Surah Al-Baqara Verse 260 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَإِذۡ قَالَ إِبۡرَٰهِـۧمُ رَبِّ أَرِنِي كَيۡفَ تُحۡيِ ٱلۡمَوۡتَىٰۖ قَالَ أَوَلَمۡ تُؤۡمِنۖ قَالَ بَلَىٰ وَلَٰكِن لِّيَطۡمَئِنَّ قَلۡبِيۖ قَالَ فَخُذۡ أَرۡبَعَةٗ مِّنَ ٱلطَّيۡرِ فَصُرۡهُنَّ إِلَيۡكَ ثُمَّ ٱجۡعَلۡ عَلَىٰ كُلِّ جَبَلٖ مِّنۡهُنَّ جُزۡءٗا ثُمَّ ٱدۡعُهُنَّ يَأۡتِينَكَ سَعۡيٗاۚ وَٱعۡلَمۡ أَنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
Aur woh waqiya bhi pesh e nazar rahey, jab Ibrahim ne kaha tha ke: “ mere maalik, mujhey dikha de tu murdon ko kaise zinda karta hai” Farmaya: “kya tu iman nahin rakhta?” usne arz kiya “iman to rakhta hoon, magar dil ka itminaan darkaar hai”, Farmaya: “ accha to chaar parindey le aur unko apne se manoos (incline/tame) karle phir unka ek ek juz (part) ek ek pahaad par rakhde phir unko pukaar, woh tere paas daude chale aayenge, khoob jaan le ke Allah nihayat ba iqtedar aur hakeem hai”