Surah Al-Baqara Verse 198 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraلَيۡسَ عَلَيۡكُمۡ جُنَاحٌ أَن تَبۡتَغُواْ فَضۡلٗا مِّن رَّبِّكُمۡۚ فَإِذَآ أَفَضۡتُم مِّنۡ عَرَفَٰتٖ فَٱذۡكُرُواْ ٱللَّهَ عِندَ ٱلۡمَشۡعَرِ ٱلۡحَرَامِۖ وَٱذۡكُرُوهُ كَمَا هَدَىٰكُمۡ وَإِن كُنتُم مِّن قَبۡلِهِۦ لَمِنَ ٱلضَّآلِّينَ
Aur agar hajj ke saath saath tum apne Rubb ka fazal (bounty) bhi talash karte jao to ismein koi muzahiqa nahin, phir jab arafat se chalo to mashhare haraam (muzdalifa) ke paas thehar kar Allah ko yaad karo aur us tarah yaad karo, jiski hidayat usne tumhein di hai, warna issey pehle tumlog bhatke huey thay