Surah Al-Baqara Verse 258 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraأَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِي حَآجَّ إِبۡرَٰهِـۧمَ فِي رَبِّهِۦٓ أَنۡ ءَاتَىٰهُ ٱللَّهُ ٱلۡمُلۡكَ إِذۡ قَالَ إِبۡرَٰهِـۧمُ رَبِّيَ ٱلَّذِي يُحۡيِۦ وَيُمِيتُ قَالَ أَنَا۠ أُحۡيِۦ وَأُمِيتُۖ قَالَ إِبۡرَٰهِـۧمُ فَإِنَّ ٱللَّهَ يَأۡتِي بِٱلشَّمۡسِ مِنَ ٱلۡمَشۡرِقِ فَأۡتِ بِهَا مِنَ ٱلۡمَغۡرِبِ فَبُهِتَ ٱلَّذِي كَفَرَۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Kya tumne us shaks ke haal par gaur nahin kiya jisne Ibrahim se jhagda kiya tha? Jhagda is baat par ke Ibrahim ka Rubb kaun hai, aur is bina par ke us shaks ko Allah ne hukumat de rakkhi thi. Jab Ibrahim ne kaha ke “mera Rubb woh hai, jiske ikhtiyar mein zindagi aur maut hai, to usne jawab diya : “zindagi aur maut mere ikhtiyar mein hai” Ibrahim ne kaha: “ accha, Allah Suraj ko mashirq se nikalta hai, tu zara usey magrib se nikaal la”. Yeh sunkar woh munkir e haqq shashtar (astonish) reh gaya, magar Allah zalimon ko raah e raast nahin dikhaya karta