Surah Al-Baqara Verse 197 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraٱلۡحَجُّ أَشۡهُرٞ مَّعۡلُومَٰتٞۚ فَمَن فَرَضَ فِيهِنَّ ٱلۡحَجَّ فَلَا رَفَثَ وَلَا فُسُوقَ وَلَا جِدَالَ فِي ٱلۡحَجِّۗ وَمَا تَفۡعَلُواْ مِنۡ خَيۡرٖ يَعۡلَمۡهُ ٱللَّهُۗ وَتَزَوَّدُواْ فَإِنَّ خَيۡرَ ٱلزَّادِ ٱلتَّقۡوَىٰۖ وَٱتَّقُونِ يَـٰٓأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ
Hajj ke mahine sabko maloom hain , jo shaks in muqakkar mahino mein hajj ki niyat karey, usey khabardaar rehna chahiye ke hajj ke dauran mein ussey koi shehwani fail (sexual indulgence) , koi badh amali, koi ladayi jhagde ki baat sarzad na ho aur jo neik kaam tum karoge woh Allah ke ilm mein hoga. Safar e hajj ke liye zaad e raah (provisions) saath le jao, aur sabse behtar zaad e raah(provisions) parheizgaari hai, pas aey hosh-mandon! Meri nafarmani se parheiz karo