Surah Al-Baqara Verse 197 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Baqaraٱلۡحَجُّ أَشۡهُرٞ مَّعۡلُومَٰتٞۚ فَمَن فَرَضَ فِيهِنَّ ٱلۡحَجَّ فَلَا رَفَثَ وَلَا فُسُوقَ وَلَا جِدَالَ فِي ٱلۡحَجِّۗ وَمَا تَفۡعَلُواْ مِنۡ خَيۡرٖ يَعۡلَمۡهُ ٱللَّهُۗ وَتَزَوَّدُواْ فَإِنَّ خَيۡرَ ٱلزَّادِ ٱلتَّقۡوَىٰۖ وَٱتَّقُونِ يَـٰٓأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ
Hajj kay maheenay muqarrar hain iss liye jo shaks inn mein hajj lazim ker ley woh apni biwi say milaap kerney gunah kerney aur laraee kerney say bachta rahey tum jo neki kero gay uss say Allah Taalaa ba khabar hai aur apney sath safar kharach ley liya kero sab say behtar tosha Allah Taalaa ka darr hai aur aey aqal mando! Mujh say dartay raha kero