Surah Al-Baqara Verse 258 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Baqaraأَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِي حَآجَّ إِبۡرَٰهِـۧمَ فِي رَبِّهِۦٓ أَنۡ ءَاتَىٰهُ ٱللَّهُ ٱلۡمُلۡكَ إِذۡ قَالَ إِبۡرَٰهِـۧمُ رَبِّيَ ٱلَّذِي يُحۡيِۦ وَيُمِيتُ قَالَ أَنَا۠ أُحۡيِۦ وَأُمِيتُۖ قَالَ إِبۡرَٰهِـۧمُ فَإِنَّ ٱللَّهَ يَأۡتِي بِٱلشَّمۡسِ مِنَ ٱلۡمَشۡرِقِ فَأۡتِ بِهَا مِنَ ٱلۡمَغۡرِبِ فَبُهِتَ ٱلَّذِي كَفَرَۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Kiya tu ney ussay nahi dekha jo saltanat paa ker ibrahim (alh-e-salam) say uss kay rab kay baray mein jhagar raha tha jab ibrahim (alh-e-salam) ney kaha mera rab to woh hai jo jilata aur maarta hai woh kehney laga mein bhi jilata aur maarta hun ibrahim (alh-e-salam) ney kaha Allah Taalaa sooraj ko mashriq ki taraf say ley aata hai tu issay maghrib ki janib say ley aa. Abb to woh kafir bhoncka reh gaya aur Allah Taalaa zalimon ko hidayat nahi deta