Surah Al-Baqara Verse 259 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraأَوۡ كَٱلَّذِي مَرَّ عَلَىٰ قَرۡيَةٖ وَهِيَ خَاوِيَةٌ عَلَىٰ عُرُوشِهَا قَالَ أَنَّىٰ يُحۡيِۦ هَٰذِهِ ٱللَّهُ بَعۡدَ مَوۡتِهَاۖ فَأَمَاتَهُ ٱللَّهُ مِاْئَةَ عَامٖ ثُمَّ بَعَثَهُۥۖ قَالَ كَمۡ لَبِثۡتَۖ قَالَ لَبِثۡتُ يَوۡمًا أَوۡ بَعۡضَ يَوۡمٖۖ قَالَ بَل لَّبِثۡتَ مِاْئَةَ عَامٖ فَٱنظُرۡ إِلَىٰ طَعَامِكَ وَشَرَابِكَ لَمۡ يَتَسَنَّهۡۖ وَٱنظُرۡ إِلَىٰ حِمَارِكَ وَلِنَجۡعَلَكَ ءَايَةٗ لِّلنَّاسِۖ وَٱنظُرۡ إِلَى ٱلۡعِظَامِ كَيۡفَ نُنشِزُهَا ثُمَّ نَكۡسُوهَا لَحۡمٗاۚ فَلَمَّا تَبَيَّنَ لَهُۥ قَالَ أَعۡلَمُ أَنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Ya phir misaal ke taur par us shaks ko dekho jiska guzar ek aisi basti par hua jo apni chathon (canopies) par aundhi giri padi thi. Usne kaha : “yeh abaadi , jo halaak ho chuki hai, isey Allah kis tarah dobara zindagi bakshega ?” Ispar Allah ne uski rooh qabz karli aur woh sau (hundred) baras tak murda pada raha, phir Allah ne usey dobara zindagi bakshi aur ussey pucha: “batao, kitni muddat padey rahey ho?” Usne kaha: “ ek din ya chandh ghante raha honga”. Farmaya: “ tumpar sau baras isi halat mein guzar chuke hain, ab zara apne khane aur pani ko dekho ke ismein zara tagayyur (changes) nahin aaya hai, dusri taraf zara apne gadhey (donkey) ko bhi dekho [ke iska panjar (skeleton) tak boseeda(rot) ho raha hai] aur yeh humne isliye kiya hai ke hum tumhein logon ke liye ek nishani bana dena chahte hain, phir dekho ke haddiyon ke is panjar (skeleton) ko hum kis tarah utha kar gosht posht ispar chadhate hain”. Is tarah jab haqeeqat uske saamne bilkul numayan ho gayi, to usne kaha: “main jaanta hoon ke Allah har cheez par qudrat rakhta hai”