهَا لَحۡمٗاۚ فَلَمَّا تَبَيَّنَ لَهُۥ قَالَ أَعۡلَمُ أَنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Ya uss shaks ki manind kay jiss ka guzar uss basti per hua jo chatt kay bal ondhi pari hui thi woh kehney laga iss ki maut kay baad Allah Taalaa issay kiss tarah zinda keray ga? To Allah Taalaa ney ussay maar diya so saal kay liye phir ussay uthaya pooha kitni muddat tujh pe guzri? Kehney laga aik din ya din ka kuch hissa farmaya bulkay tu so saal tak raha phir abb tu apney khaney peenay ko dekh kay bilkul kharab nahi hua aur apney gadhay ko bhi dekh hum tujhay logon kay liye aik nishani banatay hain tu dekh kay hum haddiyon ko kiss tarah uthatay hain phir unn per gosht charhatay hain jab yeh sab zahir ho chuka to kehney laga mein janta hun kay Allah Taalaa her cheez per qadir hai
Surah Al-Baqara, Verse 259
وَإِذۡ قَالَ إِبۡرَٰهِـۧمُ رَبِّ أَرِنِي كَيۡفَ تُحۡيِ ٱلۡمَوۡتَىٰۖ قَالَ أَوَلَمۡ تُؤۡمِنۖ قَالَ بَلَىٰ وَلَٰكِن لِّيَطۡمَئِنَّ قَلۡبِيۖ قَالَ فَخُذۡ أَرۡبَعَةٗ مِّنَ ٱلطَّيۡرِ فَصُرۡهُنَّ إِلَيۡكَ ثُمَّ ٱجۡعَلۡ عَلَىٰ كُلِّ جَبَلٖ مِّنۡهُنَّ جُزۡءٗا ثُمَّ ٱدۡعُهُنَّ يَأۡتِينَكَ سَعۡيٗاۚ وَٱعۡلَمۡ أَنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
Aur jab ibrahim (alh-e-salam) ney kaha aey meray perwerdigar! Mujhay dikha tu murdon ko kiss tarah zinda keray ga? (janab-e-bari taalaa ney) farmaya kiya tumhen eman nahi? Jawab diya eman to hai lekin meray dil ko taskeen hojayegi farmaya chaar parind lo unn kay tukray ker dalo phir her pahar per inn ka aik aik tukra rakh do phir enehn pukaro tumharay pass dortay huye aajayen gay aur jaan rakho kay Allah Taalaa ghalib hai hikmaton wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 260
مَّثَلُ ٱلَّذِينَ يُنفِقُونَ أَمۡوَٰلَهُمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ كَمَثَلِ حَبَّةٍ أَنۢبَتَتۡ سَبۡعَ سَنَابِلَ فِي كُلِّ سُنۢبُلَةٖ مِّاْئَةُ حَبَّةٖۗ وَٱللَّهُ يُضَٰعِفُ لِمَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ وَٰسِعٌ عَلِيمٌ
Jo log apna maal Allah Taalaa ki raah mein kharach kertay hain uss ki misal uss daney jaisi hai jiss mein saat baliyan niklen aur her bali mein so daney hon aur Allah Taalaa jissay chahaye barha charha ker dey aur Allah Taalaa kushadgi wala aur ilm wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 261
ٱلَّذِينَ يُنفِقُونَ أَمۡوَٰلَهُمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ ثُمَّ لَا يُتۡبِعُونَ مَآ أَنفَقُواْ مَنّٗا وَلَآ أَذٗى لَّهُمۡ أَجۡرُهُمۡ عِندَ رَبِّهِمۡ وَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Jo log apna maal Allah Taalaa ki raah mein kharach kertay hain phir uss kay baad na to ehsan jatatay hain aur na ezza detay hain unn ka ajar unn kay rab kay pass hai unn per na to kuch khof hai na woh udas hongay
Surah Al-Baqara, Verse 262
۞قَوۡلٞ مَّعۡرُوفٞ وَمَغۡفِرَةٌ خَيۡرٞ مِّن صَدَقَةٖ يَتۡبَعُهَآ أَذٗىۗ وَٱللَّهُ غَنِيٌّ حَلِيمٞ
Naram baat kehna aur moaf ker dena uss sadqay say behtar hai jiss kay baad ezza rasani ho aur Allah Taalaa bey niaz aur burdbaar hai
Surah Al-Baqara, Verse 263
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تُبۡطِلُواْ صَدَقَٰتِكُم بِٱلۡمَنِّ وَٱلۡأَذَىٰ كَٱلَّذِي يُنفِقُ مَالَهُۥ رِئَآءَ ٱلنَّاسِ وَلَا يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۖ فَمَثَلُهُۥ كَمَثَلِ صَفۡوَانٍ عَلَيۡهِ تُرَابٞ فَأَصَابَهُۥ وَابِلٞ فَتَرَكَهُۥ صَلۡدٗاۖ لَّا يَقۡدِرُونَ عَلَىٰ شَيۡءٖ مِّمَّا كَسَبُواْۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Aey eman walon apni kheyraat ko ehsan jata ker aur ezza phoncha ker barbad na kero! Jiss tarah woh shaks apna maal logon kay dikhaway kay liye kharach keray aur na Allah Taalaa per eman rakhay na qayamat per uss ki misal uss saaf pathar ki tarah hai jiss per thori si mitti ho phir uss per zor daar meenh barsay aur woh issay bilkul saaf aur sakht chor dey inn riya kaaron ko apni kamaee mein say kuch cheez haath nahi lagti aur Allah Taalaa kafiron ki qom ko (seedhi) raah nahi dikhata
Surah Al-Baqara, Verse 264
وَمَثَلُ ٱلَّذِينَ يُنفِقُونَ أَمۡوَٰلَهُمُ ٱبۡتِغَآءَ مَرۡضَاتِ ٱللَّهِ وَتَثۡبِيتٗا مِّنۡ أَنفُسِهِمۡ كَمَثَلِ جَنَّةِۭ بِرَبۡوَةٍ أَصَابَهَا وَابِلٞ فَـَٔاتَتۡ أُكُلَهَا ضِعۡفَيۡنِ فَإِن لَّمۡ يُصِبۡهَا وَابِلٞ فَطَلّٞۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٌ
Unn logon ki misal jo apna maal Allah Taalaa ki raza mandi ki talab mein dil ki khushi aur yaqeen kay sath kharach kertay hain uss baagh jaisi hai jo oonchi zamin per ho aur zor daar barish uss per barsay aur woh apna phal dugna laway aur agar uss per barish na bhi barsay o phuwar hi kafi hai aur Allah tumharay kaam dekh raha hai
Surah Al-Baqara, Verse 265
أَيَوَدُّ أَحَدُكُمۡ أَن تَكُونَ لَهُۥ جَنَّةٞ مِّن نَّخِيلٖ وَأَعۡنَابٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ لَهُۥ فِيهَا مِن كُلِّ ٱلثَّمَرَٰتِ وَأَصَابَهُ ٱلۡكِبَرُ وَلَهُۥ ذُرِّيَّةٞ ضُعَفَآءُ فَأَصَابَهَآ إِعۡصَارٞ فِيهِ نَارٞ فَٱحۡتَرَقَتۡۗ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّكُمۡ تَتَفَكَّرُونَ
Kiya tum mein say koi yeh bhi chahata hai kay uss ka khujooron aur angooron ka baagh ho jiss mein nehren beh rahi hon aur her qisam kay phal mojood hon uss shaks ka burhapa aagaya ho uss kay nannhay nannhay say bachay bhi hon aur achanak baagh ko bagoola lag jaye jiss mein aag bhi ho pus woh baagh jal jaye issi tarah Allah Taalaa tumhara liye aayaten biyan kerta hai takay tum ghor-o-fikar kero
Surah Al-Baqara, Verse 266
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَنفِقُواْ مِن طَيِّبَٰتِ مَا كَسَبۡتُمۡ وَمِمَّآ أَخۡرَجۡنَا لَكُم مِّنَ ٱلۡأَرۡضِۖ وَلَا تَيَمَّمُواْ ٱلۡخَبِيثَ مِنۡهُ تُنفِقُونَ وَلَسۡتُم بِـَٔاخِذِيهِ إِلَّآ أَن تُغۡمِضُواْ فِيهِۚ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ غَنِيٌّ حَمِيدٌ
Aey eman walo! Apni pakeeza kamaee mein say aur zamin mein say tumharay liye humari nikali hui cheezon mein kharach kero inn mein say buri cheezon kay kharach kerney ka qasad na kerna jissay tum khud lenay walay nahi ho haan agar aankhen band ker lo to aur jaan lo kay Allah Taalaa bey perwah aur khoobiyon wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 267
ٱلشَّيۡطَٰنُ يَعِدُكُمُ ٱلۡفَقۡرَ وَيَأۡمُرُكُم بِٱلۡفَحۡشَآءِۖ وَٱللَّهُ يَعِدُكُم مَّغۡفِرَةٗ مِّنۡهُ وَفَضۡلٗاۗ وَٱللَّهُ وَٰسِعٌ عَلِيمٞ
Shetan tumhen faqeeri say dhamkata hai aur bey hayaee ka hukum deta hai aur Allah Taalaa tum say apni bakshish aur fazal ka wada kerta hai Allah Taalaa wusat wala aur ilm wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 268
يُؤۡتِي ٱلۡحِكۡمَةَ مَن يَشَآءُۚ وَمَن يُؤۡتَ ٱلۡحِكۡمَةَ فَقَدۡ أُوتِيَ خَيۡرٗا كَثِيرٗاۗ وَمَا يَذَّكَّرُ إِلَّآ أُوْلُواْ ٱلۡأَلۡبَٰبِ
Woh jissay chahaye hikmat aur danaee deta hai aur jo shaks hikmat aur samajh diya jaye woh boht sari bhalaee diya gaya aur naseehat sirf aqal mand hi hasil kertay hain
Surah Al-Baqara, Verse 269
وَمَآ أَنفَقۡتُم مِّن نَّفَقَةٍ أَوۡ نَذَرۡتُم مِّن نَّذۡرٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُهُۥۗ وَمَا لِلظَّـٰلِمِينَ مِنۡ أَنصَارٍ
Tum jitna kuch kharach kero yani kheyraat aur jo kuch naza maano ussay Allah Taalaa bakhoobi janta hai aur zalimon ka koi madadgar nahi
Surah Al-Baqara, Verse 270
إِن تُبۡدُواْ ٱلصَّدَقَٰتِ فَنِعِمَّا هِيَۖ وَإِن تُخۡفُوهَا وَتُؤۡتُوهَا ٱلۡفُقَرَآءَ فَهُوَ خَيۡرٞ لَّكُمۡۚ وَيُكَفِّرُ عَنكُم مِّن سَيِّـَٔاتِكُمۡۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ خَبِيرٞ
Agar tum sadqay kheyraat ko zahir kero to woh bhi acha hai aur agar tum issay posheeda posheeda miskeenon ko dey do to yeh tumharay haq mein behtar hai Allah Taalaa tumharay gunahon ko mita dey ga aur Allah Taalaa tumharay tamam aemaal ki khabar rakhney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 271
۞لَّيۡسَ عَلَيۡكَ هُدَىٰهُمۡ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يَهۡدِي مَن يَشَآءُۗ وَمَا تُنفِقُواْ مِنۡ خَيۡرٖ فَلِأَنفُسِكُمۡۚ وَمَا تُنفِقُونَ إِلَّا ٱبۡتِغَآءَ وَجۡهِ ٱللَّهِۚ وَمَا تُنفِقُواْ مِنۡ خَيۡرٖ يُوَفَّ إِلَيۡكُمۡ وَأَنتُمۡ لَا تُظۡلَمُونَ
Enhen hidayat per laa khara kerna teray zimmay nahi bulkay hidayat Allah Taalaa deta hai jissay chahata hai aur tum jo bhali cheez Allah ki raah mein do gay uss ka faeeda khud pao gay. Tumhen sirf Allah ki raza mandi ki talab kay liye hi kharach kerna chahaiye tum jo kuch maal kharach kero gay uss ka poora poora badla umhen diya jaye ga aur tumhara haq na maara jaye ga
Surah Al-Baqara, Verse 272
لِلۡفُقَرَآءِ ٱلَّذِينَ أُحۡصِرُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ لَا يَسۡتَطِيعُونَ ضَرۡبٗا فِي ٱلۡأَرۡضِ يَحۡسَبُهُمُ ٱلۡجَاهِلُ أَغۡنِيَآءَ مِنَ ٱلتَّعَفُّفِ تَعۡرِفُهُم بِسِيمَٰهُمۡ لَا يَسۡـَٔلُونَ ٱلنَّاسَ إِلۡحَافٗاۗ وَمَا تُنفِقُواْ مِنۡ خَيۡرٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ بِهِۦ عَلِيمٌ
Sadqaat kay mustahiq sirf woh ghurba hain jo Allah ki raah mein rok diye gaye hain jo mulk mein chal phir nahi saktay nadan log inn ki bey sawali ki waja say enhen maal daar khayal kertay hain app inn kay chehray dekh ker qayafa say enhen pehchan len gay woh logon say chimat ker sawal nahi kertay tum jo kuch maal kharach kero to Allah Taalaa uss ka janney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 273
ٱلَّذِينَ يُنفِقُونَ أَمۡوَٰلَهُم بِٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ سِرّٗا وَعَلَانِيَةٗ فَلَهُمۡ أَجۡرُهُمۡ عِندَ رَبِّهِمۡ وَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Jo log apney maalon ko raat din chupay khulay kharach kertay hain unn kay liye unn kay rab taalaa kay pass ajar hai aur na unhen khof hai aur na ghumgeeni
Surah Al-Baqara, Verse 274
ٱلَّذِينَ يَأۡكُلُونَ ٱلرِّبَوٰاْ لَا يَقُومُونَ إِلَّا كَمَا يَقُومُ ٱلَّذِي يَتَخَبَّطُهُ ٱلشَّيۡطَٰنُ مِنَ ٱلۡمَسِّۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَالُوٓاْ إِنَّمَا ٱلۡبَيۡعُ مِثۡلُ ٱلرِّبَوٰاْۗ وَأَحَلَّ ٱللَّهُ ٱلۡبَيۡعَ وَحَرَّمَ ٱلرِّبَوٰاْۚ فَمَن جَآءَهُۥ مَوۡعِظَةٞ مِّن رَّبِّهِۦ فَٱنتَهَىٰ فَلَهُۥ مَا سَلَفَ وَأَمۡرُهُۥٓ إِلَى ٱللَّهِۖ وَمَنۡ عَادَ فَأُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Sood khor log na kharay hongay magar ussi tarah jiss tarah woh khara hota hai jissay shetan chu ker khabti bana dey yeh iss liye kay yeh kaha kertay thay kay tijarat bhi to sood hi ki tarah hai halankay Allah Taalaa ney tijarat ko halal kiya aur sood ko haram jo shaks apney pass aaee hui Allah Taalaa ki naseehat sunn ker ruk gaya uss kay liye woh hai jo guzra aur uss ka moamla Allah Taalaa ki taraf hai aur jo phir doobara (haram ki taraf) lota woh jahannumi hai aisay log hamesha hi uss mein rahen gay
Surah Al-Baqara, Verse 275
يَمۡحَقُ ٱللَّهُ ٱلرِّبَوٰاْ وَيُرۡبِي ٱلصَّدَقَٰتِۗ وَٱللَّهُ لَا يُحِبُّ كُلَّ كَفَّارٍ أَثِيمٍ
Allah Taalaa sood ko mitata aur sadqay ko barhata hai aur Allah Taalaa kissi na shukray aur gunehgar say mohabbat nahi kerta
Surah Al-Baqara, Verse 276
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَوُاْ ٱلزَّكَوٰةَ لَهُمۡ أَجۡرُهُمۡ عِندَ رَبِّهِمۡ وَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Be-shak jo log eman kay sath (sunnat kay mutabiq) nek kaam kertay hain namazon ko qaeem kertay aur zakat ada kertay hain unn ka ajar unn kay rab taalaa kay pass hai unn per na to koi khof hai na udasi aur ghum
Surah Al-Baqara, Verse 277
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَذَرُواْ مَا بَقِيَ مِنَ ٱلرِّبَوٰٓاْ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Aey eman walo! Allah Taalaa say daro aur jo sood baqi reh gaya hai woh chor do agar tum sach much eman walay ho
Surah Al-Baqara, Verse 278
فَإِن لَّمۡ تَفۡعَلُواْ فَأۡذَنُواْ بِحَرۡبٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦۖ وَإِن تُبۡتُمۡ فَلَكُمۡ رُءُوسُ أَمۡوَٰلِكُمۡ لَا تَظۡلِمُونَ وَلَا تُظۡلَمُونَ
Aur agar aisa nahi kertay to Allah Taalaa say aur uss kay rasool say larney kay liye tayyar hojao haan agar tauba kerlo to tumhara asal maal tumhara hi hai na tum zulm kero na tum per zulm kiya jaye
Surah Al-Baqara, Verse 279
وَإِن كَانَ ذُو عُسۡرَةٖ فَنَظِرَةٌ إِلَىٰ مَيۡسَرَةٖۚ وَأَن تَصَدَّقُواْ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Aur agar koi tangi wala ho to ussay aasani tak mohlat deni chahaiye aur sadqa kero to tumharya liye boht hi behtar hai agar tum mein ilm ho
Surah Al-Baqara, Verse 280
وَٱتَّقُواْ يَوۡمٗا تُرۡجَعُونَ فِيهِ إِلَى ٱللَّهِۖ ثُمَّ تُوَفَّىٰ كُلُّ نَفۡسٖ مَّا كَسَبَتۡ وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
Aur uss din say daro jiss mein tum sab Allah ki taraf lotaye jao gay aur her shaks ko uss kay aemaal ka poora poora badla diya jayega aur unn per zulm nahi kiya jaye ga
Surah Al-Baqara, Verse 281
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا تَدَايَنتُم بِدَيۡنٍ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمّٗى فَٱكۡتُبُوهُۚ وَلۡيَكۡتُب بَّيۡنَكُمۡ كَاتِبُۢ بِٱلۡعَدۡلِۚ وَلَا يَأۡبَ كَاتِبٌ أَن يَكۡتُبَ كَمَا عَلَّمَهُ ٱللَّهُۚ فَلۡيَكۡتُبۡ وَلۡيُمۡلِلِ ٱلَّذِي عَلَيۡهِ ٱلۡحَقُّ وَلۡيَتَّقِ ٱللَّهَ رَبَّهُۥ وَلَا يَبۡخَسۡ مِنۡهُ شَيۡـٔٗاۚ فَإِن كَانَ ٱلَّذِي عَلَيۡهِ ٱلۡحَقُّ سَفِيهًا أَوۡ ضَعِيفًا أَوۡ لَا يَسۡتَطِيعُ أَن يُمِلَّ هُوَ فَلۡيُمۡلِلۡ وَلِيُّهُۥ بِٱلۡعَدۡلِۚ وَٱسۡتَشۡهِدُواْ شَهِيدَيۡنِ مِن رِّجَالِكُمۡۖ فَإِن لَّمۡ يَكُونَا رَجُلَيۡنِ فَرَجُلٞ وَٱمۡرَأَتَانِ مِمَّن تَرۡضَوۡنَ مِنَ ٱلشُّهَدَآءِ أَن تَضِلَّ إِحۡدَىٰهُمَا فَتُذَكِّرَ إِحۡدَىٰهُمَا ٱلۡأُخۡرَىٰۚ وَلَا يَأۡبَ ٱلشُّهَدَآءُ إِذَا مَا دُعُواْۚ وَلَا تَسۡـَٔمُوٓاْ أَن تَكۡتُبُوهُ صَغِيرًا أَوۡ كَبِيرًا إِلَىٰٓ أَجَلِهِۦۚ ذَٰلِكُمۡ أَقۡسَطُ عِندَ ٱللَّهِ وَأَقۡوَمُ لِلشَّهَٰدَةِ وَأَدۡنَىٰٓ أَلَّا تَرۡتَابُوٓاْ إِلَّآ أَن تَكُونَ تِجَٰرَةً حَاضِرَةٗ تُدِيرُونَهَا بَيۡنَكُمۡ فَلَيۡسَ عَلَيۡكُمۡ جُنَاحٌ أَلَّا تَكۡتُبُوهَاۗ وَأَشۡهِدُوٓاْ إِذَا تَبَايَعۡتُمۡۚ وَلَا يُضَآرَّ كَاتِبٞ وَلَا شَهِيدٞۚ وَإِن تَفۡعَلُواْ فَإِنَّهُۥ فُسُوقُۢ بِكُمۡۗ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۖ وَيُعَلِّمُكُمُ ٱللَّهُۗ وَٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٞ
Aey eman walon! Jab tum aapas mein tum aik doosray say miyaad-e-muqarrar per qaraz ka moamla kero to issay likh liya kero aur likhney walay ko chahaiye kay tumhara aapas ka moamla adal say likhay kaaib ko chahaiye kay likhney say inkar na keray jaisay Allah Taalaa ney ussay sikhaya hai pus ussay bhi likh dena chahaiye aur jiss kay zimmay haq ho woh likhwaye aur apney Allah say daray jo uss ka rab hai aur haq mein say kuch ghataye nahi haan jiss shkas kay zimmay haq hai woh agar nadan ho ya kamzor ho ya likhwaney ki taqat na rakhta ho to uss ka wali adal kay sath likhwa dey aur apney mein say do mard gawah rakh lo agar do mard na hon to aik mard aur do aurten jinhen tum gawahon mein sy pasand ker lo takay aik ki bhool chook ko doosri yaad dila dey aur gawahon ko chahaiye kay woh jab bulayen jayen to inkar na keren aur qaraz ko jiss ko muddat muqarrar hai khuwa chota ho ya bara ho likhney mein kahili na kero Allah Taalaa key nazdeek yeh baat boht insaf wali hai aur gawahi ko bhi durust rakhney wali aur shak-o-shuba say bhi bachaney wali hai haan yeh aur baat hai kay woh moamla naqad tijarat ki shakal mein ho jo aapas mein tum lain dain ker rahey ho to tum per iss kay na likhney mein koi gunah nahi. Khareed-o-farokht kay waqt bhi gawah muqarrar ker liya kero aur (yaad rakho kay) na to likhney walay ko nuksan phonchaya jaye na gawah ko aur agar tum yeh kero to yeh tumhari khuli na farmani hai Allah Taalaa say daro Allah tumhen taleem dey raha hai aur Allah Taalaa her cheez ko khoob janney wala hai
Surah Al-Baqara, Verse 282
۞وَإِن كُنتُمۡ عَلَىٰ سَفَرٖ وَلَمۡ تَجِدُواْ كَاتِبٗا فَرِهَٰنٞ مَّقۡبُوضَةٞۖ فَإِنۡ أَمِنَ بَعۡضُكُم بَعۡضٗا فَلۡيُؤَدِّ ٱلَّذِي ٱؤۡتُمِنَ أَمَٰنَتَهُۥ وَلۡيَتَّقِ ٱللَّهَ رَبَّهُۥۗ وَلَا تَكۡتُمُواْ ٱلشَّهَٰدَةَۚ وَمَن يَكۡتُمۡهَا فَإِنَّهُۥٓ ءَاثِمٞ قَلۡبُهُۥۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ عَلِيمٞ
Aur agar tum safar mein ho aur likhney wala na pao to rehan qabzay mein rakh liya kero haan agar aapas mein aik doosray say mutmaeen ho to jissay amanat di gaee hai woh ussay ada ker dey aur Allah Taalaa say darat rahey jo uss ka rab hai aur gawahi ko na chupao aur jo issay chupa ley woh gunehgar dil wala hai aur jo kuch tum kertay ho ussay Allah Taalaa khoob janta hai
Surah Al-Baqara, Verse 283
لِّلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۗ وَإِن تُبۡدُواْ مَا فِيٓ أَنفُسِكُمۡ أَوۡ تُخۡفُوهُ يُحَاسِبۡكُم بِهِ ٱللَّهُۖ فَيَغۡفِرُ لِمَن يَشَآءُ وَيُعَذِّبُ مَن يَشَآءُۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ
Aasmanon aur zamin ki her cheez Allah Taalaa hi ki milkiyat hai. Tumharay dilon mein jo kuch hai ussay tum zahir kero ya chupao Allah Taalaa uss ka hisab tum say ley ga. Phir jissay chahaye bakshay aur jissay chahaye saza dey aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai
Surah Al-Baqara, Verse 284
ءَامَنَ ٱلرَّسُولُ بِمَآ أُنزِلَ إِلَيۡهِ مِن رَّبِّهِۦ وَٱلۡمُؤۡمِنُونَۚ كُلٌّ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَمَلَـٰٓئِكَتِهِۦ وَكُتُبِهِۦ وَرُسُلِهِۦ لَا نُفَرِّقُ بَيۡنَ أَحَدٖ مِّن رُّسُلِهِۦۚ وَقَالُواْ سَمِعۡنَا وَأَطَعۡنَاۖ غُفۡرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيۡكَ ٱلۡمَصِيرُ
Rasool eman laya uss cheez pe jo uss per Allah Taalaa ki janib say utri aur momin bhi eman laye yeh sab Allah Taalaa aur uss kay farishton per aur uss ki kitabon per aur uss kay rasoolon per eman laye uss kay rasoolon mein say kissi mein hum tafareeq nahi kertay unhon ney keh diya kay hum ney suna aur itaat ki hum teri bakshish talab kertay hain aey humaray rab! Aur humen teri taraf hi lotna hai
Surah Al-Baqara, Verse 285
لَا يُكَلِّفُ ٱللَّهُ نَفۡسًا إِلَّا وُسۡعَهَاۚ لَهَا مَا كَسَبَتۡ وَعَلَيۡهَا مَا ٱكۡتَسَبَتۡۗ رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذۡنَآ إِن نَّسِينَآ أَوۡ أَخۡطَأۡنَاۚ رَبَّنَا وَلَا تَحۡمِلۡ عَلَيۡنَآ إِصۡرٗا كَمَا حَمَلۡتَهُۥ عَلَى ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِنَاۚ رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلۡنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِهِۦۖ وَٱعۡفُ عَنَّا وَٱغۡفِرۡ لَنَا وَٱرۡحَمۡنَآۚ أَنتَ مَوۡلَىٰنَا فَٱنصُرۡنَا عَلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Allah Taalaa kissi jaan ko uss ki taqat say ziyada akleef nahi deta jo neki woh keray woh uss kay liye aur jo buraee woh keray woh uss per hai aey humaray rab! Agar hum bhool gaye hon ya khata ki ho to humen na pakarna aey humaray rab! Hum per woh bojh na daal jo hum say pehlay logon pe dala tha aey humaray rab! Hum per woh bojh na daal jiss ki humen taqat na ho aur hum say dar guzar farma! Aur humen baksh dey aur hum per reham ker! Tu hi humara maalik hai humen kafiron ki qom per ghalba ata farma
Surah Al-Baqara, Verse 286