Surah Al-Baqara Verse 196 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Baqaraوَأَتِمُّواْ ٱلۡحَجَّ وَٱلۡعُمۡرَةَ لِلَّهِۚ فَإِنۡ أُحۡصِرۡتُمۡ فَمَا ٱسۡتَيۡسَرَ مِنَ ٱلۡهَدۡيِۖ وَلَا تَحۡلِقُواْ رُءُوسَكُمۡ حَتَّىٰ يَبۡلُغَ ٱلۡهَدۡيُ مَحِلَّهُۥۚ فَمَن كَانَ مِنكُم مَّرِيضًا أَوۡ بِهِۦٓ أَذٗى مِّن رَّأۡسِهِۦ فَفِدۡيَةٞ مِّن صِيَامٍ أَوۡ صَدَقَةٍ أَوۡ نُسُكٖۚ فَإِذَآ أَمِنتُمۡ فَمَن تَمَتَّعَ بِٱلۡعُمۡرَةِ إِلَى ٱلۡحَجِّ فَمَا ٱسۡتَيۡسَرَ مِنَ ٱلۡهَدۡيِۚ فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ ثَلَٰثَةِ أَيَّامٖ فِي ٱلۡحَجِّ وَسَبۡعَةٍ إِذَا رَجَعۡتُمۡۗ تِلۡكَ عَشَرَةٞ كَامِلَةٞۗ ذَٰلِكَ لِمَن لَّمۡ يَكُنۡ أَهۡلُهُۥ حَاضِرِي ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Hajj aur umray ko Allah Taalaa kay liye poora kero haan agar tum rok liye jao to jo qurbani mayyassar ho ussay ker daalo aur apney sir na mundwao jabtak kay qurbani qurban gaah tak na phonch jaye albatta tum mein say jo beemar ho ya uss kay sir mein koi takleef ho (jiss ki waja say sir munda ley) to uss per diya hai khuwa rozay rakh ley khuwa sadqa dey dey khuwa qurabi keray pus tum amann ki halat mein hojao to jo shaks umray say ley ker hajj tak tamatto keray pus ussay jo qurabni mayyassar ho ker dalay jissay taqat hi na ho to woh teen rozay to hajj kay dinon mein rakh ley aur saat wapsi mein yeh pooray das hogaye. Yeh hukum unn kay liye hai jo masjid-e-haram kay rehney walay na hon logo! Allah say dartay raho aur jaan lo kay Allah Taalaa sakht azab wala hai